Jump to content

Talinenoor

Under Observation
  • کل پوسٹس

    278
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Talinenoor نے پوسٹ کیا

  1. Talinenoor

    Allah ke saath Shirek

    Asslamoalaikum 2 all muslims,
  2. Talinenoor

    Shirek ki Haqeeqat

    Asslamoalaikum 2 all muslims,
  3. App se guzarish hai ke bara-e-maherbani unn Aayaat ki nishan'dahi ker dain jo aap ke motabiq Sahih Bukhari main galat daraj hain. Iss baat ka kissi ilzam se koi taluq nahin. Siref aap ne aik baat ki hai to uss ke hawale darkar hain ta'k tehqeeq ki ja sake.
  4. Khalil Rana sahib aap pehle yeh tasleem to kijie ke Ahmed Raza Khan sahib ki ibaraton main kufria aur shirkia alfaaz mojood hain aur unhon ne kufria alfaaz bolne walon ki hamayet ker rakhi hai. Yeh saare mutalibe mujh se hi kion...? Mazeed taveelat ke to aap log maahir hain hi. Aap chahen to Mirza Qadiani ko bhi uss ki kufria ibaraton se barri kerwa lain. Aap ke lie kia mushkil hai. Baqi hamare nazdeek jo maamla hai baar baar bian kia ja chukka hai. Aap ki tasalli ke liye kahe deta hoon ke Shah Wali-Ullah ki kuch books main be'shak shirkia ibaraten pai jaati hain. Tsawuf ke rang main jo aqaed jis ne bhi kahe hain uss ka yehi haal hua hai. Lahaza aap apnon ki fiker karen jin ke naam per aap ne barelvi mazhab ijaad ker rakha hai. Jo doosron per to fatwe baazi main bohat aage hain aur mager jab apni baari aati hai to inn ko saari taveelat yaad aa jati hain. Hamare liye wohi aqeeda kaafi hai jis per salaf saleheen rahe. Aur unn main se kissi ke aise falsafiana aqeede nahin the. Allah hamen tasub se bacha ker Quran-o-Sunnet per amal kerne ki tofeeq de. Aameen.
  5. Khalil Rana sahib Rafa-Yaden aur Traweh wale topic per mera moaqaf complete hai. Aap ki bila'daleel baton ke mere paas jawab nahin. Mazeed yeh ke aap ne khud ger-mutaliqa baton ke to jawab de rakhe hain aur jo asli dalael bante hain un ko chera tak nahin. Baher haal jaise bhi hai woh sab ke samne hai. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen.
  6. Asslamoalaikum 2 all muslims, Main ne aik waqia Ahmed Raza Khan sahib ka bian kia hua naqal kia tha jis main unhon ne qaber ka tawaf kerne wale faqeer ki hamayet ker rakhi thi aur uss ke iss tawaf wale amal per koi radd nahin ker rakha tha. Ya Muhammadah sahib ne aik fatwa Ahmed Raza Khan sahib ka naqal kia hai jis main unhon ne Tawaf-e-qaber ko haram likha hai. Iss se to mazeed yeh baat sabit hoti hai ke Khan sahib aik taraf to Tawaf-e-qaber ko haram kehte hain aur doosri taraf aise waqiat naqal kerte hain jin se aise amaal jaez aur mubah maloom hote hain. Yeh waisa hi hai jaise Mirza Qadiani ke ager nabuwat ke dawe naqal kie jaen to uss ke muqable main Mirzai hazrat Mirza ki woh ibaraten paish karen jin main uss ne khud Nabuwat ke dawede ko kufer aur nea Nabi aane ko galat qarar de rakha hai. wasalam
