Jump to content

unknown

اراکین
  • کل پوسٹس

    84
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ unknown نے پوسٹ کیا

  1. kuch exemple day kar samjaey na, english to urdu dictionnary say zayada samjh nahi ati mujhay.
  2. unknown

    Meaning Of Theses Words In Urdu Please

    kya koi inn english alfaaz ka matlab urdu main samja sakta hai? anxiety, anxiousness, anguish, depress, stress, sad, nervous, discouraged disappointed
  3. Rozay ki halat main lipstick: http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=23315
  4. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou Faizan-e-attar say yeh jawab mila hai, http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=21423
  5. unknown

    I Need This Hadees

    kya koi aissi hadees-e-mubarka share kar sakta hai jiss main sarkar salalahou alehi wasalm nay irshaad farmaya ho keh jiss nay meri taraf jhooth mansoob kya wo apna thikana jahanam bana lay, gailban kuch iss tarah ki hadees hai, aissay hi agar koi hadees hai jiss main yeh likha ho keh jiss nay allah azwajal ki taraf jhooth banda wo apna thikana jahanm bana lay.
  6. unknown

    Naat Book

    kya koi aissi kitaab share kar sakta hai jiss main Ameer-e-Ahlesunnat damat barkatumul aliya ki sari likhi hui naatein & manqabatein hon.
  7. font to theek hi nazar a raha hai, beherhaal aap issi software ko complete uninstall kar kay dobara install karein shaed appka masla hal ho jaey, warna aap faizaneattar.com say iss software ko download karein aur phir lagaein,
  8. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou Kya koi islami bhai ek favor kartay huay exactly yahi masla Mufti akmal saab kay program Ahkam-e-shariat main pooch sakta hai? mujhay to pata nahi ahkam-e-shariat main sawal poochnay ka kya number hai aur kab call karni chahiey, kyon kay main to pakistan main nahi hoon balqay ek ghair islami mulk main rehta hoon lehaza agar koi islami yeh favor kar day to madina madina... ek doosray thread main yeh kuch Al-Furqan Acadmy ki kuch detail hai agar yeh aap kay kissi kaam a sakay: Al furqan Scholars Academy Address: Lakhani Terrace,Punjab Town, Soldier Bazar No.1, Karachi. Telephone: 021-32242226 Website: www.muftiakmal.com
  9. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou! agar koi ghair-e-muslim apni zaban main kissi musalman ko salam karta hai to musalman ko badlay main kya kehna chahiey, maslan hindu log ghaliban namastay kar kay kuch kehtay hain, agar wo humain aissa kahein to humein bhi kya namastay kehna chahiey ya english main good mornig wagaira kehna chahiey ya phir kya karna chahiey? kya kissi ghair-e-muslim ko hum salam kar saktay hain? agar koi kissi sahi daleel kay saath jawab day to madina madina. shukrya!
  10. kya yahan pe koi mufti saab hain ya koi kissi mufti saab say pooch kar bata sakta hai keh agar kissi product/dawai main 27% grape alcohol solution ho to us ka istimaal jaiz hai? kyon iss product jiss ka naam LARCH hai uss main 27% grape alcohol bhi likha hua hai, http://www.vitacost.com/Bach-Flower-Remedies-Essence-Larch
  11. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou meray 2 sawal hain, waissay to un main ek ka jawab umper de diya gaya hai lekin phir tasali kay liey pooch lena behtar samjata hoon. uper likha hai keh farz ki teesri aur chothi rakat main sirf 3 martaba subkhan allah keh kar rakoo main chalay jana chahiey, agar main sahi samja hoon to teesri aur chothi rakat main na to sura-e-fatiha aur na hi koi surat milanay ki zaroorat hai, yani keh jaissay hi aap doosri rakat say farigh ho kar teesri rakat kay liey kharay huay bas 3 martaba subkhanallah keh kar wapis rakoo main chalay jana chahiey aur aissay hi choti rakat bhi poori karni chahiey. sahi? doosra sawal yeh hai keh qaza namazon main koi bhi sa darood par saktay hain ya sirf wohi darood jo keh uper likha hua hai?
  12. agar kissi shakhs nay fajar ki qaza namazein mukamal kar li hon to kya wo dobara iss niyat kay saath pard sakta hai keh jo namazein mainay sahi nahi pari wo main dobara parta hoon. kyon keh us nay apni umar ka hisaab laga kar jitni fajar ki qaza namazein banti thi wo to par li, lekin phir bhi ehteatan wo kuch aur parna chahta hai, keh kabhi us nay jaldi main par li ho ya niyat sahi na ki ho ya koi qabool nahi hui ho... jab keh abhi us pay zuhar,asar wagaira ki qaza namazein baqi hain
  13. unknown

