Jump to content

asim10

اراکین
  • کل پوسٹس

    55
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ asim10 نے پوسٹ کیا

  1. اسلام علیکم بھایو عجیب بات ہے کہ جس بات سے شرک اور بدعت کی بدبو بھی آتی ہے اس اجتناب کرنا چاہیے۔اور آپ لوگ بجاءے اس بات کے کہ اللہ مدد بھاءی کی تعریف کریں کہ اس نے اتنی اچھی پوسٹ کی اس پر اعتراضات بھی کر رہے ہیں اور پھر اس کا جواب بھی لکھ رہے ہیں۔اللہ ہم سب کو سیدھی راہ دیکھاے آ مین
  2. asa bahi kiya app ahlay bati ke tareef kar saktay hain aour yeh kay kiya sirf yeh 4 hastiyaan he ahlay bait hain . aour ahlay bait ke quran o hadith kay lehaz say thoree see tareef kar dain
  3. buhat he acha sawal kiya hay .aur is jawab bhee isi sawal main hay.yani chunkay nabi akram saw ko kowee noor kehta hee nahin tha to is kee nafi bhee quran main naa ayee.sedhee see baat hay kay agar app saw ko kowee noor kehta too is mozo per kowee ayat milti.quran ka is mamlay main khamoosh rehna is baat ke daleel hay kay app saw noor na thay. bahi yeh mamala garamaar ka nahin hay.aik aqeeday ka masala hay.is kay leyai quran o hadith say bhee baat ho saktee hay gramar say nahin. bahi is per tehqeeq to main tab karoon jab main is hadith ko sahih samjhta hoo. main nay quran o sahih hadith say baat ke hay . aour quran o hadith kay mutabiq app saw bashar thay. app saw noor nahin thay.aour yeh baat khilafay quran hay khilafay hadith hay .abb khilafay quran o hadith juram per app jo bhee saza daina chahain woh bata dain .
  4. tum logon ka problem he yeh hay kay pehlay aik ghalt kaam kartay hoo phir us koo taweeloon say sahih sabit karna choro kar daitay hoo. noor bashar main aik ghalt riwyat to bunyand bana kar tum loog kitni behs kartay hoo. jab quran or sahih hadith paish ke jatee hay to kisi na kisi alim ka ftwa utha kr lay atay hoo. qabarain pukhta kartay hoo. jab hadith paish ke ja aiy kay aisa na karoo to taweelain shoro. khatam waghaira karwatay hoo jab kaha ja aiy kay ghair allah kay naam per kuch bhee daina haram ay to too taweelain choro. biddat kar kay phir biddat ke taweel shoro kay kay fallan alin biddat saiya kaha hay aour falan alin nay biddat hassana kaha. oh bahi kabhi to taqleed say bahir nikal kar quran o hadith ho khub bhee parh loo. yaar allah kay leyai , main tumhain dawat daita hoon.kay asal deen ke taraf loot aa ooo.jazakallah khairan.
  5. noor aiy khuda aour noor main faraq nahin mila dingoo.aour yahan baat ho raheee hay mr ali hijvairee kee noor ke nahin.is jawab doo mr . who is this taqi nad rafi.aour main un ka kamoon ka zimay daar nahin. if u r not a dumb and brainless ,then go and check other threads where i have proved that.
  6. bahi sahib mishkar ho ya sahib bukhari jo kowee bhee ghalt baat karay gha woh ghalt he ho ghee.aour mujhay plz kisi web site ka na batain. main khud itni aqal rakhta hoon kay apnay deen ko samjh sakoon , allah nay quran main kaha kay hum nay is deen ko asan banaya.to phir mushkil kiya hay. mera khiyal hay kay app kay her swal ka jawab dainay ke koshish to ke hay agar phir kisi sawal ka jawab na diya hoo to ap plz duhra dain.
  7. my dear this is just baseless quote, and i think u will never get ref for this.
