Jump to content

Reply To Meraj Rabbani By Maulana Farooq Khan Razvi .


wasim raza

تجویز کردہ جواب

Is khabees (Meraj Rabbani)

ne Hazrat Khwaja Gareeb

nawaz ki shaan me badi

Gustakhi ki hai zara padhe

aur Dil per haath rakhle aur

guzarish hai aise logo kay

piche bhi Namaz na adaa

kare.Jiska imaan hi nahi woh

Imam Kya hoga.Humare

Ullema Haq farmate hai ki in

wahbiyo’n kay piche Namaz

na padha karo yeh kaafir hai

Gustakh hai.

Yeh Meraj Rabbani Hazrat

Khwaja Gareeb Nawaz ko

HIJDA kehta hai ki “ Khwaja”

kay maana HIjda hai (Firozul

Lughat) aur yeh bhi kehta

hai ki Khwaja Gareeb nawaz

kay darr per hijde jaate

kyukay Khwaja Gareeb

nawaaz inhi(Hijdo) ki qaum

kay the isliye jaate.

Ab jo log Khwaja ko HIJDA

bole kya woh Musalmaan

hosakte hai ?? kya inka

imaan abhi bhi salamat

hai ?? Hindustan me jiski

badaulat Islam me daakhil

hue use hi gaddari . JAHIL =

Wahbi = GAWAR baat ek hi

hai.ab Meraj Rabbani ne sirf

ek hi lughat se Hawala diya

aur bataya ki Khwaja kay

maana Hijda hai aur hum

insha ALLAH yehi lughat ki

kitaab se saabit karege ki

Khwaja kay maana kya hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

1) Firozul lughat Page no

597. Padhte hai.

Isme khwaja kay maana

likha :

1) Khwajgan : Khwaja ki

jama,Malik,aaka,Sarkar log.

2) Khwaja :

khudawand ,sahib,

sardar,aaka ,Tauran me

sadad ka laqab hai(aur yeh

sayed gharane kay logo ko

milta hai) , Hijda.

Itne maana hai Khwaja hai

aur Meraj Rabbani ne Bugz

rakhte hue sab acche maana

chod diye aur aakhir ka lafz

pakda.isse pata chalta hai ki

Meraj Rabbani kay Dil me

Bugz hai Buzurgo’n kay liye.

Ab dusri Lughat ki kitaab me

padhte hai , Khwaja asal me

Farsi zaban ka lafz hai , yeh

Nahi Arbi hai aur naahi

Urdu.

Farsi ki lughat “Lughat e

Kishwari” : yeh Farsi zaban

me mustanad maan jaati hai

aur bade bade apne waqt

ullema isi farsi ki kitaab se

madad liya karte hai.

2) Lughat e kishwari Page

175.

Isme Likha hai :: Sahibe

Khwaja : Ghar ka

malik,Sardar ,Peer,Hakim,

sahibe

jami’at,Maaldar,rooh,Tauran

me sadad ka laqab hota hai

ba maina badshah , wazeer

ka hota hai.

Yaani badhshah , wazeer kay

saath bhi istemal hota hai.

Ab itne Ache acheLafz chod

diya Meraj Rabbani Khabees

ne aur lafz pakda toh Hijda

wala. Aur khwaja kiska laqab

hai Malik e Roz e qayamat

(Sallallahualaihiwasallam)

aur Hazrat Khizr

Alaihissalam ko bhi khwaja

kaha gaya.jab yeh kisi

buzurg ki nisbat ki jaati hai

Khwaja ki toh yaha Malik ,

Aaka, sardar kay liya jaata

hai. Magarinke Dilo’n me

CHOR chupa hua hai aur yeh

acche maana nahi lete balke

Bure maana lete aur

waliyo’n per Fit karte hai.

3) Practical standard 21st

Century Page 292 yeh teesri

lughat ki kitaab hai aur yeh

mustanad maani jaati hai

yeh urdu to English ki lughat

ki kitaab hai.Isme bhi

khwaja kay maana padhte

hai :

Khwaja : Title of respect ,

Master ,Lord,Great

Person,Tycoon.Buisness

management.

Itne saare maana hai lekin

Bugz rakhne wala kare bhi

toh kya.aur pehla hi lafz hai

“Title of respect” jo adab

kay liye istemal hota hai

lekin badbakht ko dekho

saare acche maana chodkar

bure maana ki taraf jaate

hai.

