Jump to content

devesh

اراکین
  • کل پوسٹس

    5
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ devesh نے پوسٹ کیا

  1. devesh

    Shaadi ki rasoomaat

    Meri aaj alhamdulillah shaadi huwi magar kuch kami phir bhi mahsoos ho rahi. Meri khaish thi kay meri shaadi mein wo kaam na ho jo aaj kal raij hein jis mein shariat ki parwa nahin. Maslan rasam-e-mehndi or dulha dulhan ko stage par bitana ghair maharim kay sameney. Ye baaatein jo chali aa rahi is pay hamaray jo buzurg hein wo inhein chorney kay tyaar bilkil nahin. Meri shaadi UK mein huwi or main ye jaana chata hu kay kya ye ghair shar'i rasoomat karachi mein bhi aam hein ya bazurg 'ulama ki baat maan letey hein. Dua farmaey kay allah mujhey or mei bivi ko shariat kay mutabiq zindagi guzarnay ki tofeeq ata farmaey.
  2. behen bhaiyon Ameer--ahle sunnat ka taaza tareen muzakara isi hawaley sey deykhyey aur phir faysla karay. http://uk.youtube.com/watch?v=FXqGPouvcJk&...feature=related Yaqeenan kuch faraq mufti akmal kaey fatway sey. Is ko bhi mad-e-nazar rakhna chahiyey kay qtv key shuhra afaak thana khwaan ziyaada tar fee fix kartey hein aur merey khyaal mein iska bhi kuch mudakhilat that mufti sahib kay fatway par. ye UK mein iyk bohat bara masala hey hamarey liye kyunkey ye gustakho ko angusht-e-tanqeed ka mowq mila.
  3. devesh

    Arif Attari in Faizan-e-madina

    http://www.youtube.com/watch?v=xm6FCWmYzGs...feature=related Is clip mein Arif attari ghaliban mubaligheen kay saat practice kar rahey. Allah ne inhein khoobsurat andaaz say nawaaza hey.
  4. devesh

    waqt ki ujrat or naat khwaani???

    Mufti Akmal sey pooch gya that kay na'at khwaano ko fee demand karna jaiz he ya nahin. Unho ney jawaab mein kahaan ye haraam hey mager waqt ki fee leyney mein harh nahin. Isi kay mutalaq Ameer e ahle sunnat sey poocha gya unho ney is sey kuch itiraz kiya. Aap logon ka kya khayal hein. Ye bohat wazih hein hamarey pasandeedah thana khwan fee demand kartey hein aor isey aik karobar bana dya hein. Mujehy bohat dukh is baat par mahsoos hota hai.
  5. Mein ne Ameer e Ahle sunnat ka aik kalaam chand saal suna tha jo mujhey kahi sey nahi mil raha. merey khayal mein ye Imran shaikh key awaaz mein thi magar bohat doondnay kay bawajood naat haasil nahin huwi. Baraey madina agar kisi kay paas kalaam hein tho post kijiye.
×
×
  • Create New...