Jump to content

Kya Imam Bukhari R.a Ne Jhoot Bola?


تجویز کردہ جواب

Kya ye sach hai?

 

 

 

 

Imam Bukhari RA Sahi Sanad se ye riwayet laaye, jo k Taareekh e Kabeer ki hai to

kuch is tarah se farmaya.

ﻗَﺎﻝَ ﻟِﻲ ﻋَﺒﺪ ﺍﻟﺮَّﺣﻤَﻦ ﺑْﻦُ ﺷَﻴﺒَﺔ:

ﺣﺪَّﺛﻨﺎ ﻣُﺤَﻤﺪ ﺑْﻦُ ﻣَﺴﻠَﻤﺔ ﺍﻟﻤَﺪَﻧِﻲّ،

ﺳَﻤِﻊَ ﻣَﺎﻟِﻜًﺎ، ﻋَﻦْ ﻧَﺎﻓِﻊٍ، ﻋَﻦِ ﺍﺑْﻦِ

ﻋُﻤَﺮ؛ ﻧَﻬَﻰ ﺍﻟﻨَّﺒﻲُّ ﺻَﻠﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴﻪ

ﻭﺳَﻠﻢ ﻋَﻦِ ﺍﻟﻘَﺰَﻉِ. ﻭَﻗِﻴﻞَ ﻟﻤُﺤَﻤﺪ

ﺑْﻦ ﻣَﺴﻠَﻤﺔ: ﻣﺎ ﻟﺮﺃﻱ ﻓُﻼﻥ ﺩﺧﻞ

ﺍﻟﺒﻼﺩ ﻛﻠَّﻬَﺎ ﺇﻻ ﺍﻟﻤَﺪِﻳﻨﺔ؟ ﻓﻘَﺎﻝَ:

ﺇِﻧَّﻪُ ﺩَﺟّﺎﻝٌ ﻣﻦ ﺍﻟﺪَّﺟﺎﺟِﻠَﺔِ، ﻭﻗَﺎﻝَ

ﺍﻟﻨَّﺒﻲُّ ﺻَﻠﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴﻪ ﻭﺳَﻠﻢ: ﻻَ

ﻳَﺪﺧُﻠُﻬﺎ ﺍﻟﻄّﺎﻋُﻮﻥُ، ﻭﻻَ ﺍﻟﺪَّﺟّﺎﻝُ ".

Yahan pe Sanad Sahi hai,

aur yahan pe Imam e Azam

ka naam nahi hai.

Ab Imam Bukhari RA ki

kitaab ul Zoafa ki riwayet

mulaheza farmayen.

ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺻﺎﺣﺐ ﻟﻨﺎ ﻋﻦ ﺣﻤﺪﻭﻳﻪ ﻗﺎﻝ:

ﻗﻠﺖ ﻟﻤﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﺴﻠﻤﺔ: ﻣﺎ ﻟﺮﺃﻱ

ﺍﻟﻨﻌﻤﺎﻥ ﺩﺧﻞ ﺍﻟﺒﻠﺪﺍﻥ ﻛﻠﻬﺎ ﺇﻻ

ﺍﻟﻤﺪﻳﻨﺔ؟ ﻗﺎﻝ: ﺇﻥ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ

ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ : "ﻻ

ﻳﺪﺧﻠﻬﺎ ﺍﻟﺪﺟﺎﻝ ﻭﻻ ﺍﻟﻄﺎﻋﻮﻥ، ﻭﻫﻮ

ﺩﺟﺎﻝ ﻣﻦ ﺍﻟﺪﺟﺎﺟﻠﺔ ".

Is riwayat mein Imam Bukhari RA ne jaan bujh kar Imam e Azam ka naam daakhil kiya, aur JHUTI Sanad bana di.

