Jump to content

Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail

Ya Mohammadah

تجویز کردہ جواب

(bis)

(saw)

Kya sirf Amaal Waseela hain ??

Huzur

(saw) ki Zaat sab se behtar Waseela hai.....Paidaish se Qabl or Zahiri Wafat ke baad bhi !!! (sa)

Tafseer ibn Khatir mulahiza kerain

Almaida_53_1.JPG

Almaida_53_2.JPG

Yeh waqaya nabi (saw) k baad k zamany ka hai, unhon nay Hazarat Abbas (raa) say dua kerwai Nabi (saw) ko waseela kiun na banaya? baat samjhanay wali hai ghor kijia ga.

UmarWaseelaDua.JPG

Aap baad zamany ki baat karty ho yahan to huzur

(saw) ki paidish se qabl ke saboot mojood hain huzur (saw) ke waseely ke........ (al)

-----------------------------------------------

132.gif

page 1

133__hazrat_adam_ka_huzur_ki_zaat_se_tawassul.gif

page 2

134.gif

page 3

135.gif

page 4

136.gif

page 5

137.gif

page 6

138.gif

page 7

139.gif

page 8

140.gif

page 9

141.gif

page 10

142.gif

page 11

143.gif

page 12

144.gif

page 13

145.gif

page 14

146.gif

page 15

147.gif

page 16

148.gif

page 17

149.gif

page 18

150.gif

page 19

151.gif

page 20

152.gif

page 21

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

5.35.JPG

Sure Maida Ayat 35 me 3 hukm hain..

1. Taqwa

2. Waseela

3. Jihaad

kuch Sawalat Munkireen e Waseely se...

1. Taqwa sirf kisi ek shaey ka naam hai?

2. Is ayat me taqwy se kya muraad hai?

3. Kya sach bolna taqwa nahin?

4. kya imaandari taqwa nahin?

5. kya Gunaho se bachna taqwa nahin?

6. Jihaad sirf kisi ek shaey ka naam hai?

7. Is ayat me Jihaad se kya Muraad hai?

8. Kya sirf maidan se jang me talwaar le kar kuffaro se jang larnhy ko Jihad kehty hain?

9. kya apny nafs ko qabu karny ko jihad fi nafs se tabeer nahin kiya gaya?

Agar Taqwa or Jihaad ijmaali mana me kaseer Afaal ko samaty huey aap accept karty hain to ye waseely se dushmani kyu ? waseely ke liya sirf aamaal muqayyid kis usool ke tehat karty hain....?

Kum aql log kehy hain ki waseela sirf Aamaal ka hi jayaz, kisi bhi shaksiyat ka waseela jayaz nahin balki shrik hai, Yahan tak ki Huzur (saw) ka waseela bhi jayaz nahin/ Haram/ Shirk hai...Maz Allah

Kum aqlon ko itni bhi toufique nahin ki agar sirf Amaal ka waseela jayaz hai, to Amaal ki qubooliyat ka waseela bhi mere Aaqa (saw) hi hain...agar unki be adabi karky or unky waseely ko shirk keh kar ye samajhty hain ki inky amaal maqbool ho jayengy to ye niri Gumrahi me hain...kya Mukhalefeen ko Quran ki ye ayatien nazar nahin aatin jo sareeh dalalat karti hain ki Amaal ki qubooliyat ka waseela bhi Mustafa kareem ki zaat e muqaddisa hai....SHARM MAGAR TUMKO NAHIN AATI...

49.2.GIF

Jin Namazo ke waseely ke aagy tumhy Huzur

(saw) ki zaat ka waseela shirk nazar aata hai us Namaz ki Haqeeqat khud Quran or Sahih Bukhari ki zubani suno.....or Namaz kya hai Sirf or Sirf Mustafa kareem ki adaon ka naam....dekho Azmat e Rasool (saw)

Allah_or_Rasoll_bulayein_to_8.24.GIF

Huzur_Bulayein_to_1.JPG

Page 1

Huzur_Bulayein_to_2.JPG

Page 2

Huzur_Bulayein_to_3.JPG

Page 3

Link to comment
Share on other sites

post-1772-1220061219.jpg

pehlay to yeh batain k yeh kahani kahan say aai , aur kissi authentic kitab say is ka raference day dain, doosri baat jab Allah khud kehta hai k Aamaal-e-Saliha hi waseela hain to phir Allah ki baat kaisay rad ho saktai hai, Surat Al-Maida, Ayat 35 ki tafseer ibn kaseer upload ki hai sirf usko dekh lain aap ki baat pay phir agay chalain gay yeh na keh dena k Tafseer ibn Kaseer ko aap log naheen mantay.

post-2048-1219985626.jpg

Regards

yei baat aap Quran say sabit karain kay Allah azzawjal khud kahta hai kay sirf aamale saliha hi waseela hain

Sura maida ayat 35 ki tafsir mai nay peachay deegar mashoor tafasir kay quotation bhe attach keay thay,, aasani kay leay alfaz bold bhe kar deay thay magar phir bhee aap sarfe nazar farma gaiay ?

