Jump to content

Ashiqa Barelvi

اراکین
  • کل پوسٹس

    79
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    8

سب کچھ Ashiqa Barelvi نے پوسٹ کیا

  1. Ashiqa Barelvi

    Pardah

    Salam,baat un dino ki hai jab main FYBA main thi maine is niyyat ke sath ke mardon ke khalat malat se bachungi mumbai ki ek girls college main dakhila liya magar bahot mayoos hui. Wahan sar par dupatta lene ki manahi thi aur burqa hamein bahar hi utarna padta tha das barah din toi maine bardasht kiya magar ek din hindu teacher ke jate hi sar par dupatta le liya is par ek senior muslima ne mujhe toka aur nasihat ki ke main sar par dupatta na lun ek musalman ke munh se ye gair islami alfaz bardasht na kar saki mera sabr jawab de gaya sab kehti thin is pinjre main jo phansa na nikla main ne kaha ye log kitne hi bade hon mere rabbe pak se to bade nahi dua ki ikhlas rang laya main kafiron ki qaid se parde ke khilaf unki bakwas bardasht karne se hamesha ke liye azad ho gai wo women empowerment ke naam par aaj bhi bholi parde wali ladkiyon ko daily special lecture de kar bepardagi ka zehen bana rahi hain (MUJHE SIS GROUP MAIN LEN)
  2. Salam ye post bahot purani hai aur mein nayi aaiy hoon chunke mere matlab ki hai isliye jawab de rahi hun agar aap ye puchhna chahte hai ke uroozi hawale se ye sahi hai ya galat to mein madadgar hun magar ilmi havale se nahi ke khud main isi khauf se ke kahin be adabi na ho jaye naat shareef nahi likhti albatta digar asnaf qadre muhtat hain.Apki koshish bahot khaam hai tarannum mein padhen ravani nahi hai sirf pehla sher behr main hai mu ta fa i lun mus taf i lun ye kamil ki muzmar salim behr main ha jo ke murabba main hai
  3. Tajushshariya damatbarkatuhumul aliya ki janib se dawateislami ki himayat mera khoon badhaane ko kafi hai ise likhne ke liye shukriya jazakallahukhaira achha kaam karte raho
  4. Salam! Bhai, ek baar phir tumhara bohot shukriya tum nahi jante main unke bare mein kitni hassas thi jazakallahukhaira wa ahsanal jaza ye woh shakhs hai jhsne mujhe rulaya hai pehle ishqe rasool ke bayanaat se aur ab apni kufriyyat se merd dil tod diya khair, mere nazdeek mere Aaqa Sayyidi Alahazrat se badh kar is ahed ki koi shaksiyat nahi unka ye farman hamesha mere peshe nazar hai jiska mafhoom hai ke Mustafa alaihissalam ke huzoor kisi ko adna sa bhi gustakh dekho to use doodh mein padi makhkhi ki tarah nikhal phenko phir woh tumhara kaisa hi buzurg aur muazzam ho, gawah raho sunniyon! Maine wahi kiya Allah paak hamein tamam naye aur purane fitno se apni amaan mein rakhkhe Ameen bijahin nabbiyyil kareem un par salat o salam.
  5. Ashiqa Barelvi

    Tahirulqadri

    Sheikhulislam Tahirulqadri ki haqeeqat kya hai ulmae ahlesunnat ki nazar mein barae meherbani mustanad jawab dein
×
×
  • Create New...