Jump to content

Khans Ullah

اراکین
  • کل پوسٹس

    3
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

پوسٹس ںے Khans Ullah کیا

  1. Thanks Dear Muhammad Ali

    Unfortunately abhi recently alag flat rent per janay ki baat hui or jaisay e menay agree kara tu dobara se woe masail shuru ho gaye . Or sub se ziada masla jo aata hay wo dhamkion ka .... Or jo batain aapnay kahin wo buhat sahi kahi yaar lekin meri weakness shayad meray bachay hay wo court k throug apnay tamam kaam karwalaingay . or masjid k loud speaker wala tariqa buhat aala hay but.......

    after talaq bachoon ka kia hooga ???????

  2. AsA . Umeed Hay Sub loog Khairyat se hongay .Tafseel me likho ga uskay ley maazrat.

    Mujhay ek buhat e sangeen masla darpaish hay ,Abtak jo bhi menay daikha wo Tam Khuateen apnay masaly masail share kar ri hay. Masla kuch ye hay k meri shadi ko 5 years ho gay hay . Meray 2 betay hay ek ki age 3.5years or dosray ki 1.5 years hay .meray ghar me just meri ammi hay meri 3 sisters married hay sub ka apna Allah ka shukar bhara pura susral hay. meri wife ko meri ammi se beintiha shikayat hay meri walda ghar k majority kamoon me hath batati hay infact ye kehna ghalat na hooga k meri wife per ghar ki 30 %  zimedari bhi nai hay han lekin jub is 30% me bhi kharabi nazar aaye menas purapa nazar aye tuor toak dia jaye to meri wife out of control hoo jati hay na baray ki tameez na shohar ka leehaz. Dosra usko continous bharpoor support hay apnay mehkay ki regardi talaq khula .... or unka pas haur choti sey choti baat ka solution talaq o khula hay

    Ab mera jo issue hay wo ye hay k mujhay apnay bachay buhat aziz hay or hamaray qanoon k mutabiq pura qanoon Aurton k haq me hay Khula bhi loo bachay bhi lo Or kharcha bhi loo is situation me mey or meri faimily( Mother) buhat distrub hay .Zara kuch ho jaye tu police ki dhamkian etc . Ye jo me bayan kar raha hoo ye buhat kuch avoid kar kay batara hoo . Kia koi mujhay koi solution bata sakta hay.

  3. On 10/19/2014 at 0:46 AM, polite said:

    Assalam o Alaikum wr wb 

     

    meri shadi ko saal ooper hua hai ...mera aik beta hai uski birth ko 4 months huay hain .....mein aik aise susraal meinr ehti hoon jahan saas aik khuda ki terha treat kya jata hai .....meri saas gher ka koi kaam nhi kerti .....sab kaam mujhey hi kerna hota hai .....or Alhumdulilah sab kaam kerti hoon lekin wo beja kaam erwati hein ......routine k kamo k sath exytra kamo ki bhermaar kerdeyti hein....poora gher dekhna sab k kaprey press n all tht or us k sath aik aik min sabko jwb deyna  bht diff hai ......remote mein cell dalney or ghari mein cell na dalney pe dant khana ... ghater ka pipe lagao gatar ka dhakan fix kero ...aise sab kaam b mujhey kahey jatey hein or na aanay p batein sunana ....... .... mein is waja se hed derja beemar hogai hoon meri jethani or un k bachi k kaam k liye b mujhey danti hai n kaam zaleel ker k kerwati hai .......or bht shikayatin kerti hein husband se mein kya keroon merey husband bht muhabbat kerney walay hein mgr shikayato pe her choti moti bat p mujhse jhagertey hein ... meri behen se galay kyun nhi mili hath kyun milaya ....tumhein kisi kam se bulatey hein to aik min ruk bachey ko kyun dekhti hoon etc etc ..... or shikayatein aise kertey hein k suni an suni kerti hai mujhse badtameezi kerti hai.

     

    shuru se hi bht maslay rahey bht mushkils e handle hua sab.... husband her choti moti bat pe lertey hein .....aise merey husband achey hein mgr gher k kisi mamlaat mein support nhi .....bilkul norkro ki terha ka sulook hai ...meri sas kahey jis waqt mene jo kaam kaha us waqt ho bs .....sab kuch Allah Allah ker k chal raha tha kabhi acha kabhi bura .....ab mene socha tha k husband se directly bat keroon k ye matter soolve ker k dein werna mein ammi k gher ja rahi hoon ... mgr mene koi bat na ki ... ....k aik subha sab ko nashta deney or kaprey press etc ker k office bhejney k bad ... me zara deir ko laiti as tabyat theek nhi thi .....to laitney per meri sas ne khasa danta ... to mene kaha k maa aap itna sunatey hoto pareyshani hoti hai mein sab kaam abhi kerloongi unhone merey husband ko call ki k ye mujhse badtameezi kerti hai k aap ne mujhey pareshan kerdiya hai pareshan kerdiya hai to jai ammi k gher ( merey shoher ne kaha k mein aata hoon )... or meri ammi ko call ker k bhi bola k issey ley jao... (or aise calls wo akser kerti hain ... or merey husband b akser meri ammi ko keh deytey hein ...)

     

    merey shoher us waqt office se aai or atay hi mujhey awaz di mene pechey dekha to aik thappar laga di .... or gala dabana shuru kerdiya .....us waqt mein apni ammi k gher agai ....

     

    mujhse itni beizzti or ahanat sahi nhi ja rahi ... mein kya karoon mujhey samajh nhi araha .....

     

    plz islam ki roshni mein meri madad karein.

    Madam aap ka masla koi aisa nazuk masla nahin hay Please TV daramoo ko daikh kar koi faisla na karay kal aap kay parents nahin raheingay tu kia karay gi aap socha hay agar 2/3 saal sabr o bardasht bhi karlay tu acha hoo jaye ga . bs hur cheez zaban per hoti hay maazrat k sath aaj kal larkia zaban darazi bhi karti hay jo aap kay husban apni walida ko samjhtay hay aap unsay zia samjhayunko. 

×
×
  • Create New...