Jump to content

Ismail Dehlvi ki takfeer nahi ki? Jawab chahiye!


Ghulam e Azhari

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

1. Ala Hazrat ne Ismail Dehlvi ki takfeer kiun nahi ki?

 

Alahazrat Imam e Ahlesunnat Imam Ahmed Raza Khan alaihirahmatir Rahman nay Ismail Dahalvi ki kitab say bayshumar kufriyat naqal karay laiken is ki takfeer nahee farmaiay is ko kafir kahnay say Sakoot farmaya aur yei is baat ka saboot hai kay jo deobandi kahtay hai Alahazrat nay har kisi ko kafir kah dia wo sab say baray jhotay hain.

Alahazrat ka Ismail dahlavi ki takfeer na karna is baat ka buhat bara saboot hai kay Ulama e Ahlesunnat kisi ki takfir kay baray mai kis qadar ahtiyat say kaam laitay aur Alahazrat nay yaqeenan jin pay kufr ka fatwa lagaya wo apnay kufr pay qayam rahay , na koi wazahat na koi tau'ba balkay barha dawat dee khat likhay koi asar na howa ,,,, Ismail Dahalvi kay baray mai albatta yei mashoor hogaya tha kay us nay ta'uba kar lee hai aur apni kitab taqwiyat ul iman kay aqa'id say tai'b hogaya hai isi waja say Alahazrat nay Is kay baray mai sakoot farmaya kay 1 baat aisi mashoor ho gaee thee kay Is shaks nay tauba kar lee hai ..

 

Fatwa kufr say pahlay Alahazrat nay deobandi wahabi dosray mullao ko bhee khatot likhay thay kay wo wazahat karain apni kitabo mai darj gustakhana ibarat ki , Tauba karain magar wo sab apnay kufr pay datay rahay salha sal wo kitabain waisay he chapti rahee na koi tauba kee gaee na koi wazahat kari gaee jab kahee ja kay har ahtiyat har mumkin qadam uthanay kay baad Alahazrat Imame Ahlesunnat nay deobandi mullao pay fatwa kufr lagaya..

Deobandiyo ka hal yei hai kay khud he kahtay hai Alahazrat nay hamaray mullao ko kafir kah dia barelvi har kisi ko kafir kah daitay hain (jo kafir hai us ko phir kia kaha jaiay ga?) phir khud he yei bhee dawa kartay hai Alahazrat nay Ismail Dahalvi ko kafir nahe kaha .. in say koi pochay jab har kisi ko kafir kah daitay hai tu Ismail dahalvi ko kahnay mai kia haraj tha? sabit howa Alahazrat nay jin jin deobandi wahabi mullao ki takfeer kari un pay takfeer sabit ho chuki thee aur un ki takfer lazim ho chuki thee

 

page_nid61.gif

Link to comment
Share on other sites

JazakAllah, bohot tasalli bakhsh jawab dia hai. InshaAllah, we will get this book translated.

 

Ab aitaraza no. 2 par thorhi nazr farmaaen aur Islaah farmaaen jo yeh hai:

 

2. Kuch Ullama-e-Haramain ne Hussam-ul-Haramain ka saath na diya balke sakoot ikhtiyar kia.

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...

Khalil Rana Sahib--->Imam e Ahle Sunnat(RA) nay tu Ismaeel Dehlvi ki takfeer isliay nahi ki thi kion kay uss ke Touba mashoor ho giay the, par kiya yaih sach nahi kay aap nai kissi ko Ismaeel Dehlvi ko kafir kehnay sai mana bhi nahi fermiya??

 

kiya aap kay baad kissi Sunni alim nai Ismaeel Dehlvi ke takfeer ke.

 

Ajj kal sara wahabi tola Ismaeel Dehlvi ki TOUBA ka inkar kerta hay...aisai sorat mai kiya Ismaeel Dehlvi ko KAFIR keh saltay hain

 

Mai nay sunna tha kay AlaHazrat (ra) sai pehlay bhut sai Ulma e Ahle Sunnat nay Ismaeel Dehlvi ko Kafir kaha tha....Unn Ulema kay naam kiya thay....agar ho sakay tu pls share ker dijiay ga.

 

Wasalaam

Link to comment
Share on other sites

Khalil Rana Sahib--->Imam e Ahle Sunnat(RA) nay tu Ismaeel Dehlvi ki takfeer isliay nahi ki thi kion kay uss ke Touba mashoor ho giay the, par kiya yaih sach nahi kay aap nai kissi ko Ismaeel Dehlvi ko kafir kehnay sai mana bhi nahi fermiya??