  7. Asslamoalaikum 2 all muslims, Saeedi sahib aaap ne aik bhi baat un kufria baton ke motaliq nahin kahi jin ke hawale main de aaya hoon. Main ne likha tha ke jis ko Ahlehadees ke khilaaf likhna ho woh alag thread bana le. Jahan tak taluq hai inn kitabon ka to aap sabit karen ke ham ne kabhi inn ka namm bhi lia ho. Hamare nazdeek koi barre se barra bhi galti ker sakta hai. Issi liye ham ne kabhi in cheezon ki dawet hi nahin di. Jab aap khud maante hain ke ham apne Ulma ki taraf dawet nahin dete to phir ham per aisi baten paish kerne ka bhi koi maani nahin banta. Aap zara yeh to bata dijie ke kia aqeeda Ulma ki ibarat se sekkha jata hai. Aap ke nazdeek to aqeede ke liye khaber-e-wahid bhi hujjat nahin. Aur doosri taraf Ulma ke shaz aqawal se aqaed sabit ker rahe hain. Anwar sahib se kahoon ga ke yeh aap ke Yousaf Raza Gailani sahib jo aik khanqa ke Makhdoom bhi hain, ne bhi Pakistan ke adde America ko de rakhe hain zara iss per bhi roshni daaliye. Yeh cheezen galat hain mager kia iss sab se Ahmed Raza barri ho jaen ge...? Saeedi sahib, Main kehta hoon ke achi baat hai saamne laie aisi tamam kufria aur shirkia baten chahe Ahlehadees kehlane wala ho ya Barelvi. Ta'k log uss se bach saken. Yeh baat to hamara moaqaf hi sabit kerti hai k yeh baad wale Ulama ki kitabon main galat slat bohat si baten hain. Jin ko radd kerna chahiye. Issi tarah main ne Deewan-e-Muhammadi ke jo Kufra ashaar likhe hain unn per aap ke kiss aalim ne garifet ki hai zara woh bhi bata dain ulta uss ka difa ker rakha hai. Hamare kam az kam kiisi aalim ne inn kitabon per ager koi aitraaz saamne aaya ho to uss ka difa nahin kia jis ka matlab yehi hai k ham uss aitraaz ko tasleem kerte hain. Yehi baat hamare aur aap ke dermian faraq hai.... Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen.
  8. anwar200 sahib, Aap se guzarish hai ke apni baton ko daleel se saabit karen. Zubani baten kerna bohat aasaan hai. Aap ne jitne bhji ilzam Ahlehadees per lagae hain un ka saboot muhaia karen. Mazeed yeh ke uss ke liye aap ke paas aik new thread start kerne ka option mojood hai. Aap ki saari baat sawae gusse ke izhaar ke koi maani nahin rakhti. Mager khali gusse se kissi baat ko sabit nahin kia ja sakta. Main ne suna hai, Aise likha hai, Uss ne kaha hai, jaisi baton ki koi wuqat nahin. jitni baat bhi kerni hi daleel se karen. Warna aisi cheezon ko sawae aap ke tasub ke aur kia kaha ja sakta hai. Allah hadayat de, Aameen.
  9. Asslamoalaikum 2 all muslims, Saeedi sahib main ne pehle bhi kaha tha ke jis ne Ahlehadees ke khilaaf likhna hai to apni alag thread bana lain. Yahan per aap zara Ahmed Raza Khan sahib ki baton ka jawab dain. Jahan tak taluq aap ke sawal ka hai to Ahlehadees ke nazdeek Karamat Aulia se mumkin hai mager iss per ikhtiar hona sabit nahin. Issi tarah kissi baat ka zahir ho jana aur baat hai aur yeh baat ke woh jab chahe koi baat maloom ker lae yeh alag baat hai. Kissi baat ke zahir hone main uss ke sahih ya galat donon ka ihtimaal hota hai. Baher'haal yeh alag mozoo hai
