Jump to content

Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam


Khalil Rana

تجویز کردہ جواب

Lagta hay salafi pagal ho chuka hay is k salaf k connection ur chukay hain ya is ko koi samaj henahi aa rahay.Is ka sar chakra raha hay.Abhi tak tu aik question ka jawab b nahi dia jahal gustakh nain aur keh raha hay keh kon kon say questions k answers don....Tuf hay tumhari poori salafiat par......

 

Again that question RIZQ wala????????

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Tu Sahaba Radi Allah o unhum Ajmaeen ke bat kar raha hay aur main Quran Sharif ke bat kar raha hon.

 

And itna ghusay main kyon hotay ho zara aaraam say sakoon k saath.Apni poori salafiat ko akatha kar aur poora zoor laga tab ja kar challange karna......

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Tu Sahaba Radi Allah o unhum Ajmaeen ke bat kar raha hay aur main Quran Sharif ke bat kar raha hon.

 

And itna ghusay main kyon hotay ho zara aaraam say sakoon k saath.Apni poori salafiat ko akatha kar aur poora zoor laga tab ja kar challange karna......

 

**************************************

aur QURAN ko tu samajhta hai ya SIHABA? bol agar tu samajhta hai to mai kehta hun tujh say bada gumrah koi nahi. mai nay Quran o hadees o sihaba o muhaddiseen say dekha diya. mai nay to koi qasar hee nahi chori.

 

tohidee ki baat ka jawab mai nay muhaddiseen say diya lay tui bhi shok poora kar lay.

حدثنا يحيى بن أيوب وقتيبة يعني ابن سعيد وابن حجر قالوا حدثنا إسمعيل هو ابن جعفر عن العلاء عن أبيه عن أبي هريرة

أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال إذا مات الإنسان انقطع عنه عمله إلا من ثلاثة إلا من صدقة جارية أو علم ينتفع به أو ولد صالح يدعو له

 

 

<B>ما يلحق الإنسان من الثواب بعد وفاته <B>الوصية <B>صحيح مسلم

 

is ka mafhoom yeh hai keh marnay kay baad insaan ka amal ka silsila khatam ho jata hai.

 

lekin aik doosree sahih hadis hai.

 

حدثنا أحمد بن حنبل وسريج بن يونس قالا حدثنا هشيم أخبرنا داود بن أبي هند عن أبي العالية عن ابن عباس

أن رسول الله صلى الله عليه وسلم مر بوادي الأزرق فقال أي واد هذا فقالوا هذا وادي الأزرق قال كأني أنظر إلى موسى عليه السلام هابطا من الثنية وله جؤار إلى الله بالتلبية ثم أتى على ثنية هرشى فقال أي ثنية هذه قالوا ثنية هرشى قال كأني أنظر إلى يونس بن متى عليه السلام على ناقة حمراء جعدة عليه جبة من صوف خطام ناقته خلبة وهو يلبي

قال ابن حنبل في حديثه قال هشيم يعني ليفا

 

Abdullah bin abbas raziallahanho say riwayat hai keh Rasool Allah sallahu alihewasallam say guzrey to farmaya yeh kon c wadi hai? logoon nay kaha wadi e arzaq aap nay farmaya.( كأني أنظر )goya mai moosa(alehsalam) ko dekh raha hun woh utar rahey hain choti say aur awaz labbaik pukar rahey hain phir aap harsha ki choti par aaye. aap nay poocha yeh konsi tekri hai? logoon nay kaha yeh harsha ki tekri hai aap nay farmaya كأني أنظر goya mai dekh raha hun yunus bin mati ko woh aik surkh untni ghatee hui par sawar hain aur aik jubba pehney hain baloon ka in ki untani ki nakeel khalba ki hai aur woh labbaik keh rahey hain. ahmad bin hamble nay apni hadees mai byan kiya hai keh hisam nay kaha khalba say murad leef hai (yani khajoor kay darakht ki chal)

 

<B>الإسراء برسول الله صلى الله عليه وسلم إلى السماوات <B>الإيمان <B>صحيح مسلم

 

imam nawawi nay is ki zabardast sharah ki hai. sahih muslim mai aisey kartey hain.

 

قال القاضي عياض رحمه الله : أكثر الروايات في وصفهم تدل على أنه صلى الله عليه وسلم رأى ذلك ليلة أسري به وقد وقع ذلك مبينا في رواية أبي العالية عن ابن عباس , وفي رواية ابن المسيب عن أبي هريرة , وليس فيها ذكر التلبية . قال : فإن قيل كيف يحجون ويلبون وهم أموات وهم في الدار الآخرة وليست دار عمل فاعلم أن للمشايخ وفيما ظهر لنا عن هذا أجوبة : أحدها أنهم كالشهداء بل هم أفضل منهم والشهداء أحياء عند ربهم فلا يبعد أن يحجوا ويصلوا كما ورد في الحديث الآخر وأن يتقربوا إلى الله تعالى بما استطاعوا لأنهم وإن كانوا قد توفوا فهم في هذه الدنيا التي هي دار العمل حتى إذا فنيت مدتها وتعقبتها الآخرة التي هي دار الجزاء انقطع العمل .

الوجه الثاني أن عمل الآخرة ذكر ودعاء قال الله تعالى { دعواهم فيها سبحانك اللهم وتحيتهم فيها سلام } .

الوجه الثالث أن تكون هذه رؤية منام في غير ليلة الإسراء أو في بعض ليلة الإسراء كما قال في رواية ابن عمر رضي الله عنهما " بينا أنا نائم رأيتني أطوف الكعبة " وذكر الحديث في قصة عيسى صلى الله عليه وسلم .

الوجه الرابع أنه صلى الله عليه وسلم أري أحوالهم التي كانت في حياتهم ومثلوا له في حال حياتهم كيف كانوا وكيف حجهم وتلبيتهم كما قال صلى الله عليه وسلم : ( كأني أنظر إلى موسى , وكأني أنظر إلى عيسى , وكأني أنظر إلى يونس عليهم السلام .