Allah (azw) par jo aapny jhoot bandha hai isky liye foran touba karein....warna aapky liye paish he Quran hi ki ayat.....

untitled.JPG

Agar aap apni baat jo red highlighted hai sabit na kar paye to Hazrat Umar (ra) ne apny amaal ka waseela na paish karky Hazrat Abbas (ra) se jo dua karwai wo laghw ho jayega...MazAllah jo sarasar NaMumkin hai kyu ki Amaal ka waseela na paish karky Hazat Abbas (ra) ka waseela paish kiya gaya (dekho hadees ke alfaaz "aaj hum tere nabi (saw) ke chacha ko waseela banaty hain...") or waseela bhi maqbool hua jisky foran baad barish bhi hui....jiska inkaar apsy na ho sakega....... (al)

Mohtaram main nay sawal yeh kia hai k 'Hazarat Umer k zariya say dua kerwai, Hazarat Muhammad ko waseel naheen banaya KIUN? aap is ka jawab dain tu Wiladay say pehlay wali hadees khud sabit ho gay gi aur apnay khud uskay zauaf k baray main apni post main likha huwa hai. ap meray sawal ka jawab dain main aap ki wildadat say pehlay wali hadees ki tehqeeq kerta hon iss per phir behas ho gi ???????

iska jawab barha diya ja chuka hai aap zara ghor se parhy, mene aapko apni post ke link diye hain or apko hazar baar kaha ja chuka hai ki is baat par behas baat me hogi ki haqeeqatan ye waseela kis ka tha aap pehly ye batyein ki huzur (saw) ke chacha hazrat Abbas (ra) ka waeela istemaal kiya ki nahin hazrat Umar ne (ra) ...phir aapky aitraaz he ke mutabiq.......

Hazarat Umer say dua kerwai, Hazarat Muhammad Hazarat Abbass ko Eidgah lay gay wahan ga ker dua kerwai, Ghar bhaith ker Hazarat Abbas ka waseela kiun nay banaya aur baqi sahab ko bhi is ka hukam na diya KIUN?

aap itny kam ilm ho gaye hain ki namaz e istesqa ko hi nahin samajh paye hain ye namaz ka ek khusoosi tareqqa hai jisy huzur (saw) ne dars diya koi aam namaz nahin jo ghar bethy ada kar li jati...or agar ghar beth kar hi dua karwani thi to kya aapki nazaro me Hazrat Umar (ra) itni halki shakhsiyat hain ki wo khud dua nahin ka sakty thy....Ala Hazrat (ra) ne khoob nishandehi farmayi mukhalifeen ki ........ (ma)

aql hoti to khuda se na larai mol lete...

ye ghatayein usy manzoor barhana tera... (saw)

Link to comment
Share on other sites

Sura maida ayat 35 ki tafsir mai nay peachay deegar mashoor tafasir kay quotation bhe attach keay thay,, aasani kay leay alfaz bold bhe kar deay thay magar phir bhee aap sarfe nazar farma gaiay ?

aap nay tafseer k pages to attach kia, lakin apni post say pehlay meri post naheen perhi us main bhi pages hi attach thay un main bhi Surah Maida Ayat 35 hi ki tafseer thi woh bhi Inb Kaseer ki, Sarfe-Nazar to aap bhi farma gay tafseer say bhi aur jo sawal kiya un say bhi, jawab naheen diya aap logon nay meray sawalon ka? kahain to sawal phir post ker don?

Link to comment
Share on other sites

yei baat aap Quran say sabit karain kay Allah azzawjal khud kahta hai kay sirf aamale saliha hi waseela hain

post-2048-1220332135.jpg

agar yeh ayat kafi na ho to bataiya ga aur ayaat bhi paish ker don ga, is ayat main Allah nay naheen kaha Saleheen main shamil honay k liya kuch aur waseelay bhi dhondanay hain, sirf naik kam ka kaha hai.

Regards

Link to comment
Share on other sites

agar yeh ayat kafi na ho to bataiya ga aur ayaat bhi paish ker don ga, is ayat main Allah nay naheen kaha Saleheen main shamil honay k liya kuch aur waseelay bhi dhondanay hain, sirf naik kam ka kaha hai.

Regards

aik aur ayat paish ker raha hon, yaad rakhiya ga yeh Quran hi say hai.

