Jump to content

tamam doston sey 2 sawalat (pehla sawal)


Nasir Noman

تجویز کردہ جواب

kehney ka maqsad ye hain in you tube ki pic sey sey ap ye sabit kerna chahtey hain key poori dunia main billion(100,000,000 ye ek billion hai) barilvi aqeedon key log hain ?

ap dobara dekhain in vedio ko or khud sochain ap kia sabit kar rahy hain?

 

dawa aap ka tha 100% wahabi ka aur ab aap itna utna istarah ustarah karnay lagay. jaisa sage Attar bhai nay kaha aap yaha hamara aur apna waqt barbad na karain shroo say lay kay aakhir tak har post mai aap wohi raag alap rahay hain jis ka koi sir pair nahee dawa hai daleel ghayab.

 

aap un kay sawalat ka jawab dain yei numbaro aur lafzo ki kareegari rahnay dain aur sage Attar bhai kay sawalat ka jawab dain.

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 97
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Assalam-o-Alikum doston,

 

 

Ap key samney humari last post hazir hai ap logon sey darkhuast hai key ek dafa aakhir tak zaroor perhiey ga.

 

 

Maqsad is topic per behas kerna nahi hai sirif maqsad ye hai key hum ney jo apney sawalat per jo behas ki hai us behas kerney ka eham maqsad thaw o ap key samney hazir hai.

 

 

Na humain apni jeet sey maqsad than a hi kisi ko neecha dekhana maqsad tha.

 

Ager doran-e-bat cheet kisi bhai ki dil aazari hoi hai to hum intehai maazrat chahtey hain.

 

 

Or admin bhai key bohat shukar guzar hain jinho ney humain is topic per baat kerney ka moqaa dia .

 

Admin bhai sey ek akhri guzarish hai ye post delet na kijiey ga.

 

Kio key ye post hum ney behas key liyain nahi ki sirif doston take k eham maqsad pohcha chahtey hain.

 

 

 

Nasir Noman

 

 

 

 

Ye to aap bhi jantey hain key Hazrat Adam Alhey Assalam sey jo silsila bani Adam ka shoro hua

 

To us waqat to koi mazhab na tha phir aaj itney sarey mazahib jo baney wo kesey baney ?

 

Koi to waja hogi mazahib ki bunyad perney ki,kio key sab humarey hi jesey log they jo humari tarha khatey they peetey they or sochtey they or Allah ko bhi mantey they koi na koi to waja hogi?kabhi ap ney socha key kia waja thi logon key gumrahi ki ?

 

 

Buut paraston key Mazhab key liyain kahtey hain key ek basti main Allah key ek Naik Bandey rehty they,jab un ki wafaat hoi to basti waley bohat udas hogaey key ye Buzrug ab humarey darmian nahi rahain gey,to Shaitan(Evil)basti walon key pass aaya or kaha key tum koi udas hotey ho main ek tareeqa batata hon jis sey tumarey Buzrug humesha tumhari nazaron key samney rahey gey,phir shaitan ney unhain Buut banana seekhaya or Buut ki shakal un buzrug sey milti julti kerdi,basti walon key liyain ek anokhi bat thi or un ka ghum halka hogaya unhon ney wo buut basti main ek jaga laga dia or phir aatey jatey us buut ko ehtaram sey dekhtey they,un key bachon ney dekha key humarey buzrug kesey is buut ka ehtaram kerty hain phir wo jab barey hoey to unhon ney us buut ka ziada ehtaram kia(Kio key un key baron ney aney bachon ko is ehtaram ki tafseel nahi samjhai)bas un key bachey ziada ehtaram kerty gaey or do teen nasalain guzar gain or kisi ney wazahat nahi ki buut key ehtaram ki her nasal apni pichli nasal sey ziada mohabbat kerti gai ot ek waqat aaya key wo log Allah ko bhool ker sab kuch us buut ko man chukey they.

 

(Tafseel lambi hai mager kam-o-besh issi tarha hi hai as)

 

 

Christen Mazhab ki bunyad bhi isi tarha milti julti hai waqat key sath Hazrat Essa (Alehey Assalam) key maney walon ney apni aaney wali naslon ko Hazrat Essa(Alehey Assalam)key ehkamaat ki sahi sey wazahat nahi ki,waqat guzurta raha new generation aati gai or bible (Anjeel)main tabdeelian aati gai ek waqat aaya key log Hazrat Essa(Alehey Assalam)ki taleemat bhooltey gaey or apney rastey khud sey banatey gaey or Mushrik hogaey,

 

Christen kia Hindu kia koi bhi kabhi bhi apney ap ko na kal ghalat samjhtey they or na aaj ghalat samjhtey hain,sab ye hi kehtey hain hum hi theek hain,mager Allah Taala ney Hazoor(Sallah-o-Alihey Wasallam)key zariey Quraan pak mian sari insaniat ko sahi or ghalat rastey ka batadia or jis ney nahi manna tha wo na kal mana or na aaj mana or na kabhi maney ga.

 

 

Bohat dehan sey sohiey ga key shaitan ka tareeqa-e-wardat kia hai wo kabhi bhi aaker ye nahi kahta key buuton ko Khuda mano ya Hazrat Essa(Alehey Assalam) ko Allah ka Beta mano(Maaz Allah)wo sirif itna kerta hai key muqaddas logon key ehtaram main izafa ker deta hai or phir tamasha dekhta hai,ek nasal jati hai dosri nasal aajati hai wo is ehtaram main izafa ker deti hai or kisi ko pata bhi nahi chalta key hum apney sirat-e-mustaqeem sey hat’tey ja rahey hain.kio key ager koi mana kerta hai key muqdas logon ki had sey ziada taazeem na karo to awwal to koi suntan hi nahi balkey wo us key dushman ban jatey hain key ye humarey muqadas logon ki shan mian gustakhi ker rhey hain ya ye log muqadas logon ko nahi mangtey?

 

Aap yaqinan samjh rahey hongey jo hum samjhana chah rahey hain.

 

Is ki beshumar missal hain ab jesey apki hi bat key “hum Allah key Hazoor Buzurgan-e-Deen ka waseela pesh kertey hain or Burugana-e-Deen sey koi nahi mantta”

 

Mager Aziz doston hum apko batatey hain key ek waqat main sab ye hi kehtey they mager aaj ap “Ya Rasool Allah Madad” “Ya Ghos Pak Madad”key alfaz apney aas pas sun saktey hain ,

 

 

1985 main bhi Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)manaya jata tha mager ap aaj logon ka “Main so jaon ya Mustafa kehtey kehtey –khuley aankh Salley Alla kahtey kehty”ki awaz per or new jazbey or walwaley key sath Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)ka jashan manatey aaj is nasal ko dekh saktey hain.

 

 

ye mohabbat aaj sey 20 saal pehley kion nahi thi?aaj Nabi-e-Pak(Sallah-o-Alihey Wassalam)key aashiq pichley zamano sey ziada hain?ager waqai ye Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sachey Ashiq hotey to aaj ka Musalman itna pershan nahi hota.

 

 

Kia ye nasalon ki zehan ki tabdeeli to nahi ?dehan sey sochain

 

 

Bachon key zehan ek sadey kaghaz ki tarha hotey hain jo bachpan ka perha hua sabaq kabhi nahi bhooltey or wo hi in bachon ki shakhsiat ki bunyad hoti hai phir aagey chal key us bunyad per hi un ki zindagi ki emaarat khhari hoti hai,

 

 

1985 main jin bachon ki age 10 saal thi or unhon ney jis sadgi sey Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)key jalsey jaloos dekhey or aaj apni 30 saal ki age main jo unhon ney taraqqi ki (Kio key un bachon key masoom zehan main jo aqeedat bethi wo aqeedat agey chal ker yaha tak ponchi jo ap key samney hai)

 

to ye shochain key jin bachon ki age aaj 10 saal hai or wo aaj jo Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sath apney baraon ki jo aqeedat aaj dekh rahy hain to issi taraqqi ki rafter sey aaney waley 20 saal bad kitni taraqqi ki manazil per pohanch chukey hongey?

 

or phir ye nasal jaha tak bhi pohnchey gi mager un ki aaney wali nasal wo sab dekh key kia hasil kerey gi?

 

 

Aap ye sab baton ko ye mat sochiey ga key ye khayalon ki batain hain,ap ek seedhi deewar banana chahain to yaqinan her step per aap us deewar ki seedhey rehney key liayin dehan dain gey mager aap jab bohat maamooli faraq key sath ek step main faraq ker detey hain to yaqinan us waqat to mehsoos nahi hoga mager yaad rakhiey wo maamooli faraq bhi 10 ya 20 step key bad us deewar ko teraha honey ka faraq pata chalna shoro hojaey ga.or wo hi maamooli maamooli faraq issi tarha ager kertey gaey to yaqinan ek waqat sirat-e-mustaqeem badal jaey ga.

 

 

Umeed hai tamam log humari batain samjh gaey hongey.

 

Hum ye nahi kehtey key khudana khuasta koi shirk ker raha hai ya.

 

Hum to wo ap sab ko taareekh key wo pages dekhana chahtey hain key kis tarha mukhtalif qoomain gumrah hoi ?

 

Wo konsi wajoohat thi jin sey mukhtalif mazahib wajood mian aaey?

 

Kio key wo bhi humari tarha hi Insan they,or kahin na kahin sey to gumrahi ki bunyadain qaaim hoi hongi?

 

hum apni Naslon ko wo taleem dain jo humarey Nabi-e-Pak(Sallah-o-alihey Wassalam)ney dain hain,or kam sey kam hum un baton ka khayal rakhian key sahi maayno main Nabi-e-Pak (Sallah-o-alihey Wassalam) or Buzurgan-e-Deen ki mohabbat or ehtaram utna hi karain jitna Allah ka Hukum hai.or apni naslon ko wazahat sey seekhain.

 

Allah Taala humain Amal ki tufeeq ata farmaey or humain sahi maayno mian Hazoor(Sallah-o-alihey Wassalam) key Ehkamat ko samjhney main humari madad farmaey.Ameen

 

Or A Allah ager hum sey likhney mian or samjhney mian koi Khata hoi ho to humain maaf farmaey. Ameen

 

Ek aakhiri derkhuasat key sath key apney zehan sey bilkul firqey ka naqab utar ker bohat dehan sey sochiey ga or apney zameer ko gawah bana ker aaj nahi ek haftey baad ya ek month baad ya ek saal baad ap humari batain zaroor sochiey ga.

 

Hosakta hai apko kuchh sachai nazar aajey

 

Or humara maqsad is topic per behas kerna nahi plssssssss jawabat nahi dijiey ga sirif sochiey ga,

 

 

Duaon ka talabgar

 

Nasir Noman

 

 

 

 

,

 

 

 

 

 

 

 

 

Edited by Nasir Noman
Link to comment
Share on other sites

Buhut Shukriya Nasir Noman Sahib... Aapka Topic Del Nhin Kiya Jaye Ga... Takey Aap Kisi Aur Jaga Per Ja Ker Yeh Na Keh Sakein Key IslamiMehfil Per Bhi Aapka Topic Delete Ker Diya Gaya.. Is Liye Key Unkey Pas Koi Jawab Nhin Tha...

 

Aapki Aakhri Post Bhi Perhi Hai... Lub-e-Lubaab Key Nabi (saw) Ki Tazeem Shirk Tak Pohnch Chuki Hai... Inna Lilahi Wa Inna Alehi Raje-on

 

Kiya Kaha Jaye... Riwayaat Aap Apni Soch Per Bayan Kertey Hain... Perhney Wala Khud Hawala Dhondta Phirey... Aur Jo Baat Aapkey Zehn Mein Beth Chuki Hai Aap Us Per Kisi Daleel ko Qabool Nhin Kerna Chahtey, Chahey Woh Quran-e-Kareem Hi Mein Kiyon Na Mojod Hoo... Aur Aapki Yeh Baat Key Sab Quran ka Hawala Pesh kertey Hain Tu Aapko Qadyani Ki Daleel Pesh Ker Di Gayi Hai Jis Per Aap Ney Koi Sahi Jawab Nhin Diya... Aap Daleel Ko Qabool Kertey Nhin.. Na Daleel Dena Chahtey Hain..

 

Phir Bhi Jo Yeh Topic Check Kerey Ga.. Us Key Liye Aapki Is Bey Daleel Shirkiya Fatwey Wali Post Ka Jawab Yahan Mojod Hai...

 

 

Is Topic Per Mazeed Waqayi Kisi Behs Ka Koi Faida Nhin... Beyshak Allah (azw) Hidayat Deney Wala Hai... Jis Ko Chahey Hidayat Dey Aur Jiskey Dil Per Chahey Mohr Ker Dey...

 

الھم ارنا الحق ورزقنا اتباعہ و ارناالباطل باطلا وارزقنا اجتنابہ

 

و صلی اللہ تعالیٰ علی خیر خلقہ سیدنا و مولانا محمد وآلہ و صحبہ اجمعین

 

والحمدللہ رب العالمین

Edited by Sag-e-Attar
Link to comment
Share on other sites

(salam)

Yeh Topic Close Ho Chuka Tha...Hamarey Mohtaram Member Khalil Ahmad Rana Sahib Ney Mujhey Iska Reply Bheja Hai.. Is Liye Unka Reply Yahan Post Ker Raha Hoon... Nasir Noman Sahib Aap Khalil Rana Sahib Ko Reply Kerein... Yeh Topic Sirf Isi Liye Open Kiya Gaya Hai...

 

text.jpg

1.jpg

2.jpg

3.jpg

4.jpg

5.jpg

6.jpg

7.jpg

8.jpg

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Yeh Topic Close Ho Chuka Tha...Hamarey Mohtaram Member Khalil Ahmad Rana Sahib Ney Mujhey Iska Reply Bheja Hai.. Is Liye Unka Reply Yahan Post Ker Raha Hoon... Nasir Noman Sahib Aap Khalil Rana Sahib Ko Reply Kerein... Yeh Topic Sirf Isi Liye Open Kiya Gaya Hai...

