Jump to content

Barkaati

اراکین
  • کل پوسٹس

    15
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Barkaati

Barkaati's Achievements

Rookie

Rookie (2/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Assalam Alaikum

    Hope u r doing good....

    Plz find time to Listen this Speech on Rights of Parents... Thanks

    Take care

    Allah hafiz!

    http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=7952&pid=50650&start=0&#entry50650

  2. para no 2 rukr 2 aayat hai ''wala taqooloo limaiyaqtulu feesabeelillahi amwaat bal ahyaa anwwala killa tash oroon'' hadees mishkaat shareef ''iinal laha harrama alal arzi an takula ajsaadal anmbiyaayi fa nabiyullahi hayyun yurzaq'' is aayat aur hadees se zinda hone ka saboot hai
  3. Mai tamam madani bhaiyoun se guzarish karonga ke tamam mazmoon ko bagaur badhein aur ye faisla kerain ke tv channel hona chahi ya nahi is liye ke jab hum ek islami channel ke khatir dish connection lete hain tu us connection ka maqsad tu neki ka hai lakin is ki wajah se dunyawi behaiy wale channel ghar me dakhil ho jate hai us se tu behtar tu ya hai ka ghar me us dunyawi fitne ko ghar me dakil hi na kare taake ghar ka mahool pak rahe aur ghar ka har fard is bala se mehfooz rahe aur islami malumat tu audio cassettes, cd aur dawat-e-islami ka audio connection hi kafi ho jata hai is bare me apna taussur pesh kare. Janab sag-e-atter sahab aap ne tu TV aur movie pesh kar ke kha ke mere sawal aur kayi ek sawal hal ho jayeinge mere sawal tu hal nahi huwe haan albatta us resale ke padhne se 3,4 sawal zehen par ubher aaye agar aap us ka hal pesh kardein tu zahen ka khal jaan dour hojayega. aap ki kitab me serve jo 99% pesh kiya gaya ye maloom nahi kis tarah ka serve hai ya phir Pakistan ma TV rakne walon ka shayad ye hal hai (allah tala fazl farmai aur hidayat de aur is bala se sab ko mehfooz rakhe ) kyunki hindustan mein itna bura haal nahi haan 70%TV wale ya bahut hojaye to 85% honge. Aap jo Alahazrat ka qaul naqal kiye ke aa’ina saamne ho to namaaz hojati hai ye alag bahes hai us main batana ye maqsood hai ke agar tasveer saamne dayein bayein aur upper ho to namaaz nahi hogi isliye ke ye yani tasveer qaar hai aur ariya aine main jo hamara aks aata hai wo gair-e-qaar hai isliye namaaz hojaye gi. Tu is ibarat ke zariye ye sabot faraham karma ke tv main insaan ka aks aata hai tu jaiz ye sahi nahi maloom hota hai. Aur ye har koi jaanta hai ke tv bahut bada shaitani fitna hai us ko kisi tarha jaiz kehkar Dawat-e-Islami ki maqbooliyat main kaami karma hai isliye ke kuch to wo musalmaan hai jo kabhi tv ghar main nahi rakhe aur kuch wo hain jo ghar main tv rakhey the lekin jab Aameer-e-Ahlesunnat Maulana Ilyas Attar Qadri Sahab ke asar andaaz bayanaat sune tu wo apni aqidat mandi ka muzahera kar kar Ameer-e-Ahlesunnat ke hukam par gharoun se tv nikaal pehnke aur wos par chapploun ki barish kiye.tu jab un hazraat ne suna hoga ke madani tv aane wala tu unke dilaun par kya guzri hogi ? aur ye kaha gaya ke hum tv ke zariya un pahunch rahe hein jin ke gharaun se TV nahi nikaal sakte tu hazrat AMEER-E-AHLESUNNAT se guzarish hai ke jis tarah aap aur aap ke muballigheen shaitani fitne TV ko nikaalne ki tahreek chalate the wohi hamare liye zayada mufeed aur kaargar sabit hogi aur saath hi saath Dr.Zakir Naik, Dr. Israr Ahmed, Dr. Tahir ul Qadri aur istarha ke deegar fitnoun main mubtela hone se bholi bhali awaam bhi bach jaye gi aur in se chutkara pajayegi aur saath hi is shaitaani fitne tv ko jad se ukhad penkna bhi hojayega. Aap ka un ulama-e-Ikraam ka naam zikr karma jin ko pad kar awaam sakte main pad jaye gi munasib na tha yani ALLAMA MUFTI SHAREEFUL HAQ AMJADI alahirehma ,ALL AMA ABDUL HAKEEM SHARF QUQDRI alaihumar rahma AUR ALLAMA AKHTAR RAZA KHAN AZHARI ,ALLAMA ZIA UL MUSTAFA AMJADI ,ALLAMA SHAH TURABUL HAQ aur inke alawa kitab mai mazkoora ulama-e-ikraam