Aik aur Ayat

hazrat baghour parheay jo aap nay kaha tha

(Haqeeqqt @ Sep 1 2008, 06:25 PM) post_snapback.gif pehlay to yeh batain k yeh kahani kahan say aai , aur kissi authentic kitab say is ka raference day dain, doosri baat jab Allah khud kehta hai k Aamaal-e-Saliha hi waseela hain to phir Allah ki baat kaisay rad ho saktai hai, Surat Al-Maida, Ayat 35 ki tafseer ibn kaseer upload ki hai sirf usko dekh lain aap ki baat pay phir agay chalain gay yeh na keh dena k Tafseer ibn Kaseer ko aap log naheen mantay.

Regard

Janabe Aap ka dawa yei tha Allah khud kehta hai k Aamaal-e-Saliha hi waseelaa hain

is leay is daway pay daleel paish karain kay Allah azzawjal nay yei kaha farmaya hai kay

aur yei Iman kia hai ? aik banda Nabi pak alaihislam ko nahee manta,, ab wo subha sham Allah Allah karta hai duain karta hai namazain parh raha hai wo kamyab hai? nahee hai tu kyu?

Edited by AhleSunnat
Link to comment
Share on other sites

Allah (azw) par jo aapny jhoot bandha hai isky liye foran touba karein....warna aapky liye paish he Quran hi ki ayat.....

Agar aap apni baat jo red highlighted hai sabit na kar paye to Hazrat Umar (ra) ne apny amaal ka waseela na paish karky Hazrat Abbas (ra) se jo dua karwai wo laghw ho jayega...MazAllah jo sarasar NaMumkin hai kyu ki Amaal ka waseela na paish karky Hazat Abbas (ra) ka waseela paish kiya gaya (dekho hadees ke alfaaz "aaj hum tere nabi (saw) ke chacha ko waseela banaty hain...") or waseela bhi maqbool hua jisky foran baad barish bhi hui....jiska inkaar apsy na ho sakega....... (al)

Main nay Ayaat ooper wali post main day di hain, ab ap inkaar kerain aur apni paish ki hoi ayat ko aap bhi ab perhiya ga ????

Rahi baat Hazarat Umer (raa) k Aamal-e-Saliha ki to suniya, Kissi bhi Insaan ko yeh yaqeen naheen hota k us kay Aamaal Allah k Haan maqbool hain ya naheen is k liya Hazzarat Umer (raa) k inteqaal k waqaya perhi aur note kiji ga unhon nay apnay baitay ko akhari waqt kiya kaha Halan k unko Nabi (saw) nay janat ki basharat di thi aur woh bhi perhiya ga jab ramazan k baad eid k chand nazar ata tha to woh kiun rotay thay, un k dor-e-khilafat k waqyat perh lain? issi liya unhon nay Sahab (raa) main say Hazarat Abbass (raa) ko muntakhib kiya aur un say dua kerwai kiun k unko yaqeen tha k Hazzarat Abbass (raa) Allah k muqarrab aur naik banday hain aur yehi cheez sahaba say sabit hai aur hum bhi waisay hi kertay hain yani Allah k naik bandon say Allah k haan dua kerwatay hain . unhon nay jo Hazzarat Abbass (raa) say dua kerwai jo k jaiz amal hai.

iss ki misaal aik aur deta hon, jub buhat saray ulama ikhatay hotay hain to namaz k liya woh aik doosray k dawat datain hain, phir jo bara aalim hota hai umooman wohi namaz perhwata hai. kia baqi ulama k aamal fasid ho jatay hain??

iska jawab barha diya ja chuka hai aap zara ghor se parhy, mene aapko apni post ke link diye hain or apko hazar baar kaha ja chuka hai ki is baat par behas baat me hogi ki haqeeqatan ye waseela kis ka tha aap pehly ye batyein ki huzur (saw) ke chacha hazrat Abbas (ra) ka waeela istemaal kiya ki nahin hazrat Umar ne (ra) ...phir aapky aitraaz he ke mutabiq.......

iss main sabit ho chuka unhon nay Hazzarat Abbass (raa) say namaz k baad dua kerwai kiun Allah Apni Kitab main kehta hai.

post-2048-1220337752.jpg

aap itny kam ilm ho gaye hain ki namaz e istesqa ko hi nahin samajh paye hain ye namaz ka ek khusoosi tareqqa hai jisy huzur (saw) ne dars diya koi aam namaz nahin jo ghar bethy ada kar li jati...or agar ghar beth kar hi dua karwani thi to kya aapki nazaro me Hazrat Umar (ra) itni halki shakhsiyat hain ki wo khud dua nahin ka sakty thy....Ala Hazrat (ra) ne khoob nishandehi farmayi mukhalifeen ki ........ (ma)

aur janab main to hon hi kam ilm Allah apni hi kitab main kehta "WA MA YOUTEEKUM MIN-UL-ILME ILLA QALILA"