 

post-250-1212088402.jpg

 

Assalam-o-Alikum,

hum itefaq sey is site per dobara aaey they kio key ap ney thread hi close kerdi thi,

Sag-e-Attar bhai aap hi Rana sahib ko translate kerdijiey ga,hum urdu compose nahi ker saktey.

 

pehley to ap koshish kary Rana sahib ko ye bata dain jitni bhi baatin ab tak hoi hain takey ye poori tarha samjh sakey key hum jo samjhana chahtey hain.

 

bhai apka kehna hai key Eid Milad un Nabi Sallaho Liahey Wassalam poori dunia main manaya jata hai or sab apney saqafati tareeqey sey manatey hain to dost Islam key arakeen per poori dunia main ek hi tareeqey sey amal kia jata hai,

or hum ney kai dafa apni post main likha shayad ye bhai ya Sag-e-Attar bhai na perh sakey sari post apkey samney hai or ap dobara perh saktey hain key Hazoor Saalaho Alihey Wassalam key Seerat un Nabi Sallaho ALihey Wassalam dewbandi bhi kertey hain or public holyday bhi kia jata hai or Hazoor Saalaho Alihey Wassalm ki seerat-e-Mubaraka bhi bayan ki jatai hai mager Pakistan or India main jis josh o kharosh key sath hota hai wo kahin or nahi hota,

 

ap ki aasani key liyain dobara ye ek or misal dey rahy hain key shayad apki samjh main aajey:

 

jab Eid Ul Fitar jo poori dunia main manaya jata hai apko kisi ko batany ki zaroorat nahi perti key poori dunia main 10,000,000,000 musalman Eid ul Fitar mana rahy Hotey hain or TV or newspapar per pata chal jata hai key kon sey country main kis din Eid mani gai or kia taqreebat hoi to ye ager sari dunia main issi tarha hota jessa yaha hota hai to ye bhi aasani sey sari dunia ko pata chal jata.

 

Jesey cheriten ka chrismis day Hazrat Essa Alhey Assalam ka birthday manateyu hain to poori dunia ko taqreebat ka pata hota hai kisi ko batanay ki zaroorat nahi perti key kesey poori dunia main manaya jaraha hai.

shayad apko ab samjh aaya hoga key humara kia matlab hai.

or sawal ye nahi hai key Eid Milad Un Nabi Sallaho Alihey Wassalam kesey manana chahiey sawal ye hai key ye sarey Aqaid poori dunia mian kio nahi nazar atey ?

 

in aqaid ko Jab Quraan Pak or Ahadees Pak sey seekha hai to Arab main ye aqeedey aksaryat sey nazar aney chahiey ?

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

bhai apka kehna hai key Eid Milad un Nabi Sallaho Liahey Wassalam poori dunia main manaya jata hai or sab apney saqafati tareeqey sey manatey hain to dost Islam key arakeen per poori dunia main ek hi tareeqey sey amal kia jata hai

 

Pehlay tu yaha "arakeen" ki tashreeh kijiye phir agay ki baat kijiye ga.

 

Hazoor Saalaho Alihey Wassalam key Seerat un Nabi Sallaho ALihey Wassalam dewbandi bhi kertey hain or public holyday bhi kia jata hai or Hazoor Saalaho Alihey Wassalm ki seerat-e-Mubaraka bhi bayan ki jatai hai mager Pakistan or India main jis josh o kharosh key sath hota hai wo kahin or nahi hota,

 

Hazrat bohut ho chuka lafzo ka khail. Jis bhi josh-o-kharoosh se banaya jata hai woh sari dunya janti hai. Aap sab chooriye ye bataiye ke iss "josh-o-kharoosh" per aap ko shara'ee aiteraaz kya hai aur uss aiteraaz ki daleel kya hai.

 

jab Eid Ul Fitar jo poori dunia main manaya jata hai apko kisi ko batany ki zaroorat nahi perti key poori dunia main 10,000,000,000 musalman Eid ul Fitar mana rahy Hotey hain or TV or newspapar per pata chal jata hai key kon sey country main kis din Eid mani gai or kia taqreebat hoi to ye ager sari dunia main issi tarha hota jessa yaha hota hai to ye bhi aasani sey sari dunia ko pata chal jata.

 

Janab aap ki bay saro'pa misaal kya sabit karna chah rahi hai pata nahi. Magar itna bata do ke sari dunya mein jis tarah Eid-ul-Fitr waghaira manai jati hai issi tarah Eid-e-Milad-un-Nabi (saw) bhi manai jati hai aur ye bhi media per aa hi jata hai. Agar aap ye kehna chah rahay hain ke Eid-ul-Fitr ki tarah Eid-e-Milad-un-Nabi (saw) manaye janay ki tasheer nahi hoti, tu agar aap ki iss baat ko sahi maan bhi liya jaye tu iss mein Shara'ee masla kya hai?

 

Jesey cheriten ka chrismis day Hazrat Essa Alhey Assalam ka birthday manateyu hain to poori dunia ko taqreebat ka pata hota hai kisi ko batanay ki zaroorat nahi perti key kesey poori dunia main manaya jaraha hai.

 

Tu janab her isi tarah sari dunya ke musalman bhi jantay hain ke poori dunya mein Eid-e-Milad-un-Nabi (saw) manai jaa rahi hai. Rahi baat taqreebat ki, tu miya jee aap ne kabhi Pakistan ke media per ye khabar suni ya parhi hai ke Fala country ki fala city mein fala church mein Christmas Eve manai jaa rahi hai? Taqreebaat ka pata city level per hota hai na ke international level per. Pehlay baat kartay hain Eid ki, phir baat kartay hain eid ki taqreebat ki. Dono ka farq aap ko maloom hai ya mein batao?

 

 

shayad apko ab samjh aaya hoga key humara kia matlab hai.

or sawal ye nahi hai key Eid Milad Un Nabi Sallaho Alihey Wassalam kesey manana chahiey sawal ye hai key ye sarey Aqaid poori dunia mian kio nahi nazar atey ?

 

in aqaid ko Jab Quraan Pak or Ahadees Pak sey seekha hai to Arab main ye aqeedey aksaryat sey nazar aney chahiey ?

 

Mujhe aap ke walid-e-mohtaram aaj tak nazar nahi aye. Kya iss ka matlab hai aap la'wald hain? Aap ki soorat-e-haal ki wazahat ke liye sirf aik muhawara kaafi hai "Kunway ka maindak"

 

Rahi baat aqaid ki, tu miya aap ne bhi shayad Islam Quran-o-Hadith se hi seekha hoga. Tu jaldi se ab Quran-o-Hadith se daleel paish kijiye ke Arab jo kartay hain woh shariat hai aur jo nahi kartay woh shariat ke khilaf.

 

 

 

 

Ab aap ke liye kuch zaroori baatein, inhay aankhien aur dimaagh dono ko istimaal kartay howay parhiye ga.

Agli post tab kijiye ga jab Sagg-e-Attar bhai, Khalil Rana bhai aur meri post ke jawabat likhnay ki quwwat ho. Jis tarah sawal hain ussi tarah ke jawabaat dijiye ga, matlab ke seedhay se. Kissay kahaniya sunnay ka na aap ke paas waqt hai na humaray paas. Mazeed agar aap ne jawabaat diye baghair post ki tu majbooran na chahtay howay bhi humein aap ki rights zabt karne paray gay. Yaha aap mubahisa karna chahtay hain tu zaroor kijiye lekin qaiday qanoon ke saath, dalail ke saath. Ba'soorat deegar "Mein na mano ga" ki takraar ke liye ye jageh munasib nahi.

Link to comment
Share on other sites

Pehlay tu yaha "arakeen" ki tashreeh kijiye

 

Arakeen ki tasreeh:

 

bhai ek ek lafaz ghor ghor sey perhiey ga

 

Namaz sari dunia main ek hi tarha sey perhi jati hai

Zakat ka sari dunia main ek hi hisab sey di jati hai

Haj ek hi tareeqey sey kia jata hai

Roza ka ek hi tareeqa hota hai sab Muslamano key liyain

 

to ager ye Pakistan key Milad

or barey barey jaloos

or barey barey jalsey

or her jaga lagey jhundey

rang barangi lightain

or 12 rabi Awal key baad bhi Naat khuani ki mehfi(Raat Rat bhher sarey perosion ka kayal kiey bagher Loud speaker per Naat khuani

khhuley aam ladies key milad or wo bhi loud speaker per(12 rabi Awal per or us key baad bhi)( ye jantey hoey ladies ki Tilawat ki awaz ka bhi parda hai)

lakhon rupes kharach kerna ( ye jantey hoey key ek Hhadees Pak (Alah kami beshi maaf farmaey) Wazzoo key liyain bhi pani ka ziyaa Israf hai chahey behti neher hi kio na ho"

jab faraz (Wazzoo)ada kerney main pani jesi maamooli cheez bhi or wo bhi behti neher hi kio na ho jaha Pani ki itna ziada hota hai key jitna bhi kharach kary koi kami nahi aati. phir bhi Humarey piyarey Nabi Sallaho ALihey Wassalam key mutabiq zaroorat sey ziada kharach kerna fazool kharchi hai

to phir apkey Mutabiq Eid Milad un Nabi Sallaho ALihey Wassalam per ye Ikhrajat jo na Faraz hai na Sunnat hai or na Wajib hain ye drust hosaktey hian?

chahiey apkey pas kitna hi pesa kio na ho behti neher sey ziada to nahi?

ap khain gey key kisi birthday manatey hain to kharach to kerna perta hai to itni Azeem khushi per ye Ikhrajat main koi haraj nahi

Hazrat birthday jis ki manai jati hai uski khushi key mutabiq manai jati hai.

apni marzi sey nahi

apko nahi pata key HUmarey PIyarey Nabi Sallaho Alihey Wassalam ki baton per khushi farmatey they ?

kia ALlah Taala or Nabi Pak Sallaho ALihey Wassalam ko apni Ummat key Lakhaon Karoron rupey kharach kerta dekh ker khushi hoti hogi ?

jis ka ek % bhi faida kisi ghareeb ko nahi pohnchta ho ?

ager apko suchhi khushi hi manai hai to kia aap Nabi Pak Sallaho ALihey Wassalam kui khushi key mutabiq nahi maney gey key is hath sey kisi ko dey or dosrey hathh ko khabar nai ho ?

kia Allah Dilon ka haal nahi janta ?

ager apko 12 rabi Awwal ki khushi main ghareebon ki chupkey sey madad kery gey Hazoor Sallaho ALihey Wassalam ko is ki ziada khushi hogi ya jo tareeqey ap log ikhtayar kertey hain or lakhon karoron kharach kerkey manatey hain is tareeqey sey

 

ab bhi ek ek baat ka soch osch ker jawab dijiey ga ye nahi sawal kuchh or ho jawab kuch or dena shoro kerdian

 

ye to hua apkey lliyain Islami Arakeen ki wazahat

 

ab aap batain jab poori dunia main Namaz ka ek Tareeqa

Rozey ka ek Tareeqa

Hhaj Ka ek Tareeqa

Zakat ka ek Tareeqa

Eid ul fitar ka ek Tareeqa

Eid ul Azha ka ek Tareeqa

 

to apkey khayal main Eid Milad Nabi sallaho ALihey Wassalam ka ek Tareeqa nahi hona chahiey ?

Rana sahib nay likh key bohat sarey Muluk main Eid Milad Nabi sallaho ALihey Wassalam manay jata hai to humara sawal hai kia issi tareeqon sey manaya jata hai ?jesa ooper bayan kia hai ?

 

apkey dosrey Aqeedey(jin ko ap Islam ka hi Hissa samjhtey hain

 

or Mazarat per Urus

Qwwalian

mazarat per dhhmal

or jo kuch mazarat per hota hai matlab chadrein chherhana

manatain

muradain

lunger

ager ye bhi Islam ka hissa hain to poori dunia main nazar ana chaeiy

 

 

 

 

 

 

phir agay ki baat kijiye ga.[/b] Hazrat bohut ho chuka lafzo ka khail. Jis bhi josh-o-kharoosh se banaya jata hai woh sari dunya janti hai. Aap sab chooriye ye bataiye ke iss "josh-o-kharoosh" per aap ko shara'ee aiteraaz kya hai aur uss aiteraaz ki daleel kya hai.

 

jasho kharosh bata dia

 

[/b] [/b][/color][/size]Janab aap ki bay saro'pa misaal kya sabit karna chah rahi hai pata nahi. Magar itna bata do ke sari dunya mein jis tarah Eid-ul-Fitr waghaira manai jati hai issi tarah Eid-e-Milad-un-Nabi (saw) bhi manai jati hai aur ye bhi media per aa hi jata hai. Agar aap ye kehna chah rahay hain ke Eid-ul-Fitr ki tarah Eid-e-Milad-un-Nabi (saw) manaye janay ki tasheer nahi hoti, tu agar aap ki iss baat ko sahi maan bhi liya jaye tu iss mein Shara'ee masla kya hai?

 

ye hi humara jawab hai key poori dunia mian nahi manaya jata

 

shayad ap asal sawal bhool ker kahin or ki behas kerna chahtey hain kio key sawal ye hi hai key jo aqeedey barailvi Ulama ney seekhey wo kaha sey seekhey ?

Quraan Pak or Ahadees Pak sey hi seekhey

jab sari dunia key pas Quraan Pak ek Ahadees pak ek to kisi key samjhney main to ghalti hai?

