Jump to content

Ashiqa Barelvi

اراکین
  • کل پوسٹس

    79
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    8

پوسٹس ںے Ashiqa Barelvi کیا

  1. Salam,

    Jazakallahi azzawajal.

    Bapa jaani bhi hamen ulama wa mashaikh ka adab o ehiraam karne ki talqeen karte hain balke zor dete hain aur almiya dekhen ke baaz jahool un par aur dawate islami par keechad uchhalte hain unhe yaad rakhna chahiye ke chaand ka thooka apne hi munh par aata hai.

    Saiyyidi Alahazrat raziallahu anhu ne hamen pyar, muhabbat aur aadab e ulama taleem ki magar afsos sad afsos ke aaj kal jahil to jahil baaz padhe likhe log bhi ulama par tanz aur aietraaz karte hain halanke jahil ki ba nisbat ek aalim agar gunaah kare to use kam gunaah hai magar be adab ko laaj nahi aati

    Allah Azzawajal hamen ulama ka waisa adab karne ki taufeeq ataa kare jaisa ke haq hai.

    • Like 1
  2. Salam,

    Jali peeron ke khilaf tehreek? Yahan to seedhe sade, mukhlis aur asl sunni tahareek ko jaali sabit kiya ja raha hai!

    Yahan hind mein dawat e islami aur sunni dawat e islami ko ji bhar kar badnaam kiya ja raha hai aur inhe allah azzawajal behtar jane ke ismein kitni sachchai hai maine to net par Huzur Tajtushsharia damat barkatuhumult aaliya ke muredeen ko inhen tang karte, marte peette aur lantan karte dekha aur ek shakhs ko apne kanon se dawate islami ko bura kehte suna.

    Agar ham sirf apne feroi muamlaat ko ikhtilaf hone par alag rakh den aur ittifaqi muamlaat mein ek dusre ka saath den to hamare 90% masail khatm ho jaen ye mera husn e zan hai kyunke sunni awaaw ab peeron ki is cold war se confuse ho gayi hai iska faida najdi 100% uthaenge hi

    Allah paak hamare ulama, shuyukh aur bhole muredeen mein ittifaak, ittihaad aur ultafaat paida kare aur huzur alaihis salaan ki ummat ki bholi bhali bhedon ko in najdi makkar o ayyar bhediyon se apni amaan mein rakhkhe

    ameen bijahin nabiyyil kareem alaihis salaam

  3. 786

    1a-Tha woh kaisa naam e Raza Raza, mujhe Mustafa se milaa gaya

    1b-Mera gulsitaa tha khizaa khizaa, sabhi phool uske khilaa gaya

    2a-Mujhe dhoka hota tha aab ka, woh to silsila tha saraab ka

    2b-Meri saari pyaas bujha gaya, woh sharaab e ishq pilaa gaya

    3a-Meri zindagi jo udaas thi, na umang thi, na hi aas thi

    3b-Rag e khoo woh ishq se bhar gaya, mera murda dil woh jilaa gaya

    4a-Mujhe na'at aisi suna gaya, mujhe Ashiqa woh bana gaya

    4b-Meri dhadkanen woh badha gaya, sabhi taar dil ke hilaa gaya

    • Like 1
  4. 786

    1a-Dil mein agar ho ishq to sab kuchh qubool hai

    1b-Ishq e nabi na ho to amal sab fuzool hai

    2a-Momin muhibb e Mustafa, kafir hai be adab

    2b-Iemaan ka yeh qaieda, seedha usool hai

    3a-Allaama, mufti, qaari, muhaddis na maulvi

    3b-Jo ek lafz e ishq na samjhe jahool hai

    4a-Najdi ko sangdil jo kaha sang ro pada

    4b-Bola nabi ke ishq mein patthar bhi phool hai

    5a-Din raat choom choom unhe jhoomti thi jo

    5b-Kitni to khush naseeb woh qadmon ki dhool hai

    6a-Deewaar hai Umar, to Abu bakr hai bina

    6b-Usman chhat, Ali dar e shehr e Rasool hai

    7a-Pesh e nazar thi aamad e Mehboob e Kibriyaa

    7b-Bhaari karod neki pe Aadam ki bhool hai

    Azzawajall, salaat o salaam ho un par, Allah paak raazi ho un sab se

  5. Salam,

    kawwe bhi deo ke bandon se panaah mangte honge he..he..

