Jump to content

Rais.Khan

اراکین
  • کل پوسٹس

    40
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Rais.Khan نے پوسٹ کیا

  1. Husule ilm ke liye kuchh sawalat arz hai.... Qazi e sharah kise kahte hai? Qazi ul quzat kise kahte hai? Kya dono me mana ek hi hai? inhe kon mutaiyan karta nahi? kya iske liye islami hukumat ka hona shart hai? Qazi hone ke liye shariyat me kya kya sahrait bayan kiye gae hai? barae karam in sawalat ke jawabat ata farmae....
  2. Faizan e sunnat ki is ibarat se pahle ameer e ahle sunnat ne wajahat ke sath bayan likha hai, jo hadis shareef ki roshni me hai. aur kuran shareef ki ayat bhi likhi hai. jisse ameer e ahle sunnat ki is ibarat me kya murad hai wo saf zahir hoti hai. ibarat me zalim badshah se murad jahannam ka azab hai. mene bayan ki nishan dehi ki hai, ap padh kar khud faisla kijie.... fir bhi kufr ka fatwa lagana khud ki akherat barbad karne ke ilawa kuchh nahi hai. allah hame haq samjhne aur haq par amal karne ki taufiq ata farmae... ameen...
  3. Rais.Khan

    Ijma Kise Kahte Hai?

