Jump to content

Kya Koi Dawat E Isami Wala Is Baat Ka Jawab D Sakta Hai T.v. Se Sarkar Ki Aawaz Aayi....ma'az Allah


Smart Ali

تجویز کردہ جواب

YA MERA AETARAZ NAHI HAY

 

I M SHOCKED TO HEAR THIS

kya koi dawat e isami wala is baat ka jawab d sakta hai

T.V. SE SARKAR KI AAWAZ AAYI....MA'AZ ALLAH

Dawat-e-Islami ke Risala "Sarkar ka Paigam Attar ke Naam" mey ye Waqia Darj he :
"Baab-ul-Madeena Sindh shehar Hyderabad(Pak.) ke Muqeem Islami Bhai(Muballig sahib) ne Halfiya bayan kiya he k Usey 4 Ramzan-ul-Mubarak 1429 hijri Madeena Sharif ki haaziri hui. 5 shawwal-ul-Mukarram 1429 hijri Baroz peer sharif ya mangal 2-paher taqreeban dhaai(2:30) baje Alwidaai Haaziri ke Bargah e Risalat SallAllahu Alaihe wa Sallam mey aen Sunehri Jaaliyo ke Saamne apna aur Deegar Hazraat ka salaam pesh kar raha tha. Is dauraan jab Us Muballig ne apne peer Ilyas Attar Sahib ka Salaam Bargah e Risalat mey Pesh kiya to Jaali Mubarak ke peeche se Aawaz aayi "mere ilyas ko bhi Mera Salam kehna" wo Muballig sahib chonk gaye aur idhar-udhar dekha to maahol pur-sukoon tha, Ird-gird Jaane ke Baais waha bahut kam log the. Muballig sahib ne ek baar phir Apne peer Ilyas Attar ka salaam Bargah e Risalat SallAllahu Alaihe wa Sallam mey pesh kiya to do-baara Jaali Mubarak ke peeche se aawaz aayi : Mere Ilyas Ko Mera bhi Salaam kehna," yeh sun kar Us Muballig par Riqqat taari ho gyi aur bey-ikhtiyaar unhone ek baar phir Apne Peer ka Salaam Sarkar ki Bargah mey Pesh kiya to Khuda ki qasam(Muballig sahib ka kehna) K Mey ne Baidaari ke aalam mey teesri baar phir ye suna k "Mere Ilyas Ko Mera Salaam kehna"..
Jab wo Muballig Madeena Munawwara se Pakistan lota. To us waqt Attar Sahib Baahar Dusre Mulk mey Chale gaye lihaaza wo Muballig Salaam Apne peer tak nahi pahuncha saka. Attar sahib ki watan waapsi ke baad bhi muballig sahib kaafi arsa Sarkar alaihissalaam ka Salaam Apne peer tak nahi pahuncha saka..
30 safar-ul-Muzaffar 1430 hijri baroz jumerat wo muballig T.v on karke Madni Channel Dekh raha tha aur Madni channel par Sunehri jaaliyo ka manzar dekh raha tha k achanak wahi Aawaz Phir sunaayi di "Mere Ilyas ko Tum ne Abhi tak mera Salaam nahi Pahunchaaya"...
Ma'az Allah
(Dekhiye :- Dawate-Islami ka Risala - Sarkar ka paigaam Attar ke Naam,Hindi-Safha-7-8 & Urdu Safha-6-7,Shaai-karda-Maktaba-tul-Madeena,Ahmadabad(Gujrat))

Ma'az Allah...! Attari Ko Madni channel dekhte T.V. se Sarkar Ki aawaz Aa jaaye..Ma'az Allah

Suno! Mere Sarkar Ki Aawaz T.V. par nahi Aati..na Ma'az Allah Mere Sarkar T.V.par nahi aate..
Balke Mere Aaqa Hum Sunniyo ki Bakhshish karaane ke liye Qabr Mey Tashreef laayenge..