الوجه الخامس أن يكون أخبر عما أوحي إليه صلى الله عليه وسلم من أمرهم وما كان منهم وإن لم يرهم رؤية عين . هذا آخر كلام القاضي عياض رحمه الله . والله أعلم .

 

 

translation

 

qazi aiyaz nay kaha aqsar riwayaat say pata lagta hai keh Rasool ALLAH Sallahu alihewasallam nay in paighambaroon ko meraj ki raat dekha aur yeh amar tasreeh kay sath abu al aliya ki riwayat mai ibn e abbas say mojood hai aur ibn e musiyyab ki riwayat mai abu hurairah say magar us mai labbaik kehnay ka zikar nahi. ab agar koi kahey keh paighambar to marr gaye aur aakhirat mai gaye(ويلبون وهم أموات وهم في الدار الآخرة )? ab labbaik kesey kehtey hain aur hajj kesey kartey hain woh to amal karney ka muqam nahi? to hamarey mashaikh aur hum nay is kay kai jawab nikalay hain. aik to yeh keh paighambar shaheedoon ki misal hain balkeh in say bhi afzal hain. aur shaheed zinda hain apnay (والشهداء أحياء عند ربهم )parwardigaar kay pass. to kya baeed hai keh wo hujj karien ya namaz parhien jesey doosree hadees mai warid hai aur jhaan tuk in say ho sakay Allah say is ki nazdeeqi hasil karien aur go wo marr gaye par abhi tuk duniya mai hain jo amal ka muqam hai jub qiyamat ho jaye gee albattah jub qayamat ho jaye gee aur duniya ki miyaad khamat ho jaye gee us waqat amal khatam ho jaye ga.

 

doosrey yeh keh aakhirat ka amal zikar o dua hai ALLAH tala farmata hai دعواهم فيها سبحانك اللهم وتحيتهم فيها سلام

 

teesrey yeh keh shayed yeh khwaab ho kisi aur raat mai siwaye meraj ki raat kay jesey ibn e omar ki riwayat mai hai keh mai so raha tha keh mai nai apnay taien dekha kabay ka tawaf kartey huye aur byan kiya qissa Eesa alehsalam ka.

 

chothey yeh keh Rasool ALLAH ko in paighambaroon ka haal dekhaya gya bator tamseel kay keh in ka hujj kesa tha aur labbaik kion kar thi is liye keh khud aap nay farmaya keh كأني أنظر goya mai dekh raha hun moosa alehsalam ko aur goya mai dekh raha hun eesa alehsalam ko aur كأني أنظر Goya mai dekh raha hun yunus alehsalam ko.

 

panchwaan yeh keh aap nay byan kiya is baat ko jo wahi ki gai aap ki taraf in paighambaroon ki kaifiyat aur halat say agarcha aap nay in ko apni ankh say na dekha ho tamam hua kalaam qazi ayaz ka.(end)

 

 

 

yahaan 2 muhaddiseen nawawi aur qazi ayaz rahimullah bhi aa gaye. qazi ayaz to bohet pehley kay hain. un ki soch kya hai un kay nazdeeq bhi paighambar shohda ki tarhaan balkeh un say afzal hain. aur jesey shohda zinda hain ALLAH kay pass wese hee nabi bhi zinda hain. ALLAH kay pass zinda hain is ka shaoor humien nahi hai.

 

phir unhun nay jawabaat diye un logoon ko jin kay diloon mai shubha paida ho jaye. is mai chotha jawab sab say alla aur acha hai.

 

pehla is liye sahih nahi kion keh jub doosree hadees mai aa gya keh mout kay baad amal ka silsila khatam ho jata hai to yeh doosree sahih hadees kay khilaf nahi ho sakti.

 

teesra bhi sahih nahi kion keh yeh khwaab nahi tha ALLAH kay nabi jagtey mai yeh sab dekh rahey the.

 

panchwaan kuch theek hai kuch nahi ALLAH kay nabi ko wahi to ki gai lekin us waqat wo khud dekh rahey the na keh sirf andazey say bata rahey the.

 

chotha is liye theek hai jesey qazi ayaz nay isharah diya hai keh goya mai dekh raha hun moosa alehsalam ko aur goya mai dekh raha hun eesa alehsalam ko aur كأني أنظر Goya mai dekh raha hun yunus alehsalam ko. aur yeh un ki duniyawee zindagee thi jo ALLAH nay un ko dekhai.

 

yeh aisey hee hai jesey hazrat bilal raziallahanho ko jutoon smait junnat mai chaltey dekha tha. woh hazrat bilal raziallahanho ka akhirat ka manzar aap ko dekhaya ALLAH nay aisey hee yahaan ALLAH kay nabi ka mojaza hai keh anbiya ka duniyawee amal dekhaya gya. aur agar maan bhi lo baqi batien to yeh mojaza hai dekhaya ja sakta hai ALLAH kay nabi ko.

 

is say yeh akhaz nahi kiya ja sakta keh anbiya aisey hee zinda hain jesey hum bilkul ghalat hai un ki zindagee barzakhi zindagee hai.

 

kya duniyawee zindagee qabar mai ho sakti hai? jub keh duniyawee zindagee momin kay liye qaid khana hai mout us say rihai delanay wali hai.

 

ab nabi fout bhi ho jaien aur qabar mai ja kar wesey hee zinda ho jaien kya naudhubillah ALLAH kay nabi ko saza day rahey ho?

 

 

 

jub aik aam momin marnay kay baad kehta hai (qaddamuni qaddamuni) mujhai jaldi lay chalo mujhai jaldi lay chalo(bukhari kitab ul janaiz baab qol al miyat dhu al janaiz qaddamuni raqam 1316)

 

to anbiya ki zindagee phir wesey ho jaye? aik nabi ki qabar ko duniyawee zindagee kesey pasand aa sakti hai?

