Jump to content

unknown

اراکین
  • کل پوسٹس

    84
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ unknown نے پوسٹ کیا

  1. unknown

    Labaik ya rasoolalah kehna kaissa hai

    Labaik ya rasoolalah kehna kaissa hai? mujhe aissa hi ek poster faizan-e-madina masjid jo k canada mein hain wahan se kharida aur apni qareebi masjid mein usey laga diya, aur wahan k kuch logon ne kaha hai keh Labaik ya rasoolalah kehna bidat aur shirk hai, kya yeh sahi hai ya aissey poster laga saktey hain? bararey meherbani meri rehnamai farmaiey! jazakallahou khaira
  2. yani k agar koi hanafi kaprey ko neechey se ya neefey se fold kar leta hai chahey thoda sa bhi ho aur phir namaz ada karta hai chahey akeley ho ya jamat k saath to us par Makroo-e-Tehreemi lazam aeygi, yani k usi namaz ko dobara parna hoga wo bhi kaprey fold kiey bina, kya main sahi samja hoon? agar farz karein k dobara na pari jaey yeh namaz jab k makroo-e-Tehreemi lazam aeyi hai folding ki wajah se to pari gai namaz ho gai, i mean farz ada ho gaya ya jab tak dobara namaz nahi parein gey tab tak namaz hi nahi hui? agar banein aissi ho k wo fold ho jati ho ya wo qudarti tor par neechey se fold ho aur uper jo hum us k uper kameez aur shalwar pehn kar namaz parein tab Makroo-e-Tehreemi lazam nahi aeygi jab k kameez aur shalwar fold nahi hain aur banein to neechey hai, kya sahi samja hoon? agar imam pant ko neechey se ya neefey se fold kar k namaz parata hai to Makroo-e-Tehreemin sirf us par lazam aeygi na'k sab muktadion par, kyon k baqi muktadion k kaprey fold nahi hain, kya main sahi samja hoon, Makroo-e-Tehreemi aur Makroo-e-Tanazyi se kya murad hai?
  3. is mein Mutzaman se kya murad hai? aur is mein to likha hai keh nabi paak salalahou alehi wasalam ka tehnband fold tha aur unhon ne aissi hi halat mein namaz ada ki
  4. subkhanallah! jazakallah khair, zabardast sharing ki aapne! allah hum sab ko naik bananey ki tofeeq ata farmaey aur deeni kamoon mein lagaey rakhey, Ameen suma Ameen,
  5. han main janata hoon k khawabon ki tabeer hoti hai lekin sarey khawabon ki tabeer nahi hoti yeh bhi such hai. mera sawal hai keh kaisey pata chaley keh, raat ko dekhey gaey khawab ki tabeer hai ya nahi? kuch khawab chotey hotey hain aur kuch lambey,
  6. unknown

    Azaan aur Aqamat

    Aqamat k shuru mein jo Allahou akbar hai wo 4 martaba hai, sawal yeh keh Aqamat mein mo'azan ko kitni baar Allahou Akbar kehna chahiey ? 2 martaba ya 4 martaba?
  7. Aqamat mein mein mo'azan ko kitni baar Allahou Akbar kehna chahiey shuru mein?
  8. unknown

    AZAN

    kya koi urdu mein translate kar k bata sakta hai is thread ko?
  9. agar dr.tahir saab ka aqeeda galith hai to phir unhen QTV jo k islami channel hai, phir us par kyon dikhatey hain?
  10. unknown

    Ayat ul Kursi

    kya koi Ayat ul Kursi parney ke faidey bata sakta hai?
  11. is link ko check kijiey! inshallah aap ko jawab mil jaey ga: Click here for the Answer
  12. nahi kaam bana to aap VLC ko yahan se download kar saktey hain, yeh free software hai: Click here to Download VLC Player
  13. unknown

    Hijaab k barey mein koi hadees

    Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! Hijaab k barey mein koi hadees mujhe de sakta hai,
  14. unknown

    Is Hadees se kya murad hai?

    Is Hadees se kya murad hai? Link of Hadees kya is hadees k mutabiq kaprey fold kar k namaz parna jaiz hai?
  15. unknown