 

kiya aap kay baad kissi Sunni alim nai Ismaeel Dehlvi ke takfeer ke.

 

Ajj kal sara wahabi tola Ismaeel Dehlvi ki TOUBA ka inkar kerta hay...aisai sorat mai kiya Ismaeel Dehlvi ko KAFIR keh saltay hain

 

Mai nay sunna tha kay AlaHazrat (ra) sai pehlay bhut sai Ulma e Ahle Sunnat nay Ismaeel Dehlvi ko Kafir kaha tha....Unn Ulema kay naam kiya thay....agar ho sakay tu pls share ker dijiay ga.

 

Wasalaam

 

 

Jee Ala Hazrat say pehlay chad ek buzurg thay jinnoon nay Ismail Dehalvi say munazirah be keeya aur Takfir be kee. Ala Hazrat nay toba kay mashoor honay kee bina per Takfir nahin kee.

 

Kohi be hoh joh Ismail Dehalvi kee ibaraat ka kufria honay ka munkir heh woh kaffir heh.

Edited by Ya Mohammadah
Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...
  • 7 years later...
  • 8 months later...

 

As salamo alaiqum.

 

Debandi kahte hai ke  alahazrat apne usoolo se kafir hai mazallah iske talluqn se yeh aitraz krte hai ke..

 

ALAHAZRAT NE ISMAIL DEHLVI KO KAFIR NAHI KAHA aur kafir nahi kaha yane musalman mana...

 

fir vo tamhid e iman se yeh bhi pesh kr rhe hai ki Alahazrat ne likha ke..

 

NABI KI GUSTAKHI SE HUE KAFIR KI KOI BHI TOUBA QABOOL NAHI AUR JO USKE SAZA AUR KUFR ME SHQ KRE VO BHI KAFIR.. (TMHID E IMAN see scan pg )

 

jab ke ahle sunnat barelvi kahte hai ke alahazrat ne ismail dehlvi ko kafir isliye nahi kaha kyuke uski touba mashoor ho gayee thi .

 

ispr vo ek to dalil mangte hai ke Alahazrat ne kaha pr likha hai ke touba ki mashooriyat ki wajah se ftwa e kufr na lagaya

 

 dusra tmhid e iman me aise gustakh ki touba bhi qabool na hone aur uske kufr me shq krne ko kufr likha hai..

 

AUR ALAHAZRAT ISMAIL DEHLVI KO KAFIR NA MANKR KHUD APNE HU FTWE SE KAFIR HO GAYE..

 

barahe maherbani iska bhi jawab farham karwa dijiye.. 

 

JazakAllah khair.

Screenshot_2017-08-15-04-14-41~01.png

Link to comment
Share on other sites

Agar sachay dil say toba kee jahay toh gustakhi kay kufr wali toba bi qubul heh yahi Sayyidi Ala Hadhrat ka mowaqif thah aur heh aur is'see waja say unoon nay kohi hazaar dafa Thanvi ko toba ki taraf bulaya agar esa nah hota toh phir keun ussay toba ki taraf bulatay. Is ibarat ko samajnay ki khatir asal ibarat ko parna paray ga aur Ala Hadhrat kay is puray bab ko. Baqi wazahaten ahle ilm keren gay joh kitaboon kay janjal mein paray aur samajtay hen.

Link to comment
Share on other sites

Ilzam yeh heh:

Ala Hadhrat ka mowaqif heh kay gustakh ki toba qubul nahin hoti. Ala Hadhrat nay Ismail Dehalvi ko toba ki khabr ko mashoor pa kar takfir nah keeh. Jab toba qubul nahin hoti toh phir Ala Hadhrat apnay nazria, kafir kay kufr mein shak bi kufr heh, ki waja say apni hi talimat say khud kufr kay murtaqib huway.