Edited by Ya Mohammadah
Orton ki tarah kosna galiyan dena wahabro ki purani adat hai..plz be careful.
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Neither this is the answer of my question nor Tauheedi Bhai.

Main nain rizq k baray main poocha aur unhon nain poocha keh kya Namaz jism party hay ya rooh???Han aur na main jawab do??????

Ab tu isay dosri taraf lay ja raha hay..

Tu kis tarah sabat kar sakta hay keh Shahuada ke zindaqi barzukhi hay????

Link to comment
Share on other sites

sawalaat karnay say baaz na aaya. INSHALLAH loge dekh rahey hain kon kis kay jawabaat day raha hai.

 

pehley kehta hai keh tohidee ka jawab dey jo keh mai nay muhaddiseen say day diya. ab kehta hai keh mai nay rizq wala poocha tha.

 

arre us ka jawab kitni dafa dun ALLAH nay kaha tum shaoor nahi rakhtey mai kesey ALLAH say aagay nikal jaoon. ALLAH jese chahta hai rizq daita hai hamara kam hai amanna saddaqana us mai ab keerey nahi nikalnay keh rizq kesey diya jata hai kion diya jata hai. aisee faqahat tumheen mubarak

 

ab keh diya tu kesey kehta hai keh shohda ki zindagee barzakhee hai.

 

leh hadees say jawab say teri tarhaan gustakh gustakh keh kar jawab nahi dun ga daleel say jawab dun ga. INSHALLAH

 

dekho yaar mei arabic kay sath poori chain aur hawala bhi daita hun aik hadees hai

 

‏حدثنا ‏ ‏فروة ‏ ‏حدثنا ‏ ‏علي بن مسهر ‏ ‏عن ‏ ‏هشام بن عروة ‏ ‏عن ‏ ‏أبيه ‏

‏لما سقط عليهم الحائط في زمان ‏ ‏الوليد بن عبد الملك ‏ ‏أخذوا في بنائه ‏ ‏فبدت لهم قدم ففزعوا وظنوا أنها قدم النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏فما وجدوا أحدا يعلم ذلك حتى قال لهم ‏ ‏عروة ‏ ‏لا والله ما هي قدم النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏ما هي إلا قدم ‏ ‏عمر ‏ ‏رضي الله عنه ‏

ما جاء في قبر النبي صلى الله عليه وسلم وأبي بكر الجنائز صحيح البخاري khalifa waleed bin abdul malik bin marvaan kay ahad e hakumat me (nabi kareem sallahu alihewasallam kay hujrah) ki deewar giri aur loge usay uthanay lagey to wahaan aik qadam zahir hua. loge yeh samajh kar ghabra gaye keh yeh nabi sallahu alihewasallam ka qadam hai. koi shaks aisa nahi tha jo qadam pehchan sakey. aakhir arwah bin zubair nay bataya keh nahi Allah gawah hai keh yeh Rasool ALLAH sallahu alihewasallam ka qadam nahi hai. balkeh yeh to omar raziallahanho ka qadam hai(end)

 

ab bol OMAR RAZIALLAHANHO SHAHEED THE YA NAHI? un ka qadam zahir ho gya jis ko sihaba nabi ka qadam samajh rahey the. agar shohda aisey hee zinda hain barzakh mai nahi to phir OMAR RAZIALLAHANHO ko uth jana chahiye tha na. aur sath hee khair ul quroon kay loge yeh samajhtey hain keh yeh nabi ka paoon hai.

 

yani un kay dorr me tumhara aqeeda tha hee nahi. kion keh agar hota un ko kehna chahiye tha keh nabi to zinda hain qabar me yeh qadam khaan say aa gya?

lay ab jawab zroor dai galiyaan na nikalna shuroo ho jana gustakh gustakh.

aik hadees ki sharah kartey huye hafiz ibn e hajar asqalani fathul bari mai farmatey hain

 

ibn e hajar nay kaha

لأنه بعد موته وإن كان حيا فهي حياة أخروية لا تشبه الحياة الدنيا

be shak aap (sallahu alihe wasallam) agarcha zinda hain lekin aap ki zindage ukharwi (barzakhi) hai duniyawee zindagee say mushabiha nahi hai (fath ul bari jild 7 tehat hadees(tashreeh of hadees) 4046)

غزوة أحد المغازي صحيح البخاري

 

in par fatwa lagao na? qabar ki zindagee ka barzakh say talluk hai yeh nahi keh wo litteraly us mai hain.

 

is hee tarhaan hafiz zahbi farmatey hain.

Aap sallahu alihe wasallam api qabar mai barzakhi torr par zinda hain.(Seyar ilaam al nabla9/161)

 

imam behqi farmatey hain

fahum ahyau inda rabbihim kasshuhada e

(pus wo (anbiya) apney rabb kay pass shohda ki tarfaah zinda hain (hiyat ul anbiya al behqee page 20)

 

ab bol laga fatwa jawab zroor daina

 

me ne tum say tameez sey baat ki thi tumheen apni izzat raas nahi aai. tumhara tohidee kehta hai wahabi tum kehtey gustakh.

 

phir jesa munh ho ga wesi chupair bhi parrey gee. doosroon say sunnanay ki himmat rakho.

Edited by asimsweetone
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Lo g tum bar bar woh he Hadees Sharif paish kar rahay ho.Main nain question he aik kia hay keh Shaheed ko barzukhi zindagi main rizq ke kya zarrorat????

Har banda daikh raha hay keh ab tumhari kaifiat kya ho rahy hay....Be cool this is the initiation....

Link to comment
Share on other sites

reply to chishti qadri

 

rizq ki zroorat kion nahi mai kehta hun wo jo chahey kartey hain. un ko un ka sila nahi milna kya? yaar tum QURAN aur Ahadees khud parha karo takeh samajh aa jaye.

shaheed ko ALLAH poochta hai keh tumheen kuch aur chahiye wo kehtey hain hum khush hain kuch nahi chahiye. ALLAH 3 dafa poochta hai to wo kehtey hain humien dobarah wapis bhej dey takeh teri raah me dobarah qatal ho aaien. yeh baat refuse ho jati hai.

