Jump to content

ghulameraza

اراکین
  • کل پوسٹس

    1
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

پوسٹس ںے ghulameraza کیا

  1. assalam-o-alaikum

     

    paanch waqt ki namaz hadis se sabit kare mustanad hadis se
     
    mere 1 dost hai wo takreeban 7,8 mahine se 1 shaqs se mureed ho gaya balke pehle se wo kisi aur ka mureed tha phir bhi ban gaya aur
     
    usne wahan bahut   kuch sikha jaise kaha gaya namaz 5 waqt ki ka kahin zikr nahi quran ahadees me sirf qayam karne ka huqm hai maine kaha to kayam kaise karte hai 
    usne kaha isme raaz hai peer batayega mai hamesha namaz me hun abhi bhi hun usne namaz padhna chodh diya hai zahiri paanch waqt ki 
     
    ai aapse kehna chahunga k maine use hazrat moosa alahisalam ka waqiya bataya tha wo kehta hai k bada kon hai moosa ya huzur maine kaha beshak huzur to usne kaha chota bade ko kaise keh sakta hai aur ye hadis ko sahih nahi maanta 
     
    mera dost namaz ka inkaar nahi karta wo kehta hai k paanch waqt ki namaz ka subut huzur se sabit nahi hai.k unhone padhi ya padhai. wo baatini namaz me yakin rakhta hai jo wo padhta bhi hai kehta hai mai namaz me hun
     
    simple sawal hai hadis se ref de k huzur ne 5 waqt ki namaz padhi ya padhai ho 

     

     

    mujhe ummed hai k iska ans mujhe milega maine ek aur forum auliaehind par bhi ye sawal kiya par wahan mujhe iska ans nahi mila ummed hai yahan milega 

×
×
  • Create New...