Jump to content

Rauf

اراکین
  • کل پوسٹس

    40
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Rauf نے پوسٹ کیا

  1. JazakAllah!!.. Very helpful info for Inpage users! thanks alot!
  2. Rauf

    Huqooq-e-Zaujain Course

    "Huqooq-e-Zaujain Course" includes Fiqahi Masaail related to Nikah, Talaq, Halala ,Iddat, Sog, Bachon Ki Tarbiyat, Bachon Ke Huqooq, Zaujain Ke Huqooq etc. It is Fard on every married Muslim Men/Women and those who are about to get married to learn these Fiqahi Masaail. So dont miss this opportunity to learn Fiqahi Masaail from Mufti Muhammad Akmal sahib himself. Course Duration: 3 months Class Timings: 02:30 pm -- 04:30 pm Days: Every Sunday Address: Lakhani Terrace,Punjab Town, Soldier Bazar No.1, Karachi. Telephone: 021-32242226 Website: www.muftiakmal.com
  3. Rauf

    Evening Classes for Aalim/Aalima Course

    A golden chance for male and female students and for working people to become an authentic Scholar. Evening classes for Aalim/Aalima Course are starting at Al-Furqan Scholars Academy from 1st november,2009 , underthe supervision of Mufti Muhammad Akmal sahib, a well known speaker of Qtv. The best thing about this course is that Mufti sahib himself is gonna teach all the subjects. So seize the opportunity to serve Ilm-e-Deen and become a Scholar capable of solving the problems of Modern Era. Course Duration: 5 years Class Timings: 09:30 pm -- 11:30 pm Days: Monday to Saturday Address: Lakhani Terrace,Punjab Town, Soldier Bazar No.1, Karachi. Telephone: 021-32242226 Website: www.muftiakmal.com
  4. 2:kutta(dog) badan ya kapdon ko chujane se badan ya kapde napaak nahi hote chahe kutta tar kyun nahoo, haan kutte ka lu'ab napaak hai usse bachna chahiye Allaahu wa Rasoollahu alamu (Azzawajal o swallallaahu alaihi wa sallam) Kutte ka tar badan kapron ko chuu jaye to kapre napaak ho jaate hain,yeh Hukm isliye dia gaya tha ke Kutte ki adat hoti hai ke woh apne jism ko zaban se chaat ta rehta hai,lehaza us ka jism tar hone ki surat mai ya humara kapra tar hone ki soorat mai woh najasat muntaqil ho sakti hai. Lehaza is se bhi bachna behtar hai.
  5. Rauf

