Jump to content

Important Questions


sweetload

تجویز کردہ جواب

Janab Mufti Sahab, Assalm-o-Alaikum,

 

Mujhey aap sey kuch sawalat poochney hain jo key merey liye bohot important hain aur main kisi aur ko nahi pooch sakti

 

Masla ye hay keh Jab main apney shohar(husband) ke qareeb hoti hoon ya wo merey qareeb aatey hain ya body ke kisi bhi hissey per touch kertey hain to mera pani discharge ho jata hey. Kabhi ziada aur kabhi thora sa hi geela pan hota hey.

 

Merey Sawalat ye hain keh,

 

1. Kya is tarha khud sey discharge honey per ghusal FARZ ho jata hey?Jabkeh mera is taraf bilkul khayal na tha.

2. Agar din main 3 ya 4 bar aisa ho to kya her bar ghusal FARZ ho ga?

3. Sardi k mosam main bar bar ghusal kerney sey meri tabiat kafi kharab ho jato hey aur nazla, flu, etc. ho jata hey, is ka koi asan hal ho to bata dain?

4. Kya sirf wazu ker ke koi namaz ya WAZEEFA perh liya jaey to ada ho jaey ga?

 

Please mujhey in sawalon k jawabat jaldi send karain main kafi pareshan hoon.

Aap ki bohot mehrbani hogi.

 

ALLAH HAFIZ

 

Mrs. Anwar

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Yahan par meray khial main koi Mufti sahib tashreef naheen laatay... aor doosri bat yeh hey keh Sisters k leay aik section makhsoos kar dya gya hay aap us section ko join karain aor wahan bhi questions pooch sakti hain.

teesri aor most important bat yeh hay aap kisi achi gynecologist ya sexologist k pas jain.

 

 

On 12/26/2011 at 2:22 AM, sweetload said:

 

1. Kya is tarha khud sey discharge honey per ghusal FARZ ho jata hey?Jabkeh mera is taraf bilkul khayal na tha.

 

 

JI Naheen aesi soorat main ghusul farz naheen hota, par wuzu toot jata hay aor kapray bhi paak karnay hongay.

 

 

On 12/26/2011 at 2:22 AM, sweetload said:

 

2. Agar din main 3 ya 4 bar aisa ho to kya her bar ghusal FARZ ho ga?

 

question 1 main byan ki gayi soorat k mutabiq ghusul farz naheen hota , laikin is say wuzu toot jata hay , din main jitni bar bhi aesa ho har dafa wuzu toot jaye ga aor kapray bhi paak karnay hongay.

 

 

On 12/26/2011 at 2:22 AM, sweetload said:

3. Sardi k mosam main bar bar ghusal kerney sey meri tabiat kafi kharab ho jato hey aur nazla, flu, etc. ho jata hey, is ka koi asan hal ho to bata dain?

 

 

 

Agar aik rat main aik say zaid bar ghusul farz ho to sab k leay 1 hi bar ghusul kar lena kafi hay... han ghusul khatam karnay k bad dobara ghusul farz hua to phir ghusul karna hoga...

 

On 12/26/2011 at 2:22 AM, sweetload said:

4. Kya sirf wazu ker ke koi namaz ya WAZEEFA perh liya jaey to ada ho jaey ga?

 

Jab ghusul farz ho to aesi soorat main Quran Majeed parhna ya choona manna hay. Baqi wazaif parhay ja saktay hain. wuzu kar k parhain to ziada behtar hay.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...