  8. bahi sahib poree baat kartay sirf adhi baat kar kay choor diya.is ka matalb samjhatay sael koo.aour maira bhee yehee sawal hay kay kiya is jagha allah ka noor zahir howa tha.kiya ali hajwairee sahib allah ka noor thay,kiuonkya yahan to un he ka mazar hay. why should i go to any other place.if u dont have answer just tell us ,dont explain it, as u tried. no this is not ture ,acordding to quran and sahih hadith nabi akram was not noor but bashar.
  9. asa pata nahin app lgon ko her baat main larnay jhagrnay kee aadat kiuon hay.bajaiya is kay app in sahib ka jawab daitay , app mujh say uljh paray .buhat khoob ,bahi app un ka jawab dain .madni nay kiya kaha is ka main zimadaar nahin.aour ulema deoband kay kisi bhee alim ka agar kowee fatwa khilafay shariyat hay to woh mardood hay. yar agar app ka mazhab itna he sucha hay to plz jawab diya karain ,aour woh bhee quran o sunnat say. aour maira kowee alim nahin hay.allah nay mujhay itni aqal dee hay kay main khud bhee kowee faisala kar sakoon alhamdolillah.
  10. mashallah bara he acha sawal hay , main bhee intezar karoon ghay.kiuon kay nabi akaram saw ko bhee allah ka noor kaha jata hay .hadith noor ke taraf maira ishara hay.
  11. bahi sahib jab yeh kisi kitab main hay he nahin to kis tarha say mohadiseen nay isi naqal kiya..aour dosree baat kay jab yeh hay hee quran o sahih ahadith kay khilaf to phir kowee bhee mohadith hoo chahay imam bukhari hee hoon un ke baat bhee naqabilay amal ho ghee. yeh topic kayee fourm per chal rah hay aour her jagha sirf or sirf yehee baat duhrayee ja rahee hay kay janab isay chunkay buhat say mohadatheen nay naqal kar diya hay is leyai sahih hay.mashallah kiya tarz aiy istadlal hay. ubaid bahi main nay isay khilafay quran o hadith kaha hay to yeh naiay fatawa na howa bulkay usoolay hadith ke bunyad hay. allah dar al uloom waloon ke bhee ankahain kholay aour un ko bhee hidayat day.aour taqleed say bahir nikal kar sochnay ke toufeeq day.ameen bahi mera yeh kehana hay kay app saw noor thay hee nahin bulaky app ke taleemat ,o irshadat noor thay.aour qiyamat tak yeh her muslaman kay leyai noor he rahain ghay.aour hum isi noor kay nateejay main quran o deen ko samhj saktay hain. to kiya kabhi sydna jabareel ko bashar kaha .nahin. kiuon kay woh noor thay is leyai agar woh kabhi bashri roop main app bhee gayai to noor he kehlatay hain. aour main buaht achee tarha janta hoon kay app mairee is baat ko too tasleem nahin karain .ghay.magar app saw ko noor sabit karna shia ka kaam hay.aour us ke wajha woh apnay imamoon ko nooree makhlooq kehtay hain.aour un kay imam jab hee noor sabit ho saktay hain kay jab nabi akram saw ko noor kaha ja aiy .warna to aitraz karnay walay shia ko tanna day saktay hain kay tumharay imam kaisay noor hay jab kay tumharay nabi saw bashar hain. isi aitraz say bachnay ke wajah say shia yeh riwyat gharee kay app saw noor hain.app to shayad is baat ko na manain.magar aik riwyat main yeh baat kahee gayee kay main aour ali noor say banain hain. bahi jo baat haq hoo usay manain . magar aik baat hay app nay mairee kisi ayat per kowee baat nahin likhi.