Quraan Pak or Ahadees Pak ki zuban Arbi hai

or Barailvi Ulma ki zuban Urdu ya hindi

to barailvi Ulama ney pehley Arbi seekhi hogi phir hi Quraan Pak or AHadees Pak ka Tarjuma ya TAshreeh ki hogi

to ager barilvi Ulama key Aqeedey jo Arbi zuban seekh ker or phir Quraan Pak or AHdees Pak ka Tarjuma perh ker samjh ker jo aqeedey seekhey wo arab mainkio nai hain ?

kio key pehley to apni zuban main hi seekhna mushkil hota hai bohat sey ghhereloo jhhgrey sirif ghalat fehmi sey hi shoro hotey hain key kehney wala kuchh or chah raha hota hai or sunney wala kuchh or samjhta hai

jab apni zuban ko samjhneey main pershani hojati hai to dosri zuban kesey itni achhi seekh saktey hain or tarjuma ker saktey hain key ussi zuban key logon sey bhi essa ikhtelaf ho jesey zameen or aasman

ager barailvi Ulma ki Quraan Pak or Ahadees Pak ki tashreeh Arab Zuban walon sey bohatachi thi (Jo taqreeban na mumkin hai)to is ki taaeed arbi zuban waley kionahi kerety ?

or ager kertey hain to Arab main ye sarey Ikhtalafat kio nahi hotey ?

matlab ye key Arab walaon main sey kisi ko to samjh aai hogi barailvi Ulma ki tashreeh ?

Rana sahib farmatey hian key Suadia key Alawa Arab main ye Aqeedey hain ?

to kaha hain ?

or kon in Aqeedon par Barailvi Ulma ki tarha amal kerta hai ?

jesa key hum neyooper wazahat ki hai key kis tarha Pakistan main amal hota hai or kis tarha baqi poori dunia main amal hota hai?

 

kyuchh samjh aya ya abhi bhi nahi ???

mosoof ap to apney office main lageey they itni baat cheet hoi hai

ab apko is ka ilim nahi to hum per kio naraz hotey hian key hum lafzon ka khel khel rahhey hain ?

ab bhi samjh nahi aai to sawal key shoro main ek attachment hai usko tafseel sey perhiey ga phir samjhiey ga key kis ney kia jawab diey phir sawalat kijey ga.

 

 

ab pehley ap ye sari baat samjh ker jawab dain phir hum agla jawab dain gey

Link to comment
Share on other sites

bhai ek ek lafaz ghor ghor sey perhiey ga

 

Namaz sari dunia main ek hi tarha sey perhi jati hai

Zakat ka sari dunia main ek hi hisab sey di jati hai

Haj ek hi tareeqey sey kia jata hai

Roza ka ek hi tareeqa hota hai sab Muslamano key liyain

to ager ye Pakistan key Milad

or barey barey jaloos

or barey barey jalsey

or her jaga lagey jhundey

rang barangi lightain

Nasir per sahab aap bhi ek ek lafz ghor ghor se parhy or kaan khool khool kar suniye ga..

 

Uff re jahalat ki kis ka muwazna kis se karty ho...sawaal chana jawab gandoom

 

Tumny quote kiye islam ke 5 me se 4 sutoon jo farz hein..jabki dard hai aapko pait me Jashn e Milad-un-nabi par jisy hum farz wajib sunnat nahin kehty, balki mustahab amal kehty hain......aapko ilm hoga hi ki mustahab kisy kehty hain...Wo amal jo huzur (saw) ne na kiya ho par pasand farmaya ho...to janab jis amal ke mustahab hony ke liye huzur (saw) ka karna hujjat nahin ya phir sahab ikram (ra) ka karna hujjat naihn to apka humsy saudis wahabis se amal ya baqiya duniya se saboot pesh karny ki mang karna siwyae bewaqoofi ke kuch nahin...Bawajood isky apko hum arab or ajam ke mumalik me milad ke manany, juools nikalny ke saboot pesh karty hain ummed hai kuch aql thikany lagygi...or haan apni ankhein khol kar apky dada jaan ibn timiya ka fatwa zaroor parhiyega... aapko milad par takleef thi to pehly bol dete beja itna time waste kiya humara bhi...to parh lein zara ki milad arab mein manai jati thi ya nahin ya kese manai jati thi...or janab Nasir Per sahab ye juloos or milad manana un ikhtelaaf se hargiz nahin jo humary or apky darimiya usooli hain, hum milad na manany walo par taan nahin karty janab....humara or apka ikhltelaaf jin mozuaat par hai unpar to aapki tabiyat hi.....kher jany dein, aap post parh lein pehly.... :wub:(eid)

Siwaye Iblees ke Sabhi to Khushiya Mana Rahty thy..... (eid)

 

continued.....

page_nid35.gif

page_nid36.gif

page_nid43.gif

page_nid45.gif

page_nid46.gif

page_nid47.gif

page_nid48.gif

page_nid49.gif

page_nid50.gif

page_nid51.gif

page_nid52.gif

iblees.GIF

Link to comment
Share on other sites

or 12 rabi Awal key baad bhi Naat khuani ki mehfi(Raat Rat bhher sarey perosion ka kayal kiey bagher Loud speaker per Naat khuani

khhuley aam ladies key milad or wo bhi loud speaker per(12 rabi Awal per or us key baad bhi)( ye jantey hoey ladies ki Tilawat ki awaz ka bhi parda hai)

lakhon rupes kharach kerna ( ye jantey hoey key ek Hhadees Pak (Alah kami beshi maaf farmaey) Wazzoo key liyain bhi pani ka ziyaa Israf hai chahey behti neher hi kio na ho"

jab faraz (Wazzoo)ada kerney main pani jesi maamooli cheez bhi or wo bhi behti neher hi kio na ho jaha Pani ki itna ziada hota hai key jitna bhi kharach kary koi kami nahi aati. phir bhi Humarey piyarey Nabi Sallaho ALihey Wassalam key mutabiq zaroorat sey ziada kharach kerna fazool kharchi hai

to phir apkey Mutabiq Eid Milad un Nabi Sallaho ALihey Wassalam per ye Ikhrajat jo na Faraz hai na Sunnat hai or na Wajib hain ye drust hosaktey hian?

chahiey apkey pas kitna hi pesa kio na ho behti neher sey ziada to nahi?

ap khain gey key kisi birthday manatey hain to kharach to kerna perta hai to itni Azeem khushi per ye Ikhrajat main koi haraj nahi

Hazrat birthday jis ki manai jati hai uski khushi key mutabiq manai jati hai.

apni marzi sey nahi

apko nahi pata key HUmarey PIyarey Nabi Sallaho Alihey Wassalam ki baton per khushi farmatey they ?

kia ALlah Taala or Nabi Pak Sallaho ALihey Wassalam ko apni Ummat key Lakhaon Karoron rupey kharach kerta dekh ker khushi hoti hogi ?

jis ka ek % bhi faida kisi ghareeb ko nahi pohnchta ho ?

 

MILAD KE JULOOS KE LIYE AMEER E AHLE SUNNAT KE KUCH HIDYAYTEIN.....

FUZOOL AITRAAZ KE JAWABAAT AMEER E AHLE SUNNAT

OR

MUZAFFAR HUSAIN SAHAB SE SUNIYE

Aitraaz___chiraga_mat_karo_or_khirat_kar_do.rm

kya_kisi_sahabi_ne_milad_manaya.rm

Milad_ka_jawaz_quran_se__kya_sahaba_ne_Milad_Manya__Mmuzffar_Husain_Shah_Sahab.rm

scan0001.jpg

scan0002.jpg

scan0003.jpg

scan0004.jpg

scan0005.jpg

Link to comment
Share on other sites

NOMAN SAHIB PEHLI BAAT LAFZ ARAKEEN NAHI ARKAAN HAI RUKUN KI JAMAH,

 

APP NAY DAWAH KIA TAMAM DUNYA MAIN AIK HI TAREEKAH SAY NAMAZ PARHI JATI HAI. SABIT KARYE SAYE DUNYA MAIN AIK HI TARIQAH SAY NAMAZ PARHI JATI HAI.

 

JUB QURAN AIK, AHADEES SUB KAY AIK HI JESI, PHIR IKTILAAF KYOON ?.

 

ROOZA KAY RAKHNAY KA TIME OR GAROOB E AFTAB YA ROOZA KHOOLNA MAIN BHI IKLTILAAF. KYOON ?

 

APP KAY MUTABIQ MAWLID MANAY WALAY SIRF BRELVI HAIN.

 

ISS KA MATLAB IMAM SAKHAVI, IMAM JALAL UDDIN SAYOUTI SHAFAYE, IMAM IBN HAJAR AL-MAKKI, IMAM QASTALANI, IBN E TAMIA HAMBALI, IMAM NAVAVI KAY SHEIKH IMAM ABU SHAMA, MULLA ALI QADRI, IMAM NAZEERUDDIN, SHEIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DELVI, SHAH WALI ULLAH MUHADDIA DELVI, HAJI IMAM ULLAH MUHAJIR MAKKI, YE SARI AKABIR ULLAMA WA MUHADDISEEN SARAY KAY SARAY EID E MILAD UN NABI SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM MANANAY KI WAJAH SAY BARELVI KEHLAYE. ISS KA MATLAB YE HOA KAH APP KA DAWAH JHOOTA HOA KAH BRELVI ULLAMA MAIN SIRF URDU JANNAY WALAY HOTAY HAIN BALKAH IN AKABIR ULLAMA WA MUHADDISEEN KI KITABOON WA AMAL SAY YE SABIT HOA KAH BRELVI ULLAMA MAIN LANGUAGE LAY LIHAZ SAY ARABI BOLNAY WALAY BHI THAY JIN KA URDU SAY KOI TALLUQ NA THA. INHOON NAY BHI QURAN O HADEES KO SAHI NAHI SAMJAH BALKAH IBN TAMIYA BHI GALTI KAR GAYA ISS MASLA MAIN.

 

OR TO OR IBN ABDUL WAHAB NAJDI KA BETA ABDULLAH BIN MOHAMMAD BIN ABDUL WAHAB BHI APNI KITAB MUKHTASAR SEERAT NABWI SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM LIKHTAY HOYE JAB ABU LAHAB KA WAQIYA LIKHTA HAI, JO BHUKARI MAIN MOJOOD HAI USS KO BHI YE KEHNA PARHA KAH " JUB ABU LAHAB JIS KI MUKHALFAT MAIN QURAN MAIN AIK SURAT HAI JUB NABI SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KI PEDAISH KI KHUSHI MAIN GHULAM SOWABA KO AZAAD KARNAY PER HAR PEER KAY DIN USS KAY AZAAB MAIN TAKHFEEF HO JATI HAI, TO USS MUSALAM KO KITNAY ENAAM O IKRAAM MILAIN GAY JO NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KA MELAAD MANAYE GA.""

 

PHIR APP KA KEHNA JI JISS SAY ALLAH AZZAWAJAL OR USS KAY HABIB SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KHUSH HOTAY HOON WO KAAM KARNA CHAHIYE,

 

SAWAL YE HAY KEH APP KO KISS NAY BATAYA KAH WO KHUSH NAHI HOTAY ???

 

UPPER ABDULLAH BIN MOUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI KI KITAB KI EBARAT SAY TO SAAF SAAF ZAHIR HOTA HAI NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KA MAWLID MANANAY SAY ALLAH AZZAWAJAL KHUSH HOTA HAI, GHUSSAY OR NARAZGI MAIN TO KISI KAY AZAB MAIN TAKHFEEF NAHI HOTI, MAWLID PER ABU LALAB KHUSH HOA TO USS NAY APNI GHULAM KO AZAD KIA ALLAH AZZAWAJAL USS KAY ISS AMAL SAY KHUSH HOA TO USS KAY AZAB MAIN TAKHFEEF,

 

TO PATA CHALA EID MILAAD UN NABI SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM MANAY SAY ALLAH KHUSH HOTA HAI, OR JISS AMAL SAY ALLAH AZZAWAJAL KHUSH HOTA HAI TO ZAHIR HAI NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM BHI KHUSH HOTAY HAIN.

 

LAGTA HAI NAJDI KAY BETAY JO BHI ARABI SAHI NAHI AATI??

 

PEHLAY APP DAWAH KARTAY HAIN JI POORI DUNYA MAIN MANAYE JATI HAI YE SABIT KARO JUB SAHIT KAR DIA TO AIK NAYE MANTIQ YE FAZOOL KHARCHI JO HOTI HAI YE GAREEBOON KO DEENA CHAHIYE. MISAL BHI DI TO PANI KI. SAUDI NAJDIOON NAY ITNAY BARAY MEHAL BANAYE HOYE HAIN JIN MAIN SAL MAIN SIRF AIK DAFA AATAY HAIN YE NAJDI, YE FAZOOL KHARCHI NAHI, APP NAY WO AHDEES NAHI SUNNI DUNYA MAIN JISS KI MILKIAT MAIN ITNA BARA MAKAN HO JO ISS KI ZAROORAT SAY ZIYADA HAI TO BAROOZ E QAYAMAT USSAY WO ZIDAH MAKAAN KA HISSA YA POORA MAKAN APNAY KANDOON PER LAAD KER LANA HOGA.

 

YEHI PAISA KISI GAREEB KO DEEDETAY JO USS KAY BANANAY MAIN LAGA OR UB ISS KI TAZEEN O ARAISH PER LAGTA AARAHA HAI YE TAMAM PAISA KITNAY GAREEBOON KAY KAAM AATA, EID E MEELAD UN NABI SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM PER KHARCH HONAY WALA PAISA TO KUCH BHI NAHI UN MEHLAAT PER KHARCH HONAY WALAY PAISOON KAY MUKABLAH MAIN.

 

SAUDI ARAB MAIN HAR SAAL TAQSEEM E ASNAAD KI TAKREEB HOTI HAI, APP KO BHI MALOOM HOGA KITNI BARI HOTI HAI, APP KO NAHI LAGTA YE ASNAAD STUDENTS KO BAGAIR TAKREEB KAY BHI DI JASAKHTI HAI ZAROORI TO NAHI ITNA PAISA SIRF ASNAD TAKSEEM KARNAY MAIN LAGA DATAY HAIN, YE HI PAISA GAREBOON KAY KAAM AAJATA TO BEHTAR NAHI THA.