    Arz kiya hai,

    Hanson ki chaal chal ke bhula baithe apni chaal

    Kawwe ka hai pulao asar ye giza ka hai

    Aur kawwe kifayat bhi karwate hain, deo ke bandon ka budget bhi maintain rehta hai aur sawaab alag!

    Arz kiya hai..

    Halwe mein sheer o shakr hai, mewa hai, daam hai

    Kawwa hai muft sauda ye sasta balaa ka hai!

  6. Salam,

    kya khudkushi har haal mein haraam hai?

    1-Agar koi muhlik amraaz ka ilaaj na karwaye to yeh bhi khudkushi hai?

    2-Apni ismat bachane ke liye khudkushi ki ja sakti hai?

    3-Agar kisi ka shauhar ma'az allahi azzawajal murtid ho jaye ya bad mazhab ho jaye aur aurat ko talaaq na de to aurat zina se bachne ke liye khudkushi kar sakti hai?

    Was salaam.

  7. 1-Thanvi SAHAB wa digar ke tarjuma e quraan paak mein galat nahi AGLAAT hain.

    2-Makr aib hai aur Allah paak har aib se paak hai "makr" se muraad khufiya tadbeer bhi ho sakti hai urdu mein na ke chaal ya fareb.

    3-Arabi zabaan ek faseeh o baleeg zabaan hai yahi wajah hai ke Ajam se murad goonga hai aur Urdu ,farsi ya digar gair Arabi zabaanen Ajami zabanen hain jo Arabi zabaan ke alfaaz ki kama haqhu tarjumani nahi kar saktin.

    4-Alahazrat alaihi rahmah ne Kanzul imaan shareef mein jo urdu tarjuma kiya hai woh aap jaisa sainkdon uloom mein uboor rakhne wali shakhsiyat hi ko mauzun hai.

    5-Main apne tamam islami bhaiyon se darkhwast karti hun ke woh zaroor is asaan se sawaal ka sabooton ke saath jawab den warna ye samjhenge ke hamare paas jawab nahi.

    Allah meri galtiyon ko muaf kare wallahu a'alamu wa rasooluhu azzawajal wa alaihis salaam.

  8. 786

    8a-Hakeem e neem Thanvi hakeem e ummat hain

    8b-Isi liye bukhaar baar baar aata hai

    9a-Nijaat e ukhravi hai inke paaon ka dhoowan

    9b-Sabeel ham karen to naagawaar aata hai

    10a-Najis jo chaat kar zabaa se paak karte hain

    10b-Yeh gandkhor hi ko saazgaar aata hai

    11a-Chamaar se ziyada hai zaleel kyun Ashraf

    11b-Misaal se usi ki aietbaar aata hai

    12a-Kaha jo gandkhor ko ho deo ke gande!

