Jump to content

Shareef Raza

ںاظم اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    1,494
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    22

سب کچھ Shareef Raza نے پوسٹ کیا

  1. janab shaid nazeer .. sab say pahle yeh batain biddat ki behas aap kis hawale say karrthe hen ? lugwi hawale se ya ...? hadith ke hawale se agar lugwi hawale se b karrhe hen tu lughat men is ki kisam nikalti hai...aur lugat main balke imam shafai ibne hajar takreban muhdesen wa fuqha nay khud is ki do qismain ki hain aur hadith say tu jo hadith maine paish ki isse hasana ka saboot milta hai aap sirf yeh batain hasana ap ke nazdek jaiz hai ya nahi ? agar nahi tu phir net par tableghi kam bhi tu najaiz howana?,.... aur biddat keh mutaliq ap ne sirf iqtibas paish kya hai jis ka poora iqtibas humare member nay day dya ...aur aap aik hi baat ko pakar kar rah gaye hen... khair aap ne chalaki ka lafz jo istimal kya hai woh ap par hi fit araha hai kunke aap ne is bar bhi jawab gaul karnee ki koshish ki hai... ya muhammadah(bahi) nay jo hadith paish ki us ka jawab kafil nay nahi dya hai balke aik hadith ki tashreeh ki aur woh bhi imam jasas ki taqleed main tu aap tu yahan muqalid hokar apne maslak say bhi gayeee.samne ap ko khud ko bachana hai na keh is dalel ko apna kar apna khud hi dam main phansna hai.... main tu bar bar aap ko bachane ki kosish karta hoon lakin ...aaap khud apni mudhika khaiz harkatoo ke bais phans rahe hen... ab mujhe yeh batain ...mere sawalat ke jawabat kun nahi diye jarahe ......ap ke ulma ko lanay ka is liye kaha keh aap logon say behas ho nahi parahi bar bar aik hi baat karrhe hen ....mujhe un sab ka sirf quran hadith say hawala chahye bus............... .......signuture main aap nay tabrra kya hai AHLESUNNAT Wal jamat par aur aise signuture ki hum yahan ijazat nahi dai sakte..(jo log khud quran wa hadith ke khilaf hon aur quran wa hadith ke nam par apni chalain).. balke signuture tu yoon hona chahye thha " humari khud ki fiqh hai hum khud hi apne imam hain hum wahabi gumrah hain gumrah hen"............agr hadith par amal hota tu hadith e ureena aur hadith e aisha ka naam sun kar aag kun lag gayi isi liye kaha jaraha hai ab woh mor agya hai keh aap apne baroo ko laoo..warna aap ki daal galee gi nahi ............ ..............acha aik aur chota sa sawal hazrat umar nay jo acchi biddat kaha hai us par aap apne ulma ka fatwa in par bhi wahi lain jo brelvi par latain yahan agar takhses ki jarahi tu kun???? phir taraweeh ki 20 rakat main un ki perwi kun nahi ki jati? .. aur janab is main gussa karne ki koi baat nahi aap ne yeh thread apni ana ka masala bana dya hai ... lakin hum INSHALLAH azawajal aap ko aina dikha kar hi rahinge.. ....aur kafeel ji aap ko kya ilham howa hai ke shahid ko fatah howi hai .. ya aap apne liye Ilm e gaib ke qail hain ...qareen gawah hen aap ne humari taraf se kisi sawal ko claer nahi kya han aik do par wahi koshish ki hai jis main ap ke ulma nay apni sari umar lagadi lakin us ka bhi pol hum nay khol dya INSHALLAH Azawajal yahan aap seekh jaynge daleel kya hoti dawa kya hota hai ...