Regards

Link to comment
Share on other sites

Rahi baat Hazarat Umer (raa) k Aamal-e-Saliha ki to suniya, Kissi bhi Insaan ko yeh yaqeen naheen hota k us kay Aamaal Allah k Haan maqbool hain ya naheen is k liya Hazzarat Umer (raa) k inteqaal k waqaya perhi aur note kiji ga unhon nay apnay baitay ko akhari waqt kiya kaha Halan k unko Nabi (saw) nay janat ki basharat di thi aur woh bhi perhiya ga jab ramazan k baad eid k chand nazar ata tha to woh kiun rotay thay, un k dor-e-khilafat k waqyat perh lain? issi liya unhon nay Sahab (raa) main say Hazarat Abbass (raa) ko muntakhib kiya aur un say dua kerwai kiun k unko yaqeen tha k Hazzarat Abbass (raa) Allah k muqarrab aur naik banday hain aur yehi cheez sahaba say sabit hai aur hum bhi waisay hi kertay hain yani Allah k naik bandon say Allah k haan dua kerwatay hain main say Hazarat Abbass . unhon nay jo Hazzarat Abbass (raa) say dua kerwai jo k jaiz amal hai.

iss ki misaal aik aur deta hon, jub buhat saray ulama ikhatay hotay hain to namaz k liya woh aik doosray k dawat datain hain, phir jo bara aalim hota hai umooman wohi namaz perhwata hai. kia baqi ulama k aamal fasid ho jatay hain??

iss main sabit ho chuka unhon nay Hazzarat Abbass (raa) say namaz k baad dua kerwai kiun Allah Apni Kitab main kehta hai.

aur janab main to hon hi kam ilm Allah apni hi kitab main kehta "WA MA YOUTEEKUM MIN-UL-ILME ILLA QALILA"

Regards

Waseela sirf aamal ka hai aap is pay datay rahay magar dair aayad durust aayad (al) aap nay aakhir wo baat kah he dee jo haq hai;; kam az kam Ab aap pay lazim hai kay is say munkir mat ho jaaiy ga

ab pahlay yei bata dain kay dosray itnay Sahaba rizwan ullah alaihim ajmaeen kay hotay howay Hazrat Abbas say hi dua kyu karwai gaee aur 'Tairay Nabi pak kay Amm' is lafz ka kia matlab hai aur sahaba kiram nay isay kyu istamal kia.

phir aap yei jawab dain kay Amirul Momineen Umar farooq raziAllah anho , syedina Abu bark siddiq raziAllah anho kay baad sab say afzal , sab say muttaqi sahabi hai kay nahee?

Link to comment
Share on other sites

hazrat baghour parheay jo aap nay kaha tha

</B>

Janabe Aap ka dawa yei tha Allah khud kehta hai k Aamaal-e-Saliha hi waseelaa hain

is leay is daway pay daleel paish karain kay Allah azzawjal nay yei kaha farmaya hai kay

Jab main nay Surah Fatir ki Ayat paish ki thi us waqt to Tashreehat aur Tafseer ki baat kertay thay aur baqi ayat jab paish ki thein us waqt kehtay thay k iss say murad Kuffar hain, Ab iss ayat main waseela nazar naheen a raha, baqi hadeeson say bhi waseela nikal liya hain, hadeeson k rukh mor liya aur yeh seedhi seedhi ayaat ko radd ker rahain, pehlay kaha k ayat paish kero phir sirf 3 ayaat nazar aayein to rukh mor liya, aab kehtay hain k kahan hai, wah kamal hai?

post-2048-1220340931.jpg

aur yei Iman kia hai ? aik banda Nabi pak alaihislam ko nahee manta,, ab wo subha sham Allah Allah karta hai duain karta hai namazain parh raha hai wo kamyab hai? nahee hai tu kyu?

Aur Allah khoob janta hai emaan ki halat aur nabi (saw) ki jo mohabbat dilon main hoti hai woh bhi Allah (swt) janta hai, Allah nay emaan kay certificate denay hein aur waisay say bhi ap ki diya huway certificate ki zaroorat ho gi hi naheen. Yahan certificate aap detain hain humain Allah say chahiyan. Agar iss per bhi Quran say ayaat chahiya to bataiya ga??

rahi baat ebadaton ki to woh bhi faisala Allah hi keray ga.

Regards

Link to comment
Share on other sites

(1) Waseela sirf aamal ka hai aap is pay datay rahay magar dair aayad durust aayad (al) aap nay aakhir wo baat kah he dee jo haq hai;; kam az kam Ab aap pay lazim hai kay is say munkir mat ho jaaiy ga

(2) ab pahlay yei bata dain kay dosray itnay Sahaba rizwan ullah alaihim ajmaeen kay hotay howay Hazrat Abbas say hi dua kyu karwai gaee aur 'Tairay Nabi pak kay Amm' is lafz ka kia matlab hai aur sahaba kiram nay isay kyu istamal kia.

