Jump to content

Muhammad Ishaq

اراکین
  • کل پوسٹس

    1
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Muhammad Ishaq

Previous Fields

  • فقہ
    Shia

Muhammad Ishaq's Achievements

Newbie

Newbie (1/14)

  • First Post
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. RasoolAllah Ka Naam Sunte Hi Angutha Chumne Ki Sharai Haesiyat Dailmi riwayat kerte hai ki Hajrat Abu Bakr Siddique ne ek baar kaha ‘ Jab maine Muazzin ko Ash’hadu anna Muharnrnadar-Rasoolullah (SallAllaho Alaihi wa Sallam) kahte hue suna toh maine wahi kaha aur kalima ke ungli ke andar ke hisse ko chuma aur apne ankho par lagaya. Jab RasoolAllah SallAllaho Alaihi wa Sallam ne ye dekha to kaha, Meri sifarish us par wazib ho jati hai jo isi tarha karta hai jaise mere mahboob ne kiya.’ (AL MAQASID AL-HASANAH HADITH 976) SOURCE OF AL MAQASID AL-HASANAH :- http://www.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?hflag=1&bk_no=1849&pid=353722 TANKEED 1. IS RIWAYAT PE MUHADDISEEN KA FAISLA. :- ۞ IMAM SAKHAWI NE KAHA : – IMAM SAKHAWI ne khud is ko riwayat karne ke baad kaha ولا يصح hadith sahi nahi hai. (AL MAQASID AL-HASANAH 450) ۞ ALLAAMAH MUHAMMAD TAAHIR NE KAHA :- “Wa Laa Yasahah” Saheeh nahi hai (TADHKIRRAH AL-MAWDHOO’AAT PAGE 36) ۞ SHAIKH MUHAMMAD KHALEEL TARBULUSEE HANAFI NE KAHA:- “Sakhawi ne Ise Inkar kiya hai aur kaha ki ye sahih nahi hai.” (AL-LULUL AL-MARSOO’AH FEEMAA AL-ASAL LAHU WABAA ASLI MAWDHOO NO.505 PAGE 168) ۞ SHEIKH ALBANI NE KAHA :- “Ye hadith sahih nahi hai aur ye Daylamee ne Musnad al-Firdaus me Abu Bakr as-Siddeeque (Marfooan) par mansoob kiya hai . Lekin ibn Taahir ne at-Tadhkirrah me kaha hai ki yeh Saheeh nahi hai aur Imaam Shawkaani ne bhi yahi kaha hai al- Hadeeth al-Mawdhoo’aah (pg.9) me aur Sakhawee ne bhi al-Maqaasid me yahi kaha hai ki ye Saheeh nai hai.” (SILSILAH AHADEETH AD-DA’EEFAH WAL-MAWDHOO’AH NO.73) 2. YE SAHIH HADITH KE KHILAF HAIIske sath sath ye sahih hadith ke khilaf hai jo kahti hai ki jab Azan suna jae to use dohra ke azan ka jawab diya jaye: Umar Farooq riwayat karte hain ke Rasool Allah ne farmaya: ‘Jab muezzin kahe Allahu Akbar pas tum bhi kaho Allahu Akbar, Phir jab muezzin kahe Ash‐hadu alla ilaaha illallah to tum bhi kaho Ash‐hadu alla ilaaha illallah, Phir jab muezzin kahe Ash‐hadu anna Muhammadur Rasool Allah tum bhi kaho Ash‐hadu anna Muhammadur Rasool Allah, Phir jab muezzin kahe Haiyya A’alas Salaah to tum kaho Laa Haula Wala Qhuwwata Illa Billah, Phir jab muazzin kahe Haiyya A’alal Falaah to tum kaho Laa Haula Wala Qhuwwata Illa Billah, Phir jab muazzin kahe Allahu Akbar pas tum bhi kaho Allahu Akbar, Phir jab muazzin kahe Laa Ilaaha illallah to tum kaho Laa Ilaaha illallah Jo shaqs apne sadq dil se muazzin ke kalimat ka jawab dega to (jawab ki barkat se) bahisht (T: Jannat) mein daaqhil hojaaega. ’ (Muslim: al Salah 385) Azan ka jawab dena boht se sahaba se riwayat kiya gaya hai, Abu Hurairah, Abee Raaf’e, Umm Habeebah, Abdullaah bin Rabee’a, A’ishah, Mu’adh, Mu’awiyyah aur digar sahabao se (Radhiallaahu Anhuma). (REFER TO TIRMIDHEE WITH TUHFAH 1/183, TALKHEES AL-HABEER 1/211, TAMHEED 10/134, IRWAA UL-GHALEEL 1/258, BAIHAQEE 1/409). 3. AHMAD RAZA KHAN BARELVI NE KHUD KAHA :-RasoolAllah ka naam sunkar anguthe ko chumna aur fir aankh par malna kisi bhi marfoo hadith se sabit nahi hai aur iske bare me jo riwayat hai wo koi bhi takrir se azad nahi, isliye jo is daleel ko nazar me rakhta hai ya is daleel pe amal karne ko sochta hai ya jo ispar amal na kare unpar ilzam lagata hai to wo beshak galti pe hai. (ABAR AL-MAQAAL FEE QIBLATIL AJLAAL PAGE 12).
×
×
  • Create New...