  2. MASHALLAH Azawajal jawab tu khair abhi bhi nahi dya aur man sanna wali hadith dosri replay main thhi jab ke baat kya chal rahi hai woh b ap ko nahi maloom bari mushkil say aap apna ulma say is ka poch kar laye tu ageh aur sawal hogaye aap se.... biddat e hasana isee hi tu kahte hen .............jo aap ne hadith paish ki adhi naqal karain ya poori .. lakin sabit tu wahi biddat e hasana horahi haina aap ki bat aap par hi sabit horahi jawab tu ap ne aik qoute ka dene ki koshish ki hai lihaza yahoodio wali misal kis par sadiq ati hai yeh ap ke samne he ... khair ALLAH Tala ki shan dekhen aap hi ke MUNH se sach bulwayalya hai... ise kahte hen jadoo woh hai jo sarh char kar bolain ... ab tu maan lain hadith bhi yehi kahrahi hai keh islam men acha tareeqa raij hosakta hai... ...aur haan aaj keh baad aap bhi koi ayat adhi na share kijyea ga na koi hadith .... kunke yeh adat tu aap hi ki hai maine mafhoom samjhanay keh liye itna jumla code kya ... lakin aap nay poori hadith paish kar ke khud apne maslak par sitam dhaya hai... ab aageh ageh dekhte jayen ..time bohat kam rah gya hai aap keh Dasso bandoo nay airhi choti ka zaur lagalya hai lakin ALLAH azawajal ke karam se aik bhi sawal ka jawab nahi dya ...
  3. Janab kafeeel jo imam muhammad ki kitab se hawala dya hai scan pages send karain aap ko bharpoor jawab dya jata hai ....aur bees rakat wali jitni riwayat he sath hi in ka zaeef wa mozo hona b sabit karain... awwalan tu sabit karna aik alag amar hai lakin aap ko quran wa hadith se hi hawala dena hoga humain darmyan main aap ki behas nahi chaye ifham wa tafheem ke liye hum aap ki taqleed nahi karsaktee...aur na hi aap asmae rijal ka sahara lain...
  4. Wahabiya Nay Phir Jawab Goal Kardya hai (AstagfiruLLAH Azawajal) Janab Aap Ki post mukammal Parh kar hi mene jawab likha hai aur isi liye code me yeh hadith likhi jisse biddat e hasana ka saboot milta hai... biddate sayyea waqai mana hai ab sahaba ka jo hawala dai rahe hen woh b tu aap ke khilaf hi haina aap khud chahrhe hen mee deep men ja jakar ap ko aap ki galtyan bataoo woh maslihat ki bina par hai aur yeh ? aur phir joo apne tashreeh ki hai tu maine tu pahle hi ka thha sare sawal ka jawab quran hadith se ho main kisi ki nahi sunoonga aap se (kunke jo imam o ko galyan deta hai aur daleel abubkar jasas jo keh sahafi hen un ki deta hai sharam karni chahye ap ko) jab khud sakhta imam nahi man gharat fiqh nahi tu tashreeh main aap ne ahkam ul quran ki taqleed kyon ki? kya taqleed sirf un 4 aima ki mana hai ibne taymmiyah ki mana nahi hai....khair neche huimare aik islami bahi nay asani ke liye woh hadith bhi paish ki jin ka main ziker karrha thha us me tu hazrat umar nay kaha yeh kya achi biddat hai ? tu hazrat umar aur hamara qaul same howa ya nahi lafz biddat galat nahi balke biddate sayyea ghalat hai aur jo hadtith byan ki yeh mutlaq hai ya muqayyed ? mutlaq wa muqayed ki ap ke nazdek kya hasiyat hai? warna bukhari main jo hadith ureena hai us bare e ap kya moqqaf rakhte hen ? aur kutta agar bartan main chat lai tu 7 bar doho is baray main janab ka kya moqqaf hai aur umm ol momenen hazrat aisha siddeqa nay jo baligh ki razat ka sabit kya hai us baray main aap kis taraf jatay hain agar umm ol momenen ke moqqaf par tu degar sahaba aur degar umomo momenen say ikhtilaf kyon? sab quran wa hadith hi say sabit karain ........ .......jab quran wa hadith humain samjh nahi aati tu yahaan aap kya karne ayen hen ? aap ko ijazat dene ka maqsad kya hai aap islah ke liye ayen hen ya fitna phelane ke liye? gandi naali aur is tarah keh jo alfaz hai... in se parheez karain aap ki nisabi kutub me hoga humain yeh parhaya nahi jata ... main aap ko akhri bar warning deta hoon dosre forums par kam karne ke kuch adab hote hen... aur hum ne apne members ko control kya hai keh woh b aisi languge na use karain...aap khud sochain agar hum ijazat dai dain tu yeh loog aap ka kya haal karainge.. aap ne yahan qadam rakha hai yeh tu humari wusate qalbi hai...warna kitne wahabi ayee kitne wahabi gaye ....har aik kisi na kisi post main phans jata hai aur ap ke sath yehi ab hum karrhe hen tu aap cheekh rahe hen ... ..........jab munazra hota hai tu dalel di jati hai agr aap meri baat ka jawab nahi dete tu matlab yeh howa quran wa hadith aap ke paas nahi aap ki tu hum sunne se rahe ab kuch hi ghante rah gaye hen yeh topic par humari bohat behasain hochuki hai aur ALHUMDULLAH Sab clear hain... ..............hanif qureshi wale munazre men galyan nahi di gayi balke un ki galtoon par samjhaya gya hai...
