Jump to content

shazia shahid

اراکین
  • کل پوسٹس

    1
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About shazia shahid

shazia shahid's Achievements

Newbie

Newbie (1/14)

  • First Post
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In
  • Reacting Well Rare

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. aslamullekum mein kuch puchna chah rai thi ap se sb se pehle to mein ap ko batana chahti hun k mein ne taqreeban 4 saal pehle islam qabul keya hai mere shohar muslim hain aur pathan hain meri yeh pasand ki shadi hai hm dono ek sath job karte thy and i was christian , abh shadi se pehle en k ghar walo se meri baat cheet hoti rehti thi os waqt wo sb boht ache tareeke se pesh aty thy bt jb se shadi hui hai muje abhi tak dil se uno ne accept nai keya aur mere shohar mere sath waise hm dono boht ache aur khush rehte hain bt jaise e en k ghr wale en ko call kar k kuch kehte hain mere khilaf to sathe yeh mere sath larna shuru kar dete hain har waqt muje yeh kehte rehte hain mere behn bhai mere maa baap mere leye boht important hain mein en ki khushi ki khatri humesha koshish karti hun k meri taraf se koi aisi baat na ho jis se jhagra ho yah en ko dukh ho bt en k chote behn bhai muj se batamezi karte hain aur yeh un ko kuch nai kehte na to mere susral wale kabi mere kisi dukh mein takleef mein muje puchte hain na e mera shohar aur har month unko yahan se ache khase amount bhej dete hain mein ne kabi mana nai keya jb k yaha pura month hm boht tangi se guzarte hain mein job karti hun aur adhe se zaida expenses mein afford kar rai hun ghr k mein ne en se kabi kisi cheez ki demand nai ki humesha har baat mein en ka sath deti hun corporate karti hun bs en se yeh chahti hun k meri respect krao apne behn bhaiyo se aur jaise un k leye tm ehsas karte ho mere leye b waise e karo akhir mein tumare leye apna sb kuch chor k apni family ko naraz kar k sare darwaze band kar k yahan tumare naam pe bethi hui hun plz muje batayen k kya jb ghr mein en k 6 bhai jawan hain to en k ekele ki zemedari banti hai kya k un sb ki zemedari uthayen jb k un sb ki age job karnewali hai pare likhe b hain bs jaan k en pe depend karte hain k yeh en ki zemedari hai plz muje batayen mein kya karu
×
×
  • Create New...