Jump to content

raees nizami

اراکین
  • کل پوسٹس

    4
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About raees nizami

تازہ ترین ناظرین

629 profile views

raees nizami's Achievements

Rookie

Rookie (2/14)

  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In
  • Conversation Starter
  • First Post

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Assalamo alaikum kuch ba hawala ibarat aur kuch hadees e mubarak pesh e khidmat hai mulahza farmaiye aur iman ko tazgi bakhsiye Ahle Sunnat Wal Jammat Ka Nazariya Yeh Hai Ke Sahaba-E-Kiraam Raz Sare Ke Sare Adil, Pakbaaz, Saleh, Aur Ameer The.. (Muqaddamma Ibn Salah Safa 150 Mirqaat Mulla Ali Qari Jild 1 Safa 330) ♥ Rasool Ullah S.A.W Ne Irshad Farmaya- Mere Sahaba Raz Ka Ikraam Karo Aur Unki Izzat Karo.. (Al-Majamul Ausaat Lit Tibrani Jild 3 Safa 204, Raqam-2929) 1) Rasool Ullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Ameer Muawiya Ke Baarey Me Irshad Farmaya- “Aye ALLAH Inko Hidaayat Dene Wala Aur Hidaayat Yaafta Bana Aur Logon Ko Inke Zarye Hidaayat Ataa Farma (Sunan Tirmizi Jild 2 Safa-224 Baab- Manaqib-E-Muawiya(r.z) ,Imam Tirmizi Rah Farmatey Hain Riwayat Hasan Hai.. Bidaya An’Nihaaya Safa 32) 2)Rasool Ullah S.A.W Farmatey Hain-“Meri Ummat Ka Wo Pehla Giroh Jo Samandari Jihad Krega Uske Lye Jannat Wajib Hai.. (Sahih Bukhari Hd.no-2924) *Mulla Ali Qari Hanfi Rah Farmatey Hain-“Us Jihad Me Ameer Muawiya The” (Umdatul Qaari Sharh Sahih Bukhari) 3) Rasool Ullah S.A.W Ne Dua Ki-“Aye ALLAH Isey (Muawiya Ko) Hisab Kitab Ka ILM Ata Kar, Azaab Se Iski Hifazat Farma..” (Musnad Ahmad Jild 4, Safa-127, Hd.no-17192, Darja- Hasan Tareekh Khulfa E Rasheedin Lil Imam Suyuti Rah) 4) Hzrat Ali Raz Farmate Hain- Mere Lashkar Ke Maqtool Aur Muawiya Raz Ke Lashkar Ke Maqtool Dono Jannati Hain.. (Al-Ma’ajamul Kabeer Lit Tibrani Jild 19 Safa 307 Hd.no-688) 5)Hazrat Abu Bakr Siddique Raz Se Riwayat Hai Ke Rasul ullah S.A.W Hajr-e-Aswad aur maqam-e-IBRAHEEM ke darmiyaa itne hath buland ker k dua ker rahe they ke Aap S.A.W Ki baghlain nazer aarahi theen, Aap keh rahy they:”Aey ALLAH! Aag ko Muawiya k badan per HARAM ker de, Aye ALLAH! Aag ko Muawiya ke badan per HARAM ker dey..” (Tareekh-e-Damashq-Al Kabeer, Jild 26 Safa 45) 6) Hazrat Abdullah Bin Umar Raz bayan kerte hain k Rasool ALLAH SA.W ne farmaya- “Tumhary samne iss derwaze se ej shaks ayega , jo ahle-jannat se hai, toh iss darwaze se Ameer-e-Muawiya aaye , phir Ek sahabi ne arz kiya, kya ahl-e-jannat wale MUAWIYA hai? Huzoor S.A.W ne farmaya haan, mazeed fermaya tum jannat ke darwaze per mujhse miloge.. (Tareekh-e-Damashq Al-Kabeer Jild 26 Safa 70) 7) Hazrat Abdullah Ibne Umar Raz maine Huzoor sallallaho alaihi wasallam ke baad hazrat muaviya Raz jaisa koi sipaahi nahi dekha.. (Al Bidayah Al Nihaaya) 8) Shaik Abdul Qadeer Jilani Rah Farmate Hain-“Main hazrat ameer muawiya ke raaste pr baitha rahu (aur saamne se unki sawaari) aa jaaye aur unke ghode ki dhool udd kar mujhpe pad jaaye to main isse khud ke liye nijaat ka zariya samjhunga..” (Gunyatul Talibeen) Allah hume aur tamam ummat e muslima ko padhne, samajhne, amal karne aur iman par kayem rahne ki tofeek ata farmaye..aameen ya rabbul aalamin
