Jump to content

sweetload

اراکین
  • کل پوسٹس

    8
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About sweetload

sweetload's Achievements

Rookie

Rookie (2/14)

  • First Post
  • Conversation Starter
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Janab Mufti Sahab, Assalm-o-Alaikum, Mujhey aap sey kuch sawalat poochney hain jo key merey liye bohot important hain aur main kisi aur ko nahi pooch sakti Masla ye hay keh Jab main apney shohar(husband) ke qareeb hoti hoon ya wo merey qareeb aatey hain ya body ke kisi bhi hissey per touch kertey hain to mera pani discharge ho jata hey. Kabhi ziada aur kabhi thora sa hi geela pan hota hey. Merey Sawalat ye hain keh, 1. Kya is tarha khud sey discharge honey per ghusal FARZ ho jata hey?Jabkeh mera is taraf bilkul khayal na tha. 2. Agar din main 3 ya 4 bar aisa ho to kya her bar ghusal FARZ ho ga? 3. Sardi k mosam main bar bar ghusal kerney sey meri tabiat kafi kharab ho jato hey aur nazla, flu, etc. ho jata hey, is ka koi asan hal ho to bata dain? 4. Kya sirf wazu ker ke koi namaz ya WAZEEFA perh liya jaey to ada ho jaey ga? Please mujhey in sawalon k jawabat jaldi send karain main kafi pareshan hoon. Aap ki bohot mehrbani hogi. ALLAH HAFIZ Mrs. Anwar
  2. Janab Sunni Defender Sahab, Thanks for the reply, Bhai, Main facebook use nahi kerta aur na hi mujhey wahan per kisi ko message kerney ka tareeqa pata hey. Please koi asaan tareqa batain aur koi address dain ta key main wahan khud ja sakoon. JAZAK ALLAH Muhammed Anwar
  3. Janab Sunni Defender Sahab, Main Karachi main Jama Cloth Market near Hazrat Alam Shah Bukhari R.A. ke mazaar k paas rehta hoon. Please ye bhi bata dejiye ga keh library ki timings kya hian aur kya wo un 8 ya 10 books ko dekhna allow kerain gay? Thanks ALLAH HAFIZ Muhammed Anwar
  4. Janab Usman Sahab aur Mustafaye Sahab Aap Ka bohot Shukria, Asla main wo in ibarat ko gustakhana maan chuka hey, magar usey original books dekhni hain. Ab ye batain keh wo kin madrason main mil sakti hain aur kya itni aasani sey hum ja ker dekh saktey hain ? kyun key merey khayal main ye kafi qeemti books hain sab k liye. Doosra ye keh aksar members scan pages lagatey hain gustakhi waley, to yaqeenan un k pas original books hongi? to kya wo thori der k liye dikha saktey hain? ALLAH HAFIZ Muhammed Anwar
  5. Janab Sunni Defender Bhai, , Aap ki bohot mehrbani keh aap ney itna waqt diya aur reply kya. Magar merey bhai main shayad apney sawal main apni bat sahi samjha nahi saka. Hamari sunni barailviyon ki websites k links to merey pas bhi hain magar meri demand ya request merey sawal main ye thi keh Un khabees logon ki website sey hi wo kufria aqaaid wali books chahiyen yani merey dost ka kehna hey keh sunni sites per jo deogandiyon ki books hain wo website owners ney edited ki hain (ye ilzam hey ) magar wo yehi kehta hey keh ya to deogandiyon ki websites sey wo kufria aqaaid dikhao ya real books dikhao. I think ab aap meri request samajh gaey hongey, Agar ho sakey to koi link un kii website ka ya original books kisi bhai k pas hon to main thori dair sirf dekh ker wapis ker doon ga........... Muhammed Anwar