Wazahat:

Ala Hadhrat (rahimullah alayhi ta'ala) ka mowaqif yeh nahin kay gustakhi kay Kufr ki toba qabil e qubul nahin. Ala Hadrat ka mowaqif unoon nay apnay hi ilfaaz mein biyaan kar deeya heh:

untitled.JPG.bd5bb50cd2ec894b215b489e71a97423.JPG

Kabi Kabi Faqeeh es'si ibarat pesh karta heh jis mein ek juzz us kay nazriat kay mutabiq hota heh aur ek juzz us ki talimat kay khilaaf. Magar ibarat kay naqal say us ki talimat kay khilaaf wala nazria us Faqeeh ka nazria nahin tehraya ja sakta. Sayyidi Ala Hadhrat ka mowaqif thah us ka pehlay zikr keeya [surkh rang kay box walay material ko peren] aur phir Majma Ul Anwar ki ibarat pesh ki. Abh joh hissa un ki talimat kay mutabiq thah woh Ala Hadhrat ka heh aur joh khilaaf us ko Ala Hadhrat par nahin thompa ja sakta. Tobah na qubul honay ka mowaqif kissi aur Aalim ka heh. Magar keun keh Sahib Majma ul Anwar nay gustakh ki takfir ki aur phir toba kay qubul nah honay ka zikr keeya aur phir Kufr kay kufr mein shak walay ko bi Kafir tehraya. Yehni Sahib Majma Ul Anwar nay apni tehreer kay awal aur aakhir hissa mein Sayyidi Ala Hadhrat kay mowaqif ka zikr keeya thah; yehni gustakh kafir heh aur joh kafir honay mein shak karay woh bi kafir. Aur Sayyidi Ala Hadhrat nay Majma Ul Anwar ka woh hissa naqal keeya joh un kay mowaqif ki taeed mein thah. Magar Majma ul Anwar ki ibarat kuch istera likhi gai heh kay toba nah qubul honay wala hissa bi majbooran quote karna para. Magar jis waja say Sayyidi Ala Hadhrat nay Majma ul Anwar ki ibarat ko naqal keeya Ala Hadhrat nay ussay bilqul wazia ilfaaz mein do jagoon par bayan kar deeya; yehni gustakh kafir heh aur joh kafir honay mein shak karay woh bi kafir. Aur is ko aap uppar walay page mein hi check kar saktay hen.


Sawal:

Abh sawal aqal saleem walay say heh: Jab Ala Hadhrat ki talimat kay mutabiq, gustakh Kafir ki toba qubul heh, aur Ismail Dehlavi ki toba mashoor thi jis waja say ihtiyatan Ismail Dehalvi ki Takfir nah karna magar us ki ibaraat ko Kufr manna, kesay kufr ho sakta heh?

Link to comment
Share on other sites

12 hours ago, ExposingNifaq said:

Forum per eteraz post karne se pehle search kar liya karain.

jawab is topic mai hai

https://www.islamimehfil.com/topic/5250-ismail-dehlvi-ki-takfeer-nahi-ki-jawab-chahiye/

 

Hazrat Link deny ki bjaye pehly waly thread mein merge kar diya Ikrain.. Jis mein Answer majood ho.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

Jazak Allah Khair..

kuch doubt clear hue baki bhi ho jayenge . jinme se ek ye aitraz bhi hai jo deobndi ne kia ki..

ALAHAZRAT NE YE KAHA  LIKHA  HAI KE .. ISMAIL DEHLVI KI TOUBA MASHOOR HO GAYEE THE ISLIYE TAQFIR NAHI KI.

 

iska jawab bhi de de..

 

Fir tamhid e iman me hi aage ye bhi likha mila ke.. 

"" Aur Mai is Frq pr Bina Nahi rakhta ki Sajide Sanam Ki Touba Ba ijma E ummat  maqbool hai Magar HUZUR KI SHAN ME GUSTAKHI KARNE WALE KI TOUBA HAZARHA Aimma e deen K nazdiq QABOOL NAHI ""

 

fir aage frmate hai ke 

"" Adme qaboole touba sirf haqime islam ke yaha hai ke vo is mamle me baade touba Bhi saza e mout de varna Agr TOUBA SIDQE DIL SE HAI TO INDILLAH MAQBOOL HAI ""'

 

Fir aage frmaya ..

 

""TOUBA SE KUFR MIT JAYENGA MUSALMAN HO JAONGE JAHANAAME ABDI SE NIJAT PAONGE ""

 

mai in ibarto ko smjh nahi pa rha hu ke 

pahle frmaya ke hazrha aimma k nzdiq GUSTAKH E RASOOL KI TOUBA QABOOL NAHI.. 

fir kaha ke Haqime islam touba k bavjud  saja de aur Touba sidqe dil se hai To INDILLAH MAQBOOL HAI.