Ya pe HADDASNA ki tasreeh

karte huwe bhi Imam

Bukhari RA ne nahi bataya k

kis ustaad se ye suna, kyun k

agar wo bata dete to usi

waqt pakde jaate, kyun k

Sahi riwayat Taareekh e Kabeer mein maujood thi.

is se saabit huwa k Sirf

Imam e Azam se TASSUB ki

wajah se Imam Bukhari RA

ne JHUT kaha, aur JHUTI Sanad ghad di. ALLAH Imam Bukhari RA ki is khata ko maaf kare, aur unke darjaat buland farmaye.

Edited by wasim raza
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

Imam Bukhari rahimullah muttaqi prezgar thay aaj kal kay Wahhabi aur Deobandi Mualvi nahin thay kay Hadith meh qaat chaat kartay. Imam Bukhari rahimullah Imam Abu Hanifah rahimullah kay mukhalifeen meh say thay aur gumrahi taq kay Fatway deeyeh hen. Magar meh yeh tawaqoh nahin kar sakta kay ek momin muttaqi banda sahih farman e Rasool sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam ho aur kohi esa rawi gusa deh jis say zaeef ho jahay toh aap khud samajen kay esay banday ka imaan zaya kesay nah hota. Zeroor kohi nah kohi qat chaat ya Imam Bukhari taq joh rawayat paunchi jesi unoon nay naqal kee heh.

Link to comment
Share on other sites

Janab MuhammedAli saab Imam Bukhari r.a ne Yahan apne ustad ka naam q nahi bataya? q k unka jhoot pakda jaata.

Seeday tareekay say samjaya toh nahin samaj aahi, kohi bat nahin. Jab jhoot sabat ho gaya aur yeh be sabat ho gaya kay Bukhari bara kazzab thah joh jan boojh kar choopata thah? Joh banda jan booj kar Nabi kay farman e Sahih ko apni tang oopar rakhnay kee khatir daeef karar deh sakta heh dokay say woh aur kitnay jhoot aur farad gar gar kar Nabi say mansoob kar sakta heh? Aap ko kia pata kay Imam Bukhari nay kahan par joot maray hen Imam Bukhari kay leyeh kia mushkil thee kay woh kissi jhoot aur farad ko garta aur us kay saath ek chain of narrators laga deta. Imam Bukhari kay baray meh mashoor heh kay us nay ek banday say is wastay rawayat nah leeh keun kay woh bakri ko gaas dekha kar trick kar raha thah. Itni choti bat par rawayat nah leeh toh rawayat ko daeef karnay kee khatir apnay ustad ka nam nah biyan keeya toh phir bakri ko trick karnay wala Imam Bukhari say behtr heh. Jab bakri ko trick keeya aur rawayat nah leeh toh joh hammeh jhoot pila gaya aur jis ka joot sabat ho be gaya toh phir ham us ki rawayat keun lenh. Jaho sahih bukhari ko bin meh phenk aaho, yahi aakhiri nateeja heh. Tadlees karnay walay kee rawayat qabool nahin hoti, yehni mudallis kee rawayat qabool nahin. Aur Imam Bukhari toh phir parlay darjay ka mudallis sabat huwa kay nahin es'say farad ka murtaqib ho kar?

Link to comment
Share on other sites

Janab MuhammedAli Kya aap Imam bukhari r.a ki iss riwayat ko sahi maante ho???

ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺻﺎﺣﺐ ﻟﻨﺎ ﻋﻦ ﺣﻤﺪﻭﻳﻪ ﻗﺎﻝ:

ﻗﻠﺖ ﻟﻤﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﺴﻠﻤﺔ: ﻣﺎ ﻟﺮﺃﻱ

ﺍﻟﻨﻌﻤﺎﻥ ﺩﺧﻞ ﺍﻟﺒﻠﺪﺍﻥ ﻛﻠﻬﺎ ﺇﻻ

ﺍﻟﻤﺪﻳﻨﺔ؟ ﻗﺎﻝ: ﺇﻥ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ

ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ : "ﻻ

ﻳﺪﺧﻠﻬﺎ ﺍﻟﺪﺟﺎﻝ ﻭﻻ ﺍﻟﻄﺎﻋﻮﻥ،

ﻭﻫﻮ

ﺩﺟﺎﻝ ﻣﻦ ﺍﻟﺪﺟﺎﺟﻠﺔ

 

 

Kya Imam Bukhari r.a tassub se paak the??

