Jump to content

Ghulam Hajra

اراکین
  • کل پوسٹس

    4
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Ghulam Hajra نے پوسٹ کیا

  1. Yes proper NIKKAH masjid may munaqid huwa tha WALI ki mojudgi may or jaha tak iddat ki baat hay tou TALAQ k 05 mahinay 12 din baad yeh NIKKAH munaqid huwa tha jis may 02 gawaho ki mojudgi may ejab-o-qabool huwa tha.
  2. Agar kisy k Nikkah namay may likha hay k ''LARKI KAWARY HAY'' laiken larki nay mazi may court marriage ki thee or us ko divorce b hoi thee or us k bachay b nahi thay laiken yeh baat sirf larka or larki jantay thay tou kaya woh NIKKAH VALID ho ga or kaya un donou ko TAJDED-E-NIKKAH karna lazim hay? Agar Tajded-e-nikkah kar lay tou ab jo un k bachay hay kaya woh HALAL shumar ho gay?
  3. Ghulam Hajra

    Marriage After Zinnah?

    Mohtarum Janab Assalamualikum, AAP ki khidmut may aik masla rakhna chahty hu azrah-e-karam SHARIYUT ki roshni may rehnumai karay. May aik larkay say payar karti thee or us say shadi karna b chahti thee.Hum log miltay b thay laiken hum nay kabhi koi gult kaam nahi kiya tha laiken aik din wo larka mujhay apnay sath lay gaya apnay gher walo say milanay k liye laiken waha ja kar mujhay pata chala k waha tou koi b nahi hay or may qatun kisy buray iraday say nahi gaye thee laiken waha hum donou behak gaye or hum say gunah surzad ho gaya. Us fehal ki waja say mujhay pregnancy ho gaye jo k wo kisy b surat mannay ko tayyar nahi tha or duniya ki nazro say bachnay ki khatir hum nay BACK DATED STAMP per COURT MARRIAGE kar li laiken wo phir b es baat ko mannay per tayyar hi nahi tha or baqol us k may already 3 saal say shadi shuda hu or mairy aaj tak us biwi say koi aulad hi nahi hoi tou tum say kaisay mumkin hay.Yeh tum nay zarur kisi or k sath aaisa fehal kiya ho ga. Us din mujhay us say shadeed NUFRUT ho gaye or mainay usay bataye bagair ABORTION karwa liya or us k baad us say qata-tahluq kar liya or yaha yeh b bata du k wo mujhay 02 murtaba DIVORCE b day chuka tha.Us k baad us nay muj say RUJU karnay ki bohat kosish ki laiken maira dil uchat ho chuka tha us say. Phir aik larka jo muj say shadi karna chahta or hum aik dusray ko 07 saal say jantay thay wo mujhay dubara mila or us nay mairy help ki DIVORCE paper lainay may (kiyu k wo shaks mujhay blackmail kar raha tha) or us larkay nay 1 lakh 70 hazar rupay daiker us say mairay liye DIVORCE PAPERS hasil kiye or mairy us say jaan chut gaye. Wo larka muj say shadi karna chahta tha or may b us say shadi karna chahti thee laiken iddat k doran hi hum donou ka NIKKAH ho gaya kiyu k mairay gher walo ko es baat ka pata nahi tha or wo larka chahta tha k koi COURT MARRIAGE ki bajaye apnay apnay khandan walo ko manay es doran hum donou say wo fehal ho gaya jo sirf MIAN BIVI k beech ho sakta hay. Ab AAP say guzarish hay k jo fehal mainay pehlay murd k sath kiya tha Court may NIKKAH, jis may mairay WALI ko malum hi nahi tha or baad may b unho nay es NIKKAH ko QABOOL nahi kiya tha us NIKKAH ki kaya hasiyut hay or jo iddat mainay guzari hay woh 05 months 12 days hay dusray NIKKAH say pehlay, kaya wo NIKKAH theek hay? kiyu k us say aaj AL-HAMDULILLAH mairay 3 bachay b hay kaya maira 2nd NIKKAH JAIZ HAY? AAP ki tawaja ki talabgaar.
×
×
  • Create New...