    Bad salam arz hai, Ijma kise khate hai? tareef bayan farmae..
  4. ji bhai, apki bat to me samajh chuka hu, alhamdulillah, aj ek tabka hai, jo Dawat e islami ke "madina" kahne aur kitabon me border me likhne par aitraz karta hai, aur fatwa razwiya se ek fatwa ajmer sahreef ko sirf ajmer kahne par hukme kufr ki taraf dalalat karta batata hai. islie me ye janna chahta hu ki wakai me aisa koi fatwa saiyadee ala hazrat rahimatullahi alayhi ka hai? islie mene scan page dryaft kiya hai.... jazakallah....
  5. Ala hazrat rahimatullahi alayhi ne fatwa razwiya me ye fatwa diya hai, jo ke ajmer shareef ko sirf ajmer kahne wala kafir hai. aisa kuchh mazmun hai.. barae karam fatawa razwiya shareef ka reference wa scan page dije... Jazakallah...
  6. Muhammad ali sahab, inse ye mutalba rakhie ki ye ulema ke akwal se sabit kare ki majburi me ki gai iqteda e badmazhab bhi sulah kulli amal hai. bas yahan ye fase hai barabr ke. inka aitraz inhe bhari pad raha hai.
  7. Janab Sameer razwi sahab, Pahli bat, jo digar hazrat ne adhuri ibarat likhi hai jawab me, to unhone apke aitraz ka jawab dene ki koshish ki hai. apne shuru se hi ibarat ko adha pesh kiya hai. isliye apko hi mukhatib kiya ki lafz "Didah o Danista" ko kyu chhoda ja raha hai. ye me ab bhi puchhta hu ki aisi kya wajah ahi ki ap "Didah o Danista" lafzon ko gol kar rahe hai. Dusra ye ki, "Didah ke mana : Ankaha, nazar, ek dekhi hui chiz. دیدہ : آنکھ۔ نظر ۔ ایک دیکھی ہوئی چیز ۔ is link par "Didah" ke mana mulahiza farma lijie. take ye na ho ki mene lugat ka sahar nahi liya aur manghadat bat kahdi... http://www.urduenglishdictionary.org/Urdu-To-English-Translation/%D8%AF%DB%8C%D8%AF%DB%81/Page-2.htm?SearchType=1#.VVTLI3bzu8o Mene jo mana bayan kiye hai sume ek mana hai "Ek dekhi hui Chiz", is per se mera ibarat me ye mana karna ki "Dekhkar ya janbujhkar" me Didah ka mana "Dekhkar" sahi sabit hota hai... Aur Danista ka mana bhi sahi liya hai. mulahiza farma lijie.. http://hamariweb.com/dictionaries/urdu-english-dictionary.aspx?ue=%D8%AF%D8%A7%D9%86%D8%B3%D8%AA%DB%81 1). ke jawab me apne jo bat kahi hai, isme khayanat ki hai. mene jo kaha wo ye hai. ""Dekh kar" isse sabit hota hai, ki ameer e ahle sunnat ne ye dekhte hue ki imam badmazhab hai, uski iqtada nahi ki." Mene "Dekhkar" wahid ameere ahle sunnat ki ibarat me kab rakh kar bat ki ya ab mujhe batae... Ap adhuri bat sabit karne ki koshish karoge to kaise jumla tal mel khata nazar aega? 2). Akl se paidlon wale kam na kijie apne jhoote aur be buniyad aitraz ko sahi sabit karne ke liye. Ibarat ke tukde kar ke apni matlab ki bat sabit karne ki koshish ke ilawa apne kuchh nahi kya. me fir se kahta hu, "Janbuj kar" isse ye sabit hota hai, ki majburan apse ye fael hua... apni raza se is fael ko anzam nahi diya gaya... isme ameere ahle sunnat ki marzi na hona sabit hota hai. aur asal ibarat ko yun samjhe... "..... Wallah Billah dekh kar ya janbuj ker maine kisi badmazhab ki iqteda me jaiz samajh kar aik bar bhi namaz nahi parhi." Ek taraf ap majburi taslim bhi karte hai, aur fir usper aitraz bhi karte hai!!! Apko aphi ki language me samjhata hu.. ek alime deen apke taraf se taswwur karta hu. farz kijie ek alim sahab TV video ke adame jawaz ke kail hai. ise najaez samjhte hai. ab ek jalse me inki video banali jati hai. ek sakhs aitraz karta hai ki janab najaez kam karte hai aur hame galat kahte hai. To is per alim sahab ne farmaya "Dida o danista mene kabhi Video ko jaez samajh kar nahi banwai." ab apke aitraz ke mutabik inki bhi pakad ki jani chahie, to ap inper kis tarah aitraz karoge??? zahir hai, majburi thi itna bayan kafi hai. iske bad isse bachte rahe. to aitraz khatam ho chuka. ab ap ye batae ki ye aitraz apka hai ya ulema me se kisi alim ka hai?? ameere ahle sunnat ki tahreer se sabit hai ki inteshar ka khatra hone ki wajah se badmazhab ki iqteda ki gai hai. aur ye ek sharai ujr hi hai. ulemae ahle sunnat ne kai mas'lo me inteshar ke khatre par hikmat se kam lene ka hukm diya hai. jis par ameer e ahle sunat ne amal kiya hai. Ab Ap mere in sawalon ka jawab de dijie. take apka iatraz samajh me ae. 1). ap wo jaez surat bata den, jo us wakt wahan mojud thi aur jis ki wajah se ameere ahle sunnat ko nazaiz samajhker iqteda karne ki jarurat nahi thi? aur ye bhi batae ki apko ye ilme gaib kisne diya. 2). aur ap ye bhi sabit kare ki jab ameer e ahle sunnat se ye fael hua tab apki jaez surat wahan mojud thi. 3). apke nazdik ye jaruri kyu hai ki ye bayan kiya jae ki kitni bar iqteda ki gai? isse apko aur awam ko kya fayda hone wala hai? 4). ap kin ulema ke hawale se ye kahte hai ki ye khatarnak amal hai? hawal pesh kijie. 5). ap internet ka use karte hai, mobile se karte ho ya broadband se, magar connection hasil karne apne tasweer di hi hogi, to ap batae apne wo tasweer jaez samajh ker khichwai thi ya na jaez? agar najaez samajh ker khichwai to usme koi majburi rahi hogi. to ab ap ki is par pakad karne par apke pas kya jawab hoga? kyun ki bazahir moju alag hai, magar masla ek sa hi hai. 6). ab apki ye ibarat ko ap kisi ulema ke akwal se sabit kijie. "ye maane to sab se ziada khatarnak maloom hote hai ab aap log bataye jan buj kar najaiz samaj kar iqteda karne wala kya gunhgaar nahi huwa? sulehkulli nahi huwa? maazAllah" 7). apki ibarat me pahle ameere ahle sunnat ka fael khatarnak sabit kijie. 