 

APP YE MASHWARA SAUDI ARAB OR SKHEIKH ABDUL REHMAN SUDAIS KO DAY SAKHTAY HAIN JI APP LOGOON KI WAJAH SAY BRELVI MUJAH SAY YE SAWAL KARTAY HAIN JI YE PAISA GAREBOON KAY LAGAYA JAYE TO BEHTAR NAHI HOGA ?

 

PHIR APP UN KA JAWAB BHI SUN LI JIYE GA JO UN KA JAWAB WO HAMARA JAWAB SAHI.

 

OR BOHAT SI MISALAIN DE SAKHTA HOON MAIN SIRF SAUDI NAJDIOON KI AYEYASIOON KI

 

ZARA SOOCHO MIYAAAAAN SAAB?

 

OR JAHAN TAK GAREEBIN KI MADAD KA TALLUQ HAI TO IN MAIN BHI BRELVI SUB SAY AAGAY HAIN, YAQEEN NAHI AATA TO BRELVIOON KAY TEHAD CHALNAY WALAY WELFARES KO HI JA KAR DEKHLO.

 

APP DALAIL SAY BAAT KARAIN. APP NAY UB TAK KISI SAWAL KA JAWAB NAHI DIA, SHROO SAY AKHIR TAK AIKHI MANTIQ KAHAN HAIN YE AQAID, JUB DEKHA DIA TO JI AYESA NAHI HONA CHAHIYE, ISS TARHAH HONA CHAHIYE.

Link to comment
Share on other sites

Arakeen ki tasreeh:

 

bhai ek ek lafaz ghor ghor sey perhiey ga

 

Namaz sari dunia main ek hi tarha sey perhi jati hai

Zakat ka sari dunia main ek hi hisab sey di jati hai

Haj ek hi tareeqey sey kia jata hai

Roza ka ek hi tareeqa hota hai sab Muslamano key liyain

 

Mein ne aap se "arakeen" ki tashreeh maangi thi (waisay sahi lafz "arkaan" hai) matlab ke "arakeen" kya hotay hain. Aap ne jawab mein 4 arkan-e-deen ki tafseel paish kar di ke aisay hotay hain aur waisay hotay hain. Janab mein ye nahi poocha ke "Arakeen" kis tarah pooray kiye jatay hain. Mera sawal aap se tha ke Islam mein "arkaan" kehtay kisay hain? So baray-e-mehrbani aainda post ko sirf parhiye ga matt, samajhiye ga bhi.

 

 

Aap ko abhi ye nahi maloom ke jin arakeen ki aap baat kar rahay hain unn ki noiyatt aur Milad mein kya farq hai. Namaz her aaqil baaligh per “FARZ” hai, Zakat her sahib-e-istita'at per FARZ hai, issi tarah Hajj aur Roza bhi. Ab zara jaldi se bataiye ke Milad ko kis ne Farz ya Wajib qaraar diya hai. Agar nahi diya tu phir inn ka comparison karne ki kya tukk banti hai?

 

Chaliye aap se jawab kisi mantaki jawab ki umeed mujhe pehlay hi na thi iss liye aap ke issi jawab ko dekh lete hain.

 

Namaz sari dunia mein aik hi tarha sey perhi jati hai

 

Humaray Indo-Pak aur deegar kuch Islami mumalik mein Azaan loudspeaker per hoti hai jab ke dunya ke kaee mumalik aisay bhi hain jaha Masajid mein Azaan loudspeakers per nahi hoti. Tu aap ki mantak ke mutabiq ye samjha jaye ke Indo-Pak aur deegar Islami mumalik ki Azaan alag hai aur deegar mumalik mein rehnay walay musalmano ki Azaan alag? Agar aisa nahi kahein gay tu kyu nahi kahein gay?

 

Zakat ka sari dunia main ek hi hisab sey di jati hai

 

Indo-Pak mein aksar-o-baishtar istiharaat nazar aatay hain ke "Apni Zakat fala trust ko dijiye" aur issi tarah ki appeal maqami musalmano se ki jati hai, jab ke dunya ke bohut se deegar mumalik mein aisa nahi hota. Tu aap ki mantak ke mutabiq Indo-Pak mein Zakat alag tareeqay se di jati hai aur deegar dunya ke musalam alag tareeqay se dete hain? Agar aisa nahi kahein gay tu kyu nahi kahein gay?

 

Haj ek hi tareeqey sey kia jata hai

 

Hajj ke ayyaam mein Indo-Pak mein kam-o-baish sari hi Travel Agencies Hajj ke packages offer karti hain. Baqi poori dunya mein aisa nahi hota. Hajj ke ayyam mein Qurbani bhi ki jati hai. Indo-Pak mein jis tarah Eid-ul-Adha ke liye mawaishiyo ki mandi lagti hai, jis dhoom dhaam se mawaishi khareed kar laye jatay hain, jis tarah sajawat ki jati hai, dunya ke kisi doosray mein aisa nahi hota. Mazeed ye ke Eid-ul-Adha ke din jis andaz mein Qurbani hoti hai, deegar mumalik mein waisay nahi hoti. Indo-Pak mein apnay gharo ke aas paas Qurbani hoti hai aur baqi baishtar mumalik mein Qasba'gaah mein jaa ke Qurbani ki jati hai. Ab aap ki mantak ke mutabiq Indo-Pak ke musalman jis tarah Eid-ul-Adha aur Qurbani kartay hain, baqi dunya ke musalman waisay nahi kartay. Agar aisa nahi kahein gay tu kyu nahi kahein gay?

 

Roza ka ek hi tareeqa hota hai sab Muslamano key liyain

 

Ramzan mein rooza jis andaz mein Indo-Pak aur deegar kuch Islami mumalik mein ihtimaam kiya jata hai waisa deegar bohut se mumalik mein nahi kiya jata. Indo-Pak mein jis tarah iftar per gehma'gehmi aur afra'tafri nazar aati hai waisi baqi mumalik mein nazar nahi aati. Jis andaz mein Indo-Pak aur deegar kuch Islami mumalik mein road per awaam ki iftari karwanay ka josh-o-kharoosh nazar ata hai uss ki misal deegar mumamlik mein nahi milti. Tu aap ki mantak ke mutabiq Indo-Pak mein musalman Ramzan alag andaz mien guzartay hain aur deegar dunya ke musalman alag andaz mein? Agar aisa nahi kahein gay tu kyu nahi kahein gay?

 

Ab mein ne aap hi ki be'tukki mantak ko samnay rakhtay tamam farq wazeh kar diya. Agar aap samajhtay hain ke aisa koi farq nahi hai tu uss ki daleel zaroor paish kijiye ga warna baghair daleel aap ki post kisi kaam ki na hogi.

 

 

to ager ye Pakistan key Milad

or barey barey jaloos

or barey barey jalsey

or her jaga lagey jhundey

rang barangi lightain

 

Aap agar "kunway ke maindak" hain tu iss mein humara kya kasoor janab? Aap ne Indo-Pak ko hi apni kainat banaya howa hai, deegar mumalik ki aap ko khabar nahi tu miya ye tu humari ghalti nahi na. Daleel paish karne mein aap ki hawaiya urr jaati hain magar phir bhi aiteraaz zaroor karna hai aap ko. Chaliye aaj aap ko dunya ki sair karwatay hain thori se. Khud apni aankho se dekh lijiye ke Milad kaha kaha, kis kis tarah manai jaati hai.

 

LONDON, March 21 (APP)- The Muslim community in the United Kingdom celebrated Eid Milad-un-Nabi with great enthusiasm and reverence on Friday paying rich tributes to Prophet Muhammad (PBUH) for his wisdom and sagacity and his message of brotherhood, peace and tolerance.

 

Seerat functions were held in different cities where Muslims live in significant numbers to mark the 12th Rabi-ul-Awal. It was a closed holiday in UK as the day coincided with Easter Good Friday. Religious processions and Mushairas were organised while ‘naats’ were recited by noted naat khawans.

 

A big gathering was held in Luton on the eastern outskirts of the British capital where a Central leader of the Jamaat Ahle Sunnat, UK and Europe, Qazi Abdul Aziz Chisti addressed the participants and urged them to spread the Holy Prophet’s (PBUH) message of humbleness, affection and forbearance.

 

In the British capital, processions were taken out in the East London localities of Ilford and Walthamstow Forest. The Mayor Walthamstow Liaquat Ali led the procession while the participants carried special Seerat banners. In the evening main mosque of the locality was illuminated.

 

Reports of similar celebrations were also received from Birmingham, Bradford, Leicester, Manchester and Glasgow where speakers paid rich tributes to the Holy Prophet (PBUH) for guiding the Muslims on the path to salvation from ignorance and injustice.

 

Source: http://www.app.com.pk/en_/index.php?option...93&Itemid=2

 

The Juloos (procession) in Tooting

 

....Thanks to a half-mile run after I abandoned the bus I almost reached the starting point of the Tooting Sunni Muslim Association's procession for Eid Milad-Un-Nabi as they started 'promptly' only around 20 minutes late.

 

The Juloos was to honour the birthday of the Prophet, and was part of an all-day community event which I attended last year, going into the celebrations inside the Tooting Leisure Centre and being very impressed by the whirling dervishes.

 

Source: http://buildingsoflondon.co.uk/diary/2008/04/apr.htm

 

March 22, 2008 - Paris, France

11ème Festival du Mawlid el-Nabawi, Musique et chants soufis

 

Source: http://www.razbar.com/en/events.html

 

Baqi ye 1 hi link check kar lijiye iss per aap ko Cyprus, Singapore, Germany, Holland, Hong Kong, Toronto, Morroco, UK, US waghaira ki Milad ke programs ki video mil jaye gi.

 

http://sweetmadinah.blogspot.com/2007/03/m...hi-wasalam.html

 

 

So aap ka ye kehna ke Milad jis tarah Indo-Pak mein manai jati waisay kahi aur nahi manai jati tu ye aap ke zehn ki iftiraa hai. Suchai sari dunya janti hai, aap ya tu iss liye jantay ke Pakistan se bahir nikalnay ka ittifaq nahi howa, ya phir aap apne kunway se bahir ki dunya dekhna hi nahi chahtay.

 

or 12 rabi Awal key baad bhi Naat khuani ki mehfi(Raat Rat bhher sarey perosion ka kayal kiey bagher Loud speaker per Naat khuani

 

khhuley aam ladies key milad or wo bhi loud speaker per(12 rabi Awal per or us key baad bhi)( ye jantey hoey ladies ki Tilawat ki awaz ka bhi parda hai)

 

Sari sari raat Pakistan mein baishtar jagho per Shadi ki taqareeb mein gana bajana hota hai. Aap pehlay tu ye bataiye ke iss zaman mein aap qalam uthaya hai kabhi? Agar nahi tu kyu? Ye mehez bay'ghairti aur Rasool (saw) se dushmani ka izhaar ke ganay bajanay ki mahafil per tu khamooshi lekin jaha baat Mehfil-e-Naat ki baat aiee tu uss ki tardeed ke liye forun uth kharya howay. Janab sacha musalman apne Aaqa (saw) sun ka soona pasand nahi karta, naat-e-Rasool (saw) se musalmaan ki neend kharab nahi howa karti. Ye tu woh ibleesi hotay hain jin ke kaan mein Naat-e-Rasool (saw) ki awaaz bhi chubti hai.

Aur rahi baat auratoo ki Naat-Khuwani ki, tu iss per humaray ulema ka mouqiff maloom kijiye pehlay phir baat kijiye ga. Private prduction houses ki releases ke zimay'daar Ahle'Sunnah wa al'Jamat per nahi hai.

 

lakhon rupes kharach kerna ( ye jantey hoey key ek Hhadees Pak (Alah kami beshi maaf farmaey) Wazzoo key liyain bhi pani ka ziyaa Israf hai chahey behti neher hi kio na ho"

jab faraz (Wazzoo)ada kerney main pani jesi maamooli cheez bhi or wo bhi behti neher hi kio na ho jaha Pani ki itna ziada hota hai key jitna bhi kharach kary koi kami nahi aati. phir bhi Humarey piyarey Nabi Sallaho ALihey Wassalam key mutabiq zaroorat sey ziada kharach kerna fazool kharchi hai

to phir apkey Mutabiq Eid Milad un Nabi Sallaho ALihey Wassalam per ye Ikhrajat jo na Faraz hai na Sunnat hai or na Wajib hain ye drust hosaktey hian?

chahiey apkey pas kitna hi pesa kio na ho behti neher sey ziada to nahi?

 

 

Wallah! Bay’ghairti ki intihaa hai. Pehlay tu ye bataiye ke Shaadi biyah per fuzool kharchay per aaj tak aap nay kisi bhi forum per, forum chooriye kisi bhi sitah per koi 1 lafz bhi likha hai tardeed mein? Agar haa tu bataiye kaha!

 

 

Hairat hoti hai aap jaiso ko dekh kar ke khud ko musalmaan kis munh se kehtay hain! Sari dunya ki fuzool kharchiyo ko choor kar aap nay tanqeed ke liye mouzo chuna bhi tu Milad ka! Shadi biyah ke kharchay, salgirah ke kharchay, ghar ko sajanay ke kharchay, bacho ki khuwahishaat per fuzool kharchay aur aisay hazaro masail hain jis per sari dunya fuzool kharch karti nazar aati hai magar uss per aap ne aaj tak kuch hai na likhein gay! Kya yehi ghairat-e-imaani hai aap ki?