    Soor Khana Kyon Haram Hai?

    soor khana kyon haram hai?
  14. bohat shukrya aap ya koi aur islami bhai agar koi reference de day to madina madina, yani keh kahan pe aissa likha hai ya kiss alim say suna gaya hai, jazakallahou khaira! yeh ek bohat acha forum hai, bohat maloomaat hasil hoti hai yahan say.
  15. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou Ek shaks par agar 2 martaba ghusal farz ho jaey to kya ussay 2 hi martaba ghusal karna ho ga ya 1 ghusal hi kafi hai? maslan subah 10 bajey pehla ghusal farz ho gaya aur taqreeban 4 ghantay baad kuch aissa amal ho gaya jis say ghusal farz ho jata hai, to phir us shaks ko ghar a kar ek hi ghusal karna ho ga? jawab k liey shukrya!
  16. unknown

    Kharidari Kay Mutaliq Sawal

    ek shaks nay Windows 7 kharidi hai, aur wo iss original windows ki copy kar kar kay logon ko sastay daam bechata hai, masal kay tor par agar aap dukaan say is windows ko kharidain to wo aap ko 200$ ki milay gi lekin wo admi 200$ ki windows kharid kar phir uss ki copy banata hai aur logon ko 10$ main farokhat karta hai. sawal yeh hai keh aissay shaks say iss tarah is windows ki copy kharidana jaiz hai ya nahi? jawab kay liey shukrya!
  17. kya koi mazeed un kay barey mein bata sakta hai?
  18. Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! Doosrey sawal ka jawab Namaz kay Ahkaam mein say mulaza farmaein! shukrya!
  19. unknown

    70 Namazon ka sawab

    Maine dawate-e-islami key 1 ijtama mein sunna tha keh sar par Imama pehn kar 1 namaz ada karney se 70 namazon ka sawab milta hai. kya yeh sahi hai? ek shakhs hai jis k uper taqreeban 20 000 ke uper qaza namazein ada karni baqi hain. sawal yeh hai, agar wo shakhs imama pehn kar 20 000 mein se 1 qaza namaz ada karey to usey 70 namazon ka sawab miley ga, to is tarah kya us ki 70 qaza namazein ada ho gaein? kya wo aissa kar sakta hai? aur is tarah se jaldi se bhi us ki tamam qaza namazein ada ho jaein gi.
  20. unknown

    Mufti of Dawat-e-islami

    Mujhe dawat-e-islami walon ke kissi mufti saab se baat karni hai. kya koi bhai mujhe un ka phone number de sakta hai jiskey zariey main kissi dawat-e-islami ke kissi mufti saab se baat kar sakon. jazakallahou khaira!
  21. 1-) kya koi mujhe Haji Mushtaq Attar Qadri Rehmatullah alehi k barey kuch bata sakta hai, yani k un ki real biography. 2-) kya yeh tasveer waqiey mein Al'a Hazrat Rehmatullah Alehi ki hai?
  22. maaf kijiey ga maine sawal poochaney mein thodi galti kar di, sawal yeh tha keh azaan to magrib ka waqat shuru honey se 5 minut pehley de di gai aur namaz jo hai wo waqat dakhil honey ke baad pari gai, yani keh jab magrib ka waqat dakhil ho gaya tab magrib ki namaz ada ki gai. ab choon'k azaan waqat dakhil honey se pehley di gai aur namaz waqat dakhil honey k baad pari gai. shukrya!
  23. azaan agar magrib ka waqat shuru honey se pehley 5 minut de di jaey aur jamat kar li jaey to namaz ho jaey gi ya sab ko dobara parni hogi? mein north america mein rehta hoon aur yahan par speaker se azaan nahi di jati. aur doosri masjid se azaan ki awaz bhi nahi a sakti. jawab k liey shukrya
×
×
  • Create New...