Jump to content

alSaifiya

اراکین
  • کل پوسٹس

    300
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    10

alSaifiya last won the day on 16 اگست 2019

alSaifiya had the most liked content!

About alSaifiya

  • Birthday 20/01/1990

Contact Methods

Profile Information

  • مقام
    Jhelum ,Pakistan

تازہ ترین ناظرین

5,477 profile views

alSaifiya's Achievements

Community Regular

Community Regular (8/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

6

کمیونٹی میں شہرت

2

Community Answers

  1. maira sawal hai mny har ek say poucha aur daikha hai kay saifi hazrat nay na kabbi giyarween de hai na hazrat ghousy pak ke shan mn mehfil ke hai jo wali hai woh giyarween b dyta hai aur mehfil b krwata hai.

  2. aur ek aur cheez adab se naam len Peer Saif ur Rehman Mubarik sahib keh ke baat kren wo ek bohot Bare sufi thi aur Allah ke wali thay . unke bare mein kisi aise se puchen jo unhen jante hen ya ilam rakhte hen . BANDA NA CHEEZ NE AISE SHARIYAT AUR TAREEQAT KE PABAND AUR AISE BULAND MUQAAM SUFI AAJ KE DOR MEIN NAHIN DEKHE YA SUNE ..
  3. asalam o alaikum sorry for the late reply main ab active nahin hota forum pe kher MUBARIK SAHAB SE UNKI ZAHIRI HAYAAT MEIN JAB PUCHA GEYA THA TO AAP NE FARMAYA KE MAIN HAZRAT MUJADID ALIF SANI REHMATULLAH ALYEH KE TABEH HUN AUR JAB WO FARMATE HEN KE GHOUS PAAK SE BARH KE KOI WALI NAHIN HO SAKTA TO MAIN KESE YEH SOCH SAKTA HUN . aur rahi Ghous Paak ke qadam Mubarik wali baat to shayad aap ke ilam mein nahin ke is mein sufiya ke do moqaf hen ek group maanta hai ke Ghous e Paak ka qadam mubarik aapke dor ke awliya ki gardano pe tha jo ke ek mashahoor waqiya hai jis mein awliya Allah ko kashaf ke zariye dikhaya tha ke Ghous paak sab se afzal hen aapka Qadam sab awliya ki gardano pe hai . to iske baare mein ek group kehta hai ke qayamat tak ke awliya ki gardano pe aapka Qadam Mubarik hai aur dusra kehta hai ke sirf jo unke dor ke awliya thay unki gardan mubarik ke liye hukum tha . is mein ikhtilaaf hai lekin hum sab Saifi Qadri silsila bhi follow krte hen aur is ke asbaaq bhi krtay hen is nisbat se hum sab Ghous e paak ke mureed hen . yeh sab cheezen ab purani aur bemaine hen jinki koi haqeeqat nahin lets move on aur un saifi sahab ko bolen apne main astaane lahore faqeerabaad se ruju kren aapki in sha Allah islah ho gi ..
  4. bohot khoob bhai jaan . ek mashwarah hai ke jab aap sikha rahay hain to tutorials mein Tasaveer ka bhi stemaal karen takeh parhnay walon ko samjhnay mein asani ho jaye .. JazakAllah
  5. Glorious Quran Online learning & raeding

    University Name; Equran

    Website Name; http://equranonline.net

    LIMITED TIME OFFER

    We are offering a very special package of 15 GB Pounds/25 US Dollars Hady per month for our Introduction and Promotion.

    Cell no; 03234111019

    Director

    Miss Sobia Ali

    Note: If you have already studied Holy Quran...

