Jump to content

Ashiqa Barelvi

اراکین
  • کل پوسٹس

    79
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    8

پوسٹس ںے Ashiqa Barelvi کیا

  1. (bis) 


    (salam) 


    مبارکا    وہ      صاحب     جمال    آتا ہے


    مبارکا      وہ   حسن   بے   مثال    آتا ہے


    وہ جس کے نور کی شعاع سے جلے سورج


    مبارکا      وہ      شمس    لازوال    آتا ہے


    وہ  جس کے اک اشارے پر ہی چر گیا چندا


    مبارکا      وہ    دین    کا      ہلال   آتا ہے


    وہ  جو ہے افضل  انبیا میں اکمل انساں میں


    مبارکا    کہ     وہ     ہی   باکمال   آتا ہے


    وہ   جس  کا  خلق  ہے  عظیم  اسوہ  حسنہ


    مبارکا   کہ   وہ  ہی  خوش خصال   آتا ہے


    وہ   جس کا  ذکر گھولتا ہے شہد کانوں میں


    مبارکا  کہ    وہ   ہی  خوش  مقال   آتا ہے


    خوش   آمدید    مرحبا   و   اھلا   و   سہلا


    مبارکا      حبیب     ذو     الجلال   آتا ہے


    مبارکا    ربیع    الاول     آ    گیا      بارہ


    مبارکا     کہ    آمنہ (raa)     کا   لال  آتا ہے 


      (saw)  (saw)  (saw)  (saw)  (saw)  (saw)  


    علمی غلطی کی اصلاح کریں 


    تمام عاشقان مصطفیٰ (saw) کو  عید میلاد بہت بہت  مبارک ہو

    • Like 5
  2. جزاک اللہ

    اصل میں اصلاح سے میرا بُنیادی مقصد یہ ہوتا ہے کہ کہیں کوئی غیرشرعی بات، کوئی بے ادبی یا کوئی غیر اخلاقی بات نہ ہو۔ جو اصل مقصد ہے وہ تو یہ ہے کہ دِل کی بات کہی جائے، اگر رَدِیف ، قافیہ وغیرہ میں غلطی ہو بھی جائے تو ایمان بچ جائے گا اگر خدانخواستہ کوئی بے ادبی ہوگئی تو پھر؟ بس اتنا مقصد ہے۔

     

    آپ نے بلکل صحیح کہا ، میرا بھی یہی مسلہ ہے، اصلاح کا

    عروض سے کلام موزوں اور متوازن ہو جاتا ہے

    آپ کا یہ شعر

     

     

    سلام ہو بے حد آپ پر اے ہمارے امام

    درُود ہو بے حد آپ پر اے ہمارے امام

     

    اگر آپ سرخ الفاظ کو ہٹا دیں تو اب شعر موزوں ہو گیا ہے

    سلام   آپ پر  اے ہمارے امام

    درود آپ پر اے ہمارے امام

    س لا ما ، پ پر اے ، ہ ما رے ، ا ما م

    ١ ٢ ٢ ، ١ ٢ ٢ ، ١ ٢ ٢ ، ١ ٢ ١

    د رو دا ، پ پر اے ، ہ ما رے ، ا ما م

    ١ ٢ ٢ ، ١ ٢ ٢ ، ١ ٢ ٢ ، ١ ٢ ١

    فعولن، فعولن ، فعولن ، فعول

    یہ بحر متقارب میں  ہے

    دعا گو و طالب دعا

    (ja)  :) 

  3. پھر سے جو دے دیا ہے رمضان کا مہینہ


    یا رب عبادتوں کا بھی دے دے پھر قرینہ


     


     


    سحری کا سحر چھاے ،افطار اور عشرے


    رحمت کا،مغفرت کا ،جنّت کا طے ہو زینہ


     


    ہر روز رکھوں روزے ، قراں کی ہو تلاوت


    ترویح          اور  تہجّد  ، آباد      ہو شبینہ


     


    غیبت ،  فریب ، چغلی ، بہتان ، جھوٹ ، کینہ


    ان سب غلاظتوں سے تو صاف کر دے سینہ


     


    شیطان قید میں ہے پھر بھی ہے خوف مجھ کو


    آذاد     میرا   اب تک   جو نفس   ہے   کمینہ


     


    آندھی  میں نفس  بد کی بہ  جاؤں میں کہیں نا


    یا غوث   خیر سے    ہو  اب   پار   یہ  سفینہ


     


     