    Fiqh Terminologies

    As-salam-u-alikum! Many queries regarding Fiqh Terminologies appear in our mind oftenly, like what is the difference between Najaiz and Haraam? What differs Fard from Wajib?What is Sunnat-e-Muakkada? etc etc. If these questions remain unanswered, they may create confusion in understanding the correct Ruling or realising the importance of a particular act in the eyes of Allah Subhana Wa Taala and His Habeeb (Sallalaho Aliyhe Wassalam). If we do not learn this today, then we should be ready to answer Allah Subhana Wa Taala on Doomsday, beacause to gain this knowledge is Fard on every Muslim. I've tried to explain few most important terminologies with their definition+hukm and their relation with one another using a Chart. InshaAllah this will make things pretty clear.
  6. Phir buhat jald sun leingi aap InshaAllah:) To is se yehi saabit hota hai k Khawateen Muftia ban sakti hain:)
  7. Meri behan yeh to koi baat nahi hui k Hazrat sahib keh dein to aap maan leingi warna aap agree hi nahi kareingi. Khair mai agree kerwa bhi nahi raha, sub ka apna point of view hai. Jab aap bhi is baat ki qaail hain k khawateen Aalima ban sakti hain.. to agar aik saal aur parh ker mufti ban jaingi to kya muzaaiqa hai? Agar Khawateen Muftia ban ne ki salalahiyat nahi rakhteen to Nabi-e-Kareem Sallalaho Aliyhe Wassalam ney kyoon irshaad farmaya tha k K Tehai Ilm Apni Waalida(Sayyeda Aisha Siddiqa Raddi Allaho Anha) Se Seekho?
  8. Aur agar aap ke kehne ka yeh matlab thaa k khawateen ko yeh saari kitaabein mayyasar nahi aasakti aur woh duusrey Madaris nahi ja sakti.. to mere bhai yeh Humari zimmedari hai k hum aisi Libraries Khawateen k liye banaein jis se woh istefaada ker sakein. Croron Rupiya jab duusre Mustahbbaat mai lag sakta hai, to ussey bacha ker hum Ilm-e-Deen ki khidmat aaraam se ker sakte hain.
  9. Pehle to yeh samajh nahi aaya k aap meri baat se Ittefaaq ker rahe hain ya Ikhtelaaf. Jab aap is baat k qaail hain k Khawateen Aalima ban sakti hain, to Muftia ban ne kya harj aagaya? Agar ittefaq kerte hain to simple kehye.. nahi kerte to saaf mana ker deejye. Muftia laazmi baat hai wohi kaam karegi jiski Shareeat ne ijazat di hogi. Ab woh mardon k pass ja ker to taheeq laazman nahi kareingi. Fatwa dene k liye Books+Knowledge+Salahiyat chahiye hoti hain.. yeh 3 cheezon aaram se Khawateen mai aasakti hain. Maine Madaris ki baat bil-umoom kahi thee na k Dawat-e-Islami ko target bana ker. Dawat-e-Islami jo kaam ker rahi hai woh apni jagah. Lekin Ahl-e-Sunnat ki almost tamaam jaamiyat ka jo maa`yaar hai yeh shayad aap ko maalum nahi. Ho sake to kissi bhi Jaamiya mai parh ker dekhye 3 maheene. Aam educated banda to wahan ki daant dapat, sakht mahaul aur tanzeemi pabandiyan to bardaasht ker hi nahi sakta. Khair aik yeh duusra issue hai k Jaamiyat ka mahaul qaabil-e-itmeenaan hai ya nahi. Meri baat wazeh thee ke Khawateen Muftia ban sakti hain aur is se to aap bhi agree ker hi rahe ho to no jhagra.
  10. As-salam-u-alikum! Doctors ki field is something totally different.Jahan ghabraane ki baat hai woh bhi srif OPERATE kerne k waqt hai na k THEORY parhte waqt. Dars-e-Nizami mai to faqt kitaabein hain aur kuch nahi. Agar khawateen ko yehi keh diya jaye k aap naaqis ul aqal ho, Fatwa nahi likh sakteen to kabhi bhi aagey nahi barheingi. Srif Medical Field ki baat hai to Females ka ratio ziaada hota hai Medical Universities mai Male students se. Duusri tamaam fields mai bhi girlz parh hi rahi hain, to Dars-e-Nizami parhne mai kya diqqat hai? Maazrat k saath k Madaaris intehaai bura haal hai.. Male teachers buhat hi burrey