Jump to content

HabibNawaz

اراکین
  • کل پوسٹس

    2
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About HabibNawaz

HabibNawaz's Achievements

Newbie

Newbie (1/14)

  • First Post
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Aslam-o-alaikum, Oh Respected bhai jan aap kin batoun mein parh giay hain, mein ne apko pehle hi bataya tha keh mein kisi ki taraf dari nahi ker raha ,mein ne to bas itna kaha tha keh "khuda rah kisi ki peeth peechay buraiyee aur chughal khori na kerain" U know kitna bara gunah he yeh. Aur kisi ki ghair mojodgi mein usko bura bhala kehna aur galyian dena kitna bara gunah hay. I think that you are so intelligent and knowledgeable person to understand that thing. Other wise muje kisi se koi lena dena nahi, ager koi iss tarah ker raha he to aap khud us se ja k poochain, hum aapas mein kyun uljhein,yehi baat to hum muslims ko le doobi hay, ager koi achi ya buri baat ker raha he to yeh uska apna fehl hay . usne khud apni qabar mein jawab dena hay ,koi hum ne to nahi ja k dena uski jagah jawab. Humein chiay k pehle apne aap ko theek kerain aur pehle apne under jhankein keh hum kia ker rehay hain aur kitne paani mein hain,kia hum iss kabil hain keh hum khud apne gunaho ka jawab de sakein Allah ko ,jis ne hum sabh ko Ashraf-ul-Makhlookat banaya hay. So please don't take it in other sense,just think whats going on and what is that which we have to improve in our lives. Khuda Hafiz
  2. Aslam-o-alaikum, Dosto mein kuch baat kehna chahta hoon.muje pata he keh kafi saray doston ko yeh baat buri lagey ge, leken kia kehain yeh bhi to humain apne mazhab Islam ne sikhaya he keh Kisi ki burai/gheebat kerna kitna bara gunah he. App jante hain ki kisi ki gheebat/Burai bayan kerna kitna bara gunah hay, Jo koi acha ya bura ker raha he to us keh apne aamaal hain, Aur us ne khud apne AAmaal ka jawab dena hay ,hum kyun kisi ki burai ker k us ko bura bhla keh rehay hain aur khud ko gunahgaar ker rehay hain. Theek hay app sabh loagon ko saheeh rasta batyen leken khuda rah kisi ko itna bura bhala na kehain keh khud guneh gar ban jayen ,Aur khuda na khasta Allah ki pakar mein aa jayen. Ager koi bhoolay bhatkay hain to unko seedhi raste chalna aap sikhayen na, bajiay keh doosron ko yeh tausar dein keh hum hi saheeh hain,aur iss lab-o- lehjay mein kahain gay to sochne samjnay walay loag shiad apko hi nah saheeh samjen. App khud keh reh hain keh Aik banda Allah aur uske rasool(P.B.U.H) ki taleem de raha he logon ko ,aur loag us ki taraf barh rehay hain,To mere bhai aaj kal ke zamanay mein koi itna bewakoof to nahi hota keh usko apna acha bura na pata chalay.Kia Allah aur us ke Rasool(P.B.U.H) ki taleem dena galt hay???Aur Akalmand Loag to hamesha achi cheez ki taraf jana pasand kertay hain. Aur Haan aik banda jo 16 years education k baad bhi bhoola bhatka hay to my dear -"Its not fair". mere khayal mein itna khuch study kerne ke baad aur saheeh/galt cheez ko samjne mein zayada dair nahi lagti. Jo naat aap ne download kerne ko kahi hay, mere khayal mein us ke tashreeh ko sahi nahi samjha gea. mere khayal mein uska mafhoon kuch iss tarah he keh "Jahan bhi Allah aur uske Rasool ki mehfil ho rehi hoti hay wahan Allah ki Khas rehmat nazil hoti hay, Allah ka ziker jahan ho raha hota hay ,Allah Rehmat ka rukh wahan ker detay hain. Khah woh mehfil kahin bhi ho rehi ho, Ho sakta hay aap bhi apne ghar mein aesi mehflain sajatay hoon. Aur mere payaray bhaio, Kisi ki kahi baton ka her wakt galt matlab nahi letay, Baat ko +ve sense mein socha jayay to woh ziada behter hay ,kyun keh iss se hi humein faida ho sakta hay.Kyun hum sabh aik doosray ki garden urany k peechay paray hooay hain,kyun hum apni akhirat ki taraf nahi dekhtay,Hum sabh khud isi tarah aapas mein laraiyon mein paray rehay to shaid hamara Naam-o-nishan hi mit jaiay. So please take care of this thing. App khud batayen kisi ko parosi ki aulad kehna beghair dekhay ilzam/tohmat nahi to aur kia hay-Allah mooaf keray mein yeh likhna nahi chahta tha leken kia kerun shiad is se hi Shiad Allah apko Hidayat de dain. Dosto Sorry ,mein kisi ki tarfdaari nahi ker raha/aur na hi kisi ki burai kerta hoon leken please again meiri aap sabh bahayo se request hay keh Khuda Rah kisi ko bhi bura bhala na kehain,Ajj aap kisi Allah k naam lenay walay ko hurt kerain gay to Allah ki Lathi bhi to beawaaz hay dosto. Mein janta hoon aap loag mujse kafi ache hain,mein to aik guneh gar insaan hoon,Leken Khuda Rah ,kisi ki burai kerne se avoid kerain,Iss mein hi Allah ki taraf se behtri hay. Allah Hum sabh ko Hidayat de (Ameen) Khuda Hafiz Habib
×
×
  • Create New...