Jump to content

raza brother

اراکین
  • کل پوسٹس

    2
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ raza brother نے پوسٹ کیا

  1. Bhai ham log nabi sallahu alaihi wasallam k chahne walo me se h .... mujhse bhi yahi sawal kisi ne kiya tha ..aur bht se log yahi sawalat karte h ... isiliye maine ye post dala h ... taki logo ko pata chale
  2. Allah Arsh Par Mustavi Hai Aur Woh Har Jagah Se Ba-Khabr Hai: Yeh Allah ki shaan nahi ke woh apne wajood ke saath har jagah mojood ho, uski shaan bohat azeem aur muqaddas hai, woh apne arsh par mustavi hai jaise uski shaan ko laaiq hai. Haan uska ilm, uska ba-khabr rehna woh zaroor har jagah hai, Allah har jagah se ba-khabr hai... Kam aqal logo ko unki aqal ke muttabiq logic aur hikmat se samjhana chahiye, usse bataayen ke chhoti si misaal hai, ek scientist jo America mein beth ke, dunya ke har har corner ko satellite ke zariye se dekhta hai, unka daawa hai ke woh chhoti si sui (needle) bhi dekh sakte hain. Jab America mein beth ke ek shakhs satellite ke zariye dunya ka kona kona dekh sakta hai toh kya Allah ka nizaam Google Earth Satellites se zyada advance nahi hoga??? Issi tarha Allah ki misaal hai ke woh apne Arsh par mustavi ho ke bhi poori kainaat ke koney koney se ba-khabr hai, woh sab ko sunta hai, sab ko dekhta hai, sab ke dilon ke raaz jaanta hai. Uss se kuch chhupa huwa nahi hai... Lekin yeh kehna ke Allah khud apne wajood ke saath har jagah mojood hai toh yeh intehai ghalat aqeedah hai, yeh Wahdatul Wujood ka aqeedah hai, Sufiyon ka aqeedah hai jo Shirk-e-Akbar kehlaata hai... Aur phir Rasoolullah(Salallaho alaihi wa sallam) ka meraaj par jaana, Maqaam-e-Sidra-tul-Muntaha tak jaana, Allah ke intehai qareeb jaana... Yeh tamaam saboot saabit karte hain ke Allah har jagah mojood nahi balkey woh apne Arsh par mustavi hai jaise uski shaan ko laaiq hai... Jazakallaho khairan Agar ap apne tasalli bakhs jawab pa liya ho to reply karen
×
×
  • Create New...