 

me tumheen bar bar keh raha hun QURAN O SUNNAH ko apni aqal say nahi sihaba o muhaddiseen say samjho. apni aqal say samjho gay kharji honay ka khatra hai.

 

Reply to tohidee

 

poocha namaz parhna rooh ka kaam hai. yaar ALLAH kay nabi kya sirf namaz hee parhtey hain? hum kehtey hain wo barzakhi zindagee mei jo chahien karien. hum us ka shaoor nahi rakhtey.

 

is liye mai nay hadees paish ki thi takeh tumhara aiteraaz khatam ho jaye keh marney kay baad amal khatam ho jatey hain.

 

us kay baad qazi ayaz ki baat paish ki thi keh jo loge(jesey keh tum) yeh sochien keh anbiya to marr gaye ab namaz kesey parhtey hain to un ka pehla jawab yeh tha keh wo jo chahieen karien. aap ko koi masla hai un kay namaz parhnay say?

 

phir unhu ney yeh bhi kaha keh shohda apnay rabb kay pass zindah hain.(duniya mai nahi) wesey hee anbiya bhi zindah hain balkeh anbiya to un say bhi barh kar hain.

 

aap ko mai apni baat karoon to aur baat hai bhai jaan mai nay to koi kasar hee nahi chori. Quran paish kiya,sihaba kay aqwaal un ka faham paish kiya muhaddiseen bhi aaa gaye.

 

ab aap ko kion samajh nahi aa rahi? bus gustakh wahabi ki rutt laga dee hai. aap meri batoon ka jawab kion nahi detey? sawal par sawal kar rahey ho. mai nay kaha tha keh agar nabi duniya mai zinda hain to sihaba nay yeh kion na kaha keh nabi to duniyawee zindagee ki tarhaan zinda hain un ka qadam kesey ho sakta hai?

 

ab bhi aap ko samajh na aaye to ALLAH say dua hai keh aap kay diloon kay pardey khol day aameen.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Tu janab meri aap araz sunain na keh barzukh main bhala kyon rizq ke kyon zaroorat par gay.YEh sab cheezain tu zahari life k lia important hain

 

 

Assalamu alykum bhai mai yeh hee to kehta hun keh jub aik dafa ALLAH nay kaha keh un ko rizq diya jata hai lekin tum shaoor nahi rakhtey.

 

mai aap ko kub say keh raha hun keh ALLAH kehta hai hum shaoor nahi rakhtey yeh mutashabihaat hain ALLAH janta hai hum nahi jantey humien koi haq nahi hai keh hum sawaal jawaab karien jub ALLAH nay bataya hee nahi to hum kion aagay niklien? JITNA ALLAH nay bata diya hum mantey hain jitna nahi bataya us ko nahi mantey. aik hadees doosree hadees ki tashreeh kati hai. sirf aik

 

hadees ko lay kar ISLAM nahi samjha jaye ga doosree ahadees aqwaal e sihaba faham e sihaba faham e tabieen o muhaddiseen dekha jaye ga.

 

phir kaheen ja kar result nikalta hai. ab doosree hadees mai aa gya keh Omar raziallahanho ka qadam bahir aa gya.

abu bakar raziallahanho nay confirm kiya nabi chalay gaye aur kaha be shak ALLAH aap par 2 moutien jama nahi karey ga. yani aik dafa mout aa gai doosree dafa nahi aaye gee.

 

phir abu bakar raziallahanho nay farmaya jo nabi ki ibadat karta tha wo jaan lay keh nabi fout ho gaye aur jo ALLAH ki ibadat karta tha wo jaan lay kay ALLAH kabhi marnay wala nahi.

 

phir ammi aisha raziallahanha nay farmaya nabi sallahu alihewasallam fout ho gaye.

 

phir abu huraira raziallahanho nay farmaya aap duniya say chalay gaye

agar un ka yeh aqeeda hota keh nabi to qabar mai hain to kabhi yeh na kehtey

 

phir abdullash bin masood raziallahanho nay farmaya jub nabi hum mai mojood the hum assalamu alika parhtey the jub wo fout ho gaye tub hum assalamu alannabiyu(khitab kay seeghay kay bagair) kehney lagay

 

abdullah bin omar raziallahanho bhi aisey hee kehtey.

phir ab nabi khaan hain?

 

sihabi kehtey hain jub ALLAH kay nabi meraj par gaye to junnat mai aik mahal dekha wahaan farishtoon nay un say farmaya jub aap ki omar poori ho gee to aap apnay makaan mai aa jaien gay.

 

ab nabi ki omar poori hui ab wo apnay mahal mai aram say hain

pata chala keh wo aisey nahi jesey hum

agar wo aise hee hain to bhai jaan yahaan duniya to momin kay liye qaid khana hai yeh zindagee nabi ko kesey pasand aa sakti hai?

 

phir muhaddiseen kehtey hain wo wo zinda hain magar un ki zindagee barzakhi hai aur yeh hee hum kehtey hain.

 

ALHUMDULILLLAH.

 

aagay aap ki marzi bhai aap aisey pyar sey baat kartey raho to acha hai gustakh wahabi kehney sey kuch nahi ho ga.

Edited by asimsweetone
Link to comment
Share on other sites

Reply to tohidee

 

poocha namaz parhna rooh ka kaam hai. yaar ALLAH kay nabi kya sirf namaz hee parhtey hain? hum kehtey hain wo barzakhi zindagee mei jo chahien karien. hum us ka shaoor nahi rakhtey.

