Jump to content

Riz danish

Under Observation
  • کل پوسٹس

    7
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Riz danish

Previous Fields

  • فقہ
    Maliki

Riz danish's Achievements

Rookie

Rookie (2/14)

  • First Post
  • Conversation Starter
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Dekhye beshak aap Quran hadees par Iman rakhte hai lekin Fiqh aap k nazdeek sabse zyada aham hai. Fiqh Quran aur hadees se takrata hai isliye hum use thukrate hai. Agar Sahih hadees se aap ko deen mil raha hai to fir Nabi k darbar ko chor kar gairo k darbaar me kya jaana. Hamare Rahbar Mohammad(S.A.W) ne kaha tha Hajj k mauke Par: Logo dhyan se suno ho sakta hai phir tumse yahaan mulaqat na ho lekin mai do bohot azeem cheez tumhare darmiyann chode jaa raha hoon, jab tak tum ise mazbuti se pakde rahoge tum hargiz hargiz Gumrah nahi hoge aur who hai kitaab’Ullah aur sunnate Rasool.(Bukhari) Hamre nabi ne ye nahi kaha k aap fiqh pe chalna. Is hadees se hamare Rasool(S.A.W) ye bhi Ishaara kardiye k who ab is duniya me nahi rahenge warna aisa nahi kehte. Quran bhi kehta hai AAP(S.A.W) ko MAUT aani hai. Dekhye aap ko samajhna hoga Ahle-hadeeth ka matlab. Ahle-hadees ek tarah ka organization hai. Aur Ahle-Hadeeth bolne se 2 criterea fullfil karte hai aap ‘Ahle-Sunnath’ jo hadees se hi pata chalega aur ‘Ahle-Quran’ to beshak hona hi padega warna hadees aap k khilaaf ho jayegi. Hadees par amal karne wala hi Ahle-hadeeth hai. Aap ne kaha Nabi k zamane me Ahle-hadith zamaath nahi thi to phir aap ye bataye sahaba ki jamaath kaunsi thi?? Dekhye naam agar Shirkya aur kufriya na ho to aap who naam rakh sakte hai aur hum khud ko Ahle-Hadees keh kar Islam ki buniyadh ki taraf bulate hai… Aap Quran padyega to Allah Musa Alaihislam ki kaum ko unki zamane me BANI ISRAEL keh kar khitaab karte hai lekin Nabi (S.A.W) k Zamane me usi kaum ko Allah Ahle-Kitaab bhi keh kar khitaab karte hai. Aapko Sunnat-e-Rasool par chalna hai to hadees ko pakadna hi hoga kyo k wohi hame sunnat-e-Rasool batata hai…Aaplog jise Piraane Pir kehte hai (Hazrat Jilaani Rahma’Ullah) Apne kitaab me likhte hai k agar Ahle-Sunnath ka koi sahi naam hai to Who Ahlul-hadees hai. Mai is kitaab ka naam aur shafa agle reply me bhej dunga Insha’Allah jiski tafseer aapke hi Mashoor Aalim ne ki hai. Ab aap ye saabit karen Quran hadees se k Murde sunte hai??Airey-Gairey ko RaziAllahunh kaha jaa sakta hai?? Ahle-hadees ka Laqab ka galat hai?? Mai aapko beshumar Daliley pesh kar sakta hoon wo bhi aap k hi kitaab se k aap log Allah k sifath me Gairullah ko sharik karte hain.Aur ye mera challenge hai. Mere bhai mere dost mai sirf itna chata hoon k aap Allah k kitaab padhe aur Hadees Nabwi padhe, usi me meri aur aap ki nijaat hai
  2. Janaab Bismillah Sahab aap shayad kitabon ko ahmiyat nahi dete hai isliye aap ki baaton me gumrahi nazar aati hai. Gauss-al-azam sirf Allah Ta'la hi ho sakte hai.(Quran-10:31) kisi Maqhlook k andar ye salahyat kahan k wo khud ko Gauss bana le, ye Allah k sifaath me shirk hai, pehle aap pata kijye k Gauss ka matlab kya hota hai. Jaisa k Allah farmate hai Quran-e-Karim me: ' Bohot log Allah pe Imaan ka Daawah to karte hai lekin wo Shirk bhi karte hai'.(12:106). Allah har Gunaah maaf kar dega kyo k wo sabse bada bakhsne waala hai lekin "wo shirk ko kabhi bhi maaf nahi karege"(4:48).Aur jara dekho to sahi Allah tammam Insaano ko apna Ghulam bata rahe hai : " Jise tum Allah k ilawah pukarte ho woh to tumhare tarah ek Ghulam they"(7:194)Ghulam agar spritually kisi ka hona hai to Sirf Allah Ta'la ka hi hona hoga jaisa ki haq hai warna ye bhi shirk hai. Allah k Ghulam to hamare Rahbar Sarware kainaat Greatest Personility Imamo k Imam Madniye Taajdar Mohammad Rasool Allah(S.A.W) bhi they to phir hamari kya hasyat k hum gairo ko apna maalik banaye. Meri aap se request hai k aap Quran Padhe aur sahi Hadees par dhyan de isi par insaano ki nizaat hai, Moulviyo ki katha par nahi Kyo k allah farmaate hai Meri bataye hue raste par chalo kisi aur ki nahi warna tum seedhi raste se bhatak jaoge(6:153) Hame maalum hai Bismillah bhai aap k man me abhi bohot saarey sawaal hai aap be jhijak hamse poochye.