Link to comment
Share on other sites

itnay baray muhadaas ko jhoota kehna zaib naheen daita. agar aap samjhtay hain k kissi hadees ko kisi book main aur tarah parah hay aur kissi bok aur tarah, to alam e deen say ya kissi islami bhaee say guidance lain kay is tarah hadees main kuch faraq nazar aa raha hay please check karain aur mairee rehnumaaee karain.

 

Hazrat Imaam bukhari ko AAP (saw) ke khawb main ziarat hu e to daikha k  AAP (saw) kay jisam mubarak par makhiaan baithee hain aur aap un ko jisam mubarak say hata rahain hain.  aan khuli baray paraishan  hu ay k AAP (saw) kay jisam mubarak par to makhi naheen baithtee. ya main nay kia daikha.  kissi say taabeer poochi to pata chala k khawb kee taabeer hay k aap ahadees main say un certified ahadees ko nikaal dain gay.  TO bhaee jaan, aap un ko jhoota keh rahay hain.  josh naheen hosh, kaheen akhrat kharab na ho ja ay.    aagay aap ke marzi

Link to comment
Share on other sites

aap ka andaaz sahee naheen tha kehnay aur poochnay ka.  research   tehqeeq karain is main ko e buraaee naheen.  aap nay fatwa day dia immediately k imam bukhari ka jhoot.

 

quraan k baad bukhari ke hasiaat mutfiqa  aur musalma hay.  aap kisi say help maangtay  aur tehqeeq kartay k kiasay ghalti ho gaee.  behar haal  aap ke khair ho

Link to comment
Share on other sites

Janab MuhammedAli Kya aap Imam bukhari r.a ki iss riwayat ko sahi maante ho???

ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺻﺎﺣﺐ ﻟﻨﺎ ﻋﻦ ﺣﻤﺪﻭﻳﻪ ﻗﺎﻝ:

ﻗﻠﺖ ﻟﻤﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﺴﻠﻤﺔ: ﻣﺎ ﻟﺮﺃﻱ

ﺍﻟﻨﻌﻤﺎﻥ ﺩﺧﻞ ﺍﻟﺒﻠﺪﺍﻥ ﻛﻠﻬﺎ ﺇﻻ

ﺍﻟﻤﺪﻳﻨﺔ؟ ﻗﺎﻝ: ﺇﻥ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ

ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ : "ﻻ

ﻳﺪﺧﻠﻬﺎ ﺍﻟﺪﺟﺎﻝ ﻭﻻ ﺍﻟﻄﺎﻋﻮﻥ،

ﻭﻫﻮ

ﺩﺟﺎﻝ ﻣﻦ ﺍﻟﺪﺟﺎﺟﻠﺔ

 

 

Kya Imam Bukhari r.a tassub se paak the??

 

aisa suwaal krne se pehle fatawa razwiya padhlete shayad aapko jawab waha mil jata :)

Edited by MunAAm Attari
Link to comment
Share on other sites

ulma,fuqah,muhaddiseen ke baare me aisi baate nahi krni chahiye jiska ilm na ho EK TARAF QURAAN K BAADSAB SE SAHI TAREEN KITAB BUKHARI B KEHTE HAI DUSRI TARF USI KITAB K TEHREER KRNE WALE KO JHOOTA AUR TASSUB PASAND B KEHNA KAHA KI AQLMANDI KYA EK JHOOTE NE ITNI SAHI BOOK TEHREER KI????