    آمین


    رحمت اللہ علیہ


    • Like 1
  4. Phir se jo de diya hai ramzan ka maheena Ya Rab i'badaton ka bhi de de phir qareena Sehri ka sehr chhaye, aftar aur 'ashre rehmat ka ,magfirat ka, jannat ka tay ho zeena Har roz rakhkhun roze,qur'aa ki hotilawat Tarveeh aur tahajjud , aabad ho shabeena Geebat,fareb,chugli,buhtan,jhoot,keena In sab galazato se tu saaf karde seena Shaitaan qaid meinhai phirbhi hai khaufmujhko Azaad mera ab tak jo nafs hai kameena Aandhi mein nafs e bad ki beh jaon main kaheen na Aye Gaus! khair se ho ab paar ye safeena Wallah maah e ramzaa ka tab hi hai maza jab Aaqa pe hi ho marna ,un ke liye hi jeena Shiddat se aashiqon ki hai aarzoo dereena Ramzan ka maheena guzre kabhi madeena Aye kaash"Ashiqa" ke a'amaal hon munnawar Aa jaye aasmaan par jab eid ka nageena AZZAWA JALLA,PEACE BE UPOUN HIM,MAY ALLAH BE PLEASED WITH HIM (MAINE UROOZI GALTIYAN DEKH LI HAIN AAP I'LMI GALTIYON KI ISLAH KAREN - "RAMZAAN MUBARAK"! Note :- yahan "taraveeh" ki jagah maine uska wahid "tarveeh" bandha hai take she'r mauzoon rahe) Was salam"

     

     

    !کیا کھچڑی پکائی ہے میں نے

    ایڈمنز ، مغل بھائی اسے ڈیلیٹ کر دیں

    ........اردو میں نے سرے سے لکھ رہی ہوں

  5. Salam,

    meri waalida ka intiqaal ho gaya hai

    inna lillaahi wa inna ilaihi raji'oon

    ya Allahi azzawajal apne habeeb alaihis salaatu wassalaam ke sadqe aur tufail meri walida ki behisaab bakhshish wa magfirat kar de, jannat mein aalaa maqaam ataa kar de, qabr o hashr ki mushkilaat aasaan kar de.

    Aye beniyaaz! Tu hamaare gunaah o sawaab se beniyaaz hai bila hisaab bakhsh de, bakhsh de, bakhsh de...

    Aameen bijaahin nabiyyil kareem sallallahu alaihi wa sallam

    Baraaye madeena zyada se zyada magfirat ki duaen karen aur eesaal e sawaab karen hamesha...

    Rabbi arhamhumaa kamaa rabbayaani sageera

    We love you amma! And we'll always miss you. I am sorry. Main teri aulaad hun mujhe muaf kar de mujh se hamesha raazi reh, main tujh se raazi hun, aye allaah tu bhi ham se raazi reh, main apni har neki tujhe eesaal e sawaab karti hun amma! ta dam e aakhir.

    Fi amaanillaahi azzawajal....

  6. sunni dawat e islami kn si jamaat ha ,  i think k ak hi dawat e  islami ha  aur wo ha Ameer e Ahlesunnat , aur yeh koi neya fitna lag raha ha jo sunniyon ko toorna chahta ha , i think k is sab k peechay deobandiyon ka haath ha , am i right

    salam,

    mere islami bhai badgumani na karen sunni da'wat e islaami hind ki sunni barelvi aalamgeer tehreek hai jiske ameer Hazrat Maulana Shakir Noori Razavi daamat barkaatuhumul aaliya hain aur har saal Sunni da'wat e Islami ki jaanib se munbai mein Waadi e noor (Aazaad maidan) mein bade paimane par mardon ke liye aur ek din khususan aurton ke liye ijtimaa'aat muna'qad kiye jate hain.

    In dinon fitnon ka daur daura hai gehoon ke saath ghun bhi pis ja raha hai Allah azzawajal ahle sunnat mein, sunni tahareek mein barkaten ataa kare.hamare ikhtilaafaat ko door kare sab mil kar maslak e aalahazrat ka kaam aur naam karen.

    Ameen

    • Like 2
  7. Salam,

    "Haiz ya nifaas waali ka jab tak haiz ya nifaas baaqi hai thehre paani mein be dhula haath ya badan ka koi hissa daalegi paani MUSTA'MAL nahi hoga haan agar yeh bhi sawaab ki niyyat se daalegi to MUSTA'MAL ho jaayega"

    (Islami Behnon Ki Namaaz)

    Is ki wazaahat kar den aam haalaat mein to aisa nahi hota phir aisi haalat mein hi kyun paani musta'mal na hoga?