8). apki ibatat par se ye batae ki kya video ke adame jawaz ke kail ulema ka CCTV camera ke age ane wala fael najaiz samaj kar kiya jata hai to ye gunahgar hue ya nahi? kyun ki dono maslo me najaez ke pahlu ki bahas hai. to apka jo jawab yahan hai wo ameere ahle sunnat ki ibarat par hai. Ek to apka aitraz galat hai, dusra ap galati manna nahi chahte. Teesra ye ki ap apni marji se is fael ko sulahkulli sabit karke sahihul aqeeda sunni ko sulah kulli sabit karne ki koshish kar rahi hai. jab ki apke pas is silsle me koi sabut ya dalil nahi hai ki ye amal sulah kulli hai. sulah kulli jaez samajh ker badmazhabon ki ikteda karta hai. magar ap hai ki najaez kahne walon ko bhi sulah kulli banane par amad hai. Mujaddide azam, Ahamad raza rahimatullahi alayhi farmate hai, mafhum. kisi musalman ke liye ye khiyal rakhna ki use kafir zahir kiya jae, ye bhi kufr hai. to is hisab se ap jo sulah kulli sabit karne ki koshish me hai aur apki khwahish saf jhalakti hai, ki ap ameere ahle sunnat ko sulah kulli sabit kya jae aisi hai. to ap tauba kare apne bad khwahish se. kyun ki ala hazrat rahimatullahi alayhi ke farman ke mutabik ap sulah kulli ka wabal apne upar le rahe hai. ummid hai, ap mere 8 sawalon ke jawab ata famaeng. kyun ki ye 8 sawal ke jawab apke aitraz ko sahi sabit kar sakte hai. Allah apko apna hi aitraz samajh kar usse ruju karne ki taufik ata farmae... ameen.
  8. Janab, Sameer Razwi sahab, "Alhamdulilah dawateislami ke qayam se saliha saal pehle jab se Sayidi Alahazrat rehmatullah aleh ke fatawa badmazhabon ke bare mein perhe hain, tab se badmazhabon ki iqtida haram samajhta hoon aur ta dam e tehreer Wallah Billah (qasam) deedah o danista main ne kisi badmazhab ki iqtada men jaiz samajh kr aik bar bhi namaz nahi perhi." Is ibarat me deedah o danista lafzon ko nazar andaz karne ki kya wajah hai??? deedah o danista ka mana hai, dekh kar ya janbuj ker hota hai. ise tahreer me rakhne me Deedah o Danista ki jagah par rakhne par kuchh yun tahreer tartib hog.. "..... Wallah Billah dekh kar ya janbuj ker maine kisi badmazhab ki iqteda me jaiz samajh kar aik bar bhi namaz nahi parhi." Isse ye bate wajeh ho jati hai... 1). "Dekh kar" isse sabit hota hai, ki ameer e ahle sunnat ne ye dekhte hue ki imam badmazhab hai, uski iqtada nahi ki. 2). "Janbuj kar" isse ye sabit hota hai, ki majburan apse ye fael hua... apni raza se is fael ko anzam nahi diya gaya... isme ameere ahle sunnat ki marzi na hona sabit hota hai. 3). Ameere ahle sunnat ne ye dekha ki imam bazmazhaba hai, to is ki iktida nahi ki, aur majburan karni padi to jaez samajh kar nahi ki. Kisi sharayi ujr ki wajah se kisi najaez fael ko karna pad jae to use karne wala use bura janker hi karega, Ameer e ahle sunnat ki ibarat se saf zahir hai ki ap ne bilfarz badmazhab ki ikteda me namaz padhi, to najaez aur bura samajh kar hi padhi. ab rahi suleh kulli amal ki bat... to ye kanoon apne kahanse ijad kiya ki banda najaez samjh ker majburi me koi fael kar raha hai, dil me use bura jan raha hai. tab bhi sulah kulli ho gaya!!! kya apke pas ulema ke akwal ya bayan ya fatwa jat hai?? jo apki bat ki tasdik karte ho.... Misal ke taur par, ek sahihul aqeeda sunni kahi aisi jagah fans gaya jahan pani ka milna dushwar hai, ase me pyas ki shiddat se bura hal hai, yahan tak ki kuchh der me pani na mila to maut pakki hai. aise me ek badmazhab ne aker use pani pilaya, aur isne use bura tasawwur kia ki ya badmazhab hai, fir bhi jan bachane pani pee liya. to ab apke mutabik wo sulah kulli ho gaya ya nahi???? ye sirf misal hai apke aitraz ko aina dikhane ke liye. barae karam ise mauju se hatna na samjiyega...
  9. Is khwab me kahin bhi ye nahi likha ki TV se hi huzur salallahu alayhi wasallam ki awaz ai, ye scan page me saf nazar a raha hai. is khwab me TV ka zikr agay, islie inhe chubh gaya. waise to is kitab ke har khwab me inhone tauhin ke pahlu nikalne ki kosish ki hai. Ye jabran ilzam lada gaya hai Dawat e islami se hasad wa bugz ki bina par. Ek motariz sahab to TV ke mukhalifat me itne andhe hue hai, Madani chennal wo dekhte nahi hai, magar suni sunai bat lekar ae, aur kahte hai, "ki dekho madani channel per Teen Unglion se khana khane ki sunnat dikhai ja rahi thi, to (ameere ahle sunnat ne) do unglion ko fold ker ke rubber band se tie kia hua tha. ab TV per asi sunnat dikhane se us sakhs ko kitni taklif hogi jiski ek ungli kati hui hai, use taklif hogi ki me sunnat ada nahi kar sakta!!!" :D Ye log TV per news maje se dekhte hai, (shayd gane wagira bhi dekhte ho.) channels ghumate wakt madani channel ajae to inke muh kadwe ho jate hai. FaceBook per ek sahab, ba jama't namaz ke video ke images post karte hai, aur sath me mufti e azam e hind rahmatullahi ta'la alayhi ka kaul nakal karte hai ki apne farmaya tha ki "TV per Deen dikhane se Deen ka tamasha hoga." ap ke zamane me TV ka istemal sirf drame gane aur tamashe k liye hi hota tha, aur tab TV itna am bhi nahi tha. or na usper ilm ki koi bat hua karti thi. aur video ki recording bhi haram thi. islie apka us zamane me ye farmana sahi tha. magar aj TV per duniyavi ilm bhi a chuka, dunyavi ilm ka tamasha nahi hota to deen ke ilm ka kaise ho sakta hai? bahar hal ye sahab FaceBook per images laga ker ye aitraz karte firte hai ki dekho ye deen ka tamasha ho raha hai!!!! ma'zallah. summa ma'zallah. TV per wohi chije tamasha banti hai jo haqeekatan tamasha hai. hamar deen sachcha hai, aur sach tamasha nahi haqeekat hota hai. allah aise fitno se mahfuz rakhe ummate muslima ko. ameen. Andhe ho gae hai, bugz or hasad e dawate islami me ye log. aise to inke kai iatrazat hai jo ahle ilm hans pade aur ro pade, hase inki jahalat per aur roe inki wajah se badzahan hokar akhirat ko khatre me dalne wale bhole bahle sunni bhaion per.
  10. Rais.Khan

