Jump to content

لیڈر بورڈ

مشہور مواد

Showing content with the highest reputation on 24/11/2019 in all areas

  1. awwalan sab say pahli baat tu yeh hai ... keh imam hasan nay qatil ka naam bataya hi nahi jesa ke kutub main mojod hai ... qurtbi aik morrikh hain morrikh ko jo waaqiyat milte hen woh naqal kardete hen. tahqeq karna un ka kaam nahi hota .. ab us ke kuch arsa bad ka hi waqiya lai lain yazeed ki maut ka kisi bhi morrikh nay aisi wajah nahi likhi jis par sab nay ittefaq kya ho.. hadith ki tarah is main asmae rijal nahi hotay .. lakin jab khud imam hassan nay hi qatil ka naam nahi bataya .. tu baqi sab morrikho ke ya tu qayasat hain ya phir unhain is tarah ke waqiyat mile hen .. aur inhonay bagair tahqeq ke byan kardya .. kunke un ka maqsood tarekh main sihah e sittah likhna nahi hota jo baat ,maloom howi unhain byan karna hota hai..phir morrikh ne jo likha hai woh yeh bhi zaroori nahi keh is ka moqqaf hoo kunke tarekh me zaeef qaol bhi hote hen... agar waqayi ap ko zehar ap ki biwi nay dya hai tu tu is baray main bhi wazih saboot nahi hai keh hazrat ameer e mowiyah ke ima par hi howa hai ... warna imam hussain radi ALLAHOTALA Anho jab karabala main yazeed aur us ke rafeeqo ki muzammat karsakte hen tu imam hassan ke qatilo ko aap ne be niqab kyon nahi kya ...hadith main hai jo burai dekehe usay hath say rokay zuban say rokay tu karabala main aap ne hath say bhi roka zaban say bhi roka lakin yahan taqiyah ki kya hikmat posheda thhi ? yakenan jawab wahi hai keh imam hassan nay qatil ka nam hi nahi bataya .. tu imam hussain mahaz zann ki buniyad par kisi be gunah par ilzam kyon rakhte... jab ke yahan tu yeh bhi sabot nahi keh imam hussain ke zann say yeh baat guzri hoo keh ameer mowiyah ki wajah hazrat hassan shahed howe hen ... hussainiat imam hussain ke naam par ronay petne ya nachne ka naam nahi balke hussinayat imam hussain ki taleemat wa sabar jo ap ne karbala ke medan main thame rakha us ko nibahne ka naam hai .................. zamukhshari ahlesunnat ka nahi hai muatazli hai.. tafseer kashaf ka mutala zara gaur say karlete tu yeh qayas ma al fariq aap say na hota ..... ansari tilmasani bhi morrikh hai aur morrikh ke baray maine wazahat kardi hai... .......... aik aur mudahaka khaiz baat yeh hai koi bhi hawla 500 sanh hijri say pahle yani awail ke door ka nahi hai yeh sari kitabain 500 saal baad jo tareekh likhi jayeegi un ke hain.. woh bhi in wojohat ke hotay howee manna ? jo hum nay byan kardi....
    1 point
×
×
  • Create New...