  10. Asslamoalikum 2 all muslims, Saeedi sahib main to pehle hi wazeh ailaan ker chukka hoon k koi Ahlehadees kehlane wala ho ya Ahlesunnet. Galat baat jo bhi kare ga galat hi rahe gi. Baqi aap ne kaha ke ham yeh apne ulma ko bulate hain ya unn ki kitaben chaapte hain to bhai hamara saaf ailaan bhi mojood hai ke jo galat baat ki nishaandahi kare ga ham uss se wazeh biraat ka izhaar kerte hain. Mazeedc aap sabit kijie ke main ne unn bandon ka kabhi naam bhi lia ho jin ke hawale aap mujh per pesh ke rahe hain...? Aap se bhi hamara aur koi to mutaliba nahin bal'k yehi hai ke Ahmed Raza Khan sahib ki aur doosre jin logon ko aap ne apna barra maan rakha hai aur jin ki kitabon main shirkia aur kufria baten mojood hain unn se biraat ka izhaar ker dain. Asool ki baat hai k hujjat ke tor per doosre per wohi book pesh ki ja sakti hai jiss ko woh maanta ho. Misaal ke tor per main ne Tazkira-Gosia ka koi hawala pesh nahin kia, kion'k aap log uss se biraat ka izhaar ker chukke hain. Phir ham per woh kitaben kion pesh ki ja rahi hain jin ke likhne walon tak se koi aik bhi aam Ahlehadees waqif nahin. Main wazeh tor per ailaan kerta hoon ke aap ne jo do books batai hain unn main aisi shirkia baten hone ki wajah se ham inn se biraat ka izhaar kerte hain aur inn ke likhne walon se bhi. Mazeed yeh ke inn kitabon main shirek samne aa jane se Ahmed Raza Khan apni unn kufria aur shirkia baton se kaise barri hon ge jin se unn ki kitaben bhari parri hain. Aap se bhi guzarish hai k Ahmed Raza aur uss ke perokaron ki shirkia aur Kufria baton se biraat ka izhaar ker dain. Allah aur uss ke Rasool s.a.w. ki ittiba aur attaat ko thaam lijie. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen.
  11. Barelviat ke motaliq mazeed molahiza karen: Book "Dewaan-e-Muhammadi" ka title aur iss ka taruf peeche guzer chukka hai.
  12. Asslamoalaikum 2 all muslims, Umar Taj Attari says: "Wah jee Talinor jab dosre mozo pe jawab nai aya to rahe farar ikhtiyar karte hue naye scan post kar diye agar mai ka lal hai to purana topic clear karne k baad naya shuro kiya kar." Janab main ne yeh thread ke start main hi likha tha ke main iss main Barelviat ke motaliq likhoon ga. Lahaza main ussi per kaam ker raha hoon. Baqi aap ka yeh farmana ka aik topic ko clear kerne ke baad doosra start keroon to yeh fazool baat hai. Aap apne jawabi post kerte rahen sab ke saamne haqeeqat aa jae gi. Bahes barae bahes ka to faeda koi nahin. Ghulam E Mustafa says: "talinenoor aghar app already Mujra lafz ka humare book say saboot dai chukay hein tu woh dobara post karne ki zehmat kar lain aur jab tak aik topic per baat khatam nahi hoo jati dosry topics ko start karna fazool hai. Aur yeh app ki ghalat fehmi hai ky app ne Mujra lafz ka matlab humari book say post kiya hai." Janab main ne yeh kahan kaha hai ke main ne mujra lafaz ka aap ki book se matlab dikhaya hai. Main ne to yeh kaha hai ke main ne aap barelvi hazrat ki book "Ibarat-e-Ikaber ka tehqeeqi-o-tanqeedi Jaeza" se yeh baat dikhai hai ke aise alfaz main lugvi maani ki bahes hi fazool hai. iss baat ki tafseel ooper iss topic ke 1st page main guzer chukki hai wahan hi dekh lain. Mazeed main ne yeh likha tha ke jis kissi ko bhi Mujra lafaz per koi aitraz nahin aur uss ke nazdeek yeh lafaz barra acha hai to apni bahen, beti ya maa ke saath yeh lafaz mansoob ker ke dikha de. Apne gher walon ke liye to aisa ganda lafaz istimaal kerte jaan jati hai aur Bait-Ullah aur Aresh Azeem ke liye istimaal kia ja raha hai.
×
×
  • Create New...