wo hain jin ke tableegi dauraun hi ki badaulat hai ke bahut se countries me islaam aur sunniyat ka naam baaqi hai aur aaj jo DAWAT-E-ISLAMI ,Sunni DAwat-e-Islami Aur is jaisi kayi sunni tahreekaun ke kaam karne ke liye jo raah hamwaar huwi hai ye is tahreek ke baani qayid-e-ahl-e-sunnat Allama ARSHADUL Quadri Misbahi ,Allama BADRUL Quadri Misbahi ,Allama Qamrul hasan bastavi Misbahi ,Allama Ahmad ul Quadri Misbahi aur Allama Qamar Ruzzama Azmi Misbahi AUR is tarah ke kayi ek Ajillaye ke ulama-e-ikraam ke tableeqi safaraun ka natija hai…TV aurMOVIE kitaab me jin ulama ka naam zikr kiya hai Unke alawa bhi kayi ulama ka naam maine uphar zikr kiya lakin khaas kar wo ulama jin ka naam ki kitaab me mazkoor hai .unka zikr karke musannif ne awaam par ye zaher karne ki koshish ki ke ye hazraat bhi photo aur video se nahi bachte ....isse awaam ke zahnau ko confiuz karma hai …wo Ulama-e-Ikraam hamesha se photo,tv aur Vidio ke mukhalif rahe ..abhie pichle urs-e-rizvi Bareily me muhaddes-e-kabeer allama ZIA UL MUSTAFA sahab ye kaha ke photo aur video ke hum hamesha se mukhalif the ,hai aur raheinge …aur kahne ki wajah ye thi dist.kathihar state BIHAR INDIA munaazra huwa tha aur aap hi ki sadarat thi to waha par video ligayethi to aap ka bare mai kaha gaya tha aap bhi video liye to isi ki safayi mai urs-e-bareli mai aap ne kaha ke agar mai wahan video rukhwadeta to sunniyat ka bahut bada nuqsan hojata ye majboory thi . Ye meri muqlisana guzarishat hai .
  4. kaffaara ye hai ek rooze ke badle do waqt miskeen ko peat bhar khana khilana ya ek roza ke ek sadqa-e-fitr ke barabar ada fidya ada karna.....
  5. janab gulzar sahab hamare batane maqsad sirf ye hai ke reath napaak nahi ...ab raha gunaah kyu hota hai masjiid me girne par tu uska jawab ye hai ki masjid allah ka ghar aur muqaddas jagah hai isi liye reath,thooka,naak ka pani aur isi tarah har gandagi pahlane wali chees Se bachane ka hukm hai...Agar ruku me naak ka pani girne wala ho tu gire tak dekhte na rahe balke aasteen punch lein aur masjid ko gandanakarein.......
  6. janab har chees me jarasim hote hain lehaza jis jis chees me jarasim ho tu uska napak hona zaroori nahi hai to reedh bhi napak nahitu agar kapdon par lag jaye tu napak nahi hote kha jaib me tissuepaper raknese ya nazla honese kapdo parlagjane par napak nahi hota lakin masjid me naakka p ani hargiz hargiz nahi gere girne par bahut gunah hai
  7. agar aisi bimari ke aur badjane ka khauf hai tu us ka koi kaffara nahi balke uski qaza zaroori hai
  8. allah tala har ek ko hidayat de is liye ki inse tauba karna bhi fazle khudawadi hai jawab ye hai ke jab tauba kar liye nadim bhi hogaye phir uski taraf lautne ka irada bhi tark kardiye tu kafi hai agar allah tala taufeeq de tu jitna hosake sadqa wa khairaat kijiye inshallah allah tala uske azaab se bhi mahfooz rakhega
  9. hazrat jab ek dawat ka ye maamla hai tu TV jo sarapa khurafaat hai tu is ke zariya se tableeq ka naam lekar tv chennal chalana kaisa hai barai meherbani fatwe ki roshni jawab dije ye?kya pehle tabligi kaam nahi hota tha?
  10. Masrufiyaat ki bina par aap ka jawaab dene main daer howi. Lafz-e-dost ke maine main koi kharabhi nahi hain. Lekin kuch aam alfazaat ka istemaal allah tala ke liye nahi kiya jata hai. Lekin us mazmoon main Allah tala ke liye ye likha gaya. Halanke seerat ki kitaboun main istarha hai " Allah tala ne aap se farmaya ke aaye Habeeb" Hum bhi yahi kehte hain ke Alahazrat aur deegar ulama ne sarkaar ki shaan main tu habib aur dost ka istemaal kiya hai lekin meri naqis maloomaat ke mutabiq Allah tala ke liye lafz-e-dost ka istemaal nahi kiya. Ek bhai ne ye kaha hai ke ye Allama Hasan raza khan ki kitaab hai. Kitaab ka naam ya hosake tu us ki copy Share karein. Aur ek Bhai ne sunan ibne maja Hadees ki kitaab ka hawala diya hai Baraye karam Hadees share kar dein tu meri maloomaat main bhi Izafa hojaye. Aur ek bhai ne Alahazrat ke hawale se ye kaha hai ke Alahazrat ne Apne ashar main Allah ki shaan main lafz-e-dost ka istemaat kiya hai. Mujeh wo shair ya misra kiya hai samaj main na hi aaya baray karam kis naat ka shair hai waze karein Agar ho sake tu us ko scan kar ke copy share karein. Wallahutala Aalamu.
