Jump to content

rehman alvi

اراکین
  • کل پوسٹس

    113
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    2

سب کچھ rehman alvi نے پوسٹ کیا

  1. ek deobundi na muja sa sawal kiya k nabi pak na apna liya khud janat ki dua ki hy or tum baralvi kahta ho k jannat mil bi gaya tu kya nabi mila tu jannat ,tu phr kabol hy mara sawal ya hy k kya kabhi nabi na apna liya janat ki dua ki hy jb k mara aqidah hy k jannat bani hi nabi pak k liya hy
  2. rehman alvi

    Talak Masla

    mara dost na apni wafi ko apni sali k yaha jana sa mana kiya tha k agar tu waha gai tu mari taraf sa tuja talak ho gai mara dost na talak k laf ek bar hi use kiya hy or ab tak is ki biwi waha nai gai ab us k liya kya hukum hy plz jawab wo boht parashan hy
  3. AAla hazrat k nazdeek mazamir k sath jaiz naheen http://www.islamimehfil.com/topic/1629-qawwali-aur-naat-moseeqi-ke-sath-sunna-kesa/ http://www.islamimeh...ath-sunna-kesa/
  4. Aa'la Hazrat Imam Ahmad Raza khan{Rehmatulla ­ he Alayhi} k baare Mein Mukhtasar Malummat :- Aala Hazrat Imam Ahmad Razakhan{Rehmatulla ­he Alayhi} ki Wiladat 10 Shawwal 1272 Hijri (1856) Ko Bareli Sharif Uttar Pradesh,British ­ India Mei Hui. 4 Sal Ki Umar Mei Quran E Pak Nazra Khatam Kiya Aapne, Aapne Walid Mufti Naqi Ali Khan Se Talim Hasil Ki. 6 Sal Ki Umar Mei Aap Meelad-E-Rasool Ke Unwan Par Shandar Taqrir Farmai. 8 Sal Ki Umar Mei Arbi Zaban Mei Aapne 1 Kitab Likh Kar Sab Ko Hairan Kar Diya. 13 Sal 10 Mah Ki Umar Mei Aapne Pehla Fatwa Likha. 55 se Ziyada Uloom(Subject) Par Taqriban 1000 Kitabe Aapne Likhi. Quran E Pak Ka Urdu Zaban Mei Bahetrin Tarjuma KANZULEMAAN Aapne Qaum Ko Aata Kiya. 12 Jildon Par Mushtamil Fatwa Razviya Likh Kar Aapne Fiqh~E~Hanfi Ki Zabardast Khidmat Anjam Di. Sari Zindagi Deen Ki Khidmat Aur Ishq E Mustafa Ki Daulat Taqsim Karne Mei Aap Laage Rahe. Duniya Ke Bade Bade Ulma Aur Fuqha Ne Aap Ko Mujaddid Tasleem Kiya. Aap Ke Natiya Kalam Ki Sari Duniya Mei Dhoom Hai. Kai University Mei Aap Par Research Ho Rahi Hai. Aap Ka Wisal 25 Safar (1921)Ko Azaane Jumma Ke Dauran Huwah. ~Ref:-Hayat-E-M ­ ubarak Aa'la Hazrat Ulma-E-Ahle Sunnat Mujaddi-E- Dino Millat Imam Ahmad Raza Khan{Rehmatulla ­ he Alayhi} ki Hayat- E-Mubarak Page No:13 Aa'laHazrat Ne Quran-E-Pak:ka Tarzuma 1911 Mei "Kanzul Emaan" Naam se kiya,Aapne Maulana Amzad Ali Azmi ki Gujarish Par Yeh Tarzuma kiya Tha. Aa'laHazrat ka Likha Huwah Pyara "SALAM" "MUSTAFA JAANE REHMAT PE LAKHO SALAM" Woh "SALAM" Hai Jo Duniya Mei "AAZAN" Ke Baad Sabse ziyada Padha Jaata Hai. Qur'an ka Tarzuma karne ke Liye Sirf ILM Hi Kafi Nahi Balki ALLAH Ki Taraf se Taufiq Bhi Chahiye Or Sachcha "ISHQ-E-NABI" Hona Chahiye Jo Aa'la Hazrat ke Paas Tha.
  5. daish tanzeem k peechay kon log hy ?????????
  6. kiik e raza bhai jan muja mara sawal k jawab da kya ya bidat hy muja us ko jawab dana hy
  7. muja ek deobundi na kaha hy k eid k din 3 bar gala mil na bidat hy or ap k aalim bhi ya hi kahta hy plz is k jawab da
  8. jazakallah bhai ek sawal or hy is k bhi jawab da da Ma Allama Syed Muzaffar Hussain Shah Sahab ka bayan sun raha tha us ma unho ny kaha k nabi pak sallallahu alaihi wasallam 40 saal phly pura quran janty thy plz is hawaly sy mujhe puri detail ho tu ap kisi k pas bata dein or alahazrat ki is topic pr koi book ho tu us ka bhi naam bata dein
  9. lakin ap muja ya bata da Akhtar Raza Khan sb k sunni tabeeghi jamaat sa kya lana kya wo sunni tabeeghi jamaat ma hy
  10. is k jawab chia Akhtar Raza Khan sb Barelvi Ka Fatwa ! Dawat e Islami Maslak e Ala Hazrat K Mubalig Nahi Hai
  11. Sunni Tableegi Jamaat kis ki hay ya apna ap ko MASLAK-E-ALAHAZRAT kahta hy or dawateislami ko gulat
  12. Barelvi koi maslak nai hy Barelvi sunni ki sahi pehchan k naam hy Nahmaduhu wanu salli ala Rasoolihil kareem Bismillahir rahmanir raheem Alhumdulillah, Jahaan Ahle Haq ne Har daur me Baatil ka Asli chehra Logon ke Samne Pesh kiya hai Vahin Deen-e-Haq ki Sachhi Raah bhi logon ko Bataya hai. Apni Buzurgane ke faizo karam se Aur Unke tarike par Amal karte hue Jahan Sunni Tableegi Jamaat Batil Ke Chehre Se Naqaab utha kar logon ke Samne unka Parda Fash kar rahi hai Vahin Insha Allaho Ta'ala Raah-e-Haq, Yani Sirat-e-Mustaqeem ki Raah bhi Musalmano ke Samne Zaroor Pesh karegi. (Hadees-e-pak Mafhum) Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam) Ki badi Maroof aur Mashhoor Hadees-e-Pak hai Jisme Sarkar (Alaihisalam) ne Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta�ala alaihim ajmaeen) se Farmaya: � Meri Ummat me 73 firke Honge..! 72 Jahannam me Jayenge..! Sirf ek Jannat me Jayega..!� Sahaba Ikram ne Jab Arz kiya � Ya Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam), Vo Jannati firka Kaun hai, Uski Pehchan kya hai � Huzoor(alaihisalam) ne Farmaya: �Jis par main hun Aur mere Sahabi hain� (Subhan Allah). Huzoor (Salllalaho Alaihiwasallam) Ka ye Mubarak Javaab Kaabil-e-gaur hai, Aur Isme Beshumar Hikmate bhari hui hai. Aur Agar Koi shaks Is Hadees-e-Pak Ko Muhabbat Aur Sachhe Dilse Se Samajh le to Zarur Haq Aur Batil Ko Pehchaan lega..(Insha allah) Jab Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta�ala alaihim ajmaeen) ne Savaal Kiya to Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) Ka itna farma dena hi Kaafi tha ke �Jo Mere Raste Par chale,Vo Jannati hai� Lekin Huzoor(Alaihisalam) ne Ye kyu Farmaya � Jis Par Main hun Aur mere Sahabi hai�. Isse Saaf Zahir Hogaya ke Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Apni Deen-e-Haq ki Pehchaan ke Liye Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya..Tamam duniya walon ko Zehen Diya Ae Logon, Mere Parda Farmane ke Baad agar Deen-e-haq Sikhna Ho to Mere Sahaba se Sikhna Aur Jo unke Khilaf ho to Vohi Gumraah aur Badmazhab hai. Isse Pata Chalta hai ke Deen e Haq ki Pehchan ke Liye Allah Ta�ala Aur Uske Pyare Habeeb ne Har Daur me Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya. Jab Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Hamari Ankho se Parda farmaya �to Jannatiyon ki Pehchaan Sahaba Ikraam hue, Ek Daur Aya Jab Kalma Padne walon ne Zakat ka Inkaar karna shuru kiya� To Haq ki Pehchan Abu Bakr Siddiq hue�, Farooque Azam Hue, Usman-e-Zunnurain Hue, Maula Ali Hue(Ridwanullahi ta�ala alaihim ajmaeen) Yahi Nahi Jab Karbala Ka wakiya Pesh Aaya Yazidi Bhi Usi Nabi ka kalma Padte the,Bazahir Hukumat bhi Yazid ki thi, Tadaad Yazid ke Paas thi � Lekin Haq ki Pehchaan Husain-e-Azam Aur unke 72 Afraad ke lashkar se hui� Jab Sahaba Ikram ne Is Duniya-e-fani se Parda Farmaya to Jannatiyon ki Pehchaan �Tabaeen Hue� ( Yani Jinhone Sahaba Ikram se Deen Ko sikha) Isi Tarah Se Kabhi Ek Daur me Deen �e-Haq ki Pehchan Sarkar Gaus-e-Azam Huey, Kabhi Sarkar Gareeb Nawaz Huey, Kabhi Sarkar Mujaddid Alf-e-Saani Huey. Allah Ta�ala ne apne Fazl se Zarurat ke Waqt me Apne Deen ki Hifazat ke liye Apne Mehboob Bando ko Paida Farmaya Aur unhi ke Naam Se us Daur Me Deen-e-Haq ki Pehchaan Hoti Rahi� 14vi Sadi me Jab Hind me Kuch gustakh firqon ne Rasool-e-Azam ,Tamam Nabiyon ke Sardar Muhammadur Rasool allah(Sallalaho Alaihiwasallam) Ki Shaan me Gustakhiyan karna Shuru kiya, Aur Logon ko Ye Napak Zehen Dena Shuru Kiya ke Nabi ka khayal Namaz me aaye To Vo Namaz me Zina ke Khayal se bhi Badtar hai(Ma�azallah). Aur Un Gustakhon ne yahan tak kaha ke Nabi Marke Mitti me Mil gaye, Aur Nabi ka ILM-e-Ghaib to Aisa hai Jaise Pagalon, Janwaro Ka hai..(Ma�az Allah) Logon ko Ye zehen diya ke sirf Allah Ta�ala ko mano Rasooallah(Sallalaho Alaihiwasallam) ki Tazeem ki koi Zarurat nahi!�(Ma�azallah) Jabke Sach to ye hai ke Sahaba Ikram ka to Ye Amal tha Jab vo Namaz me Hote Aur Huzoor(alaihisalaam) Unhe Bulate to Namaz Chor Kar Huzoor Ki Bargah me Hazir Hote, Aur Phir Lautne Par vahin se Rakat Padte jahan se vo gaye the, Aur Unhe Aisa karne Ka Hukum Khud Allah Ta�ala ne Quran Sharif me Diya hai� Jabke Hadees �e-Pak me Hai Huzoor(sallalaho Alaihiwasallam) Ne Farmaya: �Allah Ta�ala Ne Mitti Par ye Haram kar diya hai ke vo Nabiyon ke Jism ko khaye, Allah ke Nabi Zinda Hai Aur Rizq Diye Jate Hain.� Aur Aisi Beshumar Gustakhiyan Jo Koi khula Kafir bhi na kare, Vo Bazahir Kalma Padne Wale Wahabi/Deobandi ne kiya. Aisa Badtar Mahol Paida hogaya tha, koi (Ma�azallah) Allah Ta�ala ko Jhoot bolne par qadir keh kar Allah Subhanwata�ala ki Shaan me gustakhi kar raha tha� Koi shia Bankar Sahaba Ikraam Ki shaan me gustakhi kar raha tha, Koi Wahabi/Deobandi kehlakar Ahle Bait Ki shaan me gustakhi Kar raha tha, Koi Nabiyon aur waliyon ke Ikthiyarat ka Inkaar kar raha tha, Jab Aise Jhoote Kalme Padne Wale, Jhooti Namaz Padne Wale�Logon ka Imaan Barbaad Kar rahe the Aur Allah ke mehboob bandon Ki Azmat Aur Muhabbat Logon ke dilon se Nikal rahe the� To Allah Tabarak wa Ta�ala ne Phir Hum Par Karam Farmaya Aur Apni Nabi Ki Azmat ka Parcham Buland Farmane k Liye, Bareilly Shareef ki Sar-Zameen SeIMAM AHMED RAZA Ko Paida Farmaya�(Subhan Allah) Vo IMAM AHMED RAZA Jisne Tamam Gustakhon Ko ,Tamam Munkiron ko Quran Sharif Aur Hadees-e-Pak Se Unke Jhoote Aqeede ka Muh tod Javaab Diya, Aur Rasoolallah (Sallalaho Alaihi Wasallam) ki shaan me Gustakhi ki bina par Unka Kufr Saabit kiya.Aur Sunniyat ki Haqqaniyat ka parcham lehrayaa. Aur Rasoolallah (Sallalaho Alaihi Wasallam) ki Azmate Bayan Karte Hue Ilm ka Darya Baha Diya�.. Aur Apne Aqa ki Bargah me Yu Arz Kiya : �Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla, �Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla, Meri Chasme Alam Se chup Jaane Wale� Aur Farmaya: Ya RasoolAllah(Sallalaho Alaihiwasallam) �Aur Koi Gaib kya,Tumse Niha ho Bhala Jab na khuda hi chupa..Tum Pe Karodon Durood� Aur Hum Jaise Karodon Musalamano Ke Imaan o Aqeede Ki Hifazat ki Aur Unki Is Khidmat aur Baatil ko Benaqaab Karne par, Arab-o-Ajam Yani Saari duniya ke Ulma-e-Karam Ne aapko 14vi Sadi Ka Mujaddid Karar Diya Aur Aapko �ALAHAZRAT� Ke Mubarak Alqab se Nawaza. Ye us waqt ke Arab ke Ulma-e-Kiram the Jab 1200 saal se Harmain Sharifain me Sunniyon ki Hukumat thi, Aj kal ke Najdi/wahabi ki zalim hukumat jo zabardasti kabza karliya hai usko sirf 200 saal hue hain. Jab In gustakho ki Asliyat samne Agayee to ab ye Gustaakh bhi Apne Aapko sunni kehne lage the , Ahle Sunnat Wal Jamaat kehne lage the�. Zaroorat thi ke Sachhe Sunni Aur Jhoote Naam ke Sunni Ko Pehchanne ke liye koi tarika mukarar kiya jaye: Us waqt ke Ulama Farmate the Ke �Hind Se Jab koi Musalmaan Ata Hai to hum Usse Ahmed Raza Ke Bare Me Poochte hai, Agar Vo Unki Taarif Karta tha to Hum Samajh Jate the ke Ye Sunni Imaan Wala hai, Aur Agar Hind se Aanewala Ahmed Raza Ki Burai karta tha to hum samajh lete the ke ye Ahle-Biddat hai, Gustakh hai� Us waqt se Sari Duniya Me Imaan Wale Sunniyon ki Pehchaan IMAM AHMED RAZA ban gaye. Isliye Ulma-e-Arab-o-Ajam ne Imaan wale aur gustakhon ki Pehchan ke Liye MASLAK-E-ALAHAZRAT kehna shuru kiya. Aur Allah ta�ala aur Uske Pyare Habeeb (sallalahoalaihiwasallam) ki Raza bhi Isi me thi warna Aaj duniya ke Har kone me Maslak-e-Alahazrat ki gunj na hoti�Ye Sabse bada saboot hai Ke Allah ta�ala jise chahta hai Izzat bakshta hai. Isliye shaayar ne kya khub kaha Sab Unse Jalne walon ke gul hogaye charaag Ahmed Raza ki shamma faroza hai aaj bhi. Aur Ab Is Daur Me �MASLAK-E-ALAHAZRAT � hi Deen-e-Haq ki Pehchaan Hai. MASLAK-E-ALAHAZRAT hi vo Maslak hai Jo Is Hadees-e-pak Par Sahi mana me Amal Kar raha hai �Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tarike Par ho�(Hadees-e-Pak) Aaj agar koi Banaam Sunni Is �Maslak-e-Alahazrat� ke Naare Par Aitraz karta hai to Use Sochna Chahiye Ke Allah Ta�ala aur Uske Pyare Habeeb ne Har Daur me Kisi na Kisi Ko Apne Deen Ki Pehchaan Ke liye Chuna, Is Daur me ALAHAZRAT Ko Is Khidmat se Nawaza, Lihaza Isme kisi ko koi Hasad Ya Jalan Nahi Rakhna Chahiye. Balke Hume ALAHAZRAT ka Shukr Manna Chahiye ke Agar Vo Hamare Imaan Ki Hifazat Na karte aur In Wahabi, Deobandi, Ahle Hadas! ke Kalma Aur Namaz ke Piche Chupe hue Kufr Ko Benaqab na karte, To Kya Hota? Yaad Rakho Jisne Allah Ta�la ke Bando Ka Shukr Na Mana, Goya Usne AllahTa�ala ka Shukr Na mana..!
  13. Salam, Ma Allama Syed Muzaffar Hussain Shah Sahab ka bayan sun raha tha us ma unho ny kaha k nabi pak sallallahu alaihi wasallam 40 saal phly pura quran janty thy plz is hawaly sy mujhe puri detail ho tu ap kisi k pas bata dein or alahazrat ki is topic pr koi book ho tu us ka bhi naam bata dein
  14. Yahan to hadd hi paar kar diya hai, mulahiza ho. “Qayem hazrat-e-Imdaad ko marne na diya Balki Zindah hi rakha sabko Aala waja atam Murdon ko zinda kiya zindon ko marne na diya Is maseehaayi ko dekhen zara Ibn Mariyam” (Marsiya Rasheed Pg. 23) maazALLAH. Deobandiyon ke nazdik is mamle me Gangohi to Eisa alaihis salam se bhi aage nikal gaye, kyunki wo to sirf murdon ko zinda hi karte the lekin Gangohi to murdon ko zinda bhi karte the aur zindon ko bhi marne nahi dete. Aur sath me kehte hain is Masihaayi ko dekhen zara Ibn Mariyam. Yani inki karamat ko dekhne ke liye Eisa alaihis salam ko dawat de rahe hain. . Astaghfirullah Astaghfirullah. Dekha aap logon ne, kis qadar gande Aqeede hain Deobandiyon ke. Aye mere Pyare Sunni Musalmano, inse hargiz hargiz koi rishta na jodo, aur jo jud chuka ho usey tod do, kyunki Qabr me koi rishta tumhare kaam nahi ayega, sirf hamare aur tumhare Pyare Aaqa Sallalaho Alaihe Wasallam hain jo Qabr me bhi tumhare kaam ayenge aur Hashr me bhi tumhare kaam ayenge. Tumhe jahannam ki aag se bachayenge tumhare liye sifarish karenge, agar aaj tum apne hi Aaqa Sallalaho Alaihe Wasallam ki gustakhiyan karne walon se dosti rakhoge to kal kis muh se apne Aaqa Sallalaho Alaihe Wasallam se sifarish ki ummid rakhoge???? . Dua ki Guzarish:
  15. . “Farq-e-Darjaat ka qissa juda hai lekin Aam tha ijsaam me iska maatam” (Marsiya Rasheed Pg. 19) . Ab is baat ka jawab to Deobandi hi denge ki wo kiske darjaat se farq batana chah rahe hain Gangohi me? Kyunki duniya me Maatam to aam taur se shia log Imam Husain ka karte hain, to kya unhi ke darje se milane ki koshish kar rahe ho Gangohi ko?? . Darje ko barabar agarche nahi kaha lekin ye kehna bhi bahot badi jisarat hai ki unke darje se farq to hai lekin aalam me inka bhi matam ho raha tha.
  16. “Ilm ko laakar surya se suri par rakhiya Ankhon se dekh liya Allama Maa Lam Ya’lam” (Marsiya Rasheed Pg. 18) . Astaghfirullah. . ALLAH ne jo aayat khaas apne Mehbub Sallalaho Alaihe Wasallam kii shan me nazil farmayi, us aayat ki misaal ye gangohi ke liye de rahe hain, ALLAH ne apne Mehbub Sallalaho Alaihe Wasallam kli shan me hi farmaya hai: “Allamal Insaana Maa Lam Ya’lam” (Quran, Iqra, Ayat 4) . Yahan insan se urad ALLAH ke mehbub Sallalaho Alaihe Wasallam hain, kyunki ayat keh rahi hai “Allamal insaana ma lam ya’lam” sikha diya insan ko jo kuch wo nahi janta tha. Jo kuch nahi janta tha wo sab sikha diya, duniya me koi bhi aisa aam insan nahi hai jisko sab kuch sikha diya gaya ho, aisi sirf ek hi shaksiyat ALLAH ne paida farmayi. Aur wo Mehbub-e-Khuda Sallalaho Alaihe Wasallam hain.
  17. Aage likhte hain; . “Ghareeb-o-Aajiz karen kya aur kidhar jayen. Hui hai mezmaan khalq ki jannat me mehmani” (Marsiya Rasheed Pg.8) . Yani Ghareebo aru Aajizon ka Rasheed Ahmed gangohi ke siva dusra koi bhi sahara nahi hai. Aur Gangohi sahab ki jannat me mezbani kiya ja raha hai. Jabki Deobandiyo ke nazdik ALLAH ke siva kisi se mangna shirk hai. . Fir likha: “Hawaij Deen-o-Duniya ke kahan le jayen hum Ya Rab? Gaya wo Qibla-e-hajat ruhani wa jismani” (Marsiya Rasheed pg.8) . Yani Deen-o-Duniya ki tamam hajaten sirf gangohi saab hi puri kar sakte hain Aur agar aap Pyare Aaqa Sallalaho Alaihe Wasallam se kuch bhi mang loge to in wahabiyon ke nazdeek shirk ho jayega. Aur Rasheed Ahmad Gangohi hi Deobandion ke Qibla-e-Haajat hain. Fir Aage Likhte hain: . “Qubuliyat usko kehte hain Maqbuliyat aisi hoti hai. Ubaid-e-Sood ka inke laqab hai Yusuf-e-Saani” (Marsiya Rasheed Pg.9) . Yani Inhi ki buzurgi ko qubliyat kehte hain. Baaqi koi wali maqbool nahi hai. Aur ALLAH ke muqaddas Nabi Yusuf alaihis salam be-hisab khubsurat the, aur Deobandiyon ke nazdik to Gangohi ke kaale kaale bande hi Yusuf-e-Saani bana diye gaye. . Astaghfirullah . Aur aage: . “Raqaab-e-Auliya kyun Kham na hoti aap ke aage Wo shehbaz-e-tariqat the Muhiuddeen Subhani” (Marsiya Rasheed pg.9) . Yani Gangohi sahab kee aage sare Auliya ki raqaben, yahan murad hai buzurgi pheeki pad gayi ythi. Aur Gangohi sahab jo the wo Deen ko zinda karne wale the. . “Khuda unka murabbi wo Murabbi the khalaiq ke Mere Maula mere haadi the beshak Sheikh Rabbani” (Marsiya Rasheed Pg.9) . Yani Gangohi sahab puri Makhlooq ke murabbi the. Murabbi kehte hain Hifazat karne wale ko. Yani Gangohi sahab wo tamam makhlooq ki hifazat karte the. Aur makhlooq me to Ambiya auliya sab shamil hain?? . ALLAHU AKBAR. Yani Ghairullah se madad mangne ko to shirk kehte hain aur inke Gangohi sahab to tamam Makhlooq ki hifazat karte the?? Agar Ghairullah se mangan shikr hai to fir kya Gangohi ko Khuda samajhkar mangte ho??? . Ek aur line: “Jidhar ko aap maail the udhar hi haq bhi daair tha Mere Qibla mere Kaaba the Haqqani se Haqqani” . (Marsiya Rasheed Pg.9) . Yani Rasheed ahmed Gangohi jidhar bhi apna rukh kar len, udhar hi haq bhi ho jata tha, yani shariat inhi ke hath me thi kya? Aur Qibla wa Kaaba kehna inke nazdeek jaez hai aur Gangohi sahab ne khud apne Fatawae Rasheediya me likha hai ki Ulama ko Qibla wagairah laqab dena na-jaez hai. . . Fir likhte hain: “Hidayat jisne dhundhi dusri jaga wo hua gumrah Wo mezab-e-Hidayat the kahin kya nass-e-Qurani” . ALLAHU AKBAR. Yani Rasheed Ahmed Gangohi ke siva agar koi kahin aur hidayat dhunde to wo gumrah ho jayega?? So agar hum apne Aaqa Muhammad Sallalaho Alaihe Wasallam ke tariqe me, apke farmano me hidayat ko dhundte hain to hum sab gumrah hain? Aur Sahaba RadiAllaho Anhu bhi isi me hidayat paate the to wo???? (Marsiya Rasheed pg.9) Ulama-e-Deoband ke nazdik Aalim log Kaaba me bhi jaakar Gangoh ka rasta dhundte hain, kyunki unhe Kaabe se zyada Gangoh se lagaao hai. Dekhiye “Phire the Kaaba me bhi puchte Gangoh ka rasta Jo rakhte apne seeno me zauq-o-shauq-e-irfani” . Deobandiyon ke nazdik Rasheed Ahmad Gangohi ki Misal Ambiya jaisi hai, aur inke jaisa bhi koi dusra mumkin nahi hai. “Jahan tha apka saani wahin ja pahunche khud hazrat Kahen kyunkar bhala is muh se Maulana bhi la-saani” . Jabki Ismaeel Dehelvi ne apni Kitab Taqviyatul Eiman me “Mitna Nazeer” ke masle me imkaan rakha hai, yani Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam jaisa dusra bhi paida ho sakta hai, aur deobandiyon ke nazdik Rasheed Ahmad Ganoghi jaisa dusra nahi paida ho sakta. . (Marsiya Rasheed Pg.10) Aage likhte hain: “Hidayat ke liye aaye the yaan paakar faraghat ab Gaye hain taa-karen waan maghfirat ki meer samaani” . Yani Gangohi duniya me logon ko hidayat dene ke liye aaye the, jabki Deobandiyon ke nazdik to Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam bhi khud hidayat nahi de sakte sirf ALLAH hi hidayat dene wala hia, to kya maazALLAH Gangohi ko khuda samajhte ho ki wo Hidayat dete hain?? Aur ab apne mureedon ki maghfirat ki samaani karne chale gaye hain. . Aur aage “Shaheed-o-Saaleh Siddiq hain Hazrat Bi-Iznillah Hayat-e-Sheikh ka munkir ho jo hai uski na-daani” (Marsiya Rasheed Pg.11) .. Yani Gangohi to Shaheed bhi hain, Saaleh bhi hain aur Siddiq bhi hain. Aur jo unki hayat yani zinda hone se inkar kare wo nadaan hai. Yani Deobandiyon ke nazdik Gangohi aaj bhi zinda hain jabki RasoolALLAH Sallalaho Alaihe Wasallam ke bare me likhte hain ki wo to marke mitti me mil gaye. maazALLAH Deobandiyon ke Deen wa Eiman ka kaaba Rasheed Ahmad Gangohi hain. . “Rahe muh apki Jaanib to bu’d zaahiri kya hai? Hamare Qibla-o-Kaaba ho tum deeni wa eimani” (Marsiya Rasheed Pg12) . . Gangohi ki maut ke waqt deobandiyon ko Sarwar-e-Aalam Sallalaho Alaihe Wasallam ka naqsha nazar aa raha tha. Ye dekiye: “Wafat Sarwar-e-Aalam ka naqsha apki rehlat Thi hasti gar nazeer hasti Mehbub-e-Subhaani” . Astaghfirullah . Deobandiyon ke nazdik Gangohi Siddiq(Abu Bakr Siddiq RadiAllaho Anhu ) bhi hain aur khud hi Farooq(Umar Farooq RadiAllaho Anhu ) bhi hain, Dekhiye: “Wo the Siddiq-o-Farooq phir kahiye ajab kya hai? Shahadat ne tahajjud me qadam-bosi ki agar thaani” . Gangohi ke hi dam se Imam Bukhari aur Imam Ghazali jaise Muhaddiseen aur H. Hasan Basri aur .Shibli aur Shaybani ka Ilm zinda tha, Mulahiza ho: “Faqat ek aap ke dam se nazar aate the sab zinda Bukhari wa Ghazali basri-o-Shibli wa Shaybani” . Sare Islam ki nigehbani Gangohi kiya karte the aur inhe Imam Mehdi ki jaga par rakha gaya tha. Dekhiye “Na aaye Mehdi maw’ood aur tum bhi chale yaan se Karega Gulshan-e-Islam ki kaun ab nigehbani” (Marsiya Rasheed Pg. 12) Mazeed likhte hain: . “Tumhari turbat-e-anwar kod ekar Toor se tashbiya Kahu hoon bar abr arini meri dekhi na-daani” (Marsiya Rasheed Pg. 13) . Ye deobandi Gangohi ki qabr ko Koh-e-Toor se misala dete hain, Koh-e-Toor wo pahaad hai jispar Musa alaihis salam khade hue the ALLAH ka deedar karne ke liye, fir jab ALLAH ne apni tajalliyaat ka sirf ek parda hataya to is qadar Noor chamka jiske sabab wo Pahaad Jalkar rakh ban gaya tha. subhanALLAH. Kitna mubarak pahaad hai wo jispar ALLAH ki tajalliyaat pad gayin hain. Aur ye deobandi apne Gangohi ki qabr ko hi Koh-e-Toor ke barabar misaal de rahe hain,astaghfirullah. “Kal ki thi baat ki hai jehel ki ghanghor ghata Jis taraf nazar uthate the muheet-e-aalam” (Marsiya Rasheed Pg. 15) . Yani inke nazdik Gangohi sare Aalam ko muheet hain. Muheet kehte hain Ehaata karne wale ko. Yani kisi chiz ko ap-ne daayre me le lena ye ehaata kehlata hai. To so Deobandiyon ke mutabiq Gangohi ne sare Aalam ko apne daayre me le liya tha. Aur agar hum kahen ki Hamare Aaqa Sallalaho Alaihe Wasallam ka Ilm tamam kaynat ko muheet hai, to Deobandiyon ki taraf se shirk ka fatwa aa jata hai. Hum sirf Mehbub-e-Khuda ke il ko Aalam ka muheet kahen to shirk? Aur ye to pure Gangohi ko hi Sare aalam par muheet keh rahe hain? . Insaf kiya jaye. Hume ispar bhi shirk ka fatwa deobandiyon se chahiye,
  18. ALLAHU AKBAR: Deobandi Akaabir Rasheed Ahmed Gangohi ke Shagird Mehmudul Hasan, Apne Peer yani Rasheed Ahmed Gangohi ki shan me ek Marciya likhte hain. Uski Ibaraten apke samne pesh kartahu. . “Junaid-o-Shibli wa Saani Abu Mas’ood Ansari. Rasheed-e-Millat wa Deen Ghaus-e-Azam Qutub-e-Rabbani” (Marsiya Rasheed. Pg.5) . Yani inke Nazdeek Rasheed Ahmed Gangohi wo dusre Junaid Baghdadi bhi hain aur H.Shibli bhi hain. Aur Abu Mas’ood Ansari bhi hain. AUR Deobandiyon ke Ghause Azam bhi hain. . Dusri line me likha. . “Zamane ne diya daagh islam ko uski furqat ka. Ki tha jiska dagh-e-ghulami, Tamgha-e-Musalmani” (Marsiya Rasheed. Pg.5) . Yani Rasheed Ahmed Gangohi ki Ghulami ka tamgha hi Musalman hone ki pehchan hai. Jo Rasheed Ahmed Gangohi ka ghulam nahi wo musalman nahi. To janab Sahaba-e-Kiram kya musalman nahi the? Ya fir tum Sahaba ko bhi maazALLAH Gangohi ka ghulam samajhte ho?? . Iske aage likhte hain: “Auban par Ahel hua ki hai kyun ughal suhal shayad Utha aalam se koi baani-e-islam ka saani” . maazALLAH, yani Deobndiyon ke nazdik sare Islam ke baani(founder) Rasheed Ahmad Gangohi hain. Inse pehle duniya me islam hi na tha.