 

 

Mein zyada kuch nahi likho ga ke aap ki Ilmi haisiyat ka mujhe ba’khoobi andaza hai. Sirf kuch hawalay de raha hon, aankhein khol kar parhiye ga aur phir agar Allah toufiq de tu apni ibleesi mantak per lanat bhaij kar toubah kijiye ga.

 

 

Encyclopedia of Islam ki publishing Punjab University, Lahore se howi jis tashkeel aur tarteeb mein sari dunya ke jayyed Ulema ne hissa liya.

 

Aaj tamaam Islami dunay mein Jashn-e-Eid-e-Milad-ul-Nabi mutafiqqa tour per manaya jata hai.

(Encyclopedia of Islam, vol. 21, pg. 824, published Punjab University, Lahore)

 

Ab mein aap ki baat suno ya authentic ulema ki baat suno? Aap ke paas tu apni baat ko sabit karne ke liye koi mantak bhi nahi.

 

Imam ibn Jawzi (Rehmatullahe Ta’la Allaihe) (ye barelwi nahi, thay, do google if you wanna know more) farmatay hain ke Syedda Aamna (Radi Allahu Anha) ne ba’waqt-e-wiladat aik hatif-e-ghaibi ki awaaz suni jo ye keh raha tha;

 

 

Her woh shaks jo Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ke ba’iss khush howa, uss ke liye Allah nay aag se mehfooz rehnay ke liye hijab aur dhaal banai. Jis ne Mustafa (Sallallahu Allaihe Wasallam) ka Milad mananay ke liye 1 darham kharch kiya, Nabi-e-Karim (Sallallahu Allaihe Wasallam) iss ke Shaf’ee aur Mushf’aa hongay aur Allah her darham ke badlay 10 guna aata farmaye ga.

(Mawlud-ul-Uroos, pg. 9, published Beirut)

 

Ibn Kathir (ye bhi barelwi nahi thay) farmatay hain;

 

al’Malik-ul-Muzaffar abu Saeed ko kabri sakhiyo, baray sardaaro aur ashaab-e-mujd badshaho mein say tha. Iss ke achay asaar thay. Rabi-ul-Awwal mein Milad manata tha aur pur’shikwah mehfil munaqqid karta tha. Woh zaheen, bahadur, na’darr, sahib-e-aqal aur aadil tha. Allah iss per rehm farmaye, woh Milad per 3 lakh kharch kiya karta tha.

(Al-Badaya Wan Nahaya, vol. 13, pg. 132)

 

Ibn-e-Kasir further writes in his books “Al-Badaya Wan Nahaya”, which is also reported by Zahabi in his “Sayr-o-Alam-el-Mubala” and Yousaf Salahi in his “Subal-ul-Huda-Wal-Arshad vol.1, page 362-63” that:

 

The family of Sultan Salah-ud-Din Ayubi (his brother in law Shah Abu Saeed Al-Muzafar) used to celebrate Milad by sacrificing 5000 goats and offering 100,000 plates of food to the participants. Hundreds of thousands of people used to gather there. Ulama / Mashaikh / Muhadasin used to make speeches. Mahfil-e-Sima and Mahfil-e-Naat were held and scholars from east to west used to attend it. Overall 300,000 gold dinars were spent on the event.

(Ibn-e-Kathir in Al-Badaya Wan Nahaya, vol. 9, pg. 18)

 

Ibn-e-Kathir appreciates their love for the Prophet (saw) and does not say that it was Israf. He rather says that the King used to wear cloths whose cost was not more than 5 dinnars. The king preferred to spend money on poor rather than spending on himself. But on the occasion of Milad-un-Nabi, he used to spend so heavily that many poor people used to establish themselves through that money.

 

Sheikhul Islam Allama ibn Hajr Makki (ye bhi barelwi nahi thay) narrated in his An Ne’matul Kubra;

 

Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) says, "Whosoever spends one dirham on the birthday (Moulood) of the Prophet (sall Allaho alaihi wasallam), he will be with me in Jannat."

 

Hazrat Sayyidina Uthman (radi Allahu anhu) says, "Whosoever has spent one dirham on the Birthday of the Prophet (Sall Allaho Alaihi Wa Sallam), it is as though He was present in Ghazwa-e-Badr and Hunain.

(An Ne’matul Kubra, pg. 7-8, published Istanbul-Turkey)

 

Jitnay references mein ne diye hain ye na’sirf Arab balkay aaj ke moujadah arab scholars inhay apna ustaad mantay hain. Inn mein se koi Barelwi nahi magar ye sab humaray aqeeday ki gawahi dete hain. Aap bataiye ke milad per aiteraaz karne walo ki list mein aap ke paas kitnay mutabirr naam hai?

 

ap khain gey key kisi birthday manatey hain to kharach to kerna perta hai to itni Azeem khushi per ye Ikhrajat main koi haraj nahi

Hazrat birthday jis ki manai jati hai uski khushi key mutabiq manai jati hai.

apni marzi sey nahi

 

Kya birbira rahay hain janab. Kisi 1 saal ke bachay ki birthday manai jati hai tu walidayn apnay hisab se manatay hain ya bachay se pooch kar manatay hain ke chootay miya batao kis mutabiq manaya jaye? Bay’sar-o-paa batein kar ke apna aur doosra ka waqt barbaad na karein janab.

 

apko nahi pata key HUmarey PIyarey Nabi Sallaho Alihey Wassalam ki baton per khushi farmatey they ?

kia ALlah Taala or Nabi Pak Sallaho ALihey Wassalam ko apni Ummat key Lakhaon Karoron rupey kharach kerta dekh ker khushi hoti hogi ?

jis ka ek % bhi faida kisi ghareeb ko nahi pohnchta ho ?

ager apko suchhi khushi hi manai hai to kia aap Nabi Pak Sallaho ALihey Wassalam kui khushi key mutabiq nahi maney gey key is hath sey kisi ko dey or dosrey hathh ko khabar nai ho ?

kia Allah Dilon ka haal nahi janta ?

ager apko 12 rabi Awwal ki khushi main ghareebon ki chupkey sey madad kery gey Hazoor Sallaho ALihey Wassalam ko is ki ziada khushi hogi ya jo tareeqey ap log ikhtayar kertey hain or lakhon karoron kharach kerkey manatey hain is tareeqey sey

 

Aap pehlay tu daleel paish kijiye ke Allah aur uss ke Rasool apni ummat ke Milad per kiye janay walay lakho, karooron ke kharchay per khush nahi hotay. Daleel dijiye, agar daleel nahi tu khamooshi ikhtiyaar kijiye.

 

Rahi baat “iss hath se deien aur doosray haath ko kharab na ho” tu miya jee Milad per jab niyaz ya langar bat raha hota hai tu koi advertisement tu nahi ho rahi hoti. Lene walay ko pata nahi hota dene wala kaun hai, dene walay ko nahi maloom hota ke lene wala kaun! Karachi ke juloos mein gaye hain kabhi? Kabhi aa kar apni aankho se dekh lijiye ga ka zyada’tar awaam mein saman chootay bachay baant rahay hotay hain. Naa unn ke haath mein apnay naam ka jhanda hota hai ke haa je mein fala ka beta hon aur mein niyaz baant raha hon na unn ki niyaz per kahi likha hota ke fala bin fala ki di howi niyaz hai. So aiteraaz woh kijiye jo situation per suit karta ho.

 

Ghareebo ki chupke se madad kaisay hoti hai ye bhi bata dijiye janab? Saudia mein aap ke chaheetay Arab ramzan mein tu khullay aam logo ko iftari karwatay hain. Unhay aap kyu nahi ke Arab jee, chupke chupke iftari karwao.

 

Aap jo baatien kar rahay hain woh namood-o-numaish per lago hoti hain jab ke Milad mein aisa kuch nahi hota. Jaha jaha niyaz hoti hai waha aa kar niyaz khanay walo ko maloom tak nahi hota ke kaun karwa raha hai niyaz.

 

ab bhi ek ek baat ka soch osch ker jawab dijiey ga ye nahi sawal kuchh or ho jawab kuch or dena shoro kerdian

ye to hua apkey lliyain Islami Arakeen ki wazahat

ab aap batain jab poori dunia main Namaz ka ek Tareeqa

Rozey ka ek Tareeqa

Hhaj Ka ek Tareeqa

Zakat ka ek Tareeqa

Eid ul fitar ka ek Tareeqa

Eid ul Azha ka ek Tareeqa

 

to apkey khayal main Eid Milad Nabi sallaho ALihey Wassalam ka ek Tareeqa nahi hona chahiey ?

Rana sahib nay likh key bohat sarey Muluk main Eid Milad Nabi sallaho ALihey Wassalam manay jata hai to humara sawal hai kia issi tareeqon sey manaya jata hai ?jesa ooper bayan kia hai ?

 

Namaz, Roza, Hajj, Zakat ka jawab peechay de chukka. Rahi baat Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ki, tu inn ke bhi tafseel peechay likh di sari dunya mein ye apnay apnay rehan sehan aur mulki halaat ke mutabiq kiye jatay hain. Eid-e-Milad-ul-Nabi sari dunya mein manai jati hai aur bilkul isi tarah manai jati hai jis tarah Indo-Pak mein. Saboot ke tour per kuch news aur videos mein post kar chuk aur bhi kaafi videos ka link iss topic mein moujod hai. Thori si zehmat kar ke unhay dekh lijiye aur phir baat kijiye.

 

 

apkey dosrey Aqeedey(jin ko ap Islam ka hi Hissa samjhtey hain

 

or Mazarat per Urus

Qwwalian

mazarat per dhhmal

or jo kuch mazarat per hota hai matlab chadrein chherhana

manatain

muradain

lunger

ager ye bhi Islam ka hissa hain to poori dunia main nazar ana chaeiy

 

Aap ko mera simple sa challenge. Agar aap mein 1% bhi ghairat hai tu sabit kijiye ke Ahle’Sunnat wa Jamat mein se koi bhi Milad “AQAID” mein shamil karta hai. Aap ki ilmi haisiyat ki bharpoor naqab’khushai kartay howay aap ne ye bhi sabit kar dya ke aap ko “Aqaid” aur “Aamaal” ya “Mamoolaat” ke darmyaan farq bhi nahi maloom.

 

 

Aulya-e-Allah ke Urs ko na hum farz kehtay hain na wajib. Hum kehtay hain ke ye karna Islam ki roo se jayaz hai, naa ke farz ya wajib. Jo karta hai acha karta hai, jo nahi karta uss per koi gunah nahi. Haa jo issay najayaz kehta hai woh zaroor gumrahi mein hai.

 

 

Qawwali per Ulema mein ikhtilaaf hai aur humaray Imam, Ala Hazrat Barelwi ke nazdeek Mahafil-e-Sama ghalat hain. Mazeed ye ke Qawwali ka talluq Aqaid se nahi.

 

 

Mazaraat per chaadarein charhana bhi “Aqeeday” ka hissa nahi, mustahib hai, jo karta hai theek hai jo nahi karta uss per koi gunah nahi. Aap ko agar ye ghalat lagta hai tu Quran-o-Hadith se daleel paish kijiye. Mazeed ye ke issi forum per Islamic Images ke section mein images dekh lijiye. Dunya ke mukhtalif mumalik ki ziyarato ki tasaweer mojoud hain jin mein Anbiya (Allaihe Salam), Ahl-e-Bayt, Ashaab-e-Kiram aur Aulya-e-Kiram ki quboor ki tasaweer moujoud hain aur unn sab per Chaadarein waghaira chahri howi hain. Haa albatta sari dunya mein aap ko Wahabiya ki quboor “marr gaya mardood, na fatiha na durood” ke misdaq banjar aur weeran hi milein gi. Iss ka talluq bhi Aqaid se nahi.

 

 

Mannat se aap wazahat kijiye ke kis kism ki mannatein? Ye bhi Aqaid mein se nahi.

 

Muradien? Allah hi janay ye kaun si Muradoo ki baatein kar rahay hain jo logo ko nazar aati hain. Murad ke maani hain khuwahish, aur muraadein tu her insaan ke dil mein hoti hain. Thora tafseel se likhiye kya kehna chah rahay hain. Inn ka bhi Aqaid se koi lena dena nahi.

 

Lungar, niyaz ka doosra naam hai. Indo-Pak mein ye istilah uss niyaz ke liye istimaal hoti hai jo awaam-un-naas ke liye khullay aam ho. Aur iss tarah ki niyaz sari dunya mein hoti hai. Indo-Pak mein lungar ke mouqay per jo dhakam dhakki hoti hai woh yaha ki awaam ki ghurbat aur bay’sabri ki nishaandahi karti hai. Iss ka bhi Aqaid se koi talluq nahi.

 

Mera mashwara ye hai ke aap pehlay Islam literature parhiye. Aap ko faraiz, wajibaat, aur mustahibaat ka farq nahi maloom aur aap iss tarah ke mubahisa karne ka shoq rakhtay hain. Faida kuch nahi bilwaja loog hansay gay aap per.

 

shayad ap asal sawal bhool ker kahin or ki behas kerna chahtey hain kio key sawal ye hi hai key jo aqeedey barailvi Ulama ney seekhey wo kaha sey seekhey ?

Quraan Pak or Ahadees Pak sey hi seekhey

jab sari dunia key pas Quraan Pak ek Ahadees pak ek to kisi key samjhney main to ghalti hai?

