Attariya
Islamic Sisters-
کل پوسٹس
10 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
About Attariya
Attariya's Achievements
-
Madani In a'amat (islami behnon k liye)
Attariya replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in گفتگو فورم
Assalamoalikum!! sister bohat hi acha topic discussion k liyain chose kia hay... Allah azzawajal piyare Aqa madinay walay mustafa Salalahoalehewasalam k sadqay mai madni inamat per ikhlas k sath amal karnay waloon main hamara bhi sumar farma dy.Aameen piyari islami behnoo...ameer-e-ahlesunnat farmatay hain k"MUJHAY MADNI INAMAT SY PIYAR HY",,,,to piyari islami behno jab peer ko kisi cheez sy mohabbat ho to phir to yeh mureed ka farz banta hy k wo bhi uss cheez sy mohabbat karay....hum yeh mohabbat kis tarhan kar saktay hain??hum yeh mohabbat madni inama'at per ikhlas k saath amal kar k kar saktay hain... jis jis ko ameer-e-ahlesunnat sy mohabbat hy har wo islami behan niyat kar lijiye k jo madni inama't ki aamila nahi hain wo inshaAllah madni inamat per amal kar k Attar ki ajmaira baiti...jo ajmairi baiti hain wo baghdadi baiti...jo baghdadi hain wo makki baiti....or jo makki hain wo madni baiti bannay ki koshih karain gi............... InshaAllah azzawajal piyari islami behnoo yeh madni inamat hum per boojh nahi hain...balkay yeh to wo tohfay hain jo madinay sy ayain hain...or Ameer-e-ahlesunnat ny hamain ata kiye hain.... ap khudh ghour karain k madinay sy ayee howe tohfay...hamaray pass moujood hotay howe bhi hum un per amal na karain to kitni budnaseebi ki baat hay... yahan per aik baat arz karti chaloon k Alhumdollilah madni inamat per amal karnay sy deen k to faidy hasil hotay hi hain...magar duniya main bhi iss ki barkatain hasil hoti hain..... Alhumdollilah aik dafa bint-e-attar k saath madni mashwaray ki sa'adat hasil howe to unho nay bataya k agar hum iss madni inamat k card ko bator-e-taweez bhi istamal karain gy to tub bhi in ki barkatain hasil hoon gi.... ab ghour kijiye pass rakhnay walay k liyain itni barkatain hain to jo madni inamat k aamil hoon....un k to phr kia hi kahnay..... piyari islami behnoo har guzarta lumha hamain mout sy qareeb karta chala ja raha hay,,,unqareeb hamaray naaz uthnay walay hamain manoo matti talay daba aayin gy...uss waqt na maa ki mumta kaam ayee gi na baap ki shufqat kaam ayee ki...uss waqt faqat Allah azzawajal ki rahmat kaam ayee gi.... to piyari islami behnoo jaldi jaldi madni inamat per amal kar k...Allah azzawajal ko razi kar lijiye...... na sirf khudh amal karain balkay dosroon ko bhi amal ki targheeb dilain... Allah azzawajal aap k haq mai aasaniya paida farmaye or aap ka seena Madina banaye or aap k sadqay mai yeh tamam duain mujh gunahgar k haq main bhi qabool-o-manzoor farmaye Tlib-e-gham-e-madina-o-baqee-o-maghfirat -
Assalamoalikum!! i want to get access in this corner kindly allow me. jazakAllah hokhair