Jump to content

Haqq

اراکین
  • کل پوسٹس

    38
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Haqq

Haqq's Achievements

Contributor

Contributor (5/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Conversation Starter
  • Week One Done
  • One Month Later

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Wesay Mustafvi Bhai, mujhay apki yeh strategy boath achi lagi k ap nay apna maslik disclose nahi kia, warna khamakhua apko "BadMazhab" ka laqab mil jata. Aur phir ap hi ki kitabon say irrelevant references diyey jatay, un pay ungliyan uthai jaten aur phir sab mil kar apki khoob pitai kartay, aur is thread ka asal maqsad zail ho jata. Wesay koi relevant reference yeh de he nahi saktay kyun k uska takrao lazmi sharai ahakam say hoga kyun k yeh sirf Allah ki shaan hai k us say manga jye aur yahee Allah ko sab say zada mehboob hai k Banda Allah say mangay, na k gair Allah say. Haan waseelay ki ahmiyat ko koi inkar nahi kar sakta, lakin jahan jahalat ho aur waseelay say mangnay ko jahalat aur kam ilmi ki wajah say us Nabi ya Aulia say mangna samjha jye wahan is say bhe aijtanab karna lazim hai.. Allah pak hum sab ko Hadayat aata farmaiy - Aameen.
  2. Mustafvi Bhai, May nay post #49 main aik challenge kia tha Ahl-e-Bidd'at ko k yeh qaiyamat tak apka jawab na de saken gay - InshAllah.. Aur ab aik challenge apko kar raha hon k ap inko koi daleel bhe de do agar uska takrao Alla Hazrat sahab ki dalail say hoga to ap inko mana he nahi sakte ......
  3. Mere madni bhaion, ap logon ki akal ko daad diye baghair may nahi reh sakta ab Chalen chooren us walay scan proof ko.... Lakin is may ghustakhi saf alfazo may tapak rahe hai, ab please in dono mullao ka rad kar k khud ko bartar sabit karen please ta k akhirat may Allah pak ko yeh keh saken k ap nay barhaq Hazrat Adam AS ki shan may ghustakhi karnay waloo ko kam az kam galat jana tha.. Aur Allah pak is cheez pay bilashuba qadir hai k ap ki sirf yeh he naiki kabil-e- kabool ho jye..
  4. Toheedi Bhai, aur Ghulam.e.Ahmed bhai, Sawal / aitraz pehlay mera tha to jawab bhe pehlay mujhe diya jana chahiye. Ap dusra thread yahan pay ya phir "BadMazhab" k forum pay ja kar start kar saktay hain. Main dono jagah apko reply karon ga - inshAllah.
  5. Mughal Bhai Zabardast Main bhe yahee chahta tha k ap faltu may aik shirkia shairi ko sahi sabit karnay k bajiye us k shirk ko tasleem kar len..Aur agar ap sare madni bhai us kufria shaer ki galat tashreeh kar bhe rahay thay lakin dusray shaer k meanings saf zahir hain, jis may kisee taweel ki gunjaish he na thee, to ap nay khud he accept kar liya k wo kitab he ghustana hai (yanii is bar ap nay kisee dusray mulla he kitab ka scan proof de diya k yeh ghustana ibarat hai..... AB MUJHE PLEASE YEH BATA DEN K JAB AP NAY IS BAT KO TASLEEM KAR LIYA K YEH SHARKIYA AUR GHUSTAKHANA KITAB HAI..... To ap Aala Hazrat sahab ka hawala dete huay jab ap he k alim nay kufr ka fatwa laga diya to ap us ko kyun tasleem nahi kar rahay ? Ap chotay nahi ho jyn gay agar accept kar len k yeh bhe kufria ibarat hai....
  6. Mere methay methay Madni bhaion, Apka jo asal sawal tha wo darood o salam bhejnay say mutaliq tha.. Jis ka may pehlay he jawab de chuka hon aur Mughal bhai nay usay "complementary close" bhe kar diya hai.. Ab Ghulam.e.Ahmed bhai aik dusra sawal taddat say mutalliq lay kar agye hain.... Us k liye may guzarish karta hon k aik new thread bana len ta k new readers ko dushwari na ho sawal ka jawab jan'nay k liye... Wesay ap k dusray sawal ka jawab bhe de diya hai, lakin mazeed wazahat say evidence k sath de don ga, bashart dusri thread start karen.. Jazak Allah
  7. Toheedi bhai yeh to may pehlay bhe parh chuka hon aur jawab bhe de chuka hon... Ab ab bhe please mujhe jawab de den k dusray walay shaer ki tashreeh kia hoge ? Please... Allah apko jaza-e-khair aata farmaiy... Pehlay ap mera jawab de den, phir ap jo sawal karen gay main zaroor donga...
