Jump to content

Talinenoor

Under Observation
  • کل پوسٹس

    278
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Talinenoor نے پوسٹ کیا

  1. Asslamoalaikum 2 all muslims, Mujre ki lugvi bahes khud aap logon ke nazdeek fazool hai. Main iss ki wazahet aap logon hi ki book ke hawale se ker chukka hoon lahaza aik hi baat baar baar kerne se kuch faeda nahin. Raha Molvi Ghulam Rasool Maher wala waqia to awal tor per aap uss ko meri tarah scan ke saath naqal karen. Doosra jo baat aap ne likhi hai uss main bhi yeh kahan per hai k Molvi Ghulam Rasool sahib ne apni aankhon se usse zina kerte dekha ya woh uss ke paas hazir ya nazir the. ussi waqie main alfaz mojood hain k woh aurat 3 din chokidar ke gher main rahi. Main kehta hoon ke Molvi sahib ne yeh baat issi khaber ki buniad per kahi ke woh zina ker raha hai. Iss ka aik qareena yeh bhi hai ke molvi sahib ne teesre rez yeh baat kahi ager molvi sahib hazir nazir hote ya unn ko pehle se dekh rahe hote to pehle din hi pakar lete. Yeh waqia jo aap ne bhi likha hai uss main bhi woh baat door door tak nahin jo aap sabit kerna chahte hain. Iss ke muqable main Ahmed Raza Khan sahib ke waqie main woh tamam baten mojood hain jin per aitraaz hai. Palang per Peer sahib ka khud hona. Aur mureed se kissi bhi waqat peer ka juda na hona. Baqi mazeed abhi barelvi aqaed ka bian jari hai. Meethe Meethe bian ko zaroor molahiza karen:
  2. Asslamoalaikum 2 all muslims, Ya Muhammada, Allah tum logon ko hadayet de. Aap ne siref pehle hawale ke ulte seddhe jawab dene ki koshish ki hai. MashaAllah kia aap ka istidlal hai. Khair aap ne jo bhi ulte seedhe jawab dene ki koshish ki hai uss ka nateeja yeh nikala hai: Phir wahabi bila dair kiye zara apny imaan ka phir se muhasba kar lein or foran ye tasurraat bak dalein... in ayat or ahadees se pata chala ki hum GM ke nazdeek :- Katiben kiramein har waqt hum wahabi ke saath hai or humary ehwal or waqyat se waqif hai. GM jab apni biwi ke saath humbistri karta hai to tab bhi ye farishty humary saath hoty hain or sab kuch mulahiza karty hain.. Hum wahabi ko chahiye ki hum apni biwiyon se hum bistri band kar dein ki farishto ke mushahidy se Dayyoos ban jany ka khatra hai. Jawab:. 1) Farishton per Ahkam-e-Shara lagoo hi nahin hote. Woh to Allah ki aisi makhlooq hain jo siref woh kaam kerti hain jo Allah unn ko hukam de. Aap bhi aisi hadees ya ayet dikha dain k peer sahib mureed ke paas hazir hone ke liye Allah ki taraf se mukalif hain. Zara Nabi s.a.w. ki hayat-e-mubarika ka hi jaeza lain. Jhan Nabi s.a.w. ki masjid ko saaf kerne wali ki wafat per bhi Nabi s.a.w. ko khaber na ho saki aur baad main uss ki qaber per ja ker doosra janaza aap s.a.w. ne parrha. 2) Farishton per qiyas ker ke jin per daleel qaem hai apne peer sahib per qiyas kerna aisa hi hai jaise aaj kissi Aurat ker bin Nikaah bacha ho jae aur woh iss per Hazrat Mariam A.S. ke waqie ko daleel banae. 3) Rahi aap ki hadees k momin Allah ke noor ki faraset se dekhta hai. Awal to iss ka poora hawala dain. Doosra farasat se dekhna kia yeh hota hai ke jo Khan sahib bian kerte hain woh kuch dekhta hai. Khan sahib ne jo waqia bian ker rakha hai uss ke motabiq daleel dain. Khalil Rana sahib se zara poochain aap ke nazdeek to aqaed main khaber-e-wahid bhi hujjat nahin aur yahan Khan sahib ke diffa ke liye qiyas se aqaed sabit kie ja rahe hain, Subhan Allah. --------------------------------------------------------------------------------- Khalil Rana sahib aap achi tarah jaante hain ke main deobandi nahin hoon. Raha mere side main hanfi likha hona to iss se bhi deobandi hona ya barelvi hona to nahin nikalta. Kia aap ke khayal main barelvi, deobandi ke elawa hanfi hai hi nahin. Khair aap isse badal ker jo ger-muqalid ker dain ya woh mazhab likh dain jo 4th sadi se pehle tha. Baqi zara khud khan sahib ki ibarat k Goas ke bagair zameen-oAsman qaem nahin reh sakte molahiza karen aur apne dalael dekhen. Rana sahib zameen-o-Asman to tab bhi qaem the jab Allah ne Adam A.s. ko bhi peda nahin kia tha. Allah aap ko hadayet de. Mazedd falan ne kaha tha falan ne nahin ka koi taluq Ahmed Raza Khan sahib ko nahin bacha sakta. Kion k woh bator istidlal yeh aqwal naqal ker rahe hain. Lahaza fazool istidlalat se perhez karen. Mazeed yeh ke aik do hawale ke ulte seedhe jawab se kuch hasil nahin. Zara baqi janib bhi dekhie. Allah ham sab ko hadayet de, Aameen.
