Jump to content

Exothermic07

اراکین
  • کل پوسٹس

    48
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Exothermic07 نے پوسٹ کیا

  1. Bohat piyari pictures post ki hain ap nay. Allah ap ko khush rakhay, Aameen
  2. JizakAllah May Allah help us recite Holy Quran beautifully and memorize all of it and learn its meaning and act on it's orders and also teach it to others. Aameen
  3. Exothermic07

    اقبال میرے خواب میں

    اقبال میرے خواب میں شب گزری ایک عالم اضطراب میں کل آگئے اقبال میرے خواب میں پوچھا! کیا ارض وطن کے حال ہیں عرض کی! کہیں ہڑبونگ کہیں ہڑتال ہیں پوچھا! کیسی ہیں ملت اسلامیہ کی شام و سحر عرض کی! مضطرب ہیں سبھی کراچی تا کاشگھر بولے! کچھ میرے درس مساوات یاد ہیں عرض کی! اب تو بس اپنے اپنے طبقات یاد ہیں کیا باقی ہیں قائد کہ افکار و ہنر وہ تنظیم و یقین عرض کی! علامہ اتنی چیزیں تو کبھی ہم میں تھی ہی نہیں مایوس لگے! کہ یعنی اپنے قائد کہ احسانات بھول گئے عرض کی! جی آقا ہم واقعی اپنی اوقات بھول گئے امید سے پوچھے! وہ جو فقیرانہ خدی کی میں نے تعلیم کی عرض کی! اس میں تو ہر لیڈر نے اپنی اپنی مرضی کی ترامیم کی کہا! مگر میں نے تو تبلیغ طرز شاہین کی عرض کی! لیکن مشرف نے نیوٹرل رہنے کی تلقین کی پوچھا! کیا ہوا ایسا کہ مرد مومن سہما سا ہے عرض کی! "بش" نے پوچھا تھا "بتا تیری رضا کیا ہے" پوچھا! کیا وہ عقیدت جو گنبد قصر سلطانی سے تھی عرض کی! مرشد اب تو وہ ایشوریا سے ہے کل تک رانی سے تھی بولے! کیا اب بھی وہی غیرت پختون اور افغان میں ہے عرض کی! بہت تھوڑی سی مگر شاہ رخ خان میں ہے اور وہ جذبہ جو کبھی جمال الدین افغانی میں تھا عرض کی! کچھ دنوں تک تو دیکھا سندھ کہ پانی میں تھا افسوس! وہی بے نوری، وہی اشک ہیں میرے نرگس چمن میں پیر و مرشد! بس ایک آپ ہی دیدہ ور تھے سارے وطن میں یعنی امن کی فاختہ، وہ دردمند بلبل سو گئے نہیں حضور امریکی کب کہ قابض کابل ہو گئے فرمایا! فتح صرف اور صرف تعلیم و ایجاد میں ہے عرض کی! جی اسی لئے جنیئس گورا آجکل بغداد میں ہے پوچھا! کیا مرد مومن سبھی بے حس ہوگئے ہیں عرض کی! نہیں سر کہیں کہیں پرچم اور پتلے جلے ہیں اب کہ پوچھا! کیا اگلے وقتوں کی ہی کوئی تیاری ہے عرض کی! یس سر ہم تیار ہیں عراق کہ بعد اپنی ہی باری ہے پوچھا! کیا نہیں چاہتا مومن کہ خاتمہ بخیر ہو عرض کی! مگر کوئی نہیں چاہتا امریکا کو اس سے بیر ہو جھلا کر بولے! شکوہ کہ ساتھ میرا جواب شکوہ بھی سمجھا ہوتا عرض کی! علامہ صاحب صرف سمجھ بوجھ لینے سے بھی کیا معجزہ ہوتا کیا ہجرت کی داستاں بھی نہیں سنائی کسی نے یس سر جنھوں نے سنائی پھر لوٹا ہے انہی نے افسوس! کہیں بھی وطن میں ضرب کلیمانہ نہیں مرشد! یہ تو ہے کہ اب جنگ پر تو ہمیں جانا نہیں جاتے ہوئے بولے! یعنی اب ذرا بھی اتحاد نہیں ملت کی نگبہانی کیلئے عرض کی! نہیں حضرت! اب بھی "ایک ہیں مسلم ملت کی پاسبانی کیلئے
  4. Bhai jan main apki baat say ittefaq karta hoon keh naats kay saath saath ulema ki taqreerain sun na bhi bohat zaroori hai. Ap nay kaha tha keh youtube par ziyada tar log sirf naats hi upload kartay hain. Yeh baat sahi hai Is ki waja, meray khayal main wohi hai jo ap nay kaha tha keh log kam ilm hai... naats upload karnay kay liye samjhnay ki zaroorat nahi hoti, ilm ki zaroorat nahi hoti. Upload karna bohat aasaan hai. Magar aqeeday ka difa karnay kay liye ilm zaroori hota hai. Jin logon kay paas ilm hai (maslan ap) woh beshak aqeeday ka difa bhi kar rahey hain. Allah aeson ko jaza khair ata farmaey. Ameen Aesi videos kay liye kissi ilm waley ki madad bhi chahiye hoti hai... maslan main Maslak AlaHazrat kay introduction ki aik video banana chahta hoon magar meray paas itni ziyada information nahi hai Agar koi help karnay wala ho to yeh kaam bara aasan hota hai. Waisay AlaHazrat ka kalam bhi to itna piyara hai keh log naats upload kartay jatey hain. Aur yeh bhi dosron ko impress karnay ka behtareen zariya hai, keh dekho to hamaray Imam ka kalam kitna mazay ka hai... arey unka to saara khandan hi Ala hai! Issi waja say main Un ki videos upload karta hoon
  5. Khalil bhai, ap ka bohat shukriya. Allah apko ajar azeem ata farmaey, ap ki lambi zindagi karay sukh sehat wali aur iman par khatma karay. Hamara bhi. Aameen Allah karay ap issi tarha logon ki madad deen kay muamlay main kartey raho. Allah apko jhush rakhay. Ameen
  6. Exothermic07