Quraan Pak or Ahadees Pak ki zuban Arbi hai

or Barailvi Ulma ki zuban Urdu ya hindi

to barailvi Ulama ney pehley Arbi seekhi hogi phir hi Quraan Pak or AHadees Pak ka Tarjuma ya TAshreeh ki hogi

to ager barilvi Ulama key Aqeedey jo Arbi zuban seekh ker or phir Quraan Pak or AHdees Pak ka Tarjuma perh ker samjh ker jo aqeedey seekhey wo arab mainkio nai hain ?

kio key pehley to apni zuban main hi seekhna mushkil hota hai bohat sey ghhereloo jhhgrey sirif ghalat fehmi sey hi shoro hotey hain key kehney wala kuchh or chah raha hota hai or sunney wala kuchh or samjhta hai

jab apni zuban ko samjhneey main pershani hojati hai to dosri zuban kesey itni achhi seekh saktey hain or tarjuma ker saktey hain key ussi zuban key logon sey bhi essa ikhtelaf ho jesey zameen or aasman

ager barailvi Ulma ki Quraan Pak or Ahadees Pak ki tashreeh Arab Zuban walon sey bohatachi thi (Jo taqreeban na mumkin hai)to is ki taaeed arbi zuban waley kionahi kerety ?

or ager kertey hain to Arab main ye sarey Ikhtalafat kio nahi hotey ?

matlab ye key Arab walaon main sey kisi ko to samjh aai hogi barailvi Ulma ki tashreeh ?

Rana sahib farmatey hian key Suadia key Alawa Arab main ye Aqeedey hain ?

to kaha hain ?

or kon in Aqeedon par Barailvi Ulma ki tarha amal kerta hai ?

jesa key hum neyooper wazahat ki hai key kis tarha Pakistan main amal hota hai or kis tarha baqi poori dunia main amal hota hai?

 

 

Be'shakk Quran-o-Hadith Arabi mein hai aur jo ke Arab bashindo ki madri zaban hai aur unhay ba'haisiyatt apni qoumi zaban ke, Arabi per hum se zyada uboor hai. Lekin jo mantak aap paish kar rahay hain woh samajh se bala'tar hai. Arabi hona be'shakk iss baat ki daleel ho sakti hai ke unhay Arabi non-Arabs se zyada achi samajh aa jaye. Lekin Quran-o-Hadith sirf kisi aik Arabi literature nahi. Aik mukammal deen hai. So Arabi hona iss baat ki daleel nahi ke jo Arabi hoga ussay Quran-o-Hadith ki taleemat bhi samajh aa jaye gi.

 

Abu Jahal bhi Arabi tha, Abu Lahb bhi Arabi tha, Yazeed bhi Arabi tha, Musaylma Kazzab bhi Arabi tha magar iss ke bawajood inn sab ki mout halat-e-kufr mein howi. Musaylma Kazzab bhi Arabi hi tha iss ke ba'wajood ussay Quran-o-Hadith ke aik basic baat samajh nahi aiee ke Huzoor ke baad koi Nabi nahi aye ga aur uss ne Nabuwwat ka jhoota dawa kiya. So kehnay ka maqsad ye ke Arabi hona hujjat nahi! Even aaj bhi Saudia mein Arab sharab bhi peetay hain, zina bhi kartay hain! Tu iss sab per bhi aap yehi kahein gay ke "Woh Arabi hai, unhay Quran-o-Hadith ki taleemat hum non-arabs se zyada achi tarah maloom hai iss liye woh jo kartay hain theek kartay hain."

 

Rahi baat hum Barelwis ki, tu pehlay tu ye samajhiye ke lafz Barelwi hai kya. Bareli ke rehnay walo ko Barelwi kaha jata hai. Humaray Imam Ahmed Raza Khan (Radi Allahu Ta'ala Ahu) Barlei se talluq rakhtay thay aur issi nisbat se Barelwi kehlaye. Humein ye naam Wahabiyo Najdiyo ne diya aur propganda ye kya ke Barelwi aik naya maslak hai. Jab ke humaray tamaam Ulema ka yehi qoul hai ke hum Maslakan Ahle'Sunnat wa Jamat hain aur nisbatan Barelwi. Nisbat bayan karna youn bhi zaroori ke Ahle'Sunnat ka label laga kar deegar Wahabi bhi awaam ko behkanay ke liye nikal paray, jaisa ke Deobandis. Jab ke maslak-e-Ahle'Sunnat wa Jamat ki taleemat jo Akabir Ulema se sabit hain unn se inn Wahabi Najdiyo ka koi lena dena hai, inn ke nazdeek ye sab Shirk-o-Kufr hai. So jis tarah market mein kisi asli product ke naam per jaali maal aa jaye tu asli product ke shanakht ke liye aik munfaridd nishani laga di jati hai iss tarah inn jaali Ahle'Sunnat wa Jamat ke dhookay se awaam ko bachaanay ke liye ye Nisbat istimaal ki gai.

 

Khair ye tu ho gai lafz "Barelwi" ki tafseel. Ab aiye humaray aqaid ki taraf. Aap samait tamaam wahabiyatt/deobandiyatt/ghair'muqallidiyat/moudodiyatt/shia'at aur deegar jitnay batil-o-mardood firqay hain unn sab ko humaray Ulema ka hamesha se challenge hai ke jis kisi ko humaray Aqaid per aiteraaz hai, aa kar Quran-o-Hadith aur Aqwaal-e-Aimma se sabit kar day apnay mouqif ko. Alhumdulillah humaray Aqaid Quran-o-Hadith aur Aqwal-e-Aimma se poori tarah sabit hain jis ki jhalkiyaa aap ko meri aur deegar bhaiyoo ki posts ke hawala'jaat mein nazar aa rahi hongi.

 

So ye kehna ke Quran-o-Hadith ki taleemat Barelwi ulema ko kaisay samajh aa gai aur Ulema-e-Arab ko kyu samajh na aasaki ye aap ki be'waqoofi ke siwa kuch nahi. Abhi tu aap ne dhang se guftugo ki hi nahi warna agar aap chahay tu aik alehda topic create kar ke agar sirf Milad-un-Nabi per hi aap ko Ulema-e-Arab ke hawalajaat dena shuru kar diye jaye tu parhtay parhtay aap ki aankhein dukh jaye gi!

 

Khair ye tu howi humari baat. Ab aap apna bataiye. Aap ke aiterazaat mein aap ke paas kya daleel hai? Quran-o-Hadith se aap ke paas kitnay hawala'jaat hain jo humaray Aqaid ko ghalat sabit kartay hain? Kitnay mustanadd aur ghair janib'daar Akabir Ulema hain jin se aap humaray Aqaid ko ghalat sabit kar saktay hain? Zyada nahi tu chand'aik hi paish kar dein. Filhaal tu soorat-e-haal ye hai ke hum tu saboot ke tour per sari dunya ba'shamool Saudia Arab mein munaqqid Mahafil-e-Milad ki video dikha rahay hain aur jawaban aap sirf itna keh rahay hain ke "Nahi janab, aisa nahi, sari dunya mein nahi manai jati". Na daleel na saboot!

 

Aap ki zaati raye ya statement ki auqaat hi kya jisay hum parhnay ki zehmat bhi karein? Aap Mujtahidd hain, Mufti hain, Muhaddith hain, Mudarris hain, aakhir hain kaun aap jo baghair daleel aap ki baat ko maan liya jaye?

 

Abhi aap ko Faraiz, Wajibaat aur mustahib cheezo mein farq nahi maloom aur aap yaha inn masail per gugtugo karna chahtay hain. Milad per baat kartay hain aur Milad aur Arkaan-e-Deen ke ma'bayn farq aap ki samajh nahi aya! Baray-e-karam waqt ka nahi sahi kuch apni izzat ka hi khayal kar lijiye. Iss tarah ki baatein kar ke kuch hasil nahi hoga sirf aap awaam mein apna tamasha banwaye gay.

 

 

Note: Aap ko pehlay bhi warning di gai ke pehlay mere aur deegar bhaiyo ke kiye gaye sawalaat ka ba'maa dalail-o-hawalajaat jawab dien iss apnay phir tamaam sawaloo ko nazar'adnaz kartay howay phir aik nai post dagh di. Jaisa ke mein pehlay hi aap ko bata chuka ke iss forum per ilmi guftugo karnay walo ka khair'maqdam kya jata hai lekin be'tukki aur hatt'darhmi ka muzahira kartay howay tu tu mein mein ki yaha koi gunjaish nahi. Aap ki paishgi ittila di jaati hai ke agar aap ki agli post mein humari janib se diye gaye tamaam sawalaat ka matlooba hawalajaat aur dalail ke saath jawan nahi howa tu aisi tamaam ainda posts ko baghair kisi paishgi ittilaa ke delete kar diya jaye ga. Umeed hai ke iss baar aap ta'awunn karien gay.

Edited by Sybarite
Post been deleted mistakenly and now been merged with an earlier post.
Link to comment
Share on other sites

Jinka Kawwa Safaid Hoo Usko Kabhi Kaala Sabit Nhin Kiya Ja Sakta... Kiyon Key Zagh e Maroofa Inkey Nazdeek Halal Hai... Agerchey Zagh-e-Maroofa Kala Hota Hai But Yeh Hazraat Ussey Kala Nhin Kehtey Hain. Aur Detail Mein Likhtey Hain Key Woh "Kayen Kayen" Nhin Balkey "Aq Aq" Kerta Hai... Safaid Rang Ka Hota Hai..

 

Koi Wahabi Jo Milad Ko Bidat wa Shirk Kehta Hoo Kam az Kam is Topic Ko Dekh Ker Jaan Ley Ga Key Kis Ney Daleel Di Hai Aur Koun Sirf Wohi Bat Baghair Daleel Bar Bar Ker Raha Hai...

 

Nasir Noman Ko Main Ney Kafi Bar Dawat Di Hai Key Aap Aik Topic Choose Lein Wahan Aik Topic Per Daleel Sey Bat Kertey Hain...

 

Mager Hazrat Na Topic Choose Kertey Hain... Na Inko Daleel Ka Pata Hai Keh Daleel Kiya Hoti Hai... Dunya Key Halaat Sey Bey Khabar...

 

Naamwar Aima-o-Muhadiseen (Arabi) Ko Barelavi Qarar Dey Chukey Hain...

Makka-e-Mukarama Key Mufti Sahib Ko Barelavi Qarar Dey Chukey Hain...

Pori Dunya Sey Hum Ney Barelavi Sabit Kiye Yeh Sirf Zubani Dawon Sey Ghar Bethey Pori Dunya Ko Wahabi Qarar Dey Chukey Hain..

Baghair Hawala wa Sannad Aahadees Ko Sahi Qarar Dey Chukey Hain..

Aur Sab Sey Berh Ker Janab Post Perhney Ki Zehmat Bhi Nhin Kertey...

 

Khalil Rana Sahib Ney Inko Makka-e-Mukarma Key Mufti Sahib Ki Book Pesh Ki.. Jisko Deobandiyon Ney Publish Kiya... Aur Suwal Pocha Key Us Mein Jo Topics Likhey Hain... Yeh Aqaid Barelviyon Key Hain Ya Wahabiyon Key... Mager Inka Jawab Perhein... (sa)

 

Ajeeb Hi Silsila Hai Is Topic Mein.. Start Sey Abhi Tak Nasir Noman Sey Suwal Gandam Aur Inka Jawab Channa...

Link to comment
Share on other sites

Nasir Noman sahab, baray afsoos ke saath kehna parr raha hai ke aap ki aaj ki gai 2 posts delete kar di gai hain. Wajeh ye ke 2 warnings milnay ke baad bhi aap ne hatt'dharmi ka muzahira kartay howay humaray sawalaat ke jawabaat aur matlooba dalail-o-hawalajaat diye baghair phir agay ki baatein shuru kardi. Aglay ko jawab diye baghair apni kahay jana ghair'mantaki si baat hai jis ki yaha iss forum per koi gunjaish nahi.

 

Aap ki posts humaray pass save hain as it is. Aap se aik baar phir guzarish hai ke guzishta posts mein aap se kiye gaye sawalaat aur mutalibaat ko poora kijiye aur phir agay posts kijiye. Umeed hai ke iss baar aap ta'awunn farmaye gay.

 

Shukriya!

Link to comment
Share on other sites

Assalam-o-Alikum,

 

 

Ap ney majboor kia key hum saboot pesh kery ab ye Quraan Pak ki Ayat ap key samney hain.

 

 

Ab yaha Barailvi Ulma ka ek aitraz samney ata hai key Mushrikeen ki liyain aai hoi Ayat ko Musalmano per lagana ghalat hai.

 

 

Quraan Pak Allah Taala ka Kalam hai.

 

Quraan Pak Hikmat wali Kitab hai.

 

Quraan Pak Qayamat tak key liyain aaney walon key liyain hain(yaani is 2008 key dor key liyain bhi hai)

 

Allah Taala jab Quraan Pak Nazil Farma raha tha to Allah Taala ye 2008 bhi dekh raha tha or jitney bhi saaal aney baqi hain Allah Taala ko un ki bhi khabar hai.

 

Quraan Pak rehnumai wali kitab hai (Jis main Qayamat tak key aaney waley Insano key liyain Rahnumai hai)

 

 

Abhi tak ap sab logon ka jawab ye hoga jesa hum bata rahy hain or kissi ko is sey Ikhtalaf nahi hoga .

 

 

Ager Quraan Pak Qayamat Tak key aaney waley Insaniat key liyain rahnumai hai to Allah Taala kio humain ye Ayat Quraan Pak main farmaraha hai key jo Mushrikeen key liyain jo Ayat Nazil farmai?

 

Kia ye Ayat humain sirif Quraan Pak perhney key liyain hi di gain hain ya Rehnumai key liyain ?

 

 

Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney apney akhiri Khutba-e-Haj main ye hi famaya tha(Allah Kami beshi Maaf farmey) key “Main tumharey darmian Quraan Pak or Ahadees Pak chhor key ja raha hoon is per amal karao gey to kamiab raho gey jab is ko chhor do gey to bhatak jao gey”

 

Or jab rehnumai key liyain Quraan Pak main Allah key ehkamat bataey jatey hain to ye kaha jata hai key ye to Mushreekeen key liyain hain or ap Musalmano per lagatey ho?

 

 

Kia Non Muslim aasman sey utertey hain ya unper pidaishi nishan hota hai key ye Mushrik hain or bilkul alag hain?