  8. 786

    Jo dukht e maah e saum ho gayi paraai hai

    Khushi se tab uroos ban ke eid aai hai

    Kisi ko gam firaaq ka teri duhaai hai

    Khasaara hi hua hai sab ke kuchh kamaai hai

    Kisi ko hai khushi ke Rab ki rehmaten ban kar

    Yeh eid shaadmaaniyon ke lamhe laai hai

    Aye roozahdaar tees roz ki riyaazat se

    Bataur e tohfa eid e fitr tu ne paai hai

    Zaeef aur jawaan o tifl sab ko bhaai hai

    Sabhi ke dil mein eid ki khushi samaai hai

    Shehar shehar, nagar nagar hua charaagaa hai

    Uroos e eid ne ki khoob khudnumaai hai

    Tamaam sunni mominon ko sari duniya ke

    Taraf se Ashiqa ke eid ki badhaai hai

    EID MUBAARAK TO ALL

    ईद मुबारक!!

    • Like 1
  9. Salam,

    Kya music ke halal hone main jawaz hai?

    Kisi ne ye hawala dia hai..

    THE HOLY BIOGRAPHY OF HAZRAT KHWAJA MUINUDDIN CHISHTI

    by W.D Begg 1st eddition december -1960

    significance of sama or qawwali and its deterioration at Khwaja Saheb's Dargah

    page no-149 to 152

    galti hui ho to muaf karen kyunki main English main uboor nahi rakhti, padh kar samajh sakti hun magar ravani se likh nahi sakti

    to the best of my knowledge, maine to kitabon main padha hai ke mazaameer haraam ast yani music haram hai

    was salam

  10. 786

    Kaha na jaaye, likha na jaaye, maqaam aisa hai ik wali ka

    Buzurg o bartar, laqab hai Haidar, ye zikr e aali hai us Ali ka

    Woh jiska Maulid hai khaana ka'ba, hai pehla manzar bhi roo e ka'ba

    Abul Hasan aur Husain hai jo, suhaag hai fatima kali ka

    Mah e walaayat, rah e sharee'at, woh Gaus o Khwaja ke pyare Baba

    Woh jiski naslen wali hain aur khud woh baadshaah hai har ik wali ka

    Woh fath e khaibar, Umar ka rehbar, woh 'ilm ke shehr ka jo hai dar

    Usi ki nisbat, buland himmat wahi to bal hai har ik bali ka

    Ali hain mujh se, main hun Ali se har ek momin ke woh wali hain

    Yeh qaul pyaara hai Mustafa ka, ye martaba hai mere Ali ka

    Sallallahu alaihi wasallam wa Raziyallahu anhum ajma'een

    Ya Ali mushkil kusha al madad!

  11. 786

    1a-Mere peer, mere yaavar hain Ameer e Ahlesunnat

    1b-Meri jaan, mere dilbar hain Ameer e Ahlesunnat

    2a-Jise ishq e Mustafa hai, hub e Gaus aur Raza hai

    2b-Woh muhabbaton ke pekar hain Ameer e Ahlesunnat

    3a-Mujhe apni aur sari duniya ki khair karni

    3b-Jo de maqsad e muattar, hain Ameer e Ahlesunnat

    4a-Madani zehen diya hai, hamen ba amal kiya hai

    4b-Kare zarre ko jo jauhar, hain Ameer e Ahlesunnat

    5a-Woh jo jhoot, bugz o geebat se dila rahe hain nafrat

    5b-Kare paak aur mutahhar, hain Ameer e Ahlesunnat

    6a-Jo the geet gaane waale sabhi naat padh rahe hain

    6b-Kare bad ko bhi jo behtar, hain Ameer e Ahlesunnat

    7a-Ae muhabbaton ke saagar, hamen bhi to le lo andar

    7b-Ke wase'e jiski chaadar, hain Ameer e Ahlesunnat

    8a-Ye mureedni hai muztar, ho yahaan rukh e munawwar

    8b-Ke inaayaton ke mazhar hain Ameer e Ahlesunnat

    9a-Are kya fuzul hai bak, tumhe kyun wafa pe hai shak

    9b-Isi maslak e Raza par hain Ameer e Ahlesunnat

    sallallahu alaihi wa sallam wa raziyallahu anhum wa damat barkatuhumul aaliya

    Allah azzawajal se dua hai ke hamare Baapa ko taweel umr bil khair ataa kare aur aap ka saaya hamare saron par daraaz kare

    Ameen bijahin nabiyyil kareem alaihis salaam

    Baapa ko wiladat bohot mubarak ho ye is siyahkaar mureedni ki janib se Baapa ki nazr hai,

    Gar qubul uftad zahe azzo sharaf..

    • Like 3
×
×
  • Create New...