 

(bis)

(saw)

 

asim sb toheedi bhai nein aik hadees pesh ki hai k Anbia Karam Alaihum us salam apni qabro mein namaz parhte hain.or yeh hadees sahi hai .is k baad aap se tuheedi bhai nein sawal kiya hai k namaz parhna rooh ka kaam hai ya jism ka aap 2 lines mein jawab kiun nahi dey dete ??????

aap nein kaha k hum us ka shaour nahi rakhte k woh kia karte hai to mere bhai aik kaam ka to pata chal gya na k woh Apni qabro mein namaz parhte hai aap ko is ka jawab dena hai .umeed hai k aap agli post mein tuheedi bhai ki post ka jawab dein gay.

sawal aik baar phir parh ley:

 

Namaz parhna rooh ka kaam hai ya jism ka?????

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

 

asif sb toheedi bhai nein aik hadees pesh ki hai k Anbia Karam Alaihum us salam apni qabro mein namaz parhte hain.or yeh hadees sahi hai .is k baad aap se tuheedi bhai nein sawal kiya hai k namaz parhna rooh ka kaam hai ya jism ka aap 2 lines mein jawab kiun nahi dey dete ??????

aap nein kaha k hum us ka shaour nahi rakhte k woh kia karte hai to mere bhai aik kaam ka to pata chal gya na k woh Apni qabro mein namaz parhte hai aap ko is ka jawab dena hai .umeed hai k aap agli post mein tuheedi bhai ki post ka jawab dein gay.

sawal aik baar phir parh ley:

 

Namaz parhna rooh ka kaam hai ya jism ka?????

Assalamu alykum bhai jaan aap mujhai yeh bataien keh mai yahaan mazak kar raha hun? mai bar bar aap ko hadees ka jawab hadees say daita hun aur kehta hun keh hum us ka shaoor nahi rakhtey aur us hadees ka jawab mai nay qazi ayaz say aur imam nawawi say diya hai. aap ka faham nahi liya jaye ga sihaba o muhaddiseen say liya jaye ga.

 

me is hadees ki tashreeh kar chuka hun. ya to ho me apni baat karoon to aur baat hai(jesey aap kar rahey hain)

 

bhai jaan kharji aisey loge the keh woh sihaba ka faham nahi letey the. aap bhi sihaba ka faham nahi lay rahey.

 

aur mai kitni dafa keh chuka hun QABAR ka talluk barzakh say hai aur mai sihaba ki baat quote kar chuka hun aur muhaddiseen ka bhi.

 

ab aap mujhai yeh bataien keh jo yeh aqeedah rakhey keh ALLAH kay nabi apni qabar me sahih salim hain na un ko kuch ho sakta hai lekin un ki zindagee ukharwi hai duniyawee nahi us par kya fatwa hai?

 

ab is ka jawab zroor daina aur soch samajh kar daina.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(bis)

(salam)

Janab

Namaz Parhna Jism ka kam ho ya Rooh ka in doonon soorton main aap ko is ka kiya fayeda???????

is Hadeeth ki tashreeh Muhadetheen or Sahaba Ikram (ra) ke mutabq Asim Sahaib famra chukye hain lakin aap ko nazar nahin aa raha hia kion ke aank per taqleed ka chahshma laga hai..

 

Rahi baat Jang-e-Jamal or Safeen main zinda samajhtye hoye ista'anat or Istamdad se fayeda uthanye ki to janab jabmujhye beta chahiye or nokri chahiye, shohar wife main rishta behtar banana ho to main Tamam logon ko pukaron siwaye Allah ke lakin aiyese khofnak halat main Sahaba-e-Ikram Hazoor-e-Akram ke hazoor main pesh na hon apni madad ki darkhoast lekar, Jabke is soorat main Hazoor-e-Akram (saw) ko sirf ye batana hota ke kon haq per hai or tamam sahaba (ra) ka is per ijtama ho jata lakin....... lakin is ke jawab main aap ayen bayen shayen karna shoro kar diya hai or sawla dobara (jawab ko samjhye baghair) dohrana shoroo kar diya hai...... bilkul aik Ratnye walye totye ki tarha.........

 

Jawab aap se chahiye or is ka jawab denye per aap ke tamam (Main 100% surity ke saath bolta hon) sawalon ke jawabat mil jayengye aap sirf ye sabit karon ke Sahaba (ra) ne Jang-e-Jamal or safeen main Hazoor-e-Akram se Madad talab ki.........

 

CHishti Qadri sahib, Toheedi sahib, Qadri Attari sahib, aap tamam log is ka jawab dhondhye or dil ko khol kar is per sochyen...

 

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(wasalam)

Janab main nain bar bar rizq ka question kia laikan jawab yeh aay keh shaoor nahi.Ab sunya Qazi Muhammad Bin Ali Shoukani rizq k baray main kya farmatay hain isi ayat mubarak ke tafseer kartay huay.

Is jagah rizq say murad wohi rizq hay jo aadatan maaroof hay.Yeh he jamhoor ka mazhab hay.Jamhoor k alawa baaz Ulma kehtay hain keh is say murad achy taareef hay halan keh Kitab Ullah main waqia arabi kalmat main tehreef aur bayghair kisi sabab k baeed majazaart par mahmool karnay ke koi wajah nahi hay......(Tafseer Fateh Ul Qadeer ,Dar Ul Maarifat,Berut Lubnan Volume 1 Page No.399)

Ab mera aap say again yeh sawal keh barzakhi zindagi main rizq ke kya zaroorat?????Rizq ke tu zinda logon ko zaroorat hoty hay.......

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(wasalam)

Janab main nain bar bar rizq ka question kia laikan jawab yeh aay keh shaoor nahi.Ab sunya Qazi Muhammad Bin Ali Shoukani rizq k baray main kya farmatay hain isi ayat mubarak ke tafseer kartay huay.

Is jagah rizq say murad wohi rizq hay jo aadatan maaroof hay.Yeh he jamhoor ka mazhab hay.Jamhoor k alawa baaz Ulma kehtay hain keh is say murad achy taareef hay halan keh Kitab Ullah main waqia arabi kalmat main tehreef aur bayghair kisi sabab k baeed majazaart par mahmool karnay ke koi wajah nahi hay......(Tafseer Fateh Ul Qadeer ,Dar Ul Maarifat,Berut Lubnan Volume 1 Page No.399)

Ab mera aap say again yeh sawal keh barzakhi zindagi main rizq ke kya zaroorat?????Rizq ke tu zinda logon ko zaroorat hoty hay.......