Edited by MunAAm Attari
Link to comment
Share on other sites

 

- ﻭَﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻋَﺒْﺪُ ﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦُ ﺑْﻦُ

ﻳَﺤْﻴَﻰ، ﺛﻨﺎ ﺃَﺣْﻤَﺪُ ﺑْﻦُ ﺳَﻌِﻴﺪٍ، ﺛﻨﺎ ﺃَﺑُﻮ

ﺳَﻌِﻴﺪِ ﺑْﻦُ ﺍﻟْﺄَﻋْﺮَﺍﺑِﻲِّ، ﺛﻨﺎ ﻋَﺒَّﺎﺱُ ﺑْﻦُ

ﻣُﺤَﻤَّﺪٍ ﺍﻟﺪُّﻭﺭِﻱُّ ﻗَﺎﻝَ: ﺳَﻤِﻌْﺖُ

ﻳَﺤْﻴَﻰ

ﺑْﻦَ ﻣَﻌِﻴﻦٍ ﻳَﻘُﻮﻝُ: ‏«ﺃَﺻْﺤَﺎﺑُﻨَﺎ

ﻳُﻔْﺮِﻃُﻮﻥَ

ﻓِﻲ ﺃَﺑِﻲ ﺣَﻨِﻴﻔَﺔَ ﻭَﺃَﺻْﺤَﺎﺑِﻪِ ‏» ﻓَﻘِﻴﻞَ

ﻟَﻪُ: ﺃَﻛَﺎﻥَ ﺃَﺑُﻮ ﺣَﻨِﻴﻔَﺔَ ﻳَﻜْﺬِﺏُ؟

ﻓَﻘَﺎﻝَ :

‏« ﻛَﺎﻥَ ﺃَﻧْﺒَﻞَ ﻣِﻦْ ﺫَﻟِﻚَ ‏»

ﯾﺤﯿﯽ ﺑﻦ ﻣﻌﯿﻦ ﺭﺣﻤﮧ ﺍﻟﻠﮧ

ﻓﺮﻣﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﮧ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺳﺎﺗﮭﯿﻮﮞ

‏( ﻣﺤﺪﺛﯿﻦ‏) ﻧﮯ ﺍﺑﻮ ﺣﻨﯿﻔﮧ ﺍﻭﺭ ﺍﻥ

ﮐﮯ

ﺳﺎﺗﮭﯿﻮﮞ‏( ﺃَﺑُﻮ ﻳُﻮﺳُﻒَ ﺍﻟْﻘَﺎﺿِﻲ ﻭَ

ﺍﻹِﻣَﺎﻡِ ﻣُﺤَﻤَّﺪِ ﺑْﻦِ ﺍﻟْﺤَﺴَﻦِ

ﺍﻟﺸَّﻴْﺒَﺎﻧِﻲِّ

‏) ﮐﮯ ﺑﺎﺭﮮ ﻣﯿﮟ ﺣﺪ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ

ﺗﻨﻘﯿﺪ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﯿﮟ، ﯾﺤﯿﯽ ﺑﻦ

ﻣﻌﯿﻦ ﺳﮯ ﻋﺮﺽ ﮐﯿﺎ ﮔﯿﺎ ﮐﮧ ﮐﯿﺎ

ﺍﺑﻮﺣﻨﯿﻔﮧ ﺟﮭﻮﭦ ﺑﻮﻟﺘﮯ ﺗﮭﮯ؟

ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﺋﮯ ﮐﮧ ﻭﮦ ﺍﺱ ﺳﮯ

ﭘﺎﮎ ﺗﮭﮯ.

Link to comment
Share on other sites

امام اعظم نے 55حج کئے ہیں۔


اورامام مدینہ امام مالک نے آپ سے علمی مذاکرات میں کئی مسائل لئے ہیں۔


لہٰذا یہ کہنا کہ امام اعظم مدینہ شریف میں حاضر نہیں ہوئے


درست بات نہیں۔


اور ۵۵بارحج وزیارت کرنے والے امام کے متعلق یہ کہنے کاکیامطلب کہ


دجال مدینہ شریف میں داخل نہیں ہوسکتااورامام اعظم  مدینہ شریف میں داخل نہ ہوئے


پس وہ بھی معاذاللہ دجال تھے۔۔


 


 امام بخاری  نے امام اعظم کے بارے میں کئی ایک


زیادتیاں کی ہیں جواُن کے شایان شان نہ تھیں۔


Edited by Saeedi
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...