  6. Meri tamam islami bhaiyon sey request hey key Deogandyon ney jo gustakhyan apni books main ki hain, kya wo tamam books kisi deogandi site per without edited original gustakhi k saath mojood hain? Agar hain to please us ka link bata dain. Ya kisi bhai k pas original books mojood hain? kya main usey physically dekh sakta hoon? Asal main aik dost ko ye sab original dekhna hey key reall main un logon ney aisi kufria ibarat books main likhi theen. Taa key wo sahi maslak per aa sakey. Please help me in this matter. I will be thankful to you. Muhammed Anwar
  7. Janab Islami Brothers, I am still waiting from Mufti Sahab or Aalim to reply my questions, Asal main ye sawal mujhey kisi DeoGandi ney kya tha, main khud sey is ka jawab nahi dey saka is liye kisi Aalim sey poochna behter samjha, magar ab tak koi reply nahi hey. Us ka israr hey key jawab jald diya jaey. Please is ka jawab ya wazahat mujhey jald day dain ta ke main us ko jawab dey sakoon. Muhammed Anwar [email protected]
  8. Janab Mufti Sahab, Merey kuch sawalaat hain Kanzul Iman K ey Translation key barey main, Main nay hamesha yehi tarjuma parha hey jo key ab tak Urdu tarjumon main sab sey best hey. Sawal ye hai keh shayad meri naqis aqal Alahazrat Imam Ahmed Raza Khan ke tarjumey main kuch alfaaz ka meaning samajh nahi saki aur mujhey is ki wazahat chahiye, Main khud bhi yehi urdu tarjuma parhta hoon. Chand batain mujhey aap sey poochni hain is tarjuma key hawaley sey. Details ye hain. 1. Sura Tehreem Ayat No. 4 ka tarjuma hey "Nabi ki donoon bibiyon agar ALLAH ki taraf tum rujuu karo to zaroor tumharey dil rah sey kuch hatt gaey hain" Is tarjuma main mujhey Ummuhatul Mumineen ki shan main kuch harsh words use kiye huey lagtey hain aur kaha gaya hey keh, tumharey dil rah sey kuch hat gaey hain,,,,, konsi rah? means seedhi raah jo Nabi Kareem ki rah thi? us rah sey un do bibiyon key dil kuch hat gaey??? it means GHALAT rah per chaley gaey they????? Is ka jawab inayat ker dain. Is main hey keh Agar tum ALLAH ki taraf rujuu karo to tumharey dil rah sey kuch hat gaey hain......yahan per lafz "to" izaafi lagta hey aur is sey meanings badal jatey hain yani ye matlab hua keh Unhon ney ALLAh ki taraf rujuu kya to un key dil rah sey kuch hat gaey??????? Kya ye printing ki ghalti hey ya ............ Q 2. Isi tarha Sura Ahzaab ki Ayat No. 43 ka tarjuma hey "Wohi hey keh darood bhejta hey tum per aur uskey farishtey keh tumhain andheron sey ujaley ki taraf nikalain". Ye baat Nabi Kareem ko kahi ja rahi hey to kya ye maani liya jaey ga keh Nabi Kareem , Nauzu Billah andheron main they aur ALLAH aur Farishton ney unhain Darood bhej ker Ujaley ki taraf nikala???????? Please is ko clear ker dain. Q 3. Isi tarha Sura Bani Israel Ayat No. 74 tarjuma "Agar hum tumhain sabit qadam na rakhtey to qareeb that keh tum un ki taraf kuch thora sa jhuktey aur aisa hota to hum tum ko duni umer aur do chand mot ka maza detey ... aur agli do ayat ka tarjuma ....... Sawal ye hey keh ye bat Nabi Kareem ko kahi gai hey to kya wo kufaar ki taraf thora sa jhuk saktey they??? do chand mot ka matlab? aur itni hard language use ki gai hey agli ayat main to kya ye sahi hey?........ please is ka bhi jawab dain. Aap ka bohot qeemti waqt liya us k liye maazrat aur aapka bohot shukria, Mujhey jawabat ka intizar rahey ga. Muhammed Anwar
×
×
  • Create New...