Jump to content

Sadaqat ka Mayaar


Aamir Malik

تجویز کردہ جواب

Haa tu janab Aamir Malik sahab. Aap ne tu waqai mein alislam se ye poraarticle chaap kar kamaal hi kar dya. Waisay agar ye article hi chaapnatha tu pehlay bata dete. Hum tu samjhay thay ke mousof apni taraf sekoi tabsara karein gay. Khair jawab hazir hai.

 

Aap ke post kiye gaye article ki pehli daleel di hai Surah Yousuf, ayat17-18 se. Aur ye bawar karanay ki koshish ki hai ke Mirza ne nabuwwatka jhoota karne se pehlay aik pakeeza zindagi guzari. Naiz aap ne Mirzaka aik qoul bhi naql kiya ke;

 

'Tum koi aib, iftir'a, ya jhoot yadagha ka meri pehli zindagi per nahi laga saktay, ta tum ye khayal karoke jo shakhs pehlay se jhoot aur iftir'a ka aadi hai ye bhi uss nejhoot bola hoga. Kaun tum mein hai jo meri sawanah-e-zindagi mein nuktacheeni kar sakta hai? Pass ye khuda ka fazal hai ke jo uss ne ibtidaase mujhay taqwa pe qayam rakha aur soochnay walo ke liye ye daleel hai.'

 

Mirza ka ye kehna ke 'Kaun hai jo meri sawanah-e-zindagi per nuktacheeni kar sakta hai?' ke jawab mein mein yeh kaho ga ke woh Mein hon!Mirza ya Mirzaiyo se agar kuch ban parta hai tu kar lein.

 

Ab aiye dalail ki taraf matlab ke Mirza ki zindagi ke ihwaal per. Meinzyada hawala'jaat yaha paish kar ne ki zehmat nahi karo ga aur kyu nahikaro ga iss ka jawab last scan mein mil jaye ga aap ko.

 

Mirza Imam Mahdi ke alamaat bayan karta howay likhta hai ke;

 

'So aanay walay ka naam jo Mahdi rakha gaya. So iss mein ishara hai ke woh anay wala ilm-e-deen Khuda se hi hasil karay ga. Aur Quran aur Hadith mein kisi ustaad ka shagird nahi hoga.So mein halfan keh sakta hon ke mera yehi haal hai. Koi sabit nahi karsakta ke mien ne kisi insaan se Quran ya hadith ya tafsir ka aik sabaqbhi parha hai. Ya kisi mufassir ya muhaddis ki shagirdi ikhtiyaar kihai.'

 

scan1.gif

 

 

Ab Mirza ke iss jhootay dawa ka naqaab uthanay ke liye Allah ne khud Mirza ke qalam se hi Mirza ko zaleel karne ka samaan paida kar diya.Aaiye doosra hawala dekhiye;

 

'Iss tarah per howi ke jab mein 6 7 sala ka tha to aik farsi-khuwa muallim mere liye naukar rakha gaya. Jinho ne Quran Sharif aur chand farsi kitabein mujhay parhai aur iss buzurg ka naam Fazal Ilahi tha. Aur jab meri umar taqreeban 10 baras ke howi tu aik Arbi'khuwa Moulvi Sahab meri tarbiyat ke liye muqarrar kiye gaye jin ka naam Fazal Ahmed tha.'

 

Mirza ke 2 ustado ke naam tu yahi bayan ho gaye jin mein se aik neMirza ko Quran Sharif bhi parhaya. Mirza ke pehlay daway ko samnayrakhtay howay iss doosray daway ko dekhiye tu her insaan samajh saktahai ke Mirza kitnay baray jhootay thay. Aur jhoota insaan Nabi tu kujaaik naik momin bhi nahi ho sakta. Issi hawalay mien agay Mirza neteesray ustaad ka zikr bhi kiya hai aur kuch aur uloom ka bhi jo Mirzane inn ustaado se seekhay. Tafseel ke liye hawala moujod hai parhlijiye.

 

scan2a.gif

scan2b.gif

 

=======================================

 

Mirza ke jhootay dawoo ka agar tajziya kiya jaye tu shayad aik alehda kitaab ban jaye. Mein yaha 1 hi hawala paish karna bohut samajhta hon ke ye aap ke pooray article ke jawab mein kaafi hai. Kyu ke jab koi aik baat mein jhoota sabit ho jaye tu uss ki doosri batoo per bhi aitebaar nahi kiya ja sakta. Aur ye qaida bhi mera nahi, Mirza ka apna hi hai. Parhiye hawala;

 

scan4.gif

Link to comment
Share on other sites

Ab mazeed aap ke diye gaye dalail ka jawab dena zaroori nahi. Kyu ke Mirza ka aik jhoot tu beher'haal mein dikha hi chuka aur Mirza ka ye qoul bhi ke koi agar aik baat mein jhoota sabit ho tu uss ki deegar batoo per bhi aitebaar nahi kiya ja sakta.

 

Agar aap ba'ghour inn hawalajaat ko parhein tu maloom hoga ke ye Mirza ke daway se pehlay aur baad, dono zamano se mutalliq hai. Zahir hai Mirza ne bachpan mein tu dawa kiya nahi tha, aur bachpan mein Mirza ka mukhtalif usatizaa se Quran Sharif aur deegar kutb parhna sabit hai. Phir Mirza ka daway ke baad ye kehna ke mein ne kisi ustaad se nahi parha! Ab ya tu daway se pehli ki zindagi ke baray mein jhoot bola, ya daway ke baad wali zindagi mein jhoota bola, lekin ba'her soorat jhoot tu bola hi hai.

 

Ab aap zara pehlay iss ka diffa kijiye. Agar kar sakay tu phir agay ke dalail ko bhi parakh lein gay.

Link to comment
Share on other sites

mein ne Quran se unki Sachai sabit kr di hai ab ap apni marzi se Man gharat bateen krte rahein to apki Marzi

 

Jee nahi janab. Aap ne Qurani ke ayat tu quote kar di per uss per Mirza ki zindagi se misalien de kar sabit nahi kiya kuch bhi. Ye bilawaja ke haanknay mein apna aur humara waqt barbaad na karien.

 

Mein ne Mirza ke 2 aqwaal quote kiye hain, unn ko Quran-e-Karim ki taleemat se parakh lein. Nabi jhoota nahi ho sakta aur Mirza ka jhoot mein khud Mirza ki kitabo se paish kar chuka. Ab ya tu aap Mirza ki kitabo se diye gaye hawala'jaat ka diffa karein ya phir maan lijiye ke Mirza jhoota tha aur uss ka dawa bhi.

 

Mein yaha ab moderators se request karta hon ke Aamir Malik ko jawabat dene ka paband kiya jaye. Jab tak ye iss topic per diye gaye Mirza ki kitabo ke hawala'jaat ki safai paish nahi kartay, inhay deegar topics mein post karne ki ijazat na di jaye aur agar phir bhi ye post karein tu ussay delete kya jaye.

 

Baat karna ka usool ye nahi hota ke topic start kar ke aap khud hi faraar ho jaye. Aap ne Quran ko daleel banaya, hum ne Mirza ki zindagi ka ihwaal Mirza ki apni kitabo se saamnay rakh dya, jis se Mirza jhoota sabit hota hai. Ab ya tu diffa kijiye, ya iqraar kijiye ke Mirza jhoota tha.

Link to comment
Share on other sites

ager un pages ko pora parhain gay to yeh bhi apko nazar aa jae ga keh uska maqsad he Quran se unki sachai dikhana tha...

 

1 misal yad aagayi k andhe k aage rona aankhon ka zaya hay.

Link to comment
Share on other sites

ager un pages ko pora parhain gay to yeh bhi apko nazar aa jae ga keh uska maqsad he Quran se unki sachai dikhana tha...

 

Apni baat ko wazeh kar ke dalail dene ka hosla paida kijiye. Aankhein aap ki sahi hi kaam kar rahi hain tu jaldi se inhi hawalajaat mein se apnay nukaat chun kar unhay dalail ki soorat mein paish kar ke diffa kijiye. Inn hawalajaat ka diffa karna aap ki zimay'daari hai so iss zimay'daari ko hum per thooptay howay ye na kahiye ke "poora parh lo jawab mil jaye ga". Jawab dene ke paband aap hain ab.

 

Baqi Alhamdulillah sari dunya se kisi bhi ihl-e-imaan ko le aiye, woh aap ko bata de ga ke kaun haqq per hai aur kaun gumrahi mein.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...