Jump to content

Farooq-e-Azam

اراکین
  • کل پوسٹس

    11
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

پوسٹس ںے Farooq-e-Azam کیا

  1. Brother Abdul Rauf Bhai. Allah ne har kisam ka sadka zakat etc Ahal-e-Bait or Aal-e-Muhammad ((saw)) par haraam kya hai. Kyon ki sadka or zakat hamaray maal ki mel (filth) hai jis ke ada karnay se maal paak ho jata hai. Isi liye Aal-e-Muhammad ((saw)) par ye cheezen haraam hain. Magar Imam Malik (ra) ka farmaan hai ke Syyed ko aap Khumas de sakte hain. Khumas ke baray main mazeed information ke baray main aap ko aagah karnay ki koshish karon gi

  2. Brother & Sisters!!

     

    Abu Dawood Sharif main rivayat hai ke Janab-e-Khadija (ra) ke 80,000 oonth (camels) hote the jo tijarat ka samaan le kar mukhtalif countries main jaatay. Aap Janab-e-Khadija (ra) ke saray network or employees ka andaza khud laga len ke kitna big network ho ga.

     

    Jub Janab-e-Khadija (ra) ka Aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (saw) se nikaah howa to Janab-e-Syedna Hazrat-e-Siddiq-e-Akbar (ra) fartay hain ke nikaah ka baad aap Janab-e-Khadija (ra) daily itna sadka or khairat kya karti thee ke aik ooncha sa sonay or chandi etc ka dhair hota or main (Janab-e-Siddiq-e-Akbar (ra)) os dhair ki doosri taraf nahi dekh sakta tha, utna dhair rozana aap Janab-e-Khadija (ra) ghareebon main sadka karti ke aaj mujhe aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ki ziarat hoi, aaj mujhey un ka chehra mubarik dekhna naseeb howa.

     

    Jub aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ne islam ki pehli daawat kuffar ko di to aap Janab-e-Khadija (ra) ne jo bartan khanay ke liye pesh kiye wo sonay or chandi ke the or aap ki taraf se kuffar ko ijazat thi ke khana bhi khayen or bartan bhi sath lete jayen.

     

    Sisters & Brothers, hum ne to Laila Majnoo, Heer Ranjha etc ke pyar ke kissay hi sunay hain. Hai na ye asli ishq jo aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) or Janab-e-Khadija (ra) ke darmyaan tha, ke aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ke ishq main apna sub kuch quran kar diya.

     

    Or jub aap Janab-e-Khadija (ra) duniya se tashreef le janay lagi to en ke pas kafan ke liye kapra na tha. Aap ne janab Muhammad-e-Mustafa (PBUH) se kaha ke apni chaadar mere kafan main de den to Aap Janab-e-Muhammad-e-Mustafa (PBUH) ro diye or kahnay lage ke bibi aap meri chaadar ki baat karti hain mere ikhtiyaar main hota to main apni chamri (skin) ka kafan aap ko bana kar deta. Allah talaa apnay pyaray mahboob (PBUH) ke aansoo na dekh sakay or foran jannat se aap Janab-e-Khadija (ra) ke liye kafan Hazarat-e-Jibraeel (as) ke hath bhaij diya.

     

    Main kbahi kabhi on ki shan dekh kar hairaan hoti hoon ke. Os bibi ke ghar ka kya kahna jahaan Muhammad-e-Mustafa (PBUH) jo Allah ke Habib or Mahboob, hain Sardar ul Ambiya hain, Janab-e-Hassan (ra) or Janab-e-Hussain (ra) jo jannat main tamaam mardon (men) ke sardar hain or Janab-e-Fatima (ra) jo jannat ki orton (women) ki sardar hain rehete hon, wo bibi ki azmat kya ho gi.

     

    Allah talaa apnay Habib (PBUH) ke sadkay ham sub ke amaal kabool kare or aap (PBUH) aap (PBUH) ki Aal or Sahab-e-Karaam (ra) se succhi mohabbat karnay ki taufeeq de. Ameen!! summa Ameen!!

×
×
  • Create New...