    Farze Azam Ka Kya Mana Liya Jaega?

    Sayadi ala hazrat rahimatulahi alayhi ne fatawa razwiya sharif me likha hai ki badmazhabon ka radd farze azam hai. isse kya murad hai? kya namaz, roza, jakat wagira farz ibadat se bhi pahle radde badmazhab krna jaruri hai. yane logon ko namaz roze ki targhib dilane se jyada radde badmashab kiya jana chahie??? Tafseel se isper ulemae ahle sunnat ke nazriat ke sath jawab dijie. kyun ki kuchh dawate islami ke mukhalifin is fatwe ki ad me logon ko badzahan kar rahe hai. aur Dawate islami ko sulah kulli sabit karne ki koshisho me lage hai.
  11. Yhan bat ek alim ki dusre alim per bohtan kasne ki bat hai. bhale hi muhaddith e kabeer kitne hi bade alim kyun na ho, jab kisi alim ke khilaf koi bat kahenge to saboot dena hoga. warna istarah to naya darwaza khul gaya samjho, ki koi bhi alim bina saboot ke jis alim per chahe, jesa chahe ilzam dal de. muhaddith e kabeer ka martaba bada ho jane se shariyat ki lagam unse hat nahi sakti. Ameere ahle sunnat per jo Ilzam kaim kiya hai, uska unhe Sharai gawah pesh karna hi hoga. warna Ameere ahle sunnat ilzam se bari hai, aur unper botan kasa gaya hai.
  12. mughal bahi, kya ye ameere ahle sunnat ke handwriting hai? isme kuchh u likha hai ki, "maine kabhi jaez samjhker badmazhab ke pichhe namaz nahi padhi." is bat ko lekar inteshar failaya ja raha hai. attched picture ko zoom karne par us me tharir me 3 cut nazar a rahe hai. kya ameere ahle sunnat ne jo tahreer jamia ashrfia ke muftiane kiram ko bheji thi, uska scan mil sakta hai.? gar wo mil jae to mamla saf ho jaega insha allah.
  13. Face book per ek fitnebaz ne ameere ahle sunnat per badmazhab ke peechhe namaz padhne ka ilzam lagay. mene usse saboot manga to usne ye tahareer ka scan dia. kya he sahi hai?? ya ameere ahle sunnat par aitraz majbut karne ke liye farzi taur per tayar ki gai hai. jazakallah.
  14. Rais.Khan