 

 

Assalamu alykum bhai nay qazi shokani ki baat ki keh is jagha rizq say murad wohi rizq hai jo adatan maroof hai.

 

 

pehley yeh batao adatan maroof ka kya matlab hai? kya is say murad woh rizq hai jo duniya me hota hai?

 

 

agar is say murad wohi rizq hai jo duniya me hai to bhai jaan junnat aur duniya me koi farq hai? jubkeh shohda junnat mai hain.? yani aap nabi ki qabar ki zindagee ko sabit karney kay liye yeh keh rahey hain keh junnat aur duniya kay rizq me koi farq nahi? o bhai sahab kya ho gya hai aap ko. junnat me aisa rizq hai jo hum nay kabhi dekha na suna.

 

 

shohda kay barey me Quran kehta hai wo zinda hain. jo aap bhi mantey hain aur hum bhi. ikhtilaaf to is amar me hai keh aaya wo zindagee duniyawee hai ya barzakhee. to bhai is par me aap ko sihaba o muhaddiseen kay aqwaal paish kar chuka hun aap un ki batoon ka jawab day nahi rahey. aur bar bar aik hee sawal dohratey ja rahey ho.

 

aur aap ka ISLAM sirf aik hadees hee mai hai? jubkeh mai nay is hadees ki tashreeh me kitni hee ahadees o asare sihaba o faham e muhaddiseen kay aqwaal paish kiye.

 

 

aap say poocha tha us par kya fatwa hai jo yeh kahey anbiya ki zindagee barzakhi hai duniyawee nahi? aap nay jawab nahi diya. sawal par sawal kar rahey ho aur time zaia kar rahey ho.

 

 

yeh aaj kay dorr kay molvioon nay aqeeda gharr liya hai warna aik bhi classical scholar say yeh sahih sabit nahi. balkeh mai nay to sihaba o muhaddiseen say prove kiya hai.

 

qabar ka talluk barzakh say hai. duniya say nahi. barzakhi zindagee me shohda aish o aram say hain. kesey hain yeh sirf ALLAH janta hai. aagay niklo gay deen tabah kar lo gay yeh mutashabihaat mai say hain jitna ALLAH nay bataya maan lo..

 

Link to comment
Share on other sites

@ tohidee

janab e wala yahaan rafayadain khaan say aa gya? aur doosra yeh keh aap ko ALLAH ki baat kion samajh nahi aati keh tum shaoor nahi rakhtey. ALLAH ko pata hai hum is barey me nahi soch saktey aap ko philosopher bannaney ka shok hai kya? aap ye soch hee nahi saktey keh wo kesey khatey peetey aur aish kartey hain ALLAH hee janta hai.

 

 

mutashabihaat me na paerien warna apna deen kho betho gay.

 

 

ab kaha wahabiya kay imam qazi shokani nay yeh kaha.

 

pehli baat wahabiya kay hun gay imam hum to ahlus sunnah hain aur hamara imam e azam aik hee hai aur woh hai MUHAMMAD UR RASOOL ALLAH SALLAHU ALIHEWASALLAM.

 

 

ab aap ko qazi shokani ka sahara laina parr raha hai. mai nay sihaba, imam behqi, imam ibne hajar asqalani, imam zahbi,imam nawawi aur qazi ayaz ka hawala paish kiya arabic kay sath. aur kaha jub aik am bandey ko duniyawee zindagee pasand nahi to nabi ko kesey aaye gee? aik am momin kay liye duniyawee zindagee qaid khana hai to kya tum nay nabi ko dobarah qaid kar diya naudhubillah? jawab do.

 

 

o bhai aap ka aaj kuch nahi banay ga INSHALLAH sihaba (abu bakar, Omar,Abdullah bin omar,Abdullah bin masood, Ayesha, Abu huraira raziallahanhum jin kay hawalay me ney paish kiye sanad kay sath) kay aagay qazi sahaba kuch bhi nahi hain.

 

agar anbiya qabar me zinda hain to khalifa waleed bin abdul malik kay zamanay mai OMAR razallahanho ka qadam nazar aaya aur sab sihaba o tabieen yeh samajhtey rahey keh yeh nabi ka qadam ahi. batao? jawab do? un ko to kehna chahiye tha keh nabi to qabar me aisey hee zinda hain jesey hum? is baat ka jawab tum loge day hee nahi saktey. aur bhag rahey ho qazi shokani ki taraf.

 

aur Qazi sahab nay jo kaha keh jismani hai to un ka matlab bhi yeh hai keh barzakh me jismani hai. unhu nay bhi duniyawee zindagee kay mushabiha nahi kah ALHUMDULILLAH for e.g hadees hai keh jo musalman mujh par salam parhta hai ALLAH mujh mai rooh phoonkta hai aur mai jawab daita hun.

 

is hadees say bhi aap ki tardeed hoti hai nabi kehtey hain ruh lotai jati hai jub keh aap kay mutabik wo zindah hain aisey hee jesey hum khair. mera maqsad kuch aur hai kehney ka.

 

 

lekin is say nabi ka qabar mai zinda hona khaan sabit ho gya? is say to sabit ho raha hai keh nabi qabar mai aisey zinda nahi hain rooh lotanay ka kya matlab hai? kya bar bar rooh lotai jati aur nikali jati hai?

 

is ka jawab yeh dia jata hai keh salam har waqat aap par koi bhejta rehta hai lihaza nabi jawab detey rehtey hain. to janab kya araz hai keh kya nabi sirf jawabaat hee detey rehtey hain? nahi na.

 

 

aur jub rooh har waqat jisam mai rehti hai to jawab kay waqat rooh lotanay ka kya mani huye? hadees to rooh lotanay ki tasreeh kar rahi hai.