    12b-To asliyat pe gussa beshumaar aata hai

    13a-Gubara inke makr aur fareb ka phoda

    13b-Raza se isliye inhen gubaar aata hai

  9. 786

    1a-Kahen jo ya rasool ham, bukhaar aata hai

    1b-Padhen woh Thanvi ka kalma pyaar aata hai

    2a-Muhib e Thanvi ko kyun ho khauf e gustakhi

    2b-Tasalliyon bhara jawaabe yaar aata hai

    3a-Mureed ne jo peer ko nabi bana dala

    3b-To Thanvi ke dil ko bhi qaraar aata hai

    4a-Risale ka adab ke pusht na lage hargiz

    4b-Rasool ka ho kalma intishaar aata hai

    5a-Mujahideen e Hind bagi, bewafa' mulzim

    5b-Hukoomat e firang par dulaar aata hai

    6a-Halal ko haraam aur mubah najaiz

    6b-Kahen na kyun ke rupiya hazaar aata hai

    7a-Raza ke naam se qaza na aaye kyun unkn o

    7b-Husaam ka Arab se tez waar aata hai

    • Like 1
  10. Salam,

    Muaf karen magar yeh behes hi fuzul hai!

    1-Beshak deo ke bande madaris aur masajid banane mein aage aage hain magar ye sab dushmanan e deen ki maali imdaad ke sabab hai aur ismein unka faida yeh ke asl deen e islaam par chalne wale ahle sunan mein tafreeq aur intishaar paida ho.

    2-Aaj bhi Mumbai mein sunniyon ki ek kaseer ta'dad maujood hai. Haji Ali aur Mahim ki dargahen zaireen ke hujoom se bhari hui hain, 12 when shareef dhoom dham se manai jati hai is qadar raunaken hoti hain ke traffic jam ho jaate hai.

    Kashmir se le kar kanyakumari tak mazaarat ki ziyarat karne wale baste hain.

    3-Ye sach hai ke wahabiya aur deo ke gande hamari kam haisiyati aur muaf karen begairati ka faida utha kar hamari masajid ki mali imdad kar ke saada loh awaam ko chand khanakte sikkon ki chaka chondh main andha kar rahe hain,un ke imaan ka sauda kar rahe hain magar bhulen nahi ke MIQDAAR SE ZYADA MEYAAR aham hota hai

    Duniya mein kuffar ki ta'dad sab se zyaada hai uske bawajood HAMEIN SAWAD E AAZAM kaha jaata hai!

    Was salaam.

    • Like 1
  11. 786

    1a-'Aibjoo kya tatol sakta hai

    1b-Chaand ko daag bol sakta hai

    2a-Ban ke banya rasool e 'arabi ka

    2b-Ishq palde mein tol sakta hai

    3a-Shaan e Ahmad mein shokh ik lehja

    3b-Naar ke daar khol sakta hai

    4a-Deo ka lehja hai zayabeetis

    4b-Deen mein zehr ghol sakta hai

    5a-Ishq e Ahmad mera 'aqeeda hai

    5b-Woh hai najdi jo dol sakta hai

    6a-Uske bandon ka haal kya hoga

    6b-Jin ka Rab jhoot bol sakta hai

    (salaat o salaam un par)

    • Like 2
  12. 7 8 6

    "Urdu mein shaie shuda mashhoor malfoozaat ko dekh kar yeh andaaza hota hai ke chaudhween sadi ke malfoozati adab mein bohot aham haisiyat Alahazrat Rahmatullahi ta'ala alaih ki hai jinhen Mufti e a'azam Mustafa Raza alaihi rahmat ne 1338.h mein murattab farmaya

    Ye malfoozat us jaleelul qadr aalim ke hain jo tafseer, hadees, fiqh, aqaid, kalam, sarf, nahv, ma'ani, bayaan, bade'e, muntiq, falsafaa, takseer, haiyat, tauqeet, hisab, hindisa, tasawwuf, suluk, adab, siyar, jabr o muqabila, zeejaat wa murabba,aat wa gairuhu...mein mahir the!

