Jump to content

shahzad6058811

اراکین
  • کل پوسٹس

    634
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    17

سب کچھ shahzad6058811 نے پوسٹ کیا

  1. aaj rozenaama express lahore edition main aik mazmoon chappa hay, DHOBI, by rao manzar hayyat sahib, bahut aala subject hay. hazrat DAATA GANJ BAKASH k baray main bhee kaafi aap beetee waaqiaat likhain hain. ko e muhabbat wala bhaee yahan paste kar day.
  2. ok, zia sahib and Muhammad Ali sahib,jo guftagu jaari hay, wo aap teenoon he jaari rakhain taa kay 4th person is guftgu ko break na day sakay, doosray subject ko likhnay say asal baat ka tasalsal toot ta hay, jab aap ka subject mukamal ho ja ay ga. us k baad kuch request karoon ga.thanks to khalil rana,zia sb and Muhammad Ali sb.
  3. janab zia bashir sb, mujhey to jawaab day kar satisfy kar dain, maira to bahut saada sawaal tha. aap to khamosh ho gay kion ?
  4. ziz sahib, 2 question hain wazahat farma dain. main Allah ka naam lay kar qurbaani karta hoon,magar karta apnay father marhoom kee taraf say , kia jaiz hay, Main ka naam ke daig rice ke pakwa kar HAZOOR GHOUS PAAK SH ABDUL QADIR JILLANI ke rooh mubarak ko esaal karta hoon, ghareeboon main ya rishta daroon main baant kar,kia jaiz hay, aap baar baar keh rahay hain k mushrik/kafar apnay bootoon ke ibaadat kartay thay aur un bootoon ko maabood samjhtay thay. main kissi sahib e qabar ya apnay waldain kee qabaroon ko maabood naheen samjhta, un ka waseela ALLAH kee bargah main paish kar kay dua ALLAH say karta hoon, kia jaiz hay. Main nay aik book main parah tha k agar waldain main say kissi kee qabar par ja kar ,un ko waseela bana kar ALLAH say dua kee ja ay to wo qabool ho jaati hay. agar ya sub kuch jaiz hay to main karta hoon,aur sub sunni aisa he kartay hain, agar ya sub kuch bhee naajaiz hay to please inform. aik wahabia madrassa kay prsident nay mujhey kaha tha agar aap ka ya kissi bhee ka aqeeda yahee hay,to bilkul theek. in hee president kay children har saal apnay father k naam kee qurbaani kartay hain. umeed karta hoon,sirf inhee question ka mukhtasar jawaab tarteeb waar dain,lambee behas na karain. thank you
  5. jis bhaee nay poocha tha un k mazeed tasaali k liee ay, tafseer tibeeanul quraan by allama Ghulam Rasool saeedi sb, page 290,qiamat jumma ko ho ho gee and 10 muharaam ko ho gee. hadees number2901,muslim sharif.(tafseer jild Number 9,tibeeanul quraan) fazayal oqaat,page 441,imam behqee.
  6. zia bashir wahabi aur jamat islami say hain. ibne hashaam kay ilaawa jo seerat ke book mubarak poori kee hay, ya saudia kay kehnay par tamam universitis main recommend kee gaee hay. is author kee urdu main books saudia main haajioon ko mufat baanti jaati hain. issi book par saudia nay behtreen seerat book par saal ka award bhee dia hay. zia sb wahabee hain. har wahaabi kay ghar ya book hay ya jo M A islamiaat karta hay. ab in k zehan ka andaza laga lain. zia k introduction main likha hay, apna mazhab naheen bata raha.
  7. INSHA ALLAH marddod he rahain gay. talib johri jaisay log and jo is ko follow kartay hain.
  8. please wazahat karain,paani kaisay pohnchta hay. kia sea,ya canals,main ya river main, ya zameen k andar, aur kia har zee rooh ko sa aadat miltee hay k wo is ko p sakay. ya chand log hain jo is say mustafeez hotay hain. maslan indonesia, s africa,amrica,indo pak, australia,newzeland, russia etc etc. tafseer ka tarjama karain to samajh aa ay gee. abhee tisnagee baaqi hay,baat poori samajh nahee aa ee. jazakAllah
  9. AAP k naam mubarak k saath SUAAD ya SAALAAM likhna najaiz o sakhat haraam hay. (Tahtaawee, fatawa rizvia) ref sunni bahishtee zaoiwar by mufti Muhammad khalil khan barkaati sb. page 327