(3) phir aap yei jawab dain kay Amirul Momineen Umar farooq raziAllah anho , syedina Abu bark siddiq raziAllah anho kay baad sab say afzal , sab say muttaqi sahabi hai kay nahee?

(1) Allah nay jo Quran main kaha hum us per dat gay usko man-o-an tasleem kiya.

(2) Janab iss ki main nay aik ulama wali misaal ooper di hai aur time milay to meri bohat saari posts hain pehlay unko perhain phir baqi batain baad main hon gi aap kafi dair say forum per aaye hain.

(3) Her sahabi ki apni fazeelat thi, Nabi (saw) nay farmaya Abdullah bin Umar (raa) k mutaliq "Yeh ilm ka samandar hai" kia baqi sahbion k pass ilm na tha ??? Nabi (saw) na Hazarat ubai bin ka'ab (raa) k mutaliq farmaya k Allah nay kaha k main apna Quran tumhain sunaon kia baqi sahabion ko Quran naheen ata tha, Ummat-e-Mohammadi (saw) k behtareen qari Hazarat Ubai bin Ka'ab (raa) hain issi liya Hazzarat Umar nay Taraweeh k jamat k liya unko muntakhib kiya, us waqt hazzarat umer (raa) ko naheen pata tha Hazzarat Abbass (raa) bhi hain?? Hazarat Umer nay Abu Ubaida ibn ul Jarah (raa) ko Sipa sallar mukarar kiya Hazarat Khalid bin Waleed ko Hatta ker kia unhain naheen pata tha Nabi (saw) nay Hazarat Khalid bin Waleed (raa) ko Saif Ullah ka laqab ata kiya tha?? Hazarat Umer (raa) nay Hazzarat Abbass (raa) ko sipa sallar mukarar naheen farmaya kiun???

her Sahabi ki apni hi fazeelat hai jissay aap aur main challenge naheen ker saktay, Baaton k rukh mat morain?

Meray Khiyaal say aap ko bhi baat samjh a gai ho gi.

Regards

Link to comment
Share on other sites

Jab main nay Surah Fatir ki Ayat paish ki thi us waqt to Tashreehat aur Tafseer ki baat kertay thay aur baqi ayat jab paish ki thein us waqt kehtay thay k iss say murad Kuffar hain, Ab iss ayat main waseela nazar naheen a raha, baqi hadeeson say bhi waseela nikal liya hain, hadeeson k rukh mor liya aur yeh seedhi seedhi ayaat ko radd ker rahain, pehlay kaha k ayat paish kero phir sirf 3 ayaat nazar aayein to rukh mor liya, aab kehtay hain k kahan hai, wah kamal hai?

janab aap say ista'da kee thee kay aap nay jo baat kahee hai us pay aap koi daleel paish karain kay Sirf Aa'mal he waseela hai magar aap samgh rahay hain ghaliban yaha time pas ho raha hai.

hazrat aap khud aik dawa kartay hain khud is ki tarded kartay hain aap nay khud mana kay Sahaba Hazrat Abbas raziAllah anho ko muqarrab jantay thay is leay un say dua karwai.. aap nay apnay alfaz mai tasleem kar lia kay waseela Muqarrabeen ka bhe hota hai tu ab phir wapis wohi ana aur zidd mai aray howay hain... Haq to alhamdulillah wazah ho chuka hai ..aap badale nakhwasta ya nadanista taur say he par aaap yei khud apnay alfaz mai likh chukay..

ab phir mazeed bahas aap ko zaib nahe daiti magar baharhal jo aayatain aap nay is daway mai paish kee kay Sirf Aamal HIIII waseela hain us mai kis jaga aur kis muqam pay likha hai kay sirf aamal HIIII waseela hai jaisa aap nay dawa kia..

Aur Allah khoob janta hai emaan ki halat aur nabi (saw) ki jo mohabbat dilon main hoti hai woh bhi Allah (swt) janta hai, Allah nay emaan kay certificate denay hein aur waisay say bhi ap ki diya huway certificate ki zaroorat ho gi hi naheen. Yahan certificate aap detain hain humain Allah say chahiyan. Agar iss per bhi Quran say ayaat chahiya to bataiya ga??

rahi baat ebadaton ki to woh bhi faisala Allah hi keray ga.

Regards

jo jawab aap nay dia us ka mairay sawal say koi ta'allak nahee maira sawal aap pay qayam hai is leay kay kay aap nay aslan sawal ka jawab dia he nahee... Mai nay pocha tha kay

yei Iman kia hai ? aik banda Nabi pak alaihislam ko nahee manta,, ab wo subha sham Allah Allah karta hai duain karta hai namazain parh raha hai wo kamyab hai? nahee hai tu kyu?

magar aap bari masoomyat say Mutawakkal ban gaiay. hazrat phir yaha aap mubahisa karnay aaiy kyu thay? ghar bhaith kay iman kay certificate milnay ka intizar kartay ?

