Jump to content

Elma Ggs

اراکین
  • کل پوسٹس

    2
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Elma Ggs نے پوسٹ کیا

  1. "Meh is baat ka qail hoon kay Sayyidi Ala Hazrat say leh ker Imam Mahdi (rahimullah alayhi ta'ala) kee pedaish taq kay arsay aur nuzul e Isa (alayhis salam), walay darmiyani arsay meh Ala Hazrat kee nazeer nah hoga. Taba Tabiyeen aur char Imamoon ko chor ker pedaish e Ala Hazrat taq, Sayyidi Ala Hazrat ka ilmi midaan meh kohi madd e muqabil nahin." Lahaula wa laquwwat... aisi jaahilaaana aqeedat se Allah hum sabko bachaye. Taba tabayeen (jinka zamaana mushkil se 250 hijri tak gaya hoga)... aur chaaron imamom ko chor kar ye neeche diye gaye naam hain... kya inse bhi badhkar Aala hazrath ko maante ho?? Ye aise azeem o shaan hastiyaan hain Aala hazrath khud jinke qadmon ki dhool maante honge apne aapko.. 1. Ghaus e azam Shaikh Sayyid Abdul Qaadir Jilaani r.a (470 -561 AH) jinke nazar e karam se hue auliya ke ilm ki shuruwaat hi wahan se hoti hai jahan pe faazil e bareily ya aur moulviyon ka ilm jahan khatam hota hai. Sarkaar ghaus e paak ko nabi kareem s.a.w.s aur Moula Ali a.s ne apna apna luaab e dahan se nawaaza hai.. aur aap kehte ho ke Ahmed Raza Khan ka ilm inse aala hai. Lahaula wa laquawwat. 2. Imam Ghazali (450 - 505H). 3. Imam al-Bayhaqi (384 - 458H) 4. sayyid-ut taifa Hazrath Junayd al-Baghdadi (d. 298H) 5. Imam Ibn Hajar al-Asqalani (773 - 852 H) 6. Shah Bahauddin Naqshband (717 - 791H) 7. Fakhr al-Din al-Razi (543 - 606H) 8. Khwaja Ghareeb nawaz Moinuddin chisti r.a (536 H) 9. Baba Fariduddin Ganjshakar r.a. (584H) Aala Hazrath ek aalim e deen, faazil aur aashiq e rasool the.. inka hum tahe dil se adab karte hain.. lekin inko is mansab pe nahin pahunchaate ke inko wali samajh baithe.. kyunke wali Allah k zubaan se galat baat nahi nikalsakti kyunke wali Allah ke hifz o amaan me hote hain.. jabke aalim e deen se tahqeeq me galati hosakti hai jiske liye unhe gunahgaar nahi kaha jasakta. Aisi hi ek galati Aala Hazrath ne zameen ko saakin aur suraj chaand ko iske atraaf ghoomta hua likh ke ki hai.. Aur iske liye hum Ahmed Raza Khan Faazil e bareili ki hi kitaabon mein jo hawaale diye hain unhi ko lete hain. Ahmed Raza Khan Faazil e bareili ne in aayaat(jinka tarjuma neeche diya hai reference ke saath) pe apna falsafa qayam kiya hai: The movement of the sun and moon is according to a course (Surah Rahman, verse 5). The sun and the moon are sailing within a circle (Surah Yasin, verse 40). The moon and the sun were besieged for you, which are constantly moving (Surah Ibrahim, verse 33). (For details please refer to "Nuzool-e-Ayat-e-Furqaan Besukoon-e-Zameen-o-Asman" of Alahazrat written in 1339 A.H., published from Raza Academy, Bombay). Ab in aayaat se kahin bhi ye saabit "nahi" hota ke suraj aur chand zameen ke atraaf ghoomte hain. Lekin faazil e bareili ne inka matlab ye nikaala ke zameen saakin hai aur suraj aur chand uske atraaf ghoomte hain. Jadeed science, space exploration, satellite images se aaj ye saabit ho chuka hai ke faazil e bareili galat the is tehqeek mein... jaisa ke moulviyon se galati hosakti hai kyunke na hi inki zubaan aur na hi inke haath aur qalam Allah azzawajall ki hifaazat me hote hain.. ye aijaaz to sirf auliya allah ko haasil hota hai ke wo jo bhi kehte hain ya likhte hain Allah ki taraf se hota hai aur wo kabhi galat nahi hota. Faazil e bareili hi ki ek aur kitaab - "Fauz-e-Mubin Dar Radd-e-Harkat-e-Zamin" hai jisme deegar logical examples ke zariye unhone zameen ko saakin prove karni ki koshish ki hai. Inke examples se ye saaf taur pe saabit hota hai ke unhe relative motion, physics aur logical conclusion etc. ka ilm nahi tha. Aur jo examples unhone diye hain wo bade asaani se radd kiye jaasakte hain ek school ya college student se bhi. Inhone relative motion ko bina samjhe 4-5 examples likhe daale daleel ke taur pe jo ke asal me ek hi concept pe 4-5 examples hain. Aaj isi relative motion ke basis pe satellite bheje gaye hain aasmaan me jinke zariye phone calls etc horahe hain. Ye examples aap yahan pe padhsakte - http://sunnirazvi.net/library/booklets/scientist.htm
  2. Bhaiyon.. mere kuch simple sawaal hai is topic mein... jinse jawaab khud ba khud ayaan hojayega ahle aql ko. 1. Aala hazrath ne Hazrath Abu taalib ko kaafir maana aur likha bhi. 2. Aala hazrath ke ustaad Hz Abu Taalib ko musalmaan maane 3. Ahle sunnah ke nazdeek ek maqbool fatwa (shayad Fatawa Alamgir me ya Fatawa Razviyya me hai) hai ke jo kaafir ko kaafir na maane, wo khud bhi kaafir hojaata hai In ilmi nuqton se ye mere neeche sawaal hain.. a. To kya Aala hazrat ke ustaad jinhone Abu Talib ko kaafir nahin maana wo khud kaafir hogaye (mazallah..)? b. To phir kya Alaa hazrat ne kaafir se ilm haasil kiya? c. Aur Alaa hazrat ka un deegar ulema e ahle sunnah aur auliya ke baare me kya fatwa hai jinhone Abu Talib ko ahle imaan maana? d. Kya kaafir se ahadith ki riwayath li jasktri hai? To phir ahadith ke kitaabom me Abu Talib se riwayath ahadith kyun hain? e. Hz Abdul Mutallib imaanwale the ya nahin? Hz Abu Talib agar Hz Abdul Mutallib ke hi deen pe hain to ahle imaan kyun na huye.. jabke imaan ke liye qubooliyat e nubuwat ko hz Abu Talib pehle hi qubool kar chuke the.. ye kehkar ke Aaqa kareem s.a.w.s ne kabhi jhoot nahi kahe aur aaqa pe naat shareef bhi to Abu Taalib hi ne padhi thi... f. Imaan ka connection dil se hai ya zubaan se? g. Kya imaan ke liye zubaan se iqraar zaroori hai? To phir kya har goonge insaan ko kaafir hi maana jayega?
×
×
  • Create New...