  19. HADEES # 14: Mishkaat Baab Minaakib e Ali (Razi ALLAH Anhu) main hai: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khebar k din farmaya k Hum Kal yeh Jhanda us ko den ge, jis k haath par ALLAH Khaibar Fatah Farma dega, aur Woh ALLAH aur US k RASOOL se Muhabbat karta hai".. (Mishkaa Ul Musaahib, Page#563, Matboo'a Noor Muhammad Qutub Khaana, Karachi) (Sahi Bukhari, Kitaaab Ul Fazail Us Sahaba Baab Min Fazail Ali Bin Abi Taalib (Razi ALLAH Anhu, Jild#4, Page#1872, Raqam Ul Hadees 2407, Al Hadees 3499, Matboo'a Dar Ibn E Kaseer, Beroot) (Sahih Muslim, Kitab Fazael us Sahabah Baab Man Fazael ali Bin Abi Taalib (Razi ALLAH Anhu) , Jild#4, Page#1872, Raqam ul Hadees#2407, Matboo’a Dar ul Ehya ut turas ul Arabi, Beroot) (Sunan ul Kubra lil Baehaki, Jild#6, Page#362, Raqam ul Hadees#12837, Matboo’a Dar ul Baaz Makkah tul Mukarramah) Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain: Tarjma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khaiber k din farmaya k Main Aese SHAKHS ko Jhanda dunga, jo ALLAH AZZAWAJAL aur s k RASOOL (ALEH SALAAM) ko Mehboob rakhta hai aur ALLAH aur Us k RASOOL usey Dost Rakhte hain aur Woh Mehsoor Yahood K Qilay ko Fatah karega".. (Tabqaat Ul Qubra Ibn-E-SAAD Gazwah E Khaibar, Jild#2, Page#110, Matboo'a Dar us Saadir, Beroot) Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri Main Likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya Main Kal aese Aadmi ko jhanda Ata karunga jo ALLAH aur is k RASOOL se Muhabbat karta hai, ALLAH TA'ALA is k Haath par Musalmaanon ko Fatah Naseeb farmae ga woh Bhaagay ga nahin".. (Al Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam Zikar Ul Muyyassar, JILD#4, Page#305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Muhaddis Kabeer Imam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya Kal main us Shakhs ko Jhandah dunga, ya woh Shakhs Jhandah pakrey ga, jis se ALLAH aur us ka RASOOL Muhabbat kartey hain, ya Farmaaya jo ALLAH aur us k RASOOL se Muhabbat karta hai, ALLAH TA’ALA is k Haath per Fatah Ata farmaaey ga”.. (Hulyatul Oliya o Tabqaat ul Asfiyah Zikar e Ali Bin Abi Taalib, Jild#1, Page#62, Matboo’a Dar ul Kitab ul Arabi, Beroot) Imam Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat kartey hain: Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaaya, Kal main aesay Shakhs ko jhandah dunga jo ALLAH Azzawajal aur us k Rasool (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Mehboob rakhta hai aur woh Mehsoor Yahood k Qiley ko Fatah karey ga”.. (Dalael un Nabuwwah, Jild#4, Page#206, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah Beroot) Imam Ismail Bin Muhammad Bin Al Fazal 535 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Khebar k din farmaaya k Kal main aesay Shakhs ko Jhandah dunga, jo ALLAH Azzawajal aur us k Rasool (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Mehboob rakhta hai aur ALLAH aur us k Rasool (Sallalaho Alehe Wassallam)usey dost rakhtey hain, ALLAH TA’ALA us k Haath per Fatah Ata farmaaey ga”.. (Dalael un Nabuwwah, Page#124, Raqam ul Hadees#133, Matboo’a Dar ut Taebah tur Riyaaz) Huzoor ka yeh khabar dena k jis k Haath main Huzoor Jhandah dengey woh Khebar ki jang Fatah karega, yeh Gaib nahin to kiya hai ????? aur is ka Ilm rakhna Ilm-e-Gaib nahin to aur kiya hai????? . HADEES # 15: Mishkaat Baab Ul Masaajid main Abu Zar Gaffari (Razi ALLAH Anhu) se hai: Tarjuma: " Hum par Hamari Ummat k Aamaal Pesh kiye gae, ache bhi aur Buray bhi, Hum ne un k Achay Aamaal main woh Takleef de cheez bhi Paai jo Raaste se Hata di jae".. (Sahi Muslim Kitaab Ul Masaajid Baab Ul Nahi An Ul Bassaaq Fil Masjid, Jild#1, Page#207, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi) Upar di gai Hadees se Saaf Saaf ILM-E-GAIB Saaabit hai.. k Are NABI (ALEH SALAAM) khud farma rahe hain.. k Un k Saamne Unki Ummat k Aamaal Pesh kiye jaate hain... Are Shetaan k Chelon Doob Maro.. ALLAH k Azaab se daro.. . HADEES # 16: Muslim Jild#2, Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar main Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya yeh Falaan Shakhs k Girne ki jagah hai aur apne Dast-E-Mubaarak ko idhar Udhar Zameen par Rakhte the, Raawi ne farmaya k Koi bhi Maqtooleen main se HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) k Haath ki Jagah se Zara bhi na Hata".. (Sahi Muslim Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2,Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi) NOTE: Khayaal Rahe k kon kis Jagah Mare ga, Yeh Uloom E Khamsa main se hai, jis ki Khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) Jang-E-Badar main ek Roz pehle de rahe hain.. Imaam Abu Daaod 275 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k (Jang-E-Badar k din) RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya Kal Yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur AAP ne Zameen par Haath rakha aur Kal yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur Zameen par haath rakha aur Kal yeh Falaaan k Girne ki Jagah hai aur Zameen par Haath rakha tha, koi Shakhs is k Bilkul Mutuwaajis nahin huwa. (Isi jagah gir kar mara), Phir RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalaam) k Hukum se unko Ghaseet kar Badar k Kooen main Daal diya gaya".. (Sunan Abi Daaod, Baab Fil Aseer, Jild#3, Page#58, Raqam Ul Hadees 2681, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot) ALLAMA YAHYA Bin Sharaf Noo'wi Shaafai 676 Hijri main is Hadees Mubaraka ki sharah main likhte hain: Tarjuma: " Is Hadees Mubaraka main HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) k 2 Mojazon ka Zikar hai, jo k AAP ki nabuwat ki nishaaniyaan hain, Ek AAP (Sallalaho alehe Wassallam) ka Un k Jaabir Sardaaron k Qatal Gaahon ki Khabar dena k kisi ne apni Qatal Gaah se Tajaawuz na kiya, Dusra Mojaza AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh batana k jis Larkay ko woh Maar rahe the, jab use Chortay to woh such bolta, aur jab use Maarte to woh jhoot bolta aur yahi Haqeeqat thi".. (Such kiya tha aur Jhoot kiya?? Is ko Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu) na samajh sake aur HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) ne Waazeh farma diya, Yahi GAIB batana HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Dusra Mojiza tha).. (Sahi Muslim Ma Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2, Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi) . HADEES # 17: Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat hai: Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah kabhi na dekha k Bheriya Baaten kar raha hai, to Bheriya bola, k is se Ajeeb baat yeh hai k Ek Sahab (HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Medaanon k Darmiyaani Nakhlistaan (Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Gusishta aur Aaendah ki Khabren de rahe hain". (seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees, 433, Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb) (Tibqaat ul Qubra Ibn-e-Sa’ad Zikar e Alaamaat un Nabuwwah Baad e Nazool e Wohi, Jild#1, Page#174, Matboo’a Dar us Saadir Beroot) Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat nahin hai, Dar Asal Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai k Sangistaanon k darmiyaan Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe Waaqiyaat bhi Batlaate hain, aur Aane Waale bhi".. ( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash, JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar) ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is se kahin Ziyaadah Ajeeb Baat to yeh hai k In do (2) Sangistaanon k Darmiyaan Khajooron k Baagaat Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hai, jo tumhen Maazi (Past) ki Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil (Future) main hone waala hai un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai".. (At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2, Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi Peshawar) Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain: Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh hai k Ek Aadmi Do (2) Medaanon k Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) main Beth kar Batla raha hai k Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"... (Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore) Yeh woh Pura Waaqiya hai, jo hadees # 17 main Bayaan kiya gaya... Imaam Jalaluddeen Setooni 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Imaam Ahmed O Ibn-E-Saad (Rehmatullal aur Haakim O Behki (Rehmatullah) Donon ne Sahi bata kar Aur Abu Naeem (Rehmatullah) ne Muat'tid Sanadon k Saath Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k Ek Charwaha Bakriyaan Chara raha tha, Achanak Bheriya uski Bakriyon main se Ek bakri par Lapka to Charwaha Bakri aur Bheriye k Darmiyaan Haael hogaya, Bheriya apni Dum par beth gaya, Is k Baad us ne Charwaahay se kaha kiya tu KHUDA se nahin darta k Meray aur is Rizq k Darmiyaan Jisey ALLAH ne meri Taraf Bheja, Haael hota hai?? Charwaahay ne kaha Ta'ajjub hai k Bheriya Insaanon jesi Baaten kar raha hai. Bheriyay ne kaha Kiya main is se Ziyaadah Ta'ajjub ki Baat na bataon woh yeh KRASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) in dono Pahaaron k Darmiyaan Guzishta Waaqiyaat ki Khabren logon ko bata rahe hain, yeh sun kar us Charwaahay ne Apni Bakriyon ko haank diya aur Khud MADINA MUNAWWARAHchal diya aur RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Baargah main Haazir huwa, aur us ne Bheriye ki baat bayaan ki, RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne kaha is ne sach kaha, is ne sach kaha, logon sun lo, Insaanon se Darindon ka Baat karna, Qayaamat ki Alaamaton main se ek Alaamat hai, aur Qasam hai is Zaaat ki jis k Qabzay main meri Jaan hai, Qayaamat us waqt tak Qayam na hogi jab tak Darinday Insaanon se Baat na karen, Mard se us ki jooti ka tasma, aur Koray ka Phandna Baat karega, aur us ki Raan use woh Baat bataegi, jo us k Jaanay k Baad uski Biwi se Ronuma huwi hogi".. (Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#102, Matboo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiya, beroot) Qayaamat ka ILM GAIB hai, q k woh Chupa huwa hai, aur Qayaamat ki Nishaaniyaan batana kiya huwa, is ka Faisla Aap Khud Kar sakte hain.. JazakALLAH . Hadees # 18: Tafseer-E-Khaazan main (Parah 4, Surah 3, Aayat 179) k Tehet hai: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k Hum Par Humari Ummat Pesh farmai gai, apni apni Sooraton main, Matti main, jis tarah k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) par pesh huwin thin, HUM ko bata diya gaya, k kon HUM par Eemaan Laawega, aur Kon Kufar karega, yeh Khabar Munaafiqeen tak Puhnchi to woh Hans kar kehne lage, k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) farmate hain, k un ko logon ki Pedaish se Pehle hi Kaafir O Momineen ki khabar hogai, hum to un k saath hain, aur hum ko nahin Pehchaante, yeh khabar HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) tak Puhnchi to Mimbar par khare huwe, aur KHUDA ki Hamd O Sana ki Phir farmaya k Qomoun ka kiya haal hai k Hamaray ILM main Taana karte hain, Ab se Qayaamat tak kisi Cheez k Baaray main jo bhi tum hum se Pucho ge, hum tum ko Khabar Denge".. Is Hadees se 2 Baaten Maaloom Huwin... 1) Ek yeh k HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main Taana karna, Munaafiqon ka Tareeqah hai.. 2) Dusray yeh k Qayaamat tak k Waaqiyaat saaray HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main hain.. (Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khaazan, JILD#1, Page#324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot) Aaj bhi kuch log isi tarah Bakwas kartey nazar aatey hain, k Huzoor (Sallalaho alehe Wassallam) ko Qiyaamat tak ka ilm tha to unhon ne Sahaba ko Shaheed q honey diya, aur Tomat ka jawab q na diya wagerah wagerah, to un k liye yeh Hadees Ibrat ka Ba’es hai, k kisi maamley main khaamosh rehney ki koi khaas wajah hoti ya phir Aajizi hoti hain, khair ALLAH Hidaayat de, aur Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Shaan k khilaaf koi baat karney se Pehley Samajhney ki Taufeeq ata farmaaey Aameen . HADEES # 19: Mishkaaat Kitaab Ul Fitan, Baab Ul Malaahim, Fasal Awwal main Muslim se Ba Riwaayat Ibn-E-Mas'ood (Razi ALLAH Anhu) hai: Tarjuma: " Hum in (Dajjal se Jihaad ki Tayyari katne waalon) k Naam, In k Baap Daadon k Naam, In k Ghoron (horses) k Rang Pehchaante hain, Woh Ro-E-Zameen par Behtareen Sawaar hain".. (Muslim Raqam Ul Hadees 2224, Kitaab Ul Fitan, Baab Fasal Fi Ashraat Us Saa'a, JILD#2, PAGE#392, Matboo'a Qadeemi Qutub Khaana, Karachi) (Musnad Ahmed, Jild#1, Page#385) (Mustadirak Lil Haakim, Jild#4, Page#447) (Muwaahib ul Ludniyah, Jild#3, Page#95, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Dajjal se Jihaad ki Tayyari karney waalon k name, un k baap Daadaoun k naam, un k Ghoron (Horses) k Rang tak jaan lena yeh Ilm-e-Gaib nahi to aur kiya hai ????????? . HADEES # 20: Mishkaat Shareef, Baab Minaaqib Abi Bakar O Umar main hai k HAZRAT AAYESHA (Razi ALLAH Anhu) ne Baargah Risaalat main Arz kiya k Kya koi Aesa bhi hai, jis ki Nekiyaan Taaron k barabar bhi hon, Farmaya woh Umar hai... (Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Abi Bakar O Umar Ul Fasal Us Saalis, PAGE#560 Matboo'a Qademi, Kutub Khaana, Karachi) Is se Maaloom huwa k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko QAYAAMAT tak k Saaray logon k Zaahiri aur Posheedah Aamal ki Puri khabar hai, aur Aasmaanon k tamaam Zaahiri aur Posheedah Taaron ka bhi Tafseeli ILM hai, Haalankay, Ba'az Taaray ab tak Sciencey Aalaat se bhi Maaloom na ho sake, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne in dono cheezon ko Mulaahiza farma liya, k UMAR ki Nekiyan Taaron k Barabar hain, Do Cheezon ki Barabari ya Kami Beshi wohi Bata sakta hai, jise Donon Cheezon ka ILM bhi ho aur Miqdaar bhi Maaloom ho.... . HADEES # 21: NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar dena: Nijaashi Mulq-E-Habsha k Baasha ka laqab tha, jo koi wahaan ka Baadsha hota tha, use Nijaashi kehte the, woh Nijaashi pehle Eesaai tha, Lekin jab HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ka Naama-E-Mubaarak jis main us ko Daawat-e-Islaam di gai thi, mila to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) pae Eemaan le aaya aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Risaalat ka Iqraar kiya.. Imaam Ali Bin Mehmood Bim Saood-Ul-Khazai 789 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Eemaan lae aur Gawaahi di Tauheed O Risaalat ki".. (Takhreej-Ur-Dalaalaat Us Samee'a, Page#297, Matboo'a Daar-Ul-Garb Ul Islaami, Beroot) Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehman Bin Al Juzwi 597 Hijri main Likhte hain: Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya: Tarjuma: " Agar main Mulq (Hukmaraani) k Masael main na hota, to main AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Pass aa kar AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Naal'en ko Choomta".. (Safoo'o Al Safoo'o, Jild#1, Page#518, Matboo'a Daar ulMa'arfatah, Beroot) Haafiz Abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main ek Taweel Riwaayat main likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki k Ae ALLAH Nijaashi ki MAgfirat farma Pas SAHABA (RAZI ALLAH ANHU) ne Aameen kaha".. (Mo'ajjam Ul Kabeer Tibraani Ma Sanad Jaafar (Razi ALLAH Anhu), Jild#2, Page#110, Raqam Ul Hadees 478, Matboo'a Maktab Tul Uloom O Al haka, Ul Mosal) Imaam Shamsuddeen Muhammad Bin Ahmed Zehbi 748 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki, Ae ALLAH Nijaashi ki Magfirat farma pas Sahaba (Razi ALLAH Anhu) ne Aameen kaha".. (Seera Aalaaam Un Niblaal, Jid#1, Page#437, Matboo'a Mo'sasta, Ur Risaala, Beroot) Imaam Abu Daaod 275 Hijri main riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k woh Farmaati hain, hum Guftugoo kiya karte the k Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ki Qabar par hamesha ek Noor NAzar Aata hai".. (Sunan Abu Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooweri, Jild#1, Page#341,342, Matboo'a Maktab-a-Hukaaniyah Peshaawar) (Sunan Abi Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooreri, and Kabar Us Shaheed, Jild#3, Page#16, RaqamUl Hadees 2523, Matboo'a Dar Ul Fiqar Beroot) Aur jab Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Wafaat paa gae, to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne usi din Sahaba-e-Karaam (Razi ALLAH Anhu) ko un ki Wafaaat ki khabar sunai aur un par Namaz-E-Janaza parha aur Namaz-E-Janaza k baad Hazrat Nijaashi k liye dua bhi farmai.. Imaam Muslim bin Hajjaj 261 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Hurera (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Habsha k Baadsha Nijaashi ki Wafaat ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne Bhai k liye Astagfaar kar do".. (Muslim Shareef, Jild#1, Page#309, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana karachi) (Akmaal Akmaal Ul Mu'allim, Sharah Sahi Muslim, Jild#3, Page#88, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Abdur Rehman Ahmed Bin Shoib Nisaai 303 Hijri main Riwaayat karte hain k: Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k jab Nijaashi (razi ALLAH Anhu) Ka Inteqaal huwa to, NABI-E-Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k in k liye Istagfaar karo".. (Sunan Ul Kubra Ul Nisaai, Jild#1, PPage#657, Raqam Ul Hadees 2169-2168, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot) (Nisaai Shareef, Jild#1, Page#287, Mujtaba'i Pakistan, Lahore) Imaam Abi MAnsoor Muhammad Bin Mehmood Al’MA’Taredi 333 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazarat Hasan Basri (Rehmatullah Aleh) se Riwaayat hai k jabNijaashi (Razi ALLAH Anhu) ka inteqaal huwa to NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassallam) ne farmaya k Apne Bhai k liye IStagfaar karo".. (Taawweelaat-E-Ahle Sunnah, Tafseer Ul Ma taredi, Jild#2, Page#567, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Bin Ahmed Ut Tabraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat JAreer (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya Tumhara bhai Nijaashi Wafaat farma gaya hai, un k liye Istagfaar karo".. (Al Mo'ajjam Ul Kabeer Tibrani, Jild#1, Raqam Ul Hadees 2347-2348-2350, Matboo'a Ahya Ut Turaas Ul Islaami, Iraq) (Al Mo’jam ul Kabeer Tibraani, Jild#2, Page#323, Raqam ul Hadees#2347-2350, Matboo’a Maktabah tul Uloom wal Hakam ul Mosal) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Muhammad Al Tahawi 321 Hiri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalam) ne Habsha k Badsha Nijaashi ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne Bhai k liye Istagfaar karo".. (Sunan Ul Kubra, Jild#4, Page#57, Raqam Ul hadees 6932, Page#82, Raqam Ul Hadees 7026, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaaayat karte hain k: Tarjuma: " Imaam Behki (Rehmatullah Aleh) farmate hain k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh farmana k " Main nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai", واللہ اعلم AAP ne Hadiyon ko us ki taraf bhejne se pehle khabar kardene ka iradah farmaya, aur us k Foat hone se pehle AAP ne in kalimaat ko Saadir farmaya, is k Baad jab woh Foat huwa to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne usi din us k Foat hone ki khabar de di, aur us par Namaz parhi thi".. (Khasaais Ul Kubra, Jild#2, Page#168, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiyah Beroot) Haafiz Amaa Duddeen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Umme Kulsoom (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne Kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya jab Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se Nikah farmaya toAAP ne farmaya, main ne Nijaashi ki taraf se chand Mashq k Oqiyey aur Joray bhejey hain, main use nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai, aur main in Hadiyon ko nahin dekhta magar yeh k ise Meri ise meri taraf Waapis kar diya gaya hai, to yeh Gaibi khabar aese hi Waaqey huwi jese k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k Nijaashi Foat hogaya, aur Hadiyah Waapis Aagae".. (Al Seerat Un Nabuwwah Na'i RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Nijaashi Fi Yom-E-Zi Maat Fee Baariz Habsha, jild#3,Page#493, Matboo'a Daar ul Kitaab Ul Arabi, beroot) ILM-E-GAIB-E-MUSTAFA (Sallalaho alehe Wassallam): Is HADEES-E-MUBARAKAH se HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam)) ka ILM-E-GAIB saaf Wazeh hai k HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) ne HABSHA k Baadsha NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa.. . HADEES # 22: HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Pehle hi bata diya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main puchne aae ho: Imaam Ismail Bin al Fazal 535 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Waabsah Asdi (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Unhon ne kaha, main NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Baargah main is liye Aaya k main NEKI aur BADI k baaray main puchon, Magar mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya: " Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu) kiya main tumhen bata dun, jo tum mujh se Puchna Chahtay ho? Main ne Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassallam) mujhey bataiye, Farmaya tum Muhj se Neki aur Badi k Baary main Puchne Aae ho?? Main ne Arz kiya.. Qasam hai us Zaat ki jis ne AAP ko Haq k Saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi farmaya.. Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho.. (Dalael Un Nabuuwah, Page#115, RaqamUL Hadees 119, Matboo'a Daar Ut TAEBAH Riyaaz) Imaam Daarmi (RehmatULLAH) likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, kRASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Wabsah se farmaya tum NEKI aur GUNAH k Muta'alliq puchne aae ho?? Unhon ne kaha jee haan.. (Sunan Daarmi, Jild#2, Page#320, RaqamUL Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! Kiya main tumhen bata dun jo tum mujh se Puchna chahtay ho?? Mene Arz kiya Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhey bataeye.. Farmaya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main Puchne aae ho, Wabsah (Rzai ALLAH Anhu) ne farmaya AAP ne bilkul Sahi farmaya".. (Musnad Ahmed, Jild#4, Page#228, Matboo'a Mo'sasta, Qurtuba Misar) Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri main Riwayat karte hain: Tarjuma: " Imaam Ahmed O Bazaar, Abu Ya'ali, Behki aur abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Wabsah (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha main NABI-E-KAREEM (Razi ALLAH anhu) ki Baargah main is liye Aaya k MAin NEKI aur BADI k Baaray main Puchon Magar Mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya: Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! kiya main tumhen yeh na bata dun jo tum mujh se puchna chahtay ho?? Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhey bataiye, Farmaya Tum Mujh se NEKI aur BADI k Baaray main Puchne aae ho?? Mene Arz kiya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko HAQ k saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi Farmaya.. Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho.. (Khasa-e-Sul Kubra, Jild#2, Page#171, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot) Ab AAP hi Bataen, k Kisi k DIL ki Baat jaan lena, kiya hai?? Kiya yeh ILM-E-GAIB nahin?? . HADEES#23: * YEH BAKRI BAGER IJAAZAT K ZIBAH HUWI HAI: Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne ek Ansaari se Riwaayat ki, us ne kaha kek Aurat ne NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassllam) k khaanay ki daawat ki, jab Khaana rakha gaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Luqma le kar Moun main chabaya to farmaya, main is Gosht ko is Bakri ka pata hun, jise Na Haq pakar liya gaya tha, Us Aurat se Pucha gaya, us Aurat ne kaha, k is ki Hamsaaya ne us Gost ko apne Shohar ki Ijaazat liye Bager Bheja tha".. (Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#176, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah Beroot) (Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#310, Matboo'a Dar Ul Qutub ilmiyah Beroot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, jild#6, Page#188, Matboo’a Al Maktaba tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imaam Abu Daaood 275 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Ansaar k ek Aadmi se Riwaayat hai, k hum RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) k saath ek janaazay main gae, AAP Qabar Khodney waaalay ko Waseeiyat farma rahe the, k Peron ki Jaaanib se QABAR ko kushaada karo, aur Sar ki Jaanib se QABAR ko Kushaadah karo, jab AAP waaapis huwe to ek Aurat ki taraf se Daawat dene waala aaya, AAP ne us ki Daawat ko Qubool kar liya, aur Hum bhi AAP k Saath the pas khaana laaya gaya, AAP ne apna Haath rakha, phir Qoum ne Apna Haath rakha, Sab ne khaaya Hum ne HUZOOR (ALEH SALAAM) ki taraf dekha, AAP apne Moun main ek Luqma chaba rahe the, AAP ne farmaya, Muhjey yeh ILM huwa hai, k yeh US Bakri ka Ghosht hai, jise us k MAalik ki marzi k Bager Laaya gaya hai, Phir us Aurat ko Bulaaya gaya, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) main ne kisi ko Mandi ki taraf bheja tha, Taa k Meray liye Bakri khareed li jae, to bakri nahin mili, mene Apne Parosi ko pegaam bheja, Jis ne ek bakri khareedi thi, k woh Bakri Qeemat k Aewaz muhjey Bhej de to woh Parosi nahin mila, mene us ki biwi ko Peghaam bheja, to usne woh Bakri mujhey de di, tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya, yeh Khaana QEDIYOn ko khila do".. (Sunan Abi Daa'ood, Baab Fi Ijtanaab Us Shabhaat, Jild#3, Page#244, Raqam Ul Hadees 3332, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot) Imaam Ali Bin Umar Al Daar Qatni Ul Baghdaadi 385 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, main is GHOSHT ko is Bakri ka paata hun, jise is k Maalik ki ijaazat k Bager Zibah kiya gaya ho".. (Sunan Daar e Qutni, Jild#4, Page#285, Matboo'a Daar Ul Ma'arfatah, Beroot) (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#176, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Ani Al Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh us Bakri ka GHOSHT hai, jo Maalik ki Ijaazat k Bager Haasil kar k Zibah ki gai".. (Al Tehqeeq Fi Al hAdees Ul Khilaaf, Jild#2, Page#212, Raqam Ul Hadees 555, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot) Faisla Aap k Haath main hai, k GHOSHT ka Luqma moun main Rakhte hi, pata chal jaana k BAQRI Ijaazat le k Zibah ki gai, ya bager ijaazat liye Zibah kiye gae, GAIB hai ya nahin, aur is ka Jaan lena, ILM-e-GAIB hai ya nahin . HADEES#24: * TUMHARAY PASS AHL-E-JANNAT KA EK SHAKHS AARAHA HAI: Muhammad Bin Abdullah Abu Abdullah Al Haakim NeshaPuri 405 Hijri main HAZRAT ABDULAH BIN MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hum NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Bargah main Haazir the, to RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmayatumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aaraha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae".. (Al Mustadrik Kitaab Ma'arfah tul Sahabah, Jild#3, Page#73, RaqamUl Hadees 4443, MAtboo'a Daar Ul Qutub ilmiyah Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Haakim (RematULLAH Aleh) ne SAHI bata kar HAZRAT IBN-E-MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho ALehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aarha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae".. (Khasa-E-s Ul Kubra, Jild#2, page#180, MAtboo'a Dar ul Qutub Ilmiyah Beroot) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Ali Khateeb Baghdaadi 463 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin AbdULLAH (RAZI ALLAH ANHU) bayaan karte hain k Hum NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the k, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Is Waqt tum par woh Shakhs Chmakay ga k, ALLAH ne mere Baad us se Behtar O Buzrug tar kisi ko nahin banaya, aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shafa'at ki misal hogi, Pas Hum Haazir hi the k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) Aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya Phir in ko Boosa diya uar Galay lagaya".. (Taareekh-E-Baghdaad, Jild#3, Page#123-124, Matboo'a Dar ul Fiqar Beroot) Imaam Muhib Ud Deen Tinri (RehmatULLAH ALEH) farmatay hain: Tarjuma: " HAZRAT JAABIR BIN ABDULLAH (RAZI ALLAH ANHU) Bayaan kartey hain k Hum NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne irshaad farmaya, is Waqt tum par woh Shkahs Chamkay ga, k ALLAH ne mere Baad us se Behter O Buzrug Tar Kisi ko Nahin banaya aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shaffa'at ki Misal hogi, Pas Hum Haazir hi the, k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya phir un ko Boosa diya aur Galay lage".. (Ar Riyaaz Ul Nazrah Fi Manaqib Ul Ashrah, Jild#2, Page#28, RaqamUlHadees 435, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Islaami, Beroot) Kisi ko Ahl-E-Jannat kehna kiya hai?? Haqeeqat aap k Saamnay hai... HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE ko Ahl-E-Jannat keh kar pukaara, yaani HUZOOR (ALEH SALAAM) jaantay they k woh Jannati hain, aur Jannat aur Dozakh k Baaray main Jaanna Yaani kon Jannati hai aur kon Dozakhi yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin, is ka Faisla Aap hi kar len. . HADEES # 25: SAB SE BAD BAKHT INSAAN KON HAI??: Imaam E Kabeer Muhaddis Shaheer Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main is Riwaayat k Baad likhte hain: Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, kehte hain, Main aur Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Gazwah E Asheerah main hum Ruqaab the, ek jagah hum ne parao kiya, wahaan hum ne chand choti se Khajooron ko dekha, aur un k neechay maati ki dhool par hi sogae, humen NABI (ALEH SALAAM) k siwa kisi ne bedaar na kiya, AAP tashreef lae, aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) k paaon ko Aahista Tatola aur Haalat yeh thi k hum Mitti se lat pat the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya ALI utho! kiya main tumhen batlaon nahin k sab se Bad Bakht kon hai?? Ek to Qom E Samoood ka woh Mard Ahmer jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki ooontni k paaon Kaate the, aur dusra woh jo tum par is jagah waar karega, AAP ne apne Sir ki ek jaanib Ishaara kiya aur yeh tar hojae gi, AAP ne apni Daarhi mubarak pakar li..