 

fir uski touba ki wajah se uske musalman ho jane ki bat bhi qabooli .

 

Jab aimma k nzdiq uski hazarha Touba bhi Qabool hi nahi to VO MUSALMAN kaise..? 

 

please is bat ko bhi smjhaye 

1502909453509.jpg

1502908721780.jpg

Link to comment
Share on other sites

Quote

Fir tamhid e iman me hi aage ye bhi likha mila ke.. 

"" Aur Mai is Frq pr Bina Nahi rakhta ki Sajide Sanam Ki Touba Ba ijma E ummat  maqbool hai Magar HUZUR KI SHAN ME GUSTAKHI KARNE WALE KI TOUBA HAZARHA Aimma e deen K nazdiq ASLAN QABOOL NAHI "

[Aap nay lafz aslan hifz kar deeya thah]

Aap nay tawajoh nahin ki, aap ki dosri high light karda ibarat mein wazahat mojood heh kay kis baat ki toba qubul nahin aur kis ki qubul heh. Pehli ibarat sari peren aur dosri bi sari paren, sirf high lighted wali nahin balkay awal say aakhir taq. Mein joh kuch Ala Hadhrat alayhi rehma nay biyan keeya heh us ki wazahat apnay ilfaaz mein keeyeh deta hoon aap issay bi parh lenh.

Ala Hadhrat nay toba ka aslan qubul honay ka inqaar heh. Joh toba aslan qubul ho us ki phir sazza nahin. Yehni kohi Mushrik thah, kalmah para aur musalman huwa. Phir us ko un amaal e Shirkia ki sazza nah deeh jahay gi joh Islam qubul karnay say pehlay keeyeh. Issay aslan maqbool toba tehraya gaya heh. Joh Allah kay Nabi (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki towheen karay us ki toba aslan qubul nahin jesay Shirk ki qubul hoti heh keun kay toba kay baad bi ussay sazza zeroor millay gi. Gustakhi kay kufr ki toba maqbool heh magar gustakhi kay jurm ki toba qubul nahin. Kufr ki toba say akharat mein sazza nahin hogi, magar jurm ki toba lakh bar karay maafi nahin. Jistera ek qatil, qatil ki toba karta heh, Allah ta'ala ussay maaf karay ga, us kay gunnah ki toba maqbool hogi, magar joh Shar'ri jurm heh us ki toba qubul nahin, aur us ko sazza hogi agar maqtool kay waris dayit qubul nah karen aur qatal par bazid rahen toh. Is'see tera gustakh ki toba kufr maqbool ho kar Kufr ko door karti heh magar Shariat aur Qazi ki sazza ko nahin.

Link to comment
Share on other sites

2 hours ago, shahabuddin quazi said:

JAZAK ALLAH ..

BS EK HI SAWAL RHA HAI USKA BHI JAWAB DEDE..

Alahazrat ne yeh kaha likha hai ke ismail dehlvi ki touba mashoor ho gayee thi isliye taqfir nahi ki..?

Salam alayqum,

Bhai mujjay is ka pata nahin kay likhi heh ya nahin. Mein nay is baat ka zikr munazroon aur kitaboon mein para heh magar direct Sayyidi Ala Hadhrat ki kutub mein nahin para. Is say murad yeh nah lenh kay likha nahin shahid likha ho aur meray ilm mein nahin. Mein kitabi ilm kam rakhta hoon mera ziyada waqt Quran/Hadith ko parnay samajnay mein guzrta heh is waja say tareekhi aur kitabi ilm waseeh nahin.

Magar yeh waja tawatir say rawayat mein heh kay is waja say nahin keeh. Malfoozaat e Ala Hadhrat mein Shah Ismail Dehalvi ko Yazeed jesa tehraya gaya heh. Yehni nah Musalman kehtay hen aur na Kafir, aur joh Kafir kehta heh is par kohi jurm nahin. Aur zahir baat heh Ala Hadhrat kay ham asr Ulamah nay gustakhiyoon kay kufr honay kay bavjood Ala Hadhrat ka Takfir nah karnay ki waja poochi hogi. Aur is'see ko Ala Hadhrat nay hi biyaan keeya hoga. Aur is'see waja say yeh rawayat mein aahi heh. Aur yahi waja batahi jaati heh kay Ala Hadhrat nay is waja say Takfir nahin keeh. Zeroori nahin kay har baat ko tehreer mein laya gaya ho kuch baten seena ba seena rawayat hoti aahi hen aur teen chaar generation kay Ulamah nay is'see ko Ala Hadrat kay takfir nah karnay ki waja bataya heh.

