Jump to content

Salman Alam

اراکین
  • کل پوسٹس

    10
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Salman Alam نے پوسٹ کیا

  1. Thanks for sharing this knowledge. Darood e Taj kay kuch benefits bhi hain jo mundarja zel hai.
  2. IslamiWazaif for hajat dua jaldi qabool hone ki dua Agar ap chahen kay Allah apki hajat ko poora farmaen to soorah Fatiha ko is tarha se parhen jo kay ooper picture mai ap dekh sakte hain. Ye amal itwar kay din fajar ki sunnaton aur farzon kay darmiyan karen aur hafte kay din tak usi waqt yani fajar ki sunnaton aur farzon kay darmiyan roz parhen, itwar yani pehle din 70 baar parhen aur phir rozana 10 10 kam karte jaen, chunacha peer kay din 60 baar , mangal 50 bar, budh 40 bar, jumerat 30 bar, jumma 20 bar aur hafte kay din 10 baar parhen. Insha Allah is apki jo bhi dua e hajat ya dua hajat ya koi murad hogi wo puri hojaegi.
  3. Shab e qadr aur Taaq raaton ki Maloomat: Hazrat Abuzar R.A farmate hain ke mai ne Huzoor Peace Be Upon Him arz kia ke shab e qadr nabi ke zamana ke saath khas rehti hai ya baad mai bhi hoti hai? huzoor peace be upon him ne farmaya qayamat tak rahegi mai ne gharz kia Ramzan ke kis hisse mai hoti hai? Aap Peace Be Upon Him ne farmaya kay ashra awwal aur ashra akhir mai talash karo, phir huzoor peace be upon him baaton mai mashghool hogae, mai ne moqa pa kar arz kia huzoor! ye batla dijiye ke ashra ke kon se hisse mai hoti hai. Huzoor Peace Be Upon Him itne naraz hue ke na is se qabal mujh par itne khafa hue the aur na baad mai hue aur farmaya ke agar Allah Jal Shana ka ye maqsood hota to batla na dete, akhir ki 7 raaton mai talash karo, bas is ke baad kuch na pucho.
  4. Roza Daron Ke Liye Ramadan Ka Tohfa Ramzan ki Fazilat aur Iski Barkaton ka Asar
  5. Ramzan mai Roza dar ke fazail o ehmiyat
  6. Shadi Mai Rukawat Ke Liye Islami Wazifa Kya kisi ke pas aur information hai is hawale se to please share karen.
  7. Salman Alam

    15 Shaban ki Haqeeqat Kya hai?

    Shab e Barat kya hai aur Kiun Afzal hai?
  8. AZAAN KAY JAWAB KI FAZILAT: Mo’zin azaan de to in ke kalimat ko sunne wala dohrata jae kiun ke Nabi Akram Peace Be Upon Him ne farmaya hai ke jo shaks in kalimat ko dil se dohraega wo jannat mai dakhil hoga. Azan ke kalimat to hu bahu wahi kahe jaenge sirf “HAYYA AlASSALAA” aur “HAYYA ALALFALAH” ke jawab mai “LAA HAULA WALA QUWWATA ILLA BILLA” kaha jaega aur subah ki azan mai “ASSALATU KHAIRUM MINAN NAUM” kaha jata hai is ke jawab mai sunne wala “SADAQTA WA BARIRTA WABILHAQQI NATAQTA” kahega.
×
×
  • Create New...