Jump to content

Aitraz Ilyas Qadri Ko Gaus E Pak Ke Barabbar Qarar Diya


muhafiz1292

تجویز کردہ جواب

KUCH NAME NIHAD SUNNI BHAI YE BAAT AAM KAR RAHE HAI

 

ki ILYAS QADRI SAHAB KO GAUS E PAK KE BARABAR KARADIYA

 

IBARAT KA TEXT BHI ROMAN ME translate kardein aur 

 

aur iss ibarat se kya mana aur murad he ye bhi bata dijie aur aur iska JAWAB BHI LIKH DIJIYE

 

 

p3.jpg

Edited by muhafiz1292
Link to comment
Share on other sites

bhai lag kuch yon raha hai ke jinko perhna bilkul nahi ata ya urdu alfaaz ko perhna nahi ata, unko bewakof banaya ja raha hay or bilkul aise beytuke etarazat kye ja rahe hain jese akser wahabi kerte hain or yahan bhi mamla kuch lag aisa hi raha hay. ye naam nihad sunni ander se wese hi kale hain, pait ka dhanda or sunni awam ko gumrah kerna.

 

Maulana abul atas shahjahan puri sahab apna conversation bata rahe hain kisi ke sath. roman urdu translation ye hay.

 

"hazrat ameer e ahlesunnat ne kayi sunnato ko zinda fermaya, tu meri is bat ko unho ne maan lya ke ap 'muhayi alsunnat' hain.. jabke aik sharii masla hay ke 'muhayi' jo hota hay woh 'mujadid' se bara hota hay. muhayi ka kam hay zinda kerne wala jabke mujadid ka kam hay ke aik chez pr gard o ghubar aagayi hay tu usko saaf ker ke chez ka asali chehra dikhaye. Huzoor ghous e aazam radi allah anhu ko Allah (azw) ne 'muhayi ud din' bana ker bheja na ke mujadid, kyonke 'muhayi' ka kam 'mujadid' se bara hota hay. main ne kaha ke ap 'muhayi alsunnat' manne ke lye tayyar hain tu mujadid manne se kyon inkar kerte hain. jahan apne murda sunnaton ko zinda kya wahan apne deen o sunnat pr pari gard o ghubar ko saaf kya or asali chehra bhi numaya kya hay tu woh dost koi jawab na de sake"

 

Is men konsi bat ghalat hay? kya "muhayi" kehne per aitaraz hay? yani lafz muhayi ya muhayi alsunnat sirf ghous e aazam (ra) ke sath makhsoos hay. kisi or ko muhayi yani sunnat ko zinda kerne wala kaha tu ghous e aazam (ra) ki barabari ho gayi? Astaghfirullah.. yeh tu bilkul andhe ho gaye hain.. wahabi bhi bilkul aise etaraz kerte hain ke Alahazrat kyon kaha jab ke Hazrat Muhammad e Mustafa (saw) ke sath sirf Hazrat lagate ho tu tum ne rutba berha dya (Muaz'Allah) .. or Imam e Aazam kyon kehte ho jabke imam e aazam tu hamare Nabi (saw) hain.

 

Deger kayi bare bare sunni ulema ke naam ke sath lafz "muhayi alsunnat, qata'e biddat, sher e raza waghera" alfaz lagaye jate hain tu kya un sab ki bhi ghous e pak (ra) se barabai ho gayi?

ab aise bhonde aitarazat ka kya jawab dya ja sakta hay. ilmi o amali maidan men maar kha kr aisa hi haal hota hay.. dawateislami or ahlesunnat ki dunya bhar men taraqi in logon se dekhi nahi ja rahi. (ia) kal baroz e qayamat ye loug in baton ke jawab zaror den ge. aik insaf ka bara din jab aaye ga.

Link to comment
Share on other sites

kitab ka mujhe ilm nahi. nafseislam.com site per check keren.

 

Muhayi ka mana hay "sunnat ko zindah kerne wala'. tu jo aik ya kuch sunnaton ko zindah kere tu bator laqab is main kya ghalat hay. muhayi e sunnat ka laqab main ne bohot se ulema ke sath posters waghera men dekha hay.. kabhi phir mila tu yahan picture post keron ga. abhi main ne search ki tu Silsila Naqshbandiya ke mashhor bazurg Khuwaja Saif ud din alehrahma ke lye ye laqab istimal howa hay.