(Yaani Sir se le kar Daarhi tak khon hi khoon hoga) (Dalael Un Nabuwwah Laabi Naeem Asfahaani Urdu, Page#497, Matboo'a Ziya Ul Quran Publications Lahore) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main bhi yahi Riwaayat karte hain: (Bahawaala: Fazael E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, Page#566, Raqam Ul Hadees 953, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot) Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " to Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya k beshak RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se Uhad (Waada) farmaya k main us waqt tak nahin marunga, jab tak main khaleefa na ban jaoun, phir meri Daarhi ko mere khoon se rang diya jae.. to Aap (Razi ALLAH Anhu) bhi Qatal huwe, aur Abu Al Fazaalah (Razi ALLAH Anhu) bhi Yom E Safeen k roz Qatal huwe".. (Al Ahaadees Ul Mukhtaarah, Jild#2, Page#324, Raqam Ul Hadees 702, Makah Mukarramah) Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Habeeb Ul Maawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Main nahin Marunga jab tak Meri Daarhi ko meray chehray k khoon se Rang na diya jae".. (Aalaam Un Nabuwwah Al Baaab As Saani Asharfi, page#79, Awwal Baab Us Shaer Feema Sama Min Mojizaat, Akhbaar Ul Ahad, Page#157, Matboo'a Daar Ul Kitaab, Beroot) Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH ALEH) Lihkte hain: Tarjuma: " Hazrat UbaidULLAH se Marwih hai k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya Ae ALI (RAZI ALLAH ANHU) Aglon aur Pichlon main Bad Bakht tareen kon hai?? Unhon ne kaha ALLAH aur us ka RASOOL (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ziyaadah jaante hain, unhon ne farmaya, Aglon ka sab se ziyadah Bad Bakht Saleh (ALEH SALAAM) ki Ooontni k haath paaon kaatne waala tha, aur Pichlon ka bad bakht tareen woh hoga, jo tumhen Neza maaray ga, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Muqaam par ishaara kiya, jahaan woh neza marey ga" Imaam Jafar Suraiya Ali (Razi ALLAH Anhu) se marwih hai k main Hazrat ALI (Razi ALLAH Anhu) k haathon par paaani daal rahi thi, Yaka yak Unhon ne apna sir Uthaya, phir apni Daaarhi Pakar kar use naak tak buland kiya k tere liye Khushi hai k tu Zarur Zarur Khoon main rangi jaegi, phir Jummay k Din un par Hamla kiya gaya".. (Tabkat E Ibn-E-Saad, Jild#3, Page#35, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot) Imaam Jalal Ud Deen 911 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hakim (REMATULLAH) ne sahi bata kar HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Aap ne kaha mujh se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya, tumhen is jagah aur is jagah Zarb lagai jaegi, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne donon Kanpatiyon ki taraf ishaarah kiya, aur in donon se khoon Beh kar tumhari Daarhi ko Rangeen kar dega".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#210, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) (Muwaahib ul Ludniyah, Jild33, Page#98, Matboo’a Dar ul qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaay wan Nihaaya, Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#213, Matboo’a Al Maktaba tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Suleman Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Usman Bin Suhaib apne Baap suhaib (Razi ALLAH Anhu) se Naqal farmate hain, k ek din HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ko farmaya yeh batlao, pehle logon main se Bad Bakht kon tha? Aap ne Arz kiya jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki Ooontni ko Qatal kiya, aur Paaon kaatey, AAP ne farmaya tum ne theek jawaab diya.. Phir pucha acha yeh batlao Pichlay logon aur aane waalay logon main se Bad Bakht kon hai?? Unhon ne Arz kiya maalom nahin, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Jo Shakhs Aap ko Kanpati par waar kar k shaheed karega.. Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ahl-E-Iraq ko farmatey the, Ba KHuda main chahta hun aur pasand karta hun k koi bad bakht uthey aur is aur is jagah (yaani Daarhi Mubarak aur Sar-E-Aqdas ki isi jaanib) ko khoon Aalood karta aur main Darjah E Shahaaadat ko paa leta".. (Al Mu'ajjim Ul Kabeer lit Tibraani, Jild#8, Page#38, Raqam Ul Hadees 37311, Jild#2, Page#247, Raqam Ul Hadees 2037-2038, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam O Al Mosal) Imaam Abdul MAalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya kiya main tumhen tamaam logon main se do Bad Bakht Aadmiyon k mutaa'alik na bataon?? Hum ne Arz ki zarur Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM), HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya ek Qom E Sammod ka woh shakhs jis ne Ooontni ki koonchen kaat din thin, aur dusra woh shakhs, jo Ae ALI! tere is maqaam par Zarb lagae ga ( HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Apna Dast E Aqdas HAZART ALI (Razi ALLAH Anhu) k Sir ki choti par rakha), yahaan tak k is maqaam k khoon se yeh jagah bhi tar hojae gi"... (As Seearah tun Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn E Hasshaam Gazwah E Asheerah, Jild#3, Page#144, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Imaam Ali Bin Mehmood Bin Saood Al Khazai 789 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Yeh Mojizaat E NABI (ALEH SALAAM) main se hain, aur yeh Akhbaar Ul GAIB k baab main se hai".. (Takhreej Ur Dalaalaat Us Samee'a Ul Fasal Fi Zakar O Akhbaar, Page#188, Matboo'a Daar Ul Garab Ul Islaami, Beroot) Faisla aap khud karen.. k HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko batana k un ki Shahaadat kis tarah hogi yeh Ilm-E-GAIB hai ya nahin . HADEES # 26: ZAMEEN PAR CHALTA PHIRTA SHAHEED DEKHO: Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Habeeb Ul Mawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Jaabir (Razi ALLAH ANhu) se Riwaayat hai k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe) ne farmaya, jo iraadah rakhta ho k main Zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey".. (Aalaam Un Nabuwwah, Al Baab Us Saani, Ashar Fi Anzaarah Bama Sehdas baada, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot) Imaam Ibn-E-Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: Tarjuma: " Beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya jo chahay k zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhay, Phir Talha (Razi ALLAH Anhu) Yom E Jaml main Shaheed huwe".. (Dalael Un Nabuuwah Al Behki, Jild#3, Page#32, Matboo'a Dar Ul kitaab Ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Waahid Hambli Ul Muqaddasi 643 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Moosa Bin Talha (Razi ALLAH Anhu) ne apne waalid se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM)ne farmaya, Jo Mehboob rakhta hai k Zameen par Chalta phirta Shaheed dekhe, to ue Chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey, is Hadees E Mubaraka ki Sanad Hasan hai".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Ibn-E-Maaja (RehmatULLAH Aleh) Riwayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat karte hain kHazrat Talha (Razi ALLAH Anhu) ek martaba NABI E KAREEM (ALEH SALAAM)k pass se guzrey to AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Shaheed Zameen par chal raha hai".. (Sunan Abi Maaja, Fazal Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu), Jild#1, Page#46, Raqam Ul Hadees 125, Matboo'a Daar Ul Fiqar Beroot) (Al-Mu’jam ul Kabeer lit Tibarani, Jild#1, Page#117, Raqam ul Hadees#215, Matboo’a Maktabah tul Uloom-o-al-Hakam Al Mosal) Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hiri main Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Abdul Aziz (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya jo Shakhs kisi Shaheed ko Zameen par Chalta Phirta dekhna chahay woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le".. (As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#29, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) (Tareekh-e-Bagdaad, Jild#4, Page#383, Ba-Raqam#2262, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain: Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) farmatay hain k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko farmate huwe suna, Tarjuma: " Jo Shakhs Shaheed ko zameen par chalte phirte dekhne se khush ho wohTalha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le".. (Sunan Tirmizi, Jild#5, Page#644, Raqam Ul Hadees 3739, Matboo'a Daar Ul Haya, Beroot) Ab yeh batana k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) Shaheed honge, yeh Gaib ka Ilm hai ya nahin?? . HADEES # 27: Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam): Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Muhammad Bin Umro Bin Hasan (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hum Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) k saath karbala ki neher par the, Aap ne Shamar Bin Zil Joshan ko dekh kar farmaya, ALLAH TA'ALA aur us k RASOOL (ALEH SALAAM) ne such farmaya, Goya main Chitkabray kuttay ko dekh raha hun, jo meri Ahl-E-Bait ka khoon pee raha hai, Q k Shamar Mal'oon Bars k marz main mubtala tha".. (Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Shobi (RehmatULLAH Aleh) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) Madina Munawwara Aae, Unhen Maaloom huwa k Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu)Iraq ki taraf Rawaana ho chukay hain, to woh madinay se do din ki musaafat par jaa kar un se mile aur un se kaha ALLAH TA'ALA ne apne NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ko duniya O Akhirat k darmiyaan ekhtiyaar karne ko farmaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Aakhirat ko ekhtiyaar kiya aur dunya ko rad kiya, q k AAP, RASOOL (ALEH SALAAM) k juzo hain,Khuda ki Qasam AAP main se kisi ko Duniya kabhi nahin haasil hogi, aur ALLAH TA'ALA ne AAP Hazraat se is duniya ko is cheez k saath Pher diya hai, aur jo AAP Hazraat k liye is se behtar hai, lihaaza AAP waapis chaliye, Magar Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ne waapisi se inkaar kar diya, to Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne aap se yeh kehte huwe Mu'aanikah kiya k AAP ko AALAH TA'ALA k Supard karta hun, Q k AAP Shaheed hain".. (Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot) (Al-Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#226, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah Makkah tul Mukarramah) (Dalael un Nabuwwah Imam behki, Jild#6, Page#470-471, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Hafiz Abu Bakar Bin Hussain Behki 458 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai unhon ne kaha k Main ne RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ek din dopeher k waqt khuwaab ki haalat main dekha k AAP k Baal Mubaarak Gard Aalood hain, aurAAP k dast E Mubarak main khoon ki botal hai, mene Pucha yeh kiya hai?? AAP ne farmaya Yeh HUSSAIN (razi ALLAH Anhu) aur in k Saathiyon ka khoon hai.. Aaj main Shoru din se is khoon ko is waqt tak jama karta raha hun, to mene apne khuwaab k waqt ko yaad rakha to yehi waqt tha, jis din woh shaheed kiye gae".. (Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot) (Khasai ul Kubra, , Jild#2, Page#214, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Ammar Bin Abi Ammar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, mene khuwaab main dekha kNABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k baal bikhre huwe, aur Gubaar Aalood hain, aurAAP dopeher k waqt ek Sheeshi uthae hain, jis main khoon bhara huwa hai, mene arz kiya, Ya RASOOL ALLAH! Yeh kiya Cheez hai?? AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur in k Ashaab (Razi ALLAH Anhu) ka khoon hai, main aaj din se le kar ab tak yeh khoon jama kara raha hun, Hazrat Ammaar Ibn-E-abi Ammaar (Razi ALLAH Anhu) farmaatey hain k hum ne woh din yaad rakha, phir maaloom huwa, k Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ko usi din Shaheed kiya gaya tha".. (Musnad Ahmed, Jild#1, PAge#242, Raqam Ul Hadees, MAtboo'a Mosasta, Qurtuba, Misar) Imaam Hafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Umm-E-Salma (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ko khuwaab main dekha k AAP k Sar-E-Mubaarak aur AAP ki Daarhi Shareef Gard Aalood hai, yeh haal dekh kar mene Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Aap ka kiya haal hai?? AAP ne farmaya, Abhi Abhi Maqtal-E-Hussain se Aaraha hun".. (Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot) (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#214, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Fasila Aap k haath main.. Haq ki pehchaan khud karen . HADEES # 28: BESHAK IMAAM HASAN AUR IMAAM HUSSAIN (Razi ALLAH Anhu) JANNATI NOJAWAANON K SARDAAR HAIN: Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain,RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Hasan aur Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannat k Nojawaanon k Sardaar hain".. (Sunan Tarmizi, Hadees Hasan Sahi, Jild#5, Page#656, Raqam Ul Hadees 3768, Matboo'a Daar Ul Ahya at Turaas Al Arabi, Beroot) (Musnad Amhed, Jild#3, Page#3, Raqam ul Hadees#11012, Matboo’a Mo’sasta Qurtubah, Misar) (Tareekh-e-Bagdaad, Jild#6, Page#372, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki 668 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur Baray Bhai Hazrat Hasan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya: " Beshak Imaam Hasan aur Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati Nojawaanon k sardar hain".. (Musnad Ahmed, Jild#3, page#623) (Ibn-E-Maaja, Raqam Ul Hadees 118) Yeh Batana k, Hazrat Imaaam Hasan Aur Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati aur Jannati Nojawaanon k Sardaar hain, yeh Gaib hai ya nahin?? Faisla Aap k Haath main hai . Hadees # 29: SAB SE PEHLE MUJH SE WOH MILEGI JO TUM SAB MAIN DARAAZ-E-DAST HAI: Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH) ne Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu)se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)ne farmaya, tum Azwaaj main se woh Zoja mujhey sab se pehle milegi, , jo tum sab main Daraz-E-Dast hai, to hum naapnti thin, k kis ka Haath Taweel hain, to woh Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) thin, un k Haath taweel the, q k woh apney haath se Amal kartin, aur Sadqa kiya karti thin".. (Khasais ul Kubra, Jild#2, PAge#219, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah Beroot) (Al-Bidaaya Wan Nihaaya, Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#198, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) (Muwaahib ul ludniyah, Jild#3, Page#98, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Muhammad Bin Habbaan Bin Ahmed Abu Haatim 354 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone waali sab se pehli Biwi thin".. (As Suq’qaat, Jild#3, PAge#144,Bar Raqam 485, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot) Imaam Ibn-e-Abdul Bar (RehmatULLAH ALEH) likhte hain: Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) sab se pehle milne waali biwi thin".. (Al Isti'aab, Jild#4, PAge#1850, Bar Raqam 3355, MAtboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Bhi Yahi Riwaayat karte hai: (Ba Hawaala: Al Jaamay Us Sageer, Fi Ahaadees Ul Basheer Un Nazeer, Jild#1, Page#168, Raqam Ul Hades 2832, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ul Ilmyah Beroot) Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehmaan Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Hadees Shareef main hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne apni Azwaaj E Mutah'hiraat se kaha, tum main sab se pehle mujhey woh milegi, jis k Haath lambay honge, Azwaaj E Mutah'hiraat (Razi ALLAH Anhu) ek jagah jama ho kar apne haathon ki Pemaish karne lageen, Hazrat Soodah (Razi ALLAH Anhu) k Haath Taweel the, Magar in main Sab se pehle, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) ka Wisaal huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Haath ki Tawaalat se Sadqah aur Neki main Ziyad'dati ki muraad li thi, aur yeh khoobi Hazrat Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH Anhu) main Paai jaati thi".. (Roz Ul Atfaal Man Sharah Shura, Jild#2, Page#364, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abdur Rehman Abzi (RehmatULLAH) kehte hain k main ne Madina Munawwarah main Hazrat Ibn-E-Umar (RAzi ALLAH Anhu) k peeche,Zainab (Razi ALLAH Anhu) Zoj-E-NABI (ALEH SALAAM) ki Namaz-E-Janaza Parhi, AAP (Sallalaho Alehe Wassllam) k Pardah farmane k baad, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) pehli Azwaj E Mutah'hira thin, Jinhon ne wafaat paai, AurHazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne in ki Namaz main 4 Takbeeren Kahin".. (Halya Tul Oliya, Tabkaat Ul Asfaya, jild#8, PAge#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot) Imaam Abu Bakar Ahmed Hussain Behki 258 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Woh Zainab Bint-E-Hajazh (Razi ALLAH Anhu), RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone Waali sab se pehli Biwi thin".. (Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#285, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Al Khateeb 810 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Woh (Zainab Bint-E-Hajash (RAzi ALLAH Anhu) sab se pehli milne waali Biwi thin".. (Waseela tul Islaam Ba NABI (Aleh Salatu Wassalaam), Page#57, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Ul Islaami, Beroot) Imam Muhammad Bin Abdul Baaqi Zarqaani 1122 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Hazrat Abdur Rehman Abzi (Rehmatullah Aleh) Bayaan kartey hain k MenayHazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) k saath Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) ki Namaz e Janazah parhi, 4 Takbeerat kahin, aur yeh AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki sab se pehli biwi thin, jin ki Wafaat huwi thi”.. (Sharah Zurqaani ali ul Mota, Jild#2, Page#78, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Faisla Aap karen.. k jis NABI (ALEH SALAAM) ne yeh bata diya, k Unki Azwaaj main Sab se pehle un ko Woh Zoja milengi jin k Haath Taweel honge (Yaani Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH ANhu)) an aap khud sochen kiya NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Gaib ka Ilm hai ya nahin.. . HADEES # 30: OWAIS KARNI (Razi ALLAH Anhu) Aur ILM-E-GAIB-E-Mustafa (Sallalaho Alehe Wassallam): Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Muslim (Aleh Rehmah) ne Ameer Ul Momineen Hazrat Umar-E-Faarooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne hum se Irshaad farmaya k Ahl-E-Aman ka ek Shakhs Tumharay pass Aaega, aur Yaman main Sirf Apni Waalidah ko hi chor kar aaaega, Is k Jism par Safedi thi to, usne ALLAH Azzawajal se Use Dur karne ki dua ki to, woh Safedi dur Jati rahi, Sirf Ek Deenaar k barabar Safedi baaqi hai, is ka naam Owais (Aleh Rehmah) hai, to tum main se jo koi us se Mulaqaat kare, to use Chahiye k us se Magfirat ki Darkhuwaast ki dua kare".. (Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Tabaqaat e Ibn-e-Sa’d, jild#6, Page#162, Matboo’a Dar us Saadir, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH) ne Dusri Sanad k saath, Hazrat Umar-E-Farooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, K RASOOL (ALEH SALAAM) ne farmaya, kTaba'een main,Qur'n ka ek Shakhs hoga, jis ka naam Owais E Karni (Aleh Rehmah) hoga, is k Jisam main Safedi Zaahir hogi, woh ALLAH Azzawajal se use Dur karne ki dua karega, aurWoh Dur hojaegi, woh dua karega, " Ae Khuda! MEre jism se is Safedi ko dur kar de, aur mere jism main itni safedi chor de, k main teri nemat ko yaad rakhun, to ALLAH TA'ALA Azzawajal us k jism main itni safedi chor de ga, lihaaza tum main se agar koi us se mile, aur woh ista'taa'at rakhta ho k is se Istagfar kare to use Laazim hai k Us se Istagfaar ki darkhuwaast kare".. (Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#220, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Muhaddis E KAbeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Sahaba E KAraam (Razi ALLAH Anhu) kehne lage, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) in Buzrugon main humen koi Aadmi mil sakta hai?? Farmaya: Haan " Owais Karni" hai, jis se tumhari Mulaaqaat hogi, Sahab E Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) ki Alaamaat puchin, farmaya: Jis ki Aankhen Surkh Maael Hongi, Surkh Baalon Waala hoga, Kushada Kaandhon waala, Darmiyaan E Qad Waala, Gandum Go, Seenay par Baalon Waala, Daayaan Baaen par rakhe ga, Qura'an ki Tilaawat kare ga, aur Apne par Bohat Rota hoga, Suno Us k Baa'en Kaandhay k neeche ek chamak hogi, Ahl E Zameen main use koi nahin jaanta, Ooon ka Ozaar Baandha hoga, Ooon hi ki Chaadar Orhi hogi, Khoob sun lo , Qayaamat k Din Aam logon se Kaha jawega, k Jannat main daakhil hojao, aur Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) se kaha jaega, k Idhar kharey hojao, aur Shafa'at karo, tumhaari Shafa'at Kabool ki jae gi, Ae Umar O Ali jab tumhari in se Mulaaqaat hogi, to in se Istagfaar karwaana, ALLAH Tumhari Magfirat farmae ga".. (Huliya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#2, Page#82, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah Beroot) Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, is Ummat main mera Khaleel Owais Karni hai".. (Tabakaat Ibn-E-Saad, Jild#6, Page#163, MAtbo'a Daar Us Saadir Beroot) (Al Jamey us Sageer Fi Ahadees ul Basheer un Nazeer, Jild#1, Page#240, Raqam ul Hadees#3942, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Saad O Haakim (Aleh Rehmah) ne Abdur Rehman Bin Abu Laili (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k Jang Safeen k Roz Ahl-E-Shaam k ek Aadmi ne Pukaara k kiya Tum main Owais Karni (Aleh Rehma) hain?? Logon ne jawaab diya, Haan hain.. Us ne kaha mene NABI (ALEH SALAAM) se suna hai, k Owais Karni (Aleh Rehma) Khair Ut Ta'ba'een hain.. Is k Baad woh Shakhs apne Ghoray ko Aerh laga kar apne lashkar main chala gaya".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) (Al Bidaaya wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#198, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imaam Abu Naeem Asfahaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: TArjuma: " Hazrat Muhaarib Bin Dasaar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain kHUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Bila Shuba meri Ummat main se aese log hain, jo nangay honay ki wajah se apni Masjid aur Eid Gah main nahin ja sakte, aur un ka Eemaan unko logon se maangne se Rokta hai, un main se Owais Karni aur Faraat Bin Hayaar (Razi ALLAH Anhu) hain".. (Halya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#9, Page#38, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Ibn E Saad O Haakim (RehmatULLAH) ne Batareek Aseer Bin Jaabir (Aleh Rehmah) Hazrat Umar (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, inhon ne Hazrat Owais KArni (RehmatULLAH Aleh) se farmaya, Aap mere liye IStagfaar farmaen,Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) ne famraya, main Aap k liye q kar Istagfaar karun?? Jab k AAP Khud RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Sahaabi hain.. Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Main ne RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se Suna hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khair Ut Taab'aeen woh Shakhs hai, jis ka Naam Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) hai".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#221,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Yeh Hadees Bad Aqeedah Fitnon k Moon par Tamacha hai.. Q k is main HUZOOR (ALEH SALAAM) k Ilm-E-Gaib ki Daleel bhi hai, aur Waseelay ka Saboot bhi... HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Sahaba E Karaam ko Owais Karni k Baaray main Batana, k Woh kis tarah k honge, aur Mulaaqaat bhi hogi, wagera.. aur woh Baroz E Qayaamat Shafa'at bhi karenge, yeh Ilm-E-Gaib ka Saboot hai.. Aur OWais Karni se Dua ki Darkhuwaast karna, aur ALLAH ka Istagfaar kabool karna, yeh Waseelay k Dalael main se hai.. . HADEES # 31: DO AZEEM GIROH K DARMIYAAN ALLAH AZZAWAJAL US K ZARIYE SULAH KARWAE GA: Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Bukhari (RehmatULLAH Aleh) ne, Abu Bakar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Hazrat Imaam Hasan (Razi ALLAH Anhu) ki Baabat farmaya, Mera Yeh Farzand Sardaar hai, aur Tawwaqqah hai k ALLAH Azzawajal Musalmaanon k Do Azeem Girohon k Darmiyaan us k Zariye Sulah karae ga".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#226, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#214-215, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah Makkah tul Mukarramah) (Muwaahib ul Ludniyah, Jild#3, Page#100, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Ismail Bin Muhammad Bin Al Fazal Al As Subhani 535 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Imaam (RehmatULLAH Aleh) farmate hain k yeh Hadees Nabuwwat par Dalaalat karti hai k Isi tarah huwa jesa k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya tha, k ALLAH Azzawajal ne Us k Zariye Iraaqi aur Shaami Lashkaron main Sulah Farmadi".. (Dalael E Nabuwwah, Page#112, Raqam Ul Hadees 114, Matboo'a Daar Ul Taeba Riyaaz) Faisla Khud karen k NABI (ALEH SALAAM) ne pehle hi Bata diya k Imaam Hassan (Razi ALLAH Anhu) Do (2) Baray Giroh k Darmiyaan sulah karwaen ge.. Aur Aesa hi huwa, To yeh ILM-E-GAIB nahin to aur kiya hai?? . HADEES # 32: UMM E WARQAH BIN NOFIL (Razi ALLAH Anhu) SHAHEEDAH HAI: Imaam Behki (RehmatULLAH) Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat UMM E Warqah Bint-e-Al Haaris (Razi ALLAH Anhu) ki Mulaaqat k liyeRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef le jaate, Aur AAP ne Un ka Naam As Shaheedah rakha tha, woh Quraan ki Haafiza thin, Jab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Gazwah E Badar k liye Tashreef le gae, to unhon ne kaha Aap Mujhey ijaazat den, to main bhi aap k saath jaaoun aur Mareezon ki Zakham Patti aur Beemaaaron ki Temaadaari karun, Shayad ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Ata farmae, AAP (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya, ALLAH TA'ALA tum ko Shahaadat Ata farmae ga, aur AAP in ko As Shaheedah kehte the, aur NABI-E-KAREEM (Sallalaho alehe Wassallam) ne in ko Hukum diya tha, k woh apne Ghar ki Khawaateen ki Imaamat kiya karen, in ko Maal-E-Ganeemat main se ek Baandi aur Ek Ghulaam mila tha, jin ko unhon ne Madbar kar diya tha, (Yaani un se keh diya tha, k mere marnay k baad tum azaad ho).. HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) k Dor E Khilaafat main in donon ne Hazrat Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kar diya aur donon Bhaag gae, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) k Hukum se unko pakar liya gaya, aur un donon ko Suli par latka diya gaya, Madinay Taebah main in ko sab se pehli Sooli di gai thi, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) ne Sach farmaya tha, AAP farmate the, Chalo As Shaheedah ki Ziyaarat k liye chalen".. (sunan Al Kubra,Jild#3,Page#130,Raqam Ul Hadees 5136, Matboo'a Maktab Daar Ul Baaz, Makah Mukarrama) (Musnad Ahmed, Jild#6, Page#405, Raqam ul Hadees#27323, Matboo’a Mosasta Qurtubah Misar) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Abu Daaod-o-Abu Naeem (Aleh Rehmah) ne Jamee aur Abdur Rehman Bin Khalaad Ansaari (Razi ALLAH Annhu) se, in donon ne Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) jab badar gae to, Umme Warqah Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam)! Mujhey Gazwah E Badar main Apni Ma'iyyat main Jaane ki Ijaazat Dijiye, Mumkin hai k ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Naseeb farmae, AAP ne farmaya Tum Apne Ghar main Bethi raho, ALLAH Azzawajal tumhen Shahaadat Naseeb farmae ga, to in ko Log Shaheedah k naam se Pukaarte the.. Is ki Shahaadat ka Waqiyah yeh huwa k woh Quraan E Kareem ki Tilaawat kar rahi thin, aur unhon ne Ek Ghulaam aur Baandhi ko Madbar kiya tha, woh donon raat k Waqt in k pass aae, aur ek Chaadar se in ka Gala Ghont diya, yahaan tak k woh Foat hogain, Yeh Waqiyah HAZRAT UMAR E FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) k Zamana E Khilaafat ka hai, phir un ko pakar k Sooli de di gai, yeh donon Madine Munawwarah main sab se Pehley Sooli Charne waalay the".