  3. Malfoozat ka title ooper de chukka hoon. Lhaza aage jo bhi Malfoozat ke hawale iss thraed main aayen ge uss ke main siref pages ke scans lagaon ga.
  4. Asslamoalikum 2 all muslims Koi Barelvi kehlane wala bhai iss thread ko dekh ker gusse se iss main Deobandion ya Ahlehadeeson ki books k galat hawale na lagae. Jis ko Ahlehadees ya Deobandion ke khilaf issi tarah ka kaam kerna hai woh alag se apna thread bana le. Haan jo hawale iss thread main barelvi books k hawale se die ja rahe hain unn ki apne tor per wazahet kerna chahta hai to shoq se wazahet de. Jahan per meri koi galti saamne aayi main galti tasleem ker ke rajoo ker loon ga. Apni galti per datte rehne se kahin behter yeh hai k haq ko khule dil se tasleem ker lia jae. Allah ham sab ko samajhne ki tofeeq de, Aameen.
  5. Asslamoalikum 2 all muslims, Khalil Rana sahib, main ne jo mazmoon pesh kia hai woh Hafiz Zubair Ali Zai sahib ka hi hai. Main ne iss ko apne naam se hergiz pesh nahin kia. Bal'k mazmoon main siref Hafiz Zubair Ali Zai sahib ka naam nahin hai aur yeh koi barri baat nahin. Galat tab hota jab main yeh kehta k yeh main ne likha hai. Doosra aap ki bechargi zahir hai. Hafiz Zubair Ali Zai sahib ne sabit kia hai k 8 rikat taraweeh hi sunnet hai. aur uss per jo Ahadees pesh ki hai bilkul sahih hain. Aap k bila'daleel zaeef kehne se to Eesa bin Jaria zaeef nahin ban sakta. Hafiz Zubair Ali Zainsahib ne isse jamhoor k nazdeek siqqa sabit kia hai. Jisse aap baari khoobsoorti se chupa gae hain. Iss k moqable main aap logon k paas aik bhi hadees sahih mojood nahin jo yeh sabit kare k taraweeh 20 rikaat hai. Iss baat ka aap ko khud bhi pata hai k aap k paas koi sahih hadees mojood nahin. Issi liye barri bechargi se fermaia k mursel aap k nazdeek hujjet hai. Aap k nazdeek mozoo aur jhooti rawaet bhi apne matlab k liye qabool keren to main kia ker sakta hoon. Parrhne walon se kehna hai k mursel munqata rawet hoti hai jo jamhoor k nazdeek zaeef hi hai. Khalil Rana sahib mursel ko hujjet banane ki baat aap log na hi karen to behter hai werna main yahan per woh mursel rawaiaat bian ker sakta hoon jin ko aap kabhi nahin manen ge. Lahaza koi sahih hadees ho to pesh karen werna logon ko bewaqoof banana chor dain. Wasalam
  6. Talinenoor

    Masla Rikat-e-Taraweeh

    Asslamoalaikum 2 all muslims, RafaYaden ke masle per aik tafseeli mazmoon kuch arsa pehle iss forum per post kia tha. Molahiza karen: http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...ic=3542&hl= Abb aik mufasil mazmoon Taraweeh k silsile main pesh-e-khidmet hai.
