Jump to content

Al Malfooz Shareef


Ashiqa Barelvi

تجویز کردہ جواب

7 8 6

"Urdu mein shaie shuda mashhoor malfoozaat ko dekh kar yeh andaaza hota hai ke chaudhween sadi ke malfoozati adab mein bohot aham haisiyat Alahazrat Rahmatullahi ta'ala alaih ki hai jinhen Mufti e a'azam Mustafa Raza alaihi rahmat ne 1338.h mein murattab farmaya

Ye malfoozat us jaleelul qadr aalim ke hain jo tafseer, hadees, fiqh, aqaid, kalam, sarf, nahv, ma'ani, bayaan, bade'e, muntiq, falsafaa, takseer, haiyat, tauqeet, hisab, hindisa, tasawwuf, suluk, adab, siyar, jabr o muqabila, zeejaat wa murabba,aat wa gairuhu...mein mahir the!

(DR. Mukhtaruddin Ahmed Arzoo)

1-Ho khwahish jab teri mehfil mein jaaoon

2-To Al Malfooz ki majlis mein aaoon

3-To furqat mein maze qurbat ke paoon

4-To dil mein ishq ki sham'en jalaaoon

5-Hai Al Malfooz ki hub kya bataaoon

6-Main choomoon lab se, aankhon se lagaaoon

7-Bithaaoon dil mein, palkon par sajaaoon

8-Main ilm o deed ki pyasen bujhaaoon

9-Ye hain alfaaz ya moti sunehre

10-Mu'attar phool rangee gehre gehre

11-Kaha kisne nahin ho paas mere

12-Fataawa mein ho apne pyare pyare

13-Yeh asfaar o siyar, taareekh daani

14-Yeh tahqeeq o faqahat ki rawaani

15-Yeh tableeg aur hadeeson ki bayaani

16-Yeh ilm o fan, hunar ki zoofashaani

17-Hai ehsaa mufti e a'azam ka ham par

18-Bithaya aap ki majlis mein laa kar

19-Khuda un par kare rehmat saraasar

20-Mere Aaqa Raza par bhi baraabar

Azzawajal

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...