Jump to content

Kya Allah Azzawajal har jaga mojud hai...???


Ghulam E Mustafa

تجویز کردہ جواب

(salam)

Mera app say aik sawal hai k kia Allah tala har Jagah Mojood hai ?

Chand roz pehlay aik Dost ne kaha k nahi Allah tala har jagah mojood nahi kyon ki Quran-o-Hadith mein iss ka koi zikr nahi aur main ussay koi jawab nah dey saka kyon ki meray pass uss ka koi proper jawab nahi tha.

Meharbani farma kar iss ka tasila baksh jawab send karain.

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

LAIKIN APP YEH BATAIN K JAB ALLAH HAR CHEEZ KO DEKH RAHA HAI TU ZAHIR HAI DEKHTA WOHI HAI JO WAHAN MOJOD HO.

MAINE SHAID KAHEEN AIK HADITH-E-MUBARIKA SUNNI THI K ALLAH BANDAY KI SHAH RAGH SAY BHI ZYADA QAREEB HAI KIA ISS BARAY MAIN KUCH MALOOMAT DAIN GAI APP ?

Link to comment
Share on other sites

(wasalam) bhai.... Allah (azw) har jagah apny ilm or qudrat se mojood hai par jismaniyat chunki Allah ke liye nahin hai is liye har jagah mein mojood hony se wo pak hai kyu ki is se jehat sabit hoga..or Allah (azw) ka sari simton se ghira hona sabit hoga saath hi is duniya ka Allah (azw) ko ahata kiya hona sabit hoga or ye aqeeda rakna kufr hai is liye Allah (azw) har jagah apni zaat se mojood nahin hai balki apny ilm or qudarat se zaroor mojood hai.

Link to comment
Share on other sites

uska ye kehna ghalata hai or usko samjhaya jaye ki Allah (azw) waqt,simt,jehat,zamany,jismaniyat sab se paak hai....

 

mazeed maloomat ke liye ye audio clip zaroor suniye Mufi Mohammad Akamal Attari Sahab ki awaaz mein..

 

http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=1496

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...
  • 3 weeks later...
  • 5 years later...

assalamu alaikum wa rahmatullatahi wa barkaatuhu.......


 


 bakhidmat huzur mufti shb arz ye hai ke abhi kuchh roz pahle meri do aalimo se guftagu huyi                doraane guftagu unme se ek ne aalim ne farmaya ke AALAH SUBHAANUHU HAR JAGAH                      MOJOOD HAI LEKIN WO  JAGAH SE PAAK HAI mene apni naaqis samjh se ilm ka jo                        thoda hissa mujhe mila mene  unki baat ka radd kiya to fir dusre aalim shb ne us aalim ki                        taaeed ki aur farmaya ke" SAYYED SHB ISSE ZYADA FASEEH JUMLA HO HI NHI SAKTA" to mene kaha ke ke hazrat mujhe fasaahat to nhi pata par jis jumle se mere rabb ki toheen hoti ho mai use kaise kabool karun mujhe aisi fasahat nhi chahiye  to unhone mujhe tanziya andaz me farmaya FALSAFA YA MULLAH HASAN PADTE TO SAMJHTE IS BAAT KO NA TUM HUYULA SAMJHTE HO NA TAHT E QUDRAT SAMJHTE HO NA WAAJIB UL WAJOOD KA MATLAB SAMJHTE HO....to mai iss darr se ke kahin sharaee masalaa jaati na ban jaye mai khamosh ho gaya.. aakhir me mene unse kaha hazrat jiss bhi falsafi ne ye farmaya ho mujhe uska qol dikhyen ya mullah hasam me jahan aisi ibaarat hai mujhe dikhyen to unhone ye kah kar taal diya ke mere pass time nahi hai


ab daryaafat talab ye hai ke kya un dono aalimo ka kahna sahi hai mujhe un tamaam kitabon ke hawaale chahiye jisme allah ke liye makaan sabit kiya ho agr waqaee me unki baat durust hai do is surat me har jagah wajood e khuda ka kya maana hoga


mera aqeeda yahi hai k ALLAH MOJOOD HAI AUR WO APNE ILM AUR QUDRAT SE PURI KAYINAAT KO GHAIRE HUYE HAI


TAFSEELAN JAWAAB INAAYAT FARMAYEN


Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...