  12. asa yeh riwyat buhat jagha per mozo behs rahee hay .aour her dafa is per sub say bara aitraz he yeh hay kay is kee sannad kowee nahin .aour jis kitab ka hawala diya jata hay ,us kay bhee jis hisay main yeh riwyat batayee jatee hay woh ghum shuda hay. abb sawal to yeh hay kay jab yeh riwayat kisi kitab main mojod hee nahin to phir is say estadlal kaisa. aik sahib nay likha kay dubai kay aik mohaqiq nay is per tehqeeq kee hay.yahan bhee yeh sawal hay kay woh tehqeeq kiya thee.kiya unhoon nay us kitab ko talalsh kiya.ya woh kitab un ko kaheen say wirsay main mili.akhir un kee tehqeeq kis baat per thee. abb yahan per aik baat aour hay , kay sannad pochnay walay us ko sanadan ghalt sabit karna chahtay hain.halnakay yeh riwyat sandan bhee ghalt hay mitannan bhee.is leyai kay yeh khilafay quran hay .khilafay hadith hay. khilfay quran is leyai kay quran nay anbiya ko bashar he kaha hay noor nahin.allah aik jagha kehta hay kay agar duniya main kowee farishtay hotay too main farishta hee paighambar behjta .isi tarha allah nay kaha kay main nay sub say behtar taour per insan ko tehleeq kiya hay.yeh kuch intehayee mukhtasir dalail qurani hain jo is baat ka ishara kar rahay hain kay nabi insan hee hota hay. isi tarha kam o baish 45 ahadith aisee hain jis main nabi akram saw nay apnay app ko bashar kaha hay .inhee main kuch ahadith aisee hain jis main kisi sahabi nay app ko bashar kaha hay. in dalail kay hotay howay yeh baat buhat he wazeh hay kay yeh riwyat theek nahin.aour is per esrar karna bhee theek nahin. aik request hay aik dosray ko buray namoon say yaad karnay say behtar hay hum ekhlaq say baat karain.jazakallah khairan
  13. bus thus ho gaiyai.hawa nikal gayee. aamir sahib mirza sahib ka dawa bhee isi tarha jhota tha.jis tarha maira tha.kaisay ho sakta hay kay aik shakhs nabi bhee hoo,aour allah us ke kowee bhee baat poree na karaiy.ap kehtay hain quran say nabi ke sadakat ka maiyar dekha oo. to mairay dost app agar khud talash kartay to app ko kabhi bhee yeh sawal hum say na karna parta. quran main kayee anbiya kay waqiyat hain aour un ko parhanay say pta chalta hay kay kisi bhee nabi nay jab bhee kabhi kowee paishan goyee kee.sachi kee.jab bhee kowee baat ke suchee ke.sahih kee.yani quran ko parhnay say pata chalta hay kay kowee nabi jhoot nahin boltay thay. laikin mairay dost app khud he zara mirza sahib ke paishan gooeeyan dekh lain.kisi aik kay bhee such honay ka baray main mujhay ilm nahin ,agar app ko kisi aisee paishan gowee ka pata ho too bata dain.magar maira dawa hay kay app aisa nahin kar saktay. main nay pehlay bhee kuch jhoot jo mirza nay bolain hain ,,batayai hain .app nay un ka to kowee jawab na diya magar humain yahoodee keh kar apnay dil ko mutmaeen kar liya. yaar plz main app ko kehta hoo aik din kisi kamray main aik copy pencil lay kar baith jaa ain .aour apnay dil say wada kar lain kay ajj mirza sahib per tehqeeq karnee hay , agar woh suchay howay to sucha man naa hay,aour agar jhotay niklay to chor daina hay. maira yeh dawa hay kay app zaroor haqeeqat tak punch ja ain ghay.inshallah. main app ko yeh nahin kehta kay app qadyaniyat chor dain .bulkay sirf yeh kehta hoo kay sadqay dil say app nay yeh tehqeeq karnee hay aour allah say dua bhee karnee hay kay ya allah mujhay haq tak puncha day , inshallah ap zaroor haq tak punchain ghay ,inshallah.