    Sharha-e-Hadaiq Bakhshish ki video

    Meray aik dost ko is kitab ka link Islami Mehfil say mila tha... unhon nay mujhay diya to to main bohat khush huwa aur main nay socha isko doosron kay saath share karna chahiye. Main nay isko share karnay kay liye youtube par aik video banai hai. Umeed hai keh jis bhai nay yeh link yahan post kiya tha woh bura nahi manay gay keh main nay unki ijazat nahi li. Agar woh mujh say ruju karain to inshAllah main unka naam is video kay saath likh loon ga. Ab main aik aur video bana nay ka soch raha hoon. Main chahta hoon keh Maslak AlaHazrat ya Maslak Ahle sunnat ka English mian ta'aruf karaon. Magar is topic ka meray paas ziyada ilm nahi hai. Agar koi bhai sawab kamana chahta hai to jitni information uskay paas ho aur jo uski raey ho keh konsi batein video main kehni chahiye, woh is topic main add kar day. Sharha Hadaiq Bakhshish ka link yeh hai: JizakAllah.
  7. Innalillahi wa inna ilaihi raji'oon Allah in par apni rehmatain nazil farmai, in kay darjaat buland farmaey aur apnay piyaron kay wastay ham sab ki bhi bakhshish farmaey, Ameen Yeh to kafi jawan ma'loom hotay hain. Un ki wafat kesay huwi?
  8. Bhai jaan apki baat aik had tak sahi hai magar meray khiyaal main AlaHazrat ki naats upload karna... aqaid Ahl-e-Sunnat ko promote karna aur un ka difaa karna hai. AlaHazrat ka saara kalam aqaid-e-Ahle sunnat ki tashreeh hai
  9. 10 Manqabats of AlaHazrat on this site: http://www.nooremadinah.net/MediaLibrary/M...at-e-Aalahazrat
  10. I am attaching a beautiful naat written by the great grandson of A'laHazrat rahmatAllah alaihi: Moulana Akhtar Raza Khan Barelvi damatbarkatuhum aali'a Be Blessed:
  11. Alas! Ramadan is leaving us again and I am sad I did not take full advantage of it and did not do a lot of Ibadat. May Allah have mercy on us all and have us see many many more Ramadans and worship Him as much as we can. May Allah increase our Iman and help us prepare for the day of Aakhirat. Ameen
  12. SubhanAllah, very nice pictures by everyone... especially Faizan-e-Mustafa, Qufl e Madinah, Madina meri Jaan (love the pics with purple sky ) Hanafi Muslima (love the pic with the semi circular doorway) and Shamsheer-e-Ala Hazrat (I know U ). Please keep on posting; Allah ham sab ko wahan jana jald naseeb karey aur waheen hamara iman par khatma farmaey, Aameen! Here are some more...
  13. Main Huzoor Akram kay sab ikhtiyarat ko manta hoon. Main ahl-e-sunnat kay aqeeday say inkar nahi kar raha balkey sirf samajhnay ki koshish kar raha hoon. Mujhay bas yeh baat samajh nahi aa rahi keh Mukhatar-e-Kull to jo chahey wohi hota hai... phir is ayat ka matlab kya hai? 9:80 Ask forgiveness for them (O Muhammad), or ask not forgiveness for them; though thou ask forgiveness for them seventy times Allah will not forgive them. That is because they disbelieved in Allah and His messenger, and Allah guideth not wrongdoing folk. Asif bhai jaan nay jo kitab ka link diya tha, us say Huzoor Akram kay bohat say ikhtiyaarat zahir hotay hain aur bari mufeed kitab hai mashAllah. Magar main is ayat ko bhi samajhna chahata hoon takeh mera zehan saaf ho jaey aur har qisam ka andesha door ho jaey. Aur sawal yehi hai keh Mukhtar-e-Kull to jo chahata hai woh ho jata hai: yeh samney rakh kar us ayat ka matlab samajh nahi aa ta.
  14. MashAllah, Marhaba baji ap ki choice bohat achi hai
  15. Bhai jaan ap ka bohat bohat shukriya. InshAllah yeh information meray bohat kaam aaey gi. Allah ap ko is ki jaza-e-Khair ata farmaey aur hum sab ka iman mazboot farmaey. Iman par hi zinda rakhey aur iman par hi mout day, Ameen
  16. Exothermic07