  11. Ghulaam-e-mustafa bhai ne jo jawaab diya hai yaqeenan wo sahi hai. Munazir-e-Ahlesunnat Hazrat Allama Arshad ul Qadri Rahmatulla alai ka naam sunte hi ulama-e-deoband main zalzala aajata hai. Deobandi logoun ne Zalzale ke jawaab main 6 Kitabein likhi hain lekin wos main 3 kitaabein aisi thi jin ka jawaab diya jaye tu Allama Saheb ne wos ke rad main ZAIR -O- ZABAR nami kitaab jo Taqreeban 460 pages par mushtamil hai likhi. Aur Itna pyara andaaz apnaya hai ke deobandi ulama abhi tak unghoosh badanda hain (yani khamoosh hain us ka koi jawaab nahi diya gaya.) Agar aap ko ye kitaab chahiye tu kisi bhi maktabe se hasil kar sakte hain yahan india main tu kisi bhi maktabe par dastiyaab hai aur main samaj ta houn aap ko ye kitaab pakistaan main bhi kisi bhi maktabe par mil jaye gi.
  12. ji han jo khutbe ke bheej main azaan hoti hai us ko azaan-e-sani kehte hain aur azaan -e-khutba bhi kehte hai. Azaan-e-sani ka jawaab zabaan se dena jayez nahi hai. (bahar-e-shariyat, Durr-e-muqtaar) Sarkaar ke naam aane par anghote nahi jhoom na chahiye sirf dil main darood pad sakte hain. khutbe main jo dua hoti hai us waqt na haath uthaye na aameen kahe. Agar aisa kareinge tu ghunne gaar honge. (Raddul muqtaar, Bahar-e-shariyat). Huzoor-e-Aqdas sallahu tala alaihiwasallam ka naam-e-paak khateeb ne liya tu hazreen aur samayeen dil main durood-e-sharif padehen zabaan se padne ki ijazat nahi. yuhin sahaba ikraam ke zikr par zabaan se Radhi allahu tala anhum kehne ki ijazat nahi hai.(Qanoon-e-Shariyat). Khutba sunna wajib hai jab imam khutbe ke liye khada ho us waqt se khatm namaaz tak namaaz-o-azkaar aur har qism ka zikr mana hai. aur jo sunnat shuru kar chuka ho jald se jald puri kar lein. Jo cheezein namaaz main haraam hain wo cheezein khutbe main bhi haraam hain.jaise khana ,pina aur salaam wagaira haraam hain.
  13. bahut achcha sawaal kiya aap ne . Anbhiya Ikraam ka naam zikr kar ne ke baad agar ek ho tu alai hissalaam aur agar do houn to Alaihummas salaam aur agar do se zayed ho Alaihimus salaam. Anbhiya Ikraam main sirf male (Man) hote hain Female (woman ) nahi hote. Sahaba Ikraam ka naam zikr kar ne ke baad agar ek sahabi ( male) ho tu Radhi allahutala anhu do houn tu Radhi allahutala anhuma aur do se zayada houn tu radhi allahutala anhum. Agar ek sahabiya (Female) hotu Radhi alllahutala anha agar do ho tu radhi allahutala anhuma aur agar do se zayeda hotu radhi allahutala anhunna. Radhi allahutala anhu wagaira ka zikr aam taur se sahaba Ikraam hi ke saat istemaal kiya jata hai. Aur ye Quraan-e-Mubaraka se sabit hai. Aulia Izaam (male) ka naam zikr kar ne ke baad agar ek ho tu rahematullahi tala alaihi do hu tu Rahematullahi tala alaihima aur agar do se zayeda hai tu Rahematullahi tala alaihim. Agar Aurlia Izaam (Female) hotu Rahematullahi tala alaiha do hu tu Rahematullahi Tala alaihima aur do se zayeda hotu Rahematullahi tala alaihunna. Aulia Izaam ke saat Radhi allahu an wagaira ka istemaal bhi kiya ja sakta hai. Siddiqeen, Shuda aur saleheen agar sahabaye Ikraam main se hotu Upper bataya gaya hai ke sahaba ikraam ke saat kiya istemaal kiya jata hai. Aur agar Siddiqeen, Shuda aur saleheen agar aulia izaam main se hotu Us ka bhi Uppar zikr ho chuka hai ke Aulia allah ke saat kiya istemaal kiya jata hai.
  14. aap ka mazmoon taweel hone ki bina par sar sari nazar se padha maloomaat afza hai lakin aap ek jagah bahikha aur raza ju dost likha lafz-e-dost allah ki shaan me istimaal karna namunasib hai is liye ki ae ek aam lafz hai jo allah ke shayaan-e-shaan nahi
×
×
  • Create New...