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#228-229, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) Imaam Ibn-E-Saad (Aleh Rehmah) likhte hain: Tarjuma: “Hazrat Umar-e-Farooq (Razi ALLAH Anhu) ne farmaaya, Huzoor (sallalaho Alehe Wassallam) ne sach farmaaya tha, chunachey AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) Farmaaya kartey they k aao Shaheedah ki Mulaqaat k liye chalen” (Tabqaat Ibn-E-Saad, Jld#8,Page#475,Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot) Muhammad Kabeer Imam Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Hazrat Umar-e-Farooq (Razi ALLAH Anhu) ne farmaaya, Huzoor (sallalaho Alehe Wassallam) ne sach farmaaya tha, chunachey AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) Farmaaya kartey they k Shaheedah k ghar chalo”.. (Hulya tul Oliya, Jild#2, Page#63, Matboo’a Dar ul Kitaab ul Arabi,k Beroot) Faisla Khud karen, k Umme Warqah ko Shaheed hone se pehle batana, k Woh Shaheed hongi, aur un ko As Shaheedah keh k Pukaarna Yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin?? . HADEES # 33: LEKIN WOH SHAKHS NAALEN MUBARAK KO SEENAY WAALA SHAKHS HAI, YAANI HAZRAT ALI MURTAZA (RAZI ALLAH ANHU): Imaam Muhib'Bud'Deen Abu Al Abbas Ahmed Bin Abdullah 694 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k mene HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) se suna k beshak tum main se ek Taaweel e Qur'an pe Jhagra karega, jese k is k Nuzool par jhagra kiya tha to, Hazrat Abu Bakkar (Razi ALLAH Anhu) farmane lage, kiya woh main hun Ae ALLAH k RASOOL (Sallalaho Alehe Wassallam), to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) farmaanay lage, nahin, Balkay Jootay k Seenay waala Hujray main hai, aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko Joota Mubaarak diya tha, taa k is ko si lay".. (Zakhair Ul Aqi Fi Manaqib Zawi Al Qarbi, Page#76, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Masriyah) Imaam ahmed Bin Hambal 241 Hijri main yahi Riwaayat karte hain: (Ba Hawala: Fazail E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, age#571, Raqam Ul Hadees 966, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot) Imaam Bagdaadi (RehmatULLAH) ne bhi yahi likha: (Ba Hawala: Taareekh E Bagdaad, Jild#8, Page#433, Ba Raqam 4540, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah BerooT) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH) ne Sahi bata kar Behki (RehmatULLAH ALEH) ne Abu Saeed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k hum RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) k saath the, AAP ki Naalen Mubaarak toot gai, to HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu) Peeche reh kar ise seenay lage, phir kuch door chal kar farmaya, tum main se ek Shakhs woh hai jo Quraan ki Taaweel par jang karega, jis tarah k main us ki Tanzeel par jang karta hun, Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, Kiya woh main hun?? Farmaya: Nahin Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki Kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) main hun?? Farmaya: Nahin Lekin woh Shakhs Naalen Mubarak ko seenay waala shakhs hai, Yaani HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu)".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#234,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild36, Page#213, Matboo’a Al-Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Faisla Khud karen, Pehle se hi Bata dena, k Woh Shakhs Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) honge, yeh Gaib ka ILM hai ya nahin . HADEES # 34: SAB SE PEHLE JO MERI SUNNAT KO BADLAY GA WOH BANI UMMAIYYAH KA AADMI HOGA (YAANI YAZEED): Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Abi-Sheeba O Abu Ya'ali Aur Behki (RehmatULLAH) Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Mene RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) se suna hai k AAP ne farmaya, sab se pehle jo meri Sunnat ko Badlay ga, woh Bani Ummaiyah ka Aadmi hoga". Behki (RehmatULLAH ALEH) ne farmaya, Shuba hota hai, k Gaaliban woh Aadmi YAZEED BIN MAAWIYAH HAI".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Haaris Bin Abi Usama 282 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jarah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, yeh Deen Hamesha Mu'at'tadal aur Adal O Insaaf par Qaem rahey ga, Al Bat'ta, Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, us main Rakhna Daaley ga".. (Bagyat Ul Baahis An Zawaid, Musannad Ul Haaris,jild#2, Page#642, Raqam Ul Hadees 616, Matboo'a Markaz E Khidmat Al Sunnah, Wa Seerat Un Nabuuwwah, Al Madina Tul Munawwarah) Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Mani O Behki Aur Abu nAeem (RehmatULLAH Aleh) ne Abu Ubaidah Bin Al Jarrah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Unhon ne kaha kRASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Yeh Deen Hamesha Mu'attadal aur Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, is main Rakhna Daale ga".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH ALEH) ne Maaz Bin Jabal (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmayatum par Andheri raat k tukray ki maanind fitnay aaye, jab Ek RASOOL Gaya, aur Dusra RASOOL aa gaya, aur NABUWWAT mansookh hogai, aur Baadshahat Aagai, Ae Maaz (Razi ALLAH Anhu) Yaad rakho, aur Gino (Phir Fitnay batana Shoru kiye) aur jab 5 tak puhnchay, to Farmaya, Yazeed, ALLAH Azzawajal, Yazeed main Barkat na de, is k baad AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Aankhon se Behnay lage, aur farmaya, mujhey Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ki Shahaadat ki khabar di gai, aur in k Maqtal ki Mitti lai gai, aur Mujhey in k Qaatil ki Khabar di gai, Is k Baad jab 10 Tak puhchay, to farmaya, Waleed, Yeh Firon ka naam hai, Woh Islami Shariyat ka Dhaanay waala hoga, is k Ahl-E-Bait ka ek Aadmi us ka khoon bahaega".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#237,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Faisla Khud karen.. kiya yeh Ilm-E-GAIB nahin, k Pehle se Yazeed ka bata dena, k Sab se pehle Sunnat Badalna Wala Aadmi Yazeed hoga.. Note: Wahabi Yazeed ko Sahi ko Maante hain, ab Aage aap khud samajh jaen, k Wohi Pehla Aadmi tha, NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Sunnat ko badlne waala, to us k Chahne waale Kese honge, aur Yahi Baat hai, k Yeh log ILM-E-GAIB k Munkir hain . HADEES # 35: AMMAAR BIN YASIR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, TUMHEN BAAGI JAMA'AT SHAHEED KAREGI: Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Shekheen (RehmatULLAH) ne Abu Saeed O Muslim (RehmatULLAH Aleh) ne Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) aur Abu Qatadah (Razi ALLAH Anhu)se Riwaayat ki k RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) ne HAZRAT AMMAR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, Tumhen Baagi Jama'at Shaheed karegi, yeh Hadees Mutawatir hai, ise 10 Shabiyon ne Riwaayat kiya hai". (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) (Muwaahib ul Ludinyah, Jild#3, Page#101, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Sahih Bukhari, Raqam ul Hadees#447-2812) (Sahih Muslim, Raqam ul Hadees#70-72-73) (Dalael un Nabuwwah Imam Beh’ki, Jild#2, Page#546) (Al Mu’jam ul Kabeer lit Tabarani, Jild#1, Page#320, Raqam ul Hadees#954, Matboo’a Maktabah tul Uloom wal Hakam al Mosool) Imaam Ibn-E-Abdul Bar (rehmatULLAH Aleh) Likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) se aksar is baaray main Naqal ki gai hai k AMMAAR (Razi ALLAH Anhu) ko ek Baagi Giroh Qatal karega, aur Yeh RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) ka Akhbaar Ul GAIB hai aur yeh ALAAM UN NABUWWAH hai, aur Yeh HADEES SAHIH hai".. (Al Astiyaab, Zikar Hazrat Ammar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu), Jild#3, Page#1140, Ba Raqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Ahmed Al Khateeb 810 Hijri main bhi yahi Likhte hain: (Bahwala: Waseela Tul Salaam Ba Nabi (ALEH SALAAM), Page#133, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Islaami, Beroot) Imaam No'wi (RehmatULLAH Aleh) ne bhi yahi likha: (Bahawala: Tehzeeb Ul Asma, Jild#2, Page#351, Ba Raqam#465, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot) Imaam Ahmed Bin Umar O Bin Azhaak Abu Bakar As Shebaani 287 Hijri main bhi yahi Likhte hain: (Bahawala: Al Ahaad O Al Mashaani Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, Page#207, Raqam Ul Hadees 271, Matboo'a Daar Ur Ra'ya Ur Riyaaz) Imaam Ibn E Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) bhi yahi Likhte hain: (Bahawala: Al Isti'aab Zikar Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu), Jild#3, Page#1139, Baraqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed bin Adullah Asfahani 430 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: Hazrat Umar O Bin Deenaar (RehmatULLAH Aleh) Bayaaan karte hain, k ek Misri Shakhs ne farmaya, k Ek baar Hazrat Umar O Bin Al Aas (Razi ALLAH Anhu) ne logon main Hidaaya Taqseem kiya, Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) ko dusron k Muqaablay main ziyaadah diya, Un se in ki Wajah Puchi gai, inhon ne farmaya, main ne in k Muta'alliq HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) ko yeh kehte huwe suna, Ae Ammaar tera Qaatil ek Baagi Giroh hoga".. (Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot) In k Ilawa Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri main do (2) Sanadon k saath Umm Ul Momineen Hazrat Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se aur Chaar (4) Sanadon k saath Hazrat Abu Saeed Khadri (RehmatULLAH Aleh) aur Ek Sanad k saath Hazrat Abdullah Bin Umar O (Razi ALLAH Anhu) se aur ek Sanad k saath Hanzla Bin Sawaid (Razi ALLAH Anhu) se isi Riwaayat ko Naqal karte hain".. (Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#196-197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot) Yahi Muhadis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Ataab Bin Saaeb k Silsila E Sanad se Abu Al Bakhtari aur Mesrah ka Qol MArwi hai: Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ko Jang Safeen k Roz Doodh pesh kiya gaya, AAP (Razi ALLAH Anhu) ne Nosh kar k farmaya, HUZOOR NABI E KAREEM (Sallalaho alehe Wassallam) k farmaan k Mutaabik, is k Baad mere Batan main koi cheez nahin jaegi, is k baad Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Qataal main Mashgool hogaey, aur Bil Aakhir, Qataal karte karte duniya se chale gaey".. (Hulyat Ul Oliya O Tabqaat Ul Asfiyah Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, PAge#141, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot) Imaa Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hjiri main Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) Masjid ki jagah main daakhil huwe,Sahab E Karaaam ne in par Bohat Ziyaadah inten rekhin thin, inhon ne Arz ki YA RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) inhon ne mujhey halaak kar diya hai aur Mujh pe itna bojh daala hai jise main Utha nahin sakta, HAZRAT AMEER UL MOMINEEN UMME SALMA (Razi ALLAH Anhu) farmaati hain, meneNABI E KAREEM (Sallalaho alehe Wassallam) ko dekha, AAP Apni Zulf Mubaarak ko Dast E Aqdas se saaf farma rahe the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Baal Mubaarak Ghungriyaaley (Curly) the, AAP (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya, Ae Sumaiyyah k Noor E Nazar yeh log tumhen Qatal nahin karenge, tumhen to ek Baagi Giroh Shaheed karega".. (As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#3, Page#25, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Allama Abdul Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Jaamey Mu'ammar Raashid main hai k Taameer Masjid E Nabwi k Waqt Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Bayak waqt Do Do (2,2) Eenten utha kar laa rahe the, Ek Eent Apni taraf se, aur Dusri Eent HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) ki taraf se, jab k Baaqi Log Ek Ek Eent Utha kar laa rahe the, HUZOOR (Sallalaho alehe Wassallam) ne HAZRAT AMMAR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, Logon k Liye ek Gunah jab k Tumharay liye Do (2) Gunah Ajar (Sawaab) hai, aur Dunya se Tumhari Aakhri Khuraak Doodh hoga, aur Tujhey ek Baagi Giroh Qatal karega".. (Roza ul Anaf Zikar Sumiya Umm e Ammar, Jild#2, Page#338, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: Tarjuma: " Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k Jang E Safeen main Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ne kaha k mere pass Doodh ka Sharbat laao q k RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) ne mujh se farmaya k Dunya ka Aakhri Sharbat jo tum piyo ge, woh Doodh ka sharabat hoga, Doodh laya gaya, us Doodh ko unhon ne Nosh farmaya, Phir Aage barhe aur Shaheed hogae... Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k us roz Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) k pass Doodh laya gaya, to woh Muskuraey aur kaha k Mujh se RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya, k sab se Aakhri Mashroob jo tum Piyo ge, woh Doodh hoga, yahaan tak ise pee kar tum Dunya se Rukhsat hojao ge".. (Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#3,Page#257, MAtboo'a Daar Us Saadir, BerooT) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Ammaaar (Razi ALLAH Anhu) ki kaneez se Riwaayat hai k unhon ne kaha k HAZRAT AMMAAR (Razi ALLAH Anhu) ko Sakht Beemaari Laahak huwi aur un par Behoshi Taari hogai, phir unhen Afaaqa huwa, to dekha k hum sab in Gird ro rahe hain, unhon ne farmaya, kiya log dar rahe the k main apne Bistar par Mar jaounga, Mujhey mere HABEEB RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne khabar di hai k Mujhey Baagi Jama'at Qatal karegi aur Dunya main meri Aakhri Giza Paani Mila huwa Doodh hoga".. (Dalael Un Nabuwwaah, Jild#6, Page#421, MAtboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah, Beroot) (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#210, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Imaam Ahmed Bin Saad O Tibraani O Haakim (RehmatULLAH Aleh)ne Sahih bata kar behki O Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) se Abu Al Bakhtari (RehamtULLAH Aleh) se Riwaayat ki k, Yom E Safeen ko Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) k Paas doodh ka piyaala laaya gaya, use dekh kar unhon ne Tabassum kiya, logon ne pucha is main Hansne ki konsi baat hai, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya, Dunya main Aakhri Giza jise tum piyo ge, woh Doodh ka Sharbat hai, is k baad woh Aage Barhe aur Shaheed hogae".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#210, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Huzail (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) tashreef laey, Logon ne Arz kiya Hazrat Ammaar (RAzi ALLAH Anhu) par chat gir gai hai, aur woh foat hogae hain, AAP (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya, Woh FOAT nahin huwe hain".. (Fazail E Sahaba, La Bin Hambal,Jild#2, Page#857, Raqam Ul Hadees 1597, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Huzail (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat kik unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho alehe Wassallam) tashreef laey, logon ne kaha k Hazrat Ammaar par chat gir gai hai, aur woh Foat hogae hain, AAP (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaya, Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) foat nahin huwe hain".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#239, MAtboo'a Daar ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) Fasila Khud karen, Hazrat Ammaar ko batana, k Un ko Ek Baagi giroh Qatal karega aur un ki Aakhri Giza Doodh hogi, Yeh ILM-E-GAIb hai ya nahin?? Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) ka ILM-E-GAIb ka Aqeeedah dekhen, k Un ko PAkka Yakeen tha, k Bas un k HABEEB NABI (Sallalaho alehe Wassallam) ne keh diya, k Baagi Giroh Qatal karega, aur Aakhri Giza Doodh hai to bas... Yeh hota hai Ishq E RASOOL (Sallalaho alehe Wassallam) aur un k Atai ILM-E-GAIB pe Aqeedah rakhna.. . HADEES # 36: Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB E MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam) Hafiz abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Al Tabraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Tumhare Pass Ahl-E-Jannat main se ek Shakhs aaega, to Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) tashreef le aae, phir farmaya, tumhare pass Ahl e Jannat amin se ek Shakhs aega, to Hazrat Usman (Razi ALLAH Anh) tashreef le aae".. (Tibraani Al Ausat Jild#7, Page#504, Raqam Ul Hadees 66998, MAtboo'a Maktaba Al Ma'aarif Ar Riyaaz) Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main yahi Riwaayat karte hain: (Bahawala: Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#196, Matboo’a al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Tibraani (rehmatULAH Aleh) ne Zaid Bin Saabit (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) se suna, k AAP ne farmaya, MEre saath Usman (Razi ALLAH Anhu) chaley, us waqt mere pass ek farishta tha, us na kaha yeh Shaheed honge, aur in ki Qoam in ko Shaheed karegi, aur hum tamaaam farishte in se Haya karte hain".. (Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijir main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Bazzaar O Tabraani (RehamtULLAH Aleh) ne " Osat" main Hazrat Zubair Bin Awaam (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, inhon ne kaha k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Fatah E Maakkah k din ek Qureshi Aadmi ko Qatal kar k farmaya, aaj k baad Jabar k saath kisi Qureshi ko Qatal nahin kiya jaega, magar ek Aadmi Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal karega, Lihaaza tum us Aadmi ko qatal kardena, agar tum ne use Qatal na kiya to tum bakriyon ki Maanind Qatal kar diye jao ge".. (Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot) Imaam Jalaal Ude Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahih Bata kar aur Behki (RehmatULLAH) ne Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne us Waqt farmaya, jab k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko Balwaaiyon ne Mehsoor kar rakha tha, k MAin ne RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) se suna hai, AAP ne farmaya, Fitnah O Ikhtalaaf Ronama hoga, hum ne Arz kiya YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) hamaray liye is Waqt kiya Hukum hai?? AAP ne farmaya, Tum Ameer aur in Ashaab k Daaman se Waabasta rehna aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ki taraf Ishaara kiya".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Hazrat KA'ab Marah Bin Ka'ab (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Fitnon ka Zikar kiya, aur bataya, k woh Anqareeb waqey hone waalay hain, us waqt ek shakhs kapray se apne aap ko Dhaanpay huwe guzra, NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, yeh Shakhs us Waqt Hidaayat par hoga, main ne kharay ho kar dekha to woh HAZRAT USMAN BIN AFAAN (Razi ALLAH Anhu), mene Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki taraf Rukh kar k Pucha, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya: Haan".. (Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#628, Raqam Ul Hadees 3704, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot) Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Fitnon ka Zikar kiya, Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Hazrat USman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya, k yeh Shakhs Fitnon main Mazlooman Qatal kiya jaega".. (Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#630, Raqam Ul Hadees 3708, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Ibn-E-Maaja O Haakim (RehmatULLAH) ne SAHI bata kar, aur BEHKI O ABU NAEEM (REHAMTULLAH ALEH) ne HAZRAT AYESHA SIDDIQUE'AH (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne HAZRAT USMAN (RAZI ALLAH ANHU) ko Bulaya aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) in ki taraf ishara farma rahe tha, aur HAZRAT USMAN (Razi ALLAH Anhu) ka Rang Mutayaggar horaha tha, Aur JAb YOM Ud Daar yaani woh Din aaya, jis main unhen Mehsoor kiya gaya, to hum ne Arz kiya Aap jang nahin karen ge? to Hazrat USman (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Nahin, Q k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Amar ka mujh se Uhad (Waada) liya hain, Lihaaza main is par Apni jaan ka khayaal na rakhunga, aur Saabir rahun ga".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#207, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Haakim O Ibn-E-Maaja Aur Abu naeem (Aleh Rehmah) ne Hazrat Ayesha Siddique'Ah (RAzi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAAN E GANI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya, Bila Shuba ALLAH TA'ALA tumhen ek Qameez Pehnae ga".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, BerooT) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Hazrat Ameer Ul Momineen Ayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) bayaan karti hain k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne muhjey farmaya, Mere Baaz Sahaba ko mere PAss Bulao, Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH! Abu Bakar (Razi ALLAH Anhu) ko bulaon? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne mana farmaya, Phir mene Arz kiya, UMAR (Razi ALLAH Anhu) ko? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya: Nahin.. Phir mene Arz kiya AAP k Chacha k Betay HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmya: Nahin, Phir mene Arz kiya, Usman (Razi ALLAH Anhu) ko? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya: Haan, Pas Jab woh Aagae to AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, (Ae Ayesha) Zara peeche ho kar beth jao, Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) un se Sargoshi farmaanay lage, Hazrat USman (Razi ALLAH Anhu) ka rang tabdeel hone laga, phir Yom-E-Daar aaya, aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) us main Mehsoor hogae, hum ne kaha Ae Ameer Ul Momineen Aap Qataal nahin karenge?? Aap (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya: Nahin, Beshak HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne mujhey (is din ki) Wasiyat farmai thi, aur main is Wasiyat par sabar karne waala hun".. (Musnad Ahmed, Jild#6, Page#51, MAtboo'a Mosasta Qurtuba Misar) Imaam Tibraani (RehamtULLAH Aleh) likhte hain: TArjuma: " Hazrat Badar Bin Khaalid (RAzi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k Yom-E-Daar ko Hazrat Zain Bin Saabit (Razi ALLAH Anhu) hamaray pass kharay huwe aur kaha, kiya tum us shakhs se Haya nahin karte, jis se MAlaikah bhi haya karte hain, Hum ne kaha woh kon hai?? Raawi ne kaha mene HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko farmaate huwe suna, k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Farishton main se ek FArishta mere pass tha, jab Usman (Razi ALLAH Anhu) mere pass se Guzrey to, us ne kaha yeh shakhs Shaheed hai, is ki Qoam us ko Qatal karegi , aur hum Malaikah is se Haya karte hain, Badar Bin Khaalid (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k phir hum ne AAP (Razi ALLAH Anhu) se logon k ek Giroh ko door kiya".. (Tibraani Kabeer, Jild#5, Page#159, Raqam Ul Hadees 4939, Maktabatul Uloom O Al Hakam Al Mosal) Imaam Tibraani (RehamtULLAH Aleh) likhte hain: TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte han , k main HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k saath tha, us Doraan ek Aadmi NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) k pass aaya, aur us ne AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k saath Musahfa kiya, to AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne apne Haath us Shakhs k haath se us waqt na churaya jab tak khud us Aadmi ne AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka Haath na Chora, phir us Aadmi ne AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) se Arz kiya, YA RASOOL ALLAH! Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) tashreef lae hain, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, woh AHL-E-JANNAT main se hain".. (Tibraani Kabeer, Jild#12, Page#405, Raqam Ul Hadees 13495, Maktabatul Uloom O Al Hakam Al Mosal) Imaam Haakim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (RAzi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k Subah k waqt Hazrat Usman (Razi ALLAH ANhu) ne humen farmaya, Beshak mene HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Guzishta Raat khuwaab main dekha, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Ae Usman Aaj hamaray pas aaj hamaray pass Roza Iftaar karo, PAs Hazrat USman (RAzi ALLAH Anhu) ne Rozay ki Haalat main Subah ki aur usi Roza unhen Shaheed kar diya gaya".. (Mustard Al Haakim, Jild#3, Page#110, Raqam Ul Hadees 4554, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) Imaam Tibraani (REhmatULLAH Aleh) likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Umar Bin Khataab (Razi ALLAH Anhu) lihkte hain, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, jis din Usman (Razi ALLAH Anhu) ki Shahaadat Waaqey hogi, us Din Aasmaan k Farishtey un par Durood bhejenge".. (Tabraani Al Ausat, Jild#3, PAge#287, 3172, Matboo'a Daar Ul Harmen, Al Qahaarah) Imaaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Ibn-E-Aadi O Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Anas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Ae Usman (Razi ALLAH Anhu)! mere Baad tuhmen khilaafat di jae gi, aur Munaafiqeen chahenge k tum use chor do, tum use na chorna, aur tum us din Roza rakhna q k tum mere Pass Iftaar karoge".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahih bata kar, Abdullah Bin Hawaala (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki hai, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, tum log ek aese Shakhs par Biloh karoge, jo Chaadar se Imaama Baandhay ga, aur Jannati Logon ki Be'at lega, to jab Logon ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) par biloh kiya to woh Heri Chadar ka Imaama Baandhay Be'at le rahe the".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Hawala (Razi ALLAH Anhu) se unhon ne HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) se Riwaayat ki, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, jo 3 baaton se Mehfooz raha, us ne Nijaat paai, Sahaba (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) woh kiya baaten hain?? FArmaya Meri Rehlat hai, aur us Khaleefa ka Qatal hai jo Haq par Qaem reh kar Haq par jaan de ga".. (Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#392, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne sahih bata kar aur Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Ibn-E-Masood (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Islaam ki Chakki Pentees (35), ya Chattees (36), ya Sentees (37) Saal k baad Ghoomay gi, to agar woh log Halaak huwey, to Rah E Suwwaab Halaak honey waalon main hai, aur agr in ka deen in k liye Qaem raha, to Sattar Saal tak Qaem rahe ga, Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya YA NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) yeh Muddat Guzishta Saal se hai?? Farmaya, Nahin jo Aaendah aaegi.. Behki (RehamtULLAH Aleh) ne farmaya, lihaaza aesa hi Waqey huwa, Bani Ummaiyyah ki Hukoomat is Saal main hi rahi, Yahaan tak k jab in main Sasti Dar andaaz huwi, to Sattar (70) Hijri k Kareeb KHuraasaan se Daawa karne Waalon ka Zahoor huwa".. (Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) Qareeb tar hone Waalay Fitnon ka Zikar farma rahe the, isi Asna main ek Shakhs Guzra, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, us din yeh Shkahs Hidaayat par hoga".. (Fazail E Sahaba, La Bin Hambal, Jild#1, Page#507, Raqam Ul Hadees 828, Matboo'a Masasta, Risaala Beroot) Imaam abu Bakkar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Hazrat Huzaifa (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Qayaamat us Waqt tak Qaem na hogi, jab tak tum apne Imaam ko Qatal na karoge, aur ek Dusrey ko apni Talwaar se Qatal karoge, aur tumhare Shareer log, tumhari Dunya k Waaris banjaen ge".. (Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#391, MAtboo'a Daar Ul Kutun Ilmiyah, Beroot) (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Behki aur Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) ne Al "Ma'arfah" main abu Rehman Bin Adees se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) se suna hai, AAP ne farmaya, Log deen se is tarah Nikal jaenge, jese Qamaan se teer nikal jaata hai, aur woh Labnaan k Pahaaron main Qatal kiye jaenge, Ibn-E-Lahiya'a (RehamtULLAH ALeh) ne kaha k Abdur Rehman Bin Adees in Bulwaaiyon main shaamil tha, jo Ahl-E-Misar k saath Qatal-E-Usman (Razi ALLAH Anhu) ki Garz se chale the, In Bulwaaiyon ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kiya tha, is Waqey k ek ya do saal baad libnaan main Ibn-E-Adees ko Qatal kiya gaya".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#209, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Dalael Un Nabuwwah Imaam Behki, Jild#6, Page#394-395, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Haaris Bin Abi Usama (RehmatULLAH Aleh) ne apni Musnad main Muhaajireen E Habib (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Abdullah Bin Salaam (Razi ALLAH Anhu) ko Kisi ko bhej kar bulwaya, aur woh us Waqt mehsoor they, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Abdullah (RAzi ALLAH Anhu) se kaha k Apna Sir utha k is Rozan ko dekho, AAJ Raat RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam is Rozan se Ronaq afroz huwe, aur farmaya, Ae Usman (Razi ALLAH Anhu) kiya tum mehsoor ho?? mene kaha haan, to AAP ne ek Dol latkaya, aur mene us main se Paani piya aur main apne andar is ki thandak ab tak paa raha hun, is k Baad HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne mujh se farmaya, agar tum chaho to main ALLAH se dua karun, woh tuhmen in par Gaalib karde ga, aur agar tum chaho to hamare pass Iftaar karo, to mene AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k pass Haazir hone ko ekhtiyaar kiya hai, aur woh usi Din Shaheeed kiye gae".. (khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Hazrat Qees Bin Abi Haazim (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k Abu Sehla (Razi ALLAH Anhu) ne muhjey bataya, k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Yom-E-Daar (Muhaasray k din) ko farmaya, jab woh Mehsoor the k beshak HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne mujhey ek Wasiyat farmai thi, pas main isi Par Saabir hun aur Hazrat Qees (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k woh is ka Intezar kiya karte they".. (Musnad Ahmed, Jild#1, Page#69 Raqam Ul Hadees 501, MAtbooa Mosasta, Qurtuba Misar) (Sahih Ibn-e-Hibban, Jild#15, Page#356, Raqam ul Hadees#6918, Matboo’a Mosasta Risaala, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " Ibn-E-Mani'e (RehmatULLAH Aleh) ne apni Musnad main Ba tareeq Naumaan Bin Basheer (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k jab Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) mehsoor hogae, to rozay se rehne lagey, ek din Iftaar ka Waqt aaya, to unhon ne Bulwaaiyon se iftaar k liye Sheereen Paani maanga, magar unhon ne Paani dene se inkaar kar diya, Aap ne Tashnagi k Aalam main Raat basar ki, Phir jab Seher ka Waqt aaya, to Aap ne farmaya, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) is chat se Ronaq Afroz huwe, AAP k Saath Paani ka Dol thaa, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Ae Usman (Razi ALLAH Anhu)! Paani piyo to mene Paani piya, yahaaan tak k main Seraab hogaya, phir farmaya, aur Ziyaadah Piyo to mene Piya, yahaan tak k main Ser hogaya".