 

Kia Hazrat Adam Aliehy Assalam ka jo silsila bani Adam ka shoro hua to koi mazhab na tha to kia us waqat ki ummat Ehley Emaan nahi thi ?

 

Kia jab Hazrat Essa ALihey Assalam ki Ummat Hazrat Essa ALihey Assalam per Emaan ley aaey they to kia wo log bhi ehley Emaan nahi they ?

 

 

To sabit ye hua key Shaitan sirif Ehley Emaan ko hi gumrah karta hai jo Kafir hojatey hain un per waqat nahi lagata .issi liyain Allah Taala humain Quraan Pak main ye waqiaat humari rehnumai key liyain hi batata hai.

 

 

shaitan ney Qayamat tak Insaniat ko gumrah kerney ka Ehed(Wada) kia hai to wo pichhli umaton ko behkany ka baad aaram sey nahi betha balkey wo Qayamat tak apni aakhiri koshish kerta rahy ga.

 

 

Doston shaitan Ehley Eman ka Sirat-e-Mustaqeem essay hi nahi tabdeel karwata key ek hi din aaey or kahey key ye Buut Khuda hain or Emaan walon aaj sey in ki Ibadat karo?

 

Or na hi ek hi din aaker ye kahy ga key Emaan walon Hazrat Essa Alihey Assalam ko Allah key Beta mano(Maaz Allah) .

 

Apko itni si baat kio nahi samjh aarahi key ye batin to 10 saal ka bacha bhi shaitan ko bhaga dey ga key shirk-o-Kufur ki batain seekhata ho?

 

 

Gumrah kerney key liyain Shitan sirif Itna hi kerta hai key Muqadas Hastion ki Aqeedat main thora sa Izafa karana seekhata hai.

 

Jab Emaan walon ko is ki aadat hojati hai to is main Mazeed Izafa karana seekhata hai.

 

Kaai Naslain guzar jati hain or tab jaa ker shaitan apney maqasid main kamiab hota hai.

 

 

Or jab koi mana kerta hai key Aqeedat main Izafa na karo sirif Itni hi Aqeedat karo jitna Allah ka hukum hai to phir ye hi halat ban jatey hain key log us key dushman ban jatey hain key ye to Ghustakh hain, ye to Muqadas logon ko hi nahi mantey waghera waghera

 

 

Ab yaha logon ko tassali key liyain ek Hadees Pak ka Hawal dia jata hai key “Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Ka Faman hai key (Allah Kami Beshi Maaf farmey“Meri Ummat shirik nahi karsakti”

 

Kia Ab sari Ummat ko ko haq hai wo jo chahey karey ?

 

Hum Maaz Allah Hadees sey Inkar nahi karty mager Shia Hazrat key barey main ap logon ka kia khayal hai ?

 

Kia wo Toheen Sahaba key Alawa Shirik kerney key Murtakib nahi hian ?

 

ager Shia Hazrat bhi Shirik key Murtakib hain to wok is ki Ummat hain ?

 

jawab deyney sey pehley pls samjh lijiey ga or dosri post bhi pehiey ga phir jawab dijiey ga

 

Nasir Noman

post-1849-1212504109.gif

post-1849-1212504124.gif

post-1849-1212504141.gif

post-1849-1212504164.gif

post-1849-1212504180.gif

post-1849-1212504194.gif

post-1849-1212504207.gif

post-1849-1212504219.gif

post-1849-1212504233.gif

post-1849-1212504252.gif

post-1849-1212504272.gif

post-1849-1212504284.gif

post-1849-1212504295.gif

post-1849-1212504317.gif

post-1849-1212504330.gif

post-1849-1212504350.gif

post-1849-1212504368.gif

post-1849-1212504383.gif

post-1849-1212504393.gif

post-1849-1212504418.gif

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Neechey apkey taraf sey jawabat hain

 

or un ki wazahat ye hain

 

 

 

ab eh or Dalail dia jata hai jo bohat aam hai key Allah Taala kia kabhi (Maaz Allah)shirk ka hokum dey ga?

 

 

 

Is key liayin giney chuni sab Barailvi Ulma key pas Ayat hain wo ap key samney pesh hain.

 

 

 

Ager apka ye dalail hai to pls batain Allah Taala ney Iblees ko hukum dia Sajda karo Insan ko .

 

To Allah Taala to shirik ka hukum dey hi nahi sakta ?

 

Baat ye samhj aai ager Allah Taala kissi Khas moqey key liayin koi khas hukum deta hai to ye Allah Taala ki hikmat hai key uski kia waja hai?

 

Mager hum is tarha ki missal ko apni zindagi ka hissa nahi banaya jata.

 

Kio key ager koi ek khas waqia ager Quraan Pak main bayan hua hai to hum kia samjhain key ye humain pegham hai issi rastey per chalney key liayin ?

 

 

 

kio bhool jatey hain key jin Ayat ka hawala dey ker aap ek essa Aqeeda ko sabit karma chahtey hain (Jo Wazeh Hukum Bhi nahi Hai or ye bhi pata nahi key Allah ka in Ayat ko Nazil famatey hoey kia Moqa tha in Ayat key pas-e-Manzer kia hai or Tashreeh or tafseer kia hai) jo hosakta hia abhi to ap key liyain Aqeedat ho mager apki Naslon key liyain Ibadat ban jaey jesa key pichhli Ummaton key sath hua ?

 

 

 

ager merey Doston jo ap apna Aqeeda sabit kerna chahtey hain to ye to Islam ka ek bunyadi baat hai key humain madad key liyain ya Dua key liyain kis ko pukarna chahiey Allah Taala ko ya Allah Taala key Naik bandon ko ya Allah Taala key doston ko pukarna chahiey?

 

Masha Allah Allah Taala apko or Deen ki samjh ata farmaey hum to apkey samney key bachey hain kia aap log itni mamooli si bat nahi samjh saktey key Islam key itni eham or bunyadi baat key liyain kia Allah Taala key Ehkamat gher Wazeh hongey ?

 

Ager doston ye Aqeeda waqai Allah Taala key Ehkamat key Mutabiq hota to Allah Taala Quraan Pak main Wazeh Ehkamat fermata.

 

Namz main Drud Shareef perha jata haiA;;ah Taala Kami beshi Maaf farmaey) “Ya Allah Humarey piyarey Nabi Salaho Laihey Wassalam per Rehmatain or Barkatain Nazil farma.

 

Quraan Pak main jitni bhi dunain hian ap dekh saktey hain key her dua main hum Allah Taala sey hi Mukhatib hotey hian.

 

 

 

apko Quraan Pak ki Itni Wazeh Ayat nazer Nahi aati jin Main Aalh Taala Key Wazeh Ehkamat hain ?

 

 

 

issi liyain hi apna pehla sawal pesh kia tha key (Urdu ya Hindi bolney waley ko arbi zuban samjh ker Quraan Pak ka Tarjuma or Tashreeh samjhney main kitni mushkilat aasakti hian?

 

 

 

Ab pls Buzrugan-e-Deen key hawala jaat na pesh kijey ga kio key is ki hum wazahat pesh ker chukey hain key Dunia mian kisi likhi hoi book ko kesey tabdeel kia jaskta hai apney maqasid hasil kerney key liayin.

 

Is key liyain hum ney Shia Hazrat ki missal bhi pesh kit hi key Shia Hazrat apney Aqaid sabit kerney key liyain bohat sey essay Muqadas Hastion key hawala jaat opesh kertey hain jo Ehlley Sunnat key liyain bhi intehai Qabil-e-Ehtaram hotey hain.

 

Phir to humain Shia Hazrat key Aqaid ko bhi Qabool perna peryga.

 

Sirif Quraan Pak hi Essi Book hai jo Qayamat tak ek Lafaz kia zer zabar bhi tabdeel nahi kia jasakta.

 

 

 

ab pls admin bhai apko jawabat mil gey ab humari dono post bhi add ker dijiey ga

 

Nasir Noman

 

 

 

 

 

 

 

 

 

post-1849-1212504647.gif

Edited by Nasir Noman
Link to comment
Share on other sites

Nasir Noman Sahib..

 

Aap Madad Aur Pukarney Per Bat Kerna Chahtey Hain? Ya Milad Per? Ya Giyarhveen Per Ya Esal Per? Ya Kis Topic Per?

 

Pichley 3 Suwalon Key Jawab Abhi Tak Nhin Miley.. Aur 4th Suwal Yeh Hai Key

 

4. Aap Post Perhey Baghair Reply Kiyon Kertey Hain?

 

Aub Pehley Madad Per Bat Hogi.. Nasir Noman Sahib Aub Is Madad Waley Topic Sey Bhagye Ga Mat.. Ager Is Topic Sey Hat Ker Aapki Koi Post Aayi tu Woh Delete Ker Di Jaye Gi...

 

Kiyon Key Hum Ghair Ullah Sey Madad Mangtey Hain Tu Aap Key Nazdeek Yeh Shirk Hai Tu Aapko Dikhayen Gey Key Wahabiya Ka Yeh Fatwa Kis Kis Ko Mushrik Kerta Hai Aur Kiya Khud Wahabi Najdi Deobandi Bhi Is Sey Bachtey Hain Ya Nhin...

 

Pichley 3 Suwalon Key Jawab Mujhey Pata Hai Aap Kabhi Nhin Dey Saktey... Is Liye Abhi Madad Per Bat Hogi...

Link to comment
Share on other sites

Is Topic Per Mera Pehla Aur Aasan Sa Suwal Hai.. Koi Lambi Chori Detail Likhney ki Zarorat Nhin Hai...

 

Aap Ney Likha Key Allah Key Siwa Jinhein Tum Pukartey Hoo... Start Key Kafi Aayat Mein Yahi Zikr Hai...

 

Q. Allah Key Siwa Matlab Ghair Ullah.. Aap Ghair Ullah Ki Tareef Batain.. Ghair Ullah Kisey Kehtey Hain?

Link to comment
Share on other sites

POST KO GHOOR SAY SAMJH KAR PARHAIN. APNI POST KO ZAHAN MAIN RAKHAIN KAH APP NAY KYA POST KIA THA OR IN KA RADD KI KIA HAI.

 

NOMAN SAHIB APP POST KARNAY SAY PEHLAY KAHEEN LIKH LIA KARAIN. KYOON KAH APP KI POST MAIN MUTAZAAD BATAIN AATI HAIN.

 

Allah Taala jab Quraan Pak Nazil Farma raha tha to Allah Taala ye 2008 bhi dekh raha tha or jitney bhi saaal aney baqi hain Allah Taala ko un ki bhi khabar hai.

 

Quraan Pak rehnumai wali kitab hai (Jis main Qayamat tak key aaney waley Insano key liyain Rahnumai hai)

 

Abhi tak ap sab logon ka jawab ye hoga jesa hum bata rahy hain or kissi ko is sey Ikhtalaf nahi hoga .

 

Ager Quraan Pak Qayamat Tak key aaney waley Insaniat key liyain rahnumai hai to Allah Taala kio humain ye Ayat Quraan Pak main farmaraha hai key jo Mushrikeen key liyain jo Ayat Nazil farmai?

 

Kia ye Ayat humain sirif Quraan Pak perhney key liyain hi di gain hain ya Rehnumai key liyain ?

 

Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney apney akhiri Khutba-e-Haj main ye hi famaya tha(Allah Kami beshi Maaf farmey) key “Main tumharey darmian Quraan Pak or Ahadees Pak chhor key ja raha hoon is per amal karao gey to kamiab raho gey jab is ko chhor do gey to bhatak jao gey”

 

Or jab rehnumai key liyain Quraan Pak main Allah key ehkamat bataey jatey hain to ye kaha jata hai key ye to Mushreekeen key liyain hain or ap Musalmano per lagatey ho?

 

YE APP HI KA KAHNA HAI KEH JI BRELVI PER KOI AYAT PAISH KI JAYE TO APP LOOG YE KEHTAY HAIN JI MUSHRIQEEN PER NAZIL HONAY WALI AYAT APP MUSALMANOON PER CHASPA KARTAY HAIN.

 

DOOSRI TARAF APP HAMAIN YE SAMJHTAY HAIN KAH JI QURAN MAIN AYAAT KA SHAN E NAZOOL PERHO, KYON NAZIL HOYE KISS PER NAZIL.

 

 

kio bhool jatey hain key jin Ayat ka hawala dey ker aap ek essa Aqeeda ko sabit karma chahtey hain (Jo Wazeh Hukum Bhi nahi Hai or ye bhi pata nahi key Allah ka in Ayat ko Nazil famatey hoey kia Moqa tha in Ayat key pas-e-Manzer kia hai or Tashreeh or tafseer kia hai) jo hosakta hia abhi to ap key liyain Aqeedat ho mager apki Naslon key liyain Ibadat ban jaey jesa key pichhli Ummaton key sath hua ?

 

APP KANFOOZ KYON HAIN. JUB HUM KEHTAY HAIN KAH JI YE AYAAT MUSHRIKEEN KAY LIA NAZIL HOYE HAIN TO APP KO SAMJH NAHI AATI, JUB APNI BARI AATI HAI TO JI ISS KA MAFHOOM WAZEH NAHI, KISS MOQA PER NAZIL HOYE, KYON NAZIL HOYE TAFSEER KYA HAI.

 

NOMAN SAHIB JUB AYAAT PAISH PARTAY HAIN TO ZARA ISS KI TAFSEER BHI PARH LIA KARO.

 

MUSHRIKEEN KAY LIA NAZIL HONAY WALI AYAAT MUSALMANOON PER APP PEHLI BAAR CHASPA NAHI KAR KARAY, OR NA APP PEHLAY ADMI HAIN JIN KO HUM YE KEH RAHAY HAIN KAH JI MUSHRIKEEN KI AYAAT MUSLAMANOON PER KYON CHASPA KARTAY HO.

 

و کان ابن عمر رضی اللہ تعالی عنہ یراھم شرار خلق اللہ و قال انھم انطلقوا الی ایات نزلت فی الکفار فجعلوھا علی المومنین ـ

 

اور حضرت ابن عمر رضی اللہ تعالی عنہ خوارج کو بدترین مخلوق جانتے تھے اور فرمایا کہ یہ لوگ ان آیتوں کو جو کفار کے بارے میں نازل ہوئی ہیں مسلمانوں پر ڈھالنے لگے ـ

 

( بخاری شریف ، جلد دوم ، باب قتال الخوارج )

 

 

JO YE KAHAY, JO HAZRAT ABDULLAH IBN UMER RADI ALLAH ANHU NAY KAHA APP NAY USSAY BRELVI KAHA HAI , ISS KA MATLAB HAZRAT ABDULLAH IBN UMER BHI BRELVI THAY, ISSI TARHAH HAZRAT ABDULLAH IBN ABBAS , HAZRAT ABU HURAIRA , HAZRAT JABIR, HAZRAT ANUS BIN MALIK OR HAZRAT AQBA BIN AMIR (RADI ALLAH ANHUM) YE SUB BHI BRELVI HOYE,

 

KYON KEH YE SUB APNAY BAAD WALI NASLOON KO YE WASIAT KARTAY THAY KAH KHARJIOON KO SALAM NA KARNA, NA IN KI EYADAT KARNAY KAY JAYEEN, NA IN KAY PEECHAY NAMAZ PARHAIN OR NA IN KAY JANAZAH KI NAMAZ PARHAIN.

 

KYA BRELVIYOON KI TARHAH IN HAZRAAT E SAHABA RADI ALLAH ANHUM KO BHI NAHI MALOOM KAH QURAN TA QAYAMAT TAMAM MAKHLOOQ KAY LIA HIDAYAT KAY LIA NAZIL HOA HAI.

 

DEBATE TO SHROO KAR CHUKA HAIN BUS APP SAY AIK GHUZARISH HAI KAH, AIK TOPIC PER PEHLAY BAAT KARAIN.

 

DOOSRA SHRIK KI TAREEF LIKHAIN ?

 

TEESRA JUB KOI AYAT YA HADEES CODE KARAIN TO USS KA POORA ALFAAZ KITAB SAY CODE KARAIN REFERENCE KAY SATH, HUM DOOSRA APP KI POST MAIN YE NA DEKHAIN ( ALLAH KAMI PESSI MUAF KARAY)

 

FOURTH JO BHI AYAT PAISH KARAIN USS KI TAFSEER JO MUTAFIQ ALIAH HO WO BHI PAISH KARAIN.

 

UMEED HAI KAH APP AIK TOPIC PER BAAT KARAIN GAY OR DOOBARA UPPER WALI GALTI PHIR NA DOOHRAYEEN GAY JISS KI HUM NAY NISHAN DAYHI KARI HAI.

Link to comment
Share on other sites

Is Topic Per Mera Pehla Aur Aasan Sa Suwal Hai.. Koi Lambi Chori Detail Likhney ki Zarorat Nhin Hai...

 

Aap Ney Likha Key Allah Key Siwa Jinhein Tum Pukartey Hoo... Start Key Kafi Aayat Mein Yahi Zikr Hai...

 

Q. Allah Key Siwa Matlab Ghair Ullah.. Aap Ghair Ullah Ki Tareef Batain.. Ghair Ullah Kisey Kehtey Hain?

 

 

Assalam-o-ALikum,

 

 

Ap pehley to ek guzarish hai key apsab logon ko kahin key sarey ek sath jawab na dain kio key ap sarey jab ek sath jawab deytey hain to kisi ko jawab milta hia koi reh jata hai.

 

Phir apka ye shikwa reh jata hia key hum jawab nahi dey rehy.

 

Jis bhai key pas koi aitraz ho wo apko likhey PM main ya ager yaha bhi post kary to hum sirif apki post key jawabat dain gey ager apko kisi bhai ka dalil wazni lagey to ap khud post ker saktey hian or hum jawab deyney ki kohish kary gey.

 

 

Ap ko yaqinan koi aitraz nahi hoga.

 

 

Jab ap ney khud kehdia Gher Allah to phir is ki tareef ki zaroorat nahi rahti.

 

Wesey asan alfaz main ap ye samjhain Allah Taala key Naik Bandon ko pukarna jo dunia sey ja chukey hain.

 

 

Jawabat deney sey pehley sari post ko achhi tarha perh zaror lain humain bar bar apni likhi hoi baat ka hawala na dena perey shukria

Link to comment
Share on other sites

Jab ap ney khud kehdia Gher Allah to phir is ki tareef ki zaroorat nahi rahti.

 

Wesey asan alfaz main ap ye samjhain Allah Taala key Naik Bandon ko pukarna jo dunia sey ja chukey hain.

 

Jo Dunya Sey Nhin Gaye Yani Zindah Hain Woh Ghair Ullah Main Shamil Hain Ya Nhin?

 

Aur Naik Key Ilawah Jo Gunahgar Bandey Is Dunya Sey Chaley Gaye Woh Bhi Ghair Ullah Mein Shamil Hain Ya Nhin?

Link to comment
Share on other sites

kio key Log ye samjhtey hain key Allah key Naik Bandey hi kio key Allah Taala ki taraf sey namzad hain is liyain Naik Bandey madad kersakty hian or gunah gar bandon sey to koi madad nahi mangey ga.

 

jo zinda hain to ye Allah Taala ka hukum hai ek dosrey ka Khayal Rakhna borhon ki khidmat kerna ,kamzoron key kaam ana,zaroorat mand ki zarooraton ka khayal rakhana kisi key kaam aana or unkey haqooq ka khayal kerna huqooq ul Ibad main sey hain jis ka Allah Taala or Hazoor Sallaho ALihey Wassalam key Wazeh ehkamat hain.

 

Nasir Noman

Link to comment
Share on other sites

Naisr Noman Sahib Aap Baat Ko Phair Gaye Hain.. Main Ney Buhut Simple Question Kiye Hain....

 

Abhi Tu Main Ney Koi Daleel Nhin Di.. Aap Ghair Ullah Ki Tareef Batain? Main Ney Yeh Suwal Pocha.. Aap Ney Jawaban Kaha Key Naik Bandey... Pas Baqi Sab Zindah Aur Gunahgar Murdah ALLAH Hain? (Naoz Billah)

 

Aap Ney Likha Jinko Allah Key Siwa Pukartey Hain...

 

Is Mein Sey Aik Lafz Dikha Dein Ya Kisi Tafseer ya Hadees Sey Hawala Dein Key Aapki Pesh Ki Jis Mein Kaha Gaya Hoo Key Allah Key Ilawah Pukarney Waley Sey Murad Naik Fout Shuda Hain.. Ager Aap Nhin Dikha Saktey Tu Yeh Aayat Kul Per Lagoo Hogi Baqaul Aapki Daleel Aur Tarjama Key..

 

Aur Lafz Hai Ghair Ullah Sey Madad Shirk... Tu Bhayi Aap Seedhi Terha Kiyon Nhin Kehtey Fout Shuda Sey Madad Shirk.. Aur Aapki Baat Sey Sabit Howa Key Wahabi Bhi Ghair Ullah (Zinda Afraad) Sey Madad Mangtey Hain.. Aur Apney Fatwey Ki Roo Sey Mushrik Thertey Hain..

 

Abhi Meri Post Ko Aaram Sey Perhye Ga Aur Phir Reply Kejiye Ga.. Aur Jo Aap Ney Naik Fout Shuda Ki Tareef Bayan Ki Hai Apni Pesh Kerdah Aayat Ko Is Tareef Per Sabit Kerein..

Link to comment
Share on other sites

Naisr Noman Sahib Aap Baat Ko Phair Gaye Hain.. Main Ney Buhut Simple Question Kiye Hain....

 

Abhi Tu Main Ney Koi Daleel Nhin Di.. Aap Ghair Ullah Ki Tareef Batain? Main Ney Yeh Suwal Pocha.. Aap Ney Jawaban Kaha Key Naik Bandey... Pas Baqi Sab Zindah Aur Gunahgar Murdah ALLAH Hain? (Naoz Billah)

 

ager dost ap ko samjh itni kamzor hai to is main humara kia qasoor hai ?

kia bach bach nahi janta key Allah Taal wahdaho Lashareeka Lahoo hai

 

jab koi Insan kisi essey insan sey madad mangta hai jo zinda na ho to kia wo gunah gar bandey sey bhi madad magey ga jo dunai main na ho off course gunah gar banda bhi Gher Allah hai.

jab koi zinda sey madaad mangta hai or koi madad karta hai to ye Haqooq Ul Ibad hain jis key Wazeh Ehkamat hai (Off course Gher Allah hain)

 

Pukara kis ko jata hai jo samney ho ya jo mojood na ho ?

 

 

 

Aap Ney Likha Jinko Allah Key Siwa Pukartey Hain...

 

hum jawabat essey dey rahy hain jo kisi perhey likhey ko diey jatey hain key ek lafaz ki wazahat nahi ki jati balkey perha likha Insan maqsad khud hi samjh jata hai

kisi chhotey sey bachey ko lafaz ba lafaz samjhya jata hai.

 

 

Is Mein Sey Aik Lafz Dikha Dein Ya Kisi Tafseer ya Hadees Sey Hawala Dein Key Aapki Pesh Ki Jis Mein Kaha Gaya Hoo Key Allah Key Ilawah Pukarney Waley Sey Murad Naik Fout Shuda Hain.. Ager Aap Nhin Dikha Saktey Tu Yeh Aayat Kul Per Lagoo Hogi Baqaul Aapki Daleel Aur Tarjama Key..

 

Aur Lafz Hai Ghair Ullah Sey Madad Shirk... Tu Bhayi Aap Seedhi Terha Kiyon Nhin Kehtey Fout Shuda Sey Madad Shirk.. Aur Aapki Baat Sey Sabit Howa Key Wahabi Bhi Ghair Ullah (Zinda Afraad) Sey Madad Mangtey Hain.. Aur Apney Fatwey Ki Roo Sey Mushrik Thertey Hain..

 

page no 872 wali Ayat perhain :

 

Allah Taala Farmata hai "A Nabi in sey kaho kabhi tum ney socha key ye jinhain tum pukartey ho Allah key siwa mujhey dikhao kia peda kia hai inhon ney zameen main ya hai in ki koi shirkat aasmano(ki takhleeq or tadbeer main) lao merey pas koi kitab jo aai ho is sey pehley ya koi Ilmi riwayat(batoor Saboot)ager tum sachey ho"

bohat dehan sey perhiey ga koi key ap ghalat matlab lley jatey hain

kia farma raha hai Allah Taala?

 

Allah Taala farmata hai key jo log Allah key siwa kisi dosrey ko pukartey hain to Allah Taala Saboot mangta hai key "Jin ko pukara ja raha hai unhon ney kia peda kia hai zameen -o aasman main ya in ki koi shirkat hai Takhleeq o Tadbeer main?

 

Allah Taala saboot magta hai key jo log Allah key siwa kisi ko pukartey hain(yaha ek to ye sabit hua key jin ko pukara jaraha hai wo log mojood nahi hain apney zehan main rakhiey ga ye baat)

to ager ap kehtey hain key jin ko aap pukartey hian to ap key pas hain ye Saboot jo Allah Taala mangta hai ?

 

samjh ker jawabat dain plsssssssss

jo bat samjh na aaey wo dobara poochh lian

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

page no 872 wali Ayat perhain :

 

Allah Taala Farmata hai "A Nabi in sey kaho kabhi tum ney socha key ye jinhain tum pukartey ho Allah key siwa mujhey dikhao kia peda kia hai inhon ney zameen main ya hai in ki koi shirkat aasmano(ki takhleeq or tadbeer main) lao merey pas koi kitab jo aai ho is sey pehley ya koi Ilmi riwayat(batoor Saboot)ager tum sachey ho"

bohat dehan sey perhiey ga koi key ap ghalat matlab lley jatey hain

kia farma raha hai Allah Taala?

 

Allah Taala farmata hai key jo log Allah key siwa kisi dosrey ko pukartey hain to Allah Taala Saboot mangta hai key "Jin ko pukara ja raha hai unhon ney kia peda kia hai zameen -o aasman main ya in ki koi shirkat hai Takhleeq o Tadbeer main?

 

Allah Taala saboot magta hai key jo log Allah key siwa kisi ko pukartey hain(yaha ek to ye sabit hua key jin ko pukara jaraha hai wo log mojood nahi hain apney zehan main rakhiey ga ye baat)

to ager ap kehtey hain key jin ko aap pukartey hian to ap key pas hain ye Saboot jo Allah Taala mangta hai ?

 

samjh ker jawabat dain plsssssssss

jo bat samjh na aaey wo dobara poochh lian

 

Aql hoti to Khuda se na larai mol lete

ye ghatayein usy manzoor barhana tera..... (saw)

 

samjh ker jawabat dain plsssssssss

jo bat samjh na aaey wo dobara poochh lian

 

ye itni bar sssssss press karny se batil haq nahin banny wala Nasir Per Sahab...aap jawab dene se gurez karty rahy par hum aapky ghar se saboot dete rahngy jab tak ki aap imaan na le ayein....Haq par....... (ia)

 

kahiye sab Aameen !!!

apni_rai_se_tafser.JPG

yadoona_tadoona_ke_baad_min_dunillah_aye_to_mana_ibadat_ke___Ibn_Kaseer.rm

Mindunillah_se_pehly_yadu_tadu_aaey_to_mana_ibadat_hoga_pukarna_nahin__1.rm

Mindunillah_se_pehly_yadu_tadu_aaey_to_mana_ibadat_hoga_pukarna_nahin__2.rm

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...