Jump to content

Ye Kuch Sh'er


Ashiqa Barelvi

تجویز کردہ جواب

786

1a-Tujhe hai meri Muhammad se gulaami ka gam

1b-Are gulaam to hain un ke gulaamon ke bhi ham

2a-Tera yeh fatwa adab mere nabi ka ho kam

2b-Mera yeh jazba ke jitna bhi karo utna kam

3a-Khuli jo gathri meri us mein faqat itna tha

3b-Nabi ka ishq, ye kuchh sh'er, adab, chashm e nam

4a-Jo daal de tu jahannam mein yeh insaaf tera

4b-Jo bakhsh de to meherbaani teri, tera karam

5a-Muhabbaton ne meri mujh ko bachaya varna

5b-Mere gunaahon se wajib tha yeh dozakh ka shikam

Un par Allah Azzawajal ka salam ho aur...

Un ke sadqa ham par dozakh haraam ho

AMEEN!

Link to comment
Share on other sites

786

1a-Mustafa,Mustafa,Mustafa,Mustafa

1b-Kehta ja, kehta ja, Mustafa,Mustafa

2a-Sunte hi kaan mein shehd sa ghul gaya

2b-Jisne bhi jab kaha Mustafa,Mustafa

3a-Kitna meetha hai, pyaara hai naam e safa

3b-Murtaza, Mujtaba,Mustafa,Mustafa

4a-Sunte hi jal gaya, mar gaya najdiya

4b-Har dafa jab kaha Mustafa, Mustafa

5a-Jalta hai toh jale, marta hai toh mare

5b-Ham ko parwaah kya Mustafa, Mustafa

6a-Ishq se aap ke mil gaya hai khuda

6b-Shukriya, shukriya, Mustafa, Mustafa

7a-Vird tera karen, karte karte maren

7b-Maut bhi ho maza Mustafa, Mustafa

8a-Sar ki aankhon se Attar ne aur Raza

8b-Dekh tum ko liya Mustafa, Mustafa

9a-Dil ki aankhon se ham ne bhi dekha Huzoor

9b-Aap hain har jagah Mustafa, Mustafa

10a-Ab na najdi kahe shirk hai kardiya

10b-Rab ki bhi hai jagah? Mustafa, Mustafa

11a-Door o nazdeek ke sunte hain bakhuda

11b-Behra hai najdiya Mustafa, Mustafa

12a-Jab Raza hain chale, kar rahe the wahan

12b-Intazar aap ka Mustafa,Mustafa

13a-Mll gaye mitti mein munkireen e hayat

13b-Naam zinda raha Mustafa, Mustafa

14a-Ashiqa ko Bareli se, Bagdad se

14b-Taiba se ishq sa Mustafa, Mustafa

 

Azzawajal aur salat o salam ho un par.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

786

1a-Tha woh kaisa naam e Raza Raza, mujhe Mustafa se milaa gaya

1b-Mera gulsitaa tha khizaa khizaa, sabhi phool uske khilaa gaya

2a-Mujhe dhoka hota tha aab ka, woh to silsila tha saraab ka

2b-Meri saari pyaas bujha gaya, woh sharaab e ishq pilaa gaya

3a-Meri zindagi jo udaas thi, na umang thi, na hi aas thi

3b-Rag e khoo woh ishq se bhar gaya, mera murda dil woh jilaa gaya

4a-Mujhe na'at aisi suna gaya, mujhe Ashiqa woh bana gaya

4b-Meri dhadkanen woh badha gaya, sabhi taar dil ke hilaa gaya

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...