  2. Assalamo alaikum... Bhaijan maine bhi is lanati gustakh ki video dekhi mujhe ek baat samajh aayi ke yeh sakhs har kisike mukhalif baate karta hai na yeh ahle sunnat wal jama'at se koi ta'alluk rakhta hai na yeh deobandi wahabi hai na yeh ahle hadees se hai na yeh khwuarji hai na hi ye rafzi hai ise jawab diya jaye to kis hawale se jab ko yeh kisi bhi firke ko nahi manta aur jaha tak sawal hai yeh gushtakhe sahaba r.a hai agar aapne gour kiya ho to isne apni website jo ki naam WWW.AHLESUNNATPAK.COM se bana rakhi hai halanki iska koi bhi ahle sunnat wal jama'at se koi ta'alluk nahi hai yeh sadaloh musalmano ko bahka raha hai ye jabki iska aqeeda ahle sunnat wal jama'at ke bar khilaf hai ab hume sada loh musalamano ke islah ki koshish karne hai unhe aise logo se bachana hai jo logo ka iman barbad kar rhe hai mai apni agli comment me hazarate amir muaviya r.a ki shan me kuch bahala ibaraten pesh karunga inshaallah..
  3. BARAYE MEHERBANI ISE PURA PADHE..TALAQ Ki 3 Qisme'n Hain. 1=> RAJ'EE رجعى 2=> BA'IN بائن 3=> MUGALLAZAH Raj'ee TALAQ Kya Hai.? Rajee TALAQ Ye Hai Ki Use Dene Ke Bad Biwi Faoran Nikah Se Bahar Nahi Hogi Balki iddat Guzarne Ke Bad Nikah Se Bahar Hogi, Aur iddat Ke Andar Wapas Lena Chahe To Le Sakta Hai Naye (New) Nikah Ki Bhi Zaroorat Nahi. (Talaq Ki iddat 3 Haiz/M.C. Aana Hai, Agar Haamelah (Pregnant) Hai To Bachcha Paida Hote Hi iddat Khatm Ho Gai Chahe Jab Paida Ho, Agar Nabligh Hai Ya 55-year's Se upar Hai Jise Haiz Na Aata Ho To in Dono Ke Liye iddat 3-Month Hai Chand Ki Tareekh Ke Hisab Se) Wazahat- Jo Log Ye Samajhte Hain Ki 1-TALAQ Rajee Hai Aur 2-Ba'in Wo Galti Par Hain, 1 Bhi Rajee Hai Aur 2 Bhi Rajee Hai, Matlab Jisse Bagair Naye Nikah Ke Rujoo Kiya Ja Sake Phir Se Use Nikah Ki Zaroorat Nahi.. Guzarish: TALAQ Ke Masayel Bahot Bareek Aur Ahem Hain Uske Liye Aap Fiqhe Hanfi Ki Urdu Me Mash'hoor Kitab Qanoone Shari'at Ya Bahare Shari'at Padhen Aur Ho Sake To Kisi Sunni Alim Ke Samne Padh Ke Samjhen Aur Ziydah Behtar Ye Hai Ki Aap TALAQ Ke Masayel Apne Rabte Ke Kisi Mustanad Sunni Hanfi Barelvi Aalime Deen Se Puchen, Mai Ne Hattle imkaan Koshish Ki Hai Ki Masle Ko Aasan Se Aasan Andaz Me Samjhaun Phir Bhi Koi Baat Samajh Me Na Aaye To Zaroor Kisi Sunni Aalim Se Rujoo Karen. Ba'in TALAQ Kya Hai.? Talaq Ki Dusri Qism Ba'in Hai, iska Matlab Ye Hai Ki Biwi Faoran Nikah Se Bahar Ho Jaye, Ab Agar Usi Biwi Ko Rakhna Hai To Naya (New) Nikah Naye Maher Ke Sath Karna Hoga, Agar Aurat Dusre Se Nikah Karna Chahe To Use iddat Puri Karni Hogi. Talaqe Ba'in Kaise Padti Hai.? Saaf Kahe Ki Mai Ne Tumhe Talaqe Ba'in Dee, Ya Gusse Ke Aalam Me Jaa, Chal, Nikal Rasta Naap, Ghar Khali