-
Content Count
16 -
Joined
-
Last visited
Everything posted by syed arsalan ali
-
Asalam o Alikum Warahmatullah Mri aap sab sey guzarish hai k barah karm Nikah k baad Mehar ki Raqm ka tafseeli jawab tehreer kren kiun k ek shakhs ne nikah kiya, Koi azdawaji talluq banaye bina hi Larki ko talaaq dedi, Aur Us Larki ne Apna Mehar maaf kerdiya tha lkn kuch saal baad wohi Larki Us larke sey Mehar ki Raqm ka mutalba kerti hai. Kya Mehar Maaf kerne k baad larki apne Mehar ka mutalba kerskti hai jab k uski shadi kisi aur sey hogai.? Aur kya bina Azdawaji Rishta Qaim hue Larke pe us Larki k Mehar ki Raqm ki Adagi Farz hogi.?? barahkarm Rehnumai Farmayn. jaza ka
-
Jaza ka ALLAH itne prompt reply k liye Sybarite! ALLAH pak apk naafe ilm main izafa farmaye. Ek aur hadith ki scan copy chaiyeh urgent basis pey jo k bahut mashhoor hai. AHADITH SHAREEF:. Nabi-E-Karim Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya. "Mere Jaisa Nam Rakh Lo. Lekin Meri Kun'niyat ikhteyar Na Karo. Kyu Ke Mujhe Qasim Bana Kar Bheja Gaya Hai. Aur Main Tumhare Darmiyan Taqseem Karta hu'n". (Muslim shreef, Jild 3, Page 126) Barah kram jitni jald hoskye kindly send me
-
Namaz e istasqa pura baab bandha hai imaam Bukhari ne Bukhari sharif men k kis tarah ek sahabi e rasool (Sallallaho alihi wa alihi wasallum) aaker arz kertey :"ya rasool ALLAH (sallallaho alihi wa alihi wasallum) janwar marrahey hen, qehat hochuka faslen tabah horahin" juma ka din ap (sallallaho alihi wa alihi wasallum) minbar per jalwa afrooz hain, usi lamhe hath buland kiye (yeh nahi kaha k ae bande tum masjid men aak mjhsey kiu kehrahey ho ALLAH sey mango) Aur dua shru ki, abhi hath nechey bhi na hue they k barish shru hogai. (bukhari shareef-namaz istasqa) Mjhe iska reference chiayeh j
-
Waseela/tawassul Ki Ahadith Ka Scan
syed arsalan ali replied to syed arsalan ali's topic in Reference & Scan Pages Requests
Jaza ka ALLAH khair, sach men bahut khushi horahi K Itne mozu aur mustanad hawale diye aap sab ne WASEELE k bayan pey. ALLAH pak ap sab ko is mah e mubarak ki khusosi barkat, ALLAH apne aur apne habeeb ( SALLALLAHO ALIHI WA ALIHI WASALLUM) ki raza k sath naseeb ata farmaye. ameen -
Salaam bhaiyon, Asal main mamla to khatam hochuka ab lkn main ney jis web se hadees quote ki thi wahan "mere baad " ki qaid lagi thi is waja sey woh shakhs wahin atka hua k yehi hadees lak dikhayen aap muslim ki. Khair, mamla khatam hochuka ab waseele pe baat horahi Qur'an k hawale sey. Agar is main bhi madad kersken ap sab to jaza ka ALLAH. Behad achi tarah info di aap sab ne isk liye ALLAH pak apk deen aur dunya dono main barkaten ata farmaye, ameen S.Arsalan.Ali
-
Doston, Ab baat yahan pe atki hai k woh janab kehrahey k is hadees main "mere baad" k alfaaz kahan hain. Kiun k jo hadees quote ki us main "mere baad" k alfaaz mojud hone chiayeh. Kindly urgent help kren is baare men https://www.facebook.com/sumra.sohail.5/posts/145476525858106?comment_id=147378765667882&ref=notif¬if_t=feed_comment_reply¬if_id=1465862967687936
-
Assalam o alikum tamam sahi ul aqeeda sunni musalmanon ko, Jaza ka ALLAH khair K ap sab ne itni achi tarah madad ki mri taraf sey ap sab k liye dheron duain aur naik tamannayen, ALLAH pak ap sab k ilm men barkat ata farmaye. Main pehli bar yeh forum use kerraha as a member aur ap sab ki waja sey aaj fakhar hai mjhey k alhumduLILLAH hum sahi ul aqeeda hanfi brelvi hain. Dil sey shukar guzar hun ap sab ka Jaza ka ALLAH ASSALATU WASSALAMU ALAIKA YA RASOOL ALLAH ASSALATU WASSALAMU ALAIKA YA HABEEB ALLAH ASSALATU WASSALAMU ALAIKA YA REHMAT TAL TIL AALMEEN.
-
Jaza ka ALLAH khair itni achi post k liye.!! Agr hoskey to hadees ka reference send kerden ya URDU bataden kiu k jin hazrat sey batain horahin woh ab URDU pe agaye hain k mjhey URDU send kerden iski badi meherbani hogi ap sab ki . Jaza ka ALLAH ek baar phr ALLAH apk deen ki smjh main aur barkat aur Sahi ul aqeeda rehni ki toufeeq ata farmey.
-
SURAH KAHF ki akhri ayat main is tarah hai jo k bad mazhab ehle hadees ko jawab dena ab aur kisi aalim sey mri mulaqaat ho nahi rahi. "Kul innama ana basharum mislukum" Is ayat k tarjume men kanzul eman men tarjuma hai jiska mafhoom hai k "main zahri surat main tum jesa bashar hun" is ayat main ZAHRI surat ki arabi kaha hai.?? Jaza ka ALLAH
-
Salaam tamam sahi ul aqeedah musalmanon ko, Mjhey scan copy chaiyeh is hadees ki barah karam thori help kijiye, Mere Baad Koi Aisa Amal Jaari Kare Jo Deen Ki Asal Se Mutazad Na Ho Qayamat Tak Us Pe Amal Karne Walon Ka Bi Sawab Paye Ga (Muslim) Yeh bidah hasana sey mutalliq urgent chaiyeh, Jaza ka ALLAH