    Madani Garden :D

    Meethi Gumbad-e-Khazra ko dekh kar har mo'min ka dil shaad ho jata hai. Aiye ham piyari Masjid-e-Nabawi ki piyari pictures jama kar kay aik piyara sa bagh banain. Har Islami behan bhai say guzarish hai keh Masjid Nabawi ki atleast 1 picture post karein
  17. Asif bhai, bohat shukriya ap kay jawab ka. Meri jo confusion thi woh thori si hal ho gai hay thori baqi hai woh bhi door ho jaey gi. Ab mera sawal yeh hai keh agar koi kahey kay (yeh main nahi kehta kiyun keh shayad gustakhi ho... magar koi aur kahey keh) is ka to yeh matlab hai keh Rasul Allah sirf Mominon kay liye Mukhta-e-Kull hain. Kya aisa kehna sahi hoga? Agar nahi to iska kya jawab hai?
  18. MashAllah, A'la Hazrat ﺭﺣﻣﺗﻪﷲﻋﻟﻴﻪ is very famous and his seerat is available on may websites on the internet including wikipedia.org. I really like his brother Moulana Hassan Raza Khan ﺭﺣﻣﺗﻪﷲﻋﻟﻴ. Agar kissi Islami bhai kay paas unki seerat par koi kitab ya website hai to please usay barahe meharbani share karein. Agar koi kitaab nahi hai aur koi Islami bhai unki zindagi kay kuch waqiaat janta hai ya unkay kuch fazail janta hai to pease idhar post karein. Ap ki bari meharbani hogi. Mujhay unkay barey main sirf itna pata hai keh woh A'laHazrat ﺭﺣﻣﺗﻪﷲﻋﻟﻴﻪ kay bhai thay aur bohat achay naat go shair thay. Unhon nay meethi kitab "Zauq-e-Naat" likhi ha
  19. very nice sharing sister Faizan e Mustafa. There is a typing error in the naat though. I fixed it using Microsoft Paint . If it is not too much trouble, can you please remove the previous post with the naat and post this reviewed naat? Thanks.
  20. Jee baji, main Qari Jibreen ki baat kar raha tha aur ap nay mujhay quote kiya to main samjha ap ko bhi unki awaz passand hai. Waisay, unki awaz main bhi poora Quran Paak nahi hai
  21. Everyone, please listen to the qiraat in this link and tell me if you still like other Qaris more than Ibraheem Jibreen http://quranicaudio.com/quran/28 Jee, main nay suna hai woh abhi parh rahey hain aur parhai mukammal kar kay poora Quran Paak recite karen gay. Jo website main nay likhi hai is main bohat si surahs hain un ki awaz main. Surah Yaseen bhi hai aur Surah Rahman bhi
  22. Saif bhai, mai apnay hasool e ilam kay leay samghna chahta hoon. Wahabi to Munafiq hain woh apni marzi say jo ayat chahein ignore kar saktey hain. Magar ham ko to har ayat samajhni chahiye aur aqeeda sahi rakhna chahiye. ooper link mai jo Shafa'at say muta'allik ayat hain, aur jo Surah Toba ki ayat main nay likhi hai, un ki Ahadis , Tafasir aur Aqaid-e-Ahle Sunnat ki roshni main wazahat kar dain. Main nay hamaisha yehi suna keh Huzur Akram Allah ta'ala kay aisay Mahboob hain keh wo jo chahtay hain Allah waisa he farma deta hai is baat pay bhe kuch dalail day dain. Aik aur naatiya sher main nay suna tha. Meray khiyal say A'laHazrat ka sher hai Mujhay sahi lafz yaad nahi magar meray khiyal say kuch is tarha hai: "Nabi Mukhtar-e-kull hai'n jis ko jo chahe ata kar dai'n Is shair ka dosra hissa yad nahe Ab koi Islami bhan ya bhai plz yeh aayat mujhay smjha dey to bari meharbani hogi
×
×
  • Create New...