  14. app tamam logon kay dalail apnee jagha magar mujhay yeh samjh nahin atee kay jab NABI AKARM SAW nay bidaat ko zalalat kaha hay to app kiuon is tashreeh o taweel kar rahay hain.kiya ap kowee bidat kartay hain ya app biddat karna chahtay hain.
  15. aamir sahib app nay mujha jhutla diya.is ka matlab hay kay main qadiyanioon ka naiya nabi hoo. kiunkay app nay jo maiyar nabowat bataya hay us main app nay kaha tha kay agar kisi nabi ko jhutlaya jaa aiy to woh such hota hay .is leyai main app ka naiya nabi hoon. mairee suchayee kee nishani bhee main nay bata dee . kay uncle techee techee nay mujhay app logoon ka nabi banaya hay.abb ya to teechi teechi ko jhutla dain ya mujhay apna nabi maan lain. dosree baat main nay qadyanion ka nabi kaha hay qadiyan ka nabi nahin.aour saree duniya app ko qadyani kehtee hay. to app ko kiya sharm hay is naam say pukarnay main.akhir mirza kay naam kay akhir main bhee to qadyani ata hay .
  16. bilkul mairee tasalee ho gayee kay mirza ka aik aour jhoot hum nay alhamdolillah sabit kar diya.abb to maan loo kay mirza jhoota hay. aour mairee post ka bhee agar jawab hay too day doo .
  17. bahi app sydna umar he kee baat manain.per sawal to yehe hay kay kiya sydna umar rz kowee biddat ejad kar saktay thay.nahin kabhi nahin.to is ka seedha sa matlab yeh hay kay yeh alfaz sydna umar nay istlahan nahin kahay .aour app jo hadith scan kee hay plz is say aghay ke kuch ahdith bhee parh laitay , jis main nabi akram saw raat ko masjid main nimaz parhanay nikaltay hain to app kay sath sahaba bhee jama hona shoro ho jatay hain , dosree rat aour bhee ziyda sahaba jama ho jatay hain. tesree raat bhee isi tarha hota hay .to yeh is baat ka saboot hay kay nwafil bajamat aik imam kay pechay parhna sunnat aiy rasool saw hay na kay biddat. app nay shayad mairee post ghaor say nahin parhee.main nay nafal nimaz ke baat ke thee,tarawee ke nahin.aour main nay yehee kaha tha kay nafal nimaz bajamat bhee parhee ja saktee hay our akailay bhee. yad rakhain kay sahaba ka kiya howa kowee bhee humaray leyai qabilay amal hay aour woh is leyai kay app saw nay farmaya kay "alikum bee sunnatee wa sunatil khulfa ar rashideen al mahdeeyeen."is leyai sahaba karam kay kisi bhee amal ko biddat kehna ghunah ka kaam hay.
  18. bahi sahib is hadith ka jo matlab app lay rahay hain to us ke wajha say to kowee bhee biddat na howee , phir to shia bhee sahih hain , qadyani bhee sahih hain.aour dosree jitni bhee jamatain hay woh sub sahih hain kiuon kay is sub kay mutabiq to in ka her kaam acha hee hay aour woh isay deen ka hisa bana kar hee paish kartay hain. bahi is hadith ka matalb bara seedha hay kay agar kowee naik kaam jis ka main sirf aik lafz say ezhar karoon gha,sadqa jariya.kiya jaaiy to us ko us ka ajar qiyamat tak milay gha.is main buhat say kaam ho saktay hain.app kahain pani ka entezam kar saktay hain.app kahee kowee darakht laga saktay hain,app kis ko taleem dilwa saktay hain. aour is qisam kay naik kaam jo app kay baad bhee jaree rahain to,is ajar app ko qiyamat tak milta rahay gha. aour agar kowee bura kaam choro karay ghay to us ka ajar us ko qiyamat tak milay gha.maslan app video ke shop kholtay hain to is say ziyda emkan burayee phailnay ka hay.app apnay parosee ko nuqsan punchatay hain.app apnay muhalay kay bachoon ko ghalt rah per laga daitay hain.ya is qabeel kay kowee bhee aour kaam kartay hain to in kamoon say jab tak burayee chaltee rahay ghee app ko is ka ajar milata rahay ghay. abb is hadith say app nay deen main nayai kaam ke ejad say kaisay mila diya.halankay is hadith main bara he wazeh taour per kaha gaiya hay kay agar deen main kowee acha kaam jaree karay gha.nayai kaam ka too nahin kaha gaiya mairay bahi. aour aik baat aour bata doon main kisi alim sahib ke taqleed nahin karta chahay woh deobandi hoo, ahalay hadith hoo ya kowee bhee aour ,jab tak kay woh quran o hadith say apni baat sabit na karay .