  5. ....................... ............................ ................. ..............
  6. JANAB Biddat par jo mawad ikhtta kya hai... yeh us waqt hum par hawi hota jab hum biddate sayeea ke qail hote aap yeh jawab dain aap jo khud ko ahle hadith kahlwate hen aur hadith ke naam par apni man mani fiqh chalate hen aur phir hadith ke silsile me osol e hadith asmae rijal ka sahara lete hen kya is ka saboot quran wa hadith se lasakte hen biddat tu ye b howa ? phir is ke ilawa sahab e karam ne jitni deni muamlat me changing ki un par bhi ilzam warid hoga jo huzoor nay nahi farmai tu kya mazALLAH sahaba bhi is hadith ke zumre me ayenge? mazeed yeh keh jo net par aap apna tableeghi kaam karrhe hen ? kya quran wa hadith say sabit hai ? agar nahi tu sab biddat hi howa na tu aap humain biddati kahrhay hain zara gaur karain apne phelay jaal main khud hi phansh rahay hen .... note pahle in sawal ko clear karain aur dosri baat yahan durust languge use karain galyan aur bazari guftugoo aap ke idaroo main raaij hoogi... ajeeb baat hai .dawa karte hen keh humare yahan sirf qala ALLAHO Aur Qala Rasol ALLAH ki awazain Buland hoti hai aur guftugoo itni low qulity ki yeh mera akhri sawal he kya hadith se aisi ijazat milti hai ke huzoor ne aur shaba nay galyaoon aur tana tashneeh say kaam lya hoo. bare karam apne aur apne mutalqen keh haal par raham karain aur galat tareeqoo say apni baat ko sabit karne ki koshish na karain... mujhe sirf quran wa hadith se jawab matloob hai degar sorat mai ap ka koi jawab qabile qabool nahi hoga maine pahle hi kahdya hai
  7. Janab sabz imama ke jawaz par ulmae ahlseunnat ne kafi books wa mazameen raqam kye hen .... in main se kuch paish karta hoon, aap yahaan download karlijye... naiz is topic ko shoro karne ki hajat nahi thhi..... na hi yeh aisa sawal hai jisse Ahlesunnat wal jamat ke aquid wa nazrayat par koi harf ata hai ............khair aik osool note karlain jawaz par dalel ki zaroorat nahi howa karti jo ke di jarahi balke adam e jawaz par daleel ki zaroorat hoti hai.... aap ko sabit karna chahye ke huzoor alihisalam ne sabz imamamay se mana kya hai ke sabz imama pehanna haram hai warna is tarah keh tawahumat se kuch istidlal nahi hosakta... sabz imamay ka jawaz Sabz Imama Ki Barkaton Sy Kazaab Jal Uthy Sabz Imama Deobandion Wahabion Ki Pareshani aur aap ki ittelah k liye wazahat kardi jati hai keh yeh topic IM par clear hochuka hai Mulahaza karlain... Sabz Imama Jaiz Hai (Book Needed) .................................................... topic clear hochuka hai is liye close kya jarha hai...... .....................................................