    (DR. Mukhtaruddin Ahmed Arzoo)

    1-Ho khwahish jab teri mehfil mein jaaoon

    2-To Al Malfooz ki majlis mein aaoon

    3-To furqat mein maze qurbat ke paoon

    4-To dil mein ishq ki sham'en jalaaoon

    5-Hai Al Malfooz ki hub kya bataaoon

    6-Main choomoon lab se, aankhon se lagaaoon

    7-Bithaaoon dil mein, palkon par sajaaoon

    8-Main ilm o deed ki pyasen bujhaaoon

    9-Ye hain alfaaz ya moti sunehre

    10-Mu'attar phool rangee gehre gehre

    11-Kaha kisne nahin ho paas mere

    12-Fataawa mein ho apne pyare pyare

    13-Yeh asfaar o siyar, taareekh daani

    14-Yeh tahqeeq o faqahat ki rawaani

    15-Yeh tableeg aur hadeeson ki bayaani

    16-Yeh ilm o fan, hunar ki zoofashaani

    17-Hai ehsaa mufti e a'azam ka ham par

    18-Bithaya aap ki majlis mein laa kar

    19-Khuda un par kare rehmat saraasar

    20-Mere Aaqa Raza par bhi baraabar

    Azzawajal

  13. 786

    1a-Mustafa,Mustafa,Mustafa,Mustafa

    1b-Kehta ja, kehta ja, Mustafa,Mustafa

    2a-Sunte hi kaan mein shehd sa ghul gaya

    2b-Jisne bhi jab kaha Mustafa,Mustafa

    3a-Kitna meetha hai, pyaara hai naam e safa

    3b-Murtaza, Mujtaba,Mustafa,Mustafa

    4a-Sunte hi jal gaya, mar gaya najdiya

    4b-Har dafa jab kaha Mustafa, Mustafa

    5a-Jalta hai toh jale, marta hai toh mare

    5b-Ham ko parwaah kya Mustafa, Mustafa

    6a-Ishq se aap ke mil gaya hai khuda

    6b-Shukriya, shukriya, Mustafa, Mustafa

    7a-Vird tera karen, karte karte maren

    7b-Maut bhi ho maza Mustafa, Mustafa

    8a-Sar ki aankhon se Attar ne aur Raza

    8b-Dekh tum ko liya Mustafa, Mustafa

    9a-Dil ki aankhon se ham ne bhi dekha Huzoor

    9b-Aap hain har jagah Mustafa, Mustafa

    10a-Ab na najdi kahe shirk hai kardiya

    10b-Rab ki bhi hai jagah? Mustafa, Mustafa

    11a-Door o nazdeek ke sunte hain bakhuda

    11b-Behra hai najdiya Mustafa, Mustafa

    12a-Jab Raza hain chale, kar rahe the wahan

    12b-Intazar aap ka Mustafa,Mustafa

    13a-Mll gaye mitti mein munkireen e hayat

    13b-Naam zinda raha Mustafa, Mustafa

    14a-Ashiqa ko Bareli se, Bagdad se

    14b-Taiba se ishq sa Mustafa, Mustafa

     

    Azzawajal aur salat o salam ho un par.

    • Like 1
  14. 786

    1a-Tujhe hai meri Muhammad se gulaami ka gam

    1b-Are gulaam to hain un ke gulaamon ke bhi ham

    2a-Tera yeh fatwa adab mere nabi ka ho kam

    2b-Mera yeh jazba ke jitna bhi karo utna kam

    3a-Khuli jo gathri meri us mein faqat itna tha

    3b-Nabi ka ishq, ye kuchh sh'er, adab, chashm e nam

    4a-Jo daal de tu jahannam mein yeh insaaf tera

    4b-Jo bakhsh de to meherbaani teri, tera karam

    5a-Muhabbaton ne meri mujh ko bachaya varna

    5b-Mere gunaahon se wajib tha yeh dozakh ka shikam

    Un par Allah Azzawajal ka salam ho aur...

    Un ke sadqa ham par dozakh haraam ho

    AMEEN!