 

sawal yeh hai keh jub ALLAH kay nabi ki wafaat hui to taqreeban dairh din ALLAH kay nabi qabar mai nahi dalay gaye us doran durood kisi nay parha ya nahi? aur parha aur yaqeenan parha ho ga. to kya khyaal hai ALLAH kay nabi nay jawab kion na diya?

 

AUr agar jawab diya to rooh kion na lotai gai? aur agar rooh lotai to sihaba ki yeh jurrat kesey hui keh RAHMAT ULILLALAMIEN ko zinda dafnanay ki?

 

aur agar aap zinda nahi huye to kion nahi huye kya koi salam kehnay wala nahi tha?

 

aur yeh hee hum kehtey hain marnay kay baad rooh lotana ALLAH ka kam hai barzakh mai rooh lotanay say zindagee aisey hee nahi ho jati. barzakh ka mamla hai is liye ALLAH nay farmaya tha keh tum shaoor nahi rakhtey.

 

aur us waqat agar nabi nay jawab nahi diya to kya khyaal hai un salamoon ka kya bana jo wafaat kay waqat parhey gaye? kya un ka jawab diya hee nahi gya. aur yeh ho hee nahi sakta keh na diya gya ho. aur agar diya gya to yeh kisi waqat baad mai diya gya?

 

 

to yeh hee hum kehtey hain keh jo salam nabi par parhey gaye aur salam dua hee hota hai ALLAH kay farishtey tamam salamoon ko jama kar kay kisi khas waqat mai pohoncha detey hain aur phir aap sallahu alihewasallam jawabi dua detey hain. aur yeh hee is hadees ka matlab hai. zaroori nahi us hee waqat jawab dien.

 

kya nabi har waqat nabi salam ka intezaar aur jawab dene ka intezaar hee kartey rehtey hain?

 

nabi par ruh lotaya jana duniyawee nahi hai yeh mutshabihaat hain in mai na parien. aur merey sab sawaloon ka jawab dien.

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(bis)

(salam)

Janab toheedi sahib

Aik taraf to aap ka kehna ke aap ko arabi nahin aati or doosri taraf aap jin katbon ke page pesh kartye hain woh Arabi main hi hotye hain.... kia is ka matlab ye to nahin (1) Aab jhoot boltye hain (2) Aap ko koi or is kitab ke barye main batata hai or deta hai or aap baghair tehqeeq ke us ko scan or past kar detye hain (3) ya phir aap kahin se sirf copy and past kartye hain

 

in sab baton ka matlab yahi hai ke jab main aap se kehta hon ke arabi ka tarjua pesh karin to us ka matlab hota hai ke us page main kuch alfaz shobah pesh karti hai lakin chonke main arabi ahl-e-ilm ki tarha nahin samajhta to isi liye aap ko tassalli bakhsh jawab nahin de sakta hon

 

Isi tara Jaanb Shokani sahib Aalim hain, Layeq-e-Muhtaram or Izzat hai lakin un ki koi baat deen main hujjat us waqt tak nahin hogi jab tak ke us ko quran or Hadeeth per pesh na kia jaye to baat shokani sahib ki yahin khatam ho jati hai..

 

Main ne sawalat from hair muqallid main likha tha or poocha bhi tha ke jab sarye masalik (Shafai, Hambali, Maliki or Hanafi) sahi hain, haq per hain, to Hambali or Shafai or kuch maliki jan Fatiha Khalful Imam, Rafayadein, Torak, Aameen Biljahar waghera kartye hai to aap ka in per aitirasz kion..............? or ittifaq se agar (jo ke bohat bara ho chuka hai) koi sofi (Peeran-e-Peer) Hambali nikal aayen (GHazali (RAH)) Shafai nikal aayen to phir kaha jata hai ke apna aqeedah soofiya ke mutabiq rakhye kion ke tareeqat main Maslak-e-sheikh ki zaroorat nahin lakin aqeedah soofion wala hona chahiye (jis ke barye me main ne kaha tha ke "Islam per amal pera honye ki baat ho to firqa wajib or agar soffiyat per amal pera hona ho to sirf aik hi aqeedah" wah kia hi nirali baat thi or aap ne mujh se hi poocha tha ke aap ne ye baat kahan per ki thi

 

Aap ne pehlye to ye manna hai ke Hazoor-e-Akram (saw) apni qaber main aam logon ki tarha zinda hain, Jab ke HAzrat Abu Bakar (ra) ka kehna hai ke Allah aap per do mutain jama nahin farmyega. phir aap ka kehna ke woh qudrat rakhtye hain apni pichli dunyavi zindagi se ziyadah logon ki madad karnye per (Mutashabehat) or phir is ka itlaq Allah ke Walion per kartye hain phir apnye ulama ko Allah ka Wali batatye hain or phir un per sabit karteyn hai.

 

To Pata ye chala ke masala ye nahin ke Hum Hazoor-e-Akram (saw) ki hayat -e-mubarika ko sabit karain, bulkye masa'la toye hai ke is tarha in ke buzargon ka fayedah khatam hojata hai or un ki zaroorat khatam ho jati hai, zahir hai jab aik shakhs zinda hi nahin or kisi ki madad nahin kar saktye to kis ko in ki zaroorat!

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

Assalamu alykum

 

Abdul salam bhai aap nay bilkul theek kaha. masla hyat un nabi nahi kuch aur hee hai. in kay aqeeday ki base hee jub khatam ho gai to in kay milvioon kay halway kesey chalay gey? aur yeh logon ko apnay molvioon ko pukarnay ki dawat kesey dein gay.

 

is hee liye yeh Abu bakar siddique,Omar,Abdullah bin masood,Aisha,Abu huraira raziallahanhum aur muhaddiseen me Imam behqi, Qazi ayaz, Nawawi,Ibn e hajar asqakani kay samnay qazi shokani ki baat kar rahey hain. aur qazi shokani bhi in ki himayat poori nahi kartey. kionkeh unhu nay bhi duniyawee zindagee kay mushabiha nahi kaha.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Janab aap ke aqal par parda para hua hay shayad keh aap nain jannat aur dunya k rizaq ka comparison kia.Mujay batain keh kya Jannat main bhe humari zindagi barzukhi he ho ge?????Rizq ke zaroorat tu hoty he zinda logon ko hay is say barzukh wali bat sabit he nahi hoty.