Kar, Rawana Ho, Dafa Ho, Bistar Utha Wagerah Ye Sab Alfaaz TALAQ Ki Niyyat Se Kahe To Talaqe Ba'in Hogi. Agar Aurat TALAQ Chah Rahi Ho To Uspe Aisa Kaha Jaa, Chal Nikal, Ab Aisi Surat Me Ba'gair Niyyat Bhi TALAQE Ba'in WAAQE Hogi. MUGALLAZAH TALAQ Kya Hai.? TALAQ Ki Tisri Qism Mughallazah Hai, Yani 3-TALAQ Ab Chahe Eik Sath De Ya Alag Alag Ab is Surat Me Aurat Ko Wapas Rakhna Chahe To Bina Halalah Kiye Nahi Rakh Sakta. Wazahat- TALAQ Ke Saaf Alfaaz Kaha Jaise Tujhe Talaq Dee, 1 Ya 2 Baar Kaha To Ye TALAQE Raj'ee Hai, Aisi Surat Me Biwi Ko Wapas Rakhne Ke Liye Bosa Liya Ya Akele Me Mulaqat Ki Ya Kaha Mai Ne Tumhe Wapas Liya To Nikah Baqi Rahega. Han Behtar Hai Ki Jab WAPAS Lena Ho To Kam Az Kam 2 Gawah Zaroor Bana Le Ye Behtar Hai Aur Tohmaton Se Bachane Wala Hai. Aur Agar Wapas Na Lena Ho Chhodh Dena Ho To iddat Guzarne De Ab Wo Khud Bakhud Nikah Se Bahar Ho Jaygi. TALAQ Ki Qisme'n Malum Hone Ke Bad Ye Bhi Malum Karna Chahiye Ki TALAQ Diya Kaise Jaye.? Awwal To Be'wajhe Shar'ee TALAQ Dee Hi Na Jaye Lekin Jab Dena Ho To Behtar TARIQE Ko Apnaya Jaye, TALAQ Dene Ke 3-TARIQE Hain. => AHSAN (احسن) => HASAN (حسن) => BID'EE (بدعی) • TALAQE AHSAN (Sab Se Behtar TARIQAH) Haiz Ke Bad Paaki Ke Dinon Me Biwi Se Hambistari Na Kare Aur Eik TALAQ De Kar Chhod De, Iddat Puri Hone Par Biwi Khud Nikah Se Bahar Ho Jaygi.... Ab isme Option Ye Hai Ki Agar Usi Ko Rakhna Chahe To iddat Se Pehle Usse Rujoo Kare Ye Keh Kar Ki Tume Nikah Me Rakhta Hun, Ya Bosa (Kiss) Le Kar Ya Akele Me Mulaqat Kar Ke, Agar Iddat Puri Ho Gai To Ab Use Rakhna Chahta Hai To Biwi Se Naya (New) Nikah Naye Maher Par Kare, Agar Nahi Rakhna To Biwi Dusre Se Nikah Kar Sakti Hai. • TALAQE HASAN (Behtar, Theek) Ye Hai Ki Haiz Aane Ke Bad Paaki Wale Dino Me Bina Hambistari Kiye Eik TALAQ De, Phir Dusri Baar Haiz Aaya Phir Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Kiye Dusri TALAQ De, Tisri Baar Bhi Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Tisri TALAQ De, Ab Biwi Nikah Se Bahar Ho Gai, Agar Use Rakhna Ho To iddat Ke Bad Halalah Ke Bina Nahi Rakh Sakta. • TALAQE BID'EE (Bura Tariqah, Naya Tariqah) Ye Hai Ki Haiz Ki Halat Me TALAQ Dena, Ya Paaki Ke Dino Me 3-TALAQ EIK Sath Dena, Ya Paaki Ke Dino Me Sohbat Kiya Aur Phir TALAQ Dee. (ماخوذ از- کتب فقہ حنفی) Pehle Hum Ne TALAQ Ki Qisme'n Zikr Kee, Phir TALAQ Ka TARIQAH Bataya Jo Behtar TARIQAH Hai (TALAQE
  4. assalamo alaikum sabhi membran ko mujhe kuch puchhna hai baraye meherbani koi jawab dijiye.... mai kisi topic pe reply kyo nhi kar sakta

  5. assalamo alaikum.. abhi kich din pahele ek gair mukallid sahab se meri guftugoo hui wo mujhe batane lage takleed karna haram hai maine unse do sawal kiye lekin woh jawab dene ke bajaye gol mol baate karne lage mai samajh gaya ye makkar jahil hai aur abhi bhi mujhe mere sawal ka jawab nhi mila agar koi gair mukallid sahab mere sawal ka jawab dede to bhot meherbani hogi..

×
×
  • Create New...