  10. aap k gharailu haalaat ka hal aap aur aap k ghar waloon k pass tha .aap pehchaan naheen sakay. aap nay likha hay aap ke saas lalchi hay. aap ko chaheeay tha start say say he ko na ko e gift saas ko daitee rehteen. apnay waldain say bhee kahain. aap bazar ja ain to kuch na kuch fruit ya ko e gift waghaira us ko la dia karain. 3/4 month ya tareeqa ikhtiaar karain. aap kee saas aap kee taareef aap k husband k saamnay khud karay gee. agar aap ko husband ghusay ho gato wo us ko daantay gee aur aap kee taraf daari karay gee. husband ko saas kay zarryyaa qabu karain. ya ko e mushkil kaam naheen. agar saas aap ke ho ja ay to husband apnay aap aap ka ho ja ay ga. agar husband aap ka ho gia, aur saas na ho saki to wo husband ko bhee aap ka naheen rehnay day gee. aap umeed hay baat samajh gaee hain. saas ko call karain aur poochain kay aap ko kuansa colour pasand hay. us colour ka suit lay ja ain. 8/10 hazar kharach karain 3/4 month m,ain, sub kuch theek ho ja ay ga INSHA ALLAH. aik dafa ua try kar k daikh lain. kaam na banay to phir khulla ka soch lain. jo aap kee ghaltiaan hain un k baaray bhee sochain aur theek kar lain.
  11. aap k gharailu haalaat ka hal aap aur aap k ghar waloon k pass tha .aap pehchaan naheen sakay. aap nay likha hay aap ke saas lalchi hay. aap ko chaheeay tha start say say he ko na ko e gift saas ko daitee rehteen. apnay waldain say bhee kahain. aap bazar ja ain to kuch na kuch fruit ya ko e gift waghaira us ko la dia karain. 3/4 month ya tareeqa ikhtiaar karain. aap kee saas aap kee taareef aap k husband k saamnay khud karay gee. agar aap ko husband ghusay ho gato wo us ko daantay gee aur aap kee taraf daari karay gee. husband ko saas kay zarryyaa qabu karain. ya ko e mushkil kaam naheen. agar saas aap ke ho ja ay to husband apnay aap aap ka ho ja ay ga. agar husband aap ka ho gia, aur saas na ho saki to wo husband ko bhee aap ka naheen rehnay day gee. aap umeed hay baat samajh gaee hain. saas ko call karain aur poochain kay aap ko kuansa colour pasand hay. us colour ka suit lay ja ain. 8/10 hazar kharach karain 3/4 month m,ain, sub kuch theek ho ja ay ga INSHA ALLAH. aik dafa ua try kar k daikh lain. kaam na banay to phir khulla ka soch lain. jo aap kee ghaltiaan hain un k baaray bhee sochain aur theek kar lain.
  12. question 21, aap par aitraaz k aap nay gaana sunna.is k baaray main ilam naheem .haan albatta aik waqia hay k habsha say aik muslimaanon ka group aay aa. us nay apnay tareeqay k mutabic masjid nabvi sharif main he dance/ludi/ jhoomer jo bhee un ka tareeqa tha us k mutabiq dance kia. aur saath shair bhee prthtay gay. HAZOOR nay sahabioon say poocha k ya kia keh rahay hain to unhoon nay jawaab dia kay ya apni zabaan main keh rahay hain.MUHAAMD ABDUN SALEH. is kay baad kuch sahaba bhee un kay sath shamil ho kar un jaisa he masjid nabvi sharif main halkay halkay andanzce cmain dance kartay rahay. ya gaana to naheen naat keh saktay hain jo habsha k loogoon nay gaa ee. ab bhee jab africa/habsha kee ldies HAZOOR k roza sharif par jaati hain haazri k loee ay,aik hissa ladies k liee ay makhsoos hay, to wo moon say ajeeb tarah kee oonchee aawaaz nikaltee hain. haalaan k wahan oonchee awaaz say boolna mana hay. shaid wo kuch araz karna cahtee hain.magar zahir ya gaana naheen ho sakta. ya naat ke ko e shakal un kee zabaan main hoti hay.(reference speech at ARY Q TV. ab bhee africa/habsha ke ladies jab hazri k waqat roza
  13. please discuss in detail with your parents who have blood relation with you, they will solve. if you leave susraal house and settle at parents house, will they detain you, they would have to face many problems. so first of all un ko aitmaad main lo. phir agar wo raazi hoon to khula lay lo. maira khial hay tumhara husband kissi aut larki main interrsted hay and us ke mother us ke shadi kaheen aur karna cahtee hain. so apnay waaldain say he baat kro.
  14. tafseer ru hul biaan ka urdu tarjama likhain, jo aap nay ab e zam zam k baaray main nishan lagya hay page par.thank you
  15. main nay jo darood likha tha wo editing main shaid omit ho gia.ya drood sharif wo hay jo madni channel par sallu alal habib kay jawaab main parah jaata hay. yaanee, Sallalla ho alla Muhammad ya darood sharif 15 minute main 1000 dafa parh saktay hain. aik wazahat darkaar hay. jis tarah hum kehtay hain Mustafa jaane rehmat pay lakhoon salaam, ya kaaba k badaruduja tum pay karooroon darood. to kia hamain lakhoon croroon ka swaab milay ga. dekho dusman sahib nay kaha,janab mukamal darood likhain aur parhain. ab agar main kehta hoon YA ALLAH apnay HABIB par aik kharab darood sharif bhaij (urdu main ,to kia mujhey ten kharab swaab milay ga k naheen.) thank you