Link to comment
Share on other sites

aap nay tafseer k pages to attach kia, lakin apni post say pehlay meri post naheen perhi us main bhi pages hi attach thay un main bhi Surah Maida Ayat 35 hi ki tafseer thi woh bhi Inb Kaseer ki, Sarfe-Nazar to aap bhi farma gay tafseer say bhi aur jo sawal kiya un say bhi, jawab naheen diya aap logon nay meray sawalon ka? kahain to sawal phir post ker don?

Janab Sarf e Nazar aap nay farmaya hai aur bar bar farmaya hai chalain aap ko shroo say yaad dilata ho

Adam alayhis salam ka huzoor pak ke naam se shafa'at ki dua maangna

قد أخرج الحافظ أبو الحسن بن بشران قال : حدثنا أو جعفر محمد ابن عمرو، حدثنا أحمد بن سحاق بن صالح، ثنا محمد بن صالح، ثنا محمد ابن سنان العوقي، ثنا إبراهيم بن طهمان، عن بديل بن ميسرة، عن عبد الله بن شقيق، عن ميسرة قال: قلت: يا رسول الله، متى كنت نبياً ؟ قال: (( لما خلق الله الأرض واستوى إلى السماء فسواهن سبع سماوات ، وخلق العرش،كتب على ساق العرش: محمد رسول الله خاتم الأنبياء، وخلق الله الجنة التي أسكنها آدم وحواء، فكتب اسمي على الأبواب، والأوراق والقباب، والخيام،وآدم بين الروح والجسد،فلما أحياه الله تعالى: نظر إلى العرش فرأى اسمي فأخبره الله أنه سيد ولدك، فلما غرهما الشيطان ، تابا واستشفعا باسمي إليه ) .

وأخرجه ابن الجوزي في الوفا بفضائل المصطفى من طريق ابن بشران

Tarjuma

Ibn Bushran rawayat kartey hain, shaykh Abu jafar muhammad ibn Amr , rawayat kartey hain Ahmed ibn ishaq ibn salih , rawayat kartey hain mohammed ibn sinan al awqi . rewyat kartey hain ibrahim ibn tahman sey jo rawayat kartey hain budayl ibn maysara sey jo rawayat kartey hain Abdullah ibn shaqiqi sey jo rawyar karetey hain Maysara al fajr ( Rd) ..inhoney Rasul Allah ( sal alllahu alay hi wa sallam) sey poocha " Ya Rasul Allah , aap kab nabee they? Unhoney farmaya " Jab Allah ney zameen paida ki aur usakey baad aasaman aur usako ssat aasmanon mein tabdeel kiya ( 2: 29) aur phir Kursee aur Kursee ke paaon per likha " Mohammed Allah ke rasul hain aur khatamul Anbiya( Muhammadun rasulullahi khatamun al anbiya) . Usakey baad Jannat ki khilqat huee jismein Adam aur Hawwa rahaney lagey.Aur Allah ney mera naam darwazon, patton , gumbad per us waqt likh diya jab adam ruh aur badan ke beech mein they. Jab Allah ney Adam mein jaan dali , us waqt Adam ney Kursee per mera naam likha hua paya , tab Allah ney unko batlaya ki ' wah ( mohammed , sal allahu alaihi wa sallam) tumharee aaney wali tamam naslon ke peshawa hain. Jab shaitan ne in dono ko ( adam aur hawwa) ko bahkaya tab in honay Allah se mafee mangee aur mera naam lekar shafaat ki dua maangee.

Hawala

1.Al wafa bi ahwal al mustafa , musannif , Imam ibn al jawzi al Hanbali (Rh)

2. Subul al Hadi wal Rashad , musannif , Imam Mohammed ibn Yusuf al salihi ( 942 AH)

inhonay is isnad ko JAYYAD LA BASA bihi kaha hai. ( vol. 1/p. 86, Darul Kutub Ilmiyya edn, Beirut)

Ab koee wahabi batlay kya karein? Agar koee hadees ko daif kahta hai to apanee daleel le kar aaye.

Is par koi jawab nahee

Or phir agar sirf taqwy ko waseela kehty hain to phir iska zikr alehda kyu kiya Allah azw.gif ne....sirf taqullaha keh dena bhar kafi tha....bawajood isky Allah ne irshad farmaya Wabteghu Elyhil Waseela....KYU ??