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, beroot) Faisla Khud karen, itna Sab kuch Gaib k baaray main Batane k baawajood bhi agar koi yeh kahe k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Ataai ILM-E-GAIB haasil nahin, to woh kis Qadar Bad Qismat hoga, k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ki is Qadar Shaan main kami kare.. ALLAH hum sab ko Hidaayat de, Aameen . HADEES # 37: MUNAAFIQ ki KHABAR DENA: IMAAM JALAAL UD DEEN SAYOOTI 911 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH ALEH) ne Abi Hameed (Razi ALLAH Anhu)se Riwaayat ki k hum RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) k Hamrah the, Nasraaniyon k Hamaly ki khabar sun kar, Tabook ki taraf Rawaana huwey, Doraan E Safar Waadi E Qiraa'a main ek Khaatoon k Baag k paas se Guzrey,Sarwar-E-Qonen (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, tum us Baag ki khajooron ka Takhmeena lagao, hum ne Takhmeena lagaya, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ka Andaaza 10 Wusaq tha, us Aurat se kaha tum apni Khajooron ka naap tol kar lena, aur hum INshaALLAH tumhare Paas wapis aaenge, Hum medaan E Tabook main they, k ek Roz AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Aaj Raat main Shadeed Huwa, aur Sakht Jharken chalen ge".. (Khasais Ul Kubra, Jild#1, page#458, Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot) (Musnad Imam Ahmed, Jild#5, Page#224-225) Imaam Muslim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: TArjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Irshaad farmaya, Yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa mar chuka tha".. (Muslim Shareef, Kitaab Us Sifaat Ul Munaafiqeen) (Naseem ur Riyaz Fi Sharah Shafa ul Qaazi Ayaz, Jild#4, Page#193, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beoroot) Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri main likhte hain: TArjuma: " Munaafiqeen k Sardaaron main se ek Sardaar aaj mar gaya, Rafa'a Bin Zaid Taaboot ka Ta'alluq bhi isi Qabeelay se tha, Jab HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Gazwah Bani Mustalaq se Waaapis Tashreef laa rahe they, to Raastay main Shadeed Aandhi ka saamna karna para, Musalmaan usey Dekh kar bhaaag gaey, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Khofzada hone ki Zarurat nahin, yeh Aandhi Kufaar k Azeem Sardaaron main se ek Sardaar ki Moat k liye Aai hai, Jab HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Madina E Teba main Ronaq Afroz hogaey, to Maaloom huwa, k Rafa'a Bin Zed isi Din Mara tha, jab Shadeed Aandhi aai thi".. (As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#2, Page#60-61, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Yahi Imaam Abdul MAalik Bin Hasshaam 213 Hijri main dusri jagah Likhte hain: TArjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya is Aandhi se na daro, yeh Aandhi ek Baray Munaafiq ki wajah se chali hai, jab Sahaba Madina E Teba Puhnchay to, unhon ne Rafa'a Bin Zaid ki Moat ki khabar suni jo Bani QenQah se Ta'alluq rakhta tha, yeh yahoodiyon ka ek sardaar tha, aur Munaafiqon ki Panah Gaah tha, aur yeh usi din mara jis Roz Aandhi chali thi".. (As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#255, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya".. (Dalael Un Nabuwwah, Jild#4, Page#61, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: TArjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, ek Munaafiq ki Moat ki wajah se yeh Aandhi bheji gai hai, jab hum Madina Teba Puhnchay to ek Bohat Bara Munaafiq Mar chuka tha".. (Musnad Ahmed, Jild#3, Page#315, Raqam Ul Hadees 14418, Matboo'a Mosasta qurtuba Misar) Imaam Abi Al Farj Abdul Rehman Al Joozi 597 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: "HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, yeh Aandhi MAdina E Munawwarah main ek Munaafiq k Marne ki wajah se Chal rahi hai, Phir jab hum MAdina Puhnchay to Waqa'i Munaafiqeen main se ek bohat Bara Munaafiq isi din Jahannum O Asal ho chuka tha".. (Al Wafa, Ba Hawal-E-Mustafa, Jild#1, Page#310, Matboo'a Mustafa Al Baabi, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madina Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya".. (Khasais Ul Kubra,Jild#1, Page#391, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Muhammad Haaroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain: " Hazrat Jaabir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, k ek Dafa RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ek Safar se Waapis Tashreef la rahe the, jab Madinay k Kareeb puhnchay to ek Shadeed hawa chali, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmya, yeh Hawa ek Munafiq ki Moat k liye chali hai, lihaaza jab AAP Madina main Daakhil huwe to logon ne khabar di k AAJ Rafa'a Bin Zaid mar gaya hai, yeh Shakhs Fil Haqeeqat Bohat Bara Munaafiq tha".. (Khusoosiyaat E Mustafa (Sallalaho Alehe Wassallam), Jild#2, PagE#250, Matboo'a Daar Ul Isha'at Karachi) FAISLA AAP KHUD KAREN.. k Itna Kuch Batane k Baad bhi kiya NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ko GAIB ka ILM nahin?? . HADEES # 38: WOH MAAAL KAHAAAN HAI JO TUM MAKKAH MAIN DAFAN KAR K AAE HO: Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jis SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro they, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi, aur Abbas (Razi ALLAH Anhu) se farmya, Ae Abbas tum apna Fidya bhi do, aur Apne Bhateejay Aqeel Bin Abi Taalib aur Nofil Bin Al Haaris ka Fidya bhi do, aur apne Haleef Atba Bin Hajdam ka Fidya bhi do, aur jin ka Ta'alluq Banu Al Haaris Bin Fahar se hai, Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne In ka Fidya dene se Inkaar kiya, aur kaha main is Gazwah se pehle Islaam kabool kar chuka tha, yeh Log mujhey Zabardasti apne Saath lae hain, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, ALLAH tumhare Maamlay ko Khoob Jaanne Waala hai, aur agar tumhara, Daaawa Bar Haq hai, to ALLAH tum ko is ki Jaza dega, Lekin tumhara Zaahir Haal yeh hai k tum hum par Hamla Aawar huwe, so tum Fidya Ada karo, aur RASOOL (Sallalaho Alehe Wassallam) us se 20 Okiyah Sona (Bator E Maal E Ganimat) Wasool kar chukay the, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam)!! is 20 Okiyah Sonay ko mere Fidye main Kaat len, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya: NAHIN! Yeh woh Maal hai jo ALLAH ne Humen tum se le kar diya hai, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha, mere Pass aur Maal to nahin hai, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, woh Maal kahaan hai, jo tu ne Makkah se Rawaangi k waqt Umm Ul Fazal k pass rakha tha, , us Waqt tum dono k pass aur koi nahin tha, aur tum ne yeh kaha tha k main is Muhim main Kaam aagaya to, is Maal main se Itna Fazal ko dena, itna Qasham ko dena aur Itna Abdullah ko dena, tab Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, us Zaat ki Qasam jis ne AAP ko Haq de kar Bheja hai, mere aur Umm Ul Fazal k ilaawah, is sab ko aur koi nahin jaanta, aur ab muhjey Yakeen hogaya k AAP ALLAH k RASOOL hain".. (Subhan ALLAH) (Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar) (Tafseer e Kabeer, Jild#5, Page#513, Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot) (Fath ul Qadeer Ger Muqallid Shokani, jild#2, Page#328, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot) Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi".. (SubhanALLAH) (Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar) Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain: TArjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, k woh Maal kahaan hai, jo tum ne Rawaangi k waqt Makkah Umm Ul Fazal Bint E Haaris k Pass rakha tha, jab k tum dono k Saath koi na tha?? Tum ne un se kaha tha, mujhey is Safar main Moat aagai, to Fazal k liye itna itna, aur Abdullah k liye itna itna hai, Unhon ne kaha, Qasam hai us Zaat ki jis ne Haq k saath AAP ko Mab'oos kiya, k is ka Siwae Mere aur Umm E Fazal k kisi ko ILM na tha".. (SubhanALLAH) (Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#14, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot) Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalhi 942 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne JANG E BADAR k din Ahl-E-Jahiliyat ka Fidya (400) Darham Muqarrar kiya, aur Hazrat Abbas ne yeh Daawa kiya, k un k Pass Bilkul Maal nahin hai, Tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, acha to woh Maal kahaan hai ,jo tum ne Umm Ul Fazal ne mil kar dafan kiya tha, aur tum ne kaha tha, k agar main is Moohim main kaam aagaya, to yeh mera Maal mere Beton ka hai, Al fazal, Abdullah aur Qasam, Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) kaha, ALLAH ki Qasam mujhey ab yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, is Baat ka mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko ILM na tha".. (Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa Ul Qaazi, Jild#4, Page#197, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain: TArjuma: " Ibn-E-Ishaaq aur Imaam zehri se Naqal karte hain k Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, k YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mere pass Fidya dene k liye kuch nahin, AAP ne farmaya, woh maal kahaan hai, jo tum ne aur Umm Ul Fazal ne Dafan kiya tha, aur tum ne dam Rukhsat yeh kaha k agar main Mara jaaoun to yeh Maal mere Beton Fazal aur Qasam k liye hai, yeh sunkar Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu)! ALLAH ki Qasam mujhey Yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, Ba Khuda is Ma'aamlay kja mere aur Umm Ul Fazal k ilaawa kisi ko Qat'an ILM na tha".. (Khasais Ul Kubra, JILD#1, PAGE#341, Matboo'a Daar Ul Qutub ILMIYAH, BEROOT) Muhammad Haroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain: Hazrat Abdullah Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) aur Umm Ul Momineen Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Jang E Badar main Kaafiron ko Shikast huwi, to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k chacha Abbas Bin Abdul Mutallaib jo us Waqt Eemaan nahin lae the, woh bhi Aseer ho kar aae the, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Qediyon k Aewaz Fidyah Talab kiya, to unhon ne Arz ki keh mere pass itna Maal nahin k Zar fidyah Ada kar sakun, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Woh Maal kiya hua, jo tum Umm Ul Fazal (Hazrat Abbas ki Zoja) k pass Dafan kiya hai aur us se keh aae the, k agar main maara jaoun to yeh Maal meri Aulaad k liye hai, Hazrat Abbas (RAzi ALLAH Anhu) ne kaha, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Khuda ki Qasam is maal ki mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko Khabar na thi"..(Musnad E Ahmed) (Khoososiyaat E Mustafa (Sallalaho Alehe Wassallam), Jild#2, Page#250-251,Matboo'a Daar Ul Isha'at, Karachi) . HADEES # 39: IN NEZON SE FIDYA ADA KARO JO JADDAY MAIN HAIN: Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k Nofil Bin Haaris Badar main Giraftaar kiye gae to, un se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya ae Nofil apni Jaan ka fidya do, Arz ki YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam)!! Mere Pass to kuch bhi nahin jis se main apni Jaan ka fidya Ada kar sakun, farmya, Apni Jaan ka fidya un Nezon se Ada karo jo Jadday main hain, is par Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki, MAIN GAWAHI DETA HUN, BESHAK AAP ALLAH K RASOOL hain".. (Subhan ALLAH) (Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page46, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne un se farmaya, Apna Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya mere pass to jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar Nofil Pukaar uthe, main GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain, phir us maal ka fidya de kar, Rihaai Haasil ki".. (Khasais Ul kubra, Jild#1, Page#342, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Allama Abu Al Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Musalmaan hone waale Aseeran-E-Badar main se ek Hazrat Nofil Bin Haaris Bin Abdul Mutallib (Razi ALLAH Anhu) hain, kaha jaata hai k Aap ne Gazwah E Khandak k Saal Islam Qabool kiya, aur Madina E Teba ki taraf Hijrat ki, yeh bhi kaha Gaya hai k AAP usi Waqt Islam le aae the, jab Aap ko Qed kiya gaya, Waqiyah yun hai k NABI E PAK (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Apna Fidya ada karo, unhon ne Arz kiya, mere pass Fidyeh ki Adaegi k liye Maal nahin, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, un Nezon k Zariye Fidya Ada karo jo tum ne Jaddah main Rakhey hain, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh Irshaad sun kar woh kehne lage, Qasam Ba Khuda ALLAH TA'ALA k Siwa kisi ko is baat ka ILM na tha, k Jaddah main mere Nezay pare hain, Main GAWAHI DETA HUN K AAP ALLAH TA'ALA k SACHAY RASOOL hain".. (Roz Al Anaf Tasmee'ah MAn Asar Man Al Mushrikeen Yom E Badar,Jild#3, Page#76, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Allama Yousuf Bin Ismail 1350 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne un se farmaya, Apne Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya mere pass to jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar Nofil Pukaar uthe, main GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain, phir us maal ka fidya de kar, Rihaai Haasil ki".. (Hajjatullah Ali Ul Aalameen Fi Mojizaat Saiyyad Ul Mursaleen, Page#347, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Faisla Aap ka.. Kiya ab bhi Aap ko Yakeen Nahin k Mere NABI (ALEH SALAAM) ko ALLAH TA'ALA ne ILM-E-GAIB Ata kiya?? . HADEES # 40: TU USEY BAIL KA SHIKAAR KARTE HUWE PAAE GA: Allama Yousuf Bin Ismail Al Nibhaani 1350 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Abi Bin Roman aur Hazrat Abdullah Bin Abi Bakar (Razi ALLAH Anhu) se Marwi hai k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Khaalid Bin Waleed ko Domah k Hukmuraan Akedar ki taraf Bheja, Akedar Nasraani tha. HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Peshan Goi farmai k tum use us Haalat main Paao ge k woh ek Jangli Gaen (Cow) k Shikaar main MAsroof hoga, Lihaaza Hazrat Khalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) Rawaana huwey, yahaan tak k Hazrat KHaalid Bin Waleed Qilay k itne Qareeb Puhanch gae Jahaan se Aadmi Nazar Aaskata tha,Raat Chaandni thi, Akeedar apni Biwi k Hamrah Qilay ki Chat par tha, isi Asna main ek Jangli Gaen (Cow) Qilay k Darwaazay k Saath apna Sir Takraaney lagi, Akeedar ki Biwi ne us se Kaha kiya Aap ne Kabhi Aesa Manzar dekha hai?? Us ne kaha nahin, Phir us ki Biwi ne kaha kiya is tarah k Shikaar ko Chora jaa sakta hai? Akeedar ne kaha nahin, Koi yeh Moqa Haath se Zaaya nahin kar sakta, Woh Qilay se Neechey aaya, Hukum diya k Ghoray par Zain rakhi jae, Phir us par Sawaar huwa, aur us k Saath us k Gharaanay k Chand Admi the, woh Apne Shikaar k liye Rawaana huwey to, NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) k Qaflay se se Unki Mad Bheer huwi, Unhon ne usey Giraftaar kar liya, aur us k Bhai Hassaan ko Qatal kar liya, jis par deebaaach ki Sunehri Qubaa thi, Hazrat KHaalid Bin Waleed ne Usey Cheen kar HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Khidmat main Akeedar k Hamrah Bhej diya.. Ibn-E-Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) kehte hain k jab Hazrat KHaalid Bin Waleed Akeedar ko le kar NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Khidmat main Haazir huwe to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne unhen Jaan Bakhshi farmai, aur Juziyah par Sulah kar li, phir usey Riha kar diya, Banu Tay k ek Shakhs Bajeer ne is Waqiyeh ka yun Zikar kiya hai, Ba Barkat hai woh jo Neel Gaenyon (Cows) ko Haank kar laaney waala hai, mene dekha k ALLAH her Taalib-E-Hidaayat ko Hidaayat deta hai.. Pas jo Shakhs Tabook Waale NABI se Munharif hota ho to ho, humen to Jihaad ka hukum diya gaya hai.. Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Shaair ko Dua dete huwe farmaya, ALLAH tumhary Moun ko Salaamat rakhey. is Dua ka Asar yeh hai k Nawway (90) ki Umar main bhi us Shakhs ki na to Daar main Harkat huwi, na us ka koi Daant toota".. (Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#461, Matboo'a Daar Ul kutub Ilmiyah, Beroot) (Tibqaat Ul Kubra Ibn-E-Saad, Jild#2, Page#166, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot) Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ko Bulaaya, aur usey Doma k Akeedar ki taraf bheja, yeh Akeedar Bin Abdul Maalik tha, yeh Banu kandah ka ek Shakhs tha, aur Domah ka Baadshah tha, yeh Nasraani tha, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Hazrat KHaalid Bin Waleed se farmaya, Tu Usey Bail ka Shikaar karte huwe Paae ga".. (Al Seerat Un Nabuwwahiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-HAshaam, Jild#5, Page#207, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) . HADEES # 41: WOH DO (2) OONT KAHAAN HAIN, JINHEN TUM NE AQEEQ MAIN FALAAN FALAAN WAADI MAIN CHUPA DIYA HAI: Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazrat IBn-E-Hashaam (RehmatULLAH Aleh) ne kaha, k kaha yeh jaata hai, k jab HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Gazwah-E-Bani Mustalaq se Waapis huwey, jab k Hazrat Jaweriya (Razi ALLAH Anhu) Aap k Saath thin, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Hazrat Jaweriyah ko Bator E Amaanat ek Ansaari k de den, aur Hifaazat ka Hukum diya, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Madina E Teba puhnchay to, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ka Baap Haaris Apni Beti ka Fidyah le kar Puhncha, jab Aqeeq k Muqaam par Puhcha to, Apne Ooonton ko dekha jo Fidyeh k tor par laaya tha, use Do (2) Oont bohat Achay lage, aur us ne Aqeeq ki Waadiyon main use Chupa diya, Phir HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Bargah-E-Aqdas main Haazir huwa, Arz ki AE MUHAMMAD Aap ne MEri Beti ko Pakar liya hai, yeh Oont us ka Fidya hain, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, woh Do (2) Oont kahaan hain, jinhen tum ne Aqeeq main Fulaan Fulaan Waadi k Peechey chupa diya hai, yeh sun kar Haaris ne kaha MAIN GAWAHI DETA HUN, k ALLAH TA'ALA k SIWA KOI MAABOOD NAHIN, AUR AAP ALLAH K RASOOL HAIN, ALLAH KI QASAM IS BAAT PAR ALLAH K SIWA KOI AAGAH NAHIN, Haaris Musalmaan hogaya, Saath hi us k Do (2) Betay bhi Musalmaan hogae, aur us ki Qoam k kafi Log bhi musalmaan hogae, Haaris ne Donon Oonton ko laane k liye ek Aadmi bheja, jo in donon Oonton ko le Aaya, Oont HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Bargah main pesh kiya gae, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ko Haaris k Hawaalay kar diya, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ne Islaam kabool kar liya, aur Bohat achi Musalmaan Saaabit huwin, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne un k Waalid ko Daawt-E-NIKAH di, Un k Waalid ne Apni Beti ka Nikah HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) se kar diya, aur HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Chaar so (400) Darham Meher Ata kiya".. (Al Seerat Al Nabuwwahiyah, Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#259, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) Yahi Imam Abdul Maalik Bin Haashim 213 Hijri main dusri jagah likhtey hain: Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaaya, woh Do (2) Oont kahaan hain, jinhen tum ne Aqeeq main fulaan fulaan wadi main chupa diya hai, Haaris ne kaha main Gawahi deta hun k ALLAH TA’ALA k Siwa koi Maabood nahin, aur AAP ALLAH k RASOOL hain, ALLAH ki Qasam is baat per ALLAH TA’ALA k siwa koi Aagah nahin”.. (Al-Seerat un Nabuwiyyah Al Maroof Seerat Ibn-e-Hasshaam, Jild#6, Page#59, Matboo’a Dar ul Jeel, Beroot) Imaam Ali Bin Barhaan Ud Deen Shaafai 1066 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Ziyaad Bayaan karte hain, ALLAH Ta'ALAH ne NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Gazwah E Bani Mustalaq main Jaweriya Bint-E-Haaris Bator E Ganeemat Ata farmai, to un ka Baap Haaris un ki Rihaai, k liye Fidyeh le kar Aaya, Jab Aqeeq main Puhncha, to Oont ki taraf dekha, jo Apni Beti k Fidyeh main diye the, us main se Do (2) Oont use Bohat pasand aae, Pas in Donon Oonton ko Waadiye Aqeeq ki ek Ghaati main Gayab kar diya, phir Deegar Oonton ko Hanka kar NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Khidmat main Haazir Hogaya, aur Arz ki YA MUHAMMAD! meri Beti AAP k Yahaan Giraftaar hai, yeh is ka Fidyah hai.. NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, woh Donon (2) Oont kahaan hain, jo tum ne Waadiyeh Aqeeq main Gayab kiya hain, Yeh sun kar Haaris ne kaha, k MAIN GAWAAHI DETA HUN K AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ALLAH K RASOOL HAIN, Waqai mene un donon (2) Oonton ko Aqeeq main Gayab kiya, aur Is Baat par Siwae ALLAH k Aur koi Aagah na tha, is k Baad Haaris ne Islam Kabool kar liya".. (HajjatULLAH Ali Ul Aalameen Fi MojizaatSyed Ul Mursaleen, APge#361, Matboo'a DaarUl Kutub Ilmiyah, Beroot) . HADEES # 42: US TARAF SE KUCH SAWAAR TUMHAREY PASS AAENGE JO AHL-E-MASHRIK k BEHTAREEN LOG HONGE: Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Mazeeda Al Asri Bayaan karte hain, k Ek Dafa NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam),SAHABA E KARAAM (Razi ALLAH Anhu) k Saath Maho Guftugu they, k Doraan-E-Guftugu Farmaya, k AnQareeb is taraf se Kuch Sawaar tumhare Pass Aaenge, jo Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain, Yeh Irshaad sun kar, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Uthey aur us Jaanib Rawana hogae, to 13 Afraad par Mushtamil ek Wafd in se mila, Pucha: kis Qabeelay se Ta'alluq hai tumhara?? to unhon ne Bataya: Hum Bani Abdul Qes se hain".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#26, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Shaaheen (RehmatULLAH Aleh) Sakhaar bin Abbas aur Mazeedah Bin Maalik se Riwaayat karte hain, (Yeh Mazeedah Wafd Abdul Qes k ek Rukan they) Woh Kehte hain, k Ashj Abdul Qes Daaren k Raahib ka ek Dost tha, ek Saal is se Mulaaqaat huwi, to us ne Bataya, k Makkah Shareef main ek NABI ka Zahoor hone waala hai, jo Hadiya Kabool karta hai, magar Sadqa nahin khaata, us k Donon Shaanon k Darmiyaaan ek Nishaani hai aur woh Saarey Adiyaan par Gaalib Aajae ga, is k Baad Raahib ki Moat Waaqey hogai, is k Baad Ashaj ne Tehqeeq-E-Haal k Liye apney Bhaanjey ko MAkkah Shareef bheja, woh Hijrat k Saal aaya, aur NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) se Mulaaqaat ki aur Nabuwat ki Nishaaniyon ko Sahi paa kar ISLAM le aaya, NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne us ko Surah Al Hamd aur Surah Al Alaq ki Taaleem di, is k Baad usey Hukum diya, k Ab jaa k Apney Maamoo ko Islam ki Daawat do, Lihaaza us ne Lot kar Apney Maamoo ko tamaam Haalaat se Aagah kiya, jis ki Wajah se Ashaj ISLAM laya tha, Magar ek Arsey tak Apney Eemaan ko Posheedah rakha, phir 16 Mardon k Saath Rawana huwa, aur Madinah Aaya, jis Subah yeh Wafd MAdina Puhncha, usi Raat NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Peshan Goi Farma di thi, k Mashriq ki taraf se ek Qaafila Aane Waala hai, jinhen ISLAM k Liye Majboor nahin kiya gaya, Balkey Barza O Ragbat Aarahe hain, in k Rehnuma ki ek Alaamat hai, Lihaaza Ashaj Abdul Qes apni Qoam k Chand Nafoos k saath aaya, yeh Fatah-E-MAkkah k Saal ka Waqiyah hai".. (Hajjat ULLAH Ali Ul Aalameen Fi Mojizat SayedUL Mursaleen, Page#365, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Muhammad Sa’ad 230 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne us Raat jis ki Subah ko Banu Abdul Qes ka Wafd Aaya tha, Afaq ki taraf dekh kar Irshaad farmaya, " Mashrekeen ki ek Jama'at Aae gi, jinhen ISLAM k liye MAjboor nahin kiya gaya, un logon ka Haal yeh hai k Safar ki Sobaton ne un k Jaanwaron ko Dubla kar diya hai, in ka Zaad rah khatam ho chuka hai, aur un k Sardar ki ek Nishaani hai, phir Dua Faramai, Ae ALLAH! Abdul Qes ko Maaf farma, Woh Hoosool E Maal k liye mere Pass nahin aae, woh Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain" (Tabqaat Ul Kubra, Ibn-E-Saad, Jild#1, Page#314, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Haakim (RehamtULLAH Aleh) ne Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Ahl-E-Hijar se Abdul Qes ka ek Wafd RASOOL (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Khidmat main Baaryaab huwa, woh Bethey the, k Achanak AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne un ki taraf Mutawwajjah ho kar farmaya: " Tumharey Yahaan Kai Qisam ki Khajooren hoti hain, aur tum falaan Qisam ki Khajoor ko is naam se Pukaarte ho, yeh sun kar Ek Shakhs Bola, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Meray Maa Baap AAP Par Qurban hon, Agar AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Wilaadat Muqaam E Hijar main hoti, to is se Ziyaadah AAP in k Muta'alliq ILM na rakhte, main Gawahi deta hun, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ALLAH k RASOOL hain.. HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Jab tum meray pass Bethay to Tumhari Sar Zameen utha kar meray Saamney kar di gai, aur mene usey ek Siray se Dusray tak Bil Tafseel Dekha, tumhari Khajooron main se Behtareen khajoor "Barni" hai jo Bemaari dur karti hai, aur khud is main koi bemaari nahin".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#27, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ilmiyah, beroot) Muhaddis-E-Kabeer Imaam Muhammad Bin Ismail Bukhari 256 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Mazeedah Abdi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Ashaj (Razi ALLAH Anhu) Pedal chalte huwe, Bargah-E-NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) main Haazir huwe, aur Aap (Sallalaho Alehe Wassallam) k haath Mubarak ko Pakar kar Boosaa diya, to NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne un se Farmaya, k tumharey ander 2 Khaslaten aesi hain, k jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (Sallalaho Alehe Wassallam) pasand karte hain, us ne Arz kiya kya woh aesi Cheezen hain? jin par main Peda huwa hun, (Yaani Fitrati) ya woh Baad main Peda ki gai hain, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k Balkay yeh woh Fitri hain, jin par tum peda kiye gae ho, Ashaj (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Sab Taareefen ALLAH TA'ALA k liye hain, jis ne Meray ander aesi Khaslaten Peda farmain, jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (Sallalaho Alehe Wassallam) Pasand farmatey hain".. (Tibraani Kabeer,Jild#20, Page#345, Raqam Ul Hadees 812, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam Al Mosool) . HADEES # 43: ISI TARTEEB SE KHULAFA HONGE: Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Abu Ya'ali O Haakim aur Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Ayesha Siddiq'ah (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat ki k, Unhon ne Farmaya, NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Masjid ki Bunyaad k liye Sab se pehle khud Pathar Uthaya, AAP k Baad Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi ALLAh Anhu) ne Pathar Uthaya, Phir Umar-e-Farooq (Razi ALLAH Anhu) ne pathar uthaya, phir Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne pathar uthaya, Us Waqt RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, Merey Baad (isi Tarteeb se) yeh Hazraat Khulafa honge".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Al-Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#200, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " O Abu Ya'Ali O Haaris Bin Usama , Ibn-E-Habbaan O Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar, aur Behki O Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Safeena (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k, Jab NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Masjid ki Bunyaad rakhi, to Hazrat ABu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) Pathar Laae, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne use rakha, Phir HAZRAT UMAR FAAROOQ (RAZI ALLAH ANHU) Pathar Laae, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Use Rakha, Phir Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) PAthar Laae, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne use RAkha, us waqt AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, Meray Baad isi Tarteeb se Khulafa Hongey".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Qutba Bin Maalik (Razi ALLAH Ahu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) k Pass Haazir huwa to, AAP k Saath Hazrat Abu Bakar O Umar O Usman (Razi ALLAH Anhu) they, aur AAP Masjid E Quba ki Taameer Farma Rahe the, Menay Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam ) Aap is ki taameer farma rahey hain, Daraan Haalika AAP k Saath sirf yahi 3 Hazraat hain, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, Meray Baad yahi 3 Saahibaan khilaafat hain" (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#195, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) . HADEES # 44: BESHAK yeh SHO'ABLA (RAZI ALLAH ANHU) k JOOTON KI AAWAAZ HAI JO MUJHEY REHAANA K QUBOOL-E-ISLAAM ki KUSHKHABRI DENE AARAHAY HAIN: Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Bani Qurezaa ki Aurton main se Rehana Bint-E-Umaro ko Apni Zojiyat k liye Pasand Farmaya, to us ne Islam Laaney se Inkaar kar diya.. Us Se AAP Kabeedah Khaatir huwe, Abhi AAP Sahaba Karaam ki Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apne Peechey Do (2) Jooton k Girne ki Aawaaz suni aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah k hain, jo Mujhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat deraha hai"".. (Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#386, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) Imaam Abdul MAlik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Ek Moqey par HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Apney Sahaba k Sath Tashreef Farma they, k Apney Peechey kisi Aaney Waaley k Jooton ki Aawaaz Suni.. To HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, Beshak yeh Sho'abla Bin Sai'yyah (Razi ALLAH Anhu) k Jooton ki Aawaaz hai jo muhjey Rehana k Qubool-E-Islam ki khushkhabri dene Aarahe hain, Chunachay Unhon ne Haazir-E-Khidamt ho kar Bataya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) REHANA NE ISLAM QABOOL KARLIYA HAI.. Is k Is Amal Par AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Bohat Ziyaadah Khushi Huwi" (Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#205-206, Matboo'a Dar Ul Jeel, Beroot) Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer bhi yahi 774 Hijri main likhte hain: (Bahawala: Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Jild#4, Page#503, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot) Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Abhi Aap Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu) ki Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apney Peechay Do Jooton k girne ki Aawaaz suni, Farmaya: Yeh Dono (2) Jootay Ibn-E-Sho'abla k hain, jo mujhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat de raha hai".. (Dalael E Nabbuwwah, Jild#4, Page#24-25, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Allama Yousuf Bin Ismail 1350 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Bani Qurezaa ki Aurton main se Rehana Bint-E-Umro ko Apni Zojiyat k liye Pasand Farmaya, to us ne Islam Laaney se Inkaar kar diya.. Us Se AAP Kabeedah Khaatir huwe, Abhi AAP Sahaba Karaam ki Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apne Peechey Do (2) Jooton k Girne ki Aawaaz suni aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah k hain, jo Mujhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat deraha hai""..