  7. Asslamoalikum 2 all muslims, Janab Khalil Rana Sahib, Aap ne Sahih Muslim ki hadees ka tarjuma kerte hue hue lafaz likhe hain "beech aam namaz ke". Aap se poochna hai k yeh aam ka lafaz hadees main kahan per hai? Apna man'chaha matlab nikalne k liye tehreef to na karen. Kion'k hadees main to aam ya khaas ki qaid hergiz mojood nahin. Baqi raha aap ka yeh man'gharrat falsafa k shumes woh ghora hota hai jo dum ko aise hilata hai k badan bhi saath herket kare to iss falsafe ko daleel se wazeh karen. Mazeed yeh bhi bata dain k ager RafaYaden aise kia jae k haath uthae jaen aur phir sakoon hone per Rakoo k liye jhuka jae to phir to aap ka falsafa bhi fail ho jae ga. Phir aap ka yeh falsafa iss liye bhi fail hai k kissi aik sahabi ne bhi iss hadees se yeh matlab akhez nahin kia. Unn se badastoor RafaYaden kerna sabit hain Nabi s.a.w. ke baad bhi jis k beshumaar dalael main apne tafseeli mazmoon main de aaya hoon. Doosra Muslim ki jo doosri hadees hai uss main saaf wazahet hai k yeh salam k waqat hath ka ishara tha jisse dekh ker aap ne shumes ghore ki tashbeeh di. Khud insaaf se bataie kia uss halat main aap ka yeh man'gharrat falsafa chal sakta hai. Aema Hadees Imam Bukhari, Imam Navavi, Hafiz Ibn-e-Hajer Usqulani jaise mutqadimeen muhadiseen ne iss per sakhet jirah ker rakhi hai jo iss hadees se Rakoo wale RafaYaden ki daleel leta hai. Lahaza aap se guzarish hai k apne istidlal ko dalael se muratib karen werna ham aap ki man'maani tehreef aur tashreeh manane ke mukalif nahin. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen. Parrhne walon se guzarish hai k mere tafseeli mazmoon main iss hadees ka jo tafseeli jawab kai aik dalael k saath dia gaya hai aur sabit kia gaya hai k iss hadees ka taluq Rakoo wale RafaYaden k saath hergiz nahin bal'k salam k waqat k saath hai ko zaroor molahiza karen. Phir khud faisla karen k kia itne dalael k baad bhi aise kissi man'gharrat falsafe ki gunjaesh baqi rehti hai. http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...ic=3542&hl=
  8. Asslamoalikum 2 all muslims, Syedna Ibn-e-Masood R.A. ki jo Hadees RafaYaden k khilaaf pesh ki jati hai woh hergiz sahih nahin bal'k zaeef hai aur khud ahnaf k bhi khilaaf hai. Yeh baat main apne tafseeli mazmoon main bian ker chukka hoon. Lakin abhi coon'k phir issi hadees ko pesh kia ja raha hai to dibara siref issi hadees ki wazahet dobara de raha hoon. umeed kerta hoon parrhne wale insaaf k saath faisla karen ge. Baqi jis ne tafseel se RafaYaden k dalael aur iss k khilaaf pesh hone wale shub'haat ki wazahet dekhni ho woh molahiza kare: http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...ic=3542&hl=
  9. Asslamoalikum 2 all muslims, Main dobara iss forum per nahin aaya. Kion'k itna waqat dastiab nahin k apna time regular idher de sakoon. Achanak iss forum per aana hua to iss topic ko dekh ker socha k iss mozoo per jo meri thread hai uss ko bhi share ker doon ta'k sab k saamne donon pehloo rahen. Jahan tak taluq hai aap k mutalibe ka k main koi aisi hadees pesh keroon jis main {yeh sabit ho ke Huzoor (sallalahu alaihe wassalam) ne apne wisaal mubarik tak Rafah Yadain farmaya ?} Iss silsile main do baten arez hain: 1) Nabi s.a.w ka RafaYaden kerna aap logon ko bhi tasleem hai. Iss k baad aap logon ka dawa yeh hai k Nabi s.a.w. ne Rakoo wale RafaYaden se mana ker dia tha. Iss dawe ki daleel aap k zimme hai. Hmare nazdeek jab RafaYaden se mana ya iss ka mansookh hona sabit nahin to yehi nabi s.a.w ki sunnet hai. 2) Ahnaf shuroo namaz main, witer main qanoot se pehle aur Eid ki namaz main RafaYaden kerte hain. Aap se mutaliba hai k woh hadees pesh karen jis main inn jaghon per RafaYaden kerna Nabi s.a.w. se aakhir tak saabit ho. Jab inn jaghon per aisi kissi daleel ko aap pesh nahin ker sakte bal'k bas Ahadees main saboot ka baad inn ki mana na hone ki wajah se hi inhen Nabi s.a.w. ki sunnet maante hain to phir Rakoo wale RafaYaden k liye yeh alag sharet kion....? wasalam