Is sawal say bhee sarf e nazar farma gaiay yehi sawal bar bar dohraya gaya magar hunooz jawab nadarud.

salam.gif

Quran e karim Sora Bani Israel aayat no 57 khud he wazah kar rahe hai kay Wasila un ka hota hai jo Allah azzawajal ka ziada muqarrab aur muqam mai buland tar ho'n aur Mushrik jin maqbool bando ka but bana kay un ko Khaliq e kainat ka Sharik karnay lagay. wo tu khud Allah azzawajal ki bargah mai un say ziada maqbool bando ka waseela dhondhtay thay khud Allah azzawjaal kay khud say ziada Maqbool bando kay waseelay kay mutalashi thay tu Rabbul Aalameen kay sharik hona tu du'r ki bat hai. Waseela dhondhna jayaz aur Allah azzawajal kay muqarrab bando ka tareeka hai..

ab tak koi jawab nahee dia gaya

بھائی اب آپ دیکھیں شریعت میں اشیاء کی اصل اباحت ہے۔ اور کوئی چیز حرام و ناجائز اُس وقت ہوتی ہے جب کے قرآن و حدیث اُسے ناجائز کہے۔ اور ہم ایک ایسی دلیل کا مطالبہ کر رہے ہیں۔

اور وسیلہ کے متعلق جیسا کہ آیت کریمہ گزری۔ اُس کے متعلق میں پہلے بھی کہہ چکا کہ اگر اُس آیت سے اعمال کا بھی کوئی استدلال کرے تو یہ بھی ہمارے حق میں دلیل ہے کیونکہ اعمال مخلوق ہے۔ تو یہ کیونکر ممکن ہے کہ ایک مخلوق سے وسیلہ مانگا جائے تو وہ شرک نہ ہو اور زندہ انسان کے وسیلے سے دعا مانگی جائے تو وہ شرک نہ ہو وہی بات بعد وفات شرک بن جائے۔ یہ بات تو سراسر عقیدہ توحید کے خلاف ہے۔ اللہ عزوجل تو وحدہُ لاشریک ہے۔

is baat par bhee koi jawab mausoool nahee howa

اگر مردہ سن سکتا ہے یہ ثابت ہوجائے تو پھر آپ وسیلہ کو مان لیں گے؟ نیز آپ یہ بھی بتائیں کہ کیا آپ انبیاء علیھم السلام کو اپنی قبور میں زندہ مانتے ہیں یا نہیں؟

koi jawab nahee dia gaya

cntd........ Allah azzawjal kay Rasul nay Qasam utha kay farmaya kay Mausab bin umair raziAllah anho aur un kay rufaqa yei Qayamat tak jo bhe salam karay us ko jawab daitay hai tu suntay bhe nahee boltay bhe nahe ya baaz baaz moqay par boltay hai tu Nabi pak AlaihisSlam nay ma'azAllah Qayamat tak har har salam ka jawab daitay hai kyu farmaya?...Waisay yei kaun kaun say mawaqay aur auqat hai jab murday jo sun aur bol he nahe saktay achanak suntay bolnay lagtay ha??.......aur yei bhe bata deaijay kay Allah azzawjaal nay Anbiya kiram alaihimusSlam ko is dunya mai bhaija he kyu? Farishto kay Zimmay kaam kyu lagiaiay ? Malak ul Ma'ut Rooh kyu Qabz kartay hai? Farishtay Maa kay Pait mai Insan ki Tasveer kyu Banatay hai? Hawa kyu Chalatay hain? Aap ko bhook lagti hai tu Rooti ki taraf kyu bhagtay hain? Bimar hotay hain tu Dawa kyu pakartay hai?

no asnwer again.

Please read what Mufassiren of early centuries have stated in explanation of the verse number 80 of Surah Namal (27)

(تفسير جامع البيان في تفسير القرآن/ الطبري (ت 310 هـ

{إِنَّكَ لاَ تُسْمِعُ ٱلْمَوْتَىٰ وَلاَ تُسْمِعُ ٱلصُّمَّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا وَلَّوْاْ مُدْبِرِينَ } ............ to the end

Is post mai tafaseer say hawalay deay gaiay kay wala tusmao say kisi mufassir nay qabar ka murday na sun'na nahe bataya magar, no answer

Waseelay say murad hamari yei nahee kay Allah azzawajal khud nahe sunta balkay Allah azzawjal nay yei rasta bataya kay apni zaat , apni duao ko Allah azzawjaal ki bargah mai maqbool karwanay kay leay Us kay mahboob bando ki qurbat , un ki mohabbat aur Aaamale salah ka rasta mazbooti say pakra jaiay ..

Sora Maida Aayat Number 35 ki tafsir mai mufassireen kiram nay Waseela kay ziman mai Aamal , Mohabbat , Qurbat ilallah aur Murshid, Salaheen waghaira ka zikar kia Alhamdulillah Ahlesunnat wal jamat in sab waseelo kay qail hain..................... to the end

Tafaseer kay hawalay deay gaiay kay Waseela kay ziman mai ....koi jawab nahee

Sure Maida Ayat 35 me 3 hukm hain..

1. Taqwa 2. Waseela 3. Jihaad .

kuch Sawalat Munkireen e Waseely se...