(HajjatULLAH AliULAALAMEEN Fi ojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#343-344, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) Fasila Aap Khud Karen.. Kiya yeh ILM-E-GAIb nahin k Sirf Jootiyon ki Aawaaz sun k Bata diya k yeh Jootiyon ki Aawaaz Sho'abla (Razi ALLAH Anhu) ki hai.. aur Sirf yeh na Bataya k Jootiyon ki Aawaaz Sho'abla (Razi ALLAh Anhu) ki hai, Balkey yeh bhi Bataya k Sho'abla (Razi ALLAh Anhu) Rehana k Islam Qubool karne ki khushkhabri dene Aae hain.. . HADEES#45: Abu Sufiyan Bin Harab (Razi ALLAH Anhu) k Dil ki Baat Batana: Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hum ne Ek Mutassil Sanad se Abdullah Bin Abi Bakkar se Riwaayat Naqal ki hai k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Abu Sufiyaan ki Taraf Tashreef le gae.. Jab Abu Sufiyaan ne AAP ko Dekha to Dil main kaha k kaash main jaan leta k tune kis Wajah se Mujh par Galba Paaya hai.. HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Tashreef lae, us k Donon Kandhon k Darmiyaan Apna Haath Maara, aur Faramya, Ae Abu Sufiyaan ALLAH TA'ALA ki Madad se tum par Gaalib Aaya hun, to Abu Sufiyaan ne Kaha Main Gawahi deta hun k AAP ALLAH k RASOOL hain" (Roz Ul Anaf Un Islam abi Sufiyaan O Saahibiyah, Jild#4, Page#73, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 585 Hijri main Riwaayat Karte hain: Tarjuma: " Abu Sufiyan Bin Harab Fatah Makkah k Baad ek Din Betha tha k us ne Apney Dil main kaha Ae Kaash main MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) k Muqaabil ek Lashkar Ikhattha kar sakun, Abhi woh Yahi Soch raha tha, k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Us ki Beth par Thappi de kar Farmaya, Agar aesa huwa to ALLAH TA'ALA tumhen Ruswa kareaga, Us ne Sir Utha kar dekha, to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) us k Sir par kharey the, Kehne laga Bakhuda main Ab tak yeh yakeen nahin karta tha, k AAP NABI hain aur yeh (Lashkar jama karne ki) Baat to merey Dil main Aai thi k AAP is par Aagah hogae"..(Dalael Un Nabuwwah, Baab Islam Hind, Jild#5, Page#102, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Khasais ul Kubra, Jild#1, Page#441, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Haafiz Emmad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Abu Sufiyan Bin Harab Fatah Makkah k Baad ek Din Betha tha k us ne Apney Dil main kaha Ae Kaash main MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) k Muqaabil ek Lashkar Ikhattha kar sakun, Abhi woh Yahi Soch raha tha, k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Us ki Beth par Thappi de kar Farmaya, Agar aesa huwa to ALLAH TA'ALA tumhen Ruswa kareaga, Us ne Sir Utha kar dekha, to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) us k Sir par kharey the, Kehne laga Bakhuda main Ab tak yeh yakeen nahin karta tha, k AAP NABI hain aur yeh (Lashkar jama karne ki) Baat to merey Dil main Aai thi k AAP is par Aagah hogae".. (Al Seerat Un Nabuuwaiyyah, Khutba Un Nabi (Aleh SAlaam), Jild#3, Page#541, Matbo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Saeed Bin Museb (RehmatULLAH Aleh) se Riwwayat hai k Jis Raat Makkah Fatah huwa to us Raat Musalmaan Makkah main Daakhil huwe, Woh Saari Raat Tasbooeh O Tehleel Aur Tawaf-E-Kaaba main Mashgool rahe, yeh Manzar dekh kar Abu Sufiyaan ne Apni Biwi Hind se kaha: " Kiya tujhey ALLAH ki yeh Shaan, Be Niyaazi Nazar nahin Aarahi hai?? Jab Subah huwi to Darbaar-E-Risaalat main Haazir huwa, NABI-E-AKRAM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne use Dekhte hi Faramya: Haan Waqai Yeh ALLAH ki Taraf se hai, Abu Sufiyan ne yeh Sun kar kaha main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k Banday aur us k RASOOL hain, Jab main ne Yeh Baat kahi thi to Siwae ALLAH aur Hind k koi Aur Sunne Waala na tha".. (Dalael Un Nabuwwah Baab Islam Hind, Jild#5, Page#103, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) (Khasais ul Kubra, Jild#1, Page#441, Matboo’a Dar ul Qutub ul ilmiyah, Beroot) Haafiz Emmad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Saeed Bin Museb (RehmatULLAH Aleh) se Riwwayat hai k Jis Raat Makkah Fatah huwa to us Raat Musalmaan Makkah main Daakhil huwe, Woh Saari Raat Tasbooeh O Tehleel Aur Tawaf-E-Kaaba main Mashgool rahe, yeh Manzar dekh kar Abu Sufiyaan ne Apni Biwi Hind se kaha: " Kiya tujhey ALLAH ki yeh Shaan, Be Niyaazi Nazar nahin Aarahi hai?? Jab Subah huwi to Darbaar-E-Risaalat main Haazir huwa, NABI-E-AKRAM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne use Dekhte hi Faramya: Haan Waqai Yeh ALLAH ki Taraf se hai, Abu Sufiyan ne yeh Sun kar kaha main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k Banday aur us k RASOOL hain, Jab main ne Yeh Baat kahi thi to Siwae ALLAH aur Hind k koi Aur Sunne Waala na tha".. (Al Seerat Ul Nabuwwaiyah, Khutaba Un NABI (ALEH SALAAM), Jild#3, Page#542, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot) Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) k Doraan-E-Tawaaf Abu Sufiyaan aur Hind k Darmiyaan Mulaaqaat huwi, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Faramya, Ae Abu Sufiyaan tumharey aur Hind k Darmiyaan aesi aesi Baaten huwi hain, Abu Sufiyaan ne Dil main kaha Hind ne Mera Raaz Faash kar diya, main us ka aesa aesa Hashar karunga, Jab NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) Tawwaaf se Faarig huwe, to Abu Sufiyaan se mile aur Faramya, Abu Sufiyaan! Hind se is Qisam ki Guftugu na karna, Hind ne tumhara Raaz Fash nahin kiya, yeh sun kar Abu Sufiyaan kehne laga, main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain" (Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#441-442, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain: Tarjuma: " Allama Saeyyad Ahmed O Halaan Makki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain, Haasil kalaam yeh hai k Abu Sufiyaan ko Shoru Shoru main yeh Inqalaab Nagawaar guzri, Magar NABI-E-AKRAM (Sallalaho Alehe Wassallam) us k Saath Narmi aur Taaleef E Qalb se Kaam lete rahe, yahaan tak k Islam us k Dil main jam gaya, Baad main Gazwah-E-Taef k doraan us ki ek Aankh Phoot gai to woh use Hatheli par utha kar NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Khidmat main Haazir huwa, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Agar tum chaho to ALLAH TA'ALA tumhari Aankh ko Pehle se Behtar Surat-E-Haal main lota de, ya yeh Pasand karo k ALLAH TA'ALA tumhen jannat main tumhen is se behtar Aankh Ata karde, yeh sun kar Abu Sufiyaan ne Woh Aankh Phenk di aur kaha k main jannat ki is se Achi Aankh pasand karta hun, is ki dusri aankh Khilaafat-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) main Yarmok ki larai k Doraan Phoot gai, Woh Mujaahideen ko Jihaad-O-Qataal ki Targeeb dete huwe keh rahe the, Logo! yeh ALLAH k Azeem Ayyaam main se Ek Din hai, tum ALLAH k Deen ki Madad karo, ALLAH Tumhari Madad karega".. (Hajjat Ul Ali Ul Aalameen, Fi Mojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#357, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) . HADEES # 46: UMAIR BIN WAHAB (RAZI ALLAH ANHU) KA KHUFIYA MANSOOBA ZAAHIR KAR DIYA: Imaam Muhammad Bin saad 230 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Umair se Farmaya, k tumhen kiya huwa, k Hathiyaar liye aae ho? Unhon ne kaha k Haazri hotey waqt main Bhoolay se Talwaar liye Chala Aaya, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya k, TUM Q AAE?? Umair ne kaha k Main Apney Larkey k Fidyeh main aaya hun.. HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya kiya tum ne Haram main Safwaan Bin Ummaiyyah se Uhad kiya hai?? Arz ki main ne kuch nahin kiya.. Farmaya k tum ne yeh Uhad kiya k Muhjey tum is Shirt pe Qatal karoge k woh Tumhen yeh cheezen de ga, Tumhara Qarz Ada karega, aur tuhmaray Ayaal ka Kharch Bardaasht karega, Umair ne yeh sun kar kaha, main Gawahi deta hun, k ALLAH k Siwa koi Maaabood nahin aur Beshak AAP ALLAH k RASOOL hain, YA RASOOL ALLAH WALLAH mere aur Safwaan k ilaawa kisi ko itlaa na thi, main jaanta hun k ALLAH ne AAP ko Aagah kar diya".. (Tibqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#200, Matboo'a Daar s Saadir, Beroot) Imaam Abu l Hasan Ali Bin Muhamad Bin Habib Al Maawrdi bhi 429 Hijri main yahi Riwaayat karte hain: (Bahawala: Aalaam Un Nabuwwaah, Page#162, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot) Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, Mujhey Sachi Baat batao tum q aae ho? us ne kaha main to isi Maqsad k liye aaya hun, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, tu aur Sufwaan Bin Ummaiyyah ne Hajar main beth kar Koowain main Daalay jaaney waaley Quresh ka Tazkara kiya, phir tu ne kaha agar Mujh par Qarz na hota aur agar meray haan Ahl-O-Ayaal na hote to main MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Qatal karne k liye zarur Rawaana hota, Safwaan bin Ummaiyah ne terey Qarz aur teray Ahl-O-Ayaal ki Zimedaari is shirt par utha li, k tu is ki Khaatir mujhey Qatal karega, Haalaankay terey aur is k Iraaaday k darmiyaan ALLAH TA'ALA Haael hai, Umair keh utha, main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain".. (Al Seerat Un Nabuwwiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam , Jild#3, Page#214, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) . HADEES # 47: TU NE US K RUKHSAAR MAIN EK TIL DEKHA HAI, JIS WAJAH SE TERAY JISAM KA HAR BAAL KHARA HOGAYA: Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Saabit (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Bani Qalb ki ek Aurat ko Nikah ka Peghaam diya, aur Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ko dekhne k liye bheja to woh Gain, jab woh Waapis Aaen to RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne un se Pucha, tum ne kiya dekha?? Unhon ne kaha mene koi khaas Baat nahin dekhi, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, Tum ne ek Khaas Baat dekhi hai, tum ne dekha k us k Rukhsaar par ek Til hai, jis ko dekh kar tumharey Badan k Tamaam Rongtay kharey hogae, is par unhon ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) AAP se koi Baat posheedah nahin hai, Yaani AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ko har Shey (Cheez) ka ILM hai".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Al Jozi 597 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne un ko us Aurat ko dekhne bheja, jis k liye AAP ne Peghaam E Nikah diya tha, to unhon ne Aa kar kaha, main ne koi khaas baat nahin dekhi hai, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, tum ne us k rukhsaar par til dekha hai, jisey dekh kar tumhaarey Rongtay kharey hogae, woh Farmaati hain, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) se koi baat posheedah nahin reh sakti, khuwaaaah koi AAP se kitna hi chupaae, kis main yeh Jur'at hai".. (Al Wafa, Ba Hawaal Ul Mustafa, Al Baab Al Khaamis, Ashar Fi Akhbaar E RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Bilgaayebaat, Jild#1, Page#314, Matboo'a Mustafa, Al Baabi, Misar) (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#181, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Riwaayat ki gai hai k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne ek aurat ko Daawat-E-Nikah di, aur Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ko dekhney k liye Bheja, jab Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (RAzi ALLAH Anhu) Waapis Aain, to Arz ki main to is main koi Faeda nahin dekhti, to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, tu ne us k Rukhsaaar main ek Til dekha hai, jis ki Wajah se terey Jisam ka har Baal khara hogaya".. (Roz-Ul-Anaf, Lilsaheli, Gerat-Un-Nisa Un Nabi, Jild#4, PAge#20, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Faisla Aap khud kar sakte hain, yeh Hadees to Khulli Daleel hai ILM-E-GAIB ki... jis main Saaf Waazeh hai, k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Bataya Hazrat Ayesha ko k unhon ne Un k Rukhsaar pe til dekha tha, aur til dekhney se un k rongtey kharey hogae.. kiya yeh ILM-E-GAIB nahin?? aur to aur jawaab main Hazrat Ayesha (RAzi ALLAH Anhu) ne kiya kaha?? Unhon ne kahaa k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko har Shey ka ILM hai, aur un se koi bhi Baat Posheedah nahin. . HADEES # 48: AGAR TUM CHAHTEY HO TO MAIN TUMHEN BATA DETA HUN, K KIS CHEEZ NE TUMHEN WAHIN ROKAY RAKHA??: Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Allama Zubair (Bin Bakkaar RehmatULLAH Aleh) ne Riwaayat kiya k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne ek Shakhs ko kuch Tahaif de kar, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) k Pass Bheja, Woh Qaasid kaafi Arsaa Wahin thera raha, jab woh Waapis Aaya to HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne usey Farmaya, Agar tum chaho to main tumhen bata deta hun, k Kis cheez ne tumhen Wahin Roqye rakha?? Us ne Arz ki haan!! HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (RAzi ALLAH Anhu) k Husan O Jamaal ne tujhey wahin Roqey rakha, Us ne Arz ki HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Sach farmaya, main un k Husan O Jamaal ki Dil Kashi main Khoya raha".. (Roz Ul Anaf, Baab Ul Hajrah, Ali Arz Al Habsha, Jild#2, Page#91, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaaami 942 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Abi Aasim (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat ki, kaha k Mujh se Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) k ek Ghulaam ne Hadees Bayaan ki k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) k pass koi cheez Hadyatan bheji, aur woh Qaasid kuch der thera raha, phir woh Qaasid aaya, to RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne use Farmaya, tum kis liye theray rahe..?? phir farmaya, agar tum chaho to main tumhen bataoun k kis Bina par tum theray rahe?? Farmaya, tum ek Nazar Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) par Daaltey they, aur ek Nazar Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) par, aur yeh dekhtey the, k in main se kon Ziyaaadah Haseen hai, usne kaha, AAP ne such farmaya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko Haq k Saath Mab’oos Farmaya, isi Baat ne, mujhey Therae rakha tha".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#180, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot) Yahi Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaami 942 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Zubair Bin Bakaar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mujh se Muhammad Bin Salaam (RehmatULLAH Aleh) ne Hadees Bayaan ki, kaha k mujh se Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Ghulaam Abu Al Muqaddam ne Hadees Bayaan ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Ek Aadmi k haath Bakri k Paae, Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k yahaan bhejey, woh Aadmi kuch der thera raha, NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, agar tum chaho to main tumhen bata dun, k kis liye tum wahaan theray rahe, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam)!! Zarur bataiyeh, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, tum Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) ko dekh kar un k Husan par Ta'ajjub kar rahe the".. (Sabal Ul Huda, Jild#10, Page#54, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) Faisla Aap khud kar sakte hain, k kiya yeh ILM-E-GAIB nahin, k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Bata diya, k Qaasid wahaan kis Wajah se ther gaya tha, khud parhen aur khud Sochen.. . HADEES # 49: YEH SHEEMA BINT-E-NAFEELAH AZDIYAH APNEY KHACHAR SHEHBA'A PAR KAALA DOPATTA ORHEY MOJOOD HAI: Muhaddis-E-Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) Muhaajireen main se hain, yeh wohi hain k jab NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassalam) ne Sahaba (Razi ALLAH Anhu) se Farmaya, yeh Heerah Bezaa hai, jise meray Saamney laaya gaya hai, aur yeh Sheema Bint-e-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Shehba'a par kaala Dopatta orhey Mojood hai, Khazeem (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassalam) hum ne, Heera'h ko Fatah kar liya, aur hum ne Sheemah ko isi Haalat main paaya, to kiya woh Meri hogai, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassalam) ne Farmaya, haan woh teri hogai, Phir Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu), Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k saath Muslimah Kazzaab ko Qatal karne Chal Parey, Chunachay Hazraat Sahaaba-E-Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Muslimah Kazzaab ko Jahannum Waasil kiya, phir Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu), Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k saath Heeera'h ki taraf chal diye, jab Musalmaanon ka Lashkar Heera'h main Daakhil huwa to, sab se pehley unhen (Sheemah) Bint-E-Buqeelah Siyaahi Maeel ek Taqatwar Khachar par Sawaar mili, jesa k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassalam) ne us ki Haalat Bayaan farmai thi, Chunachay usey dekhtey hi, Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) us sey chimat gae, aur is ka Daawa karne lage, un k Mta'alliq HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassalam) k Farmaan ki Gawaahi, Hazrat Muhammad Bin Musallimah, Aur Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) ne di, Lihaaza Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne Sheema'a, Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k Supard kar di, Phir Sheem'a k pass us ka Bhai Abdul Maseeh, Qilay se neechey utar kar aaya, aur Khazeem (Razi ALLAH Anhu) se kehne laga, Sheema'a ko mujhey bech de, Khazeem (Razi ALLAh Anhu) ne Jawaab diya, Ba khuda, main ek hazaar se kam nahin karunga, Lihaaza Abdul Maseeh ne ek Hazaar de kar, Sheema'a ko le liya, aur phir kehne lage, agar tum ek Laakh bhi maangte, to main woh bhi dene ko Tayyaar tha, Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) kehney lagey, main to yahi samajhta raha, k Maal Dus so (10*100) (Yaani Ek Hazaar) se Ziyaadah hota hi nahin".. (Hulyat Ul Oliya, O Tabqaat Al Asfiya, Zikar Hazrat Khazeem Bin Os (Razi ALLAH Anhu), Jild#1, Page#364, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot) Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Bukhaari (RehmatULLAH Aleh) ne Apni "Taareekh" main aur Tibraani ne Behki aur Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) se Khazeem Bin Os Bin Haarisah, bin Laam (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha mene RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassalam) ki Jaanib se us Waqt Hijrat ki jab k AAP Tabook se Waapis Tashreef lae the, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassalam) ne us Waqt Farmaya, yeh Heerah Beezah hai, jise Meray Saamney laaya Gaya hai, aur yeh Sheema'a Bint-E-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Sheba'ah par Kaala Dopatta Orhey Mojood hai, Mene Arz kiya YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassalam)!! Agar Hum Heerah main Daakhil hon, aur Agar main isey Wesa hi paaon jesa k Aapney Sifat Bayaan ki, to kiya woh meray liye hogi, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassalam) ne Farmaya, woh Tumharey liye hai, Lihaaza Jab Haazrat Abu Bakkar Siddique ka Zamana-E-Khilaafat Aaya aur hum Muslimah Kazzaab k Istesaal se Faarig huwe, to Heerah ki taraf Mutawwajjah huwey, Hamarey Daakhil honey k Baad jo Aurat Sab se Pehley humen mili, woh Sheema'a Bint-E-Nafeelah thin, aur usi Haaal main thin, jis Haalat ki HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassalam) ne Khabar di thi, Yaani woh Apney Khachar Shebah par kaala Doppata Orhey Sawaar thi, aur main is k Saaath Muta'alliq hogaya, aur mene kaha yahi Woh Aurat hai, jise HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassalam) ne Mujhey Ata farmaya.. Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne is par mujh se Shahaadat Talab farmai, aur mene us ki Shahaadat pesh ki, Woh Shahaadat Muhammad bin Muslimah (Razi ALLAH Anhu) aur Muhammad bin Bashar (Razi ALLAH Anhu) ki thi, to Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne usey meray Hawaaley kar diya, phir uska Bhai hamarey Pass Sulah ki Garz se aaya, aur us ne kaha k Ise Farokht kar do, mene kaha khudah ki Qasam Dus So (10*100) Darham se kam na karunga, to us ne mujhey ek Hazaar Darham de diye, Phir mujh se kaha, agar tum ek Laakh Darham bhi ,maangtey to main Zarur deta, mene kaha Main Dus Soo Darhum se ziyaadah Ginti jaanta hi nahin tha".. (Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page186-187, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot) (Al-Bidaaya Wan Nihaaya, Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#191, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Faisla Aap khud kar sakte hain, yeh Batana k Sheema'h Bint-E-Nafeelah, Apney Khachar pe Kaala dopatta orhey milengi, yeh GAIB ki khabar hai ya nahi . Hadees#50: Zaid Bin Sohaan (Razi ALLAH Anhu) k Aaza Jannat main pehley daakhil hongey: Imam Abu Bakkar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat kartey hain: Tarjuma: “Hazrat Ali Murtaza (Razi ALLAH Anhu) se riwaayat hai k unhon ne kaha k Rasool ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, jo is se Khush hota hai k woh aesay shakhs ko dekhey, jis k Baaz Aaza Jannat main pehley Daakhil hongey usey chahiye k Zaid Bin Sohaan (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey”.. (Dalael un Nabuwwah, Jild#6, Page#416, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#238, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Al-Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#209, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imam Muhammad Sa’ad 230 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “ AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) Agley Roz jab Sahaba e KAram (Razi ALLAH Anhu) k Qareeb huwey to Unhon ne pucha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Raat hum ne Aap se yeh suna Jandab, kiya hai Jandab ? Zaid ne is se khair Qata kar diya, is ki kiya Haqeeqat hai ? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaya, “Meri Ummat main do (2) Aadmi hongey, in main se ek Dusrey ko Talwaar se maarey ga, jis se Haq aur Baatil k darmiyan tafreeq hojaey gi dusrey ka haath ALLAH k raastey main kaata jaega aur dusrey Moqey pe woh Qatal hoga, Ajla kehtey hain k Jandab (Razi ALLAH Anhu) ne Waleed Bin Uqba ki mojoodgi main ek Jaadugar ko Qatal kiya aur Zaid (Razi ALLAH Anhu) ka haath Yom-e-Jalu’laa k moqey per Kata gaya, aur Jamal k din Qatal kiya gaya”.. (Tabaqaat e Ibn-e-Saad, Jild#6, Page#123, Matboo’a Dar us Saadir, Beroot) Imam Ibn-e-Hajar Asqalaani 852 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Abdur Rehman Bin Mas’ood Al-Abadi (Razi ALLAH Anhu) bayaan kartey hain k main ne RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ko farmaatey huwey suna k jo chaahey k Aesay Aadmi ko dekhey jis k baaz aaza Jannat main Pehley daakhil hongey to woh Zaid Bin Sohaan ko dekhey” (al Asabah Fi Tameez ul Sahabah Zaid bin Sohaan (Razi ALLAH Anhu), jild#2, Page#627, Ba-raqam#2999, Matboo’a Dar ul Jeel, Beroot) Imam Abu Al-Hasan Ali bin Muhammad Bin Habeeb al Maawardi 429 Hijri main riwayat kartey hain: Tarjuma: “Be-shak RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Zaid (Razi ALLAH Anhu) k baarey main farmaaya, konsa Zaid, jis ka ek Uzoo Jannat main pehley daakhil hoga, to Nihaawand k din Zaid (Razi ALLAH Anhu) ka Haath ALLAH k Raastey main Kat gaya”..(Aalaam un Nabuwwah, al Baab Al Aashir Feema Sama Man Mojizaat Aqwaala Fasal AKhbaar Al Aahad, Page#158, Matboo’a Dar ul Kitaab ul Arabi, Beroot) Imam Jalaal ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Ibn e Asaakar (Rehmatullah Aleh) ne haaris A’oor (Rehmatullah Aleh) se Riwaayat ki k unhon ne kaha RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne jin Zaid ul Kher ka zikar farmaaya tha, woh Zaid bin Sohaan (Razi ALLAH ANhu) they, RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaaya, Meray baad Ta’baeen main se ek shakhs hoga woh Zaid ul Kher hai, Woh apney Jisam ka ek Hissa 20 saal pehley Jannat ki taraf behjey ga, chunaachey un ka bayaan haath nihaawand main qata huwa, is k baad woh bees (20) saal zindah rahey, phir Hazrat Ali ul Murtaza (Razi ALLAH Anhu) k saamney yom e Jamal main shaheed huwey, Zaid Bin Sohaan (Razi ALLAH Anhu ne shaheed honey se pehley farmaya k main apney Haath ko dekh raha hun k woh Aasmaan se nikla hai aur apni taraf Aaney ka ishaara kar raha hai, aur main is se milney waala hun”.. (Khasais ul Kubra, Jild#23, Page#28, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Ab aap khud bataen yeh bata dena k Zaid Bin Sohaan jannati hain, aur un k jisam k aaza pehley jannat main daakhil hongey . Hadees#51: Siraaqa tujhey Kasra k Kangan pehnaaey jaengey: Imam Jalaal ud deen sayooti (911 Hijri) likhtey hain: Tarjuma: “Baihaqi (Rehmatullah Aleh) ne Hazrat Hasan (Razi ALLAH Anhu) se riwaayat ki k Hazrat Umar e Faarooq (Razi ALLAH Anhu) k pass kasra k kangan laaey gaey, aur un dinon in kanganon ko Siraaqa bin Maalik (Razi ALLAH Anhu) ko pehnaya gaya, aur woh kangan us k shaanon tak puhnchey , us waqtHazrat Umer (Razi ALLAH Anhu) ne kaha ALLAH TA’ALA ki hamd hai k kasra bin Harmaz k kangan siraaqa bin Maalik (Razi ALLAH Anhu) Bani Madlaj Aaraabi k haathon main hai”.. (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#193, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Muwaahib ul Ludniyah, jild#3, Page#96, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Dalael un Nabuwwah, Jild#6, Page#325, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn e Kaseer, jild#6, Page#191, Matboo’a Al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imam Abu Bakkar Ahmed Bin Hussain Behki (458 Hijri) Riwayat kartey hain: Tarjuma: “Imam Sha’fai (Rehmatullah Aleh) ne kaha k Siraaqa Bin Maalik (Razi ALLAH Anhu) ne in donon kanganon ko is bina per pehna k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne siraaqa Bin Maalik (Razi ALLAH Anhu) se farmaaya tha, k apney haathon ki taraf dekh goya main dekh raha hun k tum ne Kasra k Kangan pehen rakhey hain”.. (Dalael un Nabuwwah, Jild#6, Page#325, Matboo’a Dar ul Qtuub ul ilmiyah, Beroot) (Khasais ul Kubra, , Jild#2, Page#193, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaaya Wan Nihaaya Ibn e Kaseer, Jild#6, Page#191, Matboo’a al Maktabah tul Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) Imam Jalaal ud deen Sayooti (911 Hijri) likhtey hain: Tarjuma: “Baihaqi (Rehmatullah Aleh) ne ba-riwaayat Ibn e Atba (Rehmatullah Aleh) Israel Bin Abu Moosa (Rematullah Aleh) se inhon ne Hasan (Razi ALLA Anhu) se riwaayat ki k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne kaha kKasra k Kangan pehentey waqt tumhara kiya haal hoga, Raawi ne kaha k jab Kasra k kangan Darbar e Faarooqi main laaey gaey to Hazrat Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Siraaqa Bin Maalik (Razi ALLAH Anhu) ko bula ker pehnaya aur kaha k ALLAH TA’ALA ki hamd hai k jis ne Kasra Bin harmaz se in kanganon ko cheen ker Siraaqa Bin Maalik (Razi ALLAH Anhu) Aaraabi ko pehnaya”.. (Khasais ul Kubra, jild#2, Page#193, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Dalael un Nabuwwah, Imam Baihaqi, Jild#6, Page#325, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Allama Abu al Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah Suheli (571 Hijri) likhtey hain: Tarjuma: “Hazrat Umer (Razi ALLAH Anhu) ne yeh sab kuch Hazrat Siraaqa (Razi ALLAH Anhu) ko is liye pehnaya tha, q k Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne unhen us waqt bashaarat di thi, jab unhon ne Islam Qubool kiya tha, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Farmaaya, An-qareeb Iran k Sheher Fatah hojaengey aur Kasra ka maalik Musalmaanon k Zer-e-Nageen hoga, lekin Hazrat Siraaqa (Razi ALLAH Anhu) ne Dil main usey na-mumkin samjha aur kaha kiya woh Kasra jo Badshaahon ka Badsha hai ??? Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne us waqt farmaaya, An-Qareeb us k Zewraat usey pehnaey jaengey, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne yeh is liye farmaaya tha k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki khabar ki tehkeek hojaey, Hazrat Siraaqa (Razi ALLAH Anhu) agar chey ek Bado they, Lekin ALLAH TA’ALA ne Musalmaanon ko ek Aezaaz k saath bakhsha hai, aur Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) aur APP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Ummay Marhoomah per Fazal o Karam Abar Rehmat Barsaata hai”.. (Roz ul Anf, jild32, Page#323, matboo’a Dar ul qutub ul ilmiyah, Beroot) Ahl-e-Eemaan log khud sochen, Pehley se Bata dena k Hazrat Siraaqa (Razi ALLAH Anhu) ko Kasra k Kangan pehnaey jaengey, yeh Ilm-e-Gaib hai ya nahin ???