4) The Student Practical

Dictionary

Iske likhne wale gair Muslim

hai iske page no. 292

Khwaja ka maana :

Master,rich , Khwaj e Khizr

(yaani Hazrat e Khizr ko bhi

Khwaja kaha jaata hai)

Toh yeh Khabees saare

acche maana chodkar bure

maana lete hai toh Meraj

rabbani se kahuga ki teri

Halat kis tarah hai ???

ALLAH kay NABI

Sallallahualaihiwasallam jab

VAAZ farmaya karte the aur

aap sahaba e kram se

Hadeesein bayan karte toh

kuch munafiqin the jo piche

baitha karte the jaan

bujhkar aur woh NABI

Sallallahualaihiwasallam ka

mazaak udaya karte the.MAZ

ALLAH.

Sahaba e Kram NABI

Sallallahualaihiwasallam ki

taqreer ko sama’t Farma

rahe Soon rahe hai.Hota yeh

tha ki NABI

Sallallahualaihiwasallam

kabhi kabhi mushkil jumla

keh dete ki Sahaba e kram

kay samaj me na aati.toh

Sahaba e kram kehte the

“raina ya Rasul ALLAH”( Hum

per rahem kijiye Rasul

ALLAH

Sallallahualaihiwasallam,

Humari riya’at kijiye,hume

aasan kar kay samjhaiye) toh

Munafiq kya karte the

(Munafiq ki dictionary me

raina ka maana charawa

hota tha jo bhed charata

tha )toh munafiq khich kay

kaha karte the raaina ya

Muhammad) fir haste the

aur is lafz ka matlab who

yeh lete the ki bhed charane

wala.Yeh gustakhi thi.ek

martaba Saad bin Muaz

radialla taala anhu jo bade

sahibe the aur in munfiq ki

zaban ko jaante the kyukay

aap ne Imaan laya tha aur

aap jaante the ki in munafiq

ki lughat ki kitab me kaun se

alfaz kay kya maana hai.aur

ek din aap taqreer me aane

me late hogaye toh aap

piche ki taraf bait gaye aur

in munafiqo’n ne fir aapko

khich kar pukara “Raain ya

Muhammad” aur fir hasne

lage aur us waqt Hazrat

Saad bin Maaz ko jalal

aagaya aur aapne Talwar

nikali aur kaha badbhakto

me tumhe qatal karduga ,

tum ALLAH kay NABI ki

tauheen karte ho.toh

munafiqo’n ne kaha hum toh

wahi kehte hai jo tum kehte

ho.toh Hazrat Maaz ne

Farmaya tum galat kehte ho

tum khich kay padhte

ho,tumhara

nazarya,tumhara khayal

tauheen ka hota hai,hum

kehte hai toh adaban kehte

hai.guftugu badne lagi aur

Jab humare NABI

Sallallahualaihiwasallam ne

mulahiza farmaya ki kyu

jhagad rahe ho,toh Hazrat

Maaz ne kaha ki Ya Rasul

ALLAH yeh aap ki tauheen

karte hai aur munafiqo’n ne

qasme khaani shuru kardi ki

humara maqsad tauheen ka

nahi tha,Tab ALLAH taala ne

Quran ki aayat naazil ki

Surah Baqrah aayat no. 104

hai.

Tarjuma : ﺍﮮ ﺍﯾﻤﺎﻥ ﻭﺍﻟﻮ

‏( ﻑ۱۸۵‏) ﺭَﺍﻋِﻨَﺎﻧﮧ ﮐﮩﻮ ﺍﻭﺭ ﯾﻮﮞ

ﻋﺮﺽ ﮐﺮﻭ ﮐﮧ ﺣﻀﻮﺭ ﮨﻢ ﭘﺮ ﻧﻈﺮ

ﺭﮐﮭﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﭘﮩﻠﮯ ﮨﯽ ﺳﮯ ﺑﻐﻮﺭ

ﺳﻨﻮ ‏( ﻑ۱۸۶‏) ﺍﻭﺭ ﮐﺎﻓﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ

ﺩﺭﺩﻧﺎﮎ ﻋﺬﺍﺏ ﮨﮯ ‏( ﻑ۱۸۷ )

Toh pata chala kay Sahaba

jo lafz istemal karte aur

Munafiq jo istemal karte

woh ek hi tha lekin Sahaba e

kram accha maana lete aur

Munafiq bura maana

lete,Quran ne bura maana

lene walo ko Munafiq qarar

diya.

Aur yeh Khabees bhi unhi

munafiq kay naqsh e kadam

per chal rahe hai jinke Dilo’n

me Buzurgo’n kay liye BUGZ

hai. Aur yaha tak yeh in

Buzrgo’n ko kaafir bhi

samajte hai jiski ainda Notes

me duga Insha ALLAH.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...