    Imam Ahmed Raza Khan Rahematulla Alehey,

    kya koi mujhe Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah alehey k barey mein bata sakta hai, wo kaun they, kahan k rehney waley they, etc...
  16. shukrya Ghulam E Mustafa saab! maine kahin pe para tha keh fajar ki namaaz k baad agar aap 11 martaba Taouz aur 11 martaba surat-Ikhlaas parein to shaam tak aap shaitaan se bachey rahein gein, kya koi bata sakta hai keh 11 martaba taouz ko alehda kar ke parna hai ya phir 1 martaba taouz aur uske baad 1 martaba surat? doosri baat poochani hai keh, shaam kab shuru hoti hai?
  17. Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ko yaqeenan hum Gauss keh saktey hain, is mein koi shak nahi, mein Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ko allah se ke saath shareek nahi kar raha, wo jo hasti hain, wahan tak allah ne hi unhe pohnchaya hai, jis tarah Hazrat Ibrahim (alehey salam) ko allah tallah ne Khali-lula ka laqab diya hai jis k mani shaed yeh hain allah ka dost, agar wo allah k dost hain to is ka matlib yeh to nahi keh koi unhen agar Khali-lula kahey to yeh shirk ho gaya, jis tarah in ka laqab Khali-lula hai isi tarah Hazrat Abdul Qadir Jailani Razi allah tallah unho ko bhi allah tallah ne Gauss banaya, jissey jo mila, jis ko jo mil raha hai aur jiss ko jo miley ga wo sab allah ka hi ata kya gaya hai. Ap agar nahi kehna chahtey to mein koi zor zabar dasti nahi kar raha, lekin mein to Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ke dar ka kuta hoon, to lehaza mein to zaroor kahon ga. Nara-e-Gaussia! Ya Gauss-al- Azam!aapne kaha''Jaisa k Allah farmate hai Quran-e-Karim me: ' Bohot log Allah pe Imaan ka Daawah to karte hai lekin wo Shirk bhi karte hai'' pehli baat to yeh hai keh, shirk kehtey hain allah ke saath kissi ko sharik thehrana, yani k yeh kehna k allah bhi hai aur us jaissa koi aur bhi hai, lekin meine hargiz Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ko Gauss keh kar allah ka shareek nahi theraya, aur na hi meri koi iss tarah maz'allah koi niyat thi. Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) allah k rastey par hi they hamesha aur un ki perwi karney waley bhi yaqeenan allah ke rastey par hi hotey hain. phir aap ne kaha''Hame maalum hai Bismillah bhai aap k man me abhi bohot saarey sawaal hai aap be jhijak hamse poochye'' nahi bhai saab merey zehan mein koi aissey khaas sawal nahi hain. aap ne kaha''Razi Allah Tallah unho' sirf SAHABA k naam k saath lagaya jaata hai'' jee han Sahaba k naam k saath bhi lagaya jata hai, lekin merey khial se is ka matlib yeh hota hai keh, Allah aap se razi ho ya allah ap se razi hua, yeh ek dua hai aur Hazoor Gauss Al Azam (razi allah tallah unho) ke naam ke saath laganey se mujhey takleef nahi. Hazrat Mola Ali Razi Allah Tallah unho ko mola kyon kaha meine? inn link mein is ka jawab' 1-) http://uk.youtube.com/watch?v=ii40Fp9k1Zg&...feature=related 2-) http://www.islamimehfil.info/index.php?act...st&id=18984 apne kaha' Imam-e-Azam to hamare Rasool Sarware kainath Mohammad(Salalaho Alehey Wasalam) hai aap kisi gaire Nabi ko Imam-e-Azam keh kar Hamare Nabi ki shaan me gustaakhi na kijye. Yahan par aap ne kuch sahi farmaya aur kuch... yeh baat bilkul 100% sachi aur paki hai k Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam allah k sab se payarey bandey hain, lekin Imam-e-Azam Hazrat Abu Hanifa Razi Allah Tallah unho ko Imam-e-Azam kehna bhi Jaiz hai, merey paas is waqat koi hadees nahi hai wo ek alehda baat hai. ap ne kaha ''Islam Rasool Allah k Zamane Complete ho chuka tha jaisa k Quran hame batata hai to Kisi gairo se Sharya lene ki kya zaroorath? Sahaba ka Madhab Mohammady aur Quran Hadees tha, kisi fiqa ko nahi maante the to phir hum bhi Quran hadees pe chal kar kyo Jannat nahi jaa sakte?? '' yeh bhi sahi baat hai, lekin Ahlesunnat mein 4 fiqhey shaed is liey hain ta' k, Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam ki Tamam Sunnaton par baad mein aney wali Umat amal kar sakey. Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam ke zamaney mein fiqa kyon nahi tha, shaed iss liey keh, jab Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam khud Zahiri tor par maujood hain to phir fiqey ki kya zaroorat, is liey shaed koi fiqa nahi tha. Agar meri baat aap ko ya kissi aur bhai ko zara si bhi buri lagi ho to mein mafi ka Talibghar hoon, lehaza mujhe apna ek gunhegar bhai aur umati honey k natey maaf kar dijijey ga! shukrya Riz danish saab, aap se meri khasoosi request hai ke aap is topic ko mazeed lamba na kijiey, aap ko agar koi masla poochna hai to kissi Ahlesunnat ke Mufti se poochiey to zayada behtar hoga, kyon yahan par koi bhi mufti nahi hai. aap apne aapko sahi sabit karney k liey daleeleny pesh karen gey aur yahan par shaed koi aapne aapko sahi abit karney k liey daleeleny pesh karen ga. Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!
  18. IN MEIN SE KITANI MOAK'DA AUR KITNI GHAIR MOAK'DA HAIN?
  19. Link of Darood Is link mein jo darood hai, us mein ek lafz Zaakat bhi hai, mujhe ek to yeh janana hai keh, use Zaakat parna hoga ya Daakat? kyon k Arbi mein issey Doad partey hain. arbi mein Laam ke neechey jab zeer hoti hai to usey Lii partey hain to phir Aksar log darood-e-Ibrahimi mein jo shuru mein laam ata hai usey Ley kyon partey hain?
  20. 1-) yahan par to likha hai k masnoon hai, yani k Lazmi nahi, sahi? 2-) Namaz-e-Jummah mein kul kitani Rak'at hoti hain?
×
×
  • Create New...