  20. ILM-E-GAIB HADEES KI ROSHNI ME AQEEDAH-E-AHL-E-SUNNAT O JAMA'AT (BARELVI): ALLAH TA'ALA ne apne NABI (Sallalaho Aleh E Wassallam) ko Beshumar Fazael O Kamalaat se nawaza, in main se ek yeh hai k Aap ko tamaam Awwal O Aakhir k Uloom se Ziyada Uloom ata farmae, aur aap ko bohat si Makhfi Cheezon par Aagahi Ata farmai, aur yeh ALLAH TA'ALA ki Aadat Shareef hai, k woh apne Naik bandon yaani Ambiya-E-Karaam aur Oliya-E-Karaam par Makhfi cheezen zaahir farmata hai. ILm ek Naimat hai ALLAH TA'ALA ne tamaam Ambiya-E-Karaam (Aleh Salaam) ko Deegar Naimaton k Ilaawa ILM ki is Khaas naimat se bhi Khoob nawaza magar hamare HUZOOR (ALEH SALAAM) to ALLAH PAK k khaas MEHBOOB aur us ki Bargah main sab se ziyaadah Mukarram O Muqarrab hain, isi liye ALLAH PAK ne jitna ILM AAP (sallalaho Alehe Wassallam) ko Ata farmaya woh kisi aur k Hissay main nahin aaya. Is Baat se saaf maaloom huwa k AHLE SUNNAT-O-JAMA'AT ka AQEEDAH ILM-E-GAIB k Ma'amlay main yeh hai k Hum HUZOOR (ALEH SALAAM) k liye Ataai Kulli ILM-E-GAIB maante hain, Zaati nahin maante.. Najdi ,Deobandi, Ahle-E-Sunnat-O-Jama'at ko is Aqeeday ki Wajah se Kaafir-O-Mushrik kehte hain, aur kehte hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) k liye Kulli ILM-E-GAIB ka Aqeedah Rakhna SHIRK hai, Muhammad Sarfaraaz Gagharwi jo k Baray Fakhar se kehte hain, k 40 saal se Kitaabben Parha parha kar Boorha hogaya hun, Lekin Afsos Gagharwi par aur tamaam DeoBandiyon par k in ko SHIRK ki Taareef bhi maaloom nahin, Gagharwi Sahab aap ne 40 saal musalmaanon ko Kaafir aur Mushrik kehne main Guzaar diye, magar phir bhi aap ko SHIRK ki Taareef bhi nahin aati. Deobandiyon ko Aur Khususan Gagharwi ko achi tarah Maaloom hai k Ahl-E-Sunnat -O-Jama'at Ataai ILM-E-GAIB k Qaail hain, aur yeh Hamara (Yaani k Tamaam Barelvi Ahle Sennat-O-Jama'at) ka hatmi faisla hai.. k "Gair Khuda k liye ek Zaaray ka bhi ILm zaati nahin aur jo koi bhi maanega woh kaafir-O-Mushrik hai".. Ab mera Deobandiyon, Najdiyon se sawaal hai k Aap logon k Nazdeek SHIRK ki kiya Taareef hai???? jis ki Wajah se Aap Musalmaanon ko Kaafir kehte hain.. Agar Aap logon k Nazdeek (MazALLAH) Ataai Kulli ILm-E-GAIB ki Siffat bhi ALLAH TA'ALA ki hai tab to tmhara Daawa theek hoga, Agar nahin to Apne Dimaagh ka Ilaaj karwao, Jo tm Bila wajah Musalmaanon ko Kaafir O Mushrik kehte ho.. Gagharwi Apni Kitaab Tanqeed Mateen main likhte hain: Shah Sahab farmate hain : Tarjuma: " SHIRK yeh hai k ALLAH TA'ALA ki Siffaat Mukhtasa main se koi Sifat us k Ger k liye Saabit ki jae" Deobandiyon jawaab do, Kiya Ataai Kulli ILM-E-GAIb, ALLAH ki Siffaat Mukhtasa hai, Haadis, Matnahi, Mehdood, ALLAH Azzawajal ki Siffaat Mukhtasa hai. Agar DEOBANDIYON k nazdeek yeh ALLAH AZZAWAJAL ki Sifat Mukhtasa hai tab to HUZOOR (ALEH SALAAM) k liye yeh Siffat Maanna SHIRK-O-KUFAR hoga, is liye k Baraabri hogi, aur DEOBANDIYON Agar Aap logon k nazdeek yeh Siffaat ALLAH Azzawajal ki nahin hain, to phir kis wajah se tum log MUSALMAANON par SHIRK k fatwe lagate ho aur KAAFIR kehte ho??? Aur In Siffaat ko HUZOOR (ALEH SALAAM) k liye Maanne ko phir q SHIRK ki Nisbat karte ho??? Jab Baraabri na rahi to SHIRK b na huwa, to phir Aese log jo khamakha SHIRK k fatwey lagate hain, to woh Khud MUSHRIK hain... AHL-E-SUNNAT-O-JAMA'AT, HUZOOR( ALEH SALAAM) k Ataai Kulli ILM-E-GAIB k Qaail hain, aur Ataai Kulli ILM-E-GAIB, ALLAH TA'ALA ki Siffat nahin.. ALLAH TA'ALA ki Sifat Haqeeqi ILM-E-GAIB hai... DEOBANDIYON apne Zulum se Ba'az aajao.. tm logon k liye hi HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha k Musalmaanon ko Bilawajah Mushrik kehne waala Khud hi MUSHRIK hoga... yeh Mukammal Hadees main Pehle hi likh chuka hun, aap wapis Pichli Posts main ja k Dekh sakte hain... Ya to phir DEOBANDiyon ka yeh AQEEDAH hoga, K Ataai KULLI ILM-E-GAIB ALLAH AZZAWAJAL ki Siffat Mukhtasa, Haadis, Matnahi, Mehdood yeh Sab (MazALLAH) ALLAH AZZAWAJAL ki Siffaat Mukhtasa hai???? Btao kiya tmhara yeh Aqeedah hai??? Tmhara yahi Aqeedah hoga tabhi to tum kehte ho k barelviyon ne ALLAH TA'ALA aur HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM ko Barabar kar diya.... Yeh Batao kabi ILM Ata karne Waala aur ILM haasil karne waala Barabar huwe hain??? Hum to ALLAH TA'ALA ko ILM Ata karne Waala Maante hain, Aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM haasil karne waala maante hain... to SHIRK kese huwa??? Batao jawaab do... Ya to tmhara yahi Aqeedah hai k (MazALLAH) ALLAH ka ILM-E-GAIB Ataai hai (MazALLAH).. Hosh Karlo Deobandiyon.. ALLAH k Azaab ka khof karo.. MEre ALLAH ko kisi ne koi ILM na diya.. Woh HAQEEQI AALIM-UL-GAIB hai... aur woh apne Mehboob (Sallalaho Aleh Wassallam) ko jitna ILm Ata karna chahey kare, aur us ne Apni Ata se HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILm-E-GAIB par MAtla'a kiya.. . HADEES # 1: Bukhari Kitaab Bada'a Ul Khalq aur Mishkaat, JILD#2, Baab Bada'a Ul Khalq wa Zikar Ul Ambiya main Hazrat FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai: TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Jagah Qayaam farmaya, Pas Hum ko Ibtada-E-Pedaish ki khabar de di, Yahaan tak k Jannati log, Apni Apni Manzilon main Puhanch gae, aur Jahannumi log apni main jis ne Yaad rakha , Us ne yaad rakha, aur jo Bhool gaya, Woh Bhool Gaya". (Sahi Ul Bukhaari, Kitaab Bada'a Ul Khalq, Jild#1, PAGE#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi), (Sahi Muslim Kitaab Ul Fatan, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana Karachi) (Mishqaat UL Musaabeh, PAGE#506, Matboo'a NOOR Muhammad Qutub Khana) Is Jagah HUZOOR (ALEH SALAAM) ne 2 Qisam k Waqi'aat ki khabar di 1) AALAM ki Pedaish Ki IBTADA kis tarah huwi.. 2) Phir AALAM ki INTAHA kis Tarah hogi.. Yaani Az Roz Awwal ta Qayaamat Ek Ek Zarra Bayaan Kar diya.. Imam Bukhari Rehmatullah Aleh likhtey hain: Hazrat Umaro (Razi ALLAH Anhu) Bayan kartey hain, k Rasool ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) hamarey Darmiyaan ek Majlis main kharey huwey, phir AAP ne ibtida-e-Khalq se khabren bayaan karna Shoru kin, Hat’ta k Jannatiyon k apney Thikaaney tak jaaney aur jahannamiyon ko apney Thikaaney tak jaaney ki khabren bayaan kin, jis Shakhs ne us ko yaad rakha , us ne yaad rakha, aur jis ne us ko bhula diya, us ney us ko bhula diya”.. (Sahih Buhkari, Jild#1, Page#453, Matboo’a Qadeemi, Qutub Khana, Karachi) Imam Muslim (Rehmatullah) Riwaayat kartey hain: Hazrat Abu Zaid (Razi ALLAH Anhu) Bayan kartey hain k, RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne humen Subah ki Namaz parhai, aur Mimber per Ronaq afroz huwey, aur humen Khutba diya, Hat’ta k Zohar ka Waqt aagaya, phir Mimber se utrey aur Zohar ki namaz Parhai, aur phir Mimber per ronaq afroz huwey, aur humen Khutba diya, Hat’ta k Asar ka waqt aagaya, phir AAP Mimber se utrey aur Asar ki namaz parhai, phir AAP ne humen Khutba diya, Hat’ta k Sooraj Guroob hogaya, phir AAP ne humen tamaam Makan-o-Mayakoon ki khabren din, so jo hum main ziyaadah Hafizey waala tha us ko un ka Ziyaadah Ilm tha”.. (Sahih Muslim, Jild#2, Page#390, Matboo’a Qadeemi, Qutub Khana, Karachi) (Musnad Ahmed, Jild#3, Page#15) (Sahih Muslim, Al-Jannah, Raqam ul Hadees#2893) (Musnad Ahmed, jild#3, Page#315) (Msulim Shareef, Kitaab ul Fitan, Jild#2, Page#390, Raqam ul Hadees#2217, Matboo’a Qadeemi, Qutub Khana, Karachi) (Sahih Muslim, Jild#4, Page#2217, Raqam ul Hadees#2892, Matbooo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Dalael un Nabuwwah, Jild#6, Page#313-314, Matboo’a Dar ul qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Al Bidaya Wan Nihaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#189, Matboo’a Al Maktabah tul Tijariyah tul Makkah tul Mukarramah) (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#184, Matboo’a Dar ul qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imam Abu Eesa Tarmizi 279 Hijri main riwaayat kartey hain: Tarjuma: “Hazrat Abu Saeed Khidri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan kartey hain, k ek Roz Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne humen Namaz-e-Asar parhai, phirAAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne khitaab farmaya, Pas AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Qiyaamat tak Waqey honey waali her Shey (Cheez) k baarey main humen Khabar de di, jis ne Yaad rakha so yaad rakha, jis ne Bhula diya so Bhool gaya”.. (Jamey Sunan Tirmizi, abwab ul Fitan Baab Ma-Akhbar un NABI (Sallalaho Alehe Wassallam), Jild#2, Page#42, Matboo’a Maktabah Akramiyah, Peshawar) Imam Jalal ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat kartey hain: Tarjuma: “Imam Ahmed o Bukhari (Rehmahuma-ALLAH) ne apni “Taareekh” main aur Tabrani (Rehmatullah Aleh) ne Muggerah Bin Shuba (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Hamarey Darmiyaan ek Jagah Kharey huwey, aur Qiyaamat tak jo kuch AAP ki Ummat karey gi, AAP ne un sab ki Khaber humen de di, jis ne yaad rakha us ney yaad rakha, jo bhool gaya, so Bhool gaya” (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#184, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat kartey hain: Hazrat Abu Bakar Sidique (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai: Tarjuma: “Ek Din RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Namaz-e-Fajar ada farmaai, phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) usi jagah beth gaey, Hat’ta k Chasht ka Waqt aagaya, Huzoor (Sallalaho alehe Wassallam) usi jagah bethey muskuraey yahaan tak k AAP ne Namaz-e-Zohar, Asar aur Magrib ada farmaai phir Eshaa ada farmaai phir uth ker Ahl-e-Khana k pass tashreef le gaey, logon ne Hazrat Abu Bakkar Siddique (Razi ALLAH Anhu) se Arz kiya, kiya AAP Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) se Aaj k Amal k baarey main dariyaaft nahin Karen gey k pehley kabhi AAP ne aesa amal nahin farmaaya, Hazrat Abu Bakkar Siddique (Razi ALLAH Anhu) farmaatey hain k menay Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) se Dariyaaft kiya to AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaaya Haan..!! Duniya o Aakhirat main honey waaley tamaam umoor meray upper Pesh kiye gaey, (Yaani Mujhey un k baarey main pehgi kiya gaya)” (Musnad Ahmed, Jild#1, Page#4, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot) Imam Jalaal ud Deen Sayooti 911 Hijri main riwaayat kartey hain: Imam Ahmed (Rehmatullah aleh) ne Samrah Bin Jundab (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Aaftaab ko Gehen laga, aur NABI-e-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Namaz parha ker farmaaya, KHUDA KI QASAM..!! Jab se main Namaz k liye khara huwa main tumhari Duniya aur tumhaari aakhirat ki in baton ko dekh raha hun jo tum ko pesh aaengi” (Khasais-ul-Kubra, Jild#2, Page#185, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Hazrat Asma (Razi ALLAH Anhu) se Marwi hai ek amrtabah Sooraj Girhan k Moqey per Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Irshaad farmaaya: Tarjuma: “Her woh Shey (cheez) jo mujhey pehley nahin dikhai gai thi, menay apni is jagah kharey dekh li hai, Hat’ta k Jannat aur Dozakh bhi” (Sahih ul Buhkari, Kitab ul Ilm, Jild#1, Page#18, Matboo’a Qadeemi, Qutub Khana, Karachi) (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#147-148, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Imaam Aloosi (Rehmatullah Aleh) likhtey hain: Tarjuma: “Rasool ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ka us waqt tak wisaal na huwa jab tak k AAP ne her us cheez ko na jaan liya jis ka Ilm mumkin tha”.. (Rooh ul Ma’ani, Jild#15, Page#154, Dar ul Ehya ut turas ul Arabi, Beroot) IS Hadees aur Ulama o Muhaddiseen o Imaamon o Sahaba k Aqwaal se saaf maaloom hota hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ata kiya gaya hai, Q k Bager ILM-E-GAIB k woh Az Awwal (Yaani duniya ki Ibtada) se le kar Ta Aakhir (Qayaamat tak) k tamaam Waqiyaat kese bata sakte hain... Unhon ne sab kuch ILM-E-GAIB se hi bataya jo ALLAH TA'ALA ne inko Ata kiya hai... jazakALLAH . Sharaheen e Ahadees k Aqwaal main Darbah e Ilm-e-Gaib: Aeni Sharah Bukhari. Fatah Ul Baari, Irshad-Us-Saari, Sharah Bukhari, Mirqaat Sharah, Mishqaat main Hadees number # 1 (Jo k last post main di gait thi, us) k Ma Tehet hai: Tarjuma: "Is HADEES main Dalalat hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek hi Majlis main Saari Makhlooqaat k Saaray Haalaat ki Az Ibtada ta Inteha tak Khabar di". (Mirqaat Sharah Ul Mishqaat, JILD#11, PAGE#4, Maktab-E-IMDAADIYA, Multan) (Irshaad Us Saari JILD#5, PAGE#250) (Haashiya Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi) Imam Qastalani (Rehmatullah Aleh) Irshaad us Saari main aur Mulla Qaari (Rehmatullah Aleh) Mirqaat main Imaam Tuibi (Rehmatullah Aleh) ka Qol naqal kartey hain: Tarjuma: “Tuibi (Rehmatullah Aleh) ne kaha Yaani AAP (Sallalaho alehe Wassallam) ne humen Makhlooq ki Pedaish se le kar logon k Jannat main daakhil honey tak k baarey main Khabar de di, Saadiq aur Ameen Nabi-e-Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) k Farmaan e Giraami se Haasil honey waaley Tehqquq ki wajah se yeh is baat ki dalaalat karta hai k Huzoor (Sallalaho alehe Wassallam) ne Tamaam Makhlooqaat k tamaam Ehwaal az Ibtida ta Intiha aur Dubaarah Uthaey jaaney tak k baarey main Khabar de di”.. (Mirqaat Sharah ul Mishkaat, Jild#11, Page#4, Matboo’a Maktabah Imdaadiya, Multan) Haafiz Shahaab ud Deen Ahmed Ibn-e-Hajar Asqalaani 852 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho alehe Wassallam) ka ek hi Majlis main Roz e Qiyaamat tak k Ehwaal o Waqiyaat ka bayaan farmaana AAP ka ek Azeem Mojizah hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Shaan Jawamey ul Qalam (Taweel Qalaam ko Chand jumlon main Bayaan karna) ka Aaena-daar hai, aur is ki Misaal ek dusri Jehat se Abdullah Bin Umar o Bin Aas (Razi ALLAH Anhu) ki Hadees main hai, jisey Imam Tirmizi (Rehmatullah Aleh) ne Riwaayat kiya hai, k Huzoor (Sallalaho alehe Wassallam) Hamarey pass tashreef laaey, aur AAP k haath main Do (2) Kitaaben thin, Daaen (Seedhay) Haath waali kitaab k baarey main farmaaya, yeh kitaab Rabb-ul-aalameen ki taraf se hai, is main Ahl-e-Jannat aur in k Aaba aur in k Qabeelon k naam hain, aur in per kabhi bhi na koi naam ziyaadah hosakta hai, aur na koi Naam kam hosakta hai, Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Baaen (Ultey) Haath waali kitaab k baarey main Ahl-e-Dozakh ki nisbat isi ki missal bayaan farmaaya”.. (Fatah-ul-Baari, Sharah Sahih Bukhari, Jild#6, Page#291, Matboo’a Dar ul Nasar ul Kutub ul islaamiyah, Lahore) Imam Badar-ud-deen Aeni Hanafi 855 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ka ek hi majlis main Roz-e-Qiyaamat tak k Ehwaal o Waqiyaat ka bayaan farmaana AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek Azeem Mojiza hai, aur aesa q na ho k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ko is k saath Jawamey-ul-Qalam bhi Ata kiya gaya”.. (Umdah ul Qaari, Jild#15, Page#110, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot) Jawamey ul Qalam se muraad hai k ek lambi baat ko chand jumlon main bayan karna, jesa k Huzoor ne kiya k Huzoor ne Ibtida se le ker Intiha tak ki khabar kuch waqt main bayaan kar do.. Allama Ahmed Qastalaani 911 Hijri main Likhtey hain: Tarjuma: “Aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka Ibtida-e-Khalq se Qiyaamat tak k Ehwaal ki ek hi Majlis main Khabar dena AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek hai, is Hadees main Kaseer Qalaam ker k thorey waqt main Bayaan kar denay ka Mojizaa hai”.. (Irshaad us Saari, Jild#5, Page#250) . Sahabi-E-RASOOL, SAWAAD BIN QAARIB (RAZI ALLAH ANHU) ka ILM-E-GAIB ka Aqeedah: HAZRAT MUHAMMAD BIN KA'AB (RAZI ALLAH ANHU) se Riwayat hai k HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ek roz Tashreef farma the k Un k pass se ek Aadmi Guzra, Arz kiya gaya Ae Ameer Ul Momineen! Kiya Aap is Guzarne waale SHAKHS ko pehchante hain??? Farmaya: Yeh kon hai?? Logon ne kaha: Yeh Sawaad Bin Qaarib (Razi ALLAH Anhu hai) hai, Jis k Pass us ki Jinniyah, RASOOL (ALEH SALAAM) k Zahoor ki khabar laai thi, HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ka yeh Khitaab in k is Khutbay k baad hai, (Jo pichli Hadees main bataya gaya tha), jis main NABI (ALEH SALAAM) ne MIMBAR SHAREEF par khare ho kar pucha tha, k Tum main Sawaad Bin Qaarib Mojood hain?? To Majmey main se kisi ne bhi jawab na diya, jab agley saal log Aafaaq se Ziyaarat k liye Madiney Shareef aaey to Hazrat umar (Razi ALLAH Anhu) ne pucha, “Logo..! kiya tum main Sawad Bin Qaarib mojood hain ??? Q k un k Aagaaz-E-ISLAAMka Waqiyah Bara Ajeeb hai, HAZRAT BARA'A (RAZI ALLAH ANHU) farmate hain, Hum isi Haalat main the, kHAZRAT SAWAAD (RAZI ALLAH ANHU) aagae, Logon ne HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ko Bataya k Yeh HAZRAT SAWAAD (RAZI ALAH ANHU) hain ,to unhon ne ek Admi Bhej kar, HAZRAT SAWAAD (RAZI ALAH ANHU) ko Bulwaaya, woh jab Aae to pucha k Kiya tum Sawaad Bin Qaarib ho?? Unhon ne kaha, “haan”, HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ne farmaya, k Kiya tumhare pass tumhari Jinniyah HUZOOR (ALEH SALAAM) k Zahoor ki Khabar laai thi?? unhon ne Kaha: “Haan”.. Pucha Kiya tum ab bhi Kahaanat ka Shugal rakhte ho?? HAZRAT SAWAAD (RAZI ALLAH ANHU) ne naraaz ho kar kaha, Ae Ameer Ul Momineen jab se mene Islaam kabool kiya hai, kisi ne mujh se aesa kalaam nahin kiya, to HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ne farmaya SUBHAN ALLAH!, Hamara Aqeedah E SHIRK is Khaanat se kahin Bara Gunah tha, ek aur Riwaayat main aata hai k HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ne farmaya,Ae ALLAH maaf farma, Hum Zamana-E-Jahiliyat main is se baray Gunah Main Mubtala the, k Hum Buton ki Parastish karte the, Hat'ta k ALLAH ne humen Apne RASOOL (Sallalaho Alehe Wassallam), k tufail aur ISLAM ki barkat se IZZAT ATA farmai, Phir farmaya, Ae Sawaad! humen apne Aagaaz-E-ISLAAM ki tafseel bayaan karo, Unhon ne Arz kiya: "haan main ek raat Sonay aur Jaagne k darmiyaan tha, k AchanakMeri Jinniyah Aai, us ne apne paon se mujhe thokar maari, "aur kaha Ae Sawaad khara ho, aur meri baat sun aur agar tujh main Aqal hai to samajh le, k Lawi Bin Gaalib main ek RASOOL Ma'aboos ho chuka hai, jo ALLAH k deen, aur us ki Ibaadat ki Daawat deta hai, phir us ne yeh Ash'aar parhe, Main ne jinon se Ta'ajjub kiya aur un ki talab aur un k sufaaid (White) Ooonton (Camels) par Kajaaway kasnay par Ta'ajjub kiya, Jo Tezi se Makkah ki taraf ja rahe hain, aur Hidaayat k Matlaashi hain, Sachay Jin Jhootay Jinon ki Maanind nahin hosakte, Pas Bani Haashim k Ek Burgazeedah Shakhs ki taraf Kooch kar jis ka Mustaqbil us k Maazi ki tarah nahin, Mene (Yaani Hazrat Sawaad ne kaha) kaha mujhey chor do taa k sojaon main, meri saari Shaam Be Khuwaabi main gai hai, mene is baat par sir upar na uthaya, jab dusri raat huwi woh mere pass aai, aur Paaaon ki thokar laga kar kehne lagi, k Ae Sawaad uth aur meri baat gor se sun aur Zehen Nasheen karle, k Lawi Bin Gaalib main se ek RASOOL Ma'abos huwa hai, jo ALLAH ki taraf bulaata hai, aur us ki Ibaadat ki taraf daawat deta hai, phir waapis us ne yeh Ash'aar parhe, Mene jinon se aur un ki Heraani se Ta'ajjub kiya aur un k Sufaaid (WAHITE) OONTON (CAMELS) par kaathi kis kar doraanay se woh Hidaayat ki talaash main Makkah ki taraf Urte jaa rahe hain, Eemaan Laane waale Jin Kaafir Jinon ki tarah nahin hain, Lihaaza tu Bani Haashim k Is Cheedah ki taraf rawaana ho, jo Rait k Teelon aur Patharon k Darmiyaan hai, Mene (Yaani Hazrat Sawaad ne kaha) use kaha k Muhjey sonay do Q k Main Shaam se so nahin saka pas jab teesri raat aai, aur to phir us ne wahi baat dohrai, aur yeh SHAIR parhe, Main ne Jinon, un ki Talaash O Justuju aur Oonton (Camels) par palan kis kar doraanay se hheraaani ka izhaar kiya jo Hidaayat k Matlaashiyon ko Lekar Makkah ki jaanib Dor rahi hai, Achay JIN Najis Jinon ki Misal nahin hote, Lihaaza tu Banu Haashim k Is Mumtaaz fard ki taraf safar Ekhtiyaar kar, aur apni Aankhen aur chehra is k Chehra'ey Aqdas ki taraf utha.. Sawaaad (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k mene is Jinniyah k yeh Ash'aar sunay, to foran Uth khara hogaya, aur kaha ALLAH TA'ALA ne mere Dil ko Imtihaan main daal diya hai, mene apni Ooontni par sawaar ho kar rawaana hogaya, Hat'ta k MAKKAH SHAREEF aagaya, aur dekha k RASOOL (ALEH SALAAM)tashreef farma hain, aur Aap k Aas pass SAHABA-E-KARAAM (RAZI ALLAH ANHU) bethe hain, jab AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki nazar mujh pe pari to farmaya, Khush Aamdeed ae Sawaad! Humen tumhare Aane ka ILM ho chuka hai, main ne Arz ki Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) mene kuch Ash'aar kahe, lihaza mera Kalaam suniye, Farmaya: haan PARHO, to mene yeh Ash'aar parhna Shoru kiye: Mere pass meri Jinniyah aai, jabkay bohat Raat ho chuki thi, aur Neend ka galba tha, aur jo kuch mene bayaan kiya us mai main jhoota nahin hun, woh 3 raat lagataar aai aur har raat yahi kehti thi k tere pass ek RASOOL Lawi Bin Gaalib main tashreef laaya hai, to mene Langoot kas liya aur mere tez raftar motay rukhsaar waali Oontni (Camel) mujhey Teelon k darmiyaan, Gubaaron main le aai, so main Gawaahi deta hun, k ALLAH hai, us k Bager koi RAB nahin, Aur Aap har GAIB par Ameen banae gae, beshak AAP tamaam RASOOLON se kareeb ka wasila hain, Ae Mu'azziz aur Achay Aba-O-Ajdaad k Noor-E-Nazar, aap hum ko is baat ka Hukum dijiye, jo AAP k pass aati hain, AE BEHTAREEN RASOOL! agar chey is Hukum ki taameel main Baal sufaid (White) ho jaen, aur us Roz AAP mere SHAFEE banene, jis din AAP k siwa koi aur Sifarish karne waala na hoga, aur koi sawaad Bin Qaarib ki taraf se Mustagna na kar sake ga.. HAZRAT SAWAAD BIN QAARB (RAZI ALLAH ANHU) farmate hain k RASOOL (ALEH SALAAM) aur AAP k Sahaba mere is kalaam se buhat khush huwe, yahaan tak k is KHUSHI AASAAR in k Chehron par Zaahir hogae, RASOOL (ALEH SALAAM) muskuratey, Hat'ta k Aap ki Darhen Mubarak nazar Aane lagin,, HAZRAT BARA'A (RAZI ALLAH ANHU) farmate hain, k yeh Waqiya sunne k baadHAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ne HAZRAT SAWAAD (RAZI ALLAH ANU)ko seenay se laga liya, aur farmaya mujhey bari khuwahish thi, k tum se tumhara Eemaan laane ki daastan sunon, kiya Ab bhi tumhare pass tumhari JINNIYAH Aatin hain??? to unhon ne jawaab diya k Jab se mene QUR'AN parhna Shoru kiya woh nahin aain aur Jinon k Badlay ALLAH TA'ALA ki kitaab kiya Khoob Aewaz hai.. SubhanALLAH (Dalael-un-NAbuwwah Subhani, PAGE 131,132,133, Raqam-ul-Hadees, 144 Matboo'a Dar-ul-Taiba Ur Riyaaz) (Aalaam-Un-Nabuwwah Fasal Fi Hatoof Fil Jin, PAGE#244, Matboo'a Darul Kitaab, Ul Aarabi Beroot) Upar diye gae pure Wa'aqiye k Aakhri hissay ko baar baar parhen, us main HAZRAT SAWAAD ne saaf saaf kaha hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB par Ameen banae gae... aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ko Shafee bhi banaya.. aur yeh sab sunne k Baad HUZOOR (ALEH SALAAM) ne unko mana na kiya k Ae Sawaad aesa na kaho, Yeh sab to SHIRK hai, balkay HUZOOR (ALEH SALAAM) khush huwe... nateejah aap sab k saamne hai. . HADEES # 2: Mishkaat Baab Ul Mojizaat main muslim se Bariwaayat Umar-O-IBN-E-KHATA isi tarah manqool hai magar is main itna aur hai: Tarujuma: "Hum ko tamaam un Waaqiyaat ki khabar de di, jo Qayaamat tak hone waale hain, Pas hum main bara AALIM woh hai, jo in baaton ka Ziyaadah Haafiz hai". (Sahi Muslim, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi) . HADEES # 3: Mishkaat Baab Ul Fitan main Bukhaari O Muslim se Bariwaayat Hazrat Huzaifa (Razi ALLAH Anhu) hai. Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us jagah QAYAAMAT tak koi cheez na chori, magar uski khabar de di, jis ne yaad rakha, yaad rakha, jo bhool gaya woh Bhool gaya". (Sahi Bukhari, JILD#2, PAGE#977, Matboo'a Karachi) (Dalael-un-Nabuwwah, IMAAM BEHKI, JILD#6, PAGE#313, Matbo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiya, BEROOT) (Mawahib ul Ludniyah, Jild#3, Page#95, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Abu Dawud, Raqam ul Hadees#4240) (Al-Bidaaya Wan Nihaaya Ibn-e-Kaseer, Jild#6, Page#188, Matboo’a Al-Maktabah-tul-Tijaariyah, Makkah tul Mukarramah) (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#184, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri main likhte hain: TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main ROZ-E-QAYAAMAT tak k Ehwaal O Waaqiyaat ka Bayaan farmana, aap ka Azeem mojiza hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki SHAAN Taweel Kalaam ko chand jumlon main bayaan karna is ka Aaenadaar hai. aur is ki Misaal ek dusri Jahat se ABDULLAH BIN UMAR O AAS (Razi ALLAH Anhu) ki Hadees main hai Jisay IMAAM TARMIZI (REHMATULLAH ALEH) ne Riwaayat kiya hai, K HUZOOR (ALEH SALAAM) hamaray pass tashreef lae, AAP k haath main 2 kitaaben thin.. Seedhay Haath waali Kitaab k baaray main farmaya yeh Kitaab RABBUL AALAMEEN ki taraf se hai, is main Ahl-E-Jannat aur in k Aaba'a aur in k Kabeelon k naam hain, in par kabhi bhi na koi naam Ziyaadah ho sakta hai aur na ko naam kam ho sakta hai.. Phir AAP (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ne Baayen Haath waali Kitaab k Baaray main AHLE DOZAKH ki Nisbat isi Misal Bayaan Farmaya". (Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, JILD#6, PAGE#291, Matboo'a Dar-un-nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore) IMAAM BADARUDDEEN Aeni Hanfi 855 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main Roz-E-Qayaamat tak k Ehwaal O Waqiyaat ka bayaan farmana AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek Azeem mojiza hai, aur aesa q na ho k AAP (ALEH SALAAM) ko is k Saath jo Taweel kalaam ko thoray waqt main bayan karne ka Mojiza bhi ata kiya". (Umdah Qaari , JILD#15, PAGE#110, Matboo'a Darul Fikar Beroot) ALLAMA AHMED QAStLAANI bhi 911 Hijri main yahi likhte hain: (Bahawala: Irshaad Us Saari, JILD#5, PAGE#250) . HADEES # 4: Mishkaat Baab Fazael E Syed Ul Mursaleen main Muslim se Ba Riwaayat Sobaan (Razi ALLAH Anhu) hai: Tarjuma: " ALLAH ne mere Liye, Zameen samait di, pas main ne Zameen k Mashriqon aur Magribon ko dekh liya". (Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a E Qadeemi, Kutub Khaana Karachi) (Sahi Muslim, JILD#4, PAGE#2216, RaqamUl Hadees#2889, Matboo'a DarUl Kutub Ilmiya, Beroot) (Jamey ut Tirmizi abwaab ul Fitan, Baab Afzal ul Jihaad, Jild#2, Page#40) (Musnad Ahmed, Jild#2, Page#123) (Sunan Abu Daood, Baab ul Fitan, Jild#4 ,Page#95, Raqam ul Hadees#4252, Matboo’a Beroot) (Sunan Ibn-e-Majah, Raqam ul Hadees#3952) (Musnad Ahmed, Jild#5, Page#278, Matboo’a Maktabah tul Islami, Beroot) (Musnad Ahmed, Jild#5, Page#284, Raqam ul hadees#22505, Mosasta Qurtubah, Misar) (Sahih Muslim, Raqam ul Hadees#2889) (Sunan Tirmizi, Raqam ul Hadees#2182) MirQaat Sharah Mishkaat aur sharah Shifa Ul Mulla Qaari O Zarqaani Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main Hadees # 4 main hai.. Tarjuma: "Is Hadees ka khulasa yeh hai k HUZOOR (ALE SALAAM) k liye zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese ek haath main aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta k Door waali ko Qareeb kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un tamaam cheezon ko jo Zameen main hain".. . HADEES # 5: Mishkaat Ul Masaajid main Abdur Rehman Bin Aaish se Riwaayat hai: TARJUMA: " HUM ne apne RAB ko achi Soorat main dekha, RAB TA'ALA ne apna Dast Qudrat Hamaray Seenay par rakha, Jis ki Thandak hum ne apne Qalb main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O Zameen ki Cheezon ko hum ne jaan liya". (Sunan Daarmi Kitaab Ur Raowya, Baab Fi Roiyyah tur RAB TA'ALA, Fil Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan) Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi 255 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Mene Apne RAB Azzawajal ko Behtareen soorat main deekha, RAB-E-Zul jalaal ne mujh se farmaya k Malaika Muqqarrabeen kis baat par jhagra karte hain?? Mene Arz ki MOLA tu Khoob jaanta hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya phir mere RAB ne apni REHMAT ka HAATH mere donon Shaanon k Darmiyaan rakh diya, mene us ki Thandak apni dono Chaatiyon k Darmiyaan Paai, Pas mujhey in tamaam Cheezon ka ILM hogaya, jo k Aasmaaanon aur Zameenon main thin". (Sunan Daarmi Kitaab Ur Raowya, Baab Fi Roiyyah tur RAB TA'ALA, Fil Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan) (Kitab ul Asma o Siffaat lil Behki, Page#378) (Tafseer Al Tibri, Jild#7, Page#162) (Ad Dur-re-Mansoor, Jild#3, Page#24) IMAAM AHMED BIN HAMBAL 241 Hijri main Riwaayat karte hin: Tarjuma: " HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya AAJ RAAT ko neend main mera RAB Azzawajal Haseen Soorat main mere Pass Aaya, aur farmaya Ae MUHAMMAD! Kiya tum jaante ho k Malaikah kis cheez par behes kar rahe hain?? HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k AAP (sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, “Nahin”.. Phir NABI (ALEH SALAAM) farmate hain, k ALLAH TA'ALA ne apna Haath mere donon kandhon k darmiyaan rakha Hat'ta k Main ne apne seene main is ki Thandak mehsoos ki aur mene in tamaam Cheezon ko jaan liya jo Aasmaanon aur Zameenon main hain". (Musnad Ahmed, JILD#1, PAGE#368, Raqqamul Hadees 3484, Matboo'a Mosasta Qurtaba Misar) Imam Abd Bin Hameed (Rehmatullah aleh) Riwaayat kartey hain: Tarjuma: “Phir ALLAH TA’ALA ne apna Haath meray donon Kaandhon k darmiyaan rakha, Hat’ta k menay apney Seenay main is ki Thandak Mehsoos ki, aur menay in tamaam Cheezon ko jaan liya jo Aasmaan o Zameen main hain” (Musnad Abd Bin Hameed, Jild#1, Page#228, Raqam ul Hadees#682, Matboo’a Maktabah tus Sunnah Al Qaherah) Imam Abi al Farj Abdur Rehman Bin Al joozi 597 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Menay apney RAB Azzawajal ko Behtareen soorat main dekha, Rab-e-Zuljalaal ne mujh se farmaaya k Malaikah Muqarrabeen ki per Jhagra kar rahey hain?? Menay Arz ki Mola tu hi khoob jaanta hai, Huzoor (Sallalaho alehe Wassallam) ne farmaaya, phir Meray RAB ne apni Rehmat ka haath meray Donon Shaanon k darmiyan rakh diya, menay is ki thandak apni donon Chatiyon k darmiyaan paai, pas mujhey in tamaam cheezon ka ilm hogaya jo k Aasmaanon aur zameenon main thin” (Jamey Sunan Tirmizi, Jild#50, Page#160, Raqam ul Hadees#3246, Matboo’a Dar ul Fikar Beroot) Imam Tirmizi (Rehmatullah Aleh) Riwayat kartey hain: Tarjuma: “Hazrat Maaz Bin Jabal (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai, inhon ne farmaaya k ek martabah Subah ki namaz k waqt Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Der hogai, aur hum logon ne AAP ka Intezaar is haad tak kiya k Qareeb tha k Aaftaab ki Shu’aa Nazar aney lagi, Huzoor (Sallalaho alehe Wassallam) tezi se tashreef laaey, Chuna chey Takbeer kahi gai, aur AAP ne Ikhtasaar se namaz parhai, Namaz k baad AAP ne Ba-awaz e Buland farmaaya, jis tarah tum behtay ho, isi tarah Saf Bandi kiye huwey Bethay raho, phir farmaya, main apni taakheer ka waqiya tum ko usnaata hun, phir waqiya sunaya.. (Waqiya yeh hai) Raat k waqt wazu kar k jis Qadar Namaz meray liye Maqdoor thi menay parhi is k baad mujhey neend aagai, aur main Namaz main hi sogaya, Yakayak kiya dekhta hun k Main apney RAB k Huzoor hun aur menay apney RAB ko (is ki Shaan k laaeq) Nihaayat Achi Shakal main dekha, (Mujh se) Irshaad huwa, Ae Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam), Menay Arz ki, “Lab’baik, Ae Meray Parwardigaar main Haazir hun”, farmaya, “ Is Waqt MAlakiah e Aasmaani kiya Guftugu kar rahey hain??, Menay Arz ki, Mujhey Maloom nahin, Teen Martabah Yahi Irshaad huwa, Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Farmatey hain, Phir Menay dekha k ALLAH TA’ALA ne apna Dast e Qudrat meray Seenay per rakha, hat’ta k menay us ki ungliyon ki thandak apney Seenay k Darmiyaan mehsoos ki, pas har cheez mujh per roshan hogai, aaur menay Pehchaan li”.. (Jami Sunan tirmizi, Jild#5, Page#368-369, Raqam ul Hadees#3235, Matboo’a Dar ul Ehya ut turas ul Arabi Beroot) Imam Jalal ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Phir menay dekha k ALLAH TA’ALA ne Apna Dast-e-Qusrat meray Seenay per Rakha Hat’ta k menay us ki ungliyon ki thandak apney Seenay k darmiyaan mehsoos ki, pas har Cheez mujh per Roshan hogai, aur menay pehchaan li”.. (الدرالمنثور فی التفسیر الماثور سورہ ص، آیت نمبر 69، جلد ۵، صفحہ 597، مطبوعہ دارالکتب العلمیہ بیروت) Syyeduna Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ki dusri Riwaayat k alfaz yeh hain: Tarjuma: “Menay Mashriq-o-Magrib k darmiyaan har Shey (Cheez) ko jaan liya”.. (Jamey Sunan Tirmizi, Jild#2, Page#156, MAtboo’a Maktabah Akramiyah, Peshawar) (Musnad Abu Ya’ala, Raqam ul Hadees#2608) Syyeduna Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ki ek Riwaayat main hai: Tarjuma: “Pas menay Aasmaan aur Zameen ki her shey (Cheez) ko jaan liya”.. (Jami Sunan Tirmizi, Jild#5, Page#368-369, Raqam ul Hadees#3233, Matboo’a Dar ul Ehya ut turas ul Arabi, Beroot) (Tafseer-e-Abdur Razzak, Jild#2, Page#169) (Musnad Ahmed, Jild#1, Page#368) Imam Tirmizi farmaatey hain: Tarjuma: “Yeh Hadees Hasan Sahih hai, menay Imam Bukhari (Rehmatullah Aleh) se is ka Haal Pucha, Farmaya: Sahih hai” (Sunan Al Tirmizi Kitab ul Tafseer, Raqam ul Hadees#3246, Jild#5, Page#161, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot. Mirqat Sharah Mishkaat main Hadees#5 k Ma-tehet hai: Tarjuma: “Is Faiz k puhanchney se hum ne tamaam woh cheezen jaan lin, jo aasmaanon aur zameen main hain, yaani aasmaan o zameen main woh cheezen jo ALLAH ne bataen, farishtey aur darakht wagerah yeh AAP k us wasee’I Ilm ka bayaan hai jo ALLAH TA’ALA ne AAP per Zaahir farmaaya, Ibn-e-Hajar ne farmaaya, jaan li woh tamaam Makhlooqaat jo Aasmaanon (Balkey jo is k upper hai) jesa k Hadees e Meraj se maloom hota hai) aur Zameen main hai aur tamaam woh cheezen jo Saaton Zameen balkey jo is se neechey hain, jesa k in Hadeeson se maloom hota jin main Huzoor (aleh Salam) ne Gaaeyn (Cow) aur Machli (Fish) ki khabar di hai aur jin per Zameenen Qaem hain”.. (Mirkaat Sharah al Mishkaat, Jild#2, Page#210, Matboo’a Maktabah Imdaadiya Multan) Ish’aat ul Lam’aat Sharah Mishkaat main isi Hadees#5 k Ma-tehet hai: Tarjuma: “yeh hadees tamaam Juz’ai o Kuli ilmon k haasil honey aur is k Ihaatey ka bayaan hai”.. (Ish’aat ul Lam’aat Farsi ul fasal us Saani Baab ul Masajid, Jild#1, Page#357, Matboo’a Maktabah Hukkaaniyah, Peshawar) . Hadees # 6: Sharah Mowaahib Ladniyah main HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ki Riwaayat se hai: Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne hamare saamne Saari duniya ko pesh farmaa diya Pas hum is Duniya ko aur jo kuch is main QIYAMAT tak hone waala hai is tarah dekh rahe hain, jese apne Haaath ko dekhte hain". (Sharah Ul Allama Zarqaani Ali Ul Muwaahib Ul Ladniyah Ul Maqsad Us Saaamin Ul Fasal Us Salis Ul Qasam Us Saani, JILD#7, PAGE#206, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot) Imam Jalaal ud Deen Sayooti 911 likhtey hain: Tarjuma: “Tibraani (Rehmatullah Aleh) ne Ibn-e-Umar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k Rasool ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaaya k ALLAH TA’ALA ne saari dunya ko utha ker meray Pesh-e-Nazar kar diya hai, aur main usey dekh raha hun, aur Qiyaamat tak jo kuch is main honey waala hai, main usey is tarah waazeh tor per dekh raha hun, jesay meri yeh Hatheli hai, ALLAH Azzawajl ne apney NABI k liye is tarah Manqashaf farmaaya jis tarh AAP se Pehley NABIYON k liye munqashaf kiya”. (Khasais ul Kubra, Jild#2, Page#185, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Mawahib ul Ladniyyah, Jild#3, Page#95, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) (Majma uz Zawaid, Jild#8, Page#290, Matboo’a Mo’sasta al Ma’aarif, Beroot) Woh log joy eh kehtey hain k Huzoor ko Qiyaamat tak ka Ilm nahin hai, woh is Hadees se Bara-e-Karam kuch Sabaq haasil Karen..!! . HADEES # 7: Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai: Tarjuma: " Pas Hamare liye har cheez zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan li ". (Jaamey Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD#5, PAGE#160, RAQAMUL HADEES#3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot) Ash’attul Lam’aat main Hadees#7 k Ma-tehet bayan farmaaya: Tarjuma: “Hum per har Qisam ka Ilm Zaahir hogaya aur hum ne sab ko pehchaan liya”.. (Ash’attul Lam’aat Farsi Matboo’a Maktabah Hakkaniyah, Peshawar) Allama Zarqaani Sharah Mawaahib main isi Hadees#7 k Ma-tehet farmaatey hain: Tarjuma: “Yaani hamarey saamney duniya Zaahir ki gai aur kholi gai k hum ne is ki tamaam Cheezon ka Ihaata kar liya, pas hum is duniya ko aur jo kuch is main Qiyaamat tak honey waala hai, is tarah dekh rahey hain, jesay k is main is taraf ishaara hai k Huzoor (aleh Salaam) ne Haqeeqatan Mulaahizah farmaaya yeh Ehtamal Dafa hogaya k Nazar se muraad Ilm hai” (Sharah ul Allama tul Zarqaani Ali ul Mawaahib ul Ludniyah, Jild#7, Page#206, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot) Huzoor ko har cheez Zaahir ho chuki hai, yaani un ko Har Gaib ka Ilm hai ALLAH ki Ata se.. . Hadees # 8: Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal main Ba Riwaayat Abu Zar Gifari (Razi ALLAH Anhu) hai: Tarjuma: " Hum ko HUZOOR (ALEH SALAAM) ne is Haal par chora k koi Parindah apne Par bhi nahin hilaata, Magar us ka hum ko ILM bata diya". (Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar) IMAAM Bo’Saf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte hain". Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad aur Tabraani (Rehmatullah Aleh) neHazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal main chora hai, K Fiza-E-Aasmaani main jo parinda par maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se uska Zikar kar diya". (Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Matboo'a Darul Fikar Beroot) Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " HAZRAT ABU ZAR (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat hai k inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal par chora kFiza-E-Aasmaani main jo Parinda par Maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se us ka Zikar kar diya hai". (Majma-E-Sheyookh, PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) Farmate hain k Humen RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Is Haal par chora k Fiza main jo bhi apne Paron se Urne waala Parinda tha, AAP ne humen Us Se Muta'aliq Zikar kiya". (Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar) Ab Aap Khud faisla karen.. k Kiya Bager ILm k Aasmaan main Urne waale Parinday k K baaray main maaloom kiya ja sakta hai??? Woh bhi tni jaldi maaloom karna, k Parinday k Par Hilaanay se pehle hi dusron ko bhi Parinday k Baaray main bata diya jae... Ab aap khud hi faisla kar sakte hain, Q k Aasmaan main Urne Waala PArinday k Baaray main Maaloomat to Gaib hai, Q k GAIB har Chupi huwi cheez ko kehte hain, jo kisi Hawaas k bager maaloom na ki ja sake... to is GAIB k ILM ko kiya kahen ge??? ALLAH, Bad Aqeedah logon ko Raah-E-Raast pe Lae.. Aameen.. JazakALLAH . HADEES # 9: Mishkaat Baab Ul Fitan Fasal Saani Main HAZRAT HUZEFA (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai.. Tarjuma: " Nahin chora HUZOOR (ALEH SALAAM) ne kisi Fitna chalanay waalay ko duniya k khatam hone tak, jin ki taadaad 300 se ziyada tak puhnchay gi magar hum ko is ka naam is k baap ka naam aur is k Qabeelay ka naam bata diya" (Mishkaat Ul Musaabeh, baab Ul Fitan Fasal Saani, PAGE#463, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi) Ab aap khud Bataen k Duniya k Khatam honey tak jitney Fitney aaengey, Huzoor ne un sab k baarey main bata diya, kiya yeh Ilm-e-Gaib nahin ???????? Al-Sheikh Allama Ahmed Bin Asqalaani 923 Hijri main likhtey hain: Tarjuma: “Kuch Shak nahin k Bila’Shuba ALLAH TA’ALA ne is se bhi Zaaed (Ziyaadah) Huzoor ko Ilm diya, aur tamaam Agley Pichlon ka Ilm Huzoor per Alqa farmaya”.. (Muwaahib ul Ludniyah la Maqsad ul Saaman ul Fasal ul Saalis, Jild#3, Page#95, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot) . HADEES # 10: Mishkaat Baab Zikar Ul Ambiya main Bukhaari se Ba Riwaayat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) hai: Tarjuma: " Hazrat Daaod (Aleh Salaam) par Qura'an (Zaboor) ko is Qadar halka kar diya gaya tha, k Woh Apne Ghoron (Horses) ko Zain laganay ka Hukum dete the to AAP in ki Zain se pehle ZABOOR parh lete the".. (Sahi Bukhari Kitaab Ul Ambiya, JILD#1, PAGE#475, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi) Yeh Hadees is jagah is liye bayaan ki gai k Agar HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Wa'az main Az Awwal Ta Aakhir Waaqiyaat bayaan farma diye to yeh bhi AAP ka ek Mojiza tha jese k HAZRAT DAAOOD (ALEH SALAAM) AAN ki AAN main Saari ZABOOR SHAREEF parh lete the.. . HADEES # 11: Mishkaat Baab Munaakib Ahle Bait main hai.. Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne khabar di k FATIMA ZOHRA (RAZI ALLAH ANHU) k farzand peda hoga, jo tumhari parwarish main rahe ga".. (Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Ahle Bait Un NABI Ul Fasal Ul Awwal, PAGE#572, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khana KArachi) Aap khud faisla kar sakte hain k FATIMA ZOHRA (RAZI ALLAH ANHU) ko batana k un k Yahaan farzand peda hoga.. yeh GAIB hai ya nahin??? Batao?? Jawaab do Gustaakhon??? . HADEES # 12: Bukhari Baab Asbaat Azaab Ul Qabar main HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Naqal hai: Tarjuma: " HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) do Qabron par se Guzre jin main Azaab horaha tha, to farmaya k dono Shakhson ko azaab diya ja raha hai, aur kisi Dushwaar baat mai Azaab nahin ho raha in main se ek to Peeshaab se na bachta tha, aur dusra Chugli Kiya karta tha, phir Ek Tar (Geeli) SHAAKH ko le kar is ko aadha aadha Cheera Phir har Qabar main ek ek ko Gaarh diya aur Farmaya k jab tak yeh Tukray khushk naa honge, in dono shakhson se Azaab main kami ki jaawe gi".. (Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#611, MAtboo'a Qadeemi Kutub khana Karachi) (Sahih Muslim jild#1, Page#141) (Sunan Abi Daaoud Baab ul Istabra, Jild#1, Page#6, Raqam ul Hadees#20-21, Matboo’a Dar ul Fikar Beroot) (Sunan Nisai, Jild#1, Page#7) (Sunan ul Kubra Imam Baehaki, Jild#1, Page#104) Aap Eemaan ki Roshni main sochen, Yeh Bata dena k Qabar main jo Murdah hai us k saath kiya horaha hai, yeh Ilm-e-Gaib hai ya nahin ????? Murdey ko Saza us k kis Gunah ki wajah se horahi hai, yeh bata dena Ilm-e-Gaib hai ya nahin ???? . HADEES # 13: Bukhari Kitaab Ul Aatasaam Bil Kitaab Wa Sunna Aur Tafseer E Khazan main hai: Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Mimbar par kharay huwe, Pas Qayamat ka Zikar farmaya k Is se Pehle Baray Bary Waaqiyaat hain, Phir farmaya jo Shakhs jo Baat puchna chahay Puch le, QASAM khuda ki Jab tak Hum is jagah Yaani Mimbar par hain, tum koi baat hum se na pucho ge, magar hum tum ko is ki Khabar denge, ek Shakhs ne khare ho kar Arz kiya, K mera Thikaana kahaan hai?? Farmaya Jahannum main... Abdullah Bin Huzaifa ne khare ho kar Dariyaft kiya k Mera BAAP kon hai?? Farmaya HUZAFA.. Phir Baar Baar farmate rahek Pucho Pucho".. (Sahi Ul Bukhari Kitaab Ul Aatasaam, Jild#2, Page#1083, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi) Khayaal Rahe k Jahannumi Ya Jannati hona Uloom E Khamsa main se hai k Saeed hai ya Shakki, isi Tarah kon kis kaa Beta hai yeh aesi baat hai k Jis ka ILM Siwae is ki Maa k aur kisi ko nahin hosakta, Qurbaan un Nigaahon k jo k Andheray Ujaalay, Duniya O Aakhirat sab ko Dekhti hain
×
×
  • Create New...