    • Like 1
  15. 1a-Ta'zeem e Anbiaa hi toh Islam ki hai jad

    1b-Jo is se phir gaya toh woh jad se gaya ukhad

    2a-Iblees e na bakar ko mardood kar gai

    2b-Main naar woh hai khaak ki magroor si woh bad

    3a-Jadoogaron ne 'ijz kiya paa gaye najaat

    3b-Garqaab kar gayi use fir'aun ki akad

    4a-Tabbat yada abi lahabin se sabaq pakad

    4b-Biwi ko uski moonj ki rassi gayi jakad

    5a-Shaatim hua na ghar ka, raha na hi ghaat ka

    5b-Duniya mein bhi woh khwar toh uqbaa gayi bigad

    6a-Zaalim ki rassiyan hain jo dheeli toh gham nahi

    6b-Qahhar ke qahar ki bhi mazboot hai pakad

    7a-Ishq e nabi na ho toh hai mardood har 'amal

    7b-Sajde karo karod hi maatha ragad ragad

  16. Salam,

    Ek dafa majburan ek badmazhab kutub farosh ke paas jaana hua,

    "Mujhe Aamal e Raza chahiye."

    Is par wahan baithe ek najdi ne mujhe abroo utha kar nagawari se dekha,main dang rah gayi!

    Us waqt mujh par "Sawanihe Alahazrat" kitab mein padhi ek nasihat amali taur par khuli.

    Hazrat Maulana Qadirbakhsh Sehsarami se poochha gaya ke "Hazrat! sunni wahabi ki kya pechan hai? Aisi baat bataiye ke jiske zariye ham log bhi sunni aur wahabi ko pechan saken koi badi ilmi baat na ho."

    Hazrat ne farmaya,

    "Aisa aasan umdah aur khara qaida aap logon ko bata deta hun ke is se achha milna mushkil hai. Aap log jab kisi ke baare mein maloom karna chahen ke sunni hai ya wahabi toh iske saamne Aalahazrat Shah Ahmad Raza Barelvi (Allah ki un par rehmat ho) ka tazkira chhed deejiye aur uske chehre ko bagaur dekhiye agar chehre par bashshashat aur khushi ke aasar dikhai paden to samajh lijiye ke sunni hai aur agar chehre par pazmurdagi aur kudurat dekhiye toh samajh jaiye ke wahabi hai aur agar wahabi nahi jab bhi us mein kisi qism ki beadabi zaroor hai."

    Is liye kehte hain momin ki farasat se daro, is waqiye ne mere andaar talatum paida kar diya, maine dil ki bhadaas nazr e qirtaas ki galti ho toh islaah karen.

    1a-Momin hai ke munafiq use ham pakad gaye

    1b-Ahmad Raza ke zikr se chehre bigad gaye

    2a-Shaadi toh dhoom dham se najdi ne ki magar

    2b-Meelad e Mustafa ko woh israaf jad gaye

    3a-Quraan e paak mein nazar aaye to bas abas(surah Abasa)

    3b-Andhe ki aql o dil pe toh parde hain pad gaye

    4a-Taiba ki shaahraah se hat kar jo lee gali

    4b-Danista qafle se musafir bichhad gaye

    5a-Nafrat ke gandkhor ko badboo rahi pasand

    5b-Ishq e rasool e paak ki khushboo se sad gaye!

    Was salaam.

    • Like 5
  17. Salam,

    kya aapne mujhe "beti" kaha ya mere chashme ka no# phir se badhne wala hai? Aapki umr? Khair, bhai, maine ilm e urooz self study se seekha hai ye thoda mushkil hai magar namumkin nahi ye woh ilm hai jo Gause paak ,Alahazrat aur digar auliya aur ulama ne seekha (Allah's mercy on them) aapka lehja bohot teekha hai (meri tarah) jo dushmanon ko jalane aur inki hiju karne ke liye kafi hai agar aap kisi tarah urooz seekh len to maze daar kalam padhne ko milega aapke pehle misre ne hi mujhe chheda aur pura ka pura kalam tarteeb pa gaya, net par urdu prosody ke naam par kitaben ba asani mil jayengi was salam!

×
×
  • Create New...