tareeqe se parhaate hain to females mai kya haal hoga yeh Allah hi jaane. Aik acha environment + achey teachers female k Dars-e-Nizami k liye provide to keejye. Phir Aalima aur Muftia na niklein to kehyega. Humare haan Aalima aur Muftia nahi hongi to phir humaari Aapaein jis tarah se oot patang baatein kerti hain majalis mai, yeh sub ko maalum hai. Bad-Mazhab is taraf khaas tawwajuh de rahe hain k Aalima aur Muftia banein. Agar aaj is taraf hum tawwajuh nahi kareinge to phir Farhat Hashmi jaisi beshumar badmazhab ghalat taaleemaat ko aam kareingi. Jo Married khawateen hain un ka to samajh aata hai k apne husband se keh deti hain aur woh kisi Aalim se jawab le aate hain. Jo married nahi hain un k liye problem hoti hain, na woh apni bhaaiyon se share kerti hain aur na kisi aur se. Mere Ustaad-e-Muhtaram Mufti Muhammad Akmal sahib humein akser is tarah k phone calls k bare mai batate hain k khawateen apne sawalaat puch hi nahi paati. Phir woh apni zauja k zariye jawab dilwa dete hain. Well sub ka apna point of view hota hai. Daira-e-Shareeat mai jo bhi Point Of View ho woh behtar hota hai. Kisi ko kuch bura laga ho to maazrat:)
  11. Mufti Sahib ne MashaAllah buhat saari books likhi hain. Kuch k naam yaad hain filhaal: 1)Baatini Gunah Aur Un ka Ilaaj 2)Meetha Zehar 3)Kya Aap Ko Malum Hai? (1&2) 4)Humare Masaail Aur Un Ka Hal?(1&2) 5)Chaalees(40) Hadeesein 6)Quraani Bayanaat 7)Faiz-e-Suaaleheen 8)Qabil-e-Rashk Khawateen 9)Ehsaas-e-Naimat 10)Thandi Chaaon(About Mother) 11)Eid-e-Qurbaan Mufti sahib tamaam mustanad Ulama ki kitaabein parhne ki ijazat dete hain. Quran and Hadith on top.
  12. As-salam-u-alikum! As i told you k behnein bhi humare saath hi Aalima course ker rahi hain... aur InshaAllah Muftia course bhi kareingi. Khawateen mai Muftia ki buhat zarurat hai... warna Khawateen apne personal problems kis se poocheingi.?... Aur larkiyaan Muftia bilkul ban sakti, koi muzaiqa nahi. Jab khawateen dr... engineer etc sub kuch ban sakti hain to Mufti q nahi?
  13. Al-Furqan ko shru kiye to 2 yrs hogaye Alhamdulillah. Is se pehle aik aur academy bhi thee. Teaching to kai saalon se ker rahe hain MashaAllah.
  14. Mufti Sahib ke lectures filhaal to available nahi hain. Kisi ko examz dene hon to ofcourse admission le ker parhna hoga. Dekhye asal cheez to ILM hai na k degree. Degree to bus srif rasam puri kerne k liye hai. Aur ILM kitna hai.. jab tak koi regularly teacher k saamne nahi aiga to pata nahi chalega. Shayad aur bhi Madaaris hon affiliated.. per suna nahi kabhi.
  15. Nops! Its not a boarding school yet. May be may be, we will have a Hostel InshaAllah!
  16. Walikumasalam! Yeh Tanzeem Ul Madaris se bhi affiliated hai. Jo Tanzeem Ul Madaris k exams dena chahey de sakta hai aur jo AIOU(Allama Iqbal Open University) se kerna chahey wahan k papers de sakta hai.Tanzeem Ul Madaris k 4 examz hote hain. Har do saal baad aik. On this degree 1 can apply for ph.D. Girls ke pass mic hota hai. Jo student question kerna chahti hain woh mic per kerleti hain.Mufti sahib k pass headphone hota hai. To awaaz srif Mufti sahib ko aati hai, Male students ko nahi. Then Mufti sahib question repeat ker dete hain taake sub sun lein n then he answers it.
  17. Nuzhutal Majalis mai Ziaadatar Waakiyat hi hain isliye waakiyat ki taraf ishaara ker dia. Aur rahi baat sister ki post ki.. to unhon ne yehi kaha hai us mai ziaada tar Zaeef ahadith hai. Kya yeh kaha k Zaeef Hadith qaabil-e-amal nahi hoti. Agar kaha hai to PASTE keejye.