  8. MASHALLAH Azawajal be tukke aitrazat karne men geer muqaliden khoob apni taraf se koshih ki ,ALHUMDULLAH Azawajal jawab dene men Ahlesunnat wal jamat ka palla bhari raha isi par yeh topic close kya jata hai, kunke arsa guzar gya hai jawab nahi dya jarha hai aur is ki bajaye fazool alfaz bari ki jarahi hai gair muqaleeden ki taraf se khoob tafseer bir raye ki jarahi hai jis ki ijazat na shairyat deti hai na humara forum,,,aur har munazra aur behas ka osol hai agar samne wala dalel ya aitraz ka jawab na de aur wahi apni guftogo jarhi rakhe tu us ki har tasleem karke faisla us k haqq men dya jata hai jis ne dalail dye hoo. har topic ki tarah is topic men b dalail ki kasrat ahlesunnat hi ki tarf se hen ,aur akhir me toheedi bahi aap ka be had shukariya aap ne tuheed ka sahi mafhoom aam kya,
  9. holi ki mithai ko ganeemat mene kab kaha ? aap ne meri tehreer ko gaur se parha nahi ... aur na hi alahazrat ki tehreer ko , us men likha hai us waqt nahi khasakte , bad men khana tu yeh khana holi ka kahan howa? kunke us waqt holi horahi hai us waqt holi k hisab se bata jata hai ab maal agar jaiz nahi hota yani kafi ka mal sire se jaiz hi nahi hota tu ganeemat kun halal hai, agar kafir ka maal free men mile tu is khane men kya harj hai ? aur alahazrat ne tu un k jalso ki ronaq barhane ka b mana kya hai...aur in k muamlat men jahan muslamanoo ka faida dekha gya hai wahan ijazat di hai kya aap ne hadith nahi parhi k(mafhoom) nasranioo se hikayat lo agar is men humare khilaf na hoo... jo keh aap aksar tafaseer men israili riwayat ko dekhte honge ...tu janab hadith men tafakur ke liye gehrai ki zaroorat hai...is k ilawa baqi misailin maine day di hen
  10. sorry yeh mere sawalat ka jawab nahi ,aap ki taraf se yeh baat wazih hochuki hai k jawabat ki bajaye baat ko ghumakar ahlehadith ka diffa karna ...jo ke rulez k khilaf hai ......... Olya e karam k fazail quran wa hadith se sabit hain quran men jo beshtar waqiyat hen maslan hazrat mariyum ki karamat hazrat asaf barkhya ki karamat is k ilawa anbiya ki karmat kya aap ke nazdek quran pak ki yeh aayat b hujjat nahi????????????aur hadith men b jo ap k aqeede k khilaf ho us ko nahi manoo ge? aur yeh inkar kesa?
  11. aap ko kafiroo ki mithai par aitraz hai zara aap sihaah e sittah kutub men kitab ul jihad ka mutalla farmalain ...yahan alahazrat ne maal e mozi naseeb e gazi ka jo jumla farmaya hai ahadith se is ki wazahat hojati hai, kya kuffar k male ganimat us waqt halal nahi thhe aur phir aap ye b wazhat kardain aap k nazdeek hindustan k kuffar kaun hain? harbi ya zimni dono sortoon main daleel dain... aur isi nukte par daraul harb men sood b jaiz hai jokeh hadith se sabit hai keh muslim wa kafir harbi keh darmyan sood nahi batayee, jab imam ul anbia khud farmarahe hen k in keh darmyan sood nahi tu yeh mithai kahan se agayi, kya aaj kal k kafir muslim mumalik men tax dete hen ? aur in ko kya kahte hen wazahat farmain... aur chonkeh aap tu hadith ke zahir par amal karte hen isi roshni men yeh b batain jihad e fee zamana keh bare men aap ka kya moqqaf hai? aur taliban aur al-qaida k mutaliq b wazahat karain k aap in se kis had tak ittefaq karte hen ke yeh islami tareeqa hai ya nahi? aur sawat men korre walay waqiye pr b nazar farmain.. keh ap ki kya rayee he. aur fi zamana rajm k baree men aap ka kya moqqaf hai hadith men rajm aur koro ka hukum wazih hai.......fi zamna yeh sab pakistan ya india ya degar kisi mulk me hone ko aap jaiz qarar dete hen agar haan tu phir is ki nashr o ishaat kun nahi karte hen ilm ko chupana kesa?