  6. Parh kar bohot khushi hui aur dil ko taskeen pohanchi . Baraye Meharbani Arabi aur Asal Fatway ka scan page upload kar den takeh hum dono Arabi aur apkay translation walay fatway ko apnay pass save kar len .
  7. Asalam O Alaikum Aap sab se ek guzarish hai ke yeh book ya isi tarah ki ek book mujhay chahiye online agar muyasir ho to mujhay link de dijiye : http://books.google.com/books?id=Zo84Xg6zAxIC&lpg=PT1&pg=PT1#v=onepage&q&f=false jitni jaldi ho sakay behtar ho ga kiyunkeh mujhay is tarah ki book ki bohot zaroorat hai ..
  8. 1- Kis ko dekha ye Moosa(AS) se poochay koi Aankh waalon ki himmat py lakhon salam bhai jaan yeh to bohot simple hai is mein Aala Hazrat ne Hazrat Musa Alyehi Salam ka Koh e Toor ka Waqiya aur Nabi Kareem Salalaho Alyehi Wasalam Ke Shab e Miraaj mein Allah Azwajal ke Didaar ki taraf ishara kiya hai . Hazrat Musa Alyehi Salam ne Jab Allah Azzwajal se Arz ki ke Maula Mujhay apna Didaar Ataa farma to Allah Azwajal ne Farmaya ke Musa Alyehi Salam Aap mujhay nahin dekh saktay aur phir farmaya ke us pahar ki taraf dekhiye Phir Allah Azwajal ne Apni Tajali Pahar par farmyi to woh Pash Pash ho geya aur Hazrat Musa Alyehi Salam Behosh ho gaye . Ulama ne Farmaya hai ke Yeh Allah Azwajal ki Sifati Tajali ka Asar tha jis ki Taab Hazrat Musa Alyehi Salam na la sakay aur Behosh ho gaye . Jabkeh Humaray Pyare Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ko Allah ne woh Shaan Ata farmayi ke Aapko Arsh pe Bulwa ke Apnay Didar ka Sharaf Bakhsha aur Humaray Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ne Apni Ankhon Mubarik se Allah Azwajal ka Deedar kiya . Isi Liye Aala Hazrat Rehmatullah Alyeh ne Farmaya Kisko dekha yeh Musa Alyehi Salam se Poochay koi Ankh Walon ki Himat pe Lakhon Salam. Doosray ka Mujhay nahin maloom . Wallah o Taala Aalam Wa Rasuloh Aalam Azzwajal Wa Salalaho Alyehi Wasalam .
  9. Behna . System ko on karnay ke baad f2 press karain bios system mein enter ho kar down key press karain aur " chasis detection or intrusion " ke option pe aa kay Right arrow key ko press karain jisko press karnay se is ke options change hongey ab aapko is mein Disable ko select kar den aur ESC key ko press karain system restart ho ga to yeh Error chala jaye ga agar phir bhi error aye to inform karain . Dukan pe bhaijain gi to woh itnay chotay se kaam ke liye 100 200 mang le ga . Behtar hai khud karain ...
  10. Yaar kya ho geya hai hum logon ko . Khudara kisi pe Ilzam laganay se pehlay poori Tehqiq kiya karo aisay Dalil ki binah pe aap ne unko Ek Kazzab ka Mureed qarar diya , Bhai Jaan Plz ainda aisay na kijiye ga . Kya Aap Jantay hain Buhtaan bandhna kitna bada Gunah hai ?
  11. alSaifiya

    Ask Mufti Service Close Ho Gayi

    Aslam o Alaikum Bhaion aap sab se ek guzarish hai ke jitnay bhi members hain woh apna online source yahan share karen jahan se woh Fatwa waghairah hasil kartay hain . Kiyunkeh Abhi Ask Mufti service bhi band ho gayi hai aisay mein Audio aur Written Fatwa hasil karnay mein dushwari hoti hai aur kayi masail mein Kam Ilami ki wajah se dushwari hoti hai lihaza aap sab se guzarish hai ke jis ko bhi jo Ahle Sunnat Wal Jammat ki Sahih Websites pata hain woh yahan Share karen. JazzakAllah.
×
×
  • Create New...