  18. As-salam-u-alikum! Mufti sahib ne actually yeh farmaya tha k Nuzhat-ul-Majalis mai buhaat se waqiyaat Zaeef n Jhoote hain, yeh awaam mai nahi bayaan kerne chahiye. Is ka matlab yeh nahi k Nuzhat-ul-Majalis k author ne jaan boojh ker aisa kaam kya aur Jhoote waaqiyat apni taraf se garh ker likh diye. Bal ke baad mai aaney waale log ne kitab mai ratb-o-yaabis(addition) ker dia tha. Lehaza zaruri hai k jo bhi waqia Buzurgan-e-Deen se mansuub kya jaye,pehle ussey Quran-o-Hadith per paish kya jaaye, agar Shariat se takra na raha ho to accept ker lena chahiye aur agar takra raha ho to hargiz Buzurgan-e-Deen se mansuub nahi kerna chahiye. Jab Nabi-e-Kareem Sallalaho Aliyhe Wassalam ki taraf log jhoot mansub ker sakte hain, coz Mouzuu(jhooti) ahadith bhi moujood hain.. to phir Aulia-e-Karaam Rahimahullah ki taraf to badarja-e-awla mansoob hone k chances hain. Mufti sahib ka maqsad yehi tha batane ka aur sister ka bhi.
  19. Jazakillah for sharing the broshures... sub ko acha idea ho jaiga k kis tarah k courses hote hain aur dars-e-nizami kya hai. But yeh broshures 2 yrs old hain... in mai se kuch courses filhaal nahi ho rahe.
  20. Walikumasalam! Currently to AIOU(Allama Iqbal Open University) se affiliated hai, jo examz dena chahey woh de sakta hai. Dars-e-Nizami course 5 years hai,not 4 yrs. Mufti sahib boys n girlz ko aik saath hi parhate hain. Front room mai boys+Mufti sahib hote hain... back room mai girls.. beech mai aisa sheesha hai jis se Girlz ko to nazar aata hai sub,boys peechey nahi dekh sakte. Speakerz n micz hain, to koi problem nahi hoti Alhamdulillah.
  21. Aap ka jazba buhat acha hai, Allah Taala aap ko InshaAllah zarur mauqa dega.Well, yeh to hota hai, logon ko koi Mas`ala batau to unhein lagta hai k new hai coz unhein ne kabhi suna hi nahi hota. Daira-e-Adab mai rehte huey samjha hi sakte hain baron ko, what elz can we all do. I totally agree wid you, a Young educated person can spread the Knowledge of Shariah very effectively. Kaash humari har family mai aik aik scholar hota, per humari Youth jo Deen k qareeb bhi aati hai woh Ilm-e-Deen seekhne k bijaye kisi aur kaam mai hi lag jaati hai aur ussey hi sub kuch samajhti hai. Allah Taala apne Habeeb Sallalaho Aliyhe Wassalam k sadqey mai aap ki dua qubul farmaye. Aameen!
  22. Walikumasalam! I was 18 yrs old when I joined the course. Atleast matriculation(10th grade) to hona hi chahiye, warna immaturity baaqi rehti hai aur confidence itna nahi aapata.Jis ne Inter. kya hua ho to aur hi behtar hai,like maine Inter. complete ker lia tha n fauran course join ker lia tha. Mufti sahib buhat Genius,Intelligent, Har student k mizaaj ko, zehan mai paida hone waale questions ko samajhne waaley Teacher hain. Buhat achey se parhaatey hain. Yuun samajh leejye ke humein koi aur Teacher parhaye to satisfaction nahi hoti. Mufti sahib EXPERT hain, har subject parha sakte hain woh bhi excellent tareeqe se. Humein Arabic Grammar, Fiqh,Usuul-e-Fiqh,Aqaid,Mantiq parha chukey hain Alhamdulillah. Course se related koi bhi baat jaan ni ho, im here.
  23. Thanx for your duas! Really Ilm-e-Deen se Bargah-e-Ilahi mai jo qurb milta hai woh kisi aur cheez se kabhi nahi mil sakta. Allah Taala hum sub ko Deen ki achi khidmat kerne ki saa`aadat ata farmaye. Ahan!! Well if your father wants to meet Mufti sahib, ask him k academy reception se mulaqat ka time lelein. InshaAllah ho jaigi mulaqat.
  24. Well gr8 aap ki niyyat achi hai.... per Im sure aap ne Mufti sahib se zarur suna hoga k girlz ko buhat soch samajh ker Hifz kerna chahiye. Coz Hifz kerna aasaan hai per yaad rakhna mushqil. And married life mai time mushqil se hi milta hai revision kerne ka.... so just take care of tht!
×
×
  • Create New...