 

محی السنت حضرت خواجہ سیف الدین عروۃ الوثقیٰ حضرت خواجہ محمد معصوم قدس اللہ سرہ العزیز کے صاحبزادے اور خلیفہ ارشد ہیں

http://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%AE%D9%88%D8%A7%D8%AC%DB%81_%D8%B3%DB%8C%D9%81_%D8%A7%D9%84%D8%AF%DB%8C%D9%86

 

Aap Khuwaja Muahammad Masoom alehrahma ke bete or Hazrat Mujaddid Alfesani alehrama ke pote hain.. Tu kya silsila naqshbandiya walon ne pote ka rutba dada se berha dya or ghous e aazam (ra) ke barabar ker dya hay? jab ke Khuwaja Saif ud din alehrahma khud apne dada aur walid ke liye ye kehte hain.

 

من کیستم کہ باتو دمِ دوستی زنم

چندیں سگانِ کوئے تو یک سگ منم

ترجمہ: میری کیا مجال کہ آپ سے دوستی کا دعویٰ کروں؟ میں تو بس آپ کے دربار کے کتوں میں سے ایک کتا ہوں۔

Link to comment
Share on other sites

asal me eteraz ki waja smjhny ki tyr kren, waja ye hy k dawate islami me shaksiyat prasti bht hy.no doubt k Di acha kam kr rhi hy logo ko khas kr youth ko namaz rozay ka paband kr rhi hy jo k qable tareef kam hy,Di sy koi aqaidi ikhtilaf ni han nzareyati zror hn,Di waly apny peer k agay ki c or ko kuch ni smjhty ye log un ka rutba zrorzt sy ziada barha rhy hn.misal k tor py ullama ka is bat py itefaq hy k wiladat ka jashan manana sirf Nabi pak k sath khas hy, ap apny peer ka bhi jashne wiladat mana rhy ho koi ek misal dy do k  Nabi pak k bad kisi buzrug ny apna ya apny peer ka ya din manaya ho,ap logo ki hr baat Nabi pak ya Ghusul Azam sy tasdeeq shuda hy,hara imama ho,Faizane sunnat ho sub ki ap k ki c dor daraz area k rhny walay islami bhai ko khawb ajaty hn had to ye hoge k madni channel ko Nabi pak ka pasandida sabit kany k leye Di ny us me Nabi pak ki Awaz anay ka dawa bhi kr dala,

bhai apna qibla thora drust kren Ahlesunnat k aur bhi alim hn unka b zikar kren un ko b parhen,dar is bat ka hy k Ameere dawate islami ki wafat k bad kahin unhay bht bara koi darja na dy den.

Link to comment
Share on other sites

bhai, asal men jo kam kerta hay woh nazer aata hay. or jo nazer men ata hai, wahan pr muhabbat or nafrat kerne wale dono paida ho jate hain. or Maulana Ilyas Qadri sahab  (m-a) ke lye muhabbat kerne wale itne zyada hain ke jinka shumaar bhi mumkin nahi. aub yahi bat masla-kun banti ja rahi hay.

 

bhai, apki post perh kr mujhe samajh nahi aarahi aik bat ki. hum sunni tu bari muhabbat wale loug hain. chahey woh muhabbat apne Aaqa (saw) se ho ya us ke Sahaba wa Ahlebait se ho, ya Aulya e Karam se ho ya Ulema se ho. Yeh hamare mindset ko kya hota ja raha hay? kya hum wahabiana soch ki taraf tu nahi ja rahe hain? wohi shirk o biddat wali, ya rutba berhane or ghatane wali? ya time muqarar kerne wali bidat ya mehfil sajane wali bidat waghera.. or phir kisi chez se ya andaz se ikhtilaf ho bhi jata hay tu uski nishandehi ki jaye behter tareqa se. mager jo andaz apnaya ja raha hay woh tu bilkul hi ghalat hay.

 

dawateislami wale ya attari hazraat apne peer ko Allah ka wali mante hain. Ager Mureed apne Peer ko wali mane or uske qaseede gaye or bohot tareef kere. Is main koi burayi hay? Kisi wahabi ko tu nazer aa sakti hay. Sunni ko nahi. kya apko aadab e murshid e kamil pata hain? kya apne kabhi fatawa razwiya sharif se apne peer ke adab ko perh ker dekha hay? Kya apne auliya e karam ka adab e murshid e kamil suna hay kabhi? yeh perhye.

 

p70.jpg

p71.jpg

p72.jpg

p73.jpg

 

jo batain ap ne likhi hain, woh dawateislami wale ager kerte hain tu thori hain. adab e murshid e kamil tu bohot hi zyada hain. jese Alahazrat ne likha ke Akabir ne tu is se bhi zyada adab likhe hain.

 

ab zara ye 2 waqyat bhi perh len.

 

p49.jpg

p50.jpg

p96.jpg

p97.jpg

 

yeh taleemat e ahlesunnat hain, mager mojodah kuch sunni kehte hain ke apne peer ka rutba na berhao, balke us men kami kero. or apne peer ki bajaye deger ki taraf dekho. لاحول ولا قوۃ الا باللہ

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...