1. Taqwa sirf kisi ek shaey ka naam hai? 2. Is ayat me taqwy se kya muraad hai?

3. Kya sach bolna taqwa nahin? 4. kya imaandari taqwa nahin?

5. kya Gunaho se bachna taqwa nahin? 6. Jihaad sirf kisi ek shaey ka naam hai?

7. Is ayat me Jihaad se kya Muraad hai? 8. Kya sirf maidan se jang me talwaar le kar kuffaro se jang larnhy ko Jihad kehty hain?

9. kya apny nafs ko qabu karny ko jihad fi nafs se tabeer nahin kiya gaya?

Agar Taqwa or Jihaad ijmaali mana me kaseer Afaal ko samaty huey aap accept karty hain to ye waseely se dushmani kyu ? waseely ke liya sirf aamaal muqayyid kis usool ke tehat karty hain....?

yaha bhe pahlo tahi kar lee gaee

for Attachments see post number 84 in this topic

Nabi pak alaihiSlam ka Anbiya ki shabe Mairaj Imamat karna , Mosa Alaihislam ka Qbar mai nmaz parhna yei aur is ziman mai aur sawal keay gaiay magr Jawabat Nadarad

meray khiyaal say iss kuch behtari aaye gi

Qabal wiladat Nabi (saw) wali jo hadees aap nay paish ki us per mufasreen ki ray bhi dekh lein.

Regards

aap dawa kartay hain sirf Quran aur Hadis phir seedhay aasman say free fall aur khajoor mai aatapkay... yani kahtay hai kay mufassireen ki raiay bhee daikh lain .. Allah azzawjal aap ko himmat aur taufeeq naseeb farmaaiy Aap ulame Saliheen Ulamae millat ki kutab un ki tafaseer un kay aur jamhoor ummate muslima kay qadeemi jari o sari maslak o mashrab pay qayam ho jaia'n aamin

Bahtari aaiy gee jab aap apni kahee howi bato ko khud tasleem kar lain

Link to comment
Share on other sites

agar yeh ayat kafi na ho to bataiya ga aur ayaat bhi paish ker don ga, is ayat main Allah nay naheen kaha Saleheen main shamil honay k liya kuch aur waseelay bhi dhondanay hain, sirf naik kam ka kaha hai.

Regards

aql hoti to khuda se larai na mol lete

ye ghatayein usy manzoor barhana tera (saw)

Janab aapsy mutalba tha aisi qurani ayat paish karny ka jo sareeh dalalat karti ho aapky dawy par ki..."Allah ne quran me kaha ki amaal HI waseela hain.." ye Hi shayad aap Hazam kar gaye hain....aapny jo bhi ayat paish ki unsy sabit to ho sakta hai ki Amaal waseela hain par Amaal HI waseela hain...ye aap par Qayamat tak udhar hi rahega... (ia)

logo.JPG

jo matloob tha aapsy wo to piash karty na bana ulta wo ayat quote kar di jo zaat par dalalat karti hai...shayad aap ki nazaro se guzra nahin " Jin logo ne imaan qubool kiya..." baad me tazkira aaya naik Amaal ka .....yahan bhi zaat ko muqaddam kiya gaya hai amaal se jo (al) humara moqif hai... (sa) . Quran pak me jahan kahin naik Amaal ka zikr aaeyga us Amaal ko karny wali zaat ka zikr pehly mojood hoga...ye kya baat hui ki

Zikr to waseela, Zakir waseela nahin....

Namaz to waseela Namazi waseela nahin....

Imaan to waseela Momin waseela nahin....

Jehad to waseela Mujahid waseela nahin....

Taqwa to waseela Muttaqi waseela nahin...?

Allah ke bandy ye bata ki imaan, Namaz, Taqwa, Jehad, ye sab Amaal Allah ki baragh me maqbool kyu hain...? Tu yaqeenan kahega ki ye Amaal Allah ko Mehboob hain tabhi to maqbool hain...

To kya Allah ko zikr pasand hai zakir pasand nahin...?

Namaz pasand hai Namazi pasand nahin...?

Taqwa pasand hai Muttaqi pasand nahin...?

(ia) tumsy inkaar na ho sakega.... (al)

Allah ko Amaal bhi Mehboob hain Aamil bhi

(Tabhi dono Allah ki bargah me maqbool huey)

90.gif

91.gif

92.gif

93.gif

94.gif

Huzur_se_mohobbat_nijaat_ka_zariya.JPG

Link to comment
Share on other sites

(bis)

janab aap ko zaat se waseely ke jawaz par Quran se saboot diya gaya, sura Baqra ayat 89 ki tafseer itny mufassir se quote ki gayi, Zara is par to nazar e karam farma lein baqi post ka jawab dete rahiyega...

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=30158

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...