Aur dosra

 

 

Ab suno Ahdees Sharif jin say zahri zindagi ka saboot milta hay

Shaykh e Muhaqqaq Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi farmatay hain...Tadfeen k waqat Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waale hee Wasalam ke qabr e anwar say sab say aakhar main nikalny walay Sahabi Hazrat Qusam Radi Allah o Unho nain farmaya"Main nain Nabi Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ko qabar main daikha keh aap hont mubarak hila rahay thay,main nain sun nay k lia kan qareeb kia tu aap farma rahay thay ,Ya Allah meri ummat ko bakhsh day"

 

Ab is ummat ko hal daikho jo apnay Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ke hayat e zahari ke mukar ho chuky hay..

Ab aap mujay batain keh kya yeh b hayat e barzukhi hay kya?????

 

Imam Darmi Hazrat Saad Bin Abdul Azeez say riwayat kartay hain keh "Harra k zamanay main 3 din tak Masjad e Nabvi main aan nahin kahi gay.Hazrat Saeed bin Musayyab Radi Allah o unho masjad main he rahay inhain Nabi Akram Sal Allah o Alaihe Wasalam k Roza e Anwar say awaz sun kar he namaz k waqat ka pata chalta tha"(Imam Abdul Rehman Darmi,Sunan Darmi Volume 1 Page no.43)

 

Ab aap k Imam Allama Ibn e Tayymia kehtay hain

Aik jamat nain Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ya deegar Aulia ke qabron say Salam ka jawab suna aur Saeed bin Musayyab Radi Allah o unho harra ke raton main azan suna kartay thay yeh aur doosray har qism k waqiat barhaq hain,humari in main behas nahi aur muamla is say kaheen zyada bara aur bar tar hay....Iqtida Sirat e Mustaqeem ,Matboaa e Maktaba e Salafia Lahore,Page no.371

Ab janab aap kya kehtay hain???

 

Link to comment
Share on other sites

(salam) to all

mashallah bari zabardast debate chal rahi hai i am a student...muje itni maaloomat to nahi hain likin yahan or dosre forum se kafi information mil rahi hai..alhamdulillah khas kar debate kay sections me....

 

yahan jo debate chal rahi hai ose read kar kay abi kat to me so confused hoon....kafi mazboot dalail se baat ho rahi hai... lets c agay dakhtay hain kia hota hai..

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Janab aap ke aqal par parda para hua hay shayad keh aap nain jannat aur dunya k rizaq ka comparison kia.Mujay batain keh kya Jannat main bhe humari zindagi barzukhi he ho ge?????Rizq ke zaroorat tu hoty he zinda logon ko hay is say barzukh wali bat sabit he nahi hoty.

Aur dosra

Assalamu alykum aap say me ney poocha tha jo nabi ki zindagee barzakhi maney us par kya fatwa hai?

 

aap yahaan junnat ko darmiaan me kion lay aaye?

 

baat hai nabi ki zindagee barzakhi hai ya nahi.

Ab suno Ahdees Sharif jin say zahri zindagi ka saboot milta hay

Shaykh e Muhaqqaq Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi farmatay hain...Tadfeen k waqat Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waale hee Wasalam ke qabr e anwar say sab say aakhar main nikalny walay Sahabi Hazrat Qusam Radi Allah o Unho nain farmaya"Main nain Nabi Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ko qabar main daikha keh aap hont mubarak hila rahay thay,main nain sun nay k lia kan qareeb kia tu aap farma rahay thay ,Ya Allah meri ummat ko bakhsh day"

 

Ab is ummat ko hal daikho jo apnay Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ke hayat e zahari ke mukar ho chuky hay..

Ab aap mujay batain keh kya yeh b hayat e barzukhi hay kya?????

aap zra is hadees ki shah abdul haq say lay kar nabi ki sanad ki toseeq to paish karien?? doosrey yeh keh itney dalaail deney kay nawajood aap ko aisee ahadees mil rahien hain? agar hum me say kisi kay walid fout ho jaien aur wo qabar me jatey waqat bol parien. kya kisi ki himmat ho gee un ko dafnaney ki?

 

yeh to sihaba ko nauzubillah tohmat laga rahey ho tum jis ka sab say ziadah adab hai us ko zinda dafna diya?

Imam Darmi Hazrat Saad Bin Abdul Azeez say riwayat kartay hain keh "Harra k zamanay main 3 din tak Masjad e Nabvi main aan nahin kahi gay.Hazrat Saeed bin Musayyab Radi Allah o unho masjad main he rahay inhain Nabi Akram Sal Allah o Alaihe Wasalam k Roza e Anwar say awaz sun kar he namaz k waqat ka pata chalta tha"(Imam Abdul Rehman Darmi,Sunan Darmi Volume 1 Page no.43)

chain ki toseeq karo sahih ahdees kay muqablay tabieen kay zaeef aqwaal paish kartey ho? jin ka na sarr hai na pair

Ab aap k Imam Allama Ibn e Tayymia kehtay hain

Aik jamat nain Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ya deegar Aulia ke qabron say Salam ka jawab suna aur Saeed bin Musayyab Radi Allah o unho harra ke raton main azan suna kartay thay yeh aur doosray har qism k waqiat barhaq hain,humari in main behas nahi aur muamla is say kaheen zyada bara aur bar tar hay....Iqtida Sirat e Mustaqeem ,Matboaa e Maktaba e Salafia Lahore,Page no.371

Ab janab aap kya kehtay hain???

 

 

 

ibn e tamiya yahaan yaad aagaye? khair iqtida sirat e mustaqeem kis ki kitab hai?

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...