Jump to content

kashi

اراکین
  • کل پوسٹس

    3
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About kashi

kashi's Achievements

Newbie

Newbie (1/14)

  • First Post
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Muhtram baat yeh hai ki jinn muffaasreen karram ka main hawala doon ga woo app kay liay qabilay qubool nai hoon gay aur jinn kaa app nay dia hai unn par main aankhain band kar kay aitbaar nai kar saktaa so iss tarhaa baat barti jai gi aur hamaishaa chalti rahay gi jaisay chooda soo saall say chalti aa rai hai, jiss ayat ka hawalla app nay fatway ki roo say dia hai sirf chand ulmaa kay kehnay par aik jaleelul qadar hasti kay imaan ka faisla sunnaa dainaa............haalankay ayat ka matan bhi koi qatai daleel nazar nai aati jabkay suraa Alay Imran ki ayat 6 ki roo say agar imanay abu talib ko saaqit kia jai to sirf matan ki roo say( NaoozbiAllha)naboowat SAAW main shak paida honnay ka ,kia andaishaa nai hoota? Rahi baat mufassreen ki janab to sirf aik hasti ka naam laitaa hoon app unn ki fazzeelat aur un ka namm nasab apnay ulma say poochiay gaa phir main app ko unn ka musaddiqa hawala baad main paish kar doon ga abhi sirf naam(Hazrat Imam Jaffar Saadiq) bin Imam Baqir bin Imam Zainulabideen bin Imam Hussain bin Hazrat Imam Ali RA)to sahib yeh hai wo hasti jo iss ayat ki muffassar hai baqi app pay hai kay chahay to Ahlay Bait ki tafseer ko sahi maan lain yaa deegar amm ulmaa ki?.................... Muhtram yeh behas khatam nai hoo sakti kuinkay yeh Shanay Nubowat ko bashar manwanay ki saazish ki aik kari hai kay agar agar Mutalabi deen Huq saabit hoo gia to Noor Nabi SAAW saabit hoota hai Kuinkay noor ka ka zahoor hamaisha rub pak aur mutahir salboon say hi hua karta hai kafiir jaisay napaak sulboon say nahi, Jiss hasti ka main nay zikar kia hai ussi kay baray main Ala Hazrat Rehmatulla nai hi kaha (bacha bachaa noor ka )to yeh ussi noori gharaanay ka noori farzand hai daikhna yeh hai kay app kiss ki baat ko ziada huq samajhtay hain noor ki ya ghairay noor ki?agar samjhain to main hawala paish karoon......
  2. (salamuhtara)Muhtram bratharanay islam hamaray nazdeek kissi bhi muamlay main sab say pehlay Quran ki taraf rujooh karna chahiay aur uss kay baad hadees aur doosray zariay aatay hain iss liay guzaarish hai kay app pehlay Quran say koi hawala dijiaay imanay Hazraty Abu Talib Ra kay liay chand Qurani hawallon par ghoore kijiaay 1.(tarjama auyat)muamneen ahle iman ko choore kar kaafiroon ko apna rafeeq aur doost hargiz na banain jo aissa karay ga uss ka Allhaa say koi taalluq nahin,haan yeh muaaff hai kay tum unn kay zulm say bachnay kay liay bazaahir aissa tarzay amal ikhtiaar karoo.(Sura Allay Imran)(ayat 28. iss ayat kay baad app kia samajhtay hain kay Allha kay iss hukam say Hazoor Mubarra hain Aur unhoon nay Ilaanay nuboowat kay baad dass saal tak aik kaffir ko apna rafeeq ko apna rafeeq banayy rakhaa aur unn say madad maangtay rahay?aur iss kaafir say iss qadar piar tha kay unn ki waffat ka saal ko AAmul HUZAN(gham ka saal)qarar dia. 2.Iss baat par sabhi muttafiq hain kay Hazrat Abu Talib RA nay HAZOOR ki khidmat ki aur "WAFFA'' ki to Quran main Ishabay Kahaf ka qissa majood hai jiss main inn Asshaab kay saath aik kuttay ka bhi zikar maujood hai,Kutta aik nijaas janwar hai ,magar tamam tafaaseer main yeh baat maujood hai kay Allha uss kuttay ko janat main daakhil karay ga .kuin? kuinkay uss nay chand Rahay huq kay mutlaashi afraad ka saath dia bawajood unn kay marnay kay uss ki iss ''WAFFA'' kay badlay main Allha ussay janat main daakhil karay ga .yaad rahay kay yeh Ashaabay kahaf koi masoom Nabi nahin hain too muhtram soochna yeh hai kay agar aik nijass jaanwar, kuch aam affrad joo Allha ki talaash main niklay thay unn kay saath waffaa kar kay janat main jaa saktaa hai too tareekh kia SHEBEY ABI TALIB kay teen saal bhool gai. 3.(tarjma ayat)aur jab hum nay tumhain yateem paia puss ham nay tumhari prwarisk nahin ki?Sura Ad-Dhuha(ayat .6) muhtaram ghoore kijiaay hazratay Imran RA iss parwarish ko wo apni parwarish qarar day raha hai.?? Janabay muhtaram yeh to hain kuch qurani ayaat joo aqal wallon kay liay buhat barri nishaani hain agar inn par bhi app ki tashaffi na hoo too phir majbooran mujhay Hzrat Abu Bakkar RA ki woo mubarakbaad ka hawwala daina parray ga jo unhoon nay wisaalay Abu Talib RA say kuch dair pehlay HAZOOR ko di ###### SALAATO WASSLAMO ALEEKA YA RASOOL ALLHA WA ALLAY HI RASOOL ALLHA.
  3. As Salamo Alaykum, meri nihiyat adab kay sath mufti sahib say guzarish hai kay huq ki baat bata daini chahiay khas kar agar koi sail swaal karay aur app ilm wallay hoon too... janab imanay Harat Abu talib RA kay baaray main sab say pehlay app kay liay aik sawal choore daitta hoon ki hum har dam SARKAR SWAAW ki muhbat main madha khawaan rehtay hain aur Naatoon kay zariay qaseeday partay hain ,Kia app nay kabhi iss baat par ghoore kia kay kainaat main Khudaa aur frishtoon kay baad sab say pehlay kiss nay naat parhi ,kiss nay insanoon main sab say pehlay SARKAR SWAAW ki naat parhi aur ajtak koi aissa qaseedhaa parh hi nai paia yahan tak kay uss hasti nay jo huq ka qassedhaa parhaa woo pehlay parhaa ALLHA nay unn ki aayat hoo bahoo baad main naazil kar di ,to janab izzat maab mufti sahib say guzaarish hai kay agar uss hasti ko nai jantay tay sirf itna kahoon ga kay DEEWAN-E-ABUTALIB kahin say dhoondiay aur phir aggay soochiay iss kay ilaawa agar QURAN O HADEES ki rooshni chahiay iss mamlay main too iss kam ilm jahil banda ko huakm kar dijiaay ga joo bun para charaagh hi ki soorat main khud jal jai ga
×
×
  • Create New...