  19. asa tarwee biddat nahin hay il leyai kay ,taraweeh aik nafal nimaz hay aour yeh akailay akailay bhee parhee ja saktee hay aour bajamat bhe. app saw nay 3 din tak bajamat yeh nafal nimaz ada ke.sahaba rz ap saw kay samnay bajamat nafal nimaz ada kartay thay.is leyia app is ko sunnat he kahain ghay.biddat nahi.
  20. abid bahi app ke is tehreer main buhat see batain khilfay haqeeqat hain. sub say pehlee bat to yehe hay kay nabi akram saw nay farmaya "QULLOO BIDAAH ZALALAH" yani her biddat zalalat hay.bahi jab itni app saw ka qaool hay kay her qisam ke biddat zalalat hay to woh biddat chahay saeeya hoo ya hasana woh qullo main dakhil hoon ghee. app nay likha kay ,deen main fiqah ya ejtehad say kaam laina bhee biddat main shumar ho gha.bahi ehtehad ka matalb kiya zara is per ghaour kar laitay to yeh na likhtay.ejtehad ka matalb he yeh hay kay kisi masallay per agar quran o sunnat main nas mojod na hoo to quran o sunnat he koo samnay rakh kar ,hall nikala ja aiy.aour mairay bahi yaad rahay yeh masala sharayee bhee ho sakta hay aour ghair sharayee bhee. dosree bat kay bahi app nay deen main kisi nayai kaam ,aour deen kay leyai kisi nayai kaam ka farq he mita diya.bahi yeh dono alehda alehda estlahat hain ,kuch loog aitraz kartay hain kay pehlay masjidoon kay minar nahin thay abb kiuon hain. to bhai masjid kay minar sirf khubsortee kay leyai hain. na kay yeh masjid main kee janay wali ebadat ka hisa hain.agar kisi masjid ka minar na bhee ho too us main bhee nimaz ho ja aiy ghe.is lehaz say minaroon ke kowee sharayee haisiyat nahin .isi tarha kay aour bhee buhat say dosray mamlat hain jin ke ghalt tashree kee gayee hay.
  21. is ka matalab hay kay tum mujhay tasleem nahin kartay.
  22. to batatay kiuon nahin. roo kiuon rahay hoo.
  23. yaar tum nay abb tak kisi bhee bat ka jawab nahin diya phir baat agay kiuon shoro kar daitay hoo.pehlay jawad diya karoo phir lantain behja karoo.
  24. zara sydna elyas ke paisheen goi ka ref day doo. aour nabi akram saw apna baad kisi nabi kay naa anay ke bhee paisheen ghoee kar kay gaye hain.
  25. aamir sahib hum app per aitraz to kar hee nahin rahay , hum too yeh keh rahay hain kay mirza jhoota hay aour us kay jhoot kay saboot us ke kitaboon say nikal kar dekha rahay hain per jab allah nay app ko hidayat dainee ho ghee tab hee app seedhay rasatay per ain ghay, inshallah hum to sirf koshish kar rahay hain.
×
×
  • Create New...