  10. Asslamoalikum 2 all muslims, Kaafi arsa pehle idher aik tafseeli mazmoon RafYaden k topic per post kia tha jis ka abhi bhi koi jawab sahih tor per mojood nahin. Parrhne walon se guzarish hai k molahiza karen: http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...ic=3542&hl=
  11. Sag-e-Attar sahib aap ki iss khana poori se kuch saabit hone wala nahin. Na siref juz-al-Mafqood ka saboot shubhaat se pur hai bal'k uss ki ahadees khud apas main mukhtalif hain. Phir aap iss se kia sabit ker sakte hain. Allah aap ko hadayat de. Apne aqeede ke asbaat k liye aap ko kaise kaise kamzor saharon ki zaroorat parr rahi hai. Alhamdulillah hamen apne aqeede k asbaat k liye koi cheez gharrne ki zaroorat nahin. khud aap ke muhaqaq ko kitni jaga tasleem hai k yeh nuskha nadir hai aur galtion se bharpoor hai phir iss per aqeeda k baab main aitmaad zulam nahin to kia hai. Wasalam
  12. Asslamoalaikum 2 all muslims, Ya-Mohammadah, kia aap ke nazdeek shuroo namaz wala RafaYaden faraz ya wajib hai? Ya uss ke bagair namaz nahin hoti? Ajeeb baat hai shuroo namaz wale, witwr wale aur Eiden ki zaed tekbeeraat wale RafaYaden main to aisi koi sharat yaad nahin aati. mager Rakoo wale RafaYaden per khud'saakhta sharaet pesh ker dete hain. Doosra aap ko chahiye Ahlesunnat kehlaana chor dain bal'k Ahle-Faraz ya Ahle-Wajib kehlwaen kion k aap to siref uss ko maanen ge jo Faraz ya wajib ho...! wasalam
  13. Asslamoalaikum2 all muslims, Sag-e-Attar sahib aap ka gussa fazool hai. Ager ham galat baat apnon ki bhi nahin maante to yeh to achi baat hai. Kia aap yeh chahte hai k aap ki tarah apne ulma ki kamzor aur galat baaton ki bhi taaeed k liye Quran-o-Hadees k matlab bigarne shuroo ker dain. Ham Ulma ko aalim maante hain Nabi nahin, na hi unhen masoom samajhte hain k unn se koi galat bat kabhi ho hi nahin sakti. Khud Imam Abu Hanifa ke apne shagired jab unn ki baat ko na maante hue unn se ikhtilaaf kerte hain to kia aap yeh kehte hain k unn ke shagirdon ne unn ko gumraah qarar dia hai...? Jahan tak taluq iss qabron per imaretain banane ke masle ka hai to iss ki mana per ahadees mojood hain jis ke saamne shubhaat se sahara lena fazool hai. Aap ke paas iss masle main sawae shubhaat ke aur kuch bhi nahin. Aap log unn cheezon ko deen banane per zor dete rehte ho jiss ka wahem-o-gumaan bhi kabhi sahaba ikraam R.A. k zahen main nahin tha aur fazool main aik masle ko dalael ki bajae jazbaati'pan se saabit kerne ki koshish ker rahe ho. Wasalam
  14. Asslamoalaikum 2 all muslims, Ya-Mohammadah aap ki preshani aur la'chari sab k saamne hai. Aap ne mere Rafa-ul-Yaden wale mazmoon se mera jo iqtibaas lia hai. woh hamare haq main hi hai. Uss main bhi saaf likha hai k kissi bhi hadees ko sahih keh dene se woh hadees sahih nahin ho jaati jab tak uss ko dalael k saath sahih saabit nahin ker dia jaata. Chahe kehne wala koi bhi ho. Kia main ne Hadees Ibn-e-Masood ko dalael ki roo se zaeef saabit nahin kia. Kia main ne mahez Ulma se hi iss hadees ko zaeef kehne per zor dia hai.? Hergiz nahin bal k jis tarah Hadees Ibn-e-Masood ki sanad zaeef saabit ki ja cukki hai ussi tarah aap ki Hadees-e-Jabir ki to sirre se sanad hi saabit nahin. Bal k ager aap mere Rafa-ul-Yaden wale mazmoon ko zara dhayan se parrhen to aap ko nazer aaye ga k aap ke Ahmed yar khan Naeemi ne Ahadees ki kitabon main mojood kai basanad sahih rawaiat ko zaeef aor mozoo kaha hai. Halan k unn ahadees ko kai mohadissen ne sahih ya hassan kaha hai jis ka main ne tafseeli jawab dia hai aur unn ki sanad ko sahih saabit kia hai, mahez ulma se unn ko sahih kehna nahin bataia. Aap ke Ahmed yar Khan Naeemi ka asnaad per aitraaz kerna kia yeh baat saabit nahin kerta k jab tak sanad saabit nahin ho jati hadees ko qabool nahin kia jae ga. Kia main yahan per keh sakta hoon k kia aap k Ahmed Yah Khan Naeemi sahib kia Mohadissen se barre aalim the jo unhon ne Ja-ul-Haq main kai rawaiat ki asnaad per tanqeed ki hai, jin ko mohadissen ne sahih kaha hai? Halan k woh tanqeed hai bhi galat jis ko saabit kia ja chukka hai. Wasalam
×
×
  • Create New...