Tumne apni Itni Awqaat dikha di..k Sarkar Ki Aawaz T.V. se aa jaaye
Ma'az Allah..Ab tumne ye soch liya K Jab Sarkar ki Aawaz T.v par aa hi gyi to..to Ab Masjid mey T.V. lagaane mey koi Muzaaiqa nahi...
Tabhi Faizan e Madeena Masjid mey Bahut Badaa Screen T.V. lagaa rakha he...
Ma'az Allah..Deen ko Tamaasha bana diya...

Aur Jhoote waaqia apni kitabo mey Chaapne lag gye..
Ma'az Allah

Jo Jhoota Waaqia Gharta he,Chapwaata he aur Jhoota waqia sunaata he iska Wo Khud hi Zimmmadaar he,Sakht Gunah-gaar aur Azaab e Naar ka Haq-daar he!!! 
Allah ke Mehboob SallAllahu alaihe wa sallam ka Farmaan he he :- jo jhoota Khuwab bayan kare usey Baroz-e-Qayamat Jow ke 2 Daano mey Gaanth lagaane ki takleef di jaayegi aur wo Hargiz Gaanth nahi Lagaa paayega..
(Saheeh Bukhari,jild-7,safha-106,hadees : 7042)

Aur Sarkar Farmate hey : Jisne Meri Taraf Koi Jhooti baat mansoob ki woh apna thikaana Jahannam mey bana le...

To Attariyo baaz aao..aur aese jhoote Waaqia garhne aur Chaapne se tauba karo...

Note :- Dawate-Islami ka Risala ka scan Suboot ke taur par image mey dekhiye

 

 

post-13461-0-67349500-1426591949_thumb.jpg

Link to comment
Share on other sites

(bis)

جہالت کی حد ہوگئی، اس میں معاذاللہ کہنے کی کون سی بات ہے ؟

ٹی وی تو سائنس کی ایک ایجاد ہے اس میں کیا برائی ہے؟ برائی تو گندے اور فحش

پروگرام دیکھنے میں ہے، کیا ٹی وی پر تلاوت قرآن نہیں ہوتی ؟قرآن پڑھنا نہیں سکھایا جاتا؟

حدیث رسول بیان نہیں ہوتی ؟

طارق جمیل اور دیگر بدمذہب مختلف چائنلز کا سہارا کیوں ڈھونڈ رہے ہیں؟

اعتراض کرنے والے سائنسی ایجادات کیوں استعمال کرتے ہیں؟

موبائل سائنسی ایجاد نہیں ہے؟ اعتراض کرنے والے اپنے پیر اور استاد کا سلام اور باتیں

موبائل پر کیوں سنتے ہیں، اُس وقت معاذ اللہ کیوں نہیں کہتے؟

اصل بات یہ ہے کہ دعوت اسلامی نے بدمذہبوں کے پلے کچھ نہیں چھوڑا

لٹریچر کے میدان میں جو کام دعوت اسلامی نے کیا ہے اور کم ریٹ پر اسلامی کتابیں

عوام کو پہنچائی ہیں ، میں خود جانتا ہوں کہ بدمذہبوں کے مکتبوں پر کیا باتیں ہوتی ہیں۔

مدارس قائم کرنے اور تقریباً ہر شعبے میں دین کا پیغام پہنچایا ہے،اسی مارچ2015

میں چٹاگانگ بنگلہ دیش میں دعوت اسلامی کا جو بڑا اجتماع ہوا ہے اس سے بدمذہبوں پر

ہذیان کی کیفیت طاری ہے، اس لئے بدمذہب اپنا دماغی علاج کرانے کی طرف توجہ دیں۔

اگر کسی اسلامی بھائی نے ٹی وی پر سلام سنا ہے تو یہ اُس کی اپنی کیفیت ہے، کسی کو کیا اعتراض ہے؟

اللہ کرم ایسا کرے تجھ پہ جہاں میں

اے دعوت اسلامی تیری دھوم مچی ہو

Edited by Khalil Rana
  • Like 2
Link to comment
Share on other sites

Intihayi ahmqana etaraz hai.. Yahi bat pehle bhi aik topic men pochi ke ager tv pr quran ki tilawat or gunbad e khazra ya khana kaba ke manazir hoon tu sawab nhi miley ga tu kaha gaya ke woh tasaweer beyjaan hain is lye gunah nhi or tilawat ka sawab bhi mile ga, bilkul jese radio ya internet per yeh sunne se ye sawab mile ga.. tu sabit howa ke tv per bhi mile ga.

