Jump to content

Syed Aur Zakat Ka Heela

Kilk e Raza

تجویز کردہ جواب

Assalam o Allaikom

Mera question ye hai ke agar koi shakhs kisi Syed family ki maali madad karna chahta ho aur zakat nikalnay ke baad us ke paas itna na bachta ho ke woh uss Syed family ki madad kar sakay, tu kya aisi soorat mein ye heela kya jaa sakta hai ke woh apni zakat kisi mustahik-e-zakat ko de de.. aur woh jisay zakat milay woh apni marzi se bila kisi shart ya zabardasti ke unn paiso se uss Syed family ki madad kar de. Kya ye jayaz ho ga aur aisi soorat mein kya uss ki zakat ada ho jaye gi?

Zaid apni zakat bakar ko deta hai aur bakar ussi zakat ke paiso se apni marzi se kisi Syed ki madad karta hai tu kya ye jayaz hoga aur Zaid ki zakat ada ho jaye gi?

Iss baray mein agar koi bhai fatwa paish kar dein tu bari meherbaani hogi. Dawat e Islami ka online fatwa section close hai. Aur koi Sunni online Darul Ifta ho to zaroor bataye. 

Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...

(wasalam)

Jo treeqa ap ny zikr frmaya hy, is sy zaid ki zakaat bhi adaa ho jaey gi aor sath mein zaid-o-bakr donu ko azeem ajr bhi mily ga.

post-14217-0-22671300-1436489157_thumb.gif

Edited by AqeelAhmedWaqas
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...