  12. main sirf hawale par baat nahi karrha men in sawalo ki baat karrha hoon agar yeh hawala ap ko ganiyatul talibeen men nahi milta ? tu ye ap ke molvio ke tarjuma ki khayanat hai warna aap poori ganiyatul talibeen send karsakte daleel dawa karne wale par hoti hai kya nahi aap ne suna AL BAYANATUL MUDDAI WAL YAMEEN U MAN ANKARA ....
  13. zara sath me is ka hashya b parh lijye murad kuffar hai ...aur yeh sawal pahle b karchuka hoon ke kuffar k khilaf jo ayat guzri hai un ko muslamnoo par muntabiq karna kesa hai? aur jo fazail par ayat hai olya Anbia wa olya ki tu kya ap un ka inkar karte hen?
  14. note mere har sawal ka jawab aik hai wazih karayn kese jab k aap ka kam hi yehi hai apne maslak se aitrazat ko dor karna ....dosri bat aap ne sirf tafseer e samarqandi par ittefaq kya hai kun aur ahlesunnat ki degar tafaseer ka hawala dain mere har sawal ka jawab dain... kunke jawab hi se post ki wazahat hosakeegi .............
  15. note yeh ,mere sawalat ka jawab nahi ... ibarat ka hawala dy dya gya hai .............
  16. yeh ayat mushreeken k bare men hai ya muslamno k bare men wazahat karain? firqa kharjia ka b yehi aqeeda thha k muslamn musrik hen phir sahaba ne un ki kun mukhalfat ki? kya sahaba ki mukhalfat men aap shia se ittefaq karte hen? aur jo ayat shuhda k fazail aur ALLAH Tala k anbia aur olya ki shan men nazil hoi woh kya quran men dakhil nahi ? agar aap taweel karte hen tu kis ki taqleed men karte hen agar khud karte hen tu quran se ya apni raye agar apni raye se tu yeh qyas na howa woh b quran men? jab ke hadith men apni raye se quran men kahne wale par waeed mojod hai... aisi kitne maqamat par aap apni tashreeh karte hen? kya mohadisen ki jamat yeh kam karti thhin jinhain ahle hadith kaha jata hai bar bar aima salf ka ap ziker karte hen keh yeh ahlehadith thhe tu kya aap un ki taqleed nahi karte ? barae karam in sab sawal k jawab dain aap ko tanbeeh ki jati mozo se hat kar koi bat na karain dosri bat k liye alag mozo start karain kunke aap k group k hazrat jitne b topic start karte hen un men kisi ko b abhi tak claer nahi karpaye? is liye agar ap claer nhi karsakte tu muazrat karlain... k hum quran a hadith k bare guftugo k ahal nahi...
  17. chonkeh ap khud ko hadith ka ahal kahte hen tu yeh haq ap ka zayda banta hai k quran wa hadith ki roshni men yeh khidmat anjam daker wahi ki qismain wazih karain ... yahan jo ap istidlal karrhe hen....... hadith men yeh kahan hai k huzoor ko ilm nahi .. warna quran pak ki jo ayate mubarka hai jis men hazrat mosa alihisalam se pocha gya hai .. ke ayee mosa tumhare hath me kya hai kya MAZALLAH ALLAH Azawajal ko b nahi pata aap ne hadith ke zahir se istidlal nahi kya balke qayasan masla sabit kya hai jo k quran se takra raha hai aur qyas ki ap ko ijazat nahi barae karam ahtyat se kam lain jazbat men baghair soche samjhe tasub men aisi post karna aur hadith ka ghalat mahmal byan karna andhi taqleed kahlata hai .... lihaza galat qayas aur andhi taqleed jo ap ahlesunnat par thop te hen jab aap apni marzi se quran wa hadith parainge tu aisi hi galtyan karainge ALLAH TALA se dua hai k woh humain yahood o nasara ki tarah apni marzi teri kitab ko parhne walo k shar se bachaye aameen....