  8. Ghulam.e.Ahmed bhai, ap k is sawal k jawab may nay chupay alfazon may #11 may de diya hai... ChishtiQadri bhai, yeh jawab to ap say pehlay bhe kise madni bhai nay diya tha, lakin yeh tashreeh to ap bhaion ki he ki hue hai, Shaer ko us k matan k aitbar say parhen aur bahasiyat aam aadmi is ka jawab den... Aur agar ap ka jawab sahi man liya jye (us shaer k baray may) to iski kis tarah tashreeh karen gay "Tera humsar zer-e-Qudrat hai magar, Hum zaman tera hargiz na tha Ahmed Raza"... Ab is k baray may ap kia kahen gay ??? jab k Allah k bad Huzoor-e-Pak (SAWW) ka darja hai aur isay jo jhutla de wo muslman he nahi hai (Mujhe pata hai ap may say koi is ka inkar nahi karay ga).. to kia is shaer ki ru say Alla Hazrat Sahab ko shair Huzoor-e-Pak (SAWW) say bartar nahi bata raha (nauzubillah) ? Bhai ap k aqaid boath say sahi bhe hon gay lakin yeh Nazam shirk say bhari hue hai - mera question ka sirf yahee maqsad hai
  9. Ap k is ashkal ka jawab bhe may apko de chuka hon, Aur wesay Bhe "Amal ka darumadar niyaton pay hota hai", aur jahan niyat may bhe kharabi ho to Amal ka kia faida Mughal Bhai ? Pehli bat to apka yeh dawa sarasar galat hai(ya apki lailmi hai), k ap log zada darood parhtay hain, wesay bhe dusron ko ap mantay he kab hain, apki nazar may to tamam "gair-baralvi" badmazhab, kafir ya wahabi hain... Aur phir "Self Assume" kar lena k ap zada parhtay hain, yakani himaqat hai..
  10. Yeh to samajh samajh ki bat hai Mughal bhai
  11. Maf kijega Mustafvi Bhai lakin this is my challange; K inshAllah yeh apko (apkay asal sawal ka) Qaiyamat tak jawab na de sakain gay. Kyun k Jab shariat ka jawab bilqul barask ho in k jawab k to phir kon bashahoor insan sharai ahakamat ko chooor kar kisee aur k jawab ko man sakta hai ??? Han Agar may "Main Na Walon" wali strategy ko apna lon to ap sari zindagi bhe mujhe shikast na de saken gay Kyun k Aik soiye huay insan ko jaga dena bilashuba zada mushkil kam nahi hai lakin jo ban kar so jye usay ap nahi utha saktay...
  12. Aur ap bhaion ko aik bat aur bata don ... Kyun k main bhe aik biddati khandan say taluq rakhta hon, kyun k mere khandan may bhe aksar unparh hain aur mujhe un say koi shikwa nahi hai, sirf chahta hon k wo ilm hasil kar len, sab theeq ho jye ga, kyun k i know.... - Agar Bidd'at ki biqa chahte ho to zamnay ko ilm Hasil Karnay say rookna hoga. - Kyun kay ilm Shahoor deta hai, aur Shahoor Tehqeeq karnay k raston ko ujagar karta hai. - Aur Tehqeeq karnay walay HAQQ ko talash kar hi lete hain - Humaray he khandan k aik fard ko jab may nay yeh bat kahi k "Allah pak hum sab ko Sahi rastay pay chaliye - Aameen" Tou un mousoof k hairan kun jawab pay may satpata k reh giya k Allah pak dilon pay aisay bhe muhar laga deta hai k haq aur sach bat kehna bhe dushwar ho jata hai ? unho nay jawab diya " Nahi, Allah hum ko Ahlay Sunnat Wal Jamat pay he rakhay - Aameen" May nay socha k yeh jahalat ki intiha hai, kyun k 73 may say kisee maslak ko bhe Allah pak nay certificate nahi hai sahi honay ka, Ab Allah k wastay is pay bhe koi galat taweelat na lay aiyega...
  13. Mere madni bhaion agar apko Allah ki zat pay itna he yakeen hota to Allah zaroor mil jata apko... Aur Allah pak apni muhabbat may kise ko kahan pocha de aur kisee ko kia kuch aata karde, yeh bat apki samajh say kafi bala tar hai.... Pehlay ap Bugaz, badkalami, keena, tafaruqat, bidd'at, shirk, aur kufria harkat say bahir ajyn phir dekh len gay k is k bahar bhe aik duniya hai... Lakin yeh baaten wohi janta hai jo Allah ko pechan leta hai.... Na k kufr k seedhay seedhay alfazon ko chupanay k liye falto jawabat / taweelat k zariye say us k aasrat ko zayil karnay ki koshish kartay.. Allah ap hum sab ko hadiyat aata farmaiy - Aameen.
  14. Main isee waqt Huzoor Pak (SAWW) pay salam bhejta hon... Lakin asal bat sirf aaqaid ki hoti hai aur mera aqeeda yahee hai k mera salam aur darood Huzoor-e-Pak (SAWW) pay farishton k zariye pocha diya jye ga, kyun k yahee bat ahsan Hadees say sabit hai.. aur ap ka aqeeda galat hai, k ap hadees say tajawuz kartay ho.. To is main ap log sahi ul aqeeda logon ko kyun kar galat kehtay ho ? Aur sahi hotay to ap yakeenan mere thread ka jawab dete, na k usay delete kar dete ( jo delete kar diya hai yahan say )
×
×
  • Create New...