    Kya Is Me Gustakhi Hai Ya Nahi?

    mai ek image upload karta hu. facebook per kisine Sharab jesi najis chiz ke sath huzur salallahu alayhi wasallam ka nam mubarak zikr karte hue misal dene ki kosish ki hai. kya isme gustakhi ka imkan hai??? kya istarah misal dene se gustakhi ke darwaze khulte hai ya nahi??? kya ye tarika sahi hai kisi bat ko sabit karneka???
  15. Rais.Khan

    Madani Channel Ke Mutallik Aitraz

    Assalamo alaykum wa rahematullahe wa barkatuhu. Madani channel ko lekar ye aitraz uthaya ja raha hai ki, huzur madni miyan ne to 1996 me apni video ke jwaz ki tahkik pesh ki thi, aur ameere ahle sunnat ne 2008 me madni channel ki ibteda ki. to 1996 se 2008 tak ameere ahle sunnat TV ko haram kyun kahte rahe??? aur 2008 me ekdam se kyu halal kar dia??? barae maherbani, is suwal ka jawab kisi ke pas ho to inayat farmae. jazakallah.
  16. Request to give download link of Al malfuz published by Dawat-e-Islami. on Dawat-e-islami.net, link have no data anymore, so barae madina please give me al malfuz pdf file link of other source to download. I need it. PDF must have published by Dawat-e-Islami, in urdu. I want to give answer to sone misguided islami brothor about ameere ahle sunnat and Dawat-e-Islami. Jazakallah.
  17. Barae maherbani, Hind or Pakistan ke Un olema ke namo ki fehrisht batae jo Dawate Islami ke support me hai. Ye fehrisht taza ho to bhot hi ahsan hoga. Aur jo Olema Dawate islami per gumrahi ke fatawa laga rahe hai unki baton me kya hakkaniyat hai??? Kya ye Khankahi Jhagda hai? jazakallah...
  18. Mer valeda or galiban sabhi log isi galat soch ka shikar hai. islie tahriri sabut mil jae to bhot hi achchha hog. Allah apko jaza-e-khair ata farmae. amin.
  19. Agar kisine apne bete ya beti ka nikah kisi our kaom me ker dia, maslan kisi Pathan ne apne bete ya beti k nikah ker dia ho, to ase me dusre pathano ka asa karna ki us sakhs se bat chit or milna julna or kisi b shadi or am muamlat me use dawat dena, use bulana band krna, ye sab shariatan sahi hai ? kya asa krna jaez hai? Ahadis k sath mukammal malumat daryaft hai. or gar ye galt hai to is mauamle ke radd me koi kitab ho to uske bare me bhi batae. jazakallah.
  20. Insh allah me us deobandi se is hadis sharif ke alfaz likhwa ker yhan post karung.
  21. aap ki bat sahi hai. magar deobandi is se bholebhale, or anjan sunni bhaio ko dhoka dekr gumrah karte hai. is wjah se is hadis ke mutallik majid malumat ki jarurat hai....
  22. Ye hadis ke bare me itna pta chal paya hai ki ye bukhari shrif me hai, bakaol deobandi ke. Usne page no. hadis k sanad wagera nahi batai. Islami mehfil per kisi islami bhai ke pas is ke bare me malumat ho to barae karam shere kare.
×
×
  • Create New...