  18. is post men wazhat matloob hai aur sath hi jo hashya laga hota hai usse shan e nozol b paish karain... shafa'at ke bare men aap ka kya aqeda hai? wazih karain..shoroe islam men jo firqe muatzila aur kharjia zahir howen un se aap kis had tak ittefaq karte hen is ko b wazih kare... ...apna moqqaf quran wa hadith se sabit karain ke yeh ayat ka jo tarjuma kya gya hai ghalat hai jesa k ap ka moqqaf hai... zimnan is men agar koi logvi galti nazar arahi hai tu woh b batadain ke tarjuma durust kese nahi hai min zanbika ki wazahat karain.... abhi itne sawal kafi hain....INSHALLAH Azawajal mazeed b kye jayenge ...
  19. Is Replay Ka Abhi tak nahi dya gya jo ke mouwahid aur YALLAH MADAD aur degar wahabies gair muqaliden se kye gen thhe .......................... note in sab k jawabat matloob hai ....................... http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=134
  20. janab huzoor gaus e pak ki kitab se yeh b sabit kardain k biddatio se kaun murad hai ? aur ahlehadis murad kaun hai... ahlehadith muhadisen ki jamat ko kahte hen jinho ne ilme hadith sikhne me arsa lagaya ho aur is ki sharait osol ki kitab men mojod hen jin ki ap taqleed karte hen , kya aap ki jamat men yeh khososiyat hai ? post par kisi hawale ko ap ne galat sabit nahi kya ? aur ganiyatul taliben se hawala dene se yeh sabit hota hai aap degar irshadat se muttafiq hen? jab yeh pahlo b mukammal howa tu isse sabit yehi hota hai kitab men aur is post ki roshni me biddati kaun sabit howa? kya aap har hadith par amal karte hen hadith e ureena ke bare men ap ka kya moqqaf hai jo bukhari shareef men hai? aur bologat men raza`at k bare men ap ka moqqaf kya hai hazrat aisha sidiqa wala ya degar umm ol mumene wala? halakeh bukhari men hadith mojod he kya ilme osol e hadith ki perwi karna taqled hai ? nahi tu quran wa hadith se sabit kijye ? kharji firqe ki tarekh aur in ke aqauid aur najd k bare men hadith se tashrehat aur kitab ul tuhed ke bare men moqaf wazih karain... naiz ibne wahab najdi k bare men moqaf b wazih karain... note: in sab sawalat k jawabat dena lazmi hen aap k gruop ke jitne b member hen koi b jawab deta hi nahi agar dosri thread men jawab ki koshish b ki jati hai tu sirf aik line par aisa kun? aur humare aqaiud par jitni hadith e sahiha hen un ke bare men ap kese rad karte hen kya hadith se? defeniation karte hen kun? kya yeh quran wa hadith k khilaf nahi ye apna qayas nahi ? aur agar apne ulma ki raye pesh karte hen tu kya yeh taqleed nahi .. aur aap ki saari kitaboo men jahan jahan logvi tareefat ayi hen ya apni ara ayi hen kya yeh quran wa hadith se sabit hen agar yeh sab nahi tu ahlehadith kahlane ki ap haqdar hen zara tafakur karain ... ...taqleed e urfi aur haqeeqi men kya faraq he ,? quran wa hadith se sabit karain..? halakeh aap logo ko shaikh zubair wa degar ki full support hai ... aur akhri sawal nasir ul bani aur ibne taymiah aur ap ke degar aima k bare men apne ulma ki dastakat karwain aur phir un se likhwain k hum in ki taqled nahi karte na hi in ki sari batain mante hen sirf in ki woh batain jo quran hadith e saiha se sabit ho warna degar batoon k jurm me in par wahi ilzam lazim ayeega jo degar jamat aur osol ki kutub k hawale se majrooh afrad par ata hai ... umaid itne sawalat kafi honge...note in sawalat k jawabat mukammal aur tasalli bakhs na dene ki sorat me aap k maslak par kya ilzam warid hosakta hai woh ap ko qabol hoga aur wahi ap ka b moqqaf hoga kun aap apne takhayul men haqq ki jang larre hen is liye is muamle ko clear krna zaroori hai ,isi liye ap yahan ate hen replays aur post karte hen ..
×
×
  • Create New...