  16. hazrat ammar bin yassar city ruqqa, hazrat hajar bin haddi, city damascus, hazrat khalid bin waleed and khalid masjid city hamas, masjid umayya jahan hazrat yahya alahissalaam ka mazar hay,city halab, mazaar hazrat owais qarni city ruqqa,ya saaray mazaarat saudia ke favoured us group nay tabah kiee ay jo is waqat syrian hakoomat kay khilaf hay. is main kuch al qaida kay log pakistan/afghanistan say bhee shift hu ay. ya wo he alqaida group hay jis nap pakistan say shift ho kar libya kay president qazaafi ko qatal kia. magar saudia ya propaganda karta hay k syria ke army nay tabbah kie ay hain. pakistani akhbaaraat main aa chuka hay kay ya syrian army nay tabah kiee ay hain. (ya zarkharid akhbaaraat hain ) wo he saudi zehan syria main bhee kaam kar raha hay. toheedi bhaee nay jo link dia hay, wo to kuch aur khul jaata hay. mazaarat nazar naheen aatay.
  17. salam, kuch din pehlay aik bhaee nay poocha tha k kia ya baat sahee hay k qiamat jumma kay din aur youm e aashoor ho ga. agar kissi ko pata ho to please share karain. main nay jo try kia to pata chala k haan qiamt jumma kay din ho gee aur 10 muharram ho ga. reference jo mujhey mil saka. page 525, book seerat e RASOOL E ARBI (by Allama Noor bakash tawakli R.A
  18. issi silsala main qari khushi Muhammad rizvi,khateeb jamia masjid noor jahanian nain mujhey sms bhaijay,main nechay quote kar raha hoon, shaid sub kay liee ay faida mand hoon. 1.AAP nay farmya, main nay is muqaam par kharay ho kar har woh cheezdaikh lee jo aaj tak na daikhee thee ,yahan tak k jannat aur dozakh bhee.(bukhari sharif hadees number 86 ) dozakh/jannat bhee to ghaib hay. 2.Hazrat umar farooq farmaatay hain k jang e badar k aik din pehlay he NABI PAK nay wo muqaamaat dekha deefulan yahan par maray ga. ay jahan par wo kafar qatal kiee ay ja ain gay.AAP nay farmya, kal fulan yahan par maray ga.hazrat umar qasam kha kar kehtay hainus zaat kee qasam jis nay RASOOL PAK ko haq k saath bhaija k jahanjahan NABI PAK nay kafroon k marnay k nishan laga aywahan par he wo mara aur zara us nishan saymutjawaz naheen hu aa.hadees mishkaat sharif safa 542.
  19. sir, main seekhna cahta hoon, aur as student he kee tarah tone rakhoon ga. Apni danista ya na danista ghalti kee ALLAH say touba karta hoon. and aap ko mairi ko e baat buri lagi us k liee ay maafi ka talabgaar hoon.
  20. janab,ghulam e ahmad sb and zulfi sb,dartay dartay aik baat poochna cahta hoon, zulfi bhaee nay likha k wahabee is hadees ko zaeef kehtay hain, hazrat umer bin abdul aziz ke is baat ko aap nay aik shakash ko 20 koray lagwaa ay,yazeed ko amirul moumaineen kehnay par, kia hum is ko bhee hadees kahain gay. kia is ko raiwayat kahain gay ? kion k hadees to wo hay jo AAP say baat mansoob ho. please clarify karain gay taak us wahaabee aur zulfi bhaee ko bhee wazahat mil ja ay. thank you..
  21. lahore main jumma parhnay ka itfaaq hu aa, khateeb sahib attari thay, ya us waqat kee baat hay jab ammamma sharif ka rang KATHAEE tha. unhoon nay farmya k khutba k douraan jab imam waqfa karta hay to ya waqfa is waja say hota hay k masjid e nabvi sharif main HAZOOR khutba irshaad farma rahay thay k husnain kareemain apnay hujra say un ke taraf aanay lagay to chaltay chaltay gir paray,to AAP nay khutba roke dia aur fauran un kee taraf taizee say chalay taa k un ko goud main utha sakain. AAP nay un ko uthaya aur member par tashreef lay gay. to is waqat imam jab khutba k douraan waqfa karta hay to ya us waaqia kee yaadgaar hay. kia ya baat sahee hay. any islami bhaee roshni daal sakain gay. thanks to all
  22. waseem bhaee mairay mohalla k khateeb nay ya baat naheen kee. bahut pooraani baat thee, kis nay kahee,kab kahee,kahan kahee,yaad naheen.topic chala to zehan main baat aa gaee to likh dia. jab saeed sb nay objection kia to main samjh gia wo kehna cahtay hain k tarjama sahee ya ha k ALLAH SUB SAY BARA HAY. main tasdeeq k liee ay mohallay ke masjid k khateeb kay paas gia jin say is baaray main poocha. phir aik arabic professor say poocha to us nay bataya k AKBAR sub say bara and KABEER bara hota hay. main to saath saath wazahtain karta gia saeedee sb ko about 4/5 jawaabaat main. main bhee yahee kehna cahta hoon k hum yahan seekh rahay hain.we all are student. ab student sahee swaal bhee karay ga and wrong bhee. any how, thank you for your muhabbat. dua main yaad rakhain.
×
×
  • Create New...