Theory Of Probability - kay mutabiq bi dekha jahay toh kuch toh waja hogi. Misaal kay tor par, ek professor ko hisaab/maths karna ata heh, us ko pata heh, yeh bi sabat ho kay woh jama aur tafreeq aur zarb kay asool o zawabat ko samajta heh aur mushkil say mushki tareen sawalat hal karta raha heh aur mathematics ki kitaboon ka musannaf bi heh. Abh kissi nay us say poocha keh 2 + 2 kitnay hen. Us nay jawab nahin deeya. Us nay tareeran bi jawab nahin deeya aur taqreeran bi. Mashoor heh kay kissi nay us say poocha kay bataho jawab keun nahin deeya. Woh professor kehta heh kay esay sawal ka jawab dena mein nay towheen jana. Aur yahi waja chaar generations say rawayat mein chaali aa rahi heh. Aab probability kay mutabiq yahi waja ho sakti heh keun kay professor ka itnay simple jawab, 4, ka nah dena la ilmi ki waja say toh ho nahin sakta. Aur jis nay professor say esa sawwal poocha ussay ka professor ka mazakh urana maqsood huwa hoga. Keun kay sawal professor ki shaan kay layk nahin poocha.

Is'see tera Ala Hadhrat:

-  Gustakhi e Rasoolallah ko Kufr jantay hen
- Gustakh joh toba nah karay us par hukum kufr, yehni Kafir kehna jaiz mantay hen
- Ismail Dehalvi ki Ibarat ko gustakhana jantay hen
- Ismail Dehalvi ki ibaraat ko Kufria jantay hen.

Magar Ala Hadhrat:

- Ismail Dehalvi ko Kafir nahin tehratay.

Aur Mashoor yeh heh aur tawatir say rawayat mein heh kay:

- Ismail Dehalvi ki toba mashoor thi jis waja say ihtiyatan Ala Hadhrat nay Ismail Dehalvi ki Takfir nah ki.

Zahir heh kuch toh Shar'ri gunjaish toh dekhi hogi jis waja say Takfir nah ki. Aur probality yahi heh kay toba mashoor honay ki waja say nah ki, ya phir ihtimam e hujjat nah kar panay ki waja say, shahid agar ihtimam e hujjat ho jata toh tobah kar leta, kuch nah kuch waja hogi aur joh tawatur say raywat mein heh woh toba mashoor honay wali heh. Kuch masail ka hal tasalli baksh nahin deeya ja sakta, bunyadi haqaiq ko leh kar ek nateeja nikala ja sakta heh, kay kuch istera huwa hoga. Aur Ismail Dehalvi ki ibaraat aur un par Ala Hadhrat ka muwaqif, gustakhi ka kufr hona, gustakh ka kafir hona, toba ka mashoor hona ... in bunyadi haqaiq ko leh kar kam say kam yeh nahin ka ja sakta kay Ala Hadhrat nay gustakhi ko Kufr nahin jana aur Ismail Dehalvi ki ibaraat ku gustakhana aur kufria nahin jana.



 

Link to comment
Share on other sites

jazak allah khair.. hazrat.

apka jawab sunnio ko mutmain kr skta hai lekin kyuke deobandi ziddi aur munafiqana qom hai vo is jawab se chup nahi rahengi..

 

lekin unko isi k jaisa revers question kia jaye to ho skta hai ke inki zidd ko qabu me kia jaye..

 

misal k tor pr deobandio se pucha ja skta hai ke rashid gangohi thanvi ya digar deovandi aqabiro ne agr shia ko kafir na likha hai to kya aaj k deobandi shia ko kafir nahi mante.. 

 

aur agr shia ko kafir nahi mante the to kis jagah ftwa e kufr dia hai..thanvi gangohi ne vo to ahle sunnat me mante hai unhe...

 

tb unhe bhi kahna pdenga ke ha bhai aisa ho skta hai ke koi kufr ka ftwa de lekin darj na ho..

ya fir taqfir na kre wajah darj na ho..

ha jo zyada qaribi reason ya krina hai usko base man kr ye qiyas kia ja skta hai  ke isi wajah se taqfir nahi ki..

 

agr aapke pass deobhngio ke ghr se koi aisa example ho to zrur share kre.. 

 

jazak Allah Khair.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...