  3. Janaab Bismillah sahab aap phir Gumrahi waali baath kar rahe hai kyo k 'Razi Allah Tallah unho' sirf SAHABA k naam k saath lagaya jaata hai kisi Aaire-Gaaire k liye nahi hai. Ye Title Khaas Allah k taraf se Sahaba ko mili thi aur ye Quran-e-Karim me maujud hai. Aap SAHAABA jo Rasool k baadh sab se badi hasti hai unki shaan me Gustaakhi kar rahe hai Imam ko Razi Allah unho kah kar. Hazrat Ali ko 'Maula' kehna Shirk hai kyo k hamara aur aap ka Maula Sirf Allah hai. Imam-e-Azam to hamare Rasool Sarware kainath Mohammad(S.A.W) hai aap kisi gaire Nabi ko Imam-e-Azam keh kar Hamare Nabi ki shaan me gustaakhi na kijye. Abu Hanifa(Numan bin Saabidh) ki padaaish 80 hijri ki hai aur Hazrat Ali Razi Allah unho to 40 Hijri me wafaath paa gaye they to phir Abu Hanifa ki Padaaish me kaise aa gaye.Taarikh ki kitaab utha kar dekh lijye tab pata chalege aap ko. Zara tehkeek ke maidan me to utar k dekhye janaab Hum aap k saath hai. Islam Rasool Allah k Zamane Complete ho chuka tha jaisa k Quran hame batata hai to Kisi gairo se Sharya lene ki kya zaroorath? Sahaba ka Madhab Mohammady aur Quran Hadees tha, kisi fiqa ko nahi maante the to phir hum bhi Quran hadees pe chal kar kyo Jannat nahi jaa sakte??
  4. Janaab Bismillah Sahab aap shayad kitabon ko ahmiyat nahi dete hai isliye aap ki baaton me gumrahi nazar aati hai. Gauss-al-azam sirf Allah Ta'la hi ho sakte hai.(Quran-10:31) kisi Maqhlook k andar ye salahyat kahan k wo khud ko Gauss bana le, ye Allah k sifaath me shirk hai, pehle aap pata kijye k Gauss ka matlab kya hota hai. Jaisa k Allah farmate hai Quran-e-Karim me: ' Bohot log Allah pe Imaan ka Daawah to karte hai lekin wo Shirk bhi karte hai'.(12:106). Allah har Gunaah maaf kar dega kyo k wo sabse bada bakhsne waala hai lekin "wo shirk ko kabhi bhi maaf nahi karege"(4:48).Aur jara dekho to sahi Allah tammam Insaano ko apna Ghulam bata rahe hai : " Jise tum Allah k ilawah pukarte ho woh to tumhare tarah ek Ghulam they"(7:194)Ghulam agar spritually kisi ka hona hai to Sirf Allah Ta'la ka hi hona hoga jaisa ki haq hai warna ye bhi shirk hai. Allah k Ghulam to hamare Rahbar Sarware kainaat Greatest Personility Imamo k Imam Madniye Taajdar Mohammad Rasool Allah(S.A.W) bhi they to phir hamari kya hasyat k hum gairo ko apna maalik banaye. Meri aap se request hai k aap Quran Padhe aur sahi Hadees par dhyan de isi par insaano ki nizaat hai, Moulviyo ki katha par nahi Kyo k allah farmaate hai Meri bataye hue raste par chalo kisi aur ki nahi warna tum seedhi raste se bhatak jaoge(6:153) Hame maalum hai Bismillah bhai aap k man me abhi bohot saarey sawaal hai aap be jhijak hamse poochye.
  5. Kya duniya me sirf chaar Imam the kya Imam Bukahari imam nahi they? Imam Tirmidhi? Imam Muslim? imam abu Dawood? Aur bhi bohot saarey Imam guzrey hai unlogo ka kya? Acha unlogo Imam Allah ne choose kiya k Insaano ne??kya wo Rasool they?
  6. Kya Koi mujhe ye bata sakta hai k Sahaba ka Fiqha kaun sa tha jinhe title mila hai RaziAllahoAnh(Allah inse Raazi hua aur ye Allah se)????
  7. Isse murad hai k aap Islam se khaariz hai...Ye sab shirkiya aur kufriya kalemaath hai jis par aqidah rakhne wala shaqs Islam se KHAARIZ hai. Insha'Allah mai isey saabith karunga Quran aur Hadith se agar aap hame reply kare to.
×
×
  • Create New...