 

mutariz jawab de ke baghair kisi aale ke, kisi Aashiq e Rasool ko ager awaz sunayi de tu jaiz hoga? or ager radio pr sunayi de ya internet se computer ki screen per gunbad e khazra ke munazir dekhte howe sunayi de tab jaiz hoga? ager nhi hoga tu waja? ager hoga tu phir tv per bhi sunehri jaaliyon ke manazir they, na ke koi tasveer waghera nazer aayi. or isko bila daleel jhoota kehna khud jhoota hone ki daleel hai jab kehne wala bat halfan keh raha hai. tv ki beyja mukhalifat ne baz logon ki aqal hi chen li.

 

khalil rana sahb ne bilkul sahi kaha. dawateislami ki taraqi ko dekh kr mukhalifeen jal gaye hain.

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

مخالفین " اگر ہمارے کسی بڑے نے یہی لکھا ہوتا تو ہم یقین کرلیتے مگر کوئی صحیح العقیدہ سُنّی کہے تو ہم یقین کریں گے ہی نہیں، بے جا اختلافات کرتے رہیں گے اور معصوم لوگوں کو بہکاتے رہیں گے"۔

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Is khwab me kahin bhi ye nahi likha ki TV se hi huzur salallahu alayhi wasallam ki awaz ai, ye scan page me saf nazar a raha hai. is khwab me TV ka zikr agay, islie inhe chubh gaya. waise to is kitab ke har khwab me inhone tauhin ke pahlu nikalne ki kosish ki hai. Ye jabran ilzam lada gaya hai Dawat e islami se hasad wa bugz ki bina par. Ek motariz sahab to TV ke mukhalifat me itne andhe hue hai, Madani chennal wo dekhte nahi hai, magar suni sunai bat lekar ae, aur kahte hai,

 

"ki dekho madani channel per Teen Unglion se khana khane ki sunnat dikhai ja rahi thi, to (ameere ahle sunnat ne) do unglion ko fold ker ke rubber band se tie kia hua tha. ab TV per asi sunnat dikhane se us sakhs ko kitni taklif hogi jiski ek ungli kati hui hai, use taklif hogi ki me sunnat ada nahi kar sakta!!!" :D :D :D

 

Ye log TV per news maje se dekhte hai, (shayd gane wagira bhi dekhte ho.) channels ghumate wakt madani channel ajae to inke muh kadwe ho jate hai.

 

FaceBook per ek sahab, ba jama't namaz ke video ke images post karte hai, aur sath me mufti e azam e hind rahmatullahi ta'la alayhi ka kaul nakal karte hai ki apne farmaya tha ki "TV per Deen dikhane se Deen ka tamasha hoga." ap ke zamane me TV ka istemal sirf drame gane aur tamashe k liye hi hota tha, aur tab TV itna am bhi nahi tha. or na usper ilm ki koi bat hua karti thi. aur video ki recording bhi haram thi. islie apka us zamane me ye farmana sahi tha. magar aj TV per duniyavi ilm bhi a chuka, dunyavi ilm ka tamasha nahi hota to deen ke ilm ka kaise ho sakta hai? bahar hal ye sahab FaceBook per images laga ker ye aitraz karte firte hai ki dekho ye deen ka tamasha ho raha hai!!!! ma'zallah. summa ma'zallah. :angry:  TV per wohi chije tamasha banti hai jo haqeekatan tamasha hai. hamar deen (al)  sachcha hai, aur sach tamasha nahi haqeekat hota hai. allah aise fitno se mahfuz rakhe ummate muslima ko. ameen.

 

Andhe ho gae hai, bugz or hasad e dawate islami me ye log. aise to inke kai iatrazat hai jo ahle ilm hans pade aur ro pade, hase inki jahalat per aur roe inki wajah se badzahan hokar akhirat ko khatre me dalne wale bhole bahle sunni bhaion per.

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
×
×
  • Create New...