Jump to content

Hazoor Kay Waldain Ka Eemaan Koi Wahabi Jawab Day


shahzad6058811

تجویز کردہ جواب

saudia main harmain shreefan main saudi hakoomat kay mulazim  molvi har namaz k baad group ke shakal main arabic, bangaali, aur urdu main lectiure daitay hain.  aur urdu walay khaas tour par 2 cheezoon ka daras daitay hain.

 

ALLAH (azw) arash par ustawaa hay.

 

HAZOOR (saw) kay waaldain eh li eemaan naheen thay. ya muslimaan naheen thay.

 

ho sakta hay pakistani ghair muqaldeen ya deobandioon ka bhee yahee aqeeda ho.

 

jo ham suntain hain wo ya hay.

 

HAZOOR (saw) apni walida majida kee qabar par hazir hu ay .  AAP (saw) nay dua k liee haath utha ay to ALLAH (azw) nay dua  mangnay say mana farma dia.

 

sunni kehtay hain mana is liee ay farmaya gia k dua mat maango ya maghfirat shuda hain.

 

ghair muqaldeen kehtay hain choon kay wo muslimaan naheen thay 

is liee dua kee ijaazat naheen mili.

 

aik jagah ya bhee parah tha k hazoor (saw) kay walidain kareemain ko zinda kia gia aur wo emaan la ay aur aap ke risalat ke gawaahee dee.

 

yad rahay HAZOOR (saw) kay walid muhtaram ka naam ABDULLAH yaani ALLAH  (azw) ka banda aur DAADA ka naam ABDUL MUTLIB tha. MUTLIB bhee Allah  (azw) ka naam hay.  to DAADA bhee ALLAH  (azw) ko maantay thay tabhee to ABDULLAH naam rakha.  mazeed kehtay  kay ya deen e ibraheemee par thay.

 

is saari temheed ka matlab yoon biaan karta hoon,ho sakta hay ya nuqta kisi kay zehan main ,ya ho sakta hay na bhee ho.

 

namaz main akhri rakat main darood sharif k baad jo ayyat parhi jaati hay, ya ayaat quaraan pak main bhee moujood hay shaid. chalo agar naheen bhee hay,(magar is kee taaleem to HAZOOR (saw) nay dee,kay har namaz main laazmi parho.  AAP (saw) bhee is dua ko har namaz main 23 saal tak,ya jab say namaz faraz hu e parhtay rahay, is dua main aik ayyat hay jis ka tarjama hay,(AY MAIRAY RUB MAIRAY WAALDAIN KEE MAGHFARIT FARMA)

 

to maira swaal hay agar AAP (saw) kay waaldain muslimaan ya eh li eemaan  naheen thay to AAP (saw) ya dua kio parhtay rahay.  kion k non muslim kay liee to dua e maghfarit kee to ijaazat he naheen hay.

 

to sabit huaa k AAP (saw) kay waldain muslimaan/eh li eemaan thay, ab AAP (saw) ke dua say un kay darjaat buland hotay rahay.

 

HOPE I AM CLEARED,agar ko e